shashca 31st edition

8
By Bistee Proof Iss saal kay shoro sy he Pakistan tareekh kay aik nazooq door sy guzar raha hai iss saal kay pehly 48 days main hee synkron ahl e tashee apni janoon ki bazi khoo bythy hain. Aur abi jo 18th feb ko Kirani blast hova tha us main death rate almost 85 hogaya hai aur bus phir Shia community bhi aab sarkon pay nikal aai hai. Pory Pakistan main ahl e tashee bhai loog sarkon pay nikal aey hain aur AHO… issi wjha sy thora judici- ary aur government ki ankhen kholi hain. Chief Justice nay suo motu notice ly liea hai aur attorney general ko court main hazri dyny kay lieay bola liya hai. Hazara community k dhair o dhair mushkilon ko mokany k lieay pory Pakistan main dharny diye ja rahay hain. Aur janab Quetta mai tau yeah demand samny aai hai kay wo log tub taak apny hazara bhaion ko dafnaen gay nai jub taak kay yeah matter Army kay havaly ni kiya jata ;) Dukaneen shukany bund kr k, even bachoon kay school bhi bundd kr dieay kuch :O trains aur flights delay hoeen strikes ki wajha say takAy Army operation ho Quetta main aur jihadi type tunzemain khatam hoon. Yahan taak kay Punjab, Azad Jammu and Kashmir aur Gilgit main aik din ka soog b mnaya gaya. PM aur President nay bhi shokar hai notice lay hi lia hai . Janab inhoon nay call kharkai hai apny Balochistan kay Governer Zulfiqar Magsi ko, aur inheen order dieay hain kay wo yeah extremists ka qisa mukaeen Balochistan say. President ny bola hai kay janab wo aik operation launch karenbyshaq Army ki madad sy Karen. PM nay aik committee bana di hai five members ki jo kay victims ki families say mulaqat karain geen aur security wagera kay eqdamat checkain geen aur phir iski report dyen gay. Aur PM ny tau intelligence agencies say bhi report mangi hai kay ye 1000 kg explosives sy bhara tanker shehar main ghusa kaise... News Source: Pakistan Today Picture Source: hrw.org Shashca Rows 6 Oscars 2013 3 News 1 Shashca Reports 4 Team Shashca 8 Issue ke andar editor @ shashca . com Kuch khaas news Pakistan ka Indian spy giriftar :O (Page 2) Lahore Literary Festival (Page 5) Movie Review (Page 4) Ye hay C@SE :D (Page 5) Captain Khan ke ilzam pe ilzam pe ilzam (Page 2) Sectarian bombing mei Pakistanion ki barhti ta- daad (Page 2) Oscar 2013 (Page 3) Shia Killings (Page 1) Issue # 32 Pages: 8 Price: aik smile Gawadar port ki zimidari ab china ko mill gae :D Shia Killings... By Mariam Latif PPP ke member Sharjeel Memon ne PML-N pe Quetta mein huay blasts ke terrorist ko support krnay ka sangeen ilzam lga chadya! :O Media se baat krtay huay Memon sahab ne kaha ke PML- N ka mazi mein bhi banned reli- gious organizations aur extremist groups ke sath alliance raha hai aur ye “don’t attack Punjab we understand your ideology” jaisi statements detay rahe hein! Memon sahab ne Punjab ke shareef-un-naafs law minister Rana Sanaullah pe bhi ilzam la- gaya ke wo Punjab mein khai- toon ki jaga terrorists ko par- waan charha rahe hein aur un ko shelter provide kr rahe hein!! Unhon ne kaha k in par- waan charhtay terrorists mein Lashkare-e-Jhangvi ke terrorist bhi shamil hain, jinhon ne khud zimmadari qabool ki hai Quetta mein huay recent attacks ki jin mein 89 log (mostly hazara Shias) shaheed huay thay! Beech mein Memon sahab patri se utar ke Shikarpur mein Ghazi Ghulam Shah Muri ke mizar pe huay bomb blast jin mein 2 log Shaheed aur 12 zakhmi huy thay, us ke bakhiye udhernay beth gaye ! unhon ne bola k provincial government androon Sindh k citizens ko protect krne ki koshish kr rahi thi par terrorist ne apnay puranay hathkanday iste- mal krty huay controlled bombs use kiye jin ko detect aur diffuse krna mushkil hota hai! Kher wapis PML-N ke topic pe atay huay unhon ne kaha ke law and order ki situation tabhi sahi ho gi jab PML-N terrorist ki madad krna choray gi! Un ka kehna tha ke unhon ne banned organization ke kuch logoon ko pakra hai, un mein se aik ne iqrar kiya hai k abhi tk us ne 100 logoon ko mara hai aur is kam ko continue krny ka irada bhi zahir kiya hai!! :O >.< Memon sahab ko jawab dety huay senetor Pervez Rashid ne kaha ke Shahbaz shareef ne kabhi bhi kisi suspect ko maaf nahi kiya aur wo Punjab govern- ment he tou hai jis ne Quetta blasts ke terrorist ko pakra!! Sharjeel Memon in pris- oners ko lija sakty hein! Aur un ne Memon sahab ko ye bhi bola ke government ko PML- N ke na karda karnamy yad rehty hein par ye un logoon ko kab puchay gi jo crimnal suspects ki mulk se bhagnay mein help kr rahe thay! Picture Source: www.thenews.com.pk By Lukman Kakar Khabar ye hai kay monday February 18th ko Pakistan ne apne strategic deep-sea gawadar port, jo kay balochistan mein Arabian Sea ki side pai mojood hai, ka contract of operation "China Overseas Ports Holding Company Limited" kay sath sign kar dia. Pakistani cabi- net ne January 30th ko gawadar transfer ko approve kiya, from Port of Singapore Author- ity (PSA) internatonal to the state-owned China company. Abhi tak wazeh nahi hai kay kab tak gawadar port ko actually handover kiya jaye ga. Is contract signing ko local tele- vision pe live broadcast kiya gaya. The Pakistanis pitched the deal as offering an energy and trade corridor jo kay china ko Arabian Sea and Strait of Hormuz sai connect karega, jo dunya kay traded oil ka one-third (1/3) kay liye aik gateway hoga, overland through an expanded Karakoram Highway. Experts ka kehna hai kay Gawadar China kay Africa aur Midle-East sai import ki gai oil and gas kay long travel routes se thousands of kilometres ka distance cut krega. “Gwadar port will enhance trade and commerce not only between Pakistan and China but also in the region,” said Zardari aur announce kiya: “The award of this contract opens new op- portunities for our people. It gives new impe- tus to Pakistan-China relations”. Building of infrastructure around the port will also pro- mote economic activity in Gwadar and Balu- chistan. Febuay 6th ko Indian defense minister A.K Antony nai kaha kay Delhi, Pakistan kay is decision pai bohat concerned hai, as China has interests in a string of other ports encir- cling India. Pakistani foreign ministry spokes- man Moazzam Ahmad Khan nai is statement ko thukra diya telling reporters: “This is not something that any other country should have any reason to be concerned about.” Gwadar is the most westerly in a string of Chinese-funded ports in Nepal, Sri Lanka, Myanmar and potentially Bangladesh that encircle its big rival, India. Kuch analysts k mutaabiq Pakistan ko China kay takeover sai benefit hone mein shayad kuch arsa lag jayega, aur is baat pai bhi zoor dala kay the connecting roads and an ex- panded Karakoram Highway ko abhi bhi complete karna baqi hai. unho nai ye bhi kaha kay pakistan k security halaat China ko large investments karne mein cautious rakhta hai. 2004 mein 3 chinese engineers ko car bombing mei mara gaya aur 2 engineers ko kidnapp kiya gaya jisme se 1 ki death hogae thi. Picture Source: dawn.com PML-N pe terrorist ko protect krnay ka ilzam! :O

