tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb...

343
Tauret Asal Ibrānī Matan se Naya Urdū Tarjumā Geolink Resource Consultants

Upload: others

Post on 06-Mar-2021

4 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

TauretAsal Ibrānī Matan seNaya Urdū Tarjumā

Geolink Resource Consultants

Page 2: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

2

The Pentateuch in Modern UrduTranslated from the Original Hebrew

Urdu Geo Version (UGV)© 2010 Geolink Resource Consultants, LLC

Published byGeolink Resource Consultants, LLC10307 W. Broadstreet, #169, Glen Allen, Virginia23060, United States of America

www.urdugeoversion.com

Page 3: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

Fahrist-e-Kutub

Tauretpaidāish 7

ḳhurūj 93

ahbār 167

gintī 217

istisnā 279

Page 4: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā
Page 5: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

harf-e-āġāz

azīz qārī! āp ke hāth meṅ k itāb-e- m uqaddas kā nayā urdū tarj u mā hai.yih ilāhī k itāb insān ke l ie allāh t’ālā kā kalā m hai. is meṅ insān ke sāth allāh kī m uhabbat aur us ke l ie us kī marzī aur manshā kā izhār hai.

k itāb-e- muqaddas p urāne aur nae ahadnā me kā majmūā hai. p urānā ahadnā mātauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am il hai. nayā ahadnā mā injīl-e- muqaddas kā pā k kalā m hai.

p urāne ahadnā me kī asal zabān ibrānī aur arā mī aur nae ahadnā me kī yūnānīhai. zer-e-nazar matan in zabānoṅ kā barāh-e-rāst tarj u mā hai. m utarj i m nehar m u m k in kosh ish kī hai k i asal zabānoṅ kā sahīh sahīh mafhū m adā kare.

pā k kalā m ke t amā m m utarj i mīn ko do sawāloṅ kā sā mnā hai: pahlā yih k iasal matan kā sahīh sahīh tarj u mā k iyā jāe. dūsrā yih k i j is zabān meṅ tarj u mā karnā maqsūd ho us kī ḳhūbsūrtī aur chāshnī bhī barqarār rahe aur pā k matan ke sāth wafādārī bhī m uta’ass ir na ho. ch unāṅche har m utarj i m ko faislā karnā hotā hai k i kahāṅ t ak w uh lafz-ba-lafz tarj u mā kare aur kahāṅ t ak urdūzabān kī s ihhat, ḳhūbsūrtī aur chāshnī ko madd-e-nazar rakhte h ue qadreāzādānā tarj u mā kare. m uḳhtal if tarj u moṅ meṅ jo bāz auqāt thoṛā bahut farqnazar ātā hai us kā yihī sabab hai k i e k m utarj i m asal alfāz kā z iyādā pābandrahā hai jab k i dūsre ne mafhū m ko adā karne meṅ urdū zabān kī r iāyat kar keqadre āzād tarīqe se matlab ko adā karne kī kosh ish kī hai. is tarj u me meṅjahāṅ t ak ho s akā asal zabān ke qarīb rahne kī kosh ish kī gaī hai. yād rahe k i s urḳh iyāṅ aur unwānāt matan kā h issā nahīṅ haiṅ. un ko mahz qārī kīsahūlat kī ḳhāt ir d iyā gayā hai.

chūṅk i asal zabānoṅ meṅ anb iyā ke l ie izzat ke w uh alqāb iste māl nahīṅ k iegae j in kā āj kal r iwāj hai, is l ie ilhā mī matan ke eht irā m ko malhūz-e-ḳhāt irrakhte h ue tarj u me meṅ alqāb kā izāfā karne se g urez k iyā gayā hai.

Page 6: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

6 HARF-E-ĀĠĀZ

k itāb-e- muqaddas meṅ mazkūr jawāh irāt kā tarj u mā jadīd sāīnsī tahqīqāt ke m utāb iq k iyā gayā hai.

chūṅk i waqt ke sāth sāth nāp-tol kī m iqdāreṅ qadre badal gaīṅ is l ie tarj u me meṅ un kī adāegī meṅ ḳhās m ush k il pesh āī.

jahāṅ rūh kā lafz sīġā-e- m uz akkar meṅ adā k iyā gayā hai wahāṅ us se m urād rūh-ul- q uds yānī ḳh udā kā rūh hai. jab w uh aur mānoṅ meṅ m ustā malhai tab mā mūl ke m utāb iq sīġā-e- m uannas iste māl h uā hai.

injīl-e- muqaddas meṅ bapt is mā dene kā l uġwī matlab ġotā denā hai. j isshaḳhs ko bapt is mā d iyā jātā hai use pānī meṅ ġotā d iyā jātā hai.

bārī tālā ke fazl se injīl-e- muqaddas ke kaī urdū tarj u me dastyāb haiṅ. insab kā maqsad yihī hai k i asal zabān kā mafhū m adā k iyā jāe. in kā āpas meṅ m uqābalā nahīṅ hai bal k i m uḳhtal if tarj u moṅ kā e k dūsre ke sāth m uwāzanā karne se aslī zabān ke mafhū m kī gahrāī aur wus’at sā mne ātī hai aur y ūṅ m uḳhtl if tarj u me m il kar kalā m-e- muqaddas kī pūrī tafhī m meṅ m uaw in sāb ithote haiṅ.

allāh kare k i yih tarj u mā bhī us ke z indā kalā m kā matlab aur maqsad aurus kī wus’at aur gahrāī ko z iyādā safāī se s amajhne meṅ madad kā bāis bane.

nāsh irīn

Page 7: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish

duniyā kī taḳhlīq kā pahlā

din: raushnī

1 ibtidā meṅ allāh ne āsmān aurzamīn ko banāyā. 2abhī tak

zamīn wīrān aur ḳhālī thī. wuh gahrepānī se ḍhakī huī thī jis ke ūparandherā hī andherā thā. allāh kā rūhpānī ke ūpar manḍlā rahā thā.

3phir allāh ne kahā, “raushnī hojāe” to raushnī paidā ho gaī. 4allāh nedekhā ki raushnī achchhī hai, aur usne raushnī ko tārīkī se alag kar diyā.5allāh ne raushnī ko din kā nām diyāaur tārīkī ko rāt kā. shām huī, phirsubh. yūṅ pahlā din guzar gayā.

dūsrā din: āsmān6allāh ne kahā, “pānī ke darmiyān

ek aisā gumbad paidā ho jāe jis senichlā pānī ūpar ke pānī se alag hojāe.” 7aisā hī huā. allāh ne ek aisāgumbad banāyā jis se nichlā pānīūpar ke pānī se alag ho gayā. 8allāhne gumbad ko āsmān kā nām diyā.

shām huī, phir subh. yūṅ dūsrā dinguzar gayā.

tīsrā din: ḳhushk zamīn aur paude9allāh ne kahā, “jo pānī āsmān ke

nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāetāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazarāe.” aisā hī huā. 10allāh ne ḳhushkjagah ko zamīn kā nām diyā aurjamāshudā pānī ko samundar kā. aurallāh ne dekhā ki yih achchhā hai.11phir us ne kahā, “zamīn hariyāwalpaidā kare, aise paude jo bīj rakhtehoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnīapnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” aisā hīhuā. 12zamīn ne hariyāwal paidā kī,aise paude jo apnī apnī qism ke bījrakhte aur aise daraḳht jin ke phalapnī apnī qism ke bīj rakhte the. allāhne dekhā ki yih achchhā hai. 13shāmhuī, phir subh. yūṅ tīsrā din guzargayā.

Page 8: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

8 paidāish 1:30

chauthā din: sūraj, chāṅd aur sitāre14allāh ne kahā, “āsmān par

raushniyāṅ paidā ho jāeṅ tāki dinaur rāt meṅ imtiyāz ho aur isītarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅaur sāloṅ meṅ bhī. 15āsmān kīyih raushniyāṅ duniyā ko raushankareṅ.” aisā hī huā. 16allāh ne do baṛīraushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thādin par hukūmat karne ko aur chāṅdjo chhoṭā thā rāt par. in ke ilāwāus ne sitāroṅ ko bhī banāyā. 17usne unheṅ āsmān par rakhā tāki wuhduniyā ko raushan kareṅ, 18din aurrāt par hukūmat kareṅ aur raushnīaur tārīkī meṅ imtiyāz paidā kareṅ.allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.19shām huī, phir subh. yūṅ chauthādin guzar gayā.

pāṅchwāṅ din: pānī aur

hawā ke jāndār20allāh ne kahā, “pānī ābī jāndāroṅ

se bhar jāe aur fizā meṅ parindeuṛte phireṅ.” 21allāh ne baṛe baṛesamundarī jānwar banāe, pānī kītamām dīgar maḳhlūqāt aur har qismke par rakhne wāle jāndār bhī banāe.allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.22us ne unheṅ barkat dī aur kahā,“phalo phūlo aur tādād meṅ baṛhtejāo. samundar tum se bhar jāe. isītarah parinde zamīn par tādād meṅbaṛh jāeṅ.” 23shām huī, phir subh.yūṅ pāṅchwāṅ din guzar gayā.

chhaṭā din: zamīn par chalne

wāle jānwar aur insān24allāh ne kahā, “zamīn har qism ke

jāndār paidā kare: maweshī, reṅgnewāle aur janglī jānwar.” aisā hīhuā. 25allāh ne har qism ke maweshī,reṅgne wāle aur janglī jānwar banāe.us ne dekhā ki yih achchhā hai.

26allāh ne kahā, “āo ab ham insānko apnī sūrat par banāeṅ, wuhham se mushābahat rakhe. wuhtamām jānwaroṅ par hukūmat kare,samundar kī machhliyoṅ par, hawāke parindoṅ par, maweshiyoṅ par,janglī jānwaroṅ par aur zamīn parke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.”27yūṅ allāh ne insān ko apnī sūratpar banāyā, allāh kī sūrat par. usne unheṅ mard aur aurat banāyā.28allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā,“phalo phūlo aur tādād meṅ baṛhtejāo. duniyā tum se bhar jāe aur tumus par iḳhtiyār rakho. samundar kīmachhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aurzamīn par ke tamām reṅgne wālejāndāroṅ par hukūmat karo.”

29allāh ne un se mazīd kahā,“tamām bījdār paude aur phaldārdaraḳht tumhāre hī haiṅ. maiṅunheṅ tum ko khāne ke lie detā hūṅ.30is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ kokhāne ke lie hariyālī detā hūṅ. jismeṅ bhī jān hai wuh yih khā saktāhai, ḳhwāh wuh zamīn par chalnephirne wālā jānwar, hawā kā parindā

Page 9: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 1:31 9

yā zamīn par reṅgne wālā kyūṅ naho.” aisā hī huā. 31allāh ne sabpar nazar kī to dekhā ki wuh bahutachchhā ban gayā hai. shām huī, phirsubh. chhaṭā din guzar gayā.

sātwāṅ din: ārām

2 yūṅ āsmān-o-zamīn aur unkī tamām chīzoṅ kī taḳhlīq

mukammal huī. 2sātweṅ din allāh kāsārā kām takmīl ko pahuṅchā. is sefāriġh ho kar us ne ārām kiyā. 3allāhne sātweṅ din ko barkat dī aur usemaḳhsūs-o-muqaddas kiyā. kyūṅkius din us ne apne tamām taḳhlīqīkām se fāriġh ho kar ārām kiyā.

ādam aur hawwā4yih āsmān-o-zamīn kī taḳhlīq kā

bayān hai. jab rab ḳhudā ne āsmān-o-zamīn ko banāyā 5to shurū meṅjhāṛiyāṅ aur paude nahīṅ ugte the.wajah yih thī ki allāh ne bārish kāintizām nahīṅ kiyā thā. aur abhīinsān bhī paidā nahīṅ huā thā kizamīn kī khetībāṛī kartā. 6is kī bajāezamīn meṅ se dhund uṭh kar us kīpūrī satah ko tar kartī thī. 7phir rabḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insānko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅmeṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuhjītī jān huā.

8rab ḳhudā ne mashriq meṅ mulk-e-adan meṅ ek bāġh lagāyā. us meṅus ne us ādmī ko rakhā jise us nebanāyā thā. 9rab ḳhudā ke hukm parzamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳhtphūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhnemeṅ dilkash aur khāne ke lie achchhethe. bāġh ke bīch meṅ do daraḳhtthe. ek kā phal zindagī baḳhshtā thājabki dūsre kā phal achchhe aur burekī pahchān dilātā thā. 10adan meṅ seek daryā nikal kar bāġh kī ābpāshīkartā thā. wahāṅ se bah kar wuh chārshāḳhoṅ meṅ taqsīm huā. 11-12pahlīshāḳh kā nām fīsūn hai. wuh mulk-e-hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmara pāe jāte haiṅ. 13dūsrī kānām jaihūn hai jo kūsh ko ghere huebahtī hai. 14tīsrī kā nām dijlā haijo asūr ke mashriq ko jātī hai aurchauthī kā nām furāt hai.

15rab ḳhudā ne pahle ādmī ko bāġh-e-adan meṅ rakhā tāki wuh us kībāġhbānī aur hifāzat kare. 16lekin rabḳhudā ne use āgāh kiyā, “tujhe hardaraḳht kā phal khāne kī ijāzat hai.17lekin jis daraḳht kā phal achchheaur bure kī pahchān dilātā hai us kāphal khānā manā hai. agar use khāeto yaqīnan maregā.”

18rab ḳhudā ne kahā, “achchhānahīṅ ki ādmī akelā rahe. maiṅ us

acarnelian

Page 10: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

10 paidāish 3:10

ke lie ek munāsib madadgār banātāhūṅ.”

19rab ḳhudā ne miṭṭī se zamīn parchalne phirne wāle jānwar aur hawāke parinde banāe the. ab wuh unheṅādmī ke pās le āyā tāki mālūm hojāe ki wuh un ke kyā kyā nāmrakhegā. yūṅ har jānwar ko ādamkī taraf se nām mil gayā. 20ādmīne tamām maweshiyoṅ, parindoṅ aurzamīn par phirne wāle jāndāroṅ kenām rakhe. lekin use apne lie koīmunāsib madadgār na milā.

21tab rab ḳhudā ne use sulā diyā.jab wuh gahrī nīnd so rahā thā to usne us kī pasliyoṅ meṅ se ek nikāl karus kī jagah gosht bhar diyā. 22paslīse us ne aurat banāī aur use ādmīke pās le āyā. 23use dekh kar wuhpukār uṭhā, “wāh! yih to mujh jaisīhī hai, merī haḍḍiyoṅ meṅ se haḍḍīaur mere gosht meṅ se gosht hai. iskā nām nārī rakhā jāe kyūṅki wuhnar se nikālī gaī hai.” 24is lie mardapne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwīke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuhdonoṅ ek ho jāte haiṅ. 25donoṅ, ādmīaur aurat nange the, lekin yih un kelie sharm kā bāis nahīṅ thā.

gunāh kā āġhāz

3 sāṅp zamīn par chalne phirnewāle un tamām jānwaroṅ se

zyādā chālāk thā jin ko rab ḳhudā nebanāyā thā. us ne aurat se pūchhā,

“kyā allāh ne wāqaī kahā ki bāġh kekisī bhī daraḳht kā phal na khānā?”2aurat ne jawāb diyā, “hargiz nahīṅ.ham bāġh kā har phal khā sakte haiṅ,3sirf us daraḳht ke phal se gurezkarnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai.allāh ne kahā ki us kā phal na khāobalki use chhūnā bhī nahīṅ, warnātum yaqīnan mar jāoge.” 4sāṅp neaurat se kahā, “tum hargiz na maroge,5balki allāh jāntā hai ki jab tum us kāphal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khuljāeṅgī aur tum allāh kī mānind hojāoge, tum jo bhī achchhā aur burāhai use jān loge.”

6aurat ne daraḳht par ġhaur kiyā kikhāne ke lie achchhā aur deḳhne meṅbhī dilkash hai. sab se dilfareb bātyih ki us se samajh hāsil ho saktī hai!yih soch kar us ne us kā phal le karuse khāyā. phir us ne apne shauharko bhī de diyā, kyūṅki wuh us kesāth thā. us ne bhī khā liyā. 7lekinkhāte hī un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aurun ko mālūm huā ki ham nange haiṅ.chunāṅche unhoṅ ne anjīr ke patte sīkar lungiyāṅ banā līṅ.

8shām ke waqt jab ṭhanḍī hawāchalne lagī to unhoṅ ne rab ḳhudā kobāġh meṅ chalte phirte sunā. wuhḍar ke māre daraḳhtoṅ ke pīchhechhup gae. 9rab ḳhudā ne pukār karkahā, “ādam, tū kahāṅ hai?” 10ādamne jawāb diyā, “maiṅ ne tujhe bāġhmeṅ chalte hue sunā to ḍar gayā,

Page 11: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 3:11 11

kyūṅki maiṅ nangā hūṅ. is lie maiṅchhup gayā.” 11us ne pūchhā, “kis netujhe batāyā ki tū nangā hai? kyā tūne us daraḳht kā phal khāyā hai jisekhāne se maiṅ ne manā kiyā thā?”12ādam ne kahā, “jo aurat tū ne meresāth rahne ke lie dī hai us ne mujhephal diyā. is lie maiṅ ne khā liyā.”13ab rab ḳhudā aurat se muḳhātibhuā, “tū ne yih kyūṅ kiyā?” aurat nejawāb diyā, “sāṅp ne mujhe bahkāyāto maiṅ ne khāyā.”

14rab ḳhudā ne sāṅp se kahā,“chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamāmmaweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅmeṅ lānatī hai. tū umr bhar peṭ kebal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā. 15maiṅtere aur aurat ke darmiyān dushmanīpaidā karūṅga. us kī aulād terī aulādkī dushman hogī. wuh tere sar kokuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī parkāṭegā.”

16phir rab ḳhudā aurat se muḳhātibhuā aur kahā, “jab tū ummīd sehogī to maiṅ terī taqlīf ko bahutbaṛhāūṅgā. jab tere bachche hoṅge totū shadīd dard kā shikār hogī. tū apneshauhar kī tamannā karegī lekin wuhtujh par hukūmat karegā.” 17ādam seus ne kahā, “tū ne apnī bīwī kī bātmānī aur us daraḳht kā phal khāyājise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā.is lie tere sabab se zamīn par lānathai. us se ḳhurāk hāsil karne ke lietujhe umr bhar mehnat-mashaqqat

karnī paṛegī. 18tere lie wuh ḳhārdārpaude aur ūṅṭkaṭāre paidā karegī,hālāṅki tū us se apnī ḳhurāk bhī hāsilkaregā. 19pasīnā bahā bahā kar tujheroṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnīpaṛegī. aur yih silsilā maut tak jārīrahegā. tū mehnat karte karte dubārāzamīn meṅ lauṭ jāegā, kyūṅki tū usīse liyā gayā hai. tū ḳhāk hai aurdubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.”

20ādam ne apnī bīwī kā nām hawwāyānī zindagī rakhā, kyūṅki bād meṅwuh tamām zindoṅ kī māṅ ban gaī.21rab ḳhudā ne ādam aur us kī bīwīke lie khāloṅ se libās banā kar unheṅpahnāyā. 22us ne kahā, “insān hamārīmānind ho gayā hai, wuh achchheaur bure kā ilm rakhtā hai. ab aisāna ho ki wuh hāth baṛhā kar zindagībaḳhshne wāle daraḳht ke phal sele aur us se khā kar hameshā takzindā rahe.” 23is lie rab ḳhudā ne usebāġh-e-adan se nikāl kar us zamīn kīkhetībāṛī karne kī zimmādārī dī jismeṅ se use liyā gayā thā. 24insānko ḳhārij karne ke bād us ne bāġh-e-adan ke mashriq meṅ karūbī farishtekhaṛe kie aur sāth sāth ek ātishītalwār rakhī jo idhar udhar ghūmtīthī tāki us rāste kī hifāzat kare jozindagī baḳhshne wāle daraḳht takpahuṅchātā thā.

Page 12: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

12 paidāish 4:17

qābīl aur hābīl

4 ādam hawwā se hambistar huāto un kā pahlā beṭā qābīl paidā

huā. hawwā ne kahā, “rab kīmadad se maiṅ ne ek mard hāsilkiyā hai.” 2bād meṅ qābīl kā bhāīhābīl paidā huā. hābīl bheṛ-bakriyoṅkā charwāhā ban gayā jabki qābīlkhetībāṛī karne lagā.

pahlā qatl3kuchh der ke bād qābīl ne rab ko

apnī fasloṅ meṅ se kuchh pesh kiyā.4hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā,lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ kekuchh pahlauṭhe un kī charbī sametchaṛhāe. hābīl kā nazarānā rab kopasand āyā, 5magar qābīl kā nazarānāmanzūr na huā. yih dekh kar qābīlbaṛe ġhusse meṅ ā gayā, aur us kāmuṅh bigaṛ gayā. 6rab ne pūchhā, “tūġhusse meṅ kyūṅ ā gayā hai? terāmuṅh kyūṅ laṭkā huā hai? 7kyā agartū achchhī nīyat rakhtā hai to apnīnazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekhsakegā? lekin agar achchhī nīyatnahīṅ rakhtā to ḳhabardār! gunāhdarwāze par dabkā baiṭhā hai aurtujhe chāhtā hai. lekin terā farz haiki us par ġhālib āe.”

8ek din qābīl ne apne bhāī se kahā,“āo, ham bāhar khule maidān meṅchaleṅ.” aur jab wuh khule maidānmeṅ the to qābīl ne apne bhāī hābīlpar hamlā karke use mār ḍālā.

9tab rab ne qābīl se pūchhā, “terābhāī hābīl kahāṅ hai?” qābīl ne jawābdiyā, “mujhe kyā patā! kyā apne bhāīkī dekh-bhāl karnā merī zimmādārīhai?” 10rab ne kahā, “tū ne kyā kiyāhai? tere bhāī kā ḳhūn zamīn meṅse pukār kar mujh se faryād kar rahāhai. 11is lie tujh par lānat hai aurzamīn ne tujhe radd kiyā hai, kyūṅkizamīn ko muṅh khol kar tere hāthse qatl kie hue bhāī kā ḳhūn pīnāpaṛā. 12ab se jab tū khetībāṛī karegāto zamīn apnī paidāwār dene se inkārkaregī. tū mafrūr ho kar mārā mārāphiregā.” 13qābīl ne kahā, “merī sazānihāyat saḳht hai. maiṅ ise bardāshtnahīṅ kar pāūṅgā. 14āj tū mujhezamīn kī satah se bhagā rahā hai aurmujhe tere huzūr se bhī chhup jānāhai. maiṅ mafrūr kī haisiyat se mārāmārā phirtā rahūṅgā, is lie jis ko bhīpatā chalegā ki maiṅ kahāṅ hūṅ wuhmujhe qatl kar ḍālegā.” 15lekin rab neus se kahā, “hargiz nahīṅ. jo qābīlko qatl kare us se sāt gunā badlā liyājāegā.” phir rab ne us par ek nishānlagāyā tāki jo bhī qābīl ko dekhe wuhuse qatl na kar de. 16is ke bād qābīlrab ke huzūr se chalā gayā aur adanke mashriq kī taraf nod ke ilāqe meṅjā basā.

qābīl kā ḳhāndān17qābīl kī bīwī hāmilā huī. beṭā

paidā huā jis kā nām hanūk rakhā

Page 13: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 4:18 13

gayā. qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aurapne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nāmhanūk rakhā. 18hanūk kā beṭā īrādthā, īrād kā beṭā mahūyāel, mahūyāelkā beṭā matūsāel aur matūsāel kā beṭālamak thā. 19lamak kī do bīwiyāṅthīṅ, adā aur zillā. 20adā kā beṭā yābalthā. us kī nasl ke log ḳhaimoṅ meṅrahte aur maweshī pālte the. 21yābalkā bhāī yūbal thā. us kī nasl ke logsaroda aur bāṅsrī bajāte the. 22zillā kebhī beṭā paidā huā jis kā nām tūbal-qābīl thā. wuh lohār thā. us kī nasl kelog pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the.tūbal-qābīl kī bahan kā nām nāmāthā. 23ek din lamak ne apnī bīwiyoṅse kahā, “adā aur zillā, merī bāt suno!lamak kī bīwiyo, mere alfāz par ġhaurkaro! 24ek ādmī ne mujhe zaḳhmīkiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. ek laṛkene mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatlkar diyā. jo qābīl ko qatl kare us se sātgunā badlā liyā jāegā, lekin jo lamakko qatl kare us se satattar gunā badlāliyā jāegā.”

set aur anūs25ādam aur hawwā kā ek aur beṭā

paidā huā. hawwā ne us kā nām setrakh kar kahā, “allāh ne mujhe hābīlkī jagah jise qābīl ne qatl kiyā ek aurbeṭā baḳhshā hai.” 26set ke hāṅ bhī

beṭā paidā huā. us ne us kā nām anūsrakhā.

un dinoṅ meṅ log rab kā nām le karibādat karne lage.

ādam se nūh tak kā nasabnāmā

5 zail meṅ ādam kā nasabnāmādarj hai.

jab allāh ne insān ko ḳhalaq kiyā tous ne use apnī sūrat par banāyā. 2usne unheṅ mard aur aurat paidā kiyā.aur jis din us ne unheṅ ḳhalaq kiyāus ne unheṅ barkat de kar un kā nāmādam yānī insān rakhā.

3ādam kī umr 130 sāl thī jab us kābeṭā set paidā huā. set sūrat ke lihāzse apne bāp kī mānind thā, wuh usse mushābahat rakhtā thā. 4set kīpaidāish ke bād ādam mazīd 800 sālzindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhīpaidā hue. 5wuh 930 sāl kī umr meṅfaut huā.

6set 105 sāl kā thā jab us kā beṭāanūs paidā huā. 7is ke bād wuh mazīd807 sāl zindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 8wuh 912 sālkī umr meṅ faut huā.

9anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭāqīnān paidā huā. 10is ke bād wuhmazīd 815 sāl zindā rahā. us ke aurbeṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 11wuh905 sāl kī umr meṅ faut huā.

alafzī tarjumā: chang. chūṅki yih sāz barr-e-saġhīr meṅ kam hī istemāl hotā hai, is lie

mutarjamīn ne is kī jagah lafz ‘sarod’ istemālkiyā hai.

Page 14: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

14 paidāish 6:7

12qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭāmahalal-el paidā huā. 13is ke bād wuhmazīd 840 sāl zindā rahā. us ke aurbeṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 14wuh910 sāl kī umr meṅ faut huā.

15mahalal-el 65 sāl kā thā jab us kābeṭā yārid paidā huā. 16is ke bād wuhmazīd 830 sāl zindā rahā. us ke aurbeṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 17wuh895 sāl kī umr meṅ faut huā.

18yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭāhanūk paidā huā. 19is ke bād wuhmazīd 800 sāl zindā rahā. us ke aurbeṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 20wuh962 sāl kī umr meṅ faut huā.

21hanūk 65 sāl kā thā jab us kābeṭā matūsilah paidā huā. 22is kebād wuh mazīd 300 sāl allāh ke sāthchaltā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅbhī paidā hue. 23wuh kul 365 sālduniyā meṅ rahā. 24hanūk allāh kesāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umrmeṅ wuh ġhāib huā, kyūṅki allāh neuse uṭhā liyā.

25matūsilah 187 sāl kā thā jab us kābeṭā lamak paidā huā. 26wuh mazīd782 sāl zindā rahā. us ke aur beṭe aurbeṭiyāṅ bhī paidā hue. 27wuh 969 sālkī umr meṅ faut huā.

28lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭāpaidā huā. 29us ne us kā nām nūhyānī tasallī rakhā, kyūṅki us ne uske bāre meṅ kahā, “hamārā khetībāṛīkā kām nihāyat taqlīfdih hai, is lieki allāh ne zamīn par lānat bhejī hai.

lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallīpāeṅge.” 30is ke bād wuh mazīd 595sāl zindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅbhī paidā hue. 31wuh 777 sāl kī umrmeṅ faut huā.

32nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭesim, hām aur yāfat paidā hue.

logoṅ kī ziyādatiyāṅ

6 duniyā meṅ logoṅ kī tādādbaṛhne lagī. un ke hāṅ beṭiyāṅ

paidā huīṅ. 2tab āsmānī hastiyoṅ nedekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅse kuchh chun kar un se shādī kī.3phir rab ne kahā, “merī rūh hameshāke lie insān meṅ na rahe kyūṅki wuhfānī maḳhlūq hai. ab se wuh 120 sālse zyādā zindā nahīṅ rahegā.” 4undinoṅ meṅ aur bād meṅ bhī duniyāmeṅ deoqāma tafrād the jo insānīauratoṅ aur un āsmānī hastiyoṅ kīshādiyoṅ se paidā hue the. yihdeoqāma tafrād qadīm zamāne kemashhūr sūrmā the.

5rab ne dekhā ki insān nihāyatbigaṛ gayā hai, ki us ke tamāmḳhayālāt lagātār burāī kī taraf māilrahte haiṅ. 6wuh pachhtāyā ki maiṅne insān ko banā kar duniyā meṅrakh diyā hai, aur use saḳht dukhhuā. 7us ne kahā, “go maiṅ hī neinsān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. maiṅ nasirf logoṅ ko balki zamīn par chalne

Page 15: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 6:8 15

phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aurhawā ke parindoṅ ko bhī halāk kardūṅgā, kyūṅki maiṅ pachhtātā hūṅ kimaiṅ ne un ko banāyā.”

baṛe sailāb ke lie nūh kī tayyāriyāṅ8sirf nūh par rab kī nazar-e-karm

thī. 9yih us kī zindagī kā bayān hai.nūh rāstbāz thā. us zamāne ke

logoṅ meṅ sirf wuhī bequsūr thā.wuh allāh ke sāth sāth chaltā thā.10nūh ke tīn beṭe the, sim, hām auryāfat. 11lekin duniyā allāh kī nazarmeṅ bigaṛī huī aur zulm-o-tashaddudse bharī huī thī. 12jahāṅ bhī allāhdeḳhtā duniyā ḳharāb thī, kyūṅkitamām jāndāroṅ ne zamīn par apnīrawish ko bigāṛ diyā thā.

13tab allāh ne nūh se kahā, “maiṅne tamām jāndāroṅ ko ḳhatm karnekā faislā kiyā hai, kyūṅki un ke sababse pūrī duniyā zulm-o-tashaddud sebhar gaī hai. chunāṅche maiṅ un kozamīn samet tabāh kar dūṅgā. 14abapne lie sarwa kī lakaṛī kī kashtī banāle. us meṅ kamre hoṅ aur use andaraur bāhar tārkol lagā. 15us kī lambāī450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī45 fuṭ ho. 16kashtī kī chhat ko yūṅbanānā ki us ke nīche 18 inch khulārahe. ek taraf darwāzā ho, aur us kītīn manzileṅ hoṅ. 17maiṅ pānī kā itnābaṛā sailāb lāūṅgā ki wuh zamīn ke

tamām jāndāroṅ ko halāk kar ḍālegā.zamīn par sab kuchh fanā ho jāegā.18lekin tere sāth maiṅ ahd bāndhūṅgājis ke taht tū apne beṭoṅ, apnī bīwīaur bahū’oṅ ke sāth kashtī meṅ jāegā.19har qism ke jānwar kā ek nar aurek mādā bhī apne sāth kashtī meṅ lejānā tāki wuh tere sāth jīte bacheṅ.20har qism ke par rakhne wāle jānwaraur har qism ke zamīn par phirne yāreṅgne wāle jānwar do do ho kar terepās āeṅge tāki jīte bach jāeṅ. 21jo bhīḳhurāk darkār hai use apne aur un kelie jamā karke kashtī meṅ mahfūz karlenā.”

22nūh ne sab kuchh waisā hī kiyājaisā allāh ne use batāyā.

sailāb kā aġhāz

7 phir rab ne nūh se kahā, “apnegharāne samet kashtī meṅ

dāḳhil ho jā, kyūṅki is daur ke logoṅmeṅ se maiṅ ne sirf tujhe rāstbāzpāyā hai. 2har qism ke pāk jānwaroṅmeṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛejabki nāpāk jānwaroṅ meṅ se nar-o-mādā kā sirf ek ek joṛā sāth le jānā.3isī tarah har qism ke par rakhnewāloṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā kejoṛe bhī sāth le jānā tāki un kī nasleṅbachī raheṅ. 4ek hafte ke bād maiṅchālīs din aur chālīs rāt mutawātirbārish barsāūṅgā. is se maiṅ tamām

aibrānī lafz matrūk hai. shāyad is kā matlabsarw yā deodār kī lakaṛī ho.

Page 16: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

16 paidāish 8:4

jāndāroṅ ko rū-e-zamīn par se miṭāḍālūṅgā, agarche maiṅ hī ne unheṅbanāyā hai.”

5nūh ne waisā hī kiyā jaisā rab nehukm diyā thā. 6wuh 600 sāl kā thājab yih tūfānī sailāb zamīn par āyā.

7tūfānī sailāb se bachne ke lie nūhapne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahū’oṅ kesāth kashtī meṅ sawār huā. 8zamīnpar phirne wāle pāk aur nāpākjānwar, par rakhne wāle aur tamāmreṅgne wāle jānwar bhī āe. 9nar-o-mādā kī sūrat meṅ do do ho kar wuhnūh ke pās ā kar kashtī meṅ sawārhue. sab kuchh waisā hī huā jaisāallāh ne nūh ko hukm diyā thā. 10ekhafte ke bād tūfānī sailāb zamīn par āgayā.

11yih sab kuchh us waqt huā jabnūh 600 sāl kā thā. dūsre mahīneke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅmeṅ se tamām chashme phūṭ nikleaur āsmān par pānī ke darīche khulgae. 12chālīs din aur chālīs rāt takmūslādhār bārish hotī rahī. 13jabbārish shurū huī to nūh, us ke beṭesim, hām aur yāfat, us kī bīwī aurbahūeṅ kashtī meṅ sawār ho chukethe. 14un ke sāth har qism ke janglījānwar, maweshī, reṅgne aur parrakhne wāle jānwar the. 15har qismke jāndār do do ho kar nūh ke pās ākar kashtī meṅ sawār ho chuke the.16nar-o-mādā āe the. sab kuchh waisāhī huā thā jaisā allāh ne nūh ko hukm

diyā thā. phir rab ne darwāze ko bandkar diyā.

17chālīs din tak tūfānī sailāb jārīrahā. pānī chaṛhā to us ne kashtīko zamīn par se uṭhā liyā. 18pānīzor pakaṛ kar bahut baṛh gayā, aurkashtī us par tairne lagī. 19āḳhirkārpānī itnā zyādā ho gayā ki tamāmūṅche pahāṛ bhī us meṅ chhupgae. 20balki sab se ūṅchī choṭī parpānī kī gahrāī 20 fuṭ thī. 21zamīnpar rahne wālī har maḳhlūq halākhuī. parinde, maweshī, janglī jānwar,tamām jāndār jin se zamīn bharī huīthī aur insān, sab kuchh mar gayā.22zamīn par har jāndār maḳhlūqhalāk huī. 23yūṅ har maḳhlūq ko rū-e-zamīn par se miṭā diyā gayā. insān,zamīn par phirne aur reṅgne wālejānwar aur parinde, sab kuchh ḳhatmkar diyā gayā. sirf nūh aur kashtīmeṅ sawār us ke sāthī bach gae.

24sailāb ḍeṛh sau din tak zamīn parġhālib rahā.

sailāb kā iḳhtitām

8 lekin allāh ko nūh aur tamāmjānwar yād rahe jo kashtī meṅ

the. us ne hawā chalā dī jis se pānīkam hone lagā. 2zamīn ke chashmeaur āsmān par ke pānī ke darīcheband ho gae. aur bārish ruk gaī. 3pānīghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfīkam ho gayā thā. 4sātweṅ mahīne ke17weṅ din kashtī arārāt ke ek pahāṛ

Page 17: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 8:5 17

par ṭik gaī. 5dasweṅ mahīne ke pahledin pānī itnā kam ho gayā thā kipahāṛoṅ kī choṭiyāṅ nazar āne lagīthīṅ.

6-7chālīs din ke bād nūh ne kashtīkī khiṛkī khol kar ek kawwā chhoṛdiyā, aur wuh uṛ kar chalā gayā. lekinjab tak zamīn par pānī thā wuh ātājātā rahā. 8phir nūh ne ek kabūtarchhoṛ diyā tāki patā chale ki zamīnpānī se nikal āī hai yā nahīṅ. 9lekinkabūtar ko kahīṅ bhī baiṭhne kī jagahna milī, kyūṅki ab tak pūrī zamīn parpānī hī pānī thā. wuh kashtī aur nūhke pās wāpas ā gayā, aur nūh ne apnāhāth baṛhāyā aur kabūtar ko pakaṛkar apne pās kashtī meṅ rakh liyā.

10us ne ek haftā aur intizār karkekabūtar ko dubārā chhoṛ diyā.11shām ke waqt wuh lauṭ āyā. is dafāus kī choṅch meṅ zaitūn kā tāzā pattāthā. tab nūh ko mālūm huā ki zamīnpānī se nikal āī hai.

12us ne mazīd ek hafte ke bādkabūtar ko chhoṛ diyā. is dafā wuhwāpas na āyā.

13jab nūh 601 sāl kā thā to pahlemahīne ke pahle din zamīn kī satahpar pānī ḳhatm ho gayā. tab nūh nekashtī kī chhat khol dī aur dekhā kizamīn kī satah par pānī nahīṅ hai.14dūsre mahīne ke 27weṅ din zamīnbilkul ḳhushk ho gaī.

15phir allāh ne nūh se kahā,16“apnī bīwī, beṭoṅ aur bahū’oṅ ke

sāth kashtī se nikal ā. 17jitne bhījānwar sāth haiṅ unheṅ nikāl de,ḳhwāh parinde hoṅ, ḳhwāh zamīnpar phirne yā reṅgne wāle jānwar.wuh duniyā meṅ phail jāeṅ, naslbaṛhāeṅ aur tādād meṅ baṛhte jāeṅ.”18chunāṅche nūh apne beṭoṅ, apnībīwī aur bahū’oṅ samet nikal āyā.19tamām jānwar aur parinde bhī apnīapnī qism ke gurohoṅ meṅ kashtī senikle.

