iqbal poetry

Upload: dejavu77

Post on 28-Oct-2015

158 views

Category:

Documents


2 download

DESCRIPTION

Allama Iqbal Poetry

TRANSCRIPT

http://www.oocities.org/bhupindersingh2/piqbal.htm

Allama IqbalMitaa de apni hasti ko agar kuch martaba chaaheKe daana khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai

1. Sahib-e-imroz 2. Reh guzar 3. Khird 4. Kaza 5. Musalmaan 6. Directed to Allah 7. Bahaara 8. Mohabbat ka junoon 9. Ishq ke imtihaan 10. Nukta-e-sulaiman 11. Kaafir aur Musalmaan 12. Dil 13. Maikhaane 14. On Muslims 15. Majnu ne shahr choda hai 16. Nukta-e-tawheed 17. Parinde ki faryaad 18. Saaqi 19. Azaad bande 20. KharadmandoN 21. Na tu zameeN ke liye 22. Nasheman 23. Mohammed se vafa 24. Haqeeqat se khabardar 25. Khudaa kaa Farmaan26. Lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii

Sahib-e-imrozi. Wahi hai saahib-e-imroz (today's master) jis ne apni mehnat seZamaane ke samundar se nikaala gohar-e-fardaN (tomorrows pearl)Reh guzari. Tu abhi reh guzar mein hai qaid-e-makaam se guzarMisar(Egypt)-o-hijaaz se guzar, paares(Paris)-o-shaam se guzar

[It means that don't confine yourself to any one particular place, youare in a proccess/transit of learning and therefore visit different placeswithout desire reward.]ii. Jis ka amal hai be-gard, us ki jaza kuch aur haiHur-o-khayam se guzar, baadh-o-jaam (wine) se guzar

[One who does deeds without the desire of janat (hur & wine), he will gethigher rewards. Although he will also get both the things, but do thingswithout keeping these points in mind.]iii. Tera imaam be-huzoor, teri namaaz be-suroorAisi namaz se guzar, aise imam se guzarKhirdi. Khird (dimaag) ke paas khabar ke siwa kuch aur nahiTera ilaaj nazar ke siwa kuch aur nahi

[This is referred to Allah that our brains have nothing butinformation about you. But if we could see you then all the problemsof believing would be solved.]ii. Har makam se aage makaam hai teraHayaat zoq-e-safar ke siwa kuch aur nahi

[Always keep travelling in search of new goals because life is nothingbut a pleasurous journey.]iii. GiraN baha (costly price) hai to hifz-e-khudi (preservation of self) se hai warnaGohar mein aab-e-gohar ke siwa kuch aur nahi

[A pearl is just a drop of water which has preserved itself in a shell.It is because of this preservation ability that it is so costly or elseit is just a drop of water. It implies that one should guard his khudito become valuable in the sight of others.]Kazai. Teri dua se kaza to badal nahi saktiMagar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye.

[Although you can not change your destiny, you can change yourself.]ii. Teri dua hai ke ho teri aarzoo pooriMeri dua hai teri aarzoo badal jaaye.Musalmaani. Hum mashriq ke musalmaano ka dil maghrib mein jaa atka haiWaha kuntar (glass) sab billori (crystal) hai, yaha ek puraana matka haiii. Is daur mein sab mit jaayenge, haN baaqi woh reh jaayegaJo qaayam apni raah pe hai, aur pakka apni hut (maqsad) ka haiiii. Ay! Sheikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-baseerat (witnessers) kehte haiGardoN (storms) ne kitni bulandi se un qaumo ko de patka hai.

[People have witnessed the doom of great empires, kingdoms and kings. So thosecountries who are off track are bound to face annihilation.]Directed to Allahi. Ghaisoo-e-taabdaar (lustrous hair) ko aur bhi taabdaar (lustrous) karHosh-o-khird shikar kar qalb-o-nazar shikar kar.

[Its implied meaning is that Allah make your signs more & more powerful.Make my mind & heart your captive such that they are used only for your purpose.]ii. Ishq bhi ho hijaab mein husn bhi ho hijaab meinYa tu khud aashkaar (visible) ho ya mujh ko aashkar kar

[My origination is also unseen (unknown) and you are also unseen.Either you make yourself visible or make my purpose of origination clear.]iii. Baag-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyonKaar-e-jahaaN daraz hai ab mera intezaar kar

[Why did you ask me to leave the garden of paradise. Now, I am so busy with theactivities of this world, that I am not willing to come back to you.]iv. Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-amalAap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