Upload: ali-suleman

Post on 26-Mar-2016

313 views

Category:

Documents


6 download

DESCRIPTION

Ye raha Shashca ka 31st issue :D

TRANSCRIPT

Page 1: Shashca 31st Edition

By Bistee Proof

Iss saal kay shoro sy he Pakistan tareekh kay aik

nazooq door sy guzar raha hai iss saal kay

pehly 48 days main hee synkron ahl e tashee

apni janoon ki bazi khoo bythy hain. Aur abi jo

18th feb ko Kirani blast hova tha us main death

rate almost 85 hogaya hai aur bus phir Shia

community bhi aab sarkon pay nikal aai hai. Pory

Pakistan main ahl e tashee bhai loog sarkon pay

nikal aey hain aur AHO… issi wjha sy thora judici-

ary aur government ki ankhen kholi hain.

Chief Justice nay suo motu notice ly liea hai aur

attorney general ko court main hazri dyny kay

lieay bola liya hai. Hazara community k dhair o

dhair mushkilon ko mokany k lieay pory Pakistan

main dharny diye ja rahay hain. Aur janab Quetta

mai tau yeah demand samny aai hai kay wo log

tub taak apny hazara bhaion ko dafnaen gay nai

jub taak kay yeah matter Army kay havaly ni kiya

jata ;)

Dukaneen shukany bund kr k, even bachoon kay

school bhi bundd kr dieay kuch :O trains aur

flights delay hoeen strikes ki wajha say takAy

Army operation ho Quetta main aur jihadi type

tunzemain khatam hoon. Yahan taak kay Punjab,

Azad Jammu and Kashmir aur Gilgit main aik din

ka soog b mnaya gaya.

PM aur President nay bhi shokar hai notice lay hi

lia hai . Janab inhoon nay call kharkai hai apny

Balochistan kay Governer Zulfiqar Magsi ko, aur

inheen order dieay hain kay wo yeah extremists

ka qisa mukaeen Balochistan say. President ny

bola hai kay janab wo aik operation launch

karenbyshaq Army ki madad sy Karen.

PM nay aik committee bana di hai five members

ki jo kay victims ki families say mulaqat karain

geen aur security wagera kay eqdamat checkain

geen aur phir iski report dyen gay. Aur PM ny

tau intelligence agencies say bhi report mangi

hai kay ye 1000 kg explosives sy bhara tanker

shehar main ghusa kaise...

News Source: Pakistan Today

Picture Source: hrw.org

Shashca Rows 6

Oscars 2013 3

News 1

Shashca Reports 4

Team Shashca 8

Issue ke andar

editor @ shashca . com

Kuch khaas news

Pakistan ka Indian spy

giriftar :O

(Page 2)

Lahore Literary Festival

(Page 5)

Movie Review

(Page 4)

Ye hay C@SE :D

(Page 5)

Captain Khan ke ilzam pe

ilzam pe ilzam

(Page 2)

Sectarian bombing mei

Pakistanion ki barhti ta-

daad

(Page 2)

Oscar 2013

(Page 3)

Shia Killings

(Page 1)

Issue # 32 Pages: 8

Price: aik smile

Gawadar port ki

zimidari ab china ko

mill gae :D

Shia Killings...