20us waqt nūh ne rab ke liequrbāngāh banāī. us ne tamāmphirne aur uṛne wāle pāk jānwaroṅmeṅ se kuchh chun kar unheṅ zabahkiyā aur qurbāngāh par pūrī tarahjalā diyā. 21yih qurbāniyāṅ dekh karrab ḳhush huā aur apne dil meṅ kahā,“ab se maiṅ kabhī zamīn par insānkī wajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā,kyūṅki us kā dil bachpan hī seburāī kī taraf māil hai. ab se maiṅkabhī is tarah tamām jān rakhnewālī maḳhlūqāt ko rū-e-zamīn parse nahīṅ miṭāūṅgā. 22duniyā kemuqarrarā auqāt jārī raheṅge. bījbone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍaur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kāmausam, din aur rāt, yih sab kuchhduniyā ke aḳhīr tak qāim rahegā.”

allāh kā nūh ke sāth ahd

9 phir allāh ne nūh aur us kebeṭoṅ ko barkat de kar kahā,

“phalo phūlo aur tādād meṅ baṛhte

Page 18: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

18 paidāish 9:23

jāo. duniyā tum se bhar jāe 2zamīnpar phirne aur reṅgne wāle jānwar,parinde aur machhliyāṅ sab tum seḍareṅge. unheṅ tumhāre iḳhtiyārmeṅ kar diyā gayā hai. 3jis tarahmaiṅ ne tumhāre khāne ke lie paudoṅkī paidāwār muqarrar kī hai usī tarahab se tumheṅ har qism ke jānwarkhāne kī ijāzat bhī hai. 4lekinḳhabardār! aisā gosht na khānā jismeṅ ḳhūn hai, kyūṅki ḳhūn meṅ uskī jān hai.

5kisī kī jān lenā manā hai. joaisā karegā use apnī jān denī paṛegī,ḳhwāh wuh insān ho yā haiwān.maiṅ ḳhud is kā mutālabā karūṅga.6jo bhī kisī kā ḳhūn bahāe us kā ḳhūnbhī bahāyā jāegā. kyūṅki allāh neinsān ko apnī sūrat par banāyā hai.

7ab phalo phūlo aur tādād meṅbaṛhte jāo. duniyā meṅ phail jāo.”

8tab allāh ne nūh aur us ke beṭoṅ sekahā, 9“ab maiṅ tumhāre aur tumhārīaulād ke sāth ahd qāim kartā hūṅ.10yih ahd un tamām jānwaroṅ kesāth bhī hogā jo kashtī meṅ se niklehaiṅ yānī parindoṅ, maweshiyoṅ aurzamīn par ke tamām jānwaroṅ kesāth. 11maiṅ tumhāre sāth ahd bāndhkar wādā kartā hūṅ ki ab se aisākabhī nahīṅ hogā ki zamīn kī tamāmzindagī sailāb se ḳhatm kar dī jāegī.ab se aisā sailāb kabhī nahīṅ āegājo pūrī zamīn ko tabāh kar de. 12isabadī ahd kā nishān jo maiṅ tumhāre

aur tamām jāndāroṅ ke sāth qāimkar rahā hūṅ yih hai ki 13maiṅ apnīkamān bādaloṅ meṅ rakhtā hūṅ. wuhmere duniyā ke sāth ahd kā nishānhogā. 14jab kabhī mere kahne parāsmān par bādal chhā jāeṅge aurqaus-e-quzah un meṅ se nazar āegī15to maiṅ yih ahd yād karūṅga jotumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāthkiyā gayā hai. ab kabhī bhī aisāsailāb nahīṅ āegā jo tamām zindagīko halāk kar de. 16qaus-e-quzahnazar āegī to maiṅ use dekh kar usdāimī ahd ko yād karūṅga jo mere aurduniyā kī tamām jāndār maḳhlūqātke darmiyān hai. 17yih us ahd kānishān hai jo maiṅ ne duniyā ketamām jāndāroṅ ke sāth kiyā hai.”

nūh ke beṭe18nūh ke jo beṭe us ke sāth kashtī

se nikle sim, hām aur yāfat the. hāmkan’ān kā bāp thā. 19duniyā bhar ketamām log in tīnoṅ kī aulād haiṅ.

20nūh kisān thā. shurū meṅ us neangūr kā bāġh lagāyā. 21angūr se maibanā kar us ne itnī pī lī ki wuh nashemeṅ dhut apne ḍere meṅ nangā paṛārahā. 22kan’ān ke bāp hām ne use yūṅpaṛā huā dekhā to bāhar jā kar apnedonoṅ bhāiyoṅ ko us ke bāre meṅbatāyā. 23yih sun kar sim aur yāfat neapne kandhoṅ par kapṛā rakhā. phirwuh ulṭe chalte hue ḍere meṅ dāḳhilhue aur kapṛā apne bāp par ḍāl diyā.

Page 19: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 9:24 19

un ke muṅh dūsrī taraf muṛe rahetāki bāp kī barahnagī nazar na āe.

24jab nūh hosh meṅ āyā to us kopatā chalā ki sab se chhoṭe beṭe nekyā kiyā hai. 25us ne kahā, “kan’ānpar lānat! wuh apne bhāiyoṅ kāzalīltarīn ġhulām hogā.

26mubārak ho rab jo sim kā ḳhudāhai. kan’ān sim kā ġhulām ho. 27allāhkare ki yāfat kī hudūd baṛh jāeṅ.yāfat sim ke ḍeroṅ meṅ rahe aurkan’ān us kā ġhulām ho.”

28sailāb ke bād nūh mazīd 350 sālzindā rahā. 29wuh 950 sāl kī umr meṅfaut huā.

nūh kī aulād

10 yih nūh ke beṭoṅ sim, hāmaur yāfat kā nasabnāmā hai.

un ke beṭe sailāb ke bād paidā hue.

yāfat kī nasl2yāfat ke beṭe jumar, mājūj, mādī,

yāwān, tūbal, masak aur tīrās the.3jumar ke beṭe ashkanāz, rīfat aurtujarmā the. 4yāwān ke beṭe ilīsā aurtarsīs the. kittī aur dodānī bhī uskī aulād haiṅ. 5wuh un qaumoṅ keābā-o-ajdād haiṅ jo sāhilī ilāqoṅ aurjazīroṅ meṅ phail gaīṅ. yih yāfat kīaulād haiṅ jo apne apne qabīle aurmulk meṅ rahte hue apnī apnī zabānbolte haiṅ.

hām kī nasl6hām ke beṭe kūsh, misr, fūt aur

kan’ān the. 7kūsh ke beṭe sibā,hawīlā, sabtā, rāmā aur sabtakā the.rāmā ke beṭe sabā aur dadān the.

8kūsh kā ek aur beṭā banāmnamrūd thā. wuh duniyā meṅ pahlāzabardast hākim thā. 9rab ke nazdīkwuh zabardast shikārī thā. is lieāj bhī kisī achchhe shikārī ke bāremeṅ kahā jātā hai, “wuh namrūd kīmānind hai jo rab ke nazdīk zabardastshikārī thā.” 10us kī saltanat ke pahlemarkaz mulk-e-sin’ār meṅ bābal,arak, akkād aur kalnā ke shahr the.11us mulk se nikal kar wuh asūr chalāgayā jahāṅ us ne nīnwā, rahobot-īr,kalah 12aur rasan ke shahr tāmīr kie.baṛā shahr rasan nīnwā aur kalah kedarmiyān wāqe hai.

13misr in qaumoṅ kā bāp thā:lūdī, anāmī, lihābī, naftūhī, 14fatrūsī,kaslūhī (jin se filistī nikle) aur kaftūrī.

15kan’ān kā pahlauṭhā saidā thā.kan’ān zail kī qaumoṅ kā bāp bhīthā: hittī 16yabūsī, amorī, jirjāsī,17hiwwī, arqī, sīnī, 18arwādī, samārīaur hamātī. bād meṅ kan’ānī qabīleitne phail gae 19ki un kī hudūd shimālmeṅ saidā se junūb kī taraf jirār se hokar ġhazzā tak aur wahāṅ se mashriqkī taraf sadūm, amūrā, admā aurzaboīm se ho kar lasā tak thīṅ.

20yih sab hām kī aulād haiṅ, jo unke apne apne qabīle, apnī apnī zabān,

Page 20: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

20 paidāish 11:9

apne apne mulk aur apnī apnī qaumke mutābiq darj haiṅ.

sim kī nasl21sim yāfat kā baṛā bhāī thā. us ke

bhī beṭe paidā hue. sim tamām banīibar kā bāp hai.

22sim ke beṭe ailām, asūr, arfaksad,lūd aur arām the.

23arām ke beṭe ūz, hūl, jatar aurmas the.

24arfaksad kā beṭā silah aur silah kābeṭā ibar thā.

25ibar ke hāṅ do beṭe paidā hue. ekkā nām falaj yānī taqsīm thā, kyūṅkiun ayyām meṅ duniyā taqsīm huī.falaj ke bhāī kā nām yuqtān thā.

26yuqtān ke beṭe almūdād, salaf,hasarmāwat, irāḳh, 27hadūrām, ūzāl,diqlā, 28ūbāl, abīmāel, sabā, 29ofīr,hawīlā aur yūbāb the. yih sab yuqtānke beṭe the. 30wuh mesā se le karsafār aur mashriqī pahāṛī ilāqe takābād the.

31yih sab sim kī aulād haiṅ, jo apneapne qabīle, apnī apnī zabān, apneapne mulk aur apnī apnī qaum kemutābiq darj haiṅ.

32yih sab nūh ke beṭoṅ ke qabīlehaiṅ, jo apnī nasloṅ aur qaumoṅ kemutābiq darj kie gae haiṅ. sailāb kebād tamām qaumeṅ in hī se nikal karrū-e-zamīn par phail gaīṅ.

bābal kā burj

11 us waqt tak pūrī duniyā kelog ek hī zabān bolte the.

2mashriq kī taraf baṛhte baṛhte wuhsin’ār ke ek maidān meṅ pahuṅchkar wahāṅ ābād hue. 3tab wuh ekdūsre se kahne lage, “āo, ham miṭṭīse īṅṭeṅ banā kar unheṅ āg meṅ ḳhūbpakāeṅ.” unhoṅ ne tāmīrī kām ke liepatthar kī jagah īṅṭeṅ aur masāle kījagah tārkol istemāl kiyā. 4phir wuhkahne lage, “āo, ham apne lie shahrbanā leṅ jis meṅ aisā burj ho jo āsmāntak pahuṅch jāe phir hamārā nāmqāim rahegā aur ham rū-e-zamīn parbikhar jāne se bach jāeṅge.”

5lekin rab us shahr aur burj kodeḳhne ke lie utar āyā jise log banārahe the. 6rab ne kahā, “yih log ek hīqaum haiṅ aur ek hī zabān bolte haiṅ.aur yih sirf us kā āġhāz hai jo wuhkarnā chāhte haiṅ. ab se jo bhī wuhmil kar karnā chāheṅge us se unheṅrokā nahīṅ jā sakegā. 7is lie āo, hamduniyā meṅ utar kar un kī zabān kodarham-barham kar deṅ tāki wuh ekdūsre kī bāt samajh na pāeṅ.”

8is tarīqe se rab ne unheṅ tamāmrū-e-zamīn par muntashir kar diyā,aur shahr kī tāmīr ruk gaī. 9islie shahr kā nām bābal yānī abtarīṭhahrā, kyūṅki rab ne wahāṅ tamāmlogoṅ kī zabān ko darham-barhamkarke unheṅ tamām rū-e-zamīn parmuntashir kar diyā.

Page 21: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 11:10 21

sim se abrām tak kā nasabnāmā10yih sim kā nasabnāmā hai:sim 100 sāl kā thā jab us kā beṭā

arfaksad paidā huā. yih sailāb ke dosāl bād huā. 11is ke bād wuh mazīd500 sāl zindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.

12arfaksad 35 sāl kā thā jab silahpaidā huā. 13is ke bād wuh mazīd 403sāl zindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅbhī paidā hue.

14silah 30 sāl kā thā jab ibar paidāhuā. 15is ke bād wuh mazīd 403 sālzindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhīpaidā hue.

16ibar 34 sāl kā thā jab falaj paidāhuā. 17is ke bād wuh mazīd 430 sālzindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhīpaidā hue.

18falaj 30 sāl kā thā jab raū paidāhuā. 19is ke bād wuh mazīd 209 sālzindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhīpaidā hue.

20raū 32 sāl kā thā jab sarūj paidāhuā. 21is ke bād wuh mazīd 207 sālzindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhīpaidā hue.

22sarūj 30 sāl kā thā jab nahūr paidāhuā. 23is ke bād wuh mazīd 200 sālzindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhīpaidā hue.

24nahūr 29 sāl kā thā jab tārah paidāhuā. 25is ke bād wuh mazīd 119 sālzindā rahā. us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhīpaidā hue.

26tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭeabrām, nahūr aur hārān paidā hue.

27yih tārah kā nasabnāmā hai:abrām, nahūr aur hārān tārah ke beṭethe. lūt hārān kā beṭā thā. 28apnebāp tārah kī zindagī meṅ hī hārānkasdiyoṅ ke ūr meṅ intiqāl kar gayājahāṅ wuh paidā bhī huā thā.

29bāqī donoṅ beṭoṅ kī shādī huī.abrām kī bīwī kā nām sāray thā aurnahūr kī bīwī kā nām milkāh. milkāhhārān kī beṭī thī, aur us kī ek bahanbanām iskā thī. 30sāray bāṅjh thī, islie us ke bachche nahīṅ the.

31tārah kasdiyoṅ ke ūr se rawānāho kar mulk-e-kan’ān kī taraf safarkarne lagā. us ke sāth us kā beṭāabrām, us kā potā lūt yānī hārān kābeṭā aur us kī bahū sāray the. jabwuh hārān pahuṅche to wahāṅ ābādho gae. 32tārah 205 sāl kā thā jab usne hārān meṅ wafāt pāī.

abrām kī bulāhaṭ

12 rab ne abrām se kahā, “apnewatan, apne rishtedāroṅ aur

apne bāp ke ghar ko chhoṛ kar usmulk meṅ chalā jā jo maiṅ tujhedikhāūṅgā. 2maiṅ tujh se ek baṛīqaum banāūṅgā, tujhe barkat dūṅgāaur tere nām ko bahut baṛhāūṅgā. tūdūsroṅ ke lie barkat kā bāis hogā.3jo tujhe barkat deṅge unheṅ maiṅbhī barkat dūṅgā. jo tujh par lānatkaregā us par maiṅ bhī lānat karūṅga.

Page 22: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

22 paidāish 12:20

duniyā kī tamām qaumeṅ tujh sebarkat pāeṅgī.”

4abrām ne rab kī sunī aur hārān serawānā huā. lūt us ke sāth thā. uswaqt abrām 75 sāl kā thā. 5us kesāth us kī bīwī sāray aur us kā bhatījālūt the. wuh apne naukar-chākaroṅsamet apnī pūrī milkiyat bhī sāth legayā jo us ne hārān meṅ hāsil kī thī.chalte chalte wuh kan’ān pahuṅche.6abrām us mulk meṅ se guzar karsikam ke maqām par ṭhahar gayājahāṅ morih ke balūt kā daraḳht thā.us zamāne meṅ mulk meṅ kan’ānīqaumeṅ ābād thīṅ.

7wahāṅ rab abrām par zāhir huāaur us se kahā, “maiṅ terī aulād ko yihmulk dūṅgā.” is lie us ne wahāṅ rabkī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī jahāṅwuh us par zāhir huā thā. 8wahāṅ sewuh us pahāṛī ilāqe kī taraf gayā jobait-el ke mashriq meṅ hai. wahāṅus ne apnā ḳhaimā lagāyā. maġhribmeṅ bait-el thā aur mashriq meṅ aī.is jagah par bhī us ne rab kī tāzīmmeṅ qurbāngāh banāī aur rab kā nāmle kar ibādat kī.

9phir abrām dubārā rawānā ho karjunūb ke dasht-e-najab kī taraf chalpaṛā.

abrām misr meṅ10un dinoṅ meṅ mulk-e-kan’ān

meṅ kāl paṛā. kāl itnā saḳht thā kiabrām us se bachne kī ḳhātir kuchh

der ke lie misr meṅ jā basā, lekinpardesī kī haisiyat se. 11jab wuh misrkī sarhad ke qarīb āe to us ne apnībīwī sāray se kahā, “maiṅ jāntā hūṅki tū kitnī ḳhūbsūrat hai. 12misrītujhe dekheṅge, phir kaheṅge, ‘yihis kā shauhar hai.’ natīje meṅ wuhmujhe mār ḍāleṅge aur tujhe zindāchhoṛeṅge. 13is lie logoṅ se yih kahterahnā ki maiṅ abrām kī bahan hūṅ.phir mere sāth achchhā sulūk kiyājāegā aur merī jān tere sabab se bachjāegī.”

14jab abrām misr pahuṅchā towāqaī misriyoṅ ne dekhā ki sāraynihāyat hī ḳhūbsūrat hai. 15aur jabfir’aun ke afsarān ne use dekhā tounhoṅ ne fir’aun ke sāmne sāray kītārīf kī. āḳhirkār use mahal meṅpahuṅchāyā gayā. 16fir’aun ne sāraykī ḳhātir abrām par ehsān karkeuse bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe-gadhiyāṅ, naukar-chākar aur ūṅṭ die.

17lekin rab ne sāray ke sabab sefir’aun aur us ke gharāne meṅ saḳhtqism ke amrāz phailāe. 18āḳhirkārfir’aun ne abrām ko bulā kar kahā, “tūne mere sāth kyā kiyā? tū ne mujhekyūṅ nahīṅ batāyā ki sāray terī bīwīhai? 19tū ne kyūṅ kahā ki wuh merībahan hai? is dhoke kī binā par maiṅne use ghar meṅ rakh liyā tāki us seshādī karūṅ. dekh, terī bīwī hāzir hai.ise le kar yahāṅ se nikal jā!” 20phirfir’aun ne apne sipāhiyoṅ ko hukm

Page 23: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 13:1 23

diyā, aur unhoṅ ne abrām, us kī bīwīaur pūrī milkiyat ko ruḳhsat karkemulk se rawānā kar diyā.

abrām aur lūt alag ho jāte haiṅ

13 abrām apnī bīwī, lūt aurtamām jāydād ko sāth le kar

misr se niklā aur kan’ān ke junūbīilāqe dasht-e-najab meṅ wāpas āyā.

2abrām nihāyat daulatmand hogayā thā. us ke pās bahut se maweshīaur sonā-chāṅdī thī. 3wahāṅ sejagah-ba-jagah chalte hue wuhāḳhirkār bait-el se ho kar us maqāmtak pahuṅch gayā jahāṅ us ne shurūmeṅ apnā ḍerā lagāyā thā aur jo bait-el aur aī ke darmiyān thā. 4wahāṅjahāṅ us ne qurbāngāh banāī thī usne rab kā nām le kar us kī ibādat kī.

5lūt ke pās bhī bahut sī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ḳhaime the.6natījā yih niklā ki āḳhirkār wuh milkar na rah sake, kyūṅki itnī jagahnahīṅ thī ki donoṅ ke rewaṛ ek hījagah par char sakeṅ. 7abrām aur lūtke charwāhe āpas meṅ jhagaṛne lage.(us zamāne meṅ kan’ānī aur farizzībhī mulk meṅ ābād the.) 8tab abrāmne lūt se bāt kī, “aisā nahīṅ honāchāhie ki tere aur mere darmiyānjhagaṛā ho yā tere charwāhoṅ aurmere charwāhoṅ ke darmiyān. hamto bhāī haiṅ. 9kyā zarūrat hai kiham mil kar raheṅ jabki tū āsānī se ismulk kī kisī aur jagah rah saktā hai.

behtar hai ki tū mujh se alag ho karkahīṅ aur rahe. agar tū bāeṅ hāth jāeto maiṅ dāeṅ hāth jāūṅgā, aur agartū dāeṅ hāth jāe to maiṅ bāeṅ hāthjāūṅgā.”

10lūt ne apnī nazar uṭhā kar dekhāki daryā-e-yardan ke pūre ilāqemeṅ zuġhar tak pānī kī kasrat hai.wuh rab ke bāġh yā mulk-e-misrkī mānind thā, kyūṅki us waqt rabne sadūm aur amūrā ko tabāh nahīṅkiyā thā. 11chunāṅche lūt ne daryā-e-yardan ke pūre ilāqe ko chun liyā aurmashriq kī taraf jā basā. yūṅ donoṅrishtedār ek dūsre se judā ho gae.12abrām mulk-e-kan’ān meṅ rahājabki lūt yardan ke ilāqe ke shahroṅke darmiyān ābād ho gayā. wahāṅus ne apne ḳhaime sadūm ke qarīblagā die. 13lekin sadūm ke bāshindenihāyat sharīr the, aur un ke rab keḳhilāf gunāh nihāyat makrūh the.

rab kā abrām ke sāth dubārā wādā14lūt abrām se judā huā to rab

ne abrām se kahā, “apnī nazar uṭhākar chāroṅ taraf yānī shimāl, junūb,mashriq aur maġhrib kī taraf dekh.15jo bhī zamīn tujhe nazar āe usemaiṅ tujhe aur terī aulād ko hameshāke lie detā hūṅ. 16maiṅ terī aulād koḳhāk kī tarah beshumār hone dūṅgā.jis tarah ḳhāk ke zarre gine nahīṅjā sakte usī tarah terī aulād bhī ginīnahīṅ jā sakegī. 17chunāṅche uṭh kar

Page 24: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

24 paidāish 14:14

is mulk kī har jagah chal phir, kyūṅkimaiṅ ise tujhe detā hūṅ.”

18abrām rawānā huā. chalte chalteus ne apne ḍere habrūn ke qarībmamre ke daraḳhtoṅ ke pās lagāe.wahāṅ us ne rab kī tāzīm meṅqurbāngāh banāī.

abrām lūt ko chhuṛātā hai

14 kan’ān meṅ jang huī.bairūn-e-mulk ke chār

bādshāhoṅ ne kan’ān ke pāṅchbādshāhoṅ se jang kī. bairūn-e-mulkke bādshāh yih the: sin’ār se amrāfil,illāsar se aryūk, ailām se kidarlāumaraur joim se tid’āl. 2kan’ān ke bādshāhyih the: sadūm se birā, amūrā sebirshā, admā se sinyāb, zaboīm seshimebar aur bālā yānī zuġhar kābādshāh.

3kan’ān ke in pāṅch bādshāhoṅkā ittihād huā thā aur wuh wādī-e-siddīm meṅ jamā hue the. (ab siddīmnahīṅ hai, kyūṅki us kī jagah bahīrā-e-murdār ā gayā hai). 4kidarlāumarne bārah sāl tak un par hukūmat kīthī, lekin terhweṅ sāl wuh bāġhī hogae the.

5ab ek sāl ke bād kidarlāumar aurus ke ittihādī apnī faujoṅ ke sāth āe.pahle unhoṅ ne astārāt-qarnaim meṅrafāiyoṅ ko, hām meṅ zūziyoṅ ko,sawī-qiryatāim meṅ aimiyoṅ ko 6aurhoriyoṅ ko un ke pahāṛī ilāqe saīrmeṅ shikast dī. yūṅ wuh el-fārān

tak pahuṅch gae jo registān ke kinārepar hai. 7phir wuh wāpas āe aur ain-misfāt yānī qādis pahuṅche. unhoṅne amālīqiyoṅ ke pūre ilāqe ko tabāhkar diyā aur hassūn-tamr meṅ ābādamoriyoṅ ko bhī shikast dī.

8us waqt sadūm, amūrā, admā,zaboīm aur bālā yānī zuġhar kebādshāh un se laṛne ke lie siddīmkī wādī meṅ jamā hue. 9in pāṅchbādshāhoṅ ne ailām ke bādshāhkidarlāumar, joim ke bādshāh tid’āl,sin’ār ke bādshāh amrāfil aur illāsarke bādshāh aryūk kā muqābalā kiyā.10is wādī meṅ tārkol ke muta’addidgaṛhe the. jab bāġhī bādshāh shikastkhā kar bhāgne lage to sadūmaur amūrā ke bādshāh in gaṛhoṅmeṅ gir gae jabki bāqī tīn bādshāhbach kar pahāṛī ilāqe meṅ farārhue. 11fathmand bādshāh sadūm auramūrā kā tamām māl tamām khānewālī chīzoṅ samet lūṭ kar wāpas chaldie. 12abrām kā bhatījā lūt sadūmmeṅ rahtā thā, is lie wuh use bhī uskī milkiyat samet chhīn kar sāth legae.

13lekin ek ādmī ne jo bach niklā thāibrānī mard abrām ke pās ā kar usesab kuchh batā diyā. us waqt wuhmamre ke daraḳhtoṅ ke pās ābād thā.mamre amorī thā. wuh aur us ke bhāīiskāl aur āner abrām ke ittihādī the.14jab abrām ko patā chalā ki bhatījeko giriftār kar liyā gayā hai to us

Page 25: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 14:15 25

ne apne ghar meṅ paidā hue tamāmjangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karkedān tak dushman kā tāqqub kiyā. uske sāth 318 afrād the. 15wahāṅ us neapne bandoṅ ko gurohoṅ meṅ taqsīmkarke rāt ke waqt dushman par hamlākiyā. dushman shikast khā kar bhāggayā aur abrām ne damishq ke shimālmeṅ wāqe ḳhūbā tak us kā tāqqubkiyā. 16wuh un se lūṭā huā tamāmmāl wāpas le āyā. lūt, us kī jāydād,aurateṅ aur bāqī qaidī bhī dushmanke qabze se bach nikle.

malik-e-sidq, sālim kā bādshāh17jab abrām kidarlāumar aur us

ke ittihādiyoṅ par fath pāne kebād wāpas pahuṅchā to sadūm kābādshāh us se milne ke lie wādī-e-sawī meṅ āyā. (ise ājkal bādshāhkī wādī kahā jātā hai.) 18sālimkā bādshāh malik-e-sidq bhī wahāṅpahuṅchā. wuh apne sāth roṭī aurmai le āyā. malik-e-sidq allāh t’ālā kāimām thā. 19us ne abrām ko barkatde kar kahā, “abrām par allāh t’ālākī barkat ho, jo āsmān-o-zamīn kāḳhāliq hai. 20allāh t’ālā mubārak hojis ne tere dushmanoṅ ko tere hāthmeṅ kar diyā hai.” abrām ne usetamām māl kā daswāṅ hissā diyā.

21sadūm ke bādshāh ne abrām sekahā, “mujhe mere log wāpas kar deṅaur bāqī chīzeṅ apne pās rakh leṅ.”22lekin abrām ne us se kahā, “maiṅ ne

rab se qasam khāī hai, allāh t’ālā sejo āsmān-o-zamīn kā ḳhāliq hai 23kimaiṅ us meṅ se kuchh nahīṅ lūṅgājo āp kā hai, chāhe wuh dhāgā yājūtī kā tasmā hī kyūṅ na ho. aisā naho ki āp kaheṅ, ‘maiṅ ne abrām kodaulatmand banā diyā hai.’ 24siwāe uskhāne ke jo mere ādmiyoṅ ne rāstemeṅ khāyā hai maiṅ kuchh qabūlnahīṅ karūṅga. lekin mere ittihādīāner, iskāl aur mamre zarūr apnāapnā hissā leṅ.”

abrām ke sāth rab kā ahd

15 is ke bād rab royā meṅ abrāmse hamkalām huā, “abrām,

mat ḍar. maiṅ hī terī sipar hūṅ, maiṅhī terā bahut baṛā ajr hūṅ.”

2lekin abrām ne etirāz kiyā, “ai rabqādir-e-mutlaq, tū mujhe kyā degājabki abhī tak mere hāṅ koī bachchānahīṅ hai aur ilīazar damishqī merīmīrās pāegā. 3tū ne mujhe aulādnahīṅ baḳhshī, is lie mere gharānekā naukar merā wāris hogā.” 4tababrām ko allāh se ek aur kalām milā.“yih ādmī ilīazar terā wāris nahīṅhogā balki terā apnā hī beṭā terāwāris hogā.” 5rab ne use bāhar le jākar kahā, “āsmān kī taraf dekh aursitāroṅ ko ginane kī koshish kar. terīaulād itnī hī beshumār hogī.”

6abrām ne rab par bharosā rakhā.is binā par allāh ne use rāstbāz qarārdiyā.

Page 26: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

26 paidāish 16:5

7phir rab ne us se kahā, “maiṅ rabhūṅ jo tujhe kasdiyoṅ ke ūr se yahāṅle āyā tāki tujhe yih mulk mīrās meṅde dūṅ.” 8abrām ne pūchhā, “airab qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarahjānūṅ ki is mulk par qabzā karūṅga?”9jawāb meṅ rab ne kahā, “mere huzūrek tīnsālā gāy, ek tīnsālā bakrī aur ektīnsālā menḍhā le ā. ek qumrī aurek kabūtar kā bachchā bhī le ānā.”10abrām ne aisā hī kiyā aur phir harek jānwar ko do hissoṅ meṅ kāṭ karun ko ek dūsre ke āmne-sāmne rakhdiyā. lekin parindoṅ ko us ne sālimrahne diyā. 11shikārī parinde unpar utarne lage, lekin abrām unheṅbhagātā rahā.

12jab sūraj ḍūbne lagā to abrām pargahrī nīnd tārī huī. us par dahshataur andherā hī andherā chhā gayā.13phir rab ne us se kahā, “jān le kiterī aulād aise mulk meṅ rahegī jo uskā nahīṅ hogā. wahāṅ wuh ajnabīaur ġhulām hogī, aur us par 400 sāltak bahut zulm kiyā jāegā. 14lekinmaiṅ us qaum kī adālat karūṅga jisne use ġhulām banāyā hogā. is kebād wuh baṛī daulat pā kar us mulk senikleṅge. 15tū ḳhud umrrasīdā ho karsalāmatī ke sāth intiqāl karke apnebāpdādā se jā milegā aur dafnāyājāegā. 16terī aulād kī chauthī pushtġhairwatan se wāpas āegī, kyūṅki uswaqt tak maiṅ amoriyoṅ ko bardāshtkarūṅga. lekin āḳhirkār un ke gunāh

itne sangīn ho jāeṅge ki maiṅ unheṅmulk-e-kan’ān se nikāl dūṅgā.”

17sūraj ġhurūb huā. andherā chhāgayā. achānak ek dhuāṅdār tanūr aurek bhaṛaktī huī mash’al nazar āī aurjānwaroṅ ke do do ṭukṛoṅ ke bīchmeṅ se guzare.

18us waqt rab ne abrām ke sāthahd kiyā. us ne kahā, “maiṅ yihmulk misr kī sarhad se furāt tak terīaulād ko dūṅgā, 19agarche abhī takis meṅ qīnī, qanizzī, kadmūnī, 20hittī,farizzī, rafāī, 21amorī, kan’ānī, jirjāsīaur yabūsī ābād haiṅ.”

hājirā aur ismāīl

16 ab tak abrām kī bīwī sārayke koī bachchā nahīṅ huā

thā. lekin unhoṅ ne ek misrī launḍīrakhī thī jis kā nām hājirā thā, 2aurek din sāray ne abrām se kahā, “rabne mujhe bachche paidā karne semahrūm rakhā hai, is lie merī launḍīke sāth hambistar hoṅ. shāyad mujheus kī mārifat bachchā mil jāe.”

abrām ne sāray kī bāt mān lī.3chunāṅche sāray ne apnī misrīlaunḍī hājirā ko apne shauhar abrāmko de diyā tāki wuh us kī bīwī ban jāeus waqt abrām ko kan’ān meṅ bastehue das sāl ho gae the. 4abrām hājirāse hambistar huā to wuh ummīd seho gaī. jab hājirā ko yih mālūm huāto wuh apnī mālikan ko haqīr jānanelagī. 5tab sāray ne abrām se kahā,

Page 27: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 16:6 27

“jo zulm mujh par kiyā jā rahā haiwuh āp hī par āe. maiṅ ne ḳhud iseāp ke bāzū’oṅ meṅ de diyā thā. abjab ise mālūm huā hai ki ummīd sehai to mujhe haqīr jānane lagī hai.rab mere aur āp ke darmiyān faislākare.” 6abrām ne jawāb diyā, “dekho,yih tumhārī launḍī hai aur tumhāreiḳhtiyār meṅ hai. jo tumhārā jī chāheus ke sāth karo.”

is par sāray us se itnā burā sulūkkarne lagī ki hājirā farār ho gaī. 7rabke farishte ko hājirā registān ke uschashme ke qarīb milī jo shūr ke rāstepar hai. 8us ne kahā, “sāray kī launḍīhājirā, tū kahāṅ se ā rahī hai aurkahāṅ jā rahī hai?” hājirā ne jawābdiyā, “maiṅ apnī mālikan sāray sefarār ho rahī hūṅ.” 9rab ke farishtene us se kahā, “apnī mālikan ke pāswāpas chalī jā aur us ke tābe rah.10maiṅ terī aulād itnī baṛhāūṅgā kiuse ginā nahīṅ jā sakegā.” 11rab kefarishte ne mazīd kahā, “tū ummīd sehai. ek beṭā paidā hogā. us kā nāmismāīl yānī ‘allāh suntā hai’ rakh,kyūṅki rab ne musībat meṅ terī āwāzsunī. 12wuh janglī gadhe kī mānindhogā. us kā hāth har ek ke ḳhilāfaur har ek kā hāth us ke ḳhilāf hogā.to bhī wuh apne tamām bhāiyoṅ kesāmne ābād rahegā.”

13rab ke us ke sāth bāt karne ke bādhājirā ne us kā nām attā-el-roī yānī‘tū ek mābūd hai jo mujhe deḳhtā

hai’ rakhā. us ne kahā, “kyā maiṅ newāqaī us ke pīchhe dekhā hai jis nemujhe dekhā hai?” 14is lie us jagah kekueṅ kā nām ‘bair-lahī-roī’ yānī ‘uszindā hastī kā kuāṅ jo mujhe deḳhtāhai’ paṛ gayā. wuh qādis aur barad kedarmiyān wāqe hai.

15hājirā wāpas gaī, aur us ke beṭāpaidā huā. abrām ne us kā nām ismāīlrakhā. 16us waqt abrām 86 sāl kā thā.

ahd kā nishān: ḳhatnā

17 jab abrām 99 sāl kā thā torab us par zāhir huā. us

ne kahā, “maiṅ allāh qādir-e-mutlaqhūṅ. mere huzūr chaltā rah aurbe’ilzām ho. 2maiṅ tere sāth apnā ahdbāndhūṅgā aur terī aulād ko bahut hīzyādā baṛhā dūṅgā.”

3abrām muṅh ke bal gir gayā, aurallāh ne us se kahā, 4“merā tere sāthahd hai ki tū bahut qaumoṅ kā bāphogā. 5ab se tū abrām yānī ‘azīmbāp’ nahīṅ kahlāegā balki terā nāmibrāhīm yānī ‘bahut qaumoṅ kā bāp’hogā. kyūṅki maiṅ ne tujhe bahutqaumoṅ kā bāp banā diyā hai. 6maiṅtujhe bahut hī zyādā aulād baḳhshdūṅgā, itnī ki qaumeṅ baneṅgī. tujhse bādshāh bhī nikleṅge. 7maiṅ apnāahd tere aur terī aulād ke sāth nasl-dar-nasl qāim karūṅga, ek abadī ahdjis ke mutābiq maiṅ terā aur terīaulād kā ḳhudā hūṅgā. 8tū is waqtmulk-e-kan’ān meṅ pardesī hai, lekin

Page 28: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

28 paidāish 17:23

maiṅ is pūre mulk ko tujhe aur terīaulād ko detā hūṅ. yih hameshā takun kā hī rahegā, aur maiṅ un kāḳhudā hūṅgā.”

9allāh ne ibrāhīm se yih bhī kahā,“tujhe aur terī aulād ko nasl-dar-naslmere ahd kī sharāit pūrī karnī haiṅ.10is kī ek shart yih hai ki har ek mardkā ḳhatnā kiyā jāe 11apnā ḳhatnākarāo. yih hamāre āpas ke ahd kāzāhirī nishān hogā. 12lāzim hai kitū aur terī aulād nasl-dar-nasl apnehar ek beṭe kā āṭhweṅ din ḳhatnākarwāeṅ. yih usūl us par bhī lāgū haijo tere ghar meṅ rahtā hai lekin tujhse rishtā nahīṅ rakhtā, chāhe wuhghar meṅ paidā huā ho yā kisī ajnabīse ḳharīdā gayā ho. 13ghar ke harek mard kā ḳhatnā karnā lāzim hai,ḳhwāh wuh ghar meṅ paidā huā hoyā kisī ajnabī se ḳharīdā gayā ho. yihis bāt kā nishān hogā ki merā teresāth ahd hameshā tak qāim rahegā.14jis mard kā ḳhatnā na kiyā gayāuse us kī qaum meṅ se miṭāyā jāegā,kyūṅki us ne mere ahd kī sharāit pūrīna kīṅ.”

15allāh ne ibrāhīm se yih bhī kahā,“apnī bīwī sāray kā nām bhī badaldenā. ab se us kā nām sāray nahīṅbalki sārā yānī shahzādī hogā. 16maiṅuse barkat baḳhshūṅgā aur tujhe uskī mārifat beṭā dūṅgā. maiṅ useyahāṅ tak barkat dūṅgā ki us se

qaumeṅ balki qaumoṅ ke bādshāhnikleṅge.”

17ibrāhīm muṅh ke bal gir gayā.lekin dil hī dil meṅ wuh haṅs paṛāaur sochā, “yih kis tarah ho saktā hai?maiṅ to 100 sāl kā hūṅ. aise ādmī kehāṅ bachchā kis tarah paidā ho saktāhai? aur sārā jaisī umrrasīdā aurat kebachchā kis tarah paidā ho saktā hai?us kī umr to 90 sāl hai.” 18us ne allāhse kahā, “hāṅ, ismāīl hī tere sāmnejītā rahe.”

19allāh ne kahā, “nahīṅ, terī bīwīsārā ke hāṅ beṭā paidā hogā. tūus kā nām is’hāq yānī ‘wuh haṅstāhai’ rakhnā. maiṅ us ke aur us kīaulād ke sāth abadī ahd bāndhūṅgā.20maiṅ ismāīl ke silsile meṅ bhī terīdarḳhwāst pūrī karūṅga. maiṅ usebhī barkat de kar phalne phūlnedūṅgā aur us kī aulād bahut hī zyādābaṛhā dūṅgā. wuh bārah raīsoṅ kābāp hogā, aur maiṅ us kī mārifat ekbaṛī qaum banāūṅgā. 21lekin merāahd is’hāq ke sāth hogā, jo ain ek sālke bād sārā ke hāṅ paidā hogā.”

22allāh kī ibrāhīm ke sāth bāt ḳhatmhuī, aur wuh us ke pās se āsmān parchalā gayā.

