fund chaar mukhye dishaaon mein kaarye karta hai …...mahila sansthaaon ko puna-grants dena bhi...

2
KAISE ARZI LAGAAYEN Fund chaar mukhye dishaaon mein kaarye karta hai Grants ke prakaar Fund Ke Baare Mein Fiji Women’s Fund (the Fund), Australian sarkaar ki Pacific Women Shaping Pacific Development (Pacific Women) Program ki ek pahel hai. Fund ne Fiji mein women’s groups, networks aur organisaons ko mahilaaon ko taqat pradaan karne waale tatha laengik samaanta yaani gender equality sambandhi unke kaaryon ko badaawa dene ke liye waa sahayeta aur kshamta vikaas hetu AU$10.5 million 2017 se lekar 2022 tak pradaan karna jaari kiya hai. Fund kaarye kar raha hai taaki grameen tatha bheetri ilaako ki mahilaaon tak pahuncha ja sake, aisi mahilaaon tak jo adhikaarheen hain, jinmein shaamil hain viklaang mahilaayen aur aisi mahilaayen jo apni youn pristhi yaa ling pahechaan ke aadhaar par bhedbhaao ki shikaar ho rahi hain. Sewa Pradaan Karne Ke Tareeken Fund ke paas doorwar, grameen aur anye adhikaarheen mahilaaon tak pahunchne ke liye do kaarye-vidhiyan hain. Paheli kaarye-vidhi hai ki grameen ilaako mein kaarye karne waali badi sansthaayen, jo mushkil se pahunchne waali mahilaao ke saath sampark mein hain, yaa unhein sahayeta pradaan kar hain, ke saath partnership mein kaarye kiya jaayen. Yeh sansthaayen puna-anudaan yaa kshamta vikaas sahayeta ke liye pratyaksh sewaayen, yaa madhyast ke roop mein kaarye kar sa hain. Doosri kaarye-vidhi hai, mahilaaon ki sansthaaon ko, networks aur vibhin aakaaron ki sansthaaon ko seedhe roop se aarthik aur gaer-aarthik sahayeta fund se pradaan ki jaaye. Aniwaarye roop se Fund Fiji mein mahilaaon ki sansthaaon, networks aur sanghatno ko dhan, kshamta aur network vikaas sahayeta pradaan karegi, taaki weh mahila sashakkaran aur laengik samaanta ki disha mein apne kaam ko vistaar dekar unhein badaawa de saken. Fund Fiji mein bhi women’s movement ke vikaas mein yogdaan dega, jo samaan tatha adhikaar aadharit vikaas mein mahatwapoorn partner hote hain. CONTACT Phone: +679 331 4410 or +679 331 4033 Email: [email protected]. Fiji Women’s Fund is supported by the Australian Government and implemented by Cardno. www.cardno.com/internaonaldevelopment Fiji Women's Fund @fijiwomensfund A Grant lene waalo ke paas Australia ke Department of Foreign Affairs and Trade (DFAT) yaa anye internaonal donors ko lekar poorv ke anubhao yaani experience hai. Grants kaa laksh kshamta ko badaana hai aur anubhaawi sansthaayen tatha networks apne kaaryon mein vishtaar laayen aur unhein badaayen, khaas roop se apni women’s movement ki bhoomikaaon ko. Grants mein cho mahila sansthaaon ko puna-grants dena bhi shaamil hai taaki use kshamta vikaas sahayeta mil sake. Arzi lagaane waale desh mein register hone chahiye aur/yaa woh Fiji mein kaarye karne waali sammelit non-profit women’s organisaons hone chahiye. Year1 Year2 Year3 Year4 Year5 Year6 B Grant lene waalo ko DFAT yaa anye donors yaa daandaataaon se poorv ke anubhao yaani experience ki zaroorat nahi hai. Type B grants ko naye partnership ke parikshan ke maoke ke taor par tatha Fund ke saath sambandh sthapit karne ke liye istemaal kiya jaata hai. Har samay dhyaan zyadatar kam sthapit sansthaayen aur networks ko sahiyog pradaan karne par kendrit hoga, jinka laksh hai grameen tatha bheetri ilaako mein, adhikaarheen dalon tak apni pahunch badaana. Arzi lagaane waale desh mein register hone chahiye aur/yaa woh Fiji mein kaarye karne waali sammelit non-profit women’s organisaons hone chaahiye. Women’s Economic Empowerment Eliminang Violence Against Women Improving women’s parcipaon in leadership and decision making Strengthening women’s groups and coalions for change WEE EVAW WLDM WCC Fund teen prakaar ke grants pradaan karta hai, jo A, B aur C prakaar ke hain: FJD 150,000 yaa usse zyada FJD 50,000 se FJ 150,000