By Mariam Latif

PPP ke member Sharjeel Memon

ne PML-N pe Quetta mein huay

blasts ke terrorist ko support

krnay ka sangeen ilzam lga

chadya! :O

Media se baat krtay huay

Memon sahab ne kaha ke PML-

N ka mazi mein bhi banned reli-

gious organizations aur extremist

groups ke sath alliance raha hai

aur ye “don’t attack Punjab we

understand your ideology” jaisi

statements detay rahe hein!

Memon sahab ne Punjab ke

shareef-un-naafs law minister

Rana Sanaullah pe bhi ilzam la-

gaya ke wo Punjab mein khai-

toon ki jaga terrorists ko par-

waan charha rahe hein aur un ko

shelter provide kr rahe

hein!! Unhon ne kaha k in par-

waan charhtay terrorists mein

Lashkare-e-Jhangvi ke terrorist

bhi shamil hain, jinhon ne khud

zimmadari qabool ki hai Quetta

mein huay recent attacks ki jin

mein 89 log (mostly hazara

Shias) shaheed huay thay!

Beech mein Memon sahab patri

se utar ke Shikarpur mein Ghazi

Ghulam Shah Muri ke mizar pe

huay bomb blast jin mein 2 log

Shaheed aur 12 zakhmi huy thay,

us ke bakhiye udhernay beth

gaye ! unhon ne bola k provincial

government androon Sindh k

citizens ko protect krne ki

koshish kr rahi thi par terrorist ne

apnay puranay hathkanday iste-

mal krty huay controlled bombs

use kiye jin ko detect aur diffuse

krna mushkil hota hai!

Kher wapis PML-N ke topic pe

atay huay unhon ne kaha ke law

and order ki situation tabhi sahi

ho gi jab PML-N terrorist ki

madad krna choray gi!

Un ka kehna tha ke unhon ne

banned organization ke kuch

logoon ko pakra hai, un mein se

aik ne iqrar kiya hai k abhi tk us

ne 100 logoon ko mara hai aur is

kam ko continue krny ka irada

bhi zahir kiya hai!! :O >.<

Memon sahab ko jawab dety

huay senetor Pervez Rashid ne

kaha ke Shahbaz shareef ne

kabhi bhi kisi suspect ko maaf

nahi kiya aur wo Punjab govern-

ment he tou hai jis ne Quetta

blasts ke terror is t ko

pakra!! Sharjeel Memon in pris-

oners ko lija sakty hein!

Aur un ne Memon sahab ko ye

bhi bola ke government ko PML-

N ke na karda karnamy yad rehty

hein par ye un logoon ko kab

puchay gi jo crimnal suspects ki

mulk se bhagnay mein help kr

rahe thay!

Picture Source:

www.thenews.com.pk

By Lukman Kakar

Khabar ye hai kay monday February 18th ko

Pakistan ne apne strategic deep-sea gawadar

port, jo kay balochistan mein Arabian Sea ki

side pai mojood hai, ka contract of operation

"China Overseas Ports Holding Company

Limited" kay sath sign kar dia. Pakistani cabi-

net ne January 30th ko gawadar transfer ko

approve kiya, from Port of Singapore Author-

ity (PSA) internatonal to the state-owned

China company. Abhi tak wazeh nahi hai kay

kab tak gawadar port ko actually handover

kiya jaye ga. Is contract signing ko local tele-

vision pe live broadcast kiya gaya.

The Pakistanis pitched the deal as offering an

energy and trade corridor jo kay china ko

Arabian Sea and Strait of Hormuz sai connect

karega, jo dunya kay traded oil ka one-third

(1/3) kay liye aik gateway hoga, overland

through an expanded Karakoram Highway.

Experts ka kehna hai kay Gawadar China kay

Africa aur Midle-East sai import ki gai oil and

gas kay long travel routes se thousands of

kilometres ka distance cut krega. “Gwadar

port will enhance trade and commerce not

only between Pakistan and China but also in

the region,” said Zardari aur announce kiya:

“The award of this contract opens new op-

portunities for our people. It gives new impe-

tus to Pakistan-China relations”. Building of

infrastructure around the port will also pro-

mote economic activity in Gwadar and Balu-

chistan.

Febuay 6th ko Indian defense minister A.K

Antony nai kaha kay Delhi, Pakistan kay is

decision pai bohat concerned hai, as China

has interests in a string of other ports encir-

cling India. Pakistani foreign ministry spokes-

man Moazzam Ahmad Khan nai is statement

ko thukra diya telling reporters: “This is not

something that any other country should

have any reason to be concerned

about.” Gwadar is the most westerly in a

string of Chinese-funded ports in Nepal, Sri

Lanka, Myanmar and potentially Bangladesh

that encircle its big rival, India.

Kuch analysts k mutaabiq Pakistan ko China

kay takeover sai benefit hone mein shayad

kuch arsa lag jayega, aur is baat pai bhi zoor

dala kay the connecting roads and an ex-

panded Karakoram Highway ko abhi bhi

complete karna baqi hai. unho nai ye bhi

kaha kay pakistan k security halaat China ko

large investments karne mein cautious rakhta

hai. 2004 mein 3 chinese engineers ko car

bombing mei mara gaya aur 2 engineers ko

kidnapp kiya gaya jisme se 1 ki death hogae

thi.

Picture Source: dawn.com

PML-N pe terrorist ko

protect krnay ka ilzam! :O

Page 2: Shashca 31st Edition

[email protected]

By Bistee Proof

Apny Imran bhai ny aik aur elzam dhaar diya hai

Nawaz brathran pay. Wo kehty hain kay yeah

loog Punjab Police ki help sy PTI kay polling sta-

tions band karaey -_- aur tau aur unhoon ny

yeah b keh dala kay PML(N) ko PTI sy daar lgta

hai kiun kay yeah democracy ko promote krti

hai :D but yeah baat clear ki kay bychari Punjab

Police ka kiya kasoor wo tau bychary hukam kay

gulam hain.