23usī din ibrāhīm ne allāh kā hukmpūrā kiyā. us ne ghar ke har ek mardkā ḳhatnā karwāyā, apne beṭe ismāīlkā bhī aur un kā bhī jo us ke ghar meṅrahte lekin us se rishtā nahīṅ rakhtethe, chāhe wuh us ke ghar meṅ paidā

Page 29: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 17:24 29

hue the yā ḳharīde gae the. 24ibrāhīm99 sāl kā thā jab us kā ḳhatnā huā,25jabki us kā beṭā ismāīl 13 sāl kā thā.26donoṅ kā ḳhatnā usī din huā. 27sāthsāth gharāne ke tamām bāqī mardoṅkā ḳhatnā bhī huā, bashamūl un kejin kā ibrāhīm ke sāth rishtā nahīṅthā, chāhe wuh ghar meṅ paidā hueyā kisī ajnabī se ḳharīde gae the.

mamre meṅ ibrāhīm ke tīn mehmān

18 ek din rab mamre kedaraḳhtoṅ ke pās ibrāhīm

par zāhir huā. ibrāhīm apne ḳhaimeke darwāze par baiṭhā thā. din kīgarmī urūj par thī. 2achānak usne dekhā ki tīn mard mere sāmnekhaṛe haiṅ. unheṅ deḳhte hī wuhḳhaime se un se milne ke lie dauṛāaur muṅh ke bal gir kar sijdā kiyā.3us ne kahā, “mere āqā, agar mujhpar āp ke karm kī nazar hai to āge nabaṛheṅ balki kuchh der apne bandeke ghar ṭhahreṅ. 4agar ijāzat ho tomaiṅ kuchh pānī le āūṅ tāki āp apnepāoṅ dho kar daraḳht ke sāy meṅārām kar sakeṅ. 5sāth sāth maiṅ āp kelie thoṛā bahut khānā bhī le āūṅ tākiāp taqwiyat pā kar āge baṛh sakeṅ.mujhe yih karne deṅ, kyūṅki āp apneḳhādim ke ghar ā gae haiṅ.” unhoṅne kahā, “ṭhīk hai. jo kuchh tū nekahā hai wuh kar.”

6ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ karsārā ke pās āyā aur kahā, “jaldī karo!

16 kilogrām behtarīn maidā le aur usegūṅdh kar roṭiyāṅ banā.” 7phir wuhbhāg kar bailoṅ ke pās pahuṅchā. unmeṅ se us ne ek moṭā-tāzā bachhṛāchun liyā jis kā gosht narm thā auruse apne naukar ko diyā jis ne jaldīse use tayyār kiyā. 8jab khānā tayyārthā to ibrāhīm ne use le kar lassīaur dūdh ke sāth apne mehmānoṅ keāge rakh diyā. wuh khāne lage auribrāhīm un ke sāmne daraḳht ke sāymeṅ khaṛā rahā.

9unhoṅ ne pūchhā, “terī bīwī sārākahāṅ hai?” us ne jawāb diyā,“ḳhaime meṅ.” 10rab ne kahā, “ain eksāl ke bād maiṅ wāpas āūṅgā to terībīwī sārā ke beṭā hogā.”

sārā yih bāteṅ sun rahī thī, kyūṅkiwuh us ke pīchhe ḳhaime ke darwāzeke pās thī. 11donoṅ miyāṅ-bīwī būṛheho chuke the aur sārā us umr se guzarchukī thī jis meṅ auratoṅ ke bachchepaidā hote haiṅ. 12is lie sārā andarhī andar haṅs paṛī aur sochā, “yihkaise ho saktā hai? kyā jab maiṅbuṛhāpe ke bāis ghise phaṭe libās kīmānind hūṅ to jawānī ke joban kālutf uṭhāūṅ? aur merā shauhar bhībūṛhā hai.”

13rab ne ibrāhīm se pūchhā, “sārākyūṅ haṅs rahī hai? wuh kyūṅkah rahī hai, ‘kyā wāqaī mere hāṅbachchā paidā hogā jabki maiṅ itnīumrrasīdā hūṅ?’ 14kyā rab ke liekoī kām nāmumkin hai? ek sāl ke

Page 30: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

30 paidāish 18:29

bād muqarrarā waqt par maiṅ wāpasāūṅgā to sārā ke beṭā hogā.” 15sārāḍar gaī. us ne jhūṭ bol kar inkār kiyā,“maiṅ nahīṅ haṅs rahī thī.”

rab ne kahā, “nahīṅ, tū zarūr haṅsrahī thī.”

ibrāhīm sadūm ke lie minnat kartā hai16phir mehmān uṭh kar rawānā hue

aur nīche wādī meṅ sadūm kī tarafdeḳhne lage. ibrāhīm unheṅ ruḳhsatkarne ke lie sāth sāth chal rahā thā.17rab ne dil meṅ kahā, “maiṅ ibrāhīmse wuh kām kyūṅ chhupāe rakhūṅ jomaiṅ karne ke lie jā rahā hūṅ? 18isī seto ek baṛī aur tāqatwar qaum niklegīaur isī se maiṅ duniyā kī tamāmqaumoṅ ko barkat dūṅgā. 19usī komaiṅ ne chun liyā hai tāki wuh apnīaulād aur apne bād ke gharāne kohukm de ki wuh rab kī rāh par chalkar rāst aur munsifānā kām kareṅ.kyūṅki agar wuh aisā kareṅ to rabibrāhīm ke sāth apnā wādā pūrākaregā.”

20phir rab ne kahā, “sadūm auramūrā kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅbuland ho rahī haiṅ, kyūṅki un sebahut sangīn gunāh sarzad ho rahehaiṅ. 21maiṅ utar kar un ke pāsjā rahā hūṅ tāki dekhūṅ ki yihilzām wāqaī sach haiṅ jo mujh takpahuṅche haiṅ. agar aisā nahīṅ haito maiṅ yih jānanā chāhtā hūṅ.”

22dūsre do ādmī sadūm kī tarafāge nikle jabki rab kuchh der ke liewahāṅ ṭhahrā rahā aur ibrāhīm us kesāmne khaṛā rahā. 23phir us ne qarībā kar us se bāt kī, “kyā tū rāstbāzoṅko bhī sharīroṅ ke sāth tabāh kardegā? 24ho saktā hai ki shahr meṅ50 rāstbāz hoṅ. kyā tū phir bhī shahrko barbād kar degā aur use un 50 kesabab se muāf nahīṅ karegā? 25yihkaise ho saktā hai ki tū bequsūroṅ kosharīroṅ ke sāth halāk kar de? yihto nāmumkin hai ki tū nek aur sharīrlogoṅ se ek jaisā sulūk kare. kyālāzim nahīṅ ki pūrī duniyā kā munsifinsāf kare?”

26rab ne jawāb diyā, “agar mujheshahr meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ toun ke sabab se tamām ko muāf kardūṅgā.”

27ibrāhīm ne kahā, “maiṅ muāfīchāhtā hūṅ ki maiṅ ne rab se bātkarne kī jur’at kī hai agarche maiṅḳhāk aur rākh hī hūṅ. 28lekin hosaktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅhoṅ. kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅkī kamī ke sabab se pūre shahr kotabāh karegā?” us ne kahā, “agarmujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbādnahīṅ karūṅga.”

29ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī,“aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?”rab ne kahā, “maiṅ un 40 ke sabab seunheṅ chhoṛ dūṅgā.”

Page 31: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 18:30 31

30ibrāhīm ne kahā, “rab ġhussā nakare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ.shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” us nejawāb diyā, “phir bhī unheṅ chhoṛdūṅgā.”

31ibrāhīm ne kahā, “maiṅ muāfīchāhtā hūṅ ki maiṅ ne rab se bātkarne kī jur’at kī hai. agar sirf 20pāe jāeṅ?” rab ne kahā, “maiṅ 20 kesabab se shahr ko barbād karne se bāzrahūṅgā.”

32ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī,“rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aurbār bāt karūṅ. shāyad us meṅ sirf 10pāe jāeṅ.” rab ne kahā, “maiṅ use un10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅkarūṅga.”

33in bātoṅ ke bād rab chalā gayā auribrāhīm apne ghar ko lauṭ āyā.

sadūm aur amūrā kī tabāhī

19 shām ke waqt yih do farishtesadūm pahuṅche. lūt shahr

ke darwāze par baiṭhā thā. jab usne unheṅ dekhā to khaṛe ho kar unse milne gayā aur muṅh ke bal girkar sijdā kiyā. 2us ne kahā, “sāhibo,apne bande ke ghar tashrīf lāeṅ tākiapne pāoṅ dho kar rāt ko ṭhahreṅaur phir kal subhsawere uṭh kar apnāsafar jārī rakheṅ.” unhoṅ ne kahā,“koī bāt nahīṅ, ham chauk meṅ rātguzāreṅge.” 3lekin lūt ne unheṅbahut majbūr kiyā, aur āḳhirkār wuhus ke sāth us ke ghar āe. us ne un ke

lie khānā pakāyā aur beḳhamīrī roṭībanāī. phir unhoṅ ne khānā khāyā.

4wuh abhī sone ke lie leṭe nahīṅ theki shahr ke jawānoṅ se le kar būṛhoṅtak tamām mardoṅ ne lūt ke ghar kogher liyā. 5unhoṅ ne āwāz de kar lūtse kahā, “wuh ādmī kahāṅ haiṅ jo rātke waqt tere pās āe? un ko bāharle ā tāki ham un ke sāth harāmkārīkareṅ.”

6lūt un se milne bāhar gayā. us neapne pīchhe darwāzā band kar liyā7aur kahā, “mere bhāiyo, aisā matkaro, aisī badkārī na karo. 8dekho,merī do kuṅwārī beṭiyāṅ haiṅ. unheṅmaiṅ tumhāre pās bāhar le ātā hūṅ.phir jo jī chāhe un ke sāth karo. lekinin ādmiyoṅ ko chhoṛ do, kyūṅki wuhmere mehmān haiṅ.”

9unhoṅ ne kahā, “rāste se haṭ jā!dekho, yih shaḳhs jab hamāre pās āyāthā to ajnabī thā, aur ab yih ham parhākim bananā chāhtā hai. ab teresāth un se zyādā burā sulūk kareṅge.”wuh use majbūr karte karte darwāzeko toṛne ke lie āge baṛhe. 10lekin ainwaqt par andar ke ādmī lūt ko pakaṛkar andar le āe, phir darwāzā dubārāband kar diyā. 11unhoṅ ne chhoṭoṅse le kar baṛoṅ tak bāhar ke tamāmādmiyoṅ ko andhā kar diyā, aur wuhdarwāze ko ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte thakgae.

12donoṅ ādmiyoṅ ne lūt se kahā,“kyā terā koī aur rishtedār is shahr

Page 32: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

32 paidāish 19:28

meṅ rahtā hai, masalan koī dāmād yābeṭā-beṭī? sab ko sāth le kar yahāṅse chalā jā, 13kyūṅki ham yih maqāmtabāh karne ko haiṅ. is ke bāshindoṅkī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ bulandho kar rab ke huzūr pahuṅch gaī haiṅ,is lie us ne hameṅ is ko tabāh karneke lie bhejā hai.”

14lūt ghar se niklā aur apnedāmādoṅ se bāt kī jin kā us kī beṭiyoṅke sāth rishtā ho chukā thā. us nekahā, “jaldī karo, is jagah se niklo,kyūṅki rab is shahr ko tabāh karneko hai.” lekin us ke dāmādoṅ ne isemazāq hī samjhā.

15jab pau phaṭne lagī to donoṅādmiyoṅ ne lūt ko bahut samjhāyāaur kahā, “jaldī kar! apnī bīwī aurdonoṅ beṭiyoṅ ko sāth le kar chalājā, warnā jab shahr ko sazā dī jāegīto tū bhī halāk ho jāegā.” 16to bhīwuh jhijaktā rahā. āḳhirkār donoṅne lūt, us kī bīwī aur beṭiyoṅ ke hāthpakaṛ kar unheṅ shahr ke bāhar takpahuṅchā diyā, kyūṅki rab ko lūt partars ātā thā.

17jūṅ hī wuh unheṅ bāhar le āeun meṅ se ek ne kahā, “apnī jānbachā kar chalā jā. pīchhe muṛ karna deḳhnā. maidān meṅ kahīṅ naṭhaharnā balki pahāṛoṅ meṅ panāhlenā, warnā tū halāk ho jāegā.”

18lekin lūt ne un se kahā, “nahīṅmere āqā, aisā na ho. 19tere bandeko terī nazar-e-karm hāsil huī hai

aur tū ne merī jān bachāne meṅbahut mehrbānī kar dikhāī hai. lekinmaiṅ pahāṛoṅ meṅ panāh nahīṅ lesaktā. wahāṅ pahuṅchne se pahle yihmusībat mujh par ān paṛegī aur maiṅhalāk ho jāūṅgā. 20dekh, qarīb hī ekchhoṭā qasbā hai. wuh itnā nazdīkhai ki maiṅ us taraf hijrat kar saktāhūṅ. mujhe wahāṅ panāh lene de.wuh chhoṭā hī hai, nā? phir merī jānbachegī.”

21us ne kahā, “chalo, ṭhīk hai.terī yih darḳhwāst bhī manzūr hai.maiṅ yih qasbā tabāh nahīṅ karūṅga.22lekin bhāg kar wahāṅ panāh le,kyūṅki jab tak tū wahāṅ pahuṅch najāe maiṅ kuchh nahīṅ kar saktā.” islie qasbe kā nām zuġhar yānī chhoṭāhai.

23jab lūt zuġhar pahuṅchā to sūrajniklā huā thā. 24tab rab ne āsmān sesadūm aur amūrā par gandhak aur āgbarsāī. 25yūṅ us ne us pūre maidān kous ke shahroṅ, bāshindoṅ aur tamāmhariyālī samet tabāh kar diyā. 26lekinfarār hote waqt lūt kī bīwī ne pīchhemuṛ kar dekhā to wuh fauran namakkā satūn ban gaī.

27ibrāhīm subhsawere uṭh kar usjagah wāpas āyā jahāṅ wuh kal rabke sāmne khaṛā huā thā. 28jab us nenīche sadūm, amūrā aur pūrī wādī kītaraf nazar kī to wahāṅ se bhaṭṭe kāsā dhuāṅ uṭh rahā thā.

Page 33: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 19:29 33

29yūṅ allāh ne ibrāhīm ko yād kiyājab us ne us maidān ke shahr tabāhkie. kyūṅki wuh unheṅ tabāh karnese pahle lūt ko jo un meṅ ābād thāwahāṅ se nikāl lāyā.

lūt aur us kī beṭiyāṅ30lūt aur us kī beṭiyāṅ zyādā der

tak zuġhar meṅ na ṭhahre. wuhrawānā ho kar pahāṛoṅ meṅ ābādhue, kyūṅki lūt zuġhar meṅ rahne seḍartā thā. wahāṅ unhoṅ ne ek ġhārko apnā ghar banā liyā.

31ek din baṛī beṭī ne chhoṭī sekahā, “abbū būṛhā hai aur yahāṅ koīmard hai nahīṅ jis ke zarī’e hamārebachche paidā ho sakeṅ. 32āo, hamabbū ko mai pilāeṅ. jab wuh nashemeṅ dhut ho to ham us ke sāthhambistar ho kar apne lie aulād paidākareṅ tāki hamārī nasl qāim rahe.”

33us rāt unhoṅ ne apne bāp komai pilāī. jab wuh nashe meṅ thāto baṛī beṭī andar jā kar us ke sāthhambistar huī. chūṅki lūt hosh meṅnahīṅ thā is lie use kuchh bhī mālūmna huā. 34agle din baṛī bahan nechhoṭī bahan se kahā, “pichhlī rātmaiṅ abbū se hambistar huī. āo, ājrāt ko ham use dubārā mai pilāeṅ.jab wuh nashe meṅ dhut ho to tumus ke sāth hambistar ho kar apne lieaulād paidā karnā tāki hamārī naslqāim rahe.” 35chunāṅche unhoṅ ne usrāt bhī apne bāp ko mai pilāī. jab wuh

nashe meṅ thā to chhoṭī beṭī uṭh karus ke sāth hambistar huī. is bār bhīwuh hosh meṅ nahīṅ thā, is lie usekuchh bhī mālūm na huā.

36yūṅ lūt kī beṭiyāṅ apne bāp seummīd se huīṅ. 37baṛī beṭī ke hāṅbeṭā paidā huā. us ne us kā nāmmoāb rakhā. us se moābī nikle haiṅ.38chhoṭī beṭī ke hāṅ bhī beṭā paidāhuā. us ne us kā nām bin-ammīrakhā. us se ammonī nikle haiṅ.

ibrāhīm aur abīmalik

20 ibrāhīm wahāṅ se junūbkī taraf dasht-e-najab meṅ

chalā gayā aur qādis aur shūr kedarmiyān jā basā. kuchh der ke liewuh jirār meṅ ṭhahrā, lekin ajnabī kīhaisiyat se. 2wahāṅ us ne logoṅ kobatāyā, “sārā merī bahan hai.” is liejirār ke bādshāh abīmalik ne kisī kobhijwā diyā ki use mahal meṅ le āe.

3lekin rāt ke waqt allāh ḳhwābmeṅ abīmalik par zāhir huā aur kahā,“maut tere sar par khaṛī hai, kyūṅkijo aurat tū apne ghar le āyā hai wuhshādīshudā hai.”

4asal meṅ abīmalik abhī tak sārā keqarīb nahīṅ gayā thā. us ne kahā,“mere āqā, kyā tū ek bequsūr qaumko bhī halāk karegā? 5kyā ibrāhīmne mujh se nahīṅ kahā thā ki sārāmerī bahan hai? aur sārā ne us kī hāṅmeṅ hāṅ milāī. merī nīyat achchhī thīaur maiṅ ne ġhalat kām nahīṅ kiyā.”

Page 34: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

34 paidāish 21:5

6allāh ne kahā, “hāṅ, maiṅ jāntā hūṅki is meṅ terī nīyat achchhī thī. is liemaiṅ ne tujhe merā gunāh karne auruse chhūne se rok diyā. 7ab us auratko us ke shauhar ko wāpas kar de,kyūṅki wuh nabī hai aur tere lie duākaregā. phir tū nahīṅ maregā. lekinagar tū use wāpas nahīṅ karegā to jānle ki terī aur tere logoṅ kī maut yaqīnīhai.”

8abīmalik ne subhsawere uṭh karapne tamām kārindoṅ ko yih sabkuchh batāyā. yih sun kar un pardahshat chhā gaī. 9phir abīmalik neibrāhīm ko bulā kar kahā, “āp nehamāre sāth kyā kiyā hai? maiṅ neāp ke sāth kyā ġhalat kām kiyā ki āpne mujhe aur merī saltanat ko itnesangīn jurm meṅ phaṅsā diyā hai? josulūk āp ne hamāre sāth kar dikhāyāhai wuh kisī bhī shaḳhs ke sāth nahīṅkarnā chāhie. 10āp ne yih kyūṅ kiyā?”

11ibrāhīm ne jawāb diyā, “maiṅ neapne dil meṅ kahā ki yahāṅ ke logallāh kā ḳhauf nahīṅ rakhte hoṅge, islie wuh merī bīwī ko hāsil karne ke liemujhe qatl kar deṅge. 12haqīqat meṅwuh merī bahan bhī hai. wuh merebāp kī beṭī hai agarche us kī aur merīmāṅ farq haiṅ. yūṅ maiṅ us se shādīkar sakā. 13phir jab allāh ne honediyā ki maiṅ apne bāp ke gharāne senikal kar idhar udhar phirūṅ to maiṅne apnī bīwī se kahā, ‘mujh par yihmehrbānī kar ki jahāṅ bhī ham jāeṅ

mere bāre meṅ kah denā ki wuh merābhāī hai’.”

14phir abīmalik ne ibrāhīm kobheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, ġhulām aurlaunḍiyāṅ de kar us kī bīwī sārā kouse wāpas kar diyā. 15us ne kahā,“merā mulk āp ke lie khulā hai. jahāṅjī chāhe us meṅ jā baseṅ.” 16sārā se usne kahā, “maiṅ āp ke bhāī ko chāṅdīke hazār sikke detā hūṅ. is se āp aurāp ke logoṅ ke sāmne āp ke sāth kiegae nārawā sulūk kā izālā ho aur āpko bequsūr qarār diyā jāe.”

17-18tab ibrāhīm ne allāh se duā kīaur allāh ne abīmalik, us kī bīwī aurus kī launḍiyoṅ ko shifā dī, kyūṅkirab ne abīmalik ke gharāne kī tamāmauratoṅ ko sārā ke sabab se bāṅjhbanā diyā thā. lekin ab un ke hāṅdubārā bachche paidā hone lage.

is’hāq kī paidāish

21 tab rab ne sārā ke sāth waisāhī kiyā jaisā us ne farmāyā

thā. jo wādā us ne sārā ke bāre meṅkiyā thā use us ne pūrā kiyā. 2wuhhāmilā huī aur beṭā paidā huā. ain uswaqt būṛhe ibrāhīm ke hāṅ beṭā paidāhuā jo allāh ne muqarrar karke usebatāyā thā.

3ibrāhīm ne apne is beṭe kā nāmis’hāq yānī ‘wuh haṅstā hai’ rakhā.4jab is’hāq āṭh din kā thā to ibrāhīmne us kā ḳhatnā karāyā, jis tarah allāhne use hukm diyā thā. 5jab is’hāq

Page 35: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 21:6 35

paidā huā us waqt ibrāhīm 100 sāl kāthā. 6sārā ne kahā, “allāh ne mujhehaṅsāyā, aur har koī jo mere bāremeṅ yih sunegā haṅsegā. 7is se pahlekaun ibrāhīm se yih kahne kī jur’atkar saktā thā ki sārā apne bachchoṅko dūdh pilāegī? aur ab mere hāṅbeṭā paidā huā hai, agarche ibrāhīmbūṛhā ho gayā hai.”

8is’hāq baṛā hotā gayā. jab us kādūdh chhuṛāyā gayā to ibrāhīm ne uske lie baṛī ziyāfat kī.

ibrāhīm hājirā aur ismāīl

ko nikāl detā hai9ek din sārā ne dekhā ki misrī

launḍī hājirā kā beṭā ismāīl is’hāq kāmazāq uṛā rahā hai. 10us ne ibrāhīmse kahā, “is launḍī aur us ke beṭeko ghar se nikāl deṅ, kyūṅki wuhmere beṭe is’hāq ke sāth mīrās nahīṅpāegā.”

11ibrāhīm ko yih bāt bahut burīlagī. āḳhir ismāīl bhī us kā beṭā thā.12lekin allāh ne us se kahā, “jo bātsārā ne apnī launḍī aur us ke beṭeke bāre meṅ kahī hai wuh tujhe burīna lage. sārā kī bāt mān le, kyūṅkiterī nasl is’hāq hī se qāim rahegī.13lekin maiṅ ismāīl se bhī ek qaumbanāūṅgā, kyūṅki wuh terā beṭā hai.”

14ibrāhīm subhsawere uṭhā. usne roṭī aur pānī kī mashk hājirāke kandhoṅ par rakh kar use laṛkeke sāth ghar se nikāl diyā. hājirā

chalte chalte bair-sabā ke registānmeṅ idhar udhar phirne lagī. 15phirpānī ḳhatm ho gayā. hājirā laṛke kokisī jhāṛī ke nīche chhoṛ kar 16koī300 fuṭ dūr baiṭh gaī. kyūṅki us nedil meṅ kahā, “maiṅ use marte nahīṅdekh saktī.” wuh wahāṅ baiṭh karrone lagī.

17lekin allāh ne beṭe kī rotī huīāwāz sun lī. allāh ke farishte neāsmān par se pukār kar hājirā se bātkī, “hājirā, kyā bāt hai? mat ḍar,kyūṅki allāh ne laṛke kā jo wahāṅpaṛā hai ronā sun liyā hai. 18uṭh,laṛke ko uṭhā kar us kā hāth thāmle, kyūṅki maiṅ us se ek baṛī qaumbanāūṅgā.”

19phir allāh ne hājirā kī āṅkheṅkhol dīṅ, aur us kī nazar ek kueṅ parpaṛī. wuh wahāṅ gaī aur mashk kopānī se bhar kar laṛke ko pilāyā.

20allāh laṛke ke sāth thā. wuhjawān huā aur tīrandāz ban karbayābān meṅ rahne lagā. 21jab wuhfārān ke registān meṅ rahtā thā to uskī māṅ ne use ek misrī aurat se byāhdiyā.

abīmalik ke sāth ahd22un dinoṅ meṅ abīmalik aur us ke

sipāhsālār fīkul ne ibrāhīm se kahā,“jo kuchh bhī āp karte haiṅ allāh āpke sāth hai. 23ab mujh se allāh kīqasam khāeṅ ki āp mujhe aur merī āl-o-aulād ko dhokā nahīṅ deṅge. mujh

Page 36: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

36 paidāish 22:8

par aur is mulk par jis meṅ āp pardesīhaiṅ wuhī mehrbānī kareṅ jo maiṅ neāp par kī hai.”

24ibrāhīm ne jawāb diyā, “maiṅqasam khātā hūṅ.” 25phir us neabīmalik se shikāyat karte hue kahā,“āp ke bandoṅ ne hamāre ek kueṅpar qabzā kar liyā hai.” 26abīmalik nekahā, “mujhe nahīṅ mālūm ki kis neaisā kiyā hai. āp ne bhī mujhe nahīṅbatāyā. āj maiṅ pahlī dafā yih bāt sunrahā hūṅ.”

27tab ibrāhīm ne abīmalik ko bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail die, aur donoṅne ek dūsre ke sāth ahd bāndhā.28phir ibrāhīm ne bheṛ ke sāt mādābachchoṅ ko alag kar liyā. 29abīmalikne pūchhā, “āp ne yih kyūṅ kiyā?”30ibrāhīm ne jawāb diyā, “bheṛ ke insāt bachchoṅ ko mujh se le leṅ. yihis ke gawāh hoṅ ki maiṅ ne is kueṅko khodā hai.” 31is lie us jagah kānām bair-sabā yānī ‘qasam kā kuāṅ’rakhā gayā, kyūṅki wahāṅ un donoṅmardoṅ ne qasam khāī.

32yūṅ unhoṅ ne bair-sabā meṅ ekdūsre se ahd bāndhā. phir abīmalikaur fīkul filistiyoṅ ke mulk wāpaschale gae. 33is ke bād ibrāhīm ne bair-sabā meṅ jhāo kā daraḳht lagāyā.wahāṅ us ne rab kā nām le karus kī ibādat kī jo abadī ḳhudā hai.34ibrāhīm bahut arse tak filistiyoṅ kemulk meṅ ābād rahā, lekin ajnabī kīhaisiyat se.

ibrāhīm kī āzmāish

22 kuchh arse ke bād allāh neibrāhīm ko āzmāyā. us ne us

se kahā, “ibrāhīm!” us ne jawāb diyā,“jī, maiṅ hāzir hūṅ.” 2allāh ne kahā,“apne iklaute beṭe is’hāq ko jise tūpyār kartā hai sāth le kar moriyāh keilāqe meṅ chalā jā. wahāṅ maiṅ tujheek pahāṛ dikhāūṅgā. us par apne beṭeko qurbān kar de. use zabah karkequrbāngāh par jalā denā.”

3subhsawere ibrāhīm uṭhā aur apnegadhe par zīn kasā. us ne apne sāthdo naukaroṅ aur apne beṭe is’hāq koliyā. phir wuh qurbānī ko jalāne kelie lakaṛī kāṭ kar us jagah kī tarafrawānā huā jo allāh ne use batāī thī.4safar karte karte tīsre din qurbānī kījagah ibrāhīm ko dūr se nazar āī. 5usne naukaroṅ se kahā, “yahāṅ gadheke pās ṭhahro. maiṅ laṛke ke sāthwahāṅ jā kar parastish karūṅga. phirham tumhāre pās wāpas ā jāeṅge.”

6ibrāhīm ne qurbānī ko jalāne ke lielakaṛiyāṅ is’hāq ke kandhoṅ par rakhdīṅ aur ḳhud chhurī aur āg jalāneke lie angāroṅ kā bartan uṭhāyā.donoṅ chal die. 7is’hāq bolā, “abbū!”ibrāhīm ne kahā, “jī beṭā.” “abbū,āg aur lakaṛiyāṅ to hamāre pās haiṅ,lekin qurbānī ke lie bheṛ yā bakrīkahāṅ hai?” 8ibrāhīm ne jawāb diyā,“allāh ḳhud qurbānī ke lie jānwarmuhayyā karegā, beṭā.” wuh āge baṛhgae.

Page 37: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 22:9 37

9chalte chalte wuh us maqām parpahuṅche jo allāh ne us par zāhir kiyāthā. ibrāhīm ne wahāṅ qurbāngāhbanāī aur us par lakaṛiyāṅ tartīb serakh dīṅ. phir us ne is’hāq ko bāndhkar lakaṛiyoṅ par rakh diyā 10aurchhurī pakaṛ lī tāki apne beṭe kozabah kare. 11ain usī waqt rab kefarishte ne āsmān par se use āwāzdī, “ibrāhīm, ibrāhīm!” ibrāhīm nekahā, “jī, maiṅ hāzir hūṅ.” 12farishtene kahā, “apne beṭe par hāth na chalā,na us ke sāth kuchh kar. ab maiṅ nejān liyā hai ki tū allāh kā ḳhauf rakhtāhai, kyūṅki tū apne iklaute beṭe kobhī mujhe dene ke lie tayyār hai.”

13achānak ibrāhīm ko ek menḍhānazar āyā jis ke sīṅg gunjān jhāṛiyoṅmeṅ phaṅse hue the. ibrāhīm neuse zabah karke apne beṭe kī jagahqurbānī ke taur par jalā diyā. 14usne us maqām kā nām “rab muhayyākartā hai” rakhā. is lie āj tak kahā jātāhai, “rab ke pahāṛ par muhayyā kiyājātā hai.”

15rab ke farishte ne ek bār phirāsmān par se pukār kar us se bātkī. 16“rab kā farmān hai, merī zātkī qasam, chūṅki tū ne yih kiyāaur apne iklaute beṭe ko mujhepesh karne ke lie tayyār thā 17islie maiṅ tujhe barkat dūṅgā aurterī aulād ko āsmān ke sitāroṅ aursāhil kī ret kī tarah beshumār honedūṅgā. terī aulād apne dushmanoṅ

ke shahroṅ ke darwāzoṅ par qabzākaregī. 18chūṅki tū ne merī sunī islie terī aulād se duniyā kī tamāmqaumeṅ barkat pāeṅgī.”

19is ke bād ibrāhīm apne naukaroṅke pās wāpas āyā, aur wuh mil karbair-sabā lauṭe. wahāṅ ibrāhīm ābādrahā.

20in wāqiāt ke bād ibrāhīm koittilā milī, “āp ke bhāī nahūr kī bīwīmilkāh ke hāṅ bhī beṭe paidā huehaiṅ. 21us ke pahlauṭhe ūz ke bādbūz, qamūel (arām kā bāp), 22kasad,hazū, fildās, idlāf aur batūel paidā huehaiṅ.” 23milkāh aur nahūr ke hāṅ yihāṭh beṭe paidā hue. (batūel ribqā kābāp thā). 24nahūr kī haram kā nāmrūmā thā. us ke hāṅ bhī beṭe paidāhue jin ke nām tibaḳh, jāham, taḳhasaur mākā haiṅ.

sārā kī wafāt

23 sārā 127 sāl kī umr meṅhabrūn meṅ intiqāl kar gaī.

2us zamāne meṅ habrūn kā nāmqiryat-arbā thā, aur wuh mulk-e-kan’ān meṅ thā. ibrāhīm ne us ke pāsā kar mātam kiyā. 3phir wuh janāzeke pās se uṭhā aur hittiyoṅ se bāt kī.us ne kahā, 4“maiṅ āp ke darmiyānpardesī aur ġhairshahrī kī haisiyat serahtā hūṅ. mujhe qabr ke lie zamīnbecheṅ tāki apnī bīwī ko apne ghar sele jā kar dafn kar sakūṅ.” 5-6hittiyoṅne jawāb diyā, “hamāre āqā, hamārī

Page 38: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

38 paidāish 24:2

bāt suneṅ! āp hamāre darmiyān allāhke raīs haiṅ. apnī bīwī ko hamārībehtarīn qabr meṅ dafn kareṅ. hammeṅ se koī nahīṅ jo āp se apnī qabrkā inkār karegā.”

7ibrāhīm uṭhā aur mulk kebāshindoṅ yānī hittiyoṅ ke sāmnetāzīman jhuk gayā. 8us ne kahā, “agarāp is ke lie tayyār haiṅ ki maiṅ apnībīwī ko apne ghar se le jā kar dafnkarūṅ to suhar ke beṭe ifron se merīsifārish kareṅ 9ki wuh mujhe makfīlākā ġhār bech de. wuh us kā hai aurus ke khet ke kināre par hai. maiṅ uskī pūrī qīmat dene ke lie tayyār hūṅtāki āp ke darmiyān rahte hue merepās qabr bhī ho.”

10ifron hittiyoṅ kī jamā’at meṅmaujūd thā. ibrāhīm kī darḳhwāstpar us ne un tamām hittiyoṅ kesāmne jo shahr ke darwāze par jamāthe jawāb diyā, 11“nahīṅ, mere āqā!merī bāt suneṅ. maiṅ āp ko yih khetaur us meṅ maujūd ġhār de detā hūṅ.sab jo hāzir haiṅ mere gawāh haiṅ,maiṅ yih āp ko detā hūṅ. apnī bīwīko wahāṅ dafn kar deṅ.”

12ibrāhīm dubārā mulk kebāshindoṅ ke sāmne adaban jhukgayā. 13us ne sab ke sāmne ifron sekahā, “mehrbānī karke merī bāt parġhaur kareṅ. maiṅ khet kī pūrī qīmatadā karūṅga. use qabūl kareṅ tāki

wahāṅ apnī bīwī ko dafn kar sakūṅ.”14-15ifron ne jawāb diyā, “mere āqā,suneṅ. is zamīn kī qīmat sirf 400chāṅdī ke sikke hai.a āp ke aur meredarmiyān yih kyā hai? apnī bīwī kodafn kar deṅ.”

16ibrāhīm ne ifron kī matlūbā qīmatmān lī aur sab ke sāmne chāṅdī ke 400sikke tol kar ifron ko de die. is kelie us ne us waqt ke rāij bāṭ istemālkie. 17chunāṅche makfīlā meṅ ifronkī zamīn ibrāhīm kī milkiyat ho gaī.yih zamīn mamre ke mashriq meṅthī. us meṅ khet, khet kā ġhār aurkhet kī hudūd meṅ maujūd tamāmdaraḳht shāmil the. 18hittiyoṅ kī pūrījamā’at ne jo shahr ke darwāze parjamā thī zamīn ke intiqāl kī tasdīqkī. 19phir ibrāhīm ne apnī bīwī sārāko mulk-e-kan’ān ke us ġhār meṅdafn kiyā jo mamre yānī habrūn kemashriq meṅ wāqe makfīlā ke khetmeṅ thā. 20is tarīqe se yih khet aur uskā ġhār hittiyoṅ se ibrāhīm ke nāmpar muntaqil kar diyā gayā tāki us kepās qabr ho.

is’hāq aur ribqā

24 ibrāhīm ab bahut būṛhā hogayā thā. rab ne use har lihāz

se barkat dī thī. 2ek din us ne apneghar ke sab se buzurg naukar se jo uskī jāydād kā pūrā intizām chalātā thā

ataqrīban sāṛhe chār kilogrām chāṅdī.

Page 39: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 24:3 39

bāt kī. “qasam ke lie apnā hāth merīrān ke nīche rakho. 3rab kī qasamkhāo jo āsmān-o-zamīn kā ḳhudā haiki tum in kan’āniyoṅ meṅ se jin kedarmiyān maiṅ rahtā hūṅ mere beṭeke lie bīwī nahīṅ lāoge 4balki merewatan meṅ mere rishtedāroṅ ke pāsjāoge aur un hī meṅ se mere beṭe kelie bīwī lāoge.” 5us ke naukar ne kahā,“shāyad wuh aurat mere sāth yahāṅānā na chāhe. kyā maiṅ is sūrat meṅāp ke beṭe ko us watan meṅ wāpas lejāūṅ jis se āp nikle haiṅ?” 6ibrāhīm nekahā, “ḳhabardār! use hargiz wāpasna le jānā. 7rab jo āsmān kā ḳhudā haiapnā farishtā tumhāre āge bhejegā, islie tum wahāṅ mere beṭe ke lie bīwīchunane meṅ zarūr kāmyāb hoge.kyūṅki wuhī mujhe mere bāp ke gharaur mere watan se yahāṅ le āyā hai,aur usī ne qasam khā kar mujh sewādā kiyā hai ki maiṅ kan’ān kāyih mulk terī aulād ko dūṅgā. 8agarwahāṅ kī aurat yahāṅ ānā na chāheto phir tum apnī qasam se āzād hoge.lekin kisī sūrat meṅ bhī mere beṭe kowahāṅ wāpas na le jānā.”

9ibrāhīm ke naukar ne apnā hāth uskī rān ke nīche rakh kar qasam khāīki maiṅ sab kuchh aisā hī karūṅga.10phir wuh apne āqā ke das ūṅṭoṅ parqīmtī tohfe lād kar masoputāmiyā kītaraf rawānā huā. chalte chalte wuhnahūr ke shahr pahuṅch gayā.

11us ne ūṅṭoṅ ko shahr ke bāharkueṅ ke pās biṭhāyā. shām kā waqtthā jab aurateṅ kueṅ ke pās ā karpānī bhartī thīṅ. 12phir us ne duā kī,“ai rab mere āqā ibrāhīm ke ḳhudā,mujhe āj kāmyābī baḳhsh aur mereāqā ibrāhīm par mehrbānī kar. 13abmaiṅ is chashme par khaṛā hūṅ, aurshahr kī beṭiyāṅ pānī bharne ke lieā rahī haiṅ. 14maiṅ un meṅ se kisīse kahūṅgā, ‘zarā apnā ghaṛā nīchekarke mujhe pānī pilāeṅ.’ agar wuhjawāb de, ‘pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ kobhī pānī pilā detī hūṅ,’ to wuh wuhīhogī jise tū ne apne ḳhādim is’hāq kelie chun rakhā hai. agar aisā huā tomaiṅ jān lūṅgā ki tū ne mere āqā parmehrbānī kī hai.”

15wuh abhī duā kar hī rahā thā kiribqā shahr se nikal āī. us ke kandhepar ghaṛā thā. wuh batūel kī beṭī thī(batūel ibrāhīm ke bhāī nahūr kī bīwīmilkāh kā beṭā thā). 16ribqā nihāyatḳhūbsūrat jawān laṛkī thī, aur wuhkuṅwārī bhī thī. wuh chashme takutrī, apnā ghaṛā bharā aur phir wāpasūpar āī.

17ibrāhīm kā naukar dauṛ kar us semilā. us ne kahā, “zarā mujhe apneghaṛe se thoṛā sā pānī pilāeṅ.” 18ribqāne kahā, “janāb, pī leṅ.” jaldī se us neapne ghaṛe ko kandhe par se utār karhāth meṅ pakaṛā tāki wuh pī sake.19jab wuh pīne se fāriġh huā to ribqāne kahā, “maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī

Page 40: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

40 paidāish 24:38

pānī le ātī hūṅ. wuh bhī pūre taur parapnī pyās bujhāeṅ.” 20jaldī se us neapne ghaṛe kā pānī hauz meṅ unḍeldiyā aur phir bhāg kar kueṅ se itnāpānī lātī rahī ki tamām ūṅṭoṅ kī pyāsbujh gaī.

