vitamin a benefits in hindi: janiye iske laabh aur rahiye swasth

8
HRELATE.COM Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Anmol Laabh

Upload: cshradhha

Post on 14-Aug-2015

39 views

Category:

Healthcare


3 download

TRANSCRIPT

Page 1: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

HRELATE.COM

Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Anmol Laabh

Page 2: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

hrelate.com

Vitamin A fat mai ghulanshil Vitamin hai. Yeh mukhyata retinoid aur

carotenoids do roop mai paya jata hai. Sabjiyo ka rang jitna gehra aur chamkila hoga, unme carotenoids ki matra utni adhik hogi. Vitamin A aankho ke liye bahut hi faydemand hota hai. Saath hi yeh bimari se bachne ke liye bhi bahut kaam aata hai. To aaiye jante hai Vitamin A Benefits in Hindi.

Page 3: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

hrelate.com

• Yeh vitamin sharir ke aneko ango jese skin, baal, nakhun, granthi, daant, masude aur haddi ko samanya roop se banaye rakhne mai madad karta hai aur sharir ke sabh ango ko sucharu roop se chalne mai madad karta hai.

• Halaki yeh humare bhojan mai vibhinn roopo mai paryapt roop se rehta hai, lekin agar iski kami bhi ho to iski purti ke liye prakritik source ka hi laabh uthana chahiye.

• Shodhkartao ne dawa kiya hai ki Vitamin A ka poshak aahar vikaas shil deksho mai har saal 5 saal se kam umra ke lagbhag 6 laakh baccho ki jaan bacha sakta hai.

Page 4: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

hrelate.com

Vitamin A Benefits in Hindi: Iske Aneko Faydo ke Bare Mai Jane Acchi sehat ke liye yeh sabse accha vitamin hai. Yeh aankho ki roshni

ko tez karke uski mashpeshiyo ko majboot banata hai. Aaiye jante hai iske upyog:-

Yeh bhurna ki normal growth aur development ke liye bahut accha mana jata hai.

• Twacha ke liye bhi swasthvardhak hota hai.

• Rakt mai calcium ka level banaye rakhne aur haddiyo ke liye kaafi avashyak hota hai.

• Haddiyo, daant aur urtako ke rakh rakhav ke liye avashyak hai.

• Urja paida karne ke liye sabhi koshikao ko iski jarurat padti hai.

• Swasth rehne ke liye Vitamin A ke dono roop ka sevan karna chahiye.

Page 5: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

hrelate.com

Kise Chahiye Adhik Vitamin AVegetarian logo aur sharab ka sevan karne walo ko iski adhik jarurat hoti hai. Lever ki bimariyo, cystic fibrosis aadi se pidit logo ko bhi Vitamin A ki avashyakta hoti hai. Kai log samajhte hai ki Vitamin A kewal ek hi vishesh padarth hota hai, jabki isme poshak tatvo ki ek vistrut shrankhla hoti hai. Har poshak padarth ke apne laabh hote hai. Adhik matra mai Vitamin A ka sevan Vitamin K ke avashoshan ko prabhavit karta hai. Fat mai ghulanshil Vitamin ke rakt ka thakka banana ke liye jaruri hai.KhurakVitamin A ko 2 tarah ke unit mai napa jata hai. Inko badalne ke liye formula hai:-•1 IU: 1 Internatiobnal Unit = 0.3 microgram Retinol Equivalent1 gm = 1000 microgramVitamin A ka pratidin jarurat umra aur sehat ke anusar badalte rehta hai:•Jamn se 6 mahine ke umra ke shishu ko karib 1333 IU ya 400 microgram•6 se 12 mahine ke umra ke shishu ko karib 1666 IU ya 500 microgram•1 se 3 saal ke bacche ko karib 1000 IU ya 300 microgram•4 se 8 saal ke bacche ko karib 1333 IU ya 400 microgram•9 se 13 saal ke bacche ko karib 2000 IU ya 600 microgram•14 se 30 saal wale wale purush ko 3000 IU ya 900 microgram•14 se 30 saal wali mahilao ko 2333 IU ya 700 microgram•Grabh ke douran karib 2500 IU ya 750 microgram•Stanpan ke douran karib 4000 IU ya 1200 microgram

Page 6: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

hrelate.com

Vitamin A ki Kami ke Lakshan•Kaan mai foda•Sukhe baal•Sukhi twacha•Chronic diarrhea•Sardi-jukham•Thakan•Neend na aana•Night blindness•Pneumonia •Prajann mai kathinai•Sinus •Kamjor daant•Vajan mai kami

Page 7: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

hrelate.com

Vitamin A inn Chizo Mai Paya Jata HaiChukandar, asaag, broccoli, sabut anaaj, paneer, giridar phal, butter, gajar, mirch, dairy product, hari pattedar sabjiya, anda, beans, rajma, meat, aam, sarso, papita, dhaniya, chiku, mutter, kaddu, laal mirch, sea food, shaljam, tamatar, shakkar kand, tarbooz, makai ke dane, pile ya narangi rang ke phal aadi.

Inn Savdhani ko Jarur BarteAtadhik Vitamin A lene se sharir par anek dushprabhav ho sakte hai jese ki sar dard, dekhne mai dikkat, thakawat, dast, baal girna, skin kharab ho jana, haddi aur jodo mai dard, kaleja ko nuksaan pahuchna aur ladkiyo mai asamay masik dharm hona yeh samasya ho sakti hai.Garbh ke douran khaas savdhani- atyadhik Vitamin A, pet mai palte bacche ko nuksaan pahucha sakta hai.Upar aapne jane Vitamin A Benefits in Hindi. To aaj hi se apne sharir ke hisab se apni body ke liye inn vitaminse yukt padarth ka sevan kare aur swasth rahe.

Page 8: Vitamin A Benefits in Hindi: Janiye Iske Laabh Aur Rahiye Swasth

hrelate.com

• Apna ek haath ka panja pidit ki chhati ke bich ki haddi jaha par chhati ki haddiya milti hai ke Madhya mai rakhe. Yeh sthan chhati ke Madhya mai dono nipple ke bich hona chahiye.

• Iske baad dusre hatah ko pehle ke upar rakhte huye ungliyo ko bandh le. Apni bajuo aur elbow ko sidha rakhe.

• Uske baad pidit ki chhati ki haddiyo ko sidha 1.5 se 2 inch ya 4 se 5 cm tak niche dabav de. Chhati par dabav dene ki yeh prakriya prati minute 100 baar ki gati se honi chahiye.

• Dabav dene aur chhodne ki kriya ek baar mai 30 baar kare. Dabav dene aur chhodne ka samay barabar hona chahiye.

• Pidit ko Cardiopulmonary Resuscitation ya CPR dete samay 2 baar kratim saans de aur 30 baar chhati par dabav dena chahiye. Iska anupaat 30:2 ka rakhe.

• Jab aap aapatkalin sahayata prapt na ho ya pidit vyakti samanya saans lena shuru na kar de tab tak CPR dena shuru rakhe.

• Cardiopulmonary Resuscitation se aap pidit vyakti ki jaan bacha sakte hai. Yeh article kisi ki jindagi ko bachane ke kaam aa sakta hai.