Aur pta hai Imran Khan ny aik aur baat boli kay

hosaka tau wo direct Election Commison ko ap-

proach Karain gay, aur beta ji unhon ny bola kay

even Supreme Court taak b pohanch jaen gay :O

yeah b bola kay apni position maintain rakhny

kay lieay parties terrorists aur corrupt leaders kay

sath samjhota express type scene kar rahen

hain ;)

Aab na iss sub kay jawab main Ahsan Iqbal PML

(N)’s leader) ny apny facebook page pay kaha

hai kay Khan sahib ny yeah baat tau btai he nai

kay Police ny yeah sub Court kay orders pay kiya

kiun kay PTI kay members Dhandian karty phir ry

thy :P unhoon ny further yeah b bola kay PTI ko

join krny waly loog yeah jaan jaen kay Imran

Khan ko sirf PML(N) kay votes divide krny kay

lieay sponser kiya hai.

Pata Sheikhupura aur Gujranwala main polling

main danga fasad paar gaya… boss fit kisam ka

dangal hova :D aur Lahore main b suspend

hogaey elections. Multan main b esa he hova :O

Khair best of luck Mr. Captain Khan :D

New Source: Tribune

Picture Source: Tribune

By Mariam Latif

Indian police ne haal he mein khatam hui Indian war

games ke silsilay mein aik Indian ko Islamabad ke liye

spy krny ke ilzam mein arrest kr liya! :O

Senior state police officer DS Dinkar ne AFP ko btaya ke

is paintees sala admi ko Indian Air Force ki exercise jo ke

Rajasthan ke Western dessert state mein ho rae thi us ki

details Pakistan ko puhanchanay ke ilzam mein giriftarr

kia gaya hai!

Dinkar g ke mutabik ye bnda aik Indain national Sumaar

Khan hai jis pe Pakistan ki inter services intelligence ke

liye spy krny ka ilzam hai!

Un ka kehna tha ke ye bnda Indian defence installations

aur military activities ki maloomat Pakistan ko puhancha

raha tha!!

Police ne is banday pe ilzam lagaya k wo mobile phone

aur internet ke zariye idhar ki info udhar kar raha tha but

arrest ke bad in tamam kamoon ko deny kr ra hai!

NDTV ki report ke mutabik in sahab ki Pakistan ki janay

wali calls ki interception ke bad ye Sunday ko Pokhran

mein apnay ghar se arrest huay!

Report mein mazeed ye bataya gaya ke Sumaar khan

aksar Pakistan jaya krta tha aur is pe ilzam hai ke is ne

Indian defence structure se related kuch documents

Pakistan k hawaly kiye hein!

Picture Source: dawn.com

Pakistan ka Indian spy giriftar :O

Sectarian bombings mai

Pakistanio ki barhti taadad

Captain khan

kay Elzam py

elzam py elzam

By Nida Jamshed

Mulk kay leaders ne sectarian bombings kay liye bht kam steps liay

hai aur ye b keh skte hai kay na hone ay barabar. Saturday ko Lash-

kar-e-jhangvi aik ruthless sectarian group samney aya hai jinhon ne

ye beyan dia hai kay wo Quetta bombings mai shamil they aur is

cheez ne shias k doubts ko aur barha dia hai aur is se ye cheez bhi

sabit hui hai k leaders aur agencies extremists ko support kr rhe

hai.Nawab zulfiqar ali maqsi jo k Balochistan ke governor hai ne

kaha hai k Quetta mai bombins intelligence agencies ka failure

hai.Ethnic Hazara Shia community k leaders ne ye demand kia hai

ke government ko koi decisive action lena chahiye. Aziz hazara jo

ke vice president hai Hazara democratic party ne kaha hai ke

“government responsible hai hazara mai hone walay terrorists at-

tacks aur killings ki because government ne inke khilaf koi action

nahi lia.Aur sath ye bhi kaha ke hum government ko 48 hours de

rhe hai culprits ko pakarne k liye aur agar aisa na kia gaya tou hum

protests start kar de gey. Quetta ki bombings mai bht se hazar logo

ki death hui hai aur unki families ne protest bhi kiya tha.

Muhammad Imran jo ke aik local trader hai unhon ne kaha hai k

government ko sb maloom hai kay ye sb kch kon krwa rha

hai.Islamabad mai 400 logo ne protest kia k extremism ko khtam

kia jaye. Syed abbas naqvi jo k aik shia hai unhon ne kaha hai ke

“Yahan par jungle wala law hai balke jungle wala law b nahi hai”.

Protests Karachi aur Quetta aur dosre bare cities mai b held kiye

gaye hai.Public anger poverty aur corruption k issues ki waja se bht

barh gya hai aur ab sectarian killings ki waja se peak pe pohch gaya

hai.Critics ka kehna ye hai ke Pakistani intellligence agencies ne

pehle Lej ka sath dia Indian forces ke khilaf fight mai aur ab wo inke

control mai nahi rae.Syed Nair ali jo k aik government employee hai

ka kehna hai k wo apne loved ones ki dead bodies utha k thak gaye

hai in blasts mai unke teen family members ki death ho chuki hai.

In Shia bombings k baad shia leaders ne demand kia hai k Pakistani

government Quetta mai security provide kre. Aik sunni student ka

kehna ye hai k agr hum sunni aur shia unite nahi hoge tou phr yehi

killings hothe gi.Pakistani intelligence officials ka kehna ye hai k ye

Lej groups nation ko destabilise krna chahtey hai.Aur last year in

sectarian bombings ki waja se 400 kill huay.