21itne meṅ ibrāhīm kā ādmīḳhāmoshī se use deḳhtā rahā, kyūṅkiwuh jānanā chāhtā thā ki kyā rabmujhe safar kī kāmyābī baḳhshegā yānahīṅ. 22ūṅṭ pānī pīne se fāriġh hueto us ne ribqā ko sone kī ek nath aurdo kangan die. nath kā2 taqrīban 6grām thā aur kanganoṅ kā 120 grām.

23us ne pūchhā, “āp kis kī beṭī haiṅ?kyā us ke hāṅ itnī jagah hai ki hamwahāṅ rāt guzār sakeṅ?”

24ribqā ne jawāb diyā, “merā bāpbatūel hai. wuh nahūr aur milkāhkā beṭā hai. 25hamāre pās bhūsāaur chārā hai. rāt guzārne ke liebhī kāfī jagah hai.” 26yih sun karibrāhīm ke naukar ne rab ko sijdākiyā. 27us ne kahā, “mere āqā ibrāhīmke ḳhudā kī tamjīd ho jis ke karmaur wafādārī ne mere āqā ko nahīṅchhoṛā. rab ne mujhe sīdhā meremālik ke rishtedāroṅ tak pahuṅchāyāhai.”

28laṛkī bhāg kar apnī māṅ ke gharchalī gaī. wahāṅ us ne sab kuchh batādiyā jo huā thā. 29-30jab ribqā ke bhāīlāban ne nath aur bahan kī kalāiyoṅmeṅ kanganoṅ ko dekhā aur wuh sabkuchh sunā jo ibrāhīm ke naukar ne

ribqā ko batāyā thā to wuh faurankueṅ kī taraf dauṛā.

ibrāhīm kā naukar ab tak ūṅṭoṅsamet wahāṅ khaṛā thā. 31lāban nekahā, “rab ke mubārak bande, meresāth āeṅ. āp yahāṅ shahr ke bāharkyūṅ khaṛe haiṅ? maiṅ ne apne gharmeṅ āp ke lie sab kuchh tayyār kiyāhai. āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī kāfī jagahhai.” 32wuh naukar ko le kar gharpahuṅchā. ūṅṭoṅ se sāmān utārāgayā, aur un ko bhūsā aur chārā diyāgayā. pānī bhī lāyā gayā tāki ibrāhīmkā naukar aur us ke ādmī apne pāoṅdhoeṅ.

33lekin jab khānā ā gayā to ibrāhīmke naukar ne kahā, “is se pahle kimaiṅ khānā khāūṅ lāzim hai ki apnāmuāmalā pesh karūṅ.” lāban ne kahā,“batāeṅ apnī bāt.” 34us ne kahā, “maiṅibrāhīm kā naukar hūṅ. 35rab ne mereāqā ko bahut barkat dī hai. wuhbahut amīr ban gayā hai. rab neuse kasrat se bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail,sonā-chāṅdī, ġhulām aur launḍiyāṅ,ūṅṭ aur gadhe die haiṅ. 36jab meremālik kī bīwī būṛhī ho gaī thī tous ke beṭā paidā huā thā. ibrāhīmne use apnī pūrī milkiyat de dī hai.37lekin mere āqā ne mujh se kahā,‘qasam khāo ki tum in kan’āniyoṅmeṅ se jin ke darmiyān maiṅ rahtāhūṅ mere beṭe ke lie bīwī nahīṅ lāoge38balki mere bāp ke gharāne aur mererishtedāroṅ ke pās jā kar us ke lie

Page 41: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 24:39 41

bīwī lāoge.’ 39maiṅ ne apne mālik sekahā, ‘shāyad wuh aurat mere sāthānā na chāhe.’ 40us ne kahā, ‘rab jiske sāmne maiṅ chaltā rahā hūṅ apnefarishte ko tumhāre sāth bhejegā aurtumheṅ kāmyābī baḳhshegā. tumheṅzarūr mere rishtedāroṅ aur merebāp ke gharāne se mere beṭe ke liebīwī milegī. 41lekin agar tum mererishtedāroṅ ke pās jāo aur wuh inkārkareṅ to phir tum apnī qasam se āzādhoge.’ 42āj jab maiṅ kueṅ ke pās āyāto maiṅ ne duā kī, ‘ai rab, mere āqāke ḳhudā, agar terī marzī ho to mujheis mishan meṅ kāmyābī baḳhsh jis kelie maiṅ yahāṅ āyā hūṅ. 43ab maiṅ iskueṅ ke pās khaṛā hūṅ. jab koī jawānaurat shahr se nikal kar yahāṅ āeto maiṅ us se kahūṅgā, “zarā mujheapne ghaṛe se thoṛā sā pānī pilāeṅ.”44agar wuh kahe, “pī leṅ, maiṅ āp keūṅṭoṅ ke lie bhī pānī le āūṅgī” to is kāmatlab yih ho ki tū ne use mere āqāke beṭe ke lie chun liyā hai ki us kībīwī ban jāe’

45maiṅ abhī dil meṅ yih duā karrahā thā ki ribqā shahr se nikal āī.us ke kandhe par ghaṛā thā. wuhchashme tak utrī aur apnā ghaṛā bharliyā. maiṅ ne us se kahā, ‘zarā mujhepānī pilāeṅ.’ 46jawāb meṅ us ne jaldīse apne ghaṛe ko kandhe par se utārkar kahā, ‘pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅko bhī pānī pilātī hūṅ.’ maiṅ ne pānīpiyā, aur us ne ūṅṭoṅ ko bhī pānī

pilāyā. 47phir maiṅ ne us se pūchhā,‘āp kis kī beṭī haiṅ?’ us ne jawābdiyā, ‘merā bāp batūel hai. wuhnahūr aur milkāh kā beṭā hai.’ phirmaiṅ ne us kī nāk meṅ nath aur uskī kalāiyoṅ meṅ kangan pahnā die.48tab maiṅ ne rab ko sijdā karke apneāqā ibrāhīm ke ḳhudā kī tamjīd kī jisne mujhe sīdhā mere mālik kī bhatījītak pahuṅchāyā tāki wuh is’hāq kībīwī ban jāe

49ab mujhe batāeṅ, kyā āp mere āqāpar apnī mehrbānī aur wafādārī kāizhār karnā chāhte haiṅ? agar aisāhai to ribqā kī is’hāq ke sāth shādīqabūl kareṅ. agar āp muttafiq nahīṅhaiṅ to mujhe batāeṅ tāki maiṅ koīaur qadam uṭhā sakūṅ.”

50lāban aur batūel ne jawāb diyā,“yih bāt rab kī taraf se hai, is lieham kisī tarah bhī inkār nahīṅ karsakte. 51ribqā āp ke sāmne hai. usele jāeṅ. wuh āp ke mālik ke beṭe kībīwī ban jāe jis tarah rab ne farmāyāhai.” 52yih sun kar ibrāhīm ke naukarne rab ko sijdā kiyā. 53phir us ne soneaur chāṅdī ke zewarāt aur mahangemalbūsāt apne sāmān meṅ se nikālkar ribqā ko die. ribqā ke bhāī aurmāṅ ko bhī qīmtī tohfe mile.

54is ke bād us ne apne hamsafaroṅke sāth shām kā khānā khāyā. wuhrāt ko wahīṅ ṭhahre. agle din jab uṭheto naukar ne kahā, “ab hameṅ ijāzatdeṅ tāki apne āqā ke pās lauṭ jāeṅ.”

Page 42: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

42 paidāish 25:7-8

55ribqā ke bhāī aur māṅ ne kahā,“ribqā kuchh din aur hamāre hāṅṭhahre. phir āp jāeṅ.” 56lekin us neun se kahā, “ab der na kareṅ, kyūṅkirab ne mujhe mere mishan meṅkāmyābī baḳhshī hai. mujhe ijāzatdeṅ tāki apne mālik ke pās wāpasjāūṅ.” 57unhoṅ ne kahā, “chaleṅ, hamlaṛkī ko bulā kar usī se pūchh letehaiṅ.”

58unhoṅ ne ribqā ko bulā kar usse pūchhā, “kyā tū abhī is ādmī kesāth jānā chāhtī hai?” us ne kahā, “jī,maiṅ jānā chāhtī hūṅ.” 59chunāṅcheunhoṅ ne apnī bahan ribqā, us kīdāyā, ibrāhīm ke naukar aur uske hamsafaroṅ ko ruḳhsat kar diyā.60pahle unhoṅ ne ribqā ko barkat dekar kahā, “hamārī bahan, allāh kareki tū karoṛoṅ kī māṅ bane. terīaulād apne dushmanoṅ ke shahroṅke darwāzoṅ par qabzā kare.” 61phirribqā aur us kī naukarāniyāṅ uṭh karūṅṭoṅ par sawār huīṅ aur ibrāhīm kenaukar ke pīchhe ho līṅ. chunāṅchenaukar unheṅ sāth le kar rawānā hogayā.

62us waqt is’hāq mulk ke junūbīhisse, dasht-e-najab meṅ rahtā thā.wuh bair-lahī-roī se āyā thā. 63ekshām wuh nikal kar khule maidānmeṅ apnī sochoṅ meṅ magan ṭahalrahā thā ki achānak ūṅṭ us kī tarafāte hue nazar āe. 64jab ribqā ne apnīnazar uṭhā kar is’hāq ko dekhā to us

ne ūṅṭ se utar kar 65naukar se pūchhā,“wuh ādmī kaun hai jo maidān meṅham se milne ā rahā hai?” naukar nekahā, “merā mālik hai.” yih sun karribqā ne chādar le kar apne chehre koḍhāṅp liyā.

66naukar ne is’hāq ko sab kuchhbatā diyā jo us ne kiyā thā. 67phiris’hāq ribqā ko apnī māṅ sārā ke ḍeremeṅ le gayā. us ne us se shādī kī, aurwuh us kī bīwī ban gaī. is’hāq ke dilmeṅ us ke lie bahut muhabbat paidāhuī. yūṅ use apnī māṅ kī maut ke bādsukūn milā.

ibrāhīm kī mazīd aulād

25 ibrāhīm ne ek aur shādī kī.naī bīwī kā nām qatūrā thā.

2qatūrā ke chhih beṭe paidā hue,zimrān, yuqsān, midān, midiyān,isbāq aur sūḳh. 3yuqsān ke do beṭethe, sabā aur dadān. asūrī, latūsī aurlūmī dadān kī aulād haiṅ. 4midiyānke beṭe aifā, ifar, hanūk, abīdā aurilda’ā the. yih sab qatūrā kī aulād the.

5ibrāhīm ne apnī sārī milkiyatis’hāq ko de dī. 6apnī maut se pahleus ne apnī dūsrī bīwiyoṅ ke beṭoṅ kotohfe de kar apne beṭe se dūr mashriqkī taraf bhej diyā.

ibrāhīm kī wafāt7-8ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut

huā. ġharz wuh bahut umrrasīdā aurzindagī se āsūdā ho kar intiqāl karke

Page 43: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 25:9-10 43

apne bāpdādā se jā milā. 9-10us kebeṭoṅ is’hāq aur ismāīl ne use makfīlāke ġhār meṅ dafn kiyā jo mamre kemashriq meṅ hai. yih wuhī ġhār thājise khet samet hittī ādmī ifron binsuhar se ḳharīdā gayā thā. ibrāhīmaur us kī bīwī sārā donoṅ ko us meṅdafn kiyā gayā.

11ibrāhīm kī wafāt ke bād allāh neis’hāq ko barkat dī. us waqt is’hāqbair-lahī-roī ke qarīb ābād thā.

ismāīl kī aulād12ibrāhīm kā beṭā ismāīl jo sārā kī

misrī launḍī hājirā ke hāṅ paidā huāus kā nasabnāmā yih hai. 13ismāīlke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak yihhaiṅ: nabāyot, qīdār, adbiel, mibsām,14mishmā, dūmā, massā, 15hasad,taimā, yatūr, nafīs aur qidmā.

16yih beṭe bārah qabīloṅ ke bānīban gae. aur jahāṅ jahāṅ wuh ābādhue un jaghoṅ kā wuhī nām paṛ gayā.17ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūchkarke apne bāpdādā se jā milā. 18us kīaulād us ilāqe meṅ ābād thī jo hawīlāaur shūr ke darmiyān hai aur jo misrke mashriq meṅ asūr kī taraf hai. yūṅismāīl apne tamām bhāiyoṅ ke sāmnehī ābād huā.

esau aur yāqūb kī paidāish19yih ibrāhīm ke beṭe is’hāq kā

bayān hai.

20is’hāq 40 sāl kā thā jab us kī ribqāse shādī huī. ribqā lāban kī bahan aurarāmī mard batūel kī beṭī thī (batūelmasoputāmiyā kā thā). 21ribqā kebachche paidā na hue. lekin is’hāqne apnī bīwī ke lie duā kī to rab neus kī sunī, aur ribqā ummīd se huī.22us ke peṭ meṅ bachche ek dūsrese zorāzmāī karne lage to wuh rabse pūchhne gaī, “agar yih merī hālatrahegī to phir maiṅ yahāṅ tak kyūṅpahuṅch gaī hūṅ?” 23rab ne us sekahā, “tere andar do qaumeṅ haiṅ.wuh tujh se nikal kar ek dūsrī sealag alag ho jāeṅgī. un meṅ se ekzyādā tāqatwar hogī, aur baṛā chhoṭekī ḳhidmat karegā.”

24paidāish kā waqt ā gayā tojuṛwāṅ beṭe paidā hue. 25pahlābachchā niklā to surḳh sā thā, aur aisālag rahā thā ki wuh ghane bāloṅ kākoṭ hī pahne hue hai. is lie us kā nāmesau yānī ‘bāloṅ wālā’ rakhā gayā.26is ke bād dūsrā bachchā paidā huā.wuh esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, islie us kā nām yāqūb yānī ‘eṛī pakaṛnewālā’ rakhā gayā. us waqt is’hāq 60sāl kā thā.

27laṛke jawān hue. esau māhirshikārī ban gayā aur khule maidānmeṅ ḳhush rahtā thā. us ke muqābalemeṅ yāqūb shāistā thā aur ḍere meṅrahnā pasand kartā thā. 28is’hāq esauko pyār kartā thā, kyūṅki wuh shikār

Page 44: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

44 paidāish 26:11

kā gosht pasand kartā thā. lekin ribqāyāqūb ko pyār kartī thī.

29ek din yāqūb sālan pakā rahā thāki esau thakāhārā jangal se āyā. 30usne kahā, “mujhe jaldī se lāl sālan, hāṅisī lāl sālan se kuchh khāne ko do.maiṅ to bedam ho rahā hūṅ.” (isīlie bād meṅ us kā nām adom yānīsurḳh paṛ gayā.) 31yāqūb ne kahā,“pahle mujhe pahlauṭhe kā haq bechdo.” 32esau ne kahā, “maiṅ to bhūkse mar rahā hūṅ, pahlauṭhe kā haqmere kis kām kā?” 33yāqūb ne kahā,“pahle qasam khā kar mujhe yih haqbech do.” esau ne qasam khā kar usepahlauṭhe kā haq muntaqil kar diyā.

34tab yāqūb ne use kuchh roṭī aurdāl de dī, aur esau ne khāyā aur piyā.phir wuh uṭh kar chalā gayā. yūṅ usne pahlauṭhe ke haq ko haqīr jānā.

is’hāq aur ribqā jirār meṅ

26 us mulk meṅ dubārā kālpaṛā, jis tarah ibrāhīm ke

dinoṅ meṅ bhī paṛ gayā thā. is’hāqjirār shahr gayā jis par filistiyoṅ kebādshāh abīmalik kī hukūmat thī.2rab ne is’hāq par zāhir ho kar kahā,“misr na jā balki us mulk meṅ basjo maiṅ tujhe dikhātā hūṅ. 3usmulk meṅ ajnabī rah to maiṅ teresāth hūṅgā aur tujhe barkat dūṅgā.kyūṅki maiṅ tujhe aur terī aulād koyih tamām ilāqā dūṅgā aur wuh wādāpūrā karūṅga jo maiṅ ne qasam khā

kar tere bāp ibrāhīm se kiyā thā.4maiṅ tujhe itnī aulād dūṅgā jitneāsmān par sitāre haiṅ. aur maiṅ yihtamām mulk unheṅ de dūṅgā. terīaulād se duniyā kī tamām qaumeṅbarkat pāeṅgī. 5maiṅ tujhe is liebarkat dūṅgā ki ibrāhīm mere tāberahā aur merī hidāyāt aur ahkām parchaltā rahā.” 6chunāṅche is’hāq jirārmeṅ ābād ho gayā.

7jab wahāṅ ke mardoṅ ne ribqā kebāre meṅ pūchhā to is’hāq ne kahā,“yih merī bahan hai.” wuh unheṅyih batāne se ḍartā thā ki yih merībīwī hai, kyūṅki us ne sochā, “ribqānihāyat ḳhūbsūrat hai. agar unheṅmālūm ho jāe ki ribqā merī bīwī hai towuh use hāsil karne kī ḳhātir mujheqatl kar deṅge.”

8kāfī waqt guzar gayā. ek dinfilistiyoṅ ke bādshāh ne apnī khiṛkīmeṅ se jhāṅk kar dekhā ki is’hāq apnībīwī ko pyār kar rahā hai. 9us neis’hāq ko bulā kar kahā, “wuh to āpkī bīwī hai! āp ne kyūṅ kahā ki merībahan hai?” is’hāq ne jawāb diyā,“maiṅ ne sochā ki agar maiṅ batāūṅki yih merī bīwī hai to log mujhe qatlkar deṅge.”

10abīmalik ne kahā, “āp ne hamāresāth kaisā sulūk kar dikhāyā! kitnīāsānī se mere ādmiyoṅ meṅ se koī āpkī bīwī se hambistar ho jātā. is tarahham āp ke sabab se ek baṛe jurm kequsūrwār ṭhaharte.” 11phir abīmalik

Page 45: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 26:12 45

ne tamām logoṅ ko hukm diyā, “jobhī is mard yā us kī bīwī ko chheṛeuse sazā-e-maut dī jāegī.”

is’hāq kā filistiyoṅ ke sāth jhagaṛā12is’hāq ne us ilāqe meṅ kāshtkārī

kī, aur usī sāl use sau gunā phal milā.yūṅ rab ne use barkat dī, 13aur wuhamīr ho gayā. us kī daulat baṛhtīgaī, aur wuh nihāyat daulatmand hogayā. 14us ke pās itnī bheṛ-bakriyāṅ,gāy-bail aur ġhulām the ki filistī usse hasad karne lage. 15ab aisā huā kiunhoṅ ne un tamām kuoṅ ko miṭṭī sebhar kar band kar diyā jo us ke bāpke naukaroṅ ne khode the.

16āḳhirkār abīmalik ne is’hāq sekahā, “kahīṅ aur jā kar raheṅ, kyūṅkiāp ham se zyādā zor-āwar ho gaehaiṅ.”

17chunāṅche is’hāq ne wahāṅ se jākar jirār kī wādī meṅ apne ḍere lagāe.18wahāṅ filistiyoṅ ne ibrāhīm kī mautke bād tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhardiyā thā. is’hāq ne un ko dubārākhudwāyā. us ne un ke wuhī nāmrakhe jo us ke bāp ne rakhe the.

19is’hāq ke naukaroṅ ko wādī meṅkhodte khodte tāzā pānī mil gayā.20lekin jirār ke charwāhe ā karis’hāq ke charwāhoṅ se jhagaṛnelage. unhoṅ ne kahā, “yih hamārākuāṅ hai!” is lie us ne us kueṅ kā nāmisak yānī jhagaṛā rakhā. 21is’hāq kenaukaroṅ ne ek aur kuāṅ khod liyā.

lekin us par bhī jhagaṛā huā, is lie usne us kā nām sitnā yānī muḳhālafatrakhā. 22wahāṅ se jā kar us ne ek tīsrākuāṅ khudwāyā. is dafā koī jhagaṛāna huā, is lie us ne us kā nām rahobotyānī ‘khulī jagah’ rakhā. kyūṅki usne kahā, “rab ne hameṅ khulī jagahdī hai, aur ab ham mulk meṅ phaleṅphūleṅge.”

23wahāṅ se wuh bair-sabā chalāgayā. 24usī rāt rab us par zāhir huāaur kahā, “maiṅ tere bāp ibrāhīmkā ḳhudā hūṅ. mat ḍar, kyūṅkimaiṅ tere sāth hūṅ. maiṅ tujhebarkat dūṅgā aur tujhe apne ḳhādimibrāhīm kī ḳhātir bahut aulād dūṅgā.”

25wahāṅ is’hāq ne qurbāngāh banāīaur rab kā nām le kar ibādat kī.wahāṅ us ne apne ḳhaime lagāe aurus ke naukaroṅ ne kuāṅ khod liyā.

abīmalik ke sāth ahd26ek din abīmalik, us kā sāthī

aḳhūzat aur us kā sipahsālār fīkuljirār se us ke pās āe. 27is’hāq nepūchhā, “āp kyūṅ mere pās āe haiṅ?āp to mujh se nafrat rakhte haiṅ. kyāāp ne mujhe apne darmiyān se ḳhārijnahīṅ kiyā thā?” 28unhoṅ ne jawābdiyā, “ham ne jān liyā hai ki rab āpke sāth hai. is lie ham ne kahā kihamārā āp ke sāth ahd honā chāhie.āie ham qasam khā kar ek dūsre seahd bāndheṅ 29ki āp hameṅ nuqsānnahīṅ pahuṅchāeṅge, kyūṅki ham ne

Page 46: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

46 paidāish 27:13

bhī āp ko nahīṅ chheṛā balki āp sesirf achchhā sulūk kiyā aur āp kosalāmatī ke sāth ruḳhsat kiyā hai. aurab zāhir hai ki rab ne āp ko barkat dīhai.”

30is’hāq ne un kī ziyāfat kī, aurunhoṅ ne khāyā aur piyā. 31phirsubhsawere uṭh kar unhoṅ ne ekdūsre ke sāmne qasam khāī. is kebād is’hāq ne unheṅ ruḳhsat kiyā aurwuh salāmatī se rawānā hue.

32usī din is’hāq ke naukar āe auruse us kueṅ ke bāre meṅ ittilā dījo unhoṅ ne khodā thā. unhoṅ nekahā, “hameṅ pānī mil gayā hai.” 33usne kueṅ kā nām sabā yānī ‘qasam’rakhā. āj tak sāth wāle shahr kā nāmbair-sabā hai.

esau kī ajnabī bīwiyāṅ34jab esau 40 sāl kā thā to us ne do

hittī auratoṅ se shādī kī, bairī kī beṭīyahūdit se aur ailon kī beṭī bāsamatse. 35yih aurateṅ is’hāq aur ribqā kelie baṛe dukh kā bāis banīṅ.

is’hāq yāqūb ko barkat detā hai

27 is’hāq būṛhā ho gayā to uskī nazar dhundlā gaī. us

ne apne baṛe beṭe ko bulā kar kahā,“beṭā.” esau ne jawāb diyā, “jī, maiṅhāzir hūṅ.” 2is’hāq ne kahā, “maiṅbūṛhā ho gayā hūṅ aur ḳhudā jānekab mar jāūṅ. 3is lie apnā tīr kamānle kar jangal meṅ nikal jā aur mere lie

kisī jānwar kā shikār kar. 4use tayyārkarke aisā lazīz khānā pakā jo mujhepasand hai. phir use mere pās le ā.marne se pahle maiṅ wuh khānā khākar tujhe barkat denā chāhtā hūṅ.”

5ribqā ne is’hāq kī esau ke sāthbātchīt sun lī thī. jab esau shikārkarne ke lie chalā gayā to us neyāqūb se kahā, 6“abhī abhī maiṅ netumhāre abbū ko esau se yih bāt kartehue sunā ki 7‘mere lie kisī jānwar kāshikār karke le ā. use tayyār karkemere lie lazīz khānā pakā. marne sepahle maiṅ yih khānā khā kar tujherab ke sāmne barkat denā chāhtāhūṅ.’ 8ab suno, mere beṭe! jokuchh maiṅ batātī hūṅ wuh karo. 9jākar rewaṛ meṅ se bakriyoṅ ke doachchhe achchhe bachche chun lo.phir maiṅ wuhī lazīz khānā pakāūṅgījo tumhāre abbū ko pasand hai. 10tumyih khānā us ke pās le jāoge to wuhuse khā kar marne se pahle tumheṅbarkat degā.”

11lekin yāqūb ne etirāz kiyā, “āpjāntī haiṅ ki esau ke jism par ghanebāl haiṅ jabki mere bāl kam haiṅ.12kahīṅ mujhe chhūne se mere bāp kopatā na chal jāe ki maiṅ use fareb derahā hūṅ. phir mujh par barkat nahīṅbalki lānat āegī.” 13us kī māṅ ne kahā,“tum par āne wālī lānat mujh par āe,beṭā. bas merī bāt mān lo. jāo aurbakriyoṅ ke wuh bachche le āo.”

Page 47: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 27:14 47

14chunāṅche wuh gayā aur unheṅapnī māṅ ke pās le āyā. ribqā neaisā lazīz khānā pakāyā jo yāqūb kebāp ko pasand thā. 15esau ke ḳhāsmauqoṅ ke lie achchhe libās ribqā kepās ghar meṅ the. us ne un meṅ sebehtarīn libās chun kar apne chhoṭebeṭe ko pahnā diyā. 16sāth sāth usne bakriyoṅ kī khāleṅ us ke hāthoṅaur gardan par jahāṅ bāl na the lapeṭdīṅ. 17phir us ne apne beṭe yāqūb koroṭī aur wuh lazīz khānā diyā jo us nepakāyā thā.

18yāqūb ne apne bāp ke pās jā karkahā, “abbū jī.” is’hāq ne kahā, “jī,beṭā. tū kaun hai?” 19us ne kahā,“maiṅ āp kā pahlauṭhā esau hūṅ.maiṅ ne wuh kiyā hai jo āp ne mujhekahā thā. ab zarā uṭheṅ aur baiṭh karmere shikār kā khānā khāeṅ tāki āpbād meṅ mujhe barkat deṅ.” 20is’hāqne pūchhā, “beṭā, tujhe yih shikār itnījaldī kis tarah mil gayā?” us ne jawābdiyā, “rab āp ke ḳhudā ne use meresāmne se guzarne diyā.”

21is’hāq ne kahā, “beṭā, mere qarībā tāki maiṅ tujhe chhū lūṅ ki tū wāqaīmerā beṭā esau hai ki nahīṅ.” 22yāqūbapne bāp ke nazdīk āyā. is’hāq ne usechhū kar kahā, “terī āwāz to yāqūbkī hai lekin tere hāth esau ke haiṅ.”23yūṅ us ne fareb khāyā. chūṅkiyāqūb ke hāth esau ke hāth kī mānindthe is lie us ne use barkat dī. 24to bhīus ne dubārā pūchhā, “kyā tū wāqaī

merā beṭā esau hai?” yāqūb ne jawābdiyā, “jī, maiṅ wuhī hūṅ.” 25āḳhirkāris’hāq ne kahā, “shikār kā khānāmere pās le ā, beṭā. use khāne kebād maiṅ tujhe barkat dūṅgā.” yāqūbkhānā aur mai le āyā. is’hāq ne khāyāaur piyā, 26phir kahā, “beṭā, mere pāsā aur mujhe bosā de.” 27yāqūb ne pāsā kar use bosā diyā. is’hāq ne us kelibās ko sūṅgh kar use barkat dī. usne kahā,

“mere beṭe kī ḳhushbū us khulemaidān kī ḳhushbū kī mānind hai jiserab ne barkat dī hai. 28allāh tujheāsmān kī os aur zamīn kī zarḳhezī de.wuh tujhe kasrat kā anāj aur angūr kāras de. 29qaumeṅ terī ḳhidmat kareṅ,aur ummateṅ tere sāmne jhuk jāeṅ.apne bhāiyoṅ kā hukmrān ban, aurterī māṅ kī aulād tere sāmne ghuṭneṭeke. jo tujh par lānat kare wuh ḳhudlānatī ho aur jo tujhe barkat de wuhḳhud barkat pāe.”

esau bhī barkat māṅgtā hai30is’hāq kī barkat ke bād yāqūb abhī

ruḳhsat hī huā thā ki us kā bhāī esaushikār karke wāpas āyā. 31wuh bhīlazīz khānā pakā kar use apne bāp kepās le āyā. us ne kahā, “abbū jī, uṭheṅaur mere shikār kā khānā khāeṅ tākiāp mujhe barkat deṅ.” 32is’hāq nepūchhā, “tū kaun hai?” us ne jawābdiyā, “maiṅ āp kā baṛā beṭā esau hūṅ.”

Page 48: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

48 paidāish 28:1

33is’hāq ghabrā kar shiddat sekāṅpne lagā. us ne pūchhā, “phirwuh kaun thā jo kisī jānwar kā shikārkarke mere pās le āyā? tere ānese zarā pahle maiṅ ne us shikār kākhānā khā kar us shaḳhs ko barkat dī.ab wuh barkat usī par rahegī.”

34yih sun kar esau zordār aur talḳhchīḳheṅ mārne lagā. “abbū, mujhebhī barkat deṅ,” us ne kahā. 35lekinis’hāq ne jawāb diyā, “tere bhāī neā kar mujhe fareb diyā. us ne terībarkat tujh se chhīn lī hai.” 36esau nekahā, “us kā nām yāqūb ṭhīk hī rakhāgayā hai, kyūṅki ab us ne mujhe dūsrībār dhokā diyā hai. pahle us nepahlauṭhe kā haq mujh se chhīn liyāaur ab merī barkat bhī zabardastī le lī.kyā āp ne mere lie koī barkat mahfūznahīṅ rakhī?” 37lekin is’hāq ne kahā,“maiṅ ne use terā hukmrān aur uske tamām bhāiyoṅ ko us ke ḳhādimbanā diyā hai. maiṅ ne use anāj aurangūr kā ras muhayyā kiyā hai. abmujhe batā beṭā, kyā kuchh rah gayāhai jo maiṅ tujhe dūṅ?” 38lekin esauḳhāmosh na huā balki kahā, “abbū,kyā āp ke pās wāqaī sirf yihī barkatthī? abbū, mujhe bhī barkat deṅ.”wuh zār-o-qatār rone lagā.

39phir is’hāq ne kahā, “tū zamīn kīzarḳhezī aur āsmān kī os se mahrūmrahegā. 40tū sirf apnī talwār kesahāre zindā rahegā aur apne bhāīkī ḳhidmat karegā. lekin ek din tū

bechain ho kar us kā jūā apnī gardanpar se utār phaiṅkegā.”

yāqūb kī hijrat41bāp kī barkat ke sabab se esau

yāqūb kā dushman ban gayā. us nedil meṅ kahā, “wuh din qarīb ā gaehaiṅ ki abbū intiqāl kar jāeṅge aurham un kā mātam kareṅge. phir maiṅapne bhāī ko mār ḍālūṅgā.”

42ribqā ko apne baṛe beṭe esau kāyih irādā mālūm huā. us ne yāqūb kobulā kar kahā, “tumhārā bhāī badlālenā chāhtā hai. wuh tumheṅ qatlkarne kā irādā rakhtā hai. 43beṭā, abmerī suno, yahāṅ se hijrat kar jāo.hārān shahr meṅ mere bhāī lāban kepās chale jāo. 44wahāṅ kuchh dinṭhahre rahnā jab tak tumhāre bhāīkā ġhussā ṭhanḍā na ho jāe 45jab uskā ġhussā ṭhanḍā ho jāegā aur wuhtumhāre us ke sāth kie gae sulūk kobhūl jāegā, tab maiṅ ittilā dūṅgī kitum wahāṅ se wāpas ā sakte ho. maiṅkyūṅ ek hī din meṅ tum donoṅ semahrūm ho jāūṅ?”

46phir ribqā ne is’hāq se bāt kī,“maiṅ esau kī bīwiyoṅ ke sabab seapnī zindagī se tang hūṅ. agar yāqūbbhī is mulk kī auratoṅ meṅ se kisī seshādī kare to behtar hai ki maiṅ pahlehī mar jāūṅ.”

28 is’hāq ne yāqūb ko bulākar use barkat dī aur

kahā, “lāzim hai ki tū kisī kan’ānī

Page 49: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 28:2 49

aurat se shādī na kare. 2ab sīdhemasoputāmiyā meṅ apne nānā batūelke ghar jā aur wahāṅ apne māmūṅlāban kī laṛkiyoṅ meṅ se kisī ekse shādī kar. 3allāh qādir-e-mutlaqtujhe barkat de kar phalne phūlne deaur tujhe itnī aulād de ki tū bahutsārī qaumoṅ kā bāp bane. 4wuh tujheaur terī aulād ko ibrāhīm kī barkat dejise us ne yih mulk diyā jis meṅ tūmehmān ke taur par rahtā hai. yihmulk tumhāre qabze meṅ āe.” 5yūṅis’hāq ne yāqūb ko masoputāmiyāmeṅ lāban ke ghar bhejā. lāban arāmīmard batūel kā beṭā aur ribqā kā bhāīthā.

esau ek aur shādī kartā hai6esau ko patā chalā ki is’hāq

ne yāqūb ko barkat de karmasoputāmiyā bhej diyā hai tākiwahāṅ shādī kare. use yih bhī mālūmhuā ki is’hāq ne use kan’ānī aurat seshādī karne se manā kiyā hai 7aurki yāqūb apne māṅ-bāp kī sun karmasoputāmiyā chalā gayā hai. 8esausamajh gayā ki kan’ānī aurateṅ merebāp ko manzūr nahīṅ haiṅ. 9is liewuh ibrāhīm ke beṭe ismāīl ke pāsgayā aur us kī beṭī mahalat se shādīkī. wuh nabāyot kī bahan thī. yūṅ uskī bīwiyoṅ meṅ izāfā huā.

bait-el meṅ yāqūb kā ḳhwāb10yāqūb bair-sabā se hārān kī taraf

rawānā huā. 11jab sūraj ġhurūb huāto wuh rāt guzārne ke lie ruk gayāaur wahāṅ ke pattharoṅ meṅ se ek kole kar use apne sirhāne rakhā aur sogayā.

12jab wuh so rahā thā to ḳhwābmeṅ ek sīṛhī dekhī jo zamīn se āsmāntak pahuṅchtī thī. farishte us parchaṛhte aur utarte nazar āte the.13rab us ke ūpar khaṛā thā. us nekahā, “maiṅ rab ibrāhīm aur is’hāqkā ḳhudā hūṅ. maiṅ tujhe aur terīaulād ko yih zamīn dūṅgā jis par tūleṭā hai. 14terī aulād zamīn par ḳhākkī tarah beshumār hogī, aur tū chāroṅtaraf phail jāegā. duniyā kī tamāmqaumeṅ tere aur terī aulād ke wasīlese barkat pāeṅgī. 15maiṅ tere sāthhūṅgā, tujhe mahfūz rakhūṅgā aurāḳhirkār tujhe is mulk meṅ wāpaslāūṅgā. mumkin hī nahīṅ ki maiṅtere sāth apnā wādā pūrā karne sepahle tujhe chhoṛ dūṅ.”

16tab yāqūb jāg uṭhā. us ne kahā,“yaqīnan rab yahāṅ hāzir hai, aurmujhe mālūm nahīṅ thā.” 17wuh ḍargayā aur kahā, “yih kitnā ḳhaufnākmaqām hai. yih to allāh hī kā gharaur āsmān kā darwāzā hai.”

18yāqūb subhsawere uṭhā. us newuh patthar liyā jo us ne apnesirhāne rakhā thā aur use satūn kītarah khaṛā kiyā. phir us ne us par

Page 50: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

50 paidāish 29:14

zaitūn kā tel unḍel diyā. 19us nemaqām kā nām bait-el yānī ‘allāh kāghar’ rakhā (pahle sāth wāle shahrkā nām lūz thā). 20us ne qasam khākar kahā, “agar rab mere sāth ho,safar par merī hifāzat kare, mujhekhānā aur kapṛā muhayyā kare 21aurmaiṅ salāmatī se apne bāp ke gharwāpas pahuṅchūṅ to phir wuh merāḳhudā hogā. 22jahāṅ yih pattharsatūn ke taur par khaṛā hai wahāṅallāh kā ghar hogā, aur jo bhī tūmujhe degā us kā daswāṅ hissā tujhediyā karūṅga.”

yāqūb lāban ke ghar pahuṅchtā hai

29 yāqūb ne apnā safar jārīrakhā aur chalte chalte

mashriqī qaumoṅ ke mulk meṅpahuṅch gayā. 2wahāṅ us ne khetmeṅ kuāṅ dekhā jis ke irdgird bheṛ-bakriyoṅ ke tīn rewaṛ jamā the.rewaṛoṅ ko kueṅ kā pānī pilāyājānā thā, lekin us ke muṅh par baṛāpatthar paṛā thā. 3wahāṅ pānī pilānekā yih tarīqā thā ki pahle charwāhetamām rewaṛoṅ kā intizār karte aurphir patthar ko luṛhkā kar muṅh sehaṭā dete the. pānī pilāne ke bād wuhpatthar ko dubārā muṅh par rakhdete the.

4yāqūb ne charwāhoṅ se pūchhā,“mere bhāiyo, āp kahāṅ ke haiṅ?”unhoṅ ne jawāb diyā, “hārān ke.” 5usne pūchhā, “kyā āp nahūr ke pote

lāban ko jānte haiṅ?” unhoṅ ne kahā,“jī hāṅ.” 6us ne pūchhā, “kyā wuhḳhairiyat se hai?” unhoṅ ne kahā, “jī,wuh ḳhairiyat se hai. dekho, udharus kī beṭī rāḳhil rewaṛ le kar ā rahīhai.” 7yāqūb ne kahā, “abhī to shāmtak bahut waqt bāqī hai. rewaṛoṅko jamā karne kā waqt to nahīṅhai. āp kyūṅ unheṅ pānī pilā kardubārā charne nahīṅ dete?” 8unhoṅne jawāb diyā, “pahle zarūrī hai kitamām rewaṛ yahāṅ pahuṅcheṅ. tabhī patthar ko luṛhkā kar ek tarafhaṭāyā jāegā aur ham rewaṛoṅ kopānī pilāeṅge.”

9yāqūb abhī un se bāt kar hī rahāthā ki rāḳhil apne bāp kā rewaṛ le karā pahuṅchī, kyūṅki bheṛ-bakriyoṅ kocharānā us kā kām thā. 10jab yāqūbne rāḳhil ko māmūṅ lāban ke rewaṛke sāth āte dekhā to us ne kueṅ ke pāsjā kar patthar ko luṛhkā kar muṅh sehaṭā diyā aur bheṛ-bakriyoṅ ko pānīpilāyā. 11phir us ne use bosā diyā aurḳhūb rone lagā. 12us ne kahā, “maiṅāp ke abbū kī bahan ribqā kā beṭāhūṅ.” yih sun kar rāḳhil ne bhāg karapne abbū ko ittilā dī.

