a love story

2
A love story that woke me up Yeh kahani ek princess aur ek mamuli soldier kii hai, ek soldier Jo us princess se be-intehaan mohhabat karta tha……. Woh jab apni mohabbat ka izhar princess se karne gaya, tab princess ne bade hi rob se pucha- “kaun ho tum, kya tum koi prince ho, ya phir koi kalakar ho, ya phir ish saltanat ke sabse bahadur sipahi?” Sipahi ne bade hi samman aur pyar se kaha-“raj-kumari, na toh main prince hoon, naahi main koi kalakar,aur naahi main yeh keh sakta hoon kii main yahan ka sabse bahadur sipahi hoon, par main itna keh sakta hoon kii jitna pyar main aapse karta hoon utna koi aapse nahi kar sakta” Princess Ne bade hi gurur se pucha –“kii tum mere liye kya kar sakte ho?” Sipahi ne kaha –“siwaye intezar ke main aap ke liye kuch nai kar sakta,” Princess-“isme kya hai, yeh toh koi bhi kar sakta hai” Sipahi ne kaha-“main bin kuch khaya-piye 100 dino tak aapke mahal ke bahar aapka intezar karunga” Princess bin kuch kahe chalii gayi……….sipahii uske mahal ke bahar intezar mein khara rehta hai. Aandhi, tufaan, barish…..kitne hi mausam aaye aur gaye par who wahan se hila nahi, woh wahan khara raha……10 din 20 din 30, 40 50 60…….90 din... 99 din beet Gaye……. 100 th day ki suruwat hone se pehle hi woh wahan se chala jata hai……………

Upload: ashik-khan

Post on 17-Jan-2015

1.118 views

Category:

Spiritual


0 download

DESCRIPTION

 

TRANSCRIPT

Page 1: A LOVE STORY

A love story that woke me up

Yeh kahani ek princess aur ek mamuli soldier kii hai, ek soldier Jo us princess se be-intehaan mohhabat karta tha…….Woh jab apni mohabbat ka izhar princess se karne gaya, tab princess ne bade hi rob se pucha- “kaun ho tum, kya tum koi prince ho, ya phir koi kalakar ho, ya phir ish saltanat ke sabse bahadur sipahi?”

Sipahi ne bade hi samman aur pyar se kaha-“raj-kumari, na toh main prince hoon, naahi main koi kalakar,aur naahi main yeh keh sakta hoon kii main yahan ka sabse bahadur sipahi hoon, par main itna keh sakta hoon kii jitna pyar main aapse karta hoon utna koi aapse nahi kar sakta”

Princess Ne bade hi gurur se pucha –“kii tum mere liye kya kar sakte ho?”

Sipahi ne kaha –“siwaye intezar ke main aap ke liye kuch nai kar sakta,”

Princess-“isme kya hai, yeh toh koi bhi kar sakta hai”

Sipahi ne kaha-“main bin kuch khaya-piye 100 dino tak aapke mahal ke bahar aapka intezar karunga”

Princess bin kuch kahe chalii gayi……….sipahii uske mahal ke bahar intezar mein khara rehta hai.

Aandhi, tufaan, barish…..kitne hi mausam aaye aur gaye par who wahan se hila nahi, woh wahan khara raha……10 din 20 din 30, 40 50 60…….90 din...99 din beet Gaye…….100th day ki suruwat hone se pehle hi woh wahan se chala jata hai……………

Mujhe pata hai kii ish kahani KO padne wallon ke maan mein yeh sawal aa raha hoga kii wo wahan se chala kyon gaya?????????

Well, ek bande ke pespective se main bataun toh, iske piche bas ek hii karan tha:

Page 2: A LOVE STORY

Woh isliye 100th day ko chala gaya tha kyonki use darr tha kii aggar princess din khatm hone k pehle nahi aayi toh wo zindagi bhar yehi soch kar reh jayega kii usne ek pather dil aurat se pyar kiya, aur yeh use gawara nahi tha, isiliye usne socha kii wo 100th day ka intezar kiye bina hii wahan se chala jayega, taki kamse-kam woh yeh toh keh payega kii ho sakta tha kii princess aayi hoti, par sayad usme hii itni himmat nahi thi kii wo 100th day tak wait karta….

Sayad isiko saccha pyar kehte hain jo kafi kam logon samajh pate hain, aur jab who samajh jate hai tab unse pyar karne wala kafi dur chala jata hai….. THE END