News Source: Tribune

Picture Source: Tribune

Page 3: Shashca 31st Edition

[email protected]

By Faizan Ahmed

Ladies & gentlemen, you are requested to settle down as

our guest of evening, Our very known First lady will be ar-

riving here any moment”. First lady? Did he just say first

lady? Michelle Obama? Oh seriousily? here she comes…

For the first time in last 10 years, did Oscars witnessed a

record online viewership of over 42.40 million, live from

Dolby digitial theatre of hollywood, california and presence

of first lady there was indeed a surprise for many.

G g mein smjh gya hon, its not an english paper, mein bus

urdu mein he start karing :p

So mein apko bata raha tha 85th annual Academy awards

aka Oscars ka, and is se pehle ke mein apko winners ka

overview dene ki gustakhi karon, pehle zara aik preview na

ho jaye?

Well nominations se lets start, Lincolin jisko critiques best

film k liye kafi xiada rate kr rahe thy ko total of 12 nomina-

tions mili, with babbar sheir & indian cast wali Life of pi

were second on list with 11 nominations, Les Miserables &

Silver Linings Playbook thein 3rd number pe with total of 8

nominations each, jabke Argo were fourth with 7.

Coming back to winners, well sachi btaon tou it was quite

ammusing for me that Argo got Best Picture of the Year

award, bkux luckily the night before oscar i saw Argo and

my best comment was, “Its an OK movie”, but jab masla ho

Iran ka or baat ho rahi ho America mein & best film ka

award deny stage pe hon “Michelle Obama”, bs fir agey

aap khud smajhdor hain :p

Lincolin jo ke best film ke liye more than favorite thi, ke

Daniel Day Lewis ko best actor ka award mila, and for the

first time in history of the Academy Awards, an actor has

won three straight Best Actor awards (1989, 2007, and

2012). Ub mosoof ki shaan mein is ke baad kuch na e bolon

tou acha hoga mere liye :p

Jessica Chastain (Zero Dark Thirty) ko tou Oscar k liye

nominate hotey sath e media ne Oscar winner bol dia tha,

bkux of her rise in recent times but haye ri qismat Jennifer

Lawrence from Silver Linings Playbook, jinki even nomina-

tion pe critiques “heran o pareshan” they ko 1000 volt ka

jhatka mila, jap best actress ka award 22 saala Jennifer ko

dia gya, congratz Jennifer :D

Django Unchained, with silent D & themed on Sultan raai

any film (as per a friend), mein or kuch tha ya ni but with-

out a hair breadth doubt Christoph Waltz, Caprio & Jamie

foxx ki acting was truly a treat to watch. And fairly on his

astounded performance, Waltz ko mila Best Actor in a Sup-

porting Role award.

The girl with the cutest of smile (any guess? No not her),

Anne Hathaway ko mila bahio n behno Best Actress in a

Supporting Role ka award, for her magnificient acting in

Les Miserables.

Award Ceromony without Adele reaching on Stage these

days, is like next to impossible fellas. Agey aap smajh to

gaye hon ge, No? Acha btata, Skyfall ke theme Song Skyfall

by Adele ko mila Best Original Song ka award.

Other famous categories mein award miley as in: Best Ani-

mated Film (Brave), Best Direction (Life of Pi-Ang Lee), Best

Documentary feature (Searching for Sugar Man), Best For-

eign Language Film (Amour-Austria) & Best Production

(Lincolin).

All in all, Life of pi ne Oscar mela loot lia with a total of 4

wins, while Argo & Les Miserables both ko miley 3 Oscars ,

jabke Skyfall & Django unchained ko miley 2,2 awars.

For list & complete details of Awards, aap can visit: http://

oscar.go.com/nominees

Bye then.

Picure Source: www.vanityfair.com

Oscars 2013

Page 4: Shashca 31st Edition

[email protected]

By Abdullah Khilji

Kehtay hain ke February mohabbat karnay waloon ka maheena hota hai, aur is

mahinay main log apni muhabbat aur chahatoon ka izhaar kartay hain. Magar

zara aik minute! Yeh Lahore hai mere dostoon, aur yahan pa dunya ke baaqi

sab rules se balaatar sirf apnay lahorion ki baadshahi hai. Aur yahan mohab-

batain bhi apni apni marzi ki hoti hain. Chahay wo khadim-e-aala ki metro bus

service ho jis ka najaiz faida utha ke 30 din ki free service ko 7 din tk hi free kia

ja saky yaar al-mashoor food street.

lekin hamara topic to ilm aur adabb ki muhabbat hay jiska “Lahore Literary

Festival 2013” ma khoob dil khol ke muzahira kia gaya. Aur ilm-o-adab se mo-

habbat aur uski smjh rakhny waloon nay isay “Gulistan-e-adab” ka status dia. 2

din tak sajay rehnay walay is festival main rivayati addab se le kar taleemi,

samaaji, siyaasi aur is ke ilawa saqaafti (cultural) framework main nikhaar

laanay ki tamam salahiyatain mojood thin.

Alhamra Art Center Lahore main 2 din tak jari rehny wala is festival, main Paki-

stan ke ilawa dunya bhar ke bohat se writers, poets aur ilm ke piyaasoon ny

shirkat ki. Is festival main shareek poets, daanishwaroon, aur writers k liye

bohat se alag alag sessions ka ehtamaam kia gaya tha jisay wahan pa mojood

logon ny bohat enjoy kia. Satire (tanz-o-mazaah) ke session main jahan logon

ke chehray pa hansi aur muskurahatain thin toh “Is Pakistan a modern coun-

try” theme walay sessions main bohat hi sanjeeda aur devdas type ka mahool

hogya lekin itni snjeedgi ke bawajood logon ka focus kaheen aur divert nahi

hua.