13jab lāban ne sunā ki merā bhānjāyāqūb āyā hai to wuh dauṛ kar usse milne gayā aur use gale lagā karapne ghar le āyā. yāqūb ne use sabkuchh batā diyā jo huā thā. 14lāban nekahā, “āp wāqaī mere rishtedār haiṅ.”

Page 51: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 29:15 51

yāqūb ne wahāṅ ek pūrā mahīnāguzārā.

apnī bīwiyoṅ ke lie yāqūb

kī mehnat-mashaqqat15phir lāban yāqūb se kahne lagā,

“beshak āp mere rishtedār haiṅ, lekināp ko mere lie kām karne ke badlemeṅ kuchh milnā chāhie. maiṅ āpko kitne paise dūṅ?” 16lāban kī dobeṭiyāṅ thīṅ. baṛī kā nām liyāhthā aur chhoṭī kā rāḳhil. 17liyāh kīāṅkheṅ chundhī thīṅ jabki rāḳhil hartarah se ḳhūbsūrat thī. 18yāqūb korāḳhil se muhabbat thī, is lie us nekahā, “agar mujhe āp kī chhoṭī beṭīrāḳhil mil jāe to āp ke lie sāt sālkām karūṅga.” 19lāban ne kahā, “kisīaur ādmī kī nisbat mujhe yih zyādāpasand hai ki āp hī se us kī shādīkarāūṅ.”

20pas yāqūb ne rāḳhil ko pāne kelie sāt sāl tak kām kiyā. lekin useaisā lagā jaisā do ek din hī guzarehoṅ kyūṅki wuh rāḳhil ko shiddatse pyār kartā thā. 21is ke bād us nelāban se kahā, “muddat pūrī ho gaīhai. ab mujhe apnī beṭī se shādī karnedeṅ.” 22lāban ne us maqām ke tamāmlogoṅ ko dāwat de kar shādī kī ziyāfatkī. 23lekin us rāt wuh rāḳhil kī bajāeliyāh ko yāqūb ke pās le āyā, auryāqūb usī se hambistar huā. 24(lābanne liyāh ko apnī launḍī zilfā de dī thītāki wuh us kī ḳhidmat kare.)

25jab subh huī to yāqūb ne dekhāki liyāh hī mere pās hai. us ne lābanke pās jā kar kahā, “yih āp ne meresāth kyā kiyā hai? kyā maiṅ nerāḳhil ke lie kām nahīṅ kiyā? āp nemujhe dhokā kyūṅ diyā?” 26lāban nejawāb diyā, “yahāṅ dastūr nahīṅ haiki chhoṭī beṭī kī shādī baṛī se pahlekar dī jāe 27ek hafte ke bād shādī kīrusūmāt pūrī ho jāeṅgī. us waqt taksabar kareṅ. phir maiṅ āp ko rāḳhilbhī de dūṅgā. shart yih hai ki āpmazīd sāt sāl mere lie kām kareṅ.”

28yāqūb mān gayā. chunāṅche jabek hafte ke bād shādī kī rusūmāt pūrīhuīṅ to lāban ne apnī beṭī rāḳhil kīshādī bhī us ke sāth kar dī. 29(lāban nerāḳhil ko apnī launḍī bilhāh de dī tākiwuh us kī ḳhidmat kare.) 30yāqūbrāḳhil se bhī hambistar huā. wuhliyāh kī nisbat use zyādā pyār kartāthā. phir us ne rāḳhil ke iwaz sāt sālaur lāban kī ḳhidmat kī.

yāqūb ke bachche31jab rab ne dekhā ki liyāh se nafrat

kī jātī hai to us ne use aulād dī jabkirāḳhil ke hāṅ bachche paidā na hue.

32liyāh hāmilā huī aur us ke beṭāpaidā huā. us ne kahā, “rab nemerī musībat dekhī hai aur ab merāshauhar mujhe pyār karegā.” us neus kā nām rūbin yānī ‘dekho ek beṭā’rakhā.

Page 52: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

52 paidāish 30:14

33wuh dubārā hāmilā huī. ek aurbeṭā paidā huā. us ne kahā, “rab nesunā ki mujh se nafrat kī jātī hai, islie us ne mujhe yih bhī diyā hai.” usne us kā nām shamāūn yānī ‘rab nesunā hai’ rakhā.

34wuh ek aur dafā hāmilā huī.tīsrā beṭā paidā huā. us ne kahā,“ab āḳhirkār shauhar ke sāth merābandhan mazbūt ho jāegā, kyūṅkimaiṅ ne us ke lie tīn beṭoṅ ko janmdiyā hai.” us ne us kā nām lāwī yānībandhan rakhā.

35wuh ek bār phir hāmilā huī.chauthā beṭā paidā huā. us ne kahā,“is dafā maiṅ rab kī tamjīd karūṅgī.”us ne us kā nām yahūdāh yānī tamjīdrakhā. is ke bād us se aur bachchepaidā na hue.

30 lekin rāḳhil beaulād hī rahī,is lie wuh apnī bahan se

hasad karne lagī. us ne yāqūb sekahā, “mujhe bhī aulād deṅ warnāmaiṅ mar jāūṅgī.” 2yāqūb ko ġhussāāyā. us ne kahā, “kyā maiṅ allāhhūṅ jis ne tujhe aulād se mahrūmrakhā hai?” 3rāḳhil ne kahā, “yahāṅmerī launḍī bilhāh hai. us ke sāthhambistar hoṅ tāki wuh mere liebachche ko janm de aur maiṅ us kīmārifat māṅ ban jāūṅ.”

4yūṅ us ne apne shauhar ko bilhāhdī, aur wuh us se hambistar huā.5bilhāh hāmilā huī aur beṭā paidāhuā. 6rāḳhil ne kahā, “allāh ne merehaq meṅ faislā diyā hai. us ne merīduā sun kar mujhe beṭā de diyā hai.”us ne us kā nām dān yānī ‘kisī ke haqmeṅ faislā karne wālā’ rakhā.

7bilhāh dubārā hāmilā huī aur ekaur beṭā paidā huā. 8rāḳhil ne kahā,“maiṅ ne apnī bahan se saḳht kushtīlaṛī hai, lekin jīt gaī hūṅ.” us ne us kānām naftālī yānī ‘kushtī meṅ mujh sejītā gayā’ rakhā.

9jab liyāh ne dekhā ki mere aurbachche paidā nahīṅ ho rahe to usne yāqūb ko apnī launḍī zilfā de dītāki wuh bhī us kī bīwī ho. 10zilfāke bhī ek beṭā paidā huā. 11liyāh nekahā, “maiṅ kitnī ḳhushqismat hūṅ!”chunāṅche us ne us kā nām jad yānīḳhushqismatī rakhā.

12phir zilfā ke dūsrā beṭā paidā huā.13liyāh ne kahā, “maiṅ kitnī mubārakhūṅ. ab ḳhawātīn mujhe mubārakkaheṅgī.” us ne us kā nām āshar yānīmubārak rakhā.

14ek din anāj kī fasal kī kaṭāī horahī thī ki rūbin bāhar nikal karkhetoṅ meṅ chalā gayā. wahāṅuse mardumgayāha mil gae. wuhunheṅ apnī māṅ liyāh ke pās le

aek paudā jis ke bāre meṅ ḳhayāl kiyā jātāthā ki use khā kar bāṅjh aurat bhī bachcheko janm degī.

Page 53: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 30:15 53

āyā. yih dekh kar rāḳhil ne liyāhse kahā, “mujhe zarā apne beṭe kemardumgayāh meṅ se kuchh de do.”15liyāh ne jawāb diyā, “kyā yihī kāfīnahīṅ ki tum ne mere shauhar komujh se chhīn liyā hai? ab mere beṭeke mardumgayāh ko bhī chhīnanāchāhtī ho.” rāḳhil ne kahā, “agar tummujhe apne beṭe ke mardumgayāhmeṅ se do to āj rāt yāqūb ke sāth sosaktī ho.”

16shām ko yāqūb khetoṅ se wāpasā rahā thā ki liyāh āge se us se milneko gaī aur kahā, “āj rāt āp ko meresāth sonā hai, kyūṅki maiṅ ne apnebeṭe ke mardumgayāh ke iwaz āp koujrat par liyā hai.” chunāṅche yāqūbne liyāh ke pās rāt guzārī.

17us waqt allāh ne liyāh kī duā sunīaur wuh hāmilā huī. us ke pāṅchwāṅbeṭā paidā huā. 18liyāh ne kahā,“allāh ne mujhe is kā ajr diyā hai kimaiṅ ne apne shauhar ko apnī launḍīdī.” us ne us kā nām ishkār yānī ajrrakhā.

19is ke bād wuh ek aur dafā hāmilāhuī. us ke chhaṭā beṭā paidā huā.20us ne kahā, “allāh ne mujhe ekachchhā-ḳhāsā tohfā diyā hai. abmerā ḳhāwand mere sāth rahegā,kyūṅki mujh se us ke chhih beṭepaidā hue haiṅ.” us ne us kā nāmzabūlūn yānī rihāish rakhā.

21is ke bād beṭī paidā huī. us ne uskā nām dīnā rakhā.

22phir allāh ne rāḳhil ko bhī yādkiyā. us ne us kī duā sun kar useaulād baḳhshī. 23wuh hāmilā huī aurek beṭā paidā huā. us ne kahā, “mujhebeṭā atā karne se allāh ne merī izzatbahāl kar dī hai. 24rab mujhe ek aurbeṭā de.” us ne us kā nām yūsuf yānī‘wuh aur de’ rakhā.

yāqūb kā lāban ke sāth saudā25yūsuf kī paidāish ke bād yāqūb ne

lāban se kahā, “ab mujhe ijāzat deṅ kimaiṅ apne watan aur ghar ko wāpasjāūṅ. 26mujhe mere bāl-bachche deṅjin ke iwaz maiṅ ne āp kī ḳhidmatkī hai. phir maiṅ chalā jāūṅgā. āpto ḳhud jānte haiṅ ki maiṅ ne kitnīmehnat ke sāth āp ke lie kām kiyāhai.”

27lekin lāban ne kahā, “mujh parmehrbānī kareṅ aur yihīṅ raheṅ.mujhe ġhaibdānī se patā chalā hai kirab ne mujhe āp ke sabab se barkatdī hai. 28apnī ujrat ḳhud muqarrarkareṅ to maiṅ wuhī diyā karūṅga.”

29yāqūb ne kahā, “āp jānte haiṅki maiṅ ne kis tarah āp ke lie kāmkiyā, ki mere wasīle se āp ke maweshīkitne baṛh gae haiṅ. 30jo thoṛā bahutmere āne se pahle āp ke pās thā wuhab bahut zyādā baṛh gayā hai. rab nemere kām se āp ko bahut barkat dīhai. ab wuh waqt ā gayā hai ki maiṅapne ghar ke lie kuchh karūṅ.”

Page 54: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

54 paidāish 31:1

31lāban ne kahā, “maiṅ āp ko kyādūṅ?” yāqūb ne kahā, “mujhe kuchhna deṅ. maiṅ is shart par āp kī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl jārī rakhūṅgāki 32āj maiṅ āp ke rewaṛ meṅ se guzarkar un tamām bheṛoṅ ko alag karlūṅgā jin ke jism par chhoṭe yā baṛedhabbe hoṅ yā jo safed na hoṅ. isītarah maiṅ un tamām bakriyoṅ kobhī alag kar lūṅgā jin ke jism parchhoṭe yā baṛe dhabbe hoṅ. yihīmerī ujrat hogī. 33āindā jin bakriyoṅke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbehoṅge yā jin bheṛoṅ kā rang safednahīṅ hogā wuh merā ajr hoṅgī.jab kabhī āp un kā muāinā kareṅgeto āp mālūm kar sakeṅge ki maiṅdiyānatdār rahā hūṅ. kyūṅki merejānwaroṅ ke rang se hī zāhir hogā kimaiṅ ne āp kā kuchh churāyā nahīṅhai.” 34lāban ne kahā, “ṭhīk hai. aisāhī ho jaisā āp ne kahā hai.”

35usī din lāban ne un bakroṅ ko alagkar liyā jin ke jism par dhāriyāṅ yādhabbe the aur un tamām bakriyoṅko jin ke jism par chhoṭe yā baṛedhabbe the. jis ke bhī jism par safednishān thā use us ne alag kar liyā. isītarah us ne un tamām bheṛoṅ ko bhīalag kar liyā jo pūre taur par safedna the. phir lāban ne unheṅ apnebeṭoṅ ke sapurd kar diyā 36jo un kesāth yāqūb se itnā dūr chale gae ki unke darmiyān tīn din kā fāsilā thā. tab

yāqūb lāban kī bāqī bheṛ-bakriyoṅ kīdekh-bhāl kartā gayā.

37yāqūb ne safedā, bādām aurchanār kī harī harī shāḳheṅ le kar unse kuchh chhilkā yūṅ utār diyā ki uspar safed dhāriyāṅ nazar āīṅ. 38usne unheṅ bheṛ-bakriyoṅ ke sāmne unhauzoṅ meṅ gāṛ diyā jahāṅ wuh pānīpīte the, kyūṅki wahāṅ yih jānwarmast ho kar milāp karte the. 39jabwuh in shāḳhoṅ ke sāmne milāpkarte to jo bachche paidā hote un kejism par chhoṭe aur baṛe dhabbe aurdhāriyāṅ hotī thīṅ. 40phir yāqūb nebheṛ ke bachchoṅ ko alag karke apnerewaṛoṅ ko lāban ke un jānwaroṅ kesāmne charne diyā jin ke jism pardhāriyāṅ thīṅ aur jo safed na the. yūṅus ne apne zātī rewaṛoṅ ko alag karliyā aur unheṅ lāban ke rewaṛ ke sāthcharne na diyā.

41lekin us ne yih shāḳheṅ sirfus waqt hauzoṅ meṅ khaṛī kīṅ jabtāqatwar jānwar mast ho kar milāpkarte the. 42kamzor jānwaroṅ kesāth us ne aisā na kiyā. isī tarahlāban ko kamzor jānwar aur yāqūbko tāqatwar jānwar mil gae. 43yūṅyāqūb bahut amīr ban gayā. uske pās bahut se rewaṛ, ġhulām aurlaunḍiyāṅ, ūṅṭ aur gadhe the.

yāqūb kī hijrat

31 ek din yāqūb ko patā chalā kilāban ke beṭe mere bāre meṅ

Page 55: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 31:2 55

kah rahe haiṅ, “yāqūb ne hamāreabbū se sab kuchh chhīn liyā hai. usne yih tamām daulat hamāre bāp kīmilkiyat se hāsil kī hai.” 2yāqūb neyih bhī dekhā ki lāban kā mere sāthrawayyā pahle kī nisbat bigaṛ gayāhai. 3phir rab ne us se kahā, “apnebāp ke mulk aur apne rishtedāroṅ kepās wāpas chalā jā. maiṅ tere sāthhūṅgā.”

4us waqt yāqūb khule maidān meṅapne rewaṛoṅ ke pās thā. us newahāṅ se rāḳhil aur liyāh ko bulākar 5un se kahā, “maiṅ ne dekhliyā hai ki āp ke bāp kā mere sāthrawayyā pahle kī nisbat bigaṛ gayāhai. lekin mere bāp kā ḳhudā meresāth rahā hai. 6āp donoṅ jāntī haiṅki maiṅ ne āp ke abbū ke lie kitnījāṅfishānī se kām kiyā hai. 7lekinwuh mujhe fareb detā rahā aur merīujrat das bār badlī. tāham allāh neuse mujhe nuqsān pahuṅchāne nadiyā. 8jab māmūṅ lāban kahte the,‘jin jānwaroṅ ke jism par dhabbehoṅ wuhī āp ko ujrat ke taur parmileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ keaise bachche paidā hue jin ke jismoṅpar dhabbe hī the. jab unhoṅ ne kahā,‘jin jānwaroṅ ke jism par dhāriyāṅhoṅgī wuhī āp ko ujrat ke taur parmileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ keaise bachche paidā hue jin ke jismoṅpar dhāriyāṅ hī thīṅ. 9yūṅ allāh neāp ke abbū ke maweshī chhīn kar

mujhe de die haiṅ. 10ab aisā huā kihaiwānoṅ kī mastī ke mausam meṅmaiṅ ne ek ḳhwāb dekhā. us meṅ jomenḍhe aur bakre bheṛ-bakriyoṅ semilāp kar rahe the un ke jism par baṛeaur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ thīṅ.11us ḳhwāb meṅ allāh ke farishte nemujh se bāt kī, ‘yāqūb!’ maiṅ nekahā, ‘jī, maiṅ hāzir hūṅ.’ 12farishtene kahā, ‘apnī nazar uṭhā kar us parġhaur kar jo ho rahā hai. wuh tamāmmenḍhe aur bakre jo bheṛ-bakriyoṅse milāp kar rahe haiṅ un ke jism parbaṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅhaiṅ. maiṅ yih ḳhud karwā rahā hūṅ,kyūṅki maiṅ ne wuh sab kuchh dekhliyā hai jo lāban ne tere sāth kiyāhai. 13maiṅ wuh ḳhudā hūṅ jo bait-el meṅ tujh par zāhir huā thā, usjagah jahāṅ tū ne satūn par tel unḍelkar use mere lie maḳhsūs kiyā aurmere huzūr qasam khāī thī. ab uṭhaur rawānā ho kar apne watan wāpaschalā jā’.”

14rāḳhil aur liyāh ne jawāb meṅyāqūb se kahā, “ab hameṅ apne bāp kīmīrās se kuchh milne kī ummīd nahīṅrahī. 15us kā hamāre sāth ajnabī kāsā sulūk hai. pahle us ne hameṅbech diyā, aur ab us ne wuh sārepaise khā bhī lie haiṅ. 16chunāṅchejo bhī daulat allāh ne hamāre bāp sechhīn lī hai wuh hamārī aur hamārebachchoṅ kī hī hai. ab jo kuchh bhīallāh ne āp ko batāyā hai wuh kareṅ.”

Page 56: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

56 paidāish 31:33

17tab yāqūb ne uṭh kar apne bāl-bachchoṅ ko ūṅṭoṅ par biṭhāyā18aur apne tamām maweshī aurmasoputāmiyā se hāsil kiyā huātamām sāmān le kar mulk-e-kan’ānmeṅ apne bāp ke hāṅ jāne ke lierawānā huā. 19us waqt lāban apnībheṛ-bakriyoṅ kī pashm katarne kogayā huā thā. us kī ġhairmaujūdagīmeṅ rāḳhil ne apne bāp ke but churālie.

20yāqūb ne lāban ko fareb de karuse ittilā na dī ki maiṅ jā rahā hūṅ21balki apnī sārī milkiyat sameṭ karfarār huā. daryā-e-furāt ko pār karkewuh jiliād ke pahāṛī ilāqe kī tarafsafar karne lagā.

lāban yāqūb kā tāqqub kartā hai22tīn din guzar gae. phir lāban

ko batāyā gayā ki yāqūb bhāg gayāhai. 23apne rishtedāroṅ ko sāth lekar us ne us kā tāqqub kiyā. sāt dinchalte chalte us ne yāqūb ko ā liyājab wuh jiliād ke pahāṛī ilāqe meṅpahuṅch gayā thā. 24lekin us rāt allāhne ḳhwāb meṅ lāban ke pās ā kar usse kahā, “ḳhabardār! yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.”

25jab lāban us ke pās pahuṅchā toyāqūb ne jiliād ke pahāṛī ilāqe meṅapne ḳhaime lagāe hue the. lāban nebhī apne rishtedāroṅ ke sāth wahīṅapne ḳhaime lagāe. 26us ne yāqūb sekahā, “yih āp ne kyā kiyā hai? āp

mujhe dhokā de kar merī beṭiyoṅ kokyūṅ jangī qaidiyoṅ kī tarah hāṅk lāehaiṅ? 27āp kyūṅ mujhe fareb de karḳhāmoshī se bhāg āe haiṅ? agar āpmujhe ittilā dete to maiṅ āp ko ḳhushīḳhushī daf aur sarod ke sāth gātebajāte ruḳhsat kartā. 28āp ne mujheapne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅko bosā dene kā mauqā bhī na diyā.āp kī yih harkat baṛī ahmaqānā thī.29maiṅ āp ko bahut nuqsān pahuṅchāsaktā hūṅ. lekin pichhlī rāt āp keabbū ke ḳhudā ne mujh se kahā,‘ḳhabardār! yāqūb ko burā-bhalā nakahnā.’ 30ṭhīk hai, āp is lie chale gaeki apne bāp ke ghar wāpas jāne kebaṛe ārzūmand the. lekin yih āp nekyā kiyā hai ki mere but churā lāehaiṅ?”

31yāqūb ne jawāb diyā, “mujheḍar thā ki āp apnī beṭiyoṅ ko mujhse chhīn leṅge. 32lekin agar āpko yahāṅ kisī ke pās apne butmil jāeṅ to use sazā-e-maut dī jāehamāre rishtedāroṅ kī maujūdagīmeṅ mālūm kareṅ ki mere pās āp kīkoī chīz hai ki nahīṅ. agar hai to usele leṅ.” yāqūb ko mālūm nahīṅ thā kirāḳhil ne butoṅ ko churāyā hai.

33lāban yāqūb ke ḳhaime meṅdāḳhil huā aur ḍhūṅḍne lagā. wahāṅse nikal kar wuh liyāh ke ḳhaime meṅaur donoṅ launḍiyoṅ ke ḳhaime meṅgayā. lekin us ke but kahīṅ nazar naāe. āḳhir meṅ wuh rāḳhil ke ḳhaime

Page 57: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 31:34 57

meṅ dāḳhil huā. 34rāḳhil butoṅ koūṅṭoṅ kī ek kāṭhī ke nīche chhupā karus par baiṭh gaī thī. lāban ṭaṭol ṭaṭolkar pūre ḳhaime meṅ se guzarā lekinbut na mile. 35rāḳhil ne apne bāp sekahā, “abbū, mujh se nārāz na honāki maiṅ āp ke sāmne khaṛī nahīṅho saktī. maiṅ ayyām-e-māhwārī kesabab se uṭh nahīṅ saktī.” lāban usechhoṛ kar ḍhūṅḍtā rahā, lekin kuchhna milā.

36phir yāqūb ko ġhussā āyā aurwuh lāban se jhagaṛne lagā. us nepūchhā, “mujh se kyā jurm sarzadhuā hai? maiṅ ne kyā gunāh kiyāhai ki āp itnī tundī se mere tāqqubke lie nikle haiṅ? 37āp ne ṭaṭol ṭaṭolkar mere sāre sāmān kī talāshī lī hai.to āp kā kyā niklā hai? use yahāṅapne aur mere rishtedāroṅ ke sāmnerakheṅ. phir wuh faislā kareṅ ki hammeṅ se kaun haq par hai. 38maiṅbīs sāl tak āp ke sāth rahā hūṅ. usdaurān āp kī bheṛ-bakriyāṅ bachchoṅse mahrūm nahīṅ rahīṅ balki maiṅ neāp kā ek menḍhā bhī nahīṅ khāyā.39jab bhī koī bheṛ yā bakrī kisī janglījānwar ne phāṛ ḍālī to maiṅ use āpke pās na lāyā balki mujhe ḳhudus kā nuqsān bharnā paṛā. āp kātaqāzā thā ki maiṅ ḳhud chorī huemāl kā iwazānā dūṅ, ḳhwāh wuhdin ke waqt chorī huā yā rāt ko.

40maiṅ din kī shadīd garmī ke bāispighal gayā aur rāt kī shadīd sardīke bāis jam gayā. kām itnā saḳhtthā ki maiṅ nīnd se mahrūm rahā.41pūre bīs sāl isī hālat meṅ guzar gae.chaudah sāl maiṅ ne āp kī beṭiyoṅke iwaz kām kiyā aur chhih sāl āp kībheṛ-bakriyoṅ ke lie. us daurān āpne das bār merī tanḳhwāh badal dī.42agar mere bāp is’hāq kā ḳhudā aurmere dādā ibrāhīm kā mābūda meresāth na hotā to āp mujhe zarūr ḳhālīhāth ruḳhsat karte. lekin allāh nemerī musībat aur merī saḳht mehnat-mashaqqat dekhī hai, is lie us ne kalrāt ko mere haq meṅ faislā diyā.”

yāqūb aur lāban ke darmiyān ahd43tab lāban ne yāqūb se kahā, “yih

beṭiyāṅ to merī beṭiyāṅ haiṅ, aurin ke bachche mere bachche haiṅ.yih bheṛ-bakriyāṅ bhī merī hī haiṅ.lekin ab maiṅ apnī beṭiyoṅ aur unke bachchoṅ ke lie kuchh nahīṅ karsaktā. 44is lie āo, ham ek dūsre ke sāthahd bāndheṅ. is ke lie ham yahāṅpattharoṅ kā ḍher lagāeṅ jo ahd kīgawāhī detā rahe.”

45chunāṅche yāqūb ne ek pattharle kar use satūn ke taur par khaṛākiyā. 46us ne apne rishtedāroṅ sekahā, “kuchh patthar jamā kareṅ.”unhoṅ ne patthar jamā karke ḍher

alafzī tarjumā: dahshat yānī is’hāq kā wuhḳhudā jis se insān dahshat khātā hai.

Page 58: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

58 paidāish 32:7

lagā diyā. phir unhoṅ ne us ḍher kepās baiṭh kar khānā khāyā. 47lābanne us kā nām yajr-shāhdūthā rakhājabki yāqūb ne jal-ed rakhā. donoṅnāmoṅ kā matlab ‘gawāhī kā ḍher’hai yānī wuh ḍher jo gawāhī detāhai. 48lāban ne kahā, “āj ham donoṅke darmiyān yih ḍher ahd kī gawāhīdetā hai.” is lie us kā nām jal-edrakhā gayā. 49us kā ek aur nāmmisfāh yānī ‘pahredāroṅ kā mīnār’bhī rakhā gayā. kyūṅki lāban nekahā, “rab ham par pahrā de jab hamek dūsre se alag ho jāeṅge. 50merībeṭiyoṅ se burā sulūk na karnā, naun ke ilāwā kisī aur se shādī karnā.agar mujhe patā bhī na chale lekinzarūr yād rakheṅ ki allāh mere aurāp ke sāmne gawāh hai. 51yahāṅ yihḍher hai jo maiṅ ne lagā diyā haiaur yahāṅ yih satūn bhī hai. 52yihḍher aur satūn donoṅ is ke gawāhhaiṅ ki na maiṅ yahāṅ se guzarkar āp ko nuqsān pahuṅchāūṅgā aurna āp yahāṅ se guzar kar mujhenuqsān pahuṅchāeṅge. 53ibrāhīm,nahūr aur un ke bāp kā ḳhudā hamdonoṅ ke darmiyān faislā kare agaraisā koī muāmalā ho.” jawāb meṅyāqūb ne is’hāq ke mābūd kī qasamkhāī ki maiṅ yih ahd kabhī nahīṅtoṛūṅgā. 54us ne pahāṛ par ek jānwarqurbānī ke taur par chaṛhāyā aurapne rishtedāroṅ ko khānā khāne kī

dāwat dī. unhoṅ ne khānā khā karwahīṅ pahāṛ par rāt guzārī.

55agle din subhsawere lāban neapne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅko bosā de kar unheṅ barkat dī. phirwuh apne ghar wāpas chalā gayā.

yāqūb esau se milne ke lie

tayyār ho jātā hai

32 yāqūb ne bhī apnā safar jārīrakhā. rāste meṅ allāh ke

farishte us se mile. 2unheṅ dekh karus ne kahā, “yih allāh kī lashkargāhhai.” us ne us maqām kā nāmmahanāim yānī ‘do lashkargāheṅ’rakhā.

3yāqūb ne apne bhāī esau ke pāsapne āge āge qāsid bheje. esau saīryānī adom ke mulk meṅ ābād thā.4unheṅ esau ko batānā thā, “āp kāḳhādim yāqūb āp ko ittilā detā hai kimaiṅ pardes meṅ jā kar ab tak lābankā mehmān rahā hūṅ. 5wahāṅ mujhebail, gadhe, bheṛ-bakriyāṅ, ġhulāmaur launḍiyāṅ hāsil hue haiṅ. abmaiṅ apne mālik ko ittilā de rahā hūṅki wāpas ā gayā hūṅ aur āp kī nazar-e-karm kā ḳhwāhishmand hūṅ.”

6jab qāsid wāpas āe to unhoṅ nekahā, “ham āp ke bhāī esau ke pāsgae. aur wuh 400 ādmī sāth le kar āpse milne ā rahā hai.”

7yāqūb ghabrā kar bahut pareshānhuā. us ne apne sāth ke tamāmlogoṅ, bheṛ-bakriyoṅ, gāy-bailoṅ aur

Page 59: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 32:8 59

ūṅṭoṅ ko do gurohoṅ meṅ taqsīmkiyā. 8ḳhayāl yih thā ki agar esau ākar ek guroh par hamlā kare to bāqīguroh shāyad bach jāe 9phir yāqūbne duā kī, “ai mere dādā ibrāhīm aurmere bāp is’hāq ke ḳhudā, merī duāsun! ai rab, tū ne ḳhud mujhe batāyā,‘apne mulk aur rishtedāroṅ ke pāswāpas jā, aur maiṅ tujhe kāmyābīdūṅgā.’ 10maiṅ us tamām mehrbānīaur wafādārī ke lāiq nahīṅ jo tū neapne ḳhādim ko dikhāī hai. jab maiṅne lāban ke pās jāte waqt daryā-e-yardan ko pār kiyā to mere pās sirfyih lāṭhī thī, aur ab mere pās yihdo guroh haiṅ. 11mujhe apne bhāīesau se bachā, kyūṅki mujhe ḍar haiki wuh mujh par hamlā karke bāl-bachchoṅ samet sab kuchh tabāh kardegā. 12tū ne ḳhud kahā thā, ‘maiṅtujhe kāmyābī dūṅgā aur terī aulāditnī baṛhāūṅgā ki wuh samundar kīret kī mānind beshumār hogī’.”

13yāqūb ne wahāṅ rāt guzārī. phirus ne apne māl meṅ se esau ke lietohfe chun lie: 14200 bakriyāṅ, 20bakre, 200 bheṛeṅ, 20 menḍhe, 1530dūdh dene wālī ūṅṭniyāṅ bachchoṅsamet, 40 gāeṅ, 10 bail, 20 gadhiyāṅaur 10 gadhe. 16us ne unheṅmuḳhtalif rewaṛoṅ meṅ taqsīm karkeapne muḳhtalif naukaroṅ ke sapurdkiyā aur un se kahā, “mere āge āgechalo lekin har rewaṛ ke darmiyānfāsilā rakho.”

17jo naukar pahle rewaṛ le kar āgeniklā us se yāqūb ne kahā, “merā bhāīesau tum se milegā aur pūchhegā,‘tumhārā mālik kaun hai? tum kahāṅjā rahe ho? tumhāre sāmne ke jānwarkis ke haiṅ?’ 18jawāb meṅ tumheṅkahnā hai, ‘yih āp ke ḳhādim yāqūbke haiṅ. yih tohfā haiṅ jo wuh apnemālik esau ko bhej rahe haiṅ. yāqūbhamāre pīchhe pīchhe ā rahe haiṅ’.”

19yāqūb ne yihī hukm har eknaukar ko diyā jise rewaṛ le kar us keāge āge jānā thā. us ne kahā, “jab tumesau se miloge to us se yihī kahnā hai.20tumheṅ yih bhī zarūr kahnā hai, āpke ḳhādim yāqūb hamāre pīchhe ārahe haiṅ.” kyūṅki yāqūb ne sochā,maiṅ in tohfoṅ se us ke sāth sulahkarūṅga. phir jab us se mulāqāt hogīto shāyad wuh mujhe qabūl kar le.21yūṅ us ne yih tohfe apne āge āgebhej die. lekin us ne ḳhud ḳhaimāgāhmeṅ rāt guzārī.

yāqūb kī kushtī22us rāt wuh uṭhā aur apnī do

bīwiyoṅ, do launḍiyoṅ aur gyārahbeṭoṅ ko le kar daryā-e-yabboq kowahāṅ se pār kiyā jahāṅ kam gahrāīthī. 23phir us ne apnā sārā sāmān bhīwahāṅ bhej diyā. 24lekin wuh ḳhudakelā hī pīchhe rah gayā.

us waqt ek ādmī āyā aur pauphaṭne tak us se kushtī laṛtā rahā.25jab us ne dekhā ki maiṅ yāqūb par

Page 60: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

60 paidāish 33:11

ġhālib nahīṅ ā rahā to us ne us kekūlhe ko chhuā, aur us kā joṛ nikalgayā. 26ādmī ne kahā, “mujhe jāne de,kyūṅki pau phaṭne wālī hai.”

yāqūb ne kahā, “pahle mujhebarkat deṅ, phir hī āp ko jāne dūṅgā.”27ādmī ne pūchhā, “terā kyā nāmhai?” us ne jawāb diyā, “yāqūb.”28ādmī ne kahā, “ab se terā nāmyāqūb nahīṅ balki isrāīl yānī ‘wuhallāh se laṛtā hai’ hogā. kyūṅki tūallāh aur ādmiyoṅ ke sāth laṛ karġhālib āyā hai.”

29yāqūb ne kahā, “mujhe apnā nāmbatāeṅ.” us ne kahā, “tū kyūṅ merānām jānanā chāhtā hai?” phir us neyāqūb ko barkat dī.

30yāqūb ne kahā, “maiṅ ne allāh korū-ba-rū dekhā to bhī bach gayā hūṅ.”is lie us ne us maqām kā nām fanī’elrakhā. 31yāqūb wahāṅ se chalā tosūraj tulū ho rahā thā. wuh kūlhe kesabab se langaṛātā rahā.

32yihī wajah hai ki āj bhī isrāīl kīaulād kūlhe ke joṛ par kī nas ko nahīṅkhāte, kyūṅki yāqūb kī isī nas kochhuā gayā thā.

yāqūb esau se miltā hai

33 phir esau un kī taraf ātā huānazar āyā. us ke sāth 400

ādmī the. unheṅ dekh kar yāqūb nebachchoṅ ko bāṅṭ kar liyāh, rāḳhilaur donoṅ launḍiyoṅ ke hawāle kardiyā. 2us ne donoṅ launḍiyoṅ ko

un ke bachchoṅ samet āge chalnediyā. phir liyāh us ke bachchoṅsamet aur āḳhir meṅ rāḳhil aur yūsufāe. 3yāqūb ḳhud sab se āge esau semilne gayā. chalte chalte wuh sātdafā zamīn tak jhukā. 4lekin esaudauṛ kar us se milne āyā aur use galelagā kar bosā diyā. donoṅ ro paṛe.

5phir esau ne auratoṅ aur bachchoṅko dekhā. us ne pūchhā, “tumhāresāth yih log kaun haiṅ?” yāqūb nekahā, “yih āp ke ḳhādim ke bachchehaiṅ jo allāh ne apne karm se nawāzehaiṅ.”

6donoṅ launḍiyāṅ apne bachchoṅsamet ā kar us ke sāmne jhuk gaīṅ.7phir liyāh apne bachchoṅ ke sāth āīaur āḳhir meṅ yūsuf aur rāḳhil ā karjhuk gae.

8esau ne pūchhā, “jis jānwaroṅ kebaṛe ġhol se merī mulāqāt huī us sekyā murād hai?” yāqūb ne jawābdiyā, “yih tohfā hai tāki āp kā ḳhādimāp kī nazar meṅ maqbūl ho.” 9lekinesau ne kahā, “mere bhāī, mere pāsbahut kuchh hai. yih apne pās hīrakho.” 10yāqūb ne kahā, “nahīṅ jī,agar mujh par āp ke karm kī nazarhai to mere is tohfe ko zarūr qabūlfarmāeṅ. kyūṅki jab maiṅ ne āpkā chehrā dekhā to wuh mere lieallāh ke chehre kī mānind thā, āpne mere sāth is qadar achchhā sulūkkiyā hai. 11mehrbānī karke yih tohfāqabūl kareṅ jo maiṅ āp ke lie lāyā

Page 61: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 33:12 61

hūṅ. kyūṅki allāh ne mujh par apnekarm kā izhār kiyā hai, aur mere pāsbahut kuchh hai.”

yāqūb isrār kartā rahā to āḳhirkāresau ne use qabūl kar liyā. phiresau kahne lagā, 12“āo, ham rawānāho jāeṅ. maiṅ tumhāre āge āgechalūṅgā.” 13yāqūb ne jawāb diyā,“mere mālik, āp jānte haiṅ ki merebachche nāzuk haiṅ. mere pās bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur un ke dūdhpīne wāle bachche bhī haiṅ. agarmaiṅ unheṅ ek din ke lie bhī hadse zyādā hāṅkūṅ to wuh mar jāeṅge.14mere mālik, mehrbānī karke mereāge āge jāeṅ. maiṅ ārām se usīraftār se āp ke pīchhe pīchhe chaltārahūṅgā jis raftār se mere maweshīaur mere bachche chal sakeṅge. yūṅham āhistā chalte hue āp ke pās saīrpahuṅcheṅge.” 15esau ne kahā, “kyāmaiṅ apne ādmiyoṅ meṅ se kuchh āpke pās chhoṛ dūṅ?” lekin yāqūb nekahā, “kyā zarūrat hai? sab se ahambāt yih hai ki āp ne mujhe qabūl karliyā hai.”

16us din esau saīr ke lie aur 17yāqūbsukkāt ke lie rawānā huā. wahāṅus ne apne lie makān banā liyā aurapne maweshiyoṅ ke lie jhoṅpṛiyāṅ.is lie us maqām kā nām sukkāt yānījhoṅpṛiyāṅ paṛ gayā.

18phir yāqūb chalte chalte salāmatīse sikam shahr pahuṅchā. yūṅ us kāmasoputāmiyā se mulk-e-kan’ān tak

kā safar iḳhtitām tak pahuṅch gayā.us ne apne ḳhaime shahr ke sāmnelagāe. 19us ke ḳhaime hamor kī aulādkī zamīn par lage the. us ne yih zamīnchāṅdī ke 100 sikkoṅ ke badle ḳharīdlī. 20wahāṅ us ne qurbāngāh banāījis kā nām us ne ‘el ḳhudā-e-isrāīl’rakhā.

dīnā kī ismatdarī

34 ek din yāqūb aur liyāh kībeṭī dīnā kan’ānī auratoṅ se

milne ke lie ghar se niklī. 2shahr meṅek ādmī banām sikam rahtā thā. uskā wālid hamor us ilāqe kā hukmrānthā aur hiwwī qaum se tālluq rakhtāthā. jab sikam ne dīnā ko dekhā tous ne use pakaṛ kar us kī ismatdarīkī. 3lekin us kā dil dīnā se lag gayā.wuh us se muhabbat karne lagā aurpyār se us se bāteṅ kartā rahā. 4usne apne bāp se kahā, “is laṛkī ke sāthmerī shādī karā deṅ.”