[When my book of deeds is bought in the open on the day of judgement, it will bringshame to both you and me.]Bahaarai. Mumkin hai ke tu jisko samajhta hai bahaaraAuroN ki nigaaho mein ho mausam woh khizaaN kaii. Shayad ke zamiN hai woh kisi aur jahaN kiTu jisko samajhta hai falak apne jahaN kaMohabbat ka junooni. Mohabbat ka junoon baki nahi haiMusalmaano mein khoon baki nahi haiii. SafeN kaj, dil pareshan, sajda bezookKe jazba-e-androoN baki nahi haiiii. RagoN mein lahu baki nahi haiWoh dil, woh aawaaz baki nahi haiiv. Namaaz-o-roza-o-qurbaani-o-hajYeh sab baki hai tu baki nahi haiIshq ke imtihaani. Sitaro se aage jahaan aur bhi haiAbhi ishk ke imtihaan aur bhi haiii. Tahi (only yours) zindagi se nahi yeh fizaaeYaha saikdooN kaarvaaN aur bhi haiiii. Kina'at (contentment) na kar aalam-e-rang-o-bu parChaman aur bhi, aashiyaan aur bhi haiiv. Agar kho gaya ek nasheman to kya ghamMakaamat-e-aah-o-fagaaN (weeping and crying) aur bhi haiv. Tu shaheen hai parwaaz hai kaam teraTere saamne aasmaaN aur bhi haivi. Isi roz-o-shab mein ulhaj kar na reh jaaKe tere zamaano-o-makaaN (destinations) aur bhi haivii. Gaye din ki tanha tha mein anjuman meinYaha ab mere razdaan (confidantes) aur bhi haiNukta-e-sulaimani. Hai yaad mujhe nukta-e-sulaiman-e-khush ahangDunya nahi mardaan-e-jafakash ke liye tang

[I still remember the words of Suleman, the (man) with good voicethat "the world is not small for a hardworking person", he can get workanywhere.]ii. Cheetah ka jigar chahiye shaheen ka tajassusJee sakta hai be-roshni daanish-o-farhang

[You need the housla (courage) of a cheetah and good research like thefalcon. (The falcon sees its prey on land far-away from the sky, becauseof its research/finding/study of the land). And if u have these two qualitiesthen you can survive (live) without the light of intelligence and understanding.]iii. Kar bulbul-o-taoos ki takhleed se taubaBulbul fakat awaaz hai, taoos fakat rang

[Do not imitate the bulbul or the peacock. As bulbul has nothing but good voice, and peacock has nothing but good color. Yyour inner self is more important.]Kaafir aur Musalmaani. Pooch us se ke maqbool hai fitrat ki gavaahiTu saahib-e-manzil hai ke bhatka huwa rahiii. Kaafir hai musalmaaN to na shahi na fakiriMomin hai to karta hai fakiri mein bhi shahiiii. Kaafir hai to shamseer (sword) pe karta hai bharosaMomin hai to be-tegh (sword) bhi ladta hai sipaahiiv. Kaafir hai to taab-e-taqdeer musalmaaNMomin hai to woh aap hai taqdeer-e-ilaahiDili. Dil zinda-o-bedaar (alert) agar ho to ba-tadreej (gradually) Bande ko ata karta hai chashme-nigraaN (way to look) aur

[If your heart is alive and alert then gradually Allah gives his bandadifferent ways (perspective) to look at things.]ii. Alfaz-o-maani mein tafawat (difference) nahi lekinMullah (religious person) ki azaaN aur, mujaahid (holy warrior) ki azaaN aur

[The mullah and the mujaahid both utter the same words Allah-O-Akbar,but there is a difference in the forcefulness of each.]iii. Parwaaz hai dono ki isi ek fizaaN meinKarghaz (vulture) ka jahaN aur hai, shaheen (falcon) ka jahaaN aur

[The vulture and the falcon fly in the same sky, but both have differentways of living. A vulture eats carrion while a falcon preys. So which is moremajestic and awesome.]Maikhaanei. Bahut dekhe hai maine mashriq-o-maghrib ke maikhaaneYaha saqi nahi paida, wahaN be-zook (tasteless) hai sehba (wine)

[I have visited numerous wine-houses in the east as well as west.Here I find no saqi and there the wine has no taste.] ii. Na iraN mein rahe baaki, na turaaN mein rahe baakiWoh bande fikr tha jin ka hilaak qaisar-o-kasra

[Neither in Iran nor in Turkey there remains the like of those who couldconquer the two thrones (qaisar-o-kasra)]On Muslimsi. Sar shak(tears)-e-chashm(eyes)-e-muslim mein hai nesaaN ka asar paidaKhalilullah (Moses) ke darya mein hoNga phir gohar (pearl) paida