Is session main Ayesha Jalal aur Tariq Ali ke views nay wahan mojood crowd ke

zehan main bohat se sawaalat uthaaye.

Ayesha Jalal ka kehna tha ke “Pakistani riyasat ka aik bohat bara masla yeh hai

ke wo khud ko aik modern state smjhthi ha, jo ke hai nhi. Isay religiously aik

neutral state rehna chaiey, aur yahan ke intellectuals ko mazhab ke upar baat

karni chaiey lekin yahan mazhab ke upar baat hi mazhab ko nuqsaan po-

hanchany waly kar rahy hain aur educated log is issue main koi interest hi nahi

rakhtay.”

Is festival ki aik khaas baat yeh bhi thi ke is main shaayir-e-mashriq Sir Allama

Iqbal aur Pakistan ke azeem tareen poet Faiz Ahmed Faiz ki shayiri aur un ke

vision se related sessions ka bhi ehtamaam kia gaya tha. Allama Iqbal ki

shuhrat sub-continent tak limited nahi balkay western world aur bohat si

doosri muslim countries ke intellectuals, writers aur critics ka focus Iqbaal hi

thay aur unhun ny Allama Iqbal ke political vision aur spiritual revival ki hima-

yat ki. Aur Raza Romi aur Mahmood Jamaal nay faiz ki shaayri ki jis tarah ak-

kasi ki us ny bhi haazreen ke dil moh liye.

Writer Linda Bird Frackle nay Benazir Bhutto Shaheed ka saath guzaarey huy

apnay 10 saal ke experience pa aik book likhi thi jisay us book ma share kia. Is

kitaab main unhun ny Mohtarma shaheed ke nazarye ke mutabiq male domi-

nated society ke baary main bhi bohat kuch likha aur mohtarma ke un ki fam-

ily aur un ke bhaiyoon ke saath jo talluqaat thy us ki khobsorat akkasi ki. In

short ye k is book main Bhutto aur un ki family ki spiritual values aur un factors

ki detail hy jo unki personality ko effective banati hay.

2 din tak jari rehnay walay is festival ko Lahore aur Punjab ke rehnay waloon

ny bht appreciate kia. Aur in 2 dinon main honay wali baarish bhi lahoriyoon

ka is festival main participate karnay se na rok saki. Aur logon ny dil khol key is

festival mai participate kia. Aur wahan mojoood literature, novel aur poetries

collection logun ko attract karta raha.

Yeh festival Pakistan ke soft image ko represent karta raha. Aur baahir se is

festival main shareek honay walay Pakistan aur specially Lahore se bohat im-

press huy. Aur Lahore ki pre-historic aur cultural values ko appreciate kartay

rahay.

News Source: Dawn

Picture Source: Dawn

Shashca Reports Lahore Literary Festival

Page 5: Shashca 31st Edition

[email protected]

Ye hay C@SE :D By Hina Yasin

Lo janab…Skill Building Workshop to mukk bhi gayi itne

akheer tareeke se ke kya bataon :D kya hoa wahan?? Are

bhai ro matt bata rahi hun. SBW me mulk ke different col-

leges se aai hoi teams ne kiya participate :) or ye event tha

specially FSC and A level ke students ke liye. Ab Scene ye

tha ke ye SBW tha ek 2 Day Event.

Day 1 pe introduction ke bad Chaudry Fazal-e-Muqeem sir

ne apni supervision me tamam teams ko unke topics allo-

cate kiye ^_ ̂ and then ham sab chale gaye rim jhim

barish me tea break enjoy kerne :D to tea break se farigh

ho ke her team ko unke mentors allocate kiye gaye…n

they helped the teams in making their presentations; men-

tors ne unhain guide kiya and unke topics pe presenta-

tions banana me unhain supervise kiya ^_ ̂

Presentations se pehle lunch serve kiya gaya ta’k tamam

students khaa pi k eek dam fresh ho jain ^_^ Given time

khatam hone ke bad tamam teams ko apne topics ko pre-

sent kerna tha stage pe :) and vo bhi sirf char minutes ke

under :O sab teams ne aala qisam ki presentations din and

apne talent, confidence or aptitude ka muzahira kiya :)

cheete lage hoye they sare bacche ;) ahmm…khair judges

ne sab ki presentations ko unke contents or way of pres-

entation ke accordingly evaluate kiya.

Day 2 pe tamam teams ko Case Study di gai on the topic

“Jinnah Of Pakistan” pe :) case study discussions hoin and

judges ne sab teams ki presentations ko mark kiya :) then

we headed off to lunch :D and lunch ke bad start hoi

award ceremony.

Event ke Chief Guest Mr. Wahaj us Siraj (CEO-Nayatel) ne

participants ko daad di and he gave them his kind word s

of advice :) Then came the moment jis ka sab ko be sabri

se intezer tha…result announcement :D

Third Prize jeeta Fuaji Foundation College for Boys Lalazar

Rawalpindi ki team ne, and they won Rs 15,000/- Second

prize le ke gayi City School ki team, wining Rs 25,000/-

And behold…first prize jeeta Army Public School and Col-

lege Humayun Road Rawalpindi ki team ne…taliaan ^_ ̂

and they were awarded with shields and Rs. 35,000/- O_O

are wahh, mubarkhaan :D

Then sab students ko participation pe certificates diye

gaye. Shashca ko bhi mile certificate for being such awe-

some media partners ^_^ phir kya hoa?? Phir sab apne

apne gharon ko chale gaye or wahan ghar basa lete kya

abb! :P

Picture Credits: Faizi Clicks

Page 6: Shashca 31st Edition

[email protected]