5jab yāqūb ne apnī beṭī kī ismatdarīkī ḳhabar sunī to us ke beṭemaweshiyoṅ ke sāth khule maidānmeṅ the. is lie wuh un ke wāpas ānetak ḳhāmosh rahā.

6sikam kā bāp hamor shahr senikal kar yāqūb se bāt karne ke lieāyā. 7jab yāqūb ke beṭoṅ ko dīnākī ismatdarī kī ḳhabar milī to unke dil ranjish aur ġhusse se bhargae ki sikam ne yāqūb kī beṭī kīismatdarī se isrāīl kī itnī be’izzatī kī

Page 62: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

62 paidāish 34:25

hai. wuh sīdhe khule maidān sewāpas āe. 8hamor ne yāqūb se kahā,“mere beṭe kā dil āp kī beṭī se lag gayāhai. mehrbānī karke us kī shādī merebeṭe ke sāth kar deṅ. 9hamāre sāthrishtā bāndheṅ, hamāre beṭe-beṭiyoṅke sāth shādiyāṅ karāeṅ. 10phir āphamāre sāth is mulk meṅ rah sakeṅgeaur pūrā mulk āp ke lie khulā hogā.āp jahāṅ bhī chāheṅ ābād ho sakeṅge,tijārat kar sakeṅge aur zamīn ḳharīdsakeṅge.” 11sikam ne ḳhud bhī dīnāke bāp aur bhāiyoṅ se minnat kī,“agar merī yih darḳhwāst manzūr hoto maiṅ jo kuchh āp kaheṅge adā kardūṅgā. 12jitnā bhī mahr aur tohfe āpmuqarrar kareṅ maiṅ de dūṅgā. sirfmerī yih ḳhwāhish pūrī kareṅ ki yihlaṛkī mere aqd meṅ ā jāe.”

13lekin dīnā kī ismatdarī ke sababse yāqūb ke beṭoṅ ne sikam aur uske bāp hamor se chālākī karke 14kahā,“ham aisā nahīṅ kar sakte. ham apnībahan kī shādī kisī aise ādmī se nahīṅkarā sakte jis kā ḳhatnā nahīṅ huā. isse hamārī be’izzatī hotī hai. 15hamsirf is shart par rāzī hoṅge ki āpapne tamām laṛkoṅ aur mardoṅ kāḳhatnā karwāne se hamārī mānindho jāeṅ. 16phir āp ke beṭe-beṭiyoṅ kesāth hamārī shādiyāṅ ho sakeṅgī aurham āp ke sāth ek qaum ban jāeṅge.17lekin agar āp ḳhatnā karāne ke lietayyār nahīṅ haiṅ to ham apnī bahanko le kar chale jāeṅge.”

18yih bāteṅ hamor aur us ke beṭesikam ko achchhī lagīṅ. 19naujawānsikam ne fauran un par amal kiyā,kyūṅki wuh dīnā ko bahut pasandkartā thā. sikam apne ḳhāndānmeṅ sab se muazzaz thā. 20hamorapne beṭe sikam ke sāth shahr kedarwāze par gayā jahāṅ shahr kefaisle kie jāte the. wahāṅ unhoṅne bāqī shahriyoṅ se bāt kī. 21“yihādmī ham se jhagaṛne wāle nahīṅhaiṅ, is lie kyūṅ na wuh is mulkmeṅ hamāre sāth raheṅ aur hamāredarmiyān tijārat kareṅ? hamāremulk meṅ un ke lie bhī kāfī jagahhai. āo, ham un kī beṭiyoṅ aur beṭoṅse shādiyāṅ kareṅ. 22lekin yih ādmīsirf is shart par hamāre darmiyānrahne aur ek hī qaum banane ke lietayyār haiṅ ki ham un kī tarah apnetamām laṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnākarāeṅ. 23agar ham aisā kareṅ toun ke tamām maweshī aur sārā mālhamārā hī hogā. chunāṅche āo, hammuttafiq ho kar faislā kar leṅ tākiwuh hamāre darmiyān raheṅ.”

24sikam ke shahrī hamor aur sikamke mashware par rāzī hue. tamāmlaṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnā karāyāgayā. 25tīn din ke bād jab ḳhatne kesabab se logoṅ kī hālat burī thī to dīnāke do bhāī shamāūn aur lāwī apnītalwāreṅ le kar shahr meṅ dāḳhil hue.kisī ko shak tak nahīṅ thā ki kyākuchh hogā. andar jā kar unhoṅ

Page 63: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 34:26 63

ne bachchoṅ se le kar būṛhoṅ taktamām mardoṅ ko qatl kar diyā 26jinmeṅ hamor aur us kā beṭā sikam bhīshāmil the. phir wuh dīnā ko sikamke ghar se le kar chale gae.

27is qatl-e-ām ke bād yāqūb ke bāqībeṭe shahr par ṭūṭ paṛe aur use lūṭliyā. yūṅ unhoṅ ne apnī bahan kīismatdarī kā badlā liyā. 28wuh bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe aur shahrke andar aur bāhar kā sab kuchh lekar chalte bane. 29unhoṅ ne sāre mālpar qabzā kiyā, auratoṅ aur bachchoṅko qaidī banā liyā aur tamām gharoṅkā sāmān bhī le gae.

30phir yāqūb ne shamāūn aur lāwīse kahā, “tum ne mujhe musībat meṅḍāl diyā hai. ab kan’ānī, farizzī aurmulk ke bāqī bāshindoṅ meṅ merībadnāmī huī hai. mere sāth kam ādmīhaiṅ. agar dūsre mil kar ham parhamlā kareṅ to hamāre pūre ḳhāndānkā satyānās ho jāegā.” 31lekin unhoṅne kahā, “kyā yih ṭhīk thā ki us nehamārī bahan ke sāth kasbī kā sāsulūk kiyā?”

bait-el meṅ yāqūb par allāh kī barkat

35 allāh ne yāqūb se kahā, “uṭh,bait-el jā kar wahāṅ ābād

ho. wahīṅ allāh ke lie jo tujh parzāhir huā jab tū apne bhāī esause bhāg rahā thā qurbāngāh banā.”2chunāṅche yāqūb ne apne gharwāloṅ aur bāqī sāre sāthiyoṅ se kahā,

“jo bhī ajnabī but āp ke pās haiṅunheṅ phaiṅk deṅ. apne āp ko pāk-sāf karke apne kapṛe badleṅ, 3kyūṅkihameṅ yih jagah chhoṛ kar bait-eljānā hai. wahāṅ maiṅ us ḳhudā ke liequrbāngāh banāūṅgā jis ne musībatke waqt merī duā sunī. jahāṅ bhīmaiṅ gayā wahāṅ wuh mere sāthrahā hai.” 4yih sun kar unhoṅ neyāqūb ko tamām but de die jo un kepās the aur tamām bāliyāṅ jo unhoṅne tāwīz ke taur par kānoṅ meṅpahan rakhī thīṅ. us ne sab kuchhsikam ke qarīb balūt ke daraḳht kenīche zamīn meṅ dabā diyā. 5phirwuh rawānā hue. irdgird ke shahroṅpar allāh kī taraf se itnā shadīd ḳhaufchhā gayā ki unhoṅ ne yāqūb aur uske beṭoṅ kā tāqqub na kiyā.

6chalte chalte yāqūb apne logoṅsamet lūz pahuṅch gayā jo mulk-e-kan’ān meṅ thā. āj lūz kā nām bait-el hai. 7yāqūb ne wahāṅ qurbāngāhbanā kar maqām kā nām bait-el yānī‘allāh kā ghar’ rakhā. kyūṅki wahāṅallāh ne apne āp ko us par zāhir kiyāthā jab wuh apne bhāī se farār horahā thā.

8wahāṅ ribqā kī dāyā daborā margaī. wuh bait-el ke junūb meṅ balūtke daraḳht ke nīche dafn huī, is lieus kā nām allon-bakūt yānī ‘rone kābalūt kā daraḳht’ rakhā gayā.

9allāh yāqūb par ek dafā aurzāhir huā aur use barkat dī. yih

Page 64: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

64 paidāish 35:28-29

masoputāmiyā se wāpas āne pardūsrī bār huā. 10allāh ne us se kahā,“ab se terā nām yāqūb nahīṅ balkiisrāīl hogā.” yūṅ us ne us kā nayānām isrāīl rakhā. 11allāh ne yihbhī us se kahā, “maiṅ allāh qādir-e-mutlaq hūṅ. phal phūl aur tādādmeṅ baṛhtā jā. ek qaum nahīṅ balkibahut sī qaumeṅ tujh se nikleṅgī. terīaulād meṅ bādshāh bhī shāmil hoṅge.12maiṅ tujhe wuhī mulk dūṅgā joibrāhīm aur is’hāq ko diyā hai. aurtere bād use terī aulād ko dūṅgā.”

13phir allāh wahāṅ se āsmān parchalā gayā. 14jahāṅ allāh yāqūbse hamkalām huā thā wahāṅ us nepatthar kā satūn khaṛā kiyā aur uspar mai aur tel unḍel kar use maḳhsūskiyā. 15us ne jagah kā nām bait-elrakhā.

rāḳhil kī maut16phir yāqūb apne ghar wāloṅ ke

sāth bait-el ko chhoṛ kar ifrātā kītaraf chal paṛā. rāḳhil ummīd se thī,aur rāste meṅ bachche kī paidāish kāwaqt ā gayā. bachchā baṛī mushkilse paidā huā. 17jab dard-e-zah urūjko pahuṅch gayā to dāī ne us sekahā, “mat ḍaro, kyūṅki ek aur beṭāhai.” 18lekin wuh dam toṛne wālī thī,aur marte marte us ne us kā nāmbin-ūnī yānī ‘merī musībat kā beṭā’rakhā. lekin us ke bāp ne us kānām binyamīn yānī ‘dahne hāth yā

ḳhushqismatī kā beṭā’ rakhā. 19rāḳhilfaut huī, aur wuh ifrātā ke rāste meṅdafn huī. ājkal ifrātā ko bait-lahamkahā jātā hai. 20yāqūb ne us kī qabrpar patthar kā satūn khaṛā kiyā. wuhāj tak rāḳhil kī qabr kī nishāndihīkartā hai.

21wahāṅ se yāqūb ne apnā safar jārīrakhā aur mijdal-idar kī parlī tarafapne ḳhaime lagāe. 22jab wuh wahāṅṭhahre the to rūbin yāqūb kī harambilhāh se hambistar huā. yāqūb komālūm ho gayā.

yāqūb ke beṭe

yāqūb ke bārah beṭe the. 23liyāh kebeṭe yih the: us kā sab se baṛā beṭārūbin, phir shamāūn, lāwī, yahūdāh,ishkār aur zabūlūn. 24rāḳhil ke dobeṭe the, yūsuf aur binyamīn. 25rāḳhilkī launḍī bilhāh ke do beṭe the, dānaur naftālī. 26liyāh kī launḍī zilfā kedo beṭe the, jad aur āshar. yāqūbke yih beṭe masoputāmiyā meṅ paidāhue.

is’hāq kī maut27phir yāqūb apne bāp is’hāq ke

pās pahuṅch gayā jo habrūn ke qarībmamre meṅ ajnabī kī haisiyat serahtā thā (us waqt habrūn kā nāmqiryat-arbā thā). wahāṅ is’hāq aurus se pahle ibrāhīm rahā karte the.28-29is’hāq 180 sāl kā thā jab wuhumrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar

Page 65: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 36:1 65

apne bāpdādā se jā milā. us ke beṭeesau aur yāqūb ne use dafn kiyā.

esau kī aulād

36 yih esau kī aulād kānasabnāmā hai (esau ko

adom bhī kahā jātā hai):2esau ne tīn kan’ānī auratoṅ se

shādī kī: hittī ādmī ailon kī beṭī adāse, anā kī beṭī uhlībāmā se jo hiwwīādmī sibaon kī nawāsī thī 3aur ismāīlkī beṭī bāsamat se jo nabāyot kī bahanthī. 4adā kā ek beṭā ilīfaz aur bāsamatkā ek beṭā raūel paidā huā. 5uhlībāmāke tīn beṭe paidā hue, yaūs, yālām aurqorah. esau ke yih tamām beṭe mulk-e-kan’ān meṅ paidā hue.

6bād meṅ esau dūsre mulk meṅchalā gayā. us ne apnī bīwiyoṅ, beṭe-beṭiyoṅ aur ghar ke rahne wāloṅ koapne tamām maweshiyoṅ aur mulk-e-kan’ān meṅ hāsil kie hue māl sametapne sāth liyā. 7wuh is wajah se chalāgayā ki donoṅ bhāiyoṅ ke pās itnerewaṛ the ki charāne kī jagah kampaṛ gaī. 8chunāṅche esau pahāṛī ilāqesaīr meṅ ābād huā. esau kā dūsrānām adom hai.

9yih esau yānī saīr ke pahāṛī ilāqemeṅ ābād adomiyoṅ kā nasabnāmāhai: 10esau kī bīwī adā kā ek beṭāilīfaz thā jabki us kī bīwī bāsamatkā ek beṭā raūel thā. 11ilīfaz ke beṭetemān, omar, safo, jātām, qanaz 12auramālīq the. amālīq ilīfaz kī haram

timnā kā beṭā thā. yih sab esau kībīwī adā kī aulād meṅ shāmil the.13raūel ke beṭe nahat, zārah, sammāaur mizzā the. yih sab esau kī bīwībāsamat kī aulād meṅ shāmil the.14esau kī bīwī uhlībāmā jo anā kī beṭīaur sibaon kī nawāsī thī ke tīn beṭeyaūs, yālām aur qorah the.

15esau se muḳhtalif qabīloṅ kesardār nikle. us ke pahlauṭhe ilīfazse yih qabāilī sardār nikle: temān,omar, safo, qanaz, 16qorah, jātām auramālīq. yih sab esau kī bīwī adā kīaulād the. 17esau ke beṭe raūel seyih qabāilī sardār nikle: nahat, zārah,sammā aur mizzā. yih sab esau kībīwī bāsamat kī aulād the. 18esau kībīwī uhlībāmā yānī anā kī beṭī se yihqabāilī sardār nikle: yaūs, yālām aurqorah. 19yih tamām sardār esau kīaulād haiṅ.

saīr kī aulād20mulk-e-adom ke kuchh bāshinde

horī ādmī saīr kī aulād the. un ke nāmlotān, sobal, sibaon, anā, 21dīson, esaraur dīsān the. saīr ke yih beṭe mulk-e-adom meṅ horī qabīloṅ ke sardārthe.

22lotān horī aur hemām kā bāp thā.(timnā lotān kī bahan thī.) 23sobal kebeṭe alwān, mānahat, aibāl, safo auronām the. 24sibaon ke beṭe ayyāh auranā the. isī anā ko garm chashmemile jab wuh bayābān meṅ apne bāp

Page 66: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

66 paidāish 37:7

ke gadhe charā rahā thā. 25anā kā ekbeṭā dīson aur ek beṭī uhlībāmā thī.26dīson ke chār beṭe hamdān, ishbān,yitrān aur kirān the. 27esar ke tīn beṭebilhān, zāwān aur aqān the. 28dīsānke do beṭe ūz aur arān the.

29-30yihī yānī lotān, sobal, sibaon,anā, dīson, esar aur dīsān saīr ke mulkmeṅ horī qabāil ke sardār the.

adom ke bādshāh31is se pahle ki isrāīliyoṅ kā koī

bādshāh thā zail ke bādshāh yake bāddīgare mulk-e-adom meṅ hukūmatkarte the:

32bālā bin bor jo dinhābā shahr kāthā mulk-e-adom kā pahlā bādshāhthā.

33us kī maut par yūbāb bin zārah jobusrā shahr kā thā.

34us kī maut par hushām jotemāniyoṅ ke mulk kā thā.

35us kī maut par hasad bin bidadjis ne mulk-e-moāb meṅ midiyāniyoṅko shikast dī. wuh awīt kā thā.

36us kī maut par samlā jo masriqākā thā.

37us kī maut par sāūl jo daryā-e-furāt par rahobot shahr kā thā.

38us kī maut par bāl-hanān binakbor.

39us kī maut par hasad jo fāū shahrkā thā (bīwī kā nām mahetab-el bintmatrid bint mezāhāb thā).

40-43esau se adomī qabīloṅ ke yihsardār nikle: timnā, alwah, yatet,uhlībāmā, ailā, fīnon, qanaz, temān,mibsār, majdī’el aur irām. adom kesardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsīzamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ kemutābiq hī bayān kī gaī hai. esau unkā bāp hai.

yūsuf ke ḳhwāb

37 yāqūb mulk-e-kan’ān meṅrahtā thā jahāṅ pahle us kā

bāp bhī pardesī thā. 2yih yāqūb keḳhāndān kā bayān hai.

us waqt yāqūb kā beṭā yūsuf 17sāl kā thā. wuh apne bhāiyoṅ yānībilhāh aur zilfā ke beṭoṅ ke sāthbheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā thā.yūsuf apne bāp ko apne bhāiyoṅ kīburī harkatoṅ kī ittilā diyā kartā thā.

3yāqūb yūsuf ko apne tamām beṭoṅkī nisbat zyādā pyār kartā thā. wajahyih thī ki wuh tab paidā huā jab bāpbūṛhā thā. is lie yāqūb ne us ke lie ekḳhās rangdār libās banwāyā. 4jab uske bhāiyoṅ ne dekhā ki hamārā bāpyūsuf ko ham se zyādā pyār kartā haito wuh us se nafrat karne lage auradab se us se bāt nahīṅ karte the.

5ek rāt yūsuf ne ḳhwāb dekhā. jabus ne apne bhāiyoṅ ko ḳhwāb sunāyāto wuh us se aur bhī nafrat karnelage. 6us ne kahā, “suno, maiṅ neḳhwāb dekhā. 7ham sab khet meṅpūle bāndh rahe the ki merā pūlā

Page 67: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 37:8 67

khaṛā ho gayā. āp ke pūle merepūle ke irdgird jamā ho kar us kesāmne jhuk gae.” 8us ke bhāiyoṅ nekahā, “achchhā, tū bādshāh ban karham par hukūmat karegā?” us keḳhwāboṅ aur us kī bātoṅ ke sabab seun kī us se nafrat mazīd baṛh gaī.

9kuchh der ke bād yūsuf ne ek aurḳhwāb dekhā. us ne apne bhāiyoṅ sekahā, “maiṅ ne ek aur ḳhwāb dekhāhai. us meṅ sūraj, chāṅd aur gyārahsitāre mere sāmne jhuk gae.” 10us neyih ḳhwāb apne bāp ko bhī sunāyāto us ne use ḍānṭā. us ne kahā, “yihkaisā ḳhwāb hai jo tū ne dekhā! yihkaisī bāt hai ki maiṅ, terī māṅ aur terebhāī ā kar tere sāmne zamīn tak jhukjāeṅ?” 11natīje meṅ us ke bhāī us sebahut hasad karne lage. lekin us kebāp ne dil meṅ yih bāt mahfūz rakhī.

yūsuf ko bechā jātā hai12ek din jab yūsuf ke bhāī apne

bāp ke rewaṛ charāne ke lie sikamtak pahuṅch gae the 13to yāqūb neyūsuf se kahā, “tere bhāī sikam meṅrewaṛoṅ ko charā rahe haiṅ. ā, maiṅtujhe un ke pās bhej detā hūṅ.” yūsufne jawāb diyā, “ṭhīk hai.” 14yāqūb nekahā, “jā kar mālūm kar ki tere bhāīaur un ke sāth ke rewaṛ ḳhairiyatse haiṅ ki nahīṅ. phir wāpas ā karmujhe batā denā.” chunāṅche us kebāp ne use wādī-e-habrūn se bhejdiyā, aur yūsuf sikam pahuṅch gayā.

15wahāṅ wuh idhar udhar phirtārahā. āḳhirkār ek ādmī us se milāaur pūchhā, “āp kyā ḍhūnḍ rahehaiṅ?” 16yūsuf ne jawāb diyā, “maiṅapne bhāiyoṅ ko talāsh kar rahā hūṅ.mujhe batāeṅ ki wuh apne jānwaroṅko kahāṅ charā rahe haiṅ.” 17ādmī nekahā, “wuh yahāṅ se chale gae haiṅ.maiṅ ne unheṅ yih kahte sunā ki āo,ham dūtain jāeṅ.” yih sun kar yūsufapne bhāiyoṅ ke pīchhe dūtain chalāgayā. wahāṅ use wuh mil gae.

18jab yūsuf abhī dūr se nazar āyāto us ke bhāiyoṅ ne us ke pahuṅchnese pahle use qatl karne kā mansūbābanāyā. 19unhoṅ ne kahā, “dekho,ḳhwāb deḳhne wālā ā rahā hai. 20āo,ham use mār ḍāleṅ aur us kī lāsh kisīgaṛhe meṅ phaiṅk deṅ. ham kaheṅgeki kisī wahshī jānwar ne use phāṛkhāyā hai. phir patā chalegā ki us keḳhwāboṅ kī kyā haqīqat hai.”

21jab rūbin ne un kī bāteṅ sunīṅ tous ne yūsuf ko bachāne kī koshishkī. us ne kahā, “nahīṅ, ham use qatlna kareṅ. 22us kā ḳhūn na karnā.beshak use is gaṛhe meṅ phaiṅk deṅjo registān meṅ hai, lekin use hāthna lagāeṅ.” us ne yih is lie kahā kiwuh use bachā kar bāp ke pās wāpaspahuṅchānā chāhtā thā.

23jūṅ hī yūsuf apne bhāiyoṅ ke pāspahuṅchā unhoṅ ne us kā rangdārlibās utār kar 24yūsuf ko gaṛhe meṅphaiṅk diyā. gaṛhā ḳhālī thā, us meṅ

Page 68: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

68 paidāish 38:8

pānī nahīṅ thā. 25phir wuh roṭī khāneke lie baiṭh gae. achānak ismāīliyoṅkā ek qāfilā nazar āyā. wuh jiliād semisr jā rahe the, aur un ke ūṅṭ qīmtīmasāloṅ yānī lādan, balsān aur murse lade hue the. 26tab yahūdāh neapne bhāiyoṅ se kahā, “hameṅ kyāfāidā hai agar apne bhāī ko qatl karkeus ke ḳhūn ko chhupā deṅ? 27āo,ham use in ismāīliyoṅ ke hāth faroḳhtkar deṅ. phir koī zarūrat nahīṅ hogīki ham use hāth lagāeṅ. āḳhir wuhhamārā bhāī hai.”

us ke bhāī rāzī hue. 28chunāṅchejab midiyānī tājir wahāṅ se guzareto bhāiyoṅ ne yūsuf ko khaiṅch kargaṛhe se nikālā aur chāṅdī ke 20sikkoṅ ke iwaz bech ḍālā. ismāīlī usele kar misr chale gae.

29us waqt rūbin maujūd nahīṅ thā.jab wuh gaṛhe ke pās wāpas āyā toyūsuf us meṅ nahīṅ thā. yih dekhkar us ne pareshānī meṅ apne kapṛephāṛ ḍāle. 30wuh apne bhāiyoṅ ke pāswāpas gayā aur kahā, “laṛkā nahīṅhai. ab maiṅ kis tarah abbū ke pāsjāūṅ?” 31tab unhoṅ ne bakrā zabahkarke yūsuf kā libās us ke ḳhūn meṅḍuboyā, 32phir rangdār libās is ḳhabarke sāth apne bāp ko bhijwā diyā ki“hameṅ yih milā hai. ise ġhaur sedekheṅ. yih āp ke beṭe kā libās tonahīṅ?”

33yāqūb ne use pahchān liyā aurkahā, “beshak usī kā hai. kisī

wahshī jānwar ne use phāṛ khāyā hai.yaqīnan yūsuf ko phāṛ diyā gayā hai.”34yāqūb ne ġham ke māre apne kapṛephāṛe aur apnī kamr se ṭāṭ oṛh karbaṛī der tak apne beṭe ke lie mātamkartā rahā. 35us ke tamām beṭe-beṭiyāṅ use tasallī dene āe, lekin usne tasallī pāne se inkār kiyā aur kahā,“maiṅ pātāl meṅ utarte hue bhī apnebeṭe ke lie mātam karūṅga.” is hālatmeṅ wuh apne beṭe ke lie rotā rahā.

36itne meṅ midiyānī misr pahuṅchkar yūsuf ko bech chuke the. misr kebādshāh fir’aun ke ek ālā afsar fūtīfārne use ḳharīd liyā. fūtīfār bādshāh kemuhāfizoṅ par muqarrar thā.

yahūdāh aur tamr

38 un dinoṅ meṅ yahūdāh apnebhāiyoṅ ko chhoṛ kar ek

ādmī ke pās rahne lagā jis kā nāmhīrā thā aur jo adullām shahr sethā. 2wahāṅ yahūdāh kī mulāqāt ekkan’ānī aurat se huī jis ke bāp kā nāmsūa thā. us ne us se shādī kī. 3beṭāpaidā huā jis kā nām yahūdāh ne errakhā. 4ek aur beṭā paidā huā jis kānām bīwī ne onān rakhā. 5us ke tīsrābeṭā bhī paidā huā. us ne us kā nāmselā rakhā. yahūdāh qazīb meṅ thājab wuh paidā huā.

6yahūdāh ne apne baṛe beṭe er kīshādī ek laṛkī se karāī jis kā nām tamrthā. 7rab ke nazdīk er sharīr thā, islie us ne use halāk kar diyā. 8is par

Page 69: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 38:9 69

yahūdāh ne er ke chhoṭe bhāī onān sekahā, “apne baṛe bhāī kī bewā ke pāsjāo aur us se shādī karo tāki tumhārebhāī kī nasl qāim rahe.” 9onān neaisā kiyā, lekin wuh jāntā thā ki jobhī bachche paidā hoṅge wuh qānūnke mutābiq mere baṛe bhāī ke hoṅge.is lie jab bhī wuh tamr se hambistarhotā to nutfā ko zamīn par girā detā,kyūṅki wuh nahīṅ chāhtā thā ki merīmārifat mere bhāī ke bachche paidāhoṅ. 10yih bāt rab ko burī lagī, aurus ne use bhī sazā-e-maut dī. 11tabyahūdāh ne apnī bahū tamr se kahā,“apne bāp ke ghar wāpas chalī jāo aurus waqt tak bewā raho jab tak merābeṭā selā baṛā na ho jāe.” us ne yihis lie kahā ki use ḍar thā ki kahīṅselā bhī apne bhāiyoṅ kī tarah mar najāe chunāṅche tamr apne maike chalīgaī.

12kāfī dinoṅ ke bād yahūdāh kī bīwījo sūa kī beṭī thī mar gaī. mātamkā waqt guzar gayā to yahūdāh apneadullāmī dost hīrā ke sāth timnatgayā jahāṅ yahūdāh kī bheṛoṅ kīpashm katrī jā rahī thī. 13tamr kobatāyā gayā, “āp kā susar apnī bheṛoṅkī pashm katarne ke lie timnat jā rahāhai.” 14yih sun kar tamr ne bewā kekapṛe utār kar ām kapṛe pahan lie.phir wuh apnā muṅh chādar se lapeṭkar ainīm shahr ke darwāze par baiṭhgaī jo timnat ke rāste meṅ thā. tamrne yih harkat is lie kī ki yahūdāh kā

beṭā selā ab bāliġh ho chukā thā to bhīus kī us ke sāth shādī nahīṅ kī gaī thī.

15jab yahūdāh wahāṅ se guzarā tous ne use dekh kar sochā ki yihkasbī hai, kyūṅki us ne apnā muṅhchhupāyā huā thā. 16wuh rāste sehaṭ kar us ke pās gayā aur kahā,“zarā mujhe apne hāṅ āne deṅ.” (usne nahīṅ pahchānā ki yih merī bahūhai). tamr ne kahā, “āp mujhe kyādeṅge?” 17us ne jawāb diyā, “maiṅāp ko bakrī kā bachchā bhej dūṅgā.”tamr ne kahā, “ṭhīk hai, lekin usebhejne tak mujhe zamānat deṅ.” 18usne pūchhā, “maiṅ āp ko kyā dūṅ?”tamr ne kahā, “apnī muhr aur usegale meṅ laṭkāne kī ḍorī. wuhlāṭhī bhī deṅ jo āp pakaṛe hue haiṅ.”chunāṅche yahūdāh use yih chīzeṅde kar us ke sāth hambistar huā.natīje meṅ tamr ummīd se huī. 19phirtamr uṭh kar apne ghar wāpas chalīgaī. us ne apnī chādar utār kar dubārābewā ke kapṛe pahan lie.

20yahūdāh ne apne dost hīrāadullāmī ke hāth bakrī kā bachchābhej diyā tāki wuh chīzeṅ wāpas miljāeṅ jo us ne zamānat ke taur pardī thīṅ. lekin hīrā ko patā na chalāki aurat kahāṅ hai. 21us ne ainīmke bāshindoṅ se pūchhā, “wuh kasbīkahāṅ hai jo yahāṅ saṛak par baiṭhīthī?” unhoṅ ne jawāb diyā, “yahāṅaisī koī kasbī nahīṅ thī.”

Page 70: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

70 paidāish 39:6

22us ne yahūdāh ke pās wāpas jākar kahā, “wuh mujhe nahīṅ milībalki wahāṅ ke rahne wāloṅ nekahā ki yahāṅ koī aisī kasbī thīnahīṅ.” 23yahūdāh ne kahā, “phirwuh zamānat kī chīzeṅ apne pāshī rakhe. use chhoṛ do warnā loghamārā mazāq uṛāeṅge. ham neto pūrī koshish kī ki use bakrī kābachchā mil jāe, lekin khoj lagāne kebāwujūd āp ko patā na chalā ki wuhkahāṅ hai.”

24tīn māh ke bād yahūdāh ko ittilādī gaī, “āp kī bahū tamr ne zinā kiyāhai, aur ab wuh hāmilā hai.” yahūdāhne hukm diyā, “use bāhar lā kar jalādo.” 25tamr ko jalāne ke lie bāharlāyā gayā to us ne apne susar koḳhabar bhej dī, “yih chīzeṅ dekheṅ.yih us ādmī kī haiṅ jis kī mārifat maiṅummīd se hūṅ. patā kareṅ ki yihmuhr, us kī ḍorī aur yih lāṭhī kis kīhaiṅ.” 26yahūdāh ne unheṅ pahchānliyā. us ne kahā, “maiṅ nahīṅ balkiyih aurat haq par hai, kyūṅki maiṅne us kī apne beṭe selā se shādī nahīṅkarāī.” lekin bād meṅ yahūdāh kabhībhī tamr se hambistar na huā.

27jab janm dene kā waqt āyā tomālūm huā ki juṛwāṅ bachche haiṅ.28ek bachche kā hāth niklā to dāī neuse pakaṛ kar us meṅ surḳh dhāgābāndh diyā aur kahā, “yih pahle paidāhuā.” 29lekin us ne apnā hāth wāpaskhaiṅch liyā, aur us kā bhāī pahle

paidā huā. yih dekh kar dāī bol uṭhī,“tū kis tarah phūṭ niklā hai!” us ne uskā nām fāras yānī phūṭ rakhā. 30phirus kā bhāī paidā huā jis ke hāth meṅsurḳh dhāgā bandhā huā thā. us kānām zārah yānī chamak rakhā gayā.

yūsuf aur fūtīfār kī bīwī

39 ismāīliyoṅ ne yūsuf ko misrle jā kar bech diyā thā. misr

ke bādshāh ke ek ālā afsar banāmfūtīfār ne use ḳharīd liyā. wuh shāhīmuhāfizoṅ kā kaptān thā. 2rab yūsufke sāth thā. jo bhī kām wuh kartāus meṅ kāmyāb rahtā. wuh apnemisrī mālik ke ghar meṅ rahtā thā3jis ne dekhā ki rab yūsuf ke sāth haiaur use har kām meṅ kāmyābī detāhai. 4chunāṅche yūsuf ko mālik kīḳhās mehrbānī hāsil huī, aur fūtīfārne use apnā zātī naukar banā liyā. usne use apne gharāne ke intizām parmuqarrar kiyā aur apnī pūrī milkiyatus ke sapurd kar dī. 5jis waqt sefūtīfār ne apne gharāne kā intizāmaur pūrī milkiyat yūsuf ke sapurd kīus waqt se rab ne fūtīfār ko yūsufke sabab se barkat dī. us kī barkatfūtīfār kī har chīz par thī, ḳhwāhghar meṅ thī yā khet meṅ. 6fūtīfārne apnī har chīz yūsuf ke hāth meṅchhoṛ dī. aur chūṅki yūsuf sab kuchhachchhī tarah chalātā thā is lie fūtīfārko khānā khāne ke siwā kisī bhīmuāmale kī fikr nahīṅ thī.

Page 71: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 39:7 71

yūsuf nihāyat ḳhūbsūrat ādmī thā.7kuchh der ke bād us ke mālik kī bīwīkī āṅkh us par lagī. us ne us se kahā,“mere sāth hambistar ho!” 8yūsufinkār karke kahne lagā, “mere mālikko mere sabab se kisī muāmale kī fikrnahīṅ hai. unhoṅ ne sab kuchh meresapurd kar diyā hai. 9ghar ke intizāmpar un kā iḳhtiyār mere iḳhtiyār sezyādā nahīṅ hai. āp ke siwā unhoṅ nekoī bhī chīz mujh se bāz nahīṅ rakhī.to phir maiṅ kis tarah itnā ġhalat kāmkarūṅ? maiṅ kis tarah allāh kā gunāhkarūṅ?”

10mālik kī bīwī roz-ba-roz yūsufke pīchhe paṛī rahī ki mere sāthhambistar ho. lekin wuh hameshāinkār kartā rahā.

11ek din wuh kām karne ke lie gharmeṅ gayā. ghar meṅ aur koī naukarnahīṅ thā. 12fūtīfār kī bīwī ne yūsufkā libās pakaṛ kar kahā, “mere sāthhambistar ho!” yūsuf bhāg kar bāharchalā gayā lekin us kā libās pīchheaurat ke hāth meṅ hī rah gayā. 13jabmālik kī bīwī ne dekhā ki wuh apnālibās chhoṛ kar bhāg gayā hai 14tous ne ghar ke naukaroṅ ko bulā karkahā, “yih dekho! mere mālik isibrānī ko hamāre pās le āe haiṅ tākiwuh hameṅ zalīl kare. wuh merīismatdarī karne ke lie mere kamremeṅ ā gayā, lekin maiṅ ūṅchī āwāzse chīḳhne lagī. 15jab maiṅ madadke lie ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī to

wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”16us ne mālik ke āne tak yūsuf kālibās apne pās rakhā. 17jab wuh gharwāpas āyā to us ne use yihī kahānīsunāī, “yih ibrānī ġhulām jo āp le āehaiṅ merī tazlīl ke lie mere pās āyā.18lekin jab maiṅ madad ke lie chīḳhnelagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāggayā.”

yūsuf qaidḳhāne meṅ19yih sun kar fūtīfār baṛe ġhusse

meṅ ā gayā. 20us ne yūsuf kogiriftār karke us jel meṅ ḍāl diyājahāṅ bādshāh ke qaidī rakhe jāte the.wahīṅ wuh rahā. 21lekin rab yūsuf kesāth thā. us ne us par mehrbānī kī auruse qaidḳhāne ke dāroġhe kī nazarmeṅ maqbūl kiyā. 22yūsuf yahāṅ takmaqbūl huā ki dāroġhe ne tamāmqaidiyoṅ ko us ke sapurd karke usepūrā intizām chalāne kī zimmādārī dī.23dāroġhe ko kisī bhī muāmale kī jiseus ne yūsuf ke sapurd kiyā thā fikr narahī, kyūṅki rab yūsuf ke sāth thā auruse har kām meṅ kāmyābī baḳhshī.

qaidiyoṅ ke ḳhwāb

40 kuchh der ke bād yūṅ huāki misr ke bādshāh ke sardār

sāqī aur bekarī ke inchārj ne apnemālik kā gunāh kiyā. 2fir’aun kodonoṅ afsaroṅ par ġhussā ā gayā.3us ne unheṅ us qaidḳhāne meṅ ḍāldiyā jo shāhī muhāfizoṅ ke kaptān

Page 72: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

72 paidāish 40:22

ke sapurd thā aur jis meṅ yūsufthā. 4muhāfizoṅ ke kaptān ne unheṅyūsuf ke hawāle kiyā tāki wuh un kīḳhidmat kare. wahāṅ wuh kāfī dertak rahe.

5ek rāt bādshāh ke sardār sāqī aurbekarī ke inchārj ne ḳhwāb dekhā.donoṅ kā ḳhwāb farq farq thā, aurun kā matlab bhī farq farq thā. 6jabyūsuf subh ke waqt un ke pās āyā towuh dabe hue nazar āe. 7us ne unse pūchhā, “āj āp kyūṅ itne pareshānhaiṅ?” 8unhoṅ ne jawāb diyā, “hamdonoṅ ne ḳhwāb dekhā hai, aur koīnahīṅ jo hameṅ un kā matlab batāe.”yūsuf ne kahā, “ḳhwāboṅ kī tābīr toallāh kā kām hai. zarā mujhe apneḳhwāb to sunāeṅ.”

9sardār sāqī ne shurū kiyā, “maiṅne ḳhwāb meṅ apne sāmne angūr kībel dekhī. 10us kī tīn shāḳheṅ thīṅ.us ke patte lage, koṅpleṅ phūṭ niklīṅaur angūr pak gae. 11mere hāth meṅbādshāh kā pyālā thā, aur maiṅ neangūroṅ ko toṛ kar yūṅ bhīṅch diyāki un kā ras bādshāh ke pyāle meṅ āgayā. phir maiṅ ne pyālā bādshāh kopesh kiyā.”

12yūsuf ne kahā, “tīn shāḳhoṅ semurād tīn din haiṅ. 13tīn din kebād fir’aun āp ko bahāl kar legā.āp ko pahlī zimmādārī wāpas miljāegī. āp pahle kī tarah sardārsāqī kī haisiyat se bādshāh kā pyālāsaṅbhāleṅge. 14lekin jab āp bahāl ho

jāeṅ to merā ḳhayāl kareṅ. mehrbānīkarke bādshāh ke sāmne merā zikrkareṅ tāki maiṅ yahāṅ se rihā hojāūṅ. 15kyūṅki mujhe ibrāniyoṅ kemulk se aġhwā karke yahāṅ lāyāgayā hai, aur yahāṅ bhī mujh se koīaisī ġhaltī nahīṅ huī ki mujhe is gaṛhemeṅ phaiṅkā jātā.”