Upload: others

Post on 04-Feb-2020

0 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Fund chaar mukhye dishaaon mein kaarye karta hai …...mahila sansthaaon ko puna-grants dena bhi shaamil hai taaki use kshamta vikaas sahayeta mil sake. Arzi lagaane waale desh mein

KAISE ARZI LAGAAYEN

Fund chaar mukhye dishaaon mein kaarye karta hai

Grants ke prakaarFund Ke Baare MeinFiji Women’s Fund (the Fund), Australian sarkaar ki Pacific Women Shaping Pacific Development (Pacific Women) Program ki ek pahel hai. Fund ne Fiji mein women’s groups, networks aur organisations ko mahilaaon ko taqat pradaan karne waale tatha laengik samaanta yaani gender equality sambandhi unke kaaryon ko badaawa dene ke liye waa sahayeta aur kshamta vikaas hetu AU$10.5 million 2017 se lekar 2022 tak pradaan karna jaari kiya hai.

Fund kaarye kar raha hai taaki grameen tatha bheetri ilaako ki mahilaaon tak pahuncha ja sake, aisi mahilaaon tak jo adhikaarheen hain, jinmein shaamil hain viklaang mahilaayen aur aisi mahilaayen jo apni youn pristithi yaa ling pahechaan ke aadhaar par bhedbhaao ki shikaar ho rahi hain.

Sewa Pradaan Karne Ke TareekenFund ke paas doorwarti, grameen aur anye adhikaarheen mahilaaon tak pahunchne ke liye do kaarye-vidhiyan hain.

Paheli kaarye-vidhi hai ki grameen ilaako mein kaarye karne waali badi sansthaayen, jo mushkil se pahunchne waali mahilaao ke saath sampark mein hain, yaa unhein sahayeta pradaan karti hain, ke saath partnership mein kaarye kiya jaayen. Yeh sansthaayen puna-anudaan yaa kshamta vikaas sahayeta ke liye pratyaksh sewaayen, yaa madhyast ke roop mein kaarye kar sati hain.

Doosri kaarye-vidhi hai, mahilaaon ki sansthaaon ko, networks aur vibhin aakaaron ki sansthaaon ko seedhe roop se aarthik aur gaer-aarthik sahayeta fund se pradaan ki jaaye.

Aniwaarye roop se Fund Fiji mein mahilaaon ki sansthaaon, networks aur sanghatno ko dhan, kshamta aur network vikaas sahayeta pradaan karegi, taaki weh mahila sashaktikaran aur laengik samaanta ki disha mein apne kaam ko vistaar dekar unhein badaawa de saken.Fund Fiji mein bhi women’s movement ke vikaas mein yogdaan dega, jo samaan tatha adhikaar aadharit vikaas mein mahatwapoorn partner hote hain.