Shashca Rows (not columns)

By A Shashcateer

Aaj aik zamana beet gya us baat ko … woh yaadain, woh baatain woh sab cheezain bus meray takhayyul main bus aik andheray konay main kahen dubaq ke bethii hain, unkii haqeeqat sirf yaadon ke siwa kuch

ni … waisay kya ajeeb si cheez hai na ke insaan aik waqt apnay aap ko kya samjhta hai aur phr jab who hawaon main urh rha hota hai and phr all of a sudden we realize ke aay kii ho gya sanu naal :P Ji ji bus kuch

aisa hi meray saath bhi hoa ke jaisay main kehta hota tha and aaj phr say keh rha ke “Once upon a time ki story hai ke koi aik shakhs tha us ke baray awesome say friend shrinnd thay, sahi happy type kii life chal

rhi thii and phr, woh kehtay hain na ke hand ho gya! He had a misunderstanding and aik sahi war start hoi and bohat bad scene ho gya … friends turned into enemies wala scene hoa woh jo typical filmon wala

scene hota ahi na, ke sahi jigrii yaar hotay hain and then un main laraii ho jaatii hai bus woh wala scene imagine kr lain, imagine ni hota to jaen koi indian drama dekh lain, acha phr aap ny bolna hai ke lite ni

hai, to phr aap internet pay ja ke recording hi dekh lain, ji to internet bhi ni hai? Yar na karo, aap to free he ho rhay ho, ye shashca phr makrii ke jaalay pay parh rhay ho kya? Huh :P

To woh main jo hai na … who main ye keh rha tha ke bus bad scene hogya and then waqt guzarta rha and woh larka kuch samjhta rha apnay aap ko and finally usko pata lag gya ke us k saath kya game ho rhi

thii, woh aik din betha analyse kr rha tha ke us ny ye kaha and falanay ny to ye kaha and ye to ye keh rha hai but who jo hai us ny to kuch aur hi kaha tha and agar woh sahi tha to yeah kaisay theek hosakta and

Oh damn :D Ye to hand ho gya :D and phr pata hai kya hoa? All of a sudden everything started making sense, and phr usko hoi sahi waliii nadaamat and who jo sab say start pay line likhi hai na, bus woh wala

scene hoa and sara rola paanay ka maqsad ye tha ke aap ko btaya jae ke it’s never too late to say sorry, aap trust karo ke jab aap kisi say apni ghaltii ke liyay sorry boltay ho na to aap ke dil ka aik massive bur-

den kam ho jaata hai and jo sakoon milta hai na, you just can’t imagine.

So, aaj analyse karo apni lives, say sorry to those jin ka aap ny dil dukhaya, realize your own mistakes and make your lives happy :)

Image Source: www.gravityoflife.blogspot.com

A Lesson Learnt

Page 7: Shashca 31st Edition

[email protected]

By Abdul Wasey

Maine bari koshish ki main Quran parh ke apne ap ko Sunni sabit karon ma-

gar nakam raha. Maine tamam Qurani suraten parhin magar na mujhe koi

Shia, na Deobandi , na Barelvi, na hi koi Sunni aur Ahl-e-Hadees mila. Maine

phr koshish ki main aswa-e-Muhammad (s.a.w.w) ko parh kar apne app ko kisi

firqay se joron, ismen bhi mjhe nakami hui. Har jagah sewaye muslaman ke

mjhe apni koi aur pehchan na mili. in sab ke bawajood aj hum musalman in

firqon main is tarhan batt gaye hain ke humari asal pehchan gum hogai hai!

(Quote by Ansar Abbasi)

Shia genocide ya insaniayat ka qatal?

Ye kch din pehlay jo Quetta main aik tragedy hui jis main 86 ke qareeb logon

ki jaan zaya hui (Allah unki magfarat kare) aur koi 150 log zakhmi hue (Allah

un ko sehat de). Akhir unka qasoor kia tha? Unhe kis baat ki saza mili?

Un logo ne kis ka qatal kia? Kahan daka dala? Kis ka haq cheena?

Unko is baat ki saza mili ke wo log insaan ha ya aik alag tabqe se taluq rakhte

hen?

Aur jinhone in logon ko so-called “saza” di hai unko ye haq akhir kisne dia?

Shia ya Sunni kon behtar? Akhir is ka faisla karne wale hum log kon hotay

hain?

Har anay janay wale bande ko judge karna to humara fav kaam hai. Humara

quomi khail hain ye to, har bnde us ke rang o nasal pe us ke mazhab aur

firqay pe judge krtay hain na ke us bande ke kirdar pe na hi us ki soch pe. Bs

yehi soch hai wo is mazhab ka hai wo aisa hoga, wo is tabqa-e-fikr ka hai wo

aisa hoga. Yahan tak ke ye baat itni serious hogayi hai ke people are getting

killed because of this!

Aik firqay ya aik mazhab ke kch logo ki ghalti ki saza hum akhir us sect se

wabista tamam logon ko kiun detay hain?

Ghalti aik karay aur bhugtay sb ye kahan ki aqal mandi hai?

Har cheez ko mazhab ka rang charha dena to hume khoob ata hai. Ab ye jo

Quetta main blast hua us main Hazara community ke na janay kitni families

ujar gyin, kitne ghar tabah hogaye kisi ne ye socha?

Kia ye log Shia hone ki saza pa rahe hain ya insaan hone ki ye meri samj se

balatar hai...

Shia, Sunni hone se pehle hum sub musalman aur usse bhi pehlay insaan hain,

aur kisi bhi firqay ke logon ka qatal insaaniyat ka qatal hai…

Image Source: www.huffingtonpost.com

Shia genocide ya insaniyat ka qatal?