16jab shāhī bekarī ke inchārj nedekhā ki sardār sāqī ke ḳhwāb kāachchhā matlab niklā to us ne yūsufse kahā, “merā ḳhwāb bhī suneṅ.maiṅ ne sar par tīn ṭokriyāṅ uṭhārakhī thīṅ jo bekarī kī chīzoṅ se bharīhuī thīṅ. 17sab se ūpar wālī ṭokrī meṅwuh tamām chīzeṅ thīṅ jo bādshāhkī mez ke lie banāī jātī haiṅ. lekinparinde ā kar unheṅ khā rahe the.”

18yūsuf ne kahā, “tīn ṭokriyoṅ semurād tīn din haiṅ. 19tīn din ke bād hīfir’aun āp ko qaidḳhāne se nikāl kardaraḳht se laṭkā degā. parinde āp kīlāsh ko khā jāeṅge.”

20tīn din ke bād bādshāh kī sālgirahthī. us ne apne tamām afsaroṅkī ziyāfat kī. is mauqe par us nesardār sāqī aur bekarī ke inchārj kojel se nikāl kar apne huzūr lāne kāhukm diyā. 21sardār sāqī ko pahlewālī zimmādārī sauṅp dī gaī, 22lekinbekarī ke inchārj ko sazā-e-maut dekar daraḳht se laṭkā diyā gayā. sabkuchh waisā hī huā jaisā yūsuf nekahā thā.

Page 73: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 40:23 73

23lekin sardār sāqī ne yūsuf kāḳhayāl na kiyā balki use bhūl hī gayā.

bādshāh ke ḳhwāb

41 do sāl guzar gae ki ek rātbādshāh ne ḳhwāb dekhā.

wuh daryā-e-nīl ke kināre khaṛā thā.2achānak daryā meṅ se sāt ḳhūbsūrataur moṭī gāeṅ nikal kar sarkanḍoṅmeṅ charne lagīṅ. 3un ke bād sāt aurgāeṅ nikal āīṅ. lekin wuh badsūrataur dublī-patlī thīṅ. wuh daryā kekināre dūsrī gāyoṅ ke pās khaṛī hokar 4pahlī sāt ḳhūbsūrat aur moṭīmoṭī gāyoṅ ko khā gaīṅ. is ke bādmisr kā bādshāh jāg uṭhā. 5phirwuh dubārā so gayā. is dafā us neek aur ḳhwāb dekhā. anāj ke ekpaude par sāt moṭī moṭī aur achchhīachchhī bāleṅ lagī thīṅ. 6phir sātaur bāleṅ phūṭ niklīṅ jo dublī-patlīaur mashriqī hawā se jhulsī huī thīṅ.7anāj kī sāt dublī-patlī bāloṅ ne sātmoṭī aur ḳhūbsūrat bāloṅ ko nigalliyā. phir fir’aun jāg uṭhā to mālūmhuā ki maiṅ ne ḳhwāb hī dekhā hai.

8subh huī to wuh pareshān thā, islie us ne misr ke tamām jādūgaroṅaur ālimoṅ ko bulāyā. us ne unheṅapne ḳhwāb sunāe, lekin koī bhī unkī tābīr na kar sakā.

9phir sardār sāqī ne fir’aun se kahā,“āj mujhe apnī ḳhatāeṅ yād ātī haiṅ.10ek din fir’aun apne ḳhādimoṅ senārāz hue. huzūr ne mujhe aur

bekarī ke inchārj ko qaidḳhāne meṅḍalwā diyā jis par shāhī muhāfizoṅkā kaptān muqarrar thā. 11ek hī rātmeṅ ham donoṅ ne muḳhtalif ḳhwābdekhe jin kā matlab farq farq thā.12wahāṅ jel meṅ ek ibrānī naujawānthā. wuh muhāfizoṅ ke kaptān kāġhulām thā. ham ne use apne ḳhwābsunāe to us ne hameṅ un kā matlabbatā diyā. 13aur jo kuchh bhī usne batāyā sab kuchh waisā hī huā.mujhe apnī zimmādārī wāpas mil gaījabki bekarī ke inchārj ko sazā-e-maut de kar daraḳht se laṭkā diyāgayā.”

14yih sun kar fir’aun ne yūsuf kobulāyā, aur use jaldī se qaidḳhāne selāyā gayā. us ne shew karwā karapne kapṛe badle aur sīdhe bādshāhke huzūr pahuṅchā.

15bādshāh ne kahā, “maiṅ neḳhwāb dekhā hai, aur yahāṅ koīnahīṅ jo us kī tābīr kar sake. lekinsunā hai ki tū ḳhwāb ko sun kar uskā matlab batā saktā hai.” 16yūsuf nejawāb diyā, “yih mere iḳhtiyār meṅnahīṅ hai. lekin allāh hī bādshāh kosalāmatī kā paiġhām degā.”

17fir’aun ne yūsuf ko apne ḳhwābsunāe, “maiṅ ḳhwāb meṅ daryā-e-nīlke kināre khaṛā thā. 18achānak daryāmeṅ se sāt moṭī moṭī aur ḳhūbsūratgāeṅ nikal kar sarkanḍoṅ meṅ charnelagīṅ. 19is ke bād sāt aur gāeṅ niklīṅ.wuh nihāyat badsūrat aur dublī-patlī

Page 74: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

74 paidāish 41:39

thīṅ. maiṅ ne itnī badsūrat gāeṅ misrmeṅ kahīṅ bhī nahīṅ dekhīṅ. 20dublīaur badsūrat gāeṅ pahlī moṭī gāyoṅko khā gaīṅ. 21aur nigalne ke bādbhī mālūm nahīṅ hotā thā ki unhoṅne moṭī gāyoṅ ko khāyā hai. wuhpahle kī tarah badsūrat hī thīṅ. is kebād maiṅ jāg uṭhā. 22phir maiṅ neek aur ḳhwāb dekhā. sāt moṭī aurachchhī bāleṅ ek hī paude par lagīthīṅ. 23is ke bād sāt aur bāleṅ niklīṅjo ḳharāb, dublī-patlī aur mashriqīhawā se jhulsī huī thīṅ. 24sāt dublī-patlī bāleṅ sāt achchhī bāloṅ ko nigalgaīṅ. maiṅ ne yih sab kuchh apnejādūgaroṅ ko batāyā, lekin wuh is kītābīr na kar sake.”

25yūsuf ne bādshāh se kahā, “donoṅḳhwāboṅ kā ek hī matlab hai. in seallāh ne huzūr par zāhir kiyā hai kiwuh kyā kuchh karne ko hai. 26sātachchhī gāyoṅ se murād sāt sāl haiṅ.isī tarah sāt achchhī bāloṅ se murādbhī sāt sāl haiṅ. donoṅ ḳhwāb ek hībāt bayān karte haiṅ. 27jo sāt dublīaur badsūrat gāeṅ bād meṅ nikleṅun se murād sāt aur sāl haiṅ. yihīsāt dublī-patlī aur mashriqī hawā sejhulsī huī bāloṅ kā matlab bhī hai.wuh ek hī bāt bayān kartī haiṅ kisāt sāl tak kāl paṛegā. 28yih wuhībāt hai jo maiṅ ne huzūr se kahī kiallāh ne huzūr par zāhir kiyā hai kiwuh kyā karegā. 29sāt sāl āeṅge jinke daurān misr ke pūre mulk meṅ

kasrat se paidāwār hogī. 30us ke bādsāt sāl kāl paṛegā. kāl itnā shadīdhogā ki log bhūl jāeṅge ki pahleitnī kasrat thī. kyūṅki kāl mulk kotabāh kar degā. 31kāl kī shiddat kebāis achchhe sāloṅ kī kasrat yād hīnahīṅ rahegī. 32huzūr ko is lie ekhī paiġhām do muḳhtalif ḳhwāboṅ kīsūrat meṅ milā ki allāh is kā pakkāirādā rakhtā hai, aur wuh jald hī ispar amal karegā. 33ab bādshāh kisīsamajhdār aur dānishmand ādmī komulk-e-misr kā intizām sauṅpeṅ. 34iske ilāwā wuh aise ādmī muqarrarkareṅ jo sāt achchhe sāloṅ ke daurānhar fasal kā pāṅchwāṅ hissā leṅ.35wuh un achchhe sāloṅ ke daurānḳhurāk jamā kareṅ. bādshāh unheṅiḳhtiyār deṅ ki wuh shahroṅ meṅgodām banā kar anāj ko mahfūz karleṅ. 36yih ḳhurāk kāl ke un sāt sāloṅke lie maḳhsūs kī jāe jo misr meṅāne wāle haiṅ. yūṅ mulk tabāh nahīṅhogā.”

yūsuf ko misr par hākim

muqarrar kiyā jātā hai37yih mansūbā bādshāh aur us ke

afsarān ko achchhā lagā. 38us ne unse kahā, “hameṅ is kām ke lie yūsuf sezyādā lāiq ādmī nahīṅ milegā. us meṅallāh kī rūh hai.” 39bādshāh ne yūsufse kahā, “allāh ne yih sab kuchh tujhpar zāhir kiyā hai, is lie koī bhī tujhse zyādā samajhdār aur dānishmand

Page 75: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 41:40 75

nahīṅ hai. 40maiṅ tujhe apne mahalpar muqarrar kartā hūṅ. merī tamāmriāyā tere tābe rahegī. terā iḳhtiyārsirf mere iḳhtiyār se kam hogā. 41abmaiṅ tujhe pūre mulk-e-misr parhākim muqarrar kartā hūṅ.”

42bādshāh ne apnī unglī se wuhangūṭhī utārī jis se muhr lagātā thāaur use yūsuf kī unglī meṅ pahnādiyā. us ne use katān kā bārīk libāspahnāyā aur us ke gale meṅ sone kāgulūband pahnā diyā. 43phir us neuse apne dūsre rath meṅ sawār kiyāaur log us ke āge āge pukārte rahe,“ghuṭne ṭeko! ghuṭne ṭeko!”

yūṅ yūsuf pūre misr kā hākimbanā. 44fir’aun ne us se kahā, “maiṅto bādshāh hūṅ, lekin terī ijāzat kebaġhair pūre mulk meṅ koī bhī apnāhāth yā pāoṅ nahīṅ hilāegā.” 45-46usne yūsuf kā misrī nām sāfanat-fānehrakhā aur on ke pujārī fotīfirā kī beṭīāsanat ke sāth us kī shādī karāī.

yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh misrke bādshāh fir’aun kī ḳhidmat karnelagā. us ne fir’aun ke huzūr se nikalkar misr kā daurā kiyā.

47sāt achchhe sāloṅ ke daurān mulkmeṅ nihāyat achchhī fasleṅ ugīṅ.48yūsuf ne tamām ḳhurāk jamā karkeshahroṅ meṅ mahfūz kar lī. harshahr meṅ us ne irdgird ke khetoṅ kīpaidāwār mahfūz rakhī. 49jamāshudāanāj samundar kī ret kī mānindbakasrat thā. itnā anāj thā ki yūsuf ne

āḳhirkār us kī paimāish karnā chhoṛdiyā.

50kāl se pahle yūsuf aur āsanat kedo beṭe paidā hue. 51us ne pahlekā nām manassī yānī ‘jo bhulā detāhai’ rakhā. kyūṅki us ne kahā, “allāhne merī musībat aur mere bāp kāgharānā merī yāddāsht se nikāl diyāhai.” 52dūsre kā nām us ne ifrāīm yānī‘dugnā phaldār’ rakhā. kyūṅki us nekahā, “allāh ne mujhe merī musībatke mulk meṅ phalne phūlne diyā hai.”

53sāt achchhe sāl jin meṅ kasrat kīfasleṅ ugīṅ guzar gae. 54phir kāl kesāt sāl shurū hue jis tarah yūsuf nekahā thā. tamām dīgar mamālik meṅbhī kāl paṛ gayā, lekin misr meṅ wāfirḳhurāk pāī jātī thī. 55jab kāl ne tamāmmisr meṅ zor pakaṛā to log chīḳh karkhāne ke lie bādshāh se minnat karnelage. tab fir’aun ne un se kahā, “yūsufke pās jāo. jo kuchh wuh tumheṅbatāegā wuhī karo.” 56jab kāl pūrīduniyā meṅ phail gayā to yūsuf neanāj ke godām khol kar misriyoṅ koanāj bech diyā. kyūṅki kāl ke bāismulk ke hālāt bahut ḳharāb ho gaethe. 57tamām mamālik se bhī loganāj ḳharīdne ke lie yūsuf ke pās āe,kyūṅki pūrī duniyā saḳht kāl kī giriftmeṅ thī.

yūsuf ke bhāī misr meṅ

42 jab yāqūb ko mālūm huā kimisr meṅ anāj hai to us ne

Page 76: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

76 paidāish 42:20

apne beṭoṅ se kahā, “tum kyūṅ ekdūsre kā muṅh takte ho? 2sunā haiki misr meṅ anāj hai. wahāṅ jā karhamāre lie kuchh ḳharīd lāo tāki hambhūke na mareṅ.”

3tab yūsuf ke das bhāī anājḳharīdne ke lie misr gae. 4lekinyāqūb ne yūsuf ke sage bhāībinyamīn ko sāth na bhejā, kyūṅkius ne kahā, “aisā na ho ki use jānīnuqsān pahuṅche.” 5yūṅ yāqūb kebeṭe bahut sāre aur logoṅ ke sāthmisr gae. kyūṅki mulk-e-kan’ān bhīkāl kī girift meṅ thā.

6yūsuf misr ke hākim kī haisiyatse logoṅ ko anāj bechtā thā, is lieus ke bhāī ā kar us ke sāmne muṅhke bal jhuk gae. 7jab yūsuf ne apnebhāiyoṅ ko dekhā to us ne unheṅpahchān liyā lekin aisā kiyā jaisā unse nāwāqif ho aur saḳhtī se un se bātkī, “tum kahāṅ se āe ho?” unhoṅ nejawāb diyā, “ham mulk-e-kan’ān seanāj ḳharīdne ke lie āe haiṅ.” 8goyūsuf ne apne bhāiyoṅ ko pahchānliyā, lekin unhoṅ ne use na pahchānā.9use wuh ḳhwāb yād āe jo us ne unke bāre meṅ dekhe the. us ne kahā,“tum jāsūs ho. tum yih deḳhne āe hoki hamārā mulk kin kin jaghoṅ parġhairmahfūz hai.”

10unhoṅ ne kahā, “janāb, hargiznahīṅ. āp ke ġhulām ġhallā ḳharīdneāe haiṅ. 11ham sab ek hī mard ke beṭehaiṅ. āp ke ḳhādim sharīf log haiṅ,

jāsūs nahīṅ haiṅ.” 12lekin yūsuf neisrār kiyā, “nahīṅ, tum deḳhne āe hoki hamārā mulk kin kin jaghoṅ parġhairmahfūz hai.”

13unhoṅ ne arz kī, “āp ke ḳhādimkul bārah bhāī haiṅ. ham ek hī ādmīke beṭe haiṅ jo kan’ān meṅ rahtā hai.sab se chhoṭā bhāī is waqt hamārebāp ke pās hai jabki ek mar gayāhai.” 14lekin yūsuf ne apnā ilzāmdohrāyā, “aisā hī hai jaisā maiṅ nekahā hai ki tum jāsūs ho. 15maiṅtumhārī bāteṅ jāṅch lūṅgā. fir’aun kīhayāt kī qasam, pahle tumhārā sab sechhoṭā bhāī āe, warnā tum is jagahse kabhī nahīṅ jā sakoge. 16ek bhāīko use lāne ke lie bhej do. bāqī sabyahāṅ giriftār raheṅge. phir patāchalegā ki tumhārī bāteṅ sach haiṅ kinahīṅ. agar nahīṅ to fir’aun kī hayātkī qasam, is kā matlab yih hogā kitum jāsūs ho.”

17yih kah kar yūsuf ne unheṅ tīndin ke lie qaidḳhāne meṅ ḍāl diyā.18tīsre din us ne un se kahā, “maiṅallāh kā ḳhauf māntā hūṅ, is lie tumko ek shart par jītā chhoṛūṅgā. 19agartum wāqaī sharīf log ho to aisā karoki tum meṅ se ek yahāṅ qaidḳhānemeṅ rahe jabki bāqī sab anāj le karapne bhūke ghar wāloṅ ke pās wāpasjāeṅ. 20lekin lāzim hai ki tum apnesab se chhoṭe bhāī ko mere pās leāo. sirf is se tumhārī bāteṅ sach sābithoṅgī aur tum maut se bach jāoge.”

Page 77: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 42:21 77

yūsuf ke bhāī rāzī ho gae. 21wuhāpas meṅ kahne lage, “beshak yihhamāre apne bhāī par zulm kī sazāhai. jab wuh iltijā kar rahā thā kimujh par rahm kareṅ to ham ne uskī baṛī musībat dekh kar bhī us kī nasunī. is lie yih musībat ham par ā gaīhai.” 22aur rūbin ne kahā, “kyā maiṅne nahīṅ kahā thā ki laṛke par zulmmat karo, lekin tum ne merī ek namānī. ab us kī maut kā hisāb-kitābkiyā jā rahā hai.”

23unheṅ mālūm nahīṅ thā ki yūsufhamārī bāteṅ samajh saktā hai,kyūṅki wuh mutarjim kī mārifat unse bāt kartā thā. 24yih bāteṅ sunkar wuh unheṅ chhoṛ kar rone lagā.phir wuh saṅbhal kar wāpas āyā. usne shamāūn ko chun kar use un kesāmne hī bāndh liyā.

yūsuf ke bhāī kan’ān wāpas jāte haiṅ25yūsuf ne hukm diyā ki mulāzim

un kī boriyāṅ anāj se bhar kar har ekbhāī ke paise us kī borī meṅ wāpasrakh deṅ aur unheṅ safar ke lie khānābhī deṅ. unhoṅ ne aisā hī kiyā. 26phiryūsuf ke bhāī apne gadhoṅ par anājlād kar rawānā ho gae.

27jab wuh rāt ke lie kisī jagah parṭhahre to ek bhāī ne apne gadhe kelie chārā nikālne kī ġharz se apnī borīkholī to dekhā ki borī ke muṅh meṅus ke paise paṛe haiṅ. 28us ne apnebhāiyoṅ se kahā, “mere paise wāpas

kar die gae haiṅ! wuh merī borī meṅhaiṅ.” yih dekh kar un ke hosh uṛ gae.kāṅpte hue wuh ek dūsre ko deḳhneaur kahne lage, “yih kyā hai jo allāhne hamāre sāth kiyā hai?”

29mulk-e-kan’ān meṅ apne bāp kepās pahuṅch kar unhoṅ ne use sabkuchh sunāyā jo un ke sāth huā thā.unhoṅ ne kahā, 30“us mulk ke mālikne baṛī saḳhtī se hamāre sāth bāt kī.us ne hameṅ jāsūs qarār diyā. 31lekinham ne us se kahā, ‘ham jāsūs nahīṅbalki sharīf log haiṅ. 32ham bārahbhāī haiṅ, ek hī bāp ke beṭe. ek to margayā jabki sab se chhoṭā bhāī is waqtkan’ān meṅ bāp ke pās hai.’ 33phirus mulk ke mālik ne ham se kahā, ‘isse mujhe patā chalegā ki tum sharīflog ho ki ek bhāī ko mere pās chhoṛdo aur apne bhūke ghar wāloṅ ke lieḳhurāk le kar chale jāo. 34lekin apnesab se chhoṭe bhāī ko mere pās leāo tāki mujhe mālūm ho jāe ki tumjāsūs nahīṅ balki sharīf log ho. phirmaiṅ tum ko tumhārā bhāī wāpas kardūṅgā aur tum is mulk meṅ āzādī setijārat kar sakoge’.”

35unhoṅ ne apnī boriyoṅ se anājnikāl diyā to dekhā ki har ek kī borīmeṅ us ke paisoṅ kī thailī rakhī huīhai. yih paise dekh kar wuh ḳhudaur un kā bāp ḍar gae. 36un ke bāpne un se kahā, “tum ne mujhe merebachchoṅ se mahrūm kar diyā hai.yūsuf nahīṅ rahā, shamāūn bhī nahīṅ

Page 78: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

78 paidāish 43:14

rahā aur ab tum binyamīn ko bhīmujh se chhīnanā chāhte ho. sabkuchh mere ḳhilāf hai.” 37phir rūbinbol uṭhā, “agar maiṅ use salāmatī seāp ke pās wāpas na pahuṅchāūṅ toāp mere do beṭoṅ ko sazā-e-maut desakte haiṅ. use mere sapurd kareṅto maiṅ use wāpas le āūṅgā.” 38lekinyāqūb ne kahā, “merā beṭā tumhāresāth jāne kā nahīṅ. kyūṅki us kābhāī mar gayā hai aur wuh akelā hīrah gayā hai. agar us ko rāste meṅjānī nuqsān pahuṅche to tum mujhbūṛhe ko ġham ke māre pātāl meṅpahuṅchāoge.”

binyamīn ke hamrāh dūsrā safar

43 kāl ne zor pakaṛā. 2jab misrse lāyā gayā anāj ḳhatm ho

gayā to yāqūb ne kahā, “ab wāpasjā kar hamāre lie kuchh aur ġhallāḳharīd lāo.” 3lekin yahūdāh ne kahā,“us mard ne saḳhtī se kahā thā, ‘tumsirf is sūrat meṅ mere pās ā sakte hoki tumhārā bhāī sāth ho.’ 4agar āphamāre bhāī ko sāth bhejeṅ to phirham jā kar āp ke lie ġhallā ḳharīdeṅge5warnā nahīṅ. kyūṅki us ādmī nekahā thā ki ham sirf is sūrat meṅ uske pās ā sakte haiṅ ki hamārā bhāīsāth ho.” 6yāqūb ne kahā, “tum neuse kyūṅ batāyā ki hamārā ek aurbhāī bhī hai? is se tum ne mujhe baṛīmusībat meṅ ḍāl diyā hai.” 7unhoṅne jawāb diyā, “wuh ādmī hamāre

aur hamāre ḳhāndān ke bāre meṅpūchhtā rahā, ‘kyā tumhārā bāp abtak zindā hai? kyā tumhārā koī aurbhāī hai?’ phir hameṅ jawāb denāpaṛā. hameṅ kyā patā thā ki wuhhameṅ apne bhāī ko sāth lāne kokahegā.” 8phir yahūdāh ne bāp sekahā, “laṛke ko mere sāth bhej deṅ toham abhī rawānā ho jāeṅge. warnāāp, hamāre bachche balki ham sabbhūkoṅ mar jāeṅge. 9maiṅ ḳhud uskā zāmin hūṅgā. āp mujhe us kījān kā zimmādār ṭhahrā sakte haiṅ.agar maiṅ use salāmatī se wāpas napahuṅchāūṅ to phir maiṅ zindagī keāḳhir tak qusūrwār ṭhahrūṅga. 10jitnīder tak ham jhijakte rahe haiṅ utnīder meṅ to ham do dafā misr jā karwāpas ā sakte the.”

11tab un ke bāp isrāīl ne kahā,“agar aur koī sūrat nahīṅ to is mulkkī behtarīn paidāwār meṅ se kuchhtohfe ke taur par le kar us ādmīko de do yānī kuchh balsān, shahd,lādan, mur, pistā aur bādām. 12apnesāth dugnī raqm le kar jāo, kyūṅkitumheṅ wuh paise wāpas karne haiṅjo tumhārī boriyoṅ meṅ rakhe gaethe. shāyad kisī se ġhaltī huī ho.13apne bhāī ko le kar sīdhe wāpaspahuṅchnā. 14allāh qādir-e-mutlaqkare ki yih ādmī tum par rahm karkebinyamīn aur tumhāre dūsre bhāī kowāpas bheje. jahāṅ tak merā tālluq

Page 79: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 43:15 79

hai, agar mujhe apne bachchoṅ semahrūm honā hai to aisā hī ho.”

15chunāṅche wuh tohfe, dugnīraqm aur binyamīn ko sāth le kar chalpaṛe. misr pahuṅch kar wuh yūsufke sāmne hāzir hue. 16jab yūsuf nebinyamīn ko un ke sāth dekhā to usne apne ghar par muqarrar mulāzimse kahā, “in ādmiyoṅ ko mere ghar lejāo tāki wuh dopahar kā khānā meresāth khāeṅ. jānwar ko zabah karkekhānā tayyār karo.”

17mulāzim ne aisā hī kiyā aurbhāiyoṅ ko yūsuf ke ghar le gayā.18jab unheṅ us ke ghar pahuṅchāyājā rahā thā to wuh ḍar kar sochnelage, “hameṅ un paisoṅ ke sabab seyahāṅ lāyā jā rahā hai jo pahlī dafāhamārī boriyoṅ meṅ wāpas kie gaethe. wuh ham par achānak hamlākarke hamāre gadhe chhīn leṅge aurhameṅ ġhulām banā leṅge.”

19is lie ghar ke darwāze parpahuṅch kar unhoṅ ne ghar parmuqarrar mulāzim se kahā, 20“janāb-e-ālī, hamārī bāt sun lījie. is se pahleham anāj ḳharīdne ke lie yahāṅ āethe. 21lekin jab ham yahāṅ se rawānāho kar rāste meṅ rāt ke lie ṭhahre toham ne apnī boriyāṅ khol kar dekhāki har borī ke muṅh meṅ hamārepaisoṅ kī pūrī raqm paṛī hai. hamyih paise wāpas le āe haiṅ. 22nīz,ham mazīd ḳhurāk ḳharīdne ke lieaur paise le āe haiṅ. ḳhudā jāne kis

ne hamāre yih paise hamārī boriyoṅmeṅ rakh die.”

23mulāzim ne kahā, “fikr na kareṅ.mat ḍareṅ. āp ke aur āp ke bāp keḳhudā ne āp ke lie āp kī boriyoṅ meṅyih ḳhazānā rakhā hogā. baharhālmujhe āp ke paise mil gae haiṅ.”

mulāzim shamāūn ko un ke pāsbāhar le āyā. 24phir us ne bhāiyoṅ koyūsuf ke ghar meṅ le jā kar unheṅpāoṅ dhone ke lie pānī aur gadhoṅko chārā diyā. 25unhoṅ ne apne tohfetayyār rakhe, kyūṅki unheṅ batāyāgayā, “yūsuf dopahar kā khānā āp kesāth hī khāegā.”

26jab yūsuf ghar pahuṅchā to wuhapne tohfe le kar us ke sāmne āe aurmuṅh ke bal jhuk gae. 27us ne unse ḳhairiyat daryāft kī aur phir kahā,“tum ne apne būṛhe bāp kā zikr kiyā.kyā wuh ṭhīk haiṅ? kyā wuh ab takzindā haiṅ?” 28unhoṅ ne jawāb diyā,“jī, āp ke ḳhādim hamāre bāp ab takzindā haiṅ.” wuh dubārā muṅh ke baljhuk gae.

29jab yūsuf ne apne sage bhāībinyamīn ko dekhā to us ne kahā,“kyā yih tumhārā sab se chhoṭā bhāīhai jis kā tum ne zikr kiyā thā? beṭā,allāh kī nazar-e-karm tum par ho.”30yūsuf apne bhāī ko dekh kar itnāmuta’assir huā ki wuh rone ko thā,is lie wuh jaldī se wahāṅ se nikal karapne sone ke kamre meṅ gayā aur ropaṛā. 31phir wuh apnā muṅh dho kar

Page 80: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

80 paidāish 44:13

wāpas āyā. apne āp par qābū pā karus ne hukm diyā ki naukar khānā leāeṅ.

32naukaroṅ ne yūsuf ke lie khānekā alag intizām kiyā aur bhāiyoṅ kelie alag. misriyoṅ ke lie bhī khānekā alag intizām thā, kyūṅki ibrāniyoṅke sāth khānā khānā un kī nazar meṅqābil-e-nafrat thā. 33bhāiyoṅ ko unkī umr kī tartīb ke mutābiq yūsuf kesāmne biṭhāyā gayā. yih dekh karbhāī nihāyat hairān hue. 34naukaroṅne unheṅ yūsuf kī mez par se khānāle kar khilāyā. lekin binyamīn kodūsroṅ kī nisbat pāṅch gunā zyādāmilā. yūṅ unhoṅ ne yūsuf ke sāth jībhar kar khāyā aur piyā.

gumshudā pyālā

44 yūsuf ne ghar par muqarrarmulāzim ko hukm diyā, “un

mardoṅ kī boriyāṅ ḳhurāk se itnībhar denā jitnī wuh uṭhā kar le jāsakeṅ. har ek ke paise us kī apnīborī ke muṅh meṅ rakh denā. 2sabse chhoṭe bhāī kī borī meṅ na sirfpaise balki mere chāṅdī ke pyāle kobhī rakh denā.” mulāzim ne aisā hīkiyā.

3aglī subh jab pau phaṭne lagī tobhāiyoṅ ko un ke gadhoṅ sametruḳhsat kar diyā gayā. 4wuh abhīshahr se nikal kar dūr nahīṅ gae theki yūsuf ne apne ghar par muqarrarmulāzim se kahā, “jaldī karo. un

ādmiyoṅ kā tāqqub karo. un kepās pahuṅch kar yih pūchhnā, ‘āpne hamārī bhalāī ke jawāb meṅġhalat kām kyūṅ kiyā hai? 5āp nemere mālik kā chāṅdī kā pyālā kyūṅchurāyā hai? us se wuh na sirf pītehaiṅ balki use ġhaibdānī ke lie bhīistemāl karte haiṅ. āp ek nihāyatsangīn jurm ke murtakib hue haiṅ’.”

6jab mulāzim bhāiyoṅ ke pāspahuṅchā to us ne un se yihī bāteṅkīṅ. 7jawāb meṅ unhoṅ ne kahā,“hamāre mālik aisī bāteṅ kyūṅ kartehaiṅ? kabhī nahīṅ ho saktā ki āp keḳhādim aisā kareṅ. 8āp to jānte haiṅki ham mulk-e-kan’ān se wuh paisewāpas le āe jo hamārī boriyoṅ meṅthe. to phir ham kyūṅ āp ke mālik keghar se chāṅdī yā sonā churāeṅge?9agar wuh āp ke ḳhādimoṅ meṅ sekisī ke pās mil jāe to use mār ḍālā jāeaur bāqī sab āp ke ġhulām baneṅ.”

10mulāzim ne kahā, “ṭhīk hai aisā hīhogā. lekin sirf wuhī merā ġhulāmbanegā jis ne pyālā churāyā hai. bāqīsab āzād haiṅ.” 11unhoṅ ne jaldīse apnī boriyāṅ utār kar zamīn parrakh dīṅ. har ek ne apnī borī kholdī. 12mulāzim boriyoṅ kī talāshīlene lagā. wuh baṛe bhāī se shurūkarke āḳhirkār sab se chhoṭe bhāī takpahuṅch gayā. aur wahāṅ binyamīnkī borī meṅ se pyālā niklā. 13bhāiyoṅne yih dekh kar pareshānī meṅ apne

Page 81: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 44:14 81

libās phāṛ lie. wuh apne gadhoṅ kodubārā lād kar shahr wāpas ā gae.

14jab yahūdāh aur us ke bhāī yūsufke ghar pahuṅche to wuh abhī wahīṅthā. wuh us ke sāmne muṅh ke balgir gae. 15yūsuf ne kahā, “yih tum nekyā kiyā hai? kyā tum nahīṅ jānte kimujh jaisā ādmī ġhaib kā ilm rakhtāhai?” 16yahūdāh ne kahā, “janāb-e-ālī, ham kyā kaheṅ? ab ham apne difāmeṅ kyā kaheṅ? allāh hī ne hameṅqusūrwār ṭhahrāyā hai. ab ham sabāp ke ġhulām haiṅ, na sirf wuh jiske pās se pyālā mil gayā.” 17yūsufne kahā, “allāh na kare ki maiṅ aisākarūṅ, balki sirf wuhī merā ġhulāmhogā jis ke pās pyālā thā. bāqī sabsalāmatī se apne bāp ke pās wāpaschale jāeṅ.”

yahūdāh binyamīn kī sifārish kartā hai18lekin yahūdāh ne yūsuf ke qarīb

ā kar kahā, “mere mālik, mehrbānīkarke apne bande ko ek bāt karnekī ijāzat deṅ. mujh par ġhussā nakareṅ agarche āp misr ke bādshāhjaise haiṅ. 19janāb-e-ālī, āp ne hamse pūchhā, ‘kyā tumhārā bāp yā koīaur bhāī hai?’ 20ham ne jawāb diyā,‘hamārā bāp hai. wuh būṛhā hai.hamārā ek chhoṭā bhāī bhī hai jous waqt paidā huā jab hamārā bāpumrrasīdā thā. us laṛke kā bhāī marchukā hai. us kī māṅ ke sirf yih dobeṭe paidā hue. ab wuh akelā hī rah

gayā hai. us kā bāp use shiddat sepyār kartā hai.’ 21janāb-e-ālī, āp nehameṅ batāyā, ‘use yahāṅ le āo tākimaiṅ ḳhud use dekh sakūṅ.’ 22hamne jawāb diyā, ‘yih laṛkā apne bāpko chhoṛ nahīṅ saktā, warnā us kābāp mar jāegā.’ 23phir āp ne kahā,‘tum sirf is sūrat meṅ mere pās āsakoge ki tumhārā sab se chhoṭā bhāītumhāre sāth ho.’ 24jab ham apnebāp ke pās wāpas pahuṅche to hamne unheṅ sab kuchh batāyā jo āpne kahā thā. 25phir unhoṅ ne hamse kahā, ‘misr lauṭ kar kuchh ġhallāḳharīd lāo.’ 26ham ne jawāb diyā,‘ham jā nahīṅ sakte. ham sirf is sūratmeṅ us mard ke pās jā sakte haiṅki hamārā sab se chhoṭā bhāī sāthho. ham tab hī jā sakte haiṅ jab wuhbhī hamāre sāth chale.’ 27hamārebāp ne ham se kahā, ‘tum jānte hoki merī bīwī rāḳhil se mere do beṭepaidā hue. 28pahlā mujhe chhoṛchukā hai. kisī janglī jānwar ne usephāṛ khāyā hogā, kyūṅki usī waqt semaiṅ ne use nahīṅ dekhā. 29agar isko bhī mujh se le jāne kī wajah sejānī nuqsān pahuṅche to tum mujhbūṛhe ko ġham ke māre pātāl meṅpahuṅchāoge’.”

30-31yahūdāh ne apnī bāt jārī rakhī,“janāb-e-ālī, ab agar maiṅ apne bāpke pās jāūṅ aur wuh dekheṅ ki laṛkāmere sāth nahīṅ hai to wuh dam toṛdeṅge. un kī zindagī is qadar laṛke

Page 82: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

82 paidāish 45:13

kī zindagī par munhasir hai aur wuhitne būṛhe haiṅ ki ham aisī harkatse unheṅ qabr tak pahuṅchā deṅge.32na sirf yih balki maiṅ ne bāp sekahā, ‘maiṅ ḳhud is kā zāmin hūṅgā.agar maiṅ ise salāmatī se wāpas napahuṅchāūṅ to phir maiṅ zindagīke āḳhir tak qusūrwār ṭhahrūṅga.’33ab apne ḳhādim kī guzārish suneṅ.maiṅ yahāṅ rah kar is laṛke kī jagahġhulām ban jātā hūṅ, aur wuh dūsrebhāiyoṅ ke sāth wāpas chalā jāe34agar laṛkā mere sāth na huā to maiṅkis tarah apne bāp ko muṅh dikhāsaktā hūṅ? maiṅ bardāsht nahīṅkar sakūṅgā ki wuh is musībat meṅmubtalā ho jāeṅ.”

yūsuf apne āp ko zāhir kartā hai

45 yih sun kar yūsuf apne āppar qābū na rakh sakā. us ne

ūṅchī āwāz se hukm diyā ki tamāmmulāzim kamre se nikal jāeṅ. koīaur shaḳhs kamre meṅ nahīṅ thā jabyūsuf ne apne bhāiyoṅ ko batāyā kiwuh kaun hai. 2wuh itne zor se ropaṛā ki misriyoṅ ne us kī āwāz sunīaur fir’aun ke gharāne ko patā chalgayā. 3yūsuf ne apne bhāiyoṅ sekahā, “maiṅ yūsuf hūṅ. kyā merā bāpab tak zindā hai?”

lekin us ke bhāī yih sun kar itneghabrā gae ki wuh jawāb na de sake.

4phir yūsuf ne kahā, “mere qarībāo.” wuh qarīb āe to us ne kahā,

“maiṅ tumhārā bhāī yūsuf hūṅ jisetum ne bech kar misr bhijwāyā. 5abmerī bāt suno. na ghabrāo aur naapne āp ko ilzām do ki ham ne yūsufko bech diyā. asal meṅ allāh neḳhud mujhe tumhāre āge yahāṅ bhejdiyā tāki ham sab bache raheṅ. 6yihkāl kā dūsrā sāl hai. pāṅch aur sālke daurān na hal chalegā, na fasalkaṭegī. 7allāh ne mujhe tumhāreāge bhejā tāki duniyā meṅ tumhārāek bachā-khuchā hissā mahfūz raheaur tumhārī jān ek baṛī maḳhlasī kīmārifat chhūṭ jāe 8chunāṅche tum nemujhe yahāṅ nahīṅ bhejā balki allāhne. us ne mujhe fir’aun kā bāp, uske pūre gharāne kā mālik aur misrkā hākim banā diyā hai. 9ab jaldī semere bāp ke pās wāpas jā kar un sekaho, ‘āp kā beṭā yūsuf āp ko ittilādetā hai ki allāh ne mujhe misr kāmālik banā diyā hai. mere pās ājāeṅ, der na kareṅ. 10āp jushan keilāqe meṅ rah sakte haiṅ. wahāṅāp mere qarīb hoṅge, āp, āp kī āl-o-aulād, gāy-bail, bheṛ-bakriyāṅ aur jokuchh bhī āp kā hai. 11wahāṅ maiṅ āpkī zarūriyāt pūrī karūṅga, kyūṅki kālko abhī pāṅch sāl aur lageṅge. warnāāp, āp ke ghar wāle aur jo bhī āp kehaiṅ bad-hāl ho jāeṅge.’ 12tum ḳhudaur merā bhāī binyamīn dekh sakteho ki maiṅ yūsuf hī hūṅ jo tumhāresāth bāt kar rahā hūṅ. 13mere bāp komisr meṅ mere asar-o-rasūḳh ke bāre

Page 83: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 45:14 83

meṅ ittilā do. unheṅ sab kuchh batāojo tum ne dekhā hai. phir jald hī merebāp ko yahāṅ le āo.”

14yih kah kar wuh apne bhāībinyamīn ko gale lagā kar ro paṛā.binyamīn bhī us ke gale lag kar ronelagā. 15phir yūsuf ne rote hue apnehar ek bhāī ko bosā diyā. is ke bād uske bhāī us ke sāth bāteṅ karne lage.