[Iqbal says, I see the tears in the eyes of muslims which shows thatthey are begining to realise themselves. The magnitude of tears are compared to nesaaN (month of rain).]ii. Agar usmaaniyoo (Turks) par koh-e-gham toota to kya gham haiKe khoon-e-sad hazaar anjum (stars) se hoti hai sehr paida

[Usmaaniyoo are the turks who were very strong at one time. In Urdu it isreferred to as the Daur-e-Usmaaniyaa, in English, the Great Ottoman Empire.Iqbal says, so what if they were defeated. The day breaks only after the deathof a hundred-thousand stars (ie. after the passing away of the night).]iii. Hazaaro saal nargis (a flower) apni benoori (blindness) pe roti haiBadi mushkil se hota hai chaman mein deeda-e-war (intellectual) paida

[Nargis is a name of a white flower, which has the shape of an eye.So, although it has the shape of an eye, it does not have vision, thereforeit is called benoori. But the sheyr, just means that it really takes a longlong time, only after which one deeda-war (intellectual, gehri nazar rakhne-wala,daana) is born.]iv. Noha (sorrow) paida ho, ae! bulbul, ke ho tere tarannum (melody) seKabootar ke tan-e-nazuk (weak body) mein shaheeN ka jigar paida

[Here Iqbal is refering to himself, as a bulbul, and is saying thatIqbal brings so much sorrow in his shairs, that even a weak pigeon getsthe daring of a falcon. (It refers to weak muslims)]Majnu ne shahr choda haii. Majnu ne shahr chhoda hai sahra bhi chhod deNazaare ki hawas ho to Laila bhi chhod deMajnu has renounced the world, let him renounce the wilds tooIf he seeks the vision sublime (God), let him forsake Laila tooii. Waaiz kamaal-e-tarq se milti hai yaaN muraadDuniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod deComplete self surrender, priest, is the price of the goalAbandon too the world to come (Uqba), not this world aloneiii. Taqlid ki rawish se to behtar hai khud kashiRasta bhi dhoondh, Khizr ka sauda bhi chhod deSuicide is better than servile imitation,Go, find your own path, look not for a Khizr[Khizr is a person referred to in the Quran, who was highlyknowledgeable (even more knowledgeable than the prophets who livedduring his times), and who also lived an extraordinarily long life.]iv. Shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chalIs bagh mein qayaam ka sauda bhi chhod deWeep like dew over the flowers then quit the groveGive up the idle dream of a permanent stayv. Saudaagri nahin, yeh ibaadat Khuda ki haiAi be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod deIt's not dealing, but it is worship divineEschew, ye ignorant, even the hope of rewardvi. Achha hai dil ke saath rahe pasbaan-e-aqlLekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod deGood, if reasoning of the mind controls the heartBut let it (heart) have it's own way, once in a whilevii. Jeena woh kya hai jo ho nafas-e-ghair par madaarShohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de'Tis no life that sustains/depends itself on othersGive up dependence on life of earthly fameviii. Waiz sabut laae koi mai ke jawaaz meinIqbal ko yeh zid hai ke peena bhi chhod deShould the priest produce evidence against the wineIqbal too will pledge to give up drinkingNukta-e-tawheedi. BayaaN mein nukta-e-tawheed aa to sakta haiTere dimaag mein but khaana ho to kya kahiye

[You can speak of tawheed (belief in the unity of God), but what to sayabout the shirk (setting up partners in worship with God) that you have at the back of ur mind.]ii. Makam-e-fakr (darwaish) hai kitna buland shaheen (royalness) seRavish (attitude) kisi ki gadaayana (katoora) ho to kya kahiye