By Zoya Fateh

'' Ek namaloom fard ne firing ker ke 4 logon ko zakhmi aur 2 ko

halak kerdiya.''

''Do ganton men mukhtalif maqamat per 15 afrad halak.''

Aesi bhut si news har ek do min k baad chalti rehti hain ,jisse

newscaster bare pursukoon andaz men bata rahen hote hain,

kabhi kabhi toh ye dekh ker aesa guman hota hai ke banda koi

sports channel dekh raha ho jahan score ki tarhan marne walon ki

quantity bata rahen hon :@ isilye ab hum ne bhi inn ka koi asar

lena chor diya hai bus ''score'' dekh ker channel change kerlete

hain ye keh ker ke ''uff!, halaat bahut kharab hain.''

Aur ye ma'shre ka bhut bara masla banta jaraha hai, ye behissi hai

jo humare ma'shre ko dimak ki tarhan chaat rahi hai, jis ki wajase

kisi ko koi farq hi nahin parta kiyun ke sub hi itne insensitive

hogaye hain ke hum ne bother kerna hi chor diya ass pass kitne hi

log roz kiyun na chuntiyun ki tarhan hi mar jayen par kya pata ek

din hum bhi bus ek aesi hi khabar ban jayen, isiliye ek ''khabar''

ban'ne se pehle humen iss insensitive behavior ko change kerna

hoga warna jese jese ye behissi barhti jayegi wese wese hi zulim

bhi barhta jayega! But yar how to stop it? Aahh! That's a difficult

question but I think, humara media and government iss issue ko

kafi had tak solve kersakti hai agar kuch tawajja farmayen, hold

on! Ye line toh sub issues ke liye fit horahi hai na? :P Means koi

bhi problem humare mulk ki solve hosakti hain bus agar govern-

ment apni nazar-e-karam hum ghareebon pe dale but ''Aahh!

Khaak ho jaayenge hum tumko khabar hone tak'' :( Ghum ye hi

hai ke subse ziyada insensitive toh humare hukmaran hogaye

hain jo kisi bhi baat ka koi notice hi nahin lete. :/

Isliye humen apni awaz zor se uthani paregi inn sub masial ko hal

kerwane or kerne ke liye kyun ke badqismati se humare hukma-

ran kuch na kerne ke sath sath kuch ''unchaa'' sunte hain aur

phir bhi na suna toh loudspeaker inn ke kaan ke pass rakh ker

bolenge phir toh sunege hi sunegen. ;) But seriously, we have to

do something about it by our own selves and media can also play

positive role in it in various ways, subse pehle toh ye news chan-

nels har ek do min ke baad "Breaking news" ki tar tar kerna chor

den iss se kya hota hai ke jab waqai men breaking news hoti hai

phir tab koi serious nahin leta.

Jese bhi ab khud kuch kerna parega, hum ko marna parega,

o'jalna paregaa, aaa ab khud kuch kerna parega...oops! I'm sing-

ing a song ?! Sorry! :(

Han toh kehrahi thi ke we have to takes steps to change insensi-

tive behavior of our country, warna humare news channel halaka-

ton ke numbers hi ginte rahegen, govt khamosh tamashai aur

hum bus apni apni bari ane ke dar ke sath hi jeete rahegen.

Think!

Image Source: www.archives.dawn.com

Hum huay

Behiss

Page 8: Shashca 31st Edition

Team Shashca

www.shashca.com

Marketing

Hina Yasin

Omer Irfan

Anosh Abdul Razzak

Moosa Lakhani

Amal Huma

Shakeel Ahmed

Ufna Aamir

Junaid Ali

Mutahra Humayun

Zaeem Hassan

Ali Suleman Editor in Chief

[email protected]

Sadiya Akhtar Sub Editor

[email protected]

Sohaib Muhammad I.T. Manager

[email protected]

Waleed Hasan HR Manager

[email protected]

Syed Nasar Shahzad News Updates Admin

[email protected]

Zeeshan Ahmed Head Columns

[email protected]

Rafia Mushtaq Khan Senior News Editor

[email protected]

Maryam Bakhtawar Projects Manager

[email protected]

Furqan Zeb Marketing Manager

[email protected]

Sammia Khan Niazi

Syeda Rabia Tamkeen

Reem Bashir

Hammad Khan

Umer Abubakr

Muhammad Abubakr

Mareya Khurshid

Muzammil Kamran

Anwaar Ali

Khubaib Muhammad

Salman Baig

Pariwish Abbasi

Musarrat Amin

Muhammad Yousaf

Bisma Idrees

Ahmed Hassan

Aleena Afzaal

News Reporters

Creative Team

Projects Team

Ahmed Alauddin

Sabika Hassan

Sadiah Khan

Shafaq Pirvani

Fahad Ahmed

Muhammad

Faheem

Mehwish Malik

HR Team

Moin Uddin

Saad Qureshi

Cartoonists

Lukman Kakar

Hafsa Idrees

Faizan Ahmed

Nouman Akram

Sidrah Zaheer

Zainab Sajjad

Nida Jamshed

Arslan Chaudhary

Hussain Shahbaz

Hammad Manzoor

Mariam Latif

Abdullah Khilji

Bistee Proof

Ali Arshad

Editorial Board

IT Team

www.facebook.com/shashca

www.twitter.com/shashcaism

www.youtube.com/shashca

Columnists

Abdul Wasey

Anas Shafqat

Basmah Khan

Monti Jee

Maria Ali Khan

Rashid Dar

Zoya Fateh

Zaitoon Malik