16jab yih ḳhabar bādshāh ke mahaltak pahuṅchī ki yūsuf ke bhāī āehaiṅ to fir’aun aur us ke tamāmafsarān ḳhush hue. 17us ne yūsuf sekahā, “apne bhāiyoṅ ko batā ki apnejānwaroṅ par ġhallā lād kar mulk-e-kan’ān wāpas chale jāo. 18wahāṅapne bāp aur ḳhāndānoṅ ko le karmere pās ā jāo. maiṅ tum ko misr kīsab se achchhī zamīn de dūṅgā, aurtum is mulk kī behtarīn paidāwār khāsakoge. 19unheṅ yih hidāyat bhī deki apne bāl-bachchoṅ ke lie misr segāṛiyāṅ le jāo aur apne bāp ko bhībiṭhā kar yahāṅ le āo. 20apne māl kīzyādā fikr na karo, kyūṅki tumheṅmulk-e-misr kā behtarīn māl milegā.”

21yūsuf ke bhāiyoṅ ne aisā hī kiyā.yūsuf ne unheṅ bādshāh ke hukmke mutābiq gāṛiyāṅ aur safar ke lieḳhurāk dī. 22us ne har ek bhāī kokapṛoṅ kā ek joṛā bhī diyā. lekinbinyamīn ko us ne chāṅdī ke 300sikke aur pāṅch joṛe die. 23us ne apnebāp ko das gadhe bhijwā die jo misrke behtarīn māl se lade hue the aur

das gadhiyāṅ jo anāj, roṭī aur bāp kesafar ke lie khāne se ladī huī thīṅ.24yūṅ us ne apne bhāiyoṅ ko ruḳhsatkarke kahā, “rāste meṅ jhagaṛā nakarnā.”

25wuh misr se rawānā ho karmulk-e-kan’ān meṅ apne bāp ke pāspahuṅche. 26unhoṅ ne us se kahā,“yūsuf zindā hai! wuh pūre misrkā hākim hai.” lekin yāqūb hakkā-bakkā rah gayā, kyūṅki use yaqīn naāyā. 27tāham unhoṅ ne use sab kuchhbatāyā jo yūsuf ne un se kahā thā,aur us ne ḳhud wuh gāṛiyāṅ dekhīṅ joyūsuf ne use misr le jāne ke lie bhijwādī thīṅ. phir yāqūb kī jān meṅ jānā gaī, 28aur us ne kahā, “merā beṭāyūsuf zindā hai! yihī kāfī hai. marnese pahle maiṅ jā kar us se milūṅgā.”

yāqūb misr jātā hai

46 yāqūb sab kuchh le karrawānā huā aur bair-sabā

pahuṅchā. wahāṅ us ne apne bāpis’hāq ke ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅchaṛhāīṅ. 2rāt ko allāh royā meṅus se hamkalām huā. us ne kahā,“yāqūb, yāqūb!” yāqūb ne jawābdiyā, “jī, maiṅ hāzir hūṅ.” 3allāhne kahā, “maiṅ allāh hūṅ, tere bāpis’hāq kā ḳhudā. misr jāne se matḍar, kyūṅki wahāṅ maiṅ tujh se ekbaṛī qaum banāūṅgā. 4maiṅ tere sāthmisr jāūṅgā aur tujhe is mulk meṅ

Page 84: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

84 paidāish 46:30

wāpas bhī le āūṅgā. jab tū maregā toyūsuf ḳhud terī āṅkheṅ band karegā.”

5is ke bād yāqūb bair-sabā serawānā huā. us ke beṭoṅ ne useaur apne bāl-bachchoṅ ko un gāṛiyoṅmeṅ biṭhā diyā jo misr ke bādshāhne bhijwāī thīṅ. 6yūṅ yāqūb aur uskī tamām aulād apne maweshī aurkan’ān meṅ hāsil kiyā huā māl lekar misr chale gae. 7yāqūb ke beṭe-beṭiyāṅ, pote-potiyāṅ aur bāqī aulādsab sāth gae.

8isrāīl kī aulād ke nām jo misr chalīgaī yih haiṅ:

yāqūb ke pahlauṭhe rūbin 9ke beṭehanūk, fallū, hasron aur karmī the.10shamāūn ke beṭe āshrūel, yamīn,uhad, yakīn, suhar aur sāūl the (sāūlkan’ānī aurat kā bachchā thā). 11lāwīke beṭe jairson, qihāt aur mirārī the.12yahūdāh ke beṭe er, onān, selā, fārasaur zārah the (er aur onān kan’ānmeṅ mar chuke the). fāras ke dobeṭe hasron aur hamūl the. 13ishkārke beṭe tolā, fuwwā, yob aur simronthe. 14zabūlūn ke beṭe sard, ailonaur yahlī’el the. 15in beṭoṅ kī māṅliyāh thī, aur wuh masoputāmiyāmeṅ paidā hue. in ke ilāwā dīnā uskī beṭī thī. kul 33 mard liyāh kī aulādthe.

16jad ke beṭe sifyān, hajjī, sūnī,isbūn, erī, arūdī aur arelī the. 17āsharke beṭe yimnā, iswāh, iswī aur barīāthe. āshar kī beṭī sirah thī, aur barīā

ke do beṭe the, hibar aur malkī’el.18kul 16 afrād zilfā kī aulād the jiselāban ne apnī beṭī liyāh ko diyā thā.

19rāḳhil ke beṭe yūsuf aur binyamīnthe. 20yūsuf ke do beṭe manassī aurifrāīm misr meṅ paidā hue. un kī māṅon ke pujārī fotīfirā kī beṭī āsanatthī. 21binyamīn ke beṭe bālā, bakar,ashbel, jīrā, nāmān, iḳhī, ros, muffīm,huffīm aur ard the. 22kul 14 mardrāḳhil kī aulād the.

23dān kā beṭā hushīm thā. 24naftālīke beṭe yahsī’el, jūnī, yisar aur sillīmthe. 25kul 7 mard bilhāh kī aulād thejise lāban ne apnī beṭī rāḳhil ko diyāthā.

26yāqūb kī aulād ke 66 afrād us kesāth misr chale gae. is tādād meṅbeṭoṅ kī bīwiyāṅ shāmil nahīṅ thīṅ.27jab ham yāqūb, yūsuf aur us kedo beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ toyāqūb ke gharāne ke 70 afrād misrgae.

yāqūb aur us kā ḳhāndān misr meṅ28yāqūb ne yahūdāh ko apne āge

yūsuf ke pās bhejā tāki wuh jushanmeṅ un se mile. jab wuh wahāṅpahuṅche 29to yūsuf apne rath parsawār ho kar apne bāp se milne kelie jushan gayā. use dekh kar wuhus ke gale lag kar kāfī der rotā rahā.30yāqūb ne yūsuf se kahā, “ab maiṅmarne ke lie tayyār hūṅ, kyūṅki maiṅne ḳhud dekhā hai ki tū zindā hai.”

Page 85: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 46:31 85

31phir yūsuf ne apne bhāiyoṅ aurapne bāp ke ḳhāndān ke bāqī afrādse kahā, “zarūrī hai ki maiṅ jā karbādshāh ko ittilā dūṅ ki mere bhāīaur mere bāp kā pūrā ḳhāndān jokan’ān ke rahne wāle haiṅ merepās ā gae haiṅ. 32maiṅ us sekahūṅgā, ‘yih ādmī bheṛ-bakriyoṅ kecharwāhe haiṅ. wuh maweshī pāltehaiṅ, is lie apnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur bāqī sārā māl apne sāth leāe haiṅ.’ 33bādshāh tumheṅ bulā karpūchhegā ki tum kyā kām karte ho?34phir tum ko jawāb denā hai, ‘āp keḳhādim bachpan se maweshī pālte āehaiṅ. yih hamāre bāpdādā kā peshāthā aur hamārā bhī hai.’ agar tum yihkaho to tumheṅ jushan meṅ rahne kīijāzat milegī. kyūṅki bheṛ-bakriyoṅke charwāhe misriyoṅ kī nazar meṅqābil-e-nafrat haiṅ.”

47 yūsuf fir’aun ke pās gayā auruse ittilā de kar kahā, “merā

bāp aur bhāī apnī bheṛ-bakriyoṅ,gāy-bailoṅ aur sāre māl samet mulk-e-kan’ān se ā kar jushan meṅ ṭhahrehue haiṅ.” 2us ne apne bhāiyoṅmeṅ se pāṅch ko chun kar fir’aun kesāmne pesh kiyā. 3fir’aun ne bhāiyoṅse pūchhā, “tum kyā kām karte ho?”unhoṅ ne jawāb diyā, “āp ke ḳhādimbheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. yihhamāre bāpdādā kā peshā thā aurhamārā bhī hai. 4ham yahāṅ āe haiṅtāki kuchh der ajnabī kī haisiyat se āp

ke pās ṭhahreṅ, kyūṅki kāl ne kan’ānmeṅ bahut zor pakaṛā hai. wahāṅāp ke ḳhādimoṅ ke jānwaroṅ ke liecharāgāheṅ ḳhatm ho gaī haiṅ. islie hameṅ jushan meṅ rahne kī ijāzatdeṅ.”

5bādshāh ne yūsuf se kahā, “terābāp aur bhāī tere pās ā gae haiṅ.6mulk-e-misr tere sāmne khulā hai.unheṅ behtarīn jagah par ābād kar.wuh jushan meṅ raheṅ. aur agarun meṅ se kuchh haiṅ jo ḳhāsqābiliyat rakhte haiṅ to unheṅ meremaweshiyoṅ kī nigahdāsht par rakh.”

7phir yūsuf apne bāp yāqūb kole āyā aur fir’aun ke sāmne peshkiyā. yāqūb ne bādshāh ko barkat dī.8bādshāh ne us se pūchhā, “tumhārīumr kyā hai?” 9yāqūb ne jawāb diyā,“maiṅ 130 sāl se is duniyā kā mehmānhūṅ. merī zindagī muḳhtasar aurtaqlīfdih thī, aur mere bāpdādā mujhse zyādā umrrasīdā hue the jab wuhis duniyā ke mehmān the.” 10yih kahkar yāqūb fir’aun ko dubārā barkat dekar chalā gayā.

11phir yūsuf ne apne bāp aurbhāiyoṅ ko misr meṅ ābād kiyā. us neunheṅ rāmsīs ke ilāqe meṅ behtarīnzamīn dī jis tarah bādshāh ne hukmdiyā thā. 12yūsuf apne bāp ke pūregharāne ko ḳhurāk muhayyā kartārahā. har ḳhāndān ko us ke bachchoṅkī tādād ke mutābiq ḳhurāk miltī rahī.

Page 86: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

86 paidāish 47:26

kāl kā saḳht asar13kāl itnā saḳht thā ki kahīṅ bhī roṭī

nahīṅ miltī thī. misr aur kan’ān meṅlog niḍhāl ho gae.

14misr aur kan’ān ke tamām paiseanāj ḳharīdne ke lie sarf ho gae.yūsuf unheṅ jamā karke fir’aun kemahal meṅ le āyā. 15jab misr aurkan’ān ke paise ḳhatm ho gae tomisriyoṅ ne yūsuf ke pās ā karkahā, “hameṅ roṭī deṅ! ham āpke sāmne kyūṅ mareṅ? hamārepaise ḳhatm ho gae haiṅ.” 16yūsufne jawāb diyā, “agar āp ke paiseḳhatm haiṅ to mujhe apne maweshīdeṅ. maiṅ un ke iwaz roṭī detā hūṅ.”17chunāṅche wuh apne ghoṛe, bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur gadhe yūsuf kepās le āe. in ke iwaz us ne unheṅḳhurāk dī. us sāl us ne unheṅ un ketamām maweshiyoṅ ke iwaz ḳhurākmuhayyā kī.

18agle sāl wuh dubārā us ke pās āe.unhoṅ ne kahā, “janāb-e-ālī, ham yihbāt āp se nahīṅ chhupā sakte ki abham sirf apne āp aur apnī zamīn koāp ko de sakte haiṅ. hamāre paise toḳhatm haiṅ aur āp hamāre maweshībhī le chuke haiṅ. 19ham kyūṅ āp kīāṅkhoṅ ke sāmne mar jāeṅ? hamārīzamīn kyūṅ tabāh ho jāe? hameṅroṭī deṅ to ham aur hamārī zamīnbādshāh kī hogī. ham fir’aun keġhulām hoṅge. hameṅ bīj deṅ tāki

ham jīte bacheṅ aur zamīn tabāh naho jāe.”

20chunāṅche yūsuf ne fir’aun ke liemisr kī pūrī zamīn ḳharīd lī. kāl kīsaḳhtī ke sabab se tamām misriyoṅ neapne khet bech die. is tarīqe se pūrāmulk fir’aun kī milkiyat meṅ ā gayā.21yūsuf ne misr ke ek sire se dūsresire tak ke logoṅ ko shahroṅ meṅmuntaqil kar diyā. 22sirf pujāriyoṅ kīzamīn āzād rahī. unheṅ apnī zamīnbechne kī zarūrat hī nahīṅ thī, kyūṅkiunheṅ fir’aun se itnā wazīfā miltā thāki guzārā ho jātā thā.

23yūsuf ne logoṅ se kahā, “ġhaur sesuneṅ. āj maiṅ ne āp ko aur āp kīzamīn ko bādshāh ke lie ḳharīd liyāhai. ab yih bīj le kar apne khetoṅmeṅ bonā. 24āp ko fir’aun ko fasalkā pāṅchwāṅ hissā denā hai. bāqīpaidāwār āp kī hogī. āp is se bīj bosakte haiṅ, aur yih āp ke aur āp kegharānoṅ aur bachchoṅ ke khāne kelie hogā.” 25unhoṅ ne jawāb diyā,“āp ne hameṅ bachāyā hai. hamāremālik ham par mehrbānī kareṅ toham fir’aun ke ġhulām baneṅge.”

26is tarah yūsuf ne misr meṅ yihqānūn nāfiz kiyā ki har fasal kāpāṅchwāṅ hissā bādshāh kā hai. yihqānūn āj tak jārī hai. sirf pujāriyoṅ kīzamīn bādshāh kī milkiyat meṅ na āī.

Page 87: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 47:27 87

yāqūb kī āḳhirī guzārish27isrāīlī misr meṅ jushan ke ilāqe

meṅ ābād hue. wahāṅ unheṅ zamīnmilī, aur wuh phale phūle aur tādādmeṅ bahut baṛh gae.

28yāqūb 17 sāl misr meṅ rahā. wuh147 sāl kā thā jab faut huā. 29jabmarne kā waqt qarīb āyā to us neyūsuf ko bulā kar kahā, “mehrbānīkarke apnā hāth merī rān ke nīcherakh kar qasam khā ki tū mujh parshafqat aur wafādārī kā is tarah izhārkaregā ki mujhe misr meṅ dafn nahīṅkaregā. 30jab maiṅ mar kar apnebāpdādā se jā milūṅgā to mujhe misrse le jā kar mere bāpdādā kī qabrmeṅ dafnānā.” yūsuf ne jawāb diyā,“ṭhīk hai.” 31yāqūb ne kahā, “qasamkhā ki tū aisā hī karegā.” yūsuf neqasam khāī. tab isrāīl ne apne bistarke sirhāne par allāh ko sijdā kiyā.

yāqūb ifrāīm aur manassī

ko barkat detā hai

48 kuchh der ke bād yūsuf koittilā dī gaī ki āp kā bāp

bīmār hai. wuh apne do beṭoṅmanassī aur ifrāīm ko sāth le karyāqūb se milne gayā.

2yāqūb ko batāyā gayā, “āp kābeṭā ā gayā hai” to wuh apne āpko saṅbhāl kar apne bistar par baiṭhgayā. 3us ne yūsuf se kahā, “jabmaiṅ kan’ānī shahr lūz meṅ thā toallāh qādir-e-mutlaq mujh par zāhir

huā. us ne mujhe barkat de kar4kahā, ‘maiṅ tujhe phalne phūlnedūṅgā aur terī aulād baṛhā dūṅgābalki tujh se bahut sī qaumeṅ nikalnedūṅgā. aur maiṅ terī aulād ko yihmulk hameshā ke lie de dūṅgā.’ 5abmerī bāt sun. maiṅ chāhtā hūṅ kitere beṭe jo mere āne se pahle misrmeṅ paidā hue mere beṭe hoṅ. ifrāīmaur manassī rūbin aur shamāūn kebarābar hī mere beṭe hoṅ. 6agar inke bād tere hāṅ aur beṭe paidā hojāeṅ to wuh mere beṭe nahīṅ balkitere ṭhahreṅge. jo mīrās wuh pāeṅgewuh unheṅ ifrāīm aur manassī kīmīrās meṅ se milegī. 7maiṅ yih terīmāṅ rāḳhil ke sabab se kar rahā hūṅjo masoputāmiyā se wāpasī ke waqtkan’ān meṅ ifrātā ke qarīb mar gaī.maiṅ ne use wahīṅ rāste meṅ dafnkiyā” (āj ifrātā ko bait-laham kahājātā hai).

8phir yāqūb ne yūsuf ke beṭoṅpar nazar ḍāl kar pūchhā, “yih kaunhaiṅ?” 9yūsuf ne jawāb diyā, “yihmere beṭe haiṅ jo allāh ne mujheyahāṅ misr meṅ die.” yāqūb ne kahā,“unheṅ mere qarīb le ā tāki maiṅunheṅ barkat dūṅ.” 10būṛhā hone kesabab se yāqūb kī āṅkheṅ kamzorthīṅ. wuh achchhī tarah dekh nahīṅsaktā thā. yūsuf apne beṭoṅ ko yāqūbke pās le āyā to us ne unheṅ bosā dekar gale lagāyā 11aur yūsuf se kahā,“mujhe tawaqqo hī nahīṅ thī ki maiṅ

Page 88: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

88 paidāish 49:4

kabhī terā chehrā dekhūṅgā, aur aballāh ne mujhe tere beṭoṅ ko deḳhnekā mauqā bhī diyā hai.”

12phir yūsuf unheṅ yāqūb kī godmeṅ se le kar ḳhud us ke sāmne muṅhke bal jhuk gayā. 13yūsuf ne ifrāīmko yāqūb ke bāeṅ hāth rakhā aurmanassī ko us ke dāeṅ hāth. 14lekinyāqūb ne apnā dahnā hāth bāīṅ tarafbaṛhā kar ifrāīm ke sar par rakhāagarche wuh chhoṭā thā. is tarah usne apnā bāyāṅ hāth dāīṅ taraf baṛhākar manassī ke sar par rakhā jo baṛāthā. 15phir us ne yūsuf ko us kebeṭoṅ kī mārifat barkat dī, “allāh jiske huzūr mere bāpdādā ibrāhīm auris’hāq chalte rahe aur jo shurū se ājtak merā charwāhā rahā hai inheṅbarkat de. 16jis farishte ne iwazānā dekar mujhe har nuqsān se bachāyā haiwuh inheṅ barkat de. allāh kare kiin meṅ merā nām aur mere bāpdādāibrāhīm aur is’hāq ke nām jīte raheṅ.duniyā meṅ in kī aulād kī tādād bahutbaṛh jāe.”

17jab yūsuf ne dekhā ki bāp ne apnādahnā hāth chhoṭe beṭe ifrāīm ke sarpar rakhā hai to yih use burā lagā, islie us ne bāp kā hāth pakaṛā tāki useifrāīm ke sar par se uṭhā kar manassīke sar par rakhe. 18us ne kahā, “abbū,aise nahīṅ. dūsrā laṛkā baṛā hai. usīpar apnā dahnā hāth rakheṅ.” 19lekinbāp ne inkār karke kahā, “mujhe patāhai beṭā, mujhe patā hai. wuh bhī

ek baṛī qaum banegā. phir bhī us kāchhoṭā bhāī us se baṛā hogā aur us seqaumoṅ kī baṛī tādād niklegī.”

20us din us ne donoṅ beṭoṅ kobarkat de kar kahā, “isrāīlī tumhārānām le kar barkat diyā kareṅge. jabwuh barkat deṅge to kaheṅge, ‘allāhāp ke sāth waisā kare jaisā us neifrāīm aur manassī ke sāth kiyā hai’.”is tarah yāqūb ne ifrāīm ko manassīse baṛā banā diyā. 21yūsuf se usne kahā, “maiṅ to marne wālā hūṅ,lekin allāh tumhāre sāth hogā aurtumheṅ tumhāre bāpdādā ke mulkmeṅ wāpas le jāegā. 22ek bāt meṅmaiṅ tujhe tere bhāiyoṅ par tarjīhdetā hūṅ, maiṅ tujhe kan’ān meṅwuh qit’ā detā hūṅ jo maiṅ ne apnītalwār aur kamān se amoriyoṅ sechhīnā thā.”

yāqūb apne beṭoṅ ko barkat detā hai

49 yāqūb ne apne beṭoṅ ko bulākar kahā, “mere pās jamā

ho jāo tāki maiṅ tumheṅ batāūṅ kimustaqbil meṅ tumhāre sāth kyā kyāhogā. 2ai yāqūb ke beṭo, ikaṭṭhe hokar suno, apne bāp isrāīl kī bātoṅ parġhaur karo.

3rūbin, tum mere pahlauṭhe ho,mere zor aur merī tāqat kā pahlā phal.tum izzat aur quwwat ke lihāz sebartar ho. 4lekin chūṅki tum beqābūsailāb kī mānind ho is lie tumhārīawwal haisiyat jātī rahe. kyūṅki tum

Page 89: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 49:5 89

ne merī haram se hambistar ho karapne bāp kī behurmatī kī hai.

5shamāūn aur lāwī donoṅ bhāiyoṅkī talwāreṅ zulm-o-tashaddud kehathiyār rahe haiṅ. 6merī jān na unkī majlis meṅ shāmil aur na un kījamā’at meṅ dāḳhil ho, kyūṅki unhoṅne ġhusse meṅ ā kar dūsroṅ ko qatlkiyā hai, unhoṅ ne apnī marzī sebailoṅ kī koṅcheṅ kāṭī haiṅ. 7un keġhusse par lānat ho jo itnā zabardasthai aur un ke taish par jo itnā saḳhthai. maiṅ unheṅ yāqūb ke mulk meṅtitar-bitar karūṅga, unheṅ isrāīl meṅmuntashir kar dūṅgā.

8yahūdāh, tumhāre bhāī tumhārītārīf kareṅge. tum apne dushmanoṅkī gardan pakaṛe rahoge, aurtumhāre bāp ke beṭe tumhāre sāmnejhuk jāeṅge. 9yahūdāh sherbabar kābachchā hai. mere beṭe, tum abhīabhī shikār mār kar wāpas āe ho.yahūdāh sherbabar balki shernī kītarah dabak kar baiṭh jātā hai. kaunuse chheṛne kī jur’at karegā? 10shāhīasā yahūdāh se dūr nahīṅ hogā balkishāhī iḳhtiyār us waqt tak us kī aulādke pās rahegā jab tak wuh hākim naāe jis ke tābe qaumeṅ raheṅgī. 11wuhapnā jawān gadhā angūr kī bel seaur apnī gadhī kā bachchā behtarīnangūr kī bel se bāndhegā. wuh apnālibās mai meṅ aur apnā kapṛā angūr

ke ḳhūn meṅ dhoegā. 12us kī āṅkheṅmai se zyādā gadlī aur us ke dāṅtdūdh se zyādā safed hoṅge.

13zabūlūn sāhil par ābād hogā jahāṅbahrī jahāz hoṅge. us kī had saidā takhogī.

14ishkār tāqatwar gadhā hai jo apnezīn ke do boroṅ ke darmiyān baiṭhāhai. 15jab wuh dekhegā ki us kīārāmgāh achchhī aur us kā mulkḳhushnumā hai to wuh bojh uṭhāneke lie tayyār ho jāegā aur ujrat kebaġhair kām karne ke lie majbūr kiyājāegā.

16dān apnī qaum kā insāf karegāagarche wuh isrāīl ke qabīloṅ meṅ seek hī hai. 17dān saṛak ke sāṅp aurrāste ke af’aī kī mānind hogā. wuhghoṛe kī eṛiyoṅ ko kāṭegā to us kāsawār pīchhe gir jāegā.

18ai rab, maiṅ terī hī najāt ke intizārmeṅ hūṅ!

19jad par ḍākuoṅ kā jaththā hamlākaregā, lekin wuh palaṭ kar usī parhamlā kar degā.

20āshar ko ġhizāiyat wālī ḳhurākhāsil hogī. wuh lazīz shāhī khānāmuhayyā karegā.

21naftālī āzād chhoṛī huī hirnī hai.wuh ḳhūbsūrat bāteṅ kartā hai.a

22yūsuf phaldār bel hai. wuhchashme par lagī huī phaldār belhai jis kī shāḳheṅ dīwār par chaṛh

ayā ḳhūbsūrat bachche paidā kartī hai.

Page 90: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

90 paidāish 50:6

gaī haiṅ. 23tīrandāzoṅ ne us partīr chalā kar use tang kiyā aur uske pīchhe paṛ gae. 24lekin us kīkamān mazbūt rahī, aur us ke bāzūyāqūb ke zor-āwar ḳhudā ke sababse tāqatwar rahe, us charwāhe kesabab se jo isrāīl kā zabardast sūrmāhai. 25kyūṅki tere bāp kā ḳhudāterī madad kartā hai, allāh qādir-e-mutlaq tujhe āsmān kī barkat, zamīnkī gahrāiyoṅ kī barkat aur aulād kībarkat detā hai. 26tere bāp kī barkatqadīm pahāṛoṅ aur abadī pahāṛiyoṅkī marġhūb chīzoṅ se zyādā azīm hai.yih tamām barkat yūsuf ke sar parho, us shaḳhs ke chāṅd par jo apnebhāiyoṅ par shahzādā hai.

27binyamīn phāṛne wālā bheṛiyāhai. subh wuh apnā shikār khā jātāaur rāt ko apnā lūṭā huā māl taqsīmkar detā hai.”

28yih isrāīl ke kul bārah qabīle haiṅ.aur yih wuh kuchh hai jo un ke bāpne un se barkat dete waqt kahā. us nehar ek ko us kī apnī barkat dī.

yāqūb kā intiqāl29phir yāqūb ne apne beṭoṅ ko

hukm diyā, “ab maiṅ kūch karke apnebāpdādā se jā milūṅgā. mujhe merebāpdādā ke sāth us ġhār meṅ dafnānājo hittī ādmī ifron ke khet meṅ hai.30yānī us ġhār meṅ jo mulk-e-kan’ānmeṅ mamre ke mashriq meṅ makfīlāke khet meṅ hai. ibrāhīm ne use khet

samet apne logoṅ ko dafnāne ke lieifron hittī se ḳharīd liyā thā. 31wahāṅibrāhīm aur us kī bīwī sārā dafnāegae. wahāṅ is’hāq aur us kī bīwī ribqādafnāe gae aur wahāṅ maiṅ ne liyāhko dafn kiyā. 32wuh khet aur us kāġhār hittiyoṅ se ḳharīdā gayā thā.”

33in hidāyāt ke bād yāqūb ne apnepāoṅ bistar par sameṭ lie aur damchhoṛ kar apne bāpdādā se jā milā.

yāqūb ko dafn kiyā jātā hai

50 yūsuf apne bāp ke chehre selipaṭ gayā. us ne rote hue

use bosā diyā. 2us ke mulāzimoṅ meṅse kuchh ḍākṭar the. us ne unheṅhidāyat dī ki mere bāp isrāīl kī lāshko hanūt kareṅ tāki wuh gal na jāe.unhoṅ ne aisā hī kiyā. 3is meṅ 40 dinlag gae. ām taur par hanūt karne kelie itne hī din lagte haiṅ. misriyoṅ ne70 din tak yāqūb kā mātam kiyā.

4jab mātam kā waqt ḳhatm huā toyūsuf ne bādshāh ke darbāriyoṅ sekahā, “mehrbānī karke yih ḳhabarbādshāh tak pahuṅchā deṅ 5ki merebāp ne mujhe qasam dilā kar kahāthā, ‘maiṅ marne wālā hūṅ. mujheus qabr meṅ dafn karnā jo maiṅ nemulk-e-kan’ān meṅ apne lie banwāī.’ab mujhe ijāzat deṅ ki maiṅ wahāṅjāūṅ aur apne bāp ko dafn karkewāpas āūṅ.” 6fir’aun ne jawāb diyā,“jā, apne bāp ko dafn kar jis tarah usne tujhe qasam dilāī thī.”

Page 91: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

paidāish 50:7 91

7chunāṅche yūsuf apne bāp kodafnāne ke lie kan’ān rawānā huā.bādshāh ke tamām mulāzim, mahalke buzurg aur pūre misr ke buzurgus ke sāth the. 8yūsuf ke gharāne keafrād, us ke bhāī aur us ke bāp kegharāne ke log bhī sāth gae. sirf unke bachche, un kī bheṛ-bakriyāṅ aurgāy-bail jushan meṅ rahe. 9rath aurghuṛsawār bhī sāth gae. sab mil karbaṛā lashkar ban gae.

10jab wuh yardan ke qarīb atad kekhaliyān par pahuṅche to unhoṅ nenihāyat dilsoz nohā kiyā. wahāṅyūsuf ne sāt din tak apne bāpkā mātam kiyā. 11jab maqāmīkan’āniyoṅ ne atad ke khaliyān parmātam kā yih nazārā dekhā to unhoṅne kahā, “yih to mātam kā bahut baṛāintizām hai jo misrī karwā rahe haiṅ.”is lie us jagah kā nām abīl-misrīmyānī ‘misriyoṅ kā mātam’ paṛ gayā.12yūṅ yāqūb ke beṭoṅ ne apne bāpkā hukm pūrā kiyā. 13unhoṅ ne usemulk-e-kan’ān meṅ le jā kar makfīlāke khet ke ġhār meṅ dafn kiyā jomamre ke mashriq meṅ hai. yih wuhīkhet hai jo ibrāhīm ne ifron hittī seapne logoṅ ko dafnāne ke lie ḳharīdāthā.

14is ke bād yūsuf, us ke bhāī aurbāqī tamām log jo janāze ke lie sāthgae the misr ko lauṭ āe.

yūsuf apne bhāiyoṅ ko tasallī detā hai15jab yāqūb intiqāl kar gayā to

yūsuf ke bhāī ḍar gae. unhoṅ nekahā, “ḳhatrā hai ki ab yūsuf hamārātāqqub karke us ġhalat kām kā badlāle jo ham ne us ke sāth kiyā thā. phirkyā hogā?” 16yih soch kar unhoṅ neyūsuf ko ḳhabar bhejī, “āp ke bāp nemarne se peshtar hidāyat dī 17ki yūsufko batānā, ‘apne bhāiyoṅ ke us ġhalatkām ko muāf kar denā jo unhoṅ netumhāre sāth kiyā.’ ab hameṅ jo āp kebāp ke ḳhudā ke pairokār haiṅ muāfkar deṅ.”

yih ḳhabar sun kar yūsuf ro paṛā.18phir us ke bhāī ḳhud āe aur uske sāmne gir gae. unhoṅ ne kahā,“ham āp ke ḳhādim haiṅ.” 19lekinyūsuf ne kahā, “mat ḍaro. kyā maiṅallāh kī jagah hūṅ? hargiz nahīṅ!20tum ne mujhe nuqsān pahuṅchānekā irādā kiyā thā, lekin allāh ne us sebhalāī paidā kī. aur ab is kā maqsadpūrā ho rahā hai. bahut se log mautse bach rahe haiṅ. 21chunāṅche abḍarne kī zarūrat nahīṅ hai. maiṅtumheṅ aur tumhāre bachchoṅ koḳhurāk muhayyā kartā rahūṅgā.”

yūṅ yūsuf ne unheṅ tasallī dī aurun se narmī se bāt kī.

yūsuf kā intiqāl22yūsuf apne bāp ke ḳhāndān samet

misr meṅ rahā. wuh 110 sāl zindārahā. 23maut se pahle us ne na sirf

Page 92: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

92 paidāish 50:26

ifrāīm ke bachchoṅ ko balki us kepotoṅ ko bhī dekhā. manassī ke beṭemakīr ke bachche bhī us kī maujūdagīmeṅ paidā ho kar us kī god meṅ rakhegae.a

24phir ek waqt āyā ki yūsuf ne apnebhāiyoṅ se kahā, “maiṅ marne wālāhūṅ. lekin allāh zarūr āp kī dekh-bhālkarke āp ko is mulk se us mulk meṅ lejāegā jis kā us ne ibrāhīm, is’hāq aur

yāqūb se qasam khā kar wādā kiyāhai.” 25phir yūsuf ne isrāīliyoṅ koqasam dilā kar kahā, “allāh yaqīnantumhārī dekh-bhāl karke wahāṅ lejāegā. us waqt merī haḍḍiyoṅ ko bhīuṭhā kar sāth le jānā.”

26phir yūsuf faut ho gayā. wuh 110sāl kā thā. use hanūt karke misr meṅek tābūt meṅ rakhā gayā.

aġhāliban is kā matlab yih hai ki us ne unheṅlepālak banāyā.

Page 93: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj

yāqūb kā ḳhāndān misr meṅ

1 zail meṅ un beṭoṅ ke nāmhaiṅ jo apne bāp yāqūb aur

apne ḳhāndānoṅ samet misr meṅ āethe: 2rūbin, shamāūn, lāwī, yahūdāh,3ishkār, zabūlūn, binyamīn, 4dān,naftālī, jad aur āshar. 5us waqt yāqūbkī aulād kī tādād 70 thī. yūsuf topahle hī misr ā chukā thā.

6misr meṅ rahte hue bahut dinguzar gae. itne meṅ yūsuf, us ketamām bhāī aur us nasl ke tamāmlog mar gae. 7isrāīlī phale phūle aurtādād meṅ bahut baṛh gae. natījemeṅ wuh nihāyat hī tāqatwar ho gae.pūrā mulk un se bhar gayā.

isrāīliyoṅ ko dabāyā jātā hai8hote hote ek nayā bādshāh

taḳhtnashīn huā jo yūsuf se nāwāqifthā. 9us ne apne logoṅ se kahā,“isrāīliyoṅ ko dekho. wuh tādād aurtāqat meṅ ham se baṛh gae haiṅ. 10āo,ham hikmat se kām leṅ, warnā wuh

mazīd baṛh jāeṅge. aisā na ho ki wuhkisī jang ke mauqe par dushman kāsāth de kar ham se laṛeṅ aur mulk kochhoṛ jāeṅ.”

11chunāṅche misriyoṅ ne isrāīliyoṅpar nigarān muqarrar kie tāki begārmeṅ un se kām karwā kar unheṅdabāte raheṅ. us waqt unhoṅ nepitom aur rāmsīs ke shahr tāmīr kie.in shahroṅ meṅ fir’aun bādshāh kebaṛe baṛe godām the. 12lekin jitnāisrāīliyoṅ ko dabāyā gayā utnā hīwuh tādād meṅ baṛhte aur phailtegae. āḳhirkār misrī un se dahshatkhāne lage, 13aur wuh baṛī berahmī seun se kām karwāte rahe. 14isrāīliyoṅkā guzārā nihāyat mushkil ho gayā.unheṅ gārā tayyār karke īṅṭeṅbanānā aur khetoṅ meṅ muḳhtalifqism ke kām karnā paṛe. is meṅ misrīun se baṛī berahmī se pesh āte rahe.

Page 94: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

94 ḳhurūj 2:10

dāiyāṅ allāh kī rāh par chaltī haiṅ15isrāīliyoṅ kī do dāiyāṅ thīṅ jin

ke nām sifrā aur fūā the. misr kebādshāh ne un se kahā, 16“jab ibrānīaurateṅ tumheṅ madad ke lie bulāeṅto ḳhabardār raho. agar laṛkā paidāho to use jān se mār do, agar laṛkī hoto use jītā chhoṛ do.” 17lekin dāiyāṅallāh kā ḳhauf māntī thīṅ. unhoṅ nemisr ke bādshāh kā hukm na mānābalki laṛkoṅ ko bhī jīne diyā.

18tab misr ke bādshāh ne unheṅdubārā bulā kar pūchhā, “tum ne yihkyūṅ kiyā? tum laṛkoṅ ko kyūṅ jītāchhoṛ detī ho?” 19unhoṅ ne jawābdiyā, “ibrānī aurateṅ misrī auratoṅ sezyādā mazbūt haiṅ. bachche hamārepahuṅchne se pahle hī paidā ho jātehaiṅ.”

20chunāṅche allāh ne dāiyoṅ kobarkat dī, aur isrāīlī qaum tādād meṅbaṛh kar bahut tāqatwar ho gaī. 21aurchūṅki dāiyāṅ allāh kā ḳhauf māntīthīṅ is lie us ne unheṅ aulād de karun ke ḳhāndānoṅ ko qāim rakhā.

22āḳhirkār bādshāh ne apne tamāmhamwatanoṅ se bāt kī, “jab bhīibrāniyoṅ ke laṛke paidā hoṅ tounheṅ daryā-e-nīl meṅ phaiṅk denā.sirf laṛkiyoṅ ko zindā rahne do.”

mūsā kī paidāish aur bachāo

2 un dinoṅ meṅ lāwī ke ek ādmīne apne hī qabīle kī ek aurat

se shādī kī. 2aurat hāmilā huī aur

bachchā paidā huā. māṅ ne dekhā kilaṛkā ḳhūbsūrat hai, is lie us ne usetīn māh tak chhupāe rakhā. 3jab wuhuse aur zyādā na chhupā sakī to usne ābī narsal se ṭokrī banā kar us partārkol chaṛhāyā. phir us ne bachcheko ṭokrī meṅ rakh kar ṭokrī ko daryā-e-nīl ke kināre par uge hue sarkanḍoṅmeṅ rakh diyā. 4bachche kī bahankuchh fāsile par khaṛī deḳhtī rahī kius kā kyā banegā.

5us waqt fir’aun kī beṭī nahāne kelie daryā par āī. us kī naukarāniyāṅdaryā ke kināre ṭahalne lagīṅ. tabus ne sarkanḍoṅ meṅ ṭokrī dekhī aurapnī launḍī ko use lāne bhejā. 6usekholā to chhoṭā laṛkā dikhāī diyā joro rahā thā. fir’aun kī beṭī ko us partars āyā. us ne kahā, “yih koī ibrānībachchā hai.”

7ab bachche kī bahan fir’aun kī beṭīke pās gaī aur pūchhā, “kyā maiṅbachche ko dūdh pilāne ke lie koīibrānī aurat ḍhūnḍ lāūṅ?” 8fir’aun kībeṭī ne kahā, “hāṅ, jāo.” laṛkī chalīgaī aur bachche kī sagī māṅ ko le karwāpas āī. 9fir’aun kī beṭī ne māṅ sekahā, “bachche ko le jāo aur use merelie dūdh pilāyā karo. maiṅ tumheṅis kā muāwazā dūṅgī.” chunāṅchebachche kī māṅ ne use dūdh pilāneke lie le liyā.

10jab bachchā baṛā huā to us kī māṅuse fir’aun kī beṭī ke pās le gaī, aurwuh us kā beṭā ban gayā. fir’aun kī

Page 95: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 2:11 95

beṭī ne us kā nām mūsā yānī ‘nikālāgayā’