[The position of a fakir, darwaish is higher than that of a king. But, what to say about a fakir who has taken up the attitude of asking for money.]Parinde ki faryaadi. Aata hai yaad mujhko guzraa huwa zamaana Woh baag ki bahaare woh sab ka chechahanaii. Azaadiyaa kaha woh ab apne ghosle kiApni khushi se aana, apni khusi se jaanaiii. Lagti hao chot dil par, aata hai yaad jis damShabnam ke aasuoo par kaliyoo ka muskuraanaiv. Woh pyaari pyaari surat, woh kaamini si murat Aabad jis ke dam se tha mera aashiyaanav. Aati nahi sadaayee us ki mere kafas (cage) meinHoti meri rihaahi ay kaash mere bas meinvi. Kya bad-naseeb hoo mein ghar ko taras raha hoonSaathi to hai watan mein, mein kaid mein pada hoonvii. Aayi bahaar, kaliya phoolo ki has rahi haiMein is andhere ghar mein kismat ko ro raha hoonviii. Is kaid ka ilaahi, dukhda kise sunaooDar hai yahee kafas mein, mein gham se mar na jaoooix. Jab se chaman choota hai yeh haal ho gaya haiDil gham ko kha raha hai, gham dil ko kha raha haix. Gaana ise samajh kar khush ho na sunnewale Dukhe huwee diloo ki faryaad, yeh sada haixi. Azaad mujh ko kar de oh qaid karne wale Mein bezoobaa hoon qaidi, mujhe chod kar dua le Saaqii. Nasha pila ke giraana to sab ko aata haiMaza to jab hai ke girto ko thaam le saaqiii. Kahi khaali pyaale hai kahi saaGhar (wine) labaalab haiYeh kya daur hai saaqi, yeh kyaa taqseem (distribution) hai saaqiAzaad bandei. Tere azaad bandon ki na yeh duniya na woh duniyaYaha marne ki paabandi vahaan jeene ki paabandiKharadmandoNi. KharadmandoN (intellectuals) se kya poocho ke mera ibtada (beginning) kya haiKe mein is fiqr mein rehtaa hooN mera intehaa (end) kya haiii. Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehleKhuda bande se khud pooche, bataa teri razaa kya haiNa tu zameeN ke liyei. Na tu zameeN ke liye hai na aasmaaN ke liyeJahaan hai tere liye tu nahi jahaaN ke liyeii. Nishaane raah dikhaate the jo sitaaroN koTaras gaye hai kisi mard-e-raahdaaN ke liyeNashemani. Nasheman par nasheman is qadar taamir karta jaaKe bijli girte girte aap khud bezaar ho jaayeMohammed se vafai. Ki Mohammed se vafa tune to hum tere haiYeh jahaaN cheez hai kya loh-o-qalam tere haiHaqeeqat se khabardari. Tu agar apni haqeeqat se khabardaar raheNa siyaah roz rahe phir na siyaahkaar raheii. Gaafil na ho khudi se kar apni paasbaaniShayad kisi haram ka tu bhi hai aashiyaanai. Dil sauz se khaali hai nigaah paak nahi haiPhir isme ajab kya ke tu bebaak nahi haiKhudaa kaa Farmaan

uTTho merii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa doKhaak-e-umaraa ke dar-o-diivaar hilaa do[Khaak-e-umaraa = palace of rich people]garmaao Gulaamo.n kaa lahuu soz-e-yaqii.n sekunjishk-e-phiromaayaa ko shaahii.n se la.Daa do[soz-e-yaqii.n = warmth (passion) of belief/faith][kunjishk-e-phiromaayaa = ; shaahii.n = falcon]sultaanii-e-jamahuur kaa aataa hai zamaanaa jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye miTaa do[sultaanii-e-jamahuur = rule of the people][naqsh-e-kuhan = old structures (ways/traditions)]jis khet se dahaqaa.N ko mayassar nahii.n roziius Khet ke har Khoshaa-e-gundam ko jalaa do[dahaqaa.N = farmer; mayassar = available/get][Khoshaa-e-gundam = ear of wheat]kyo.n Khaaliq-o-maKhaluuq me.n haayal rahe.n pardepiiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se haTaa do[Khaaliq = creator; maKhaluuq = creation][piiraan-e-kaliisaa = church officials]mai.n naaKhush-o-bezaar huu.N mar_mar ke silo.n semere liye miTTii kaa haram aur banaa do[mar_mar = marble]tahaziib-e-navii.n kaar_gah-e-shiishaagaraa.N haiaadaab-e-junuu.N shaayar-e-mashriq ko sikhaa do[tahaziib-e-navii.b = new culture; kaar_gah-e-shiishaagaraa.N = factory of glass makers][shayaar-e-mashriq = poets of the East]Lab pe aatii hai duaa banake tamannaa meriilab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii duur duniyaa kaa mere dam se a.Ndheraa ho jaaye har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye ho mere dam se yuu.N hii mere vatan kii ziinat jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat zindagii ho merii paravaane kii surat yaa rab ilm kii shammaa se ho mujh ko muhabbat yaa rab ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa dard_mando.n se za_iifo.n se muhabbat karanaa mere allaah buraa_ii se bachaanaa mujh ko nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujh ko [ziinat = decoration/enhancing the beauty of; ilm = knowledge][himaayat = sympathize; za_iif = old/infirm/weak]