CONTACTPhone: +679 331 4410 or +679 331 4033Email: [email protected]

Fiji Women’s Fund is supported by the Australian Government and implementedby Cardno. www.cardno.com/internationaldevelopment

Fiji Women's Fund @fijiwomensfund

A

Grant lene waalo ke paas Australia ke Department of Foreign Affairs and Trade (DFAT) yaa anye international donors ko lekar poorv ke anubhao yaani experience hai. Grants kaa laksh kshamta ko badaana hai aur anubhaawi sansthaayen tatha networks apne kaaryon mein vishtaar laayen aur unhein badaayen, khaas roop se apni women’s movement ki bhoomikaaon ko. Grants mein choti mahila sansthaaon ko puna-grants dena bhi shaamil hai taaki use kshamta vikaas sahayeta mil sake. Arzi lagaane waale desh mein register hone chahiye aur/yaa woh Fiji mein kaarye karne waali sammelit non-profit women’s organisations hone chahiye.

Year1 Year2 Year3 Year4 Year5 Year6

B

Grant lene waalo ko DFAT yaa anye donors yaa daandaataaon se poorv ke anubhao yaani experience ki zaroorat nahi hai. Type B grants ko naye partnership ke parikshan ke maoke ke taor par tatha Fund ke saath sambandh sthapit karne ke liye istemaal kiya jaata hai. Har samay dhyaan zyadatar kam sthapit sansthaayen aur networks ko sahiyog pradaan karne par kendrit hoga, jinka laksh hai grameen tatha bheetri ilaako mein, adhikaarheen dalon tak apni pahunch badaana. Arzi lagaane waale desh mein register hone chahiye aur/yaa woh Fiji mein kaarye karne waali sammelit non-profit women’s organisations hone chaahiye.

Women’s Economic Empowerment

Eliminating Violence Against Women

Improving women’s participation inleadership and decision making

Strengthening women’s groups andcoalitions for change

WEE

EVAW

WLDM

WCC

Fund teen prakaar ke grants pradaan karta hai, jo A, B aur C prakaar ke hain:

FJD 150,000 yaa usse zyada

FJD 50,000 se FJ 150,000

Page 2: Fund chaar mukhye dishaaon mein kaarye karta hai …...mahila sansthaaon ko puna-grants dena bhi shaamil hai taaki use kshamta vikaas sahayeta mil sake. Arzi lagaane waale desh mein

Michelle ReddyFund ManagerPh. +679 331 4410 or +679 331 4033Email: [email protected].� Aap Kaise Arzi Laga Sakte Ho?

Kadam 1 Kadam 2Ek roochi waali abhivekti yaani

expression of interest taiyaar karenEk proposal yaa project budget

taiyaar karen

Sansthaayen mahilaaon dwaara sanchaalit aur aguwaai ki jaane waali honi chahiye, mahilaaye hi adhikansh leadership positions par honi chahiye (jinmein shaamil hain aarthik niyantran mechanisms ki samaanta);

Laengik samaanta aur mahi-laaon ko sashakt karne ke prati spast katibadhta;

Sansthaayen grameen ilaako ki ho, yaa fir grameen, bheetri ilaako aur adhikaarheen dalon tak uski pahunch ho;

Jaatiyeta, dhaarmik vishwaas, sexual orientation yaani youn abhivinyaas, laengik pahechaan aur laengik vichaar-dhaara se hatkar vistrit dalon ke saath tatha viklaang logon ke saath kaam karne ko lekar taiyaar hain; aur

Kam se kam ek warsh tak ek dal ke roop mein kaarye kar chuke hain.

Kaun arzi laga sakta hai?Fiji ki mahila dal, sansthaayen yaa network ke mini-mum eligibility criteria hai:

Aksar Pooche Jaane Waale Sawaal

Yogyeta waale anye criteria mein shaamil hain:

vividhta ke prati katibadhta (jaatiyeta, dhaarmik vishwaas, sexual orientation yaani youn abhivinyaas, ling pahechaan aur abhivekti, viklangta); dhan aur anye sahaayeta ka sanchaalan karne ki kshamta - seedhe yaa fir teesre paksh ke sambandhon ke maadhyam se. Pratyaksh grant ke liye mahilaon dwaara niyantrit ek swatantra bank account ki aawashy-akta hogi; aurGrant ke anukool waa aakaar ke aadhaar par evaluation tatha training waale kaaryon mein bhaag lene ki iccha tatha uplabdtamahilaaon dwaara sanchaalit yojnaaon ko, vishesh roop se ling par dhyaan kendrit nahin karne waali sansthaaon ki yojnaaon ko kabhi-kabhi Fiji Women Fund se sahiyog prapt ho sakta hai, yadi weh vishesh roop se adhikaar-heen logon ke saath kaam karti hain: udhaaran ke taor par mahilaaon ke dal jinmein viklaang, samlaengik mahilaayen, samlaengik purush, bisexual yaani dwilingi, transgender, sandeh waale, yaa Intersex (LGBTQI) shaamil hain.

Kaun se programs aur projects is tarah ke funding ke liye yogye hain?

Yogye programs yaa projects jinhein fund kiye jaa sakte hain, ka laksh kam se kam nimn mein se ek yaa usse zyada par aadharit hona chaahiye:

gender sensitive policy aur practice par gyaan aur pramaanon ki jaankaari badaana;mahilaaon ke khilaaf hinsa ka khaatma karna (khaas kaaryon ko sirf Type A aur B grants ke zariye unn sansthaaon ko pradaan karke sahiyog dena jo mahilaaon ke maanav adhikaaron par aadhaarit kaarye karti hain);mahilaaon ke veohaarye aarthik maokon ko badaana;leadership aur decision-making yaani faesla lene mein mahilaaon ki bhaagidaari mein sudhaar laana;uprokt kshetro ke samband mein mahilaaon ke dalon tatha sansthaaon ko badlaao ke liye mazbooti pradaan karna;programs yaa projects, jo sifarisho, shodh yaa shiksha waale kaaryo dwara oopar ke ek yaa usse zyada vishyon se jude hon; aurgender equality yaani laengik samaanta / mahilaaon ko shashakt karne waale laksh.

Hum kab arzi laga sakte hain?

Fiji Women’s Fund waarshik taor par Expressions of Interest (EOI) ki maang karta hai. Iski maang newspa-pers, radio aur social media mein advertised hoti hai.

Roochi waali abhivekti yaani expressions of interest (EOI) ki maang ko advertise kiya jaayega. Fund, women’s groups, networks aur organisations ke liye information sessions aayojit karta hai taaki unhein EOI submit karne ke liye sahayeta pradaan ki jaa sake. Fund ki Grants Committee sabhi EOIs ka nirakshan karegi aur sirf safal EOIs doosre kadam ke liye aage badte hain.

Women’s groups, organisations aur networks jinke EOIs ko Grants Committee swikriti pradaan kar deti hai, unhein aamantrit kiya jayega ki weh poorn proposal submit karen. Grants Committee fir sabhi proposals ka nirakshan karti hai aur grant award ke baare mein faisla leti hai.

FJD 5,000 se FJD 50,000C

Grant lene waali sansthaayen, grameen ilaako ki choti tatha ubhar rahin sansthaayen ho sakti hain, jinke paas DFAT yaa anye donors yaa daandaataaon se poorv ke anubhao yaa experience ki zaroorat nahi hai. Type C vikaas waali yaani developmental grants hongi aur usmein gaer-aarthik sahayeta yaa non-financial support.6 shaamil ho sakta hai. Yeh grants kshamta mein vikaas yaani capacity devel-opment ko sahiyog denge aur use Fund seedhe roop se pradaan kar sakta hai. Inn grants ke waastwik laksh hai Fiji mein mahilaaon ki sansthaaon ko aarthik roop se sashakt karna tatha unki kaaryewaai-yon ko badaana. Mahilaaon ki sansthaayen, networks yaa dalon ko, jo register nahi hain, ki arzi par Grants Committee seema aur parish-ram ke aadhaar par case by case tareeke se dhyaan degi.

»

»

»

»

»

»

»»

»

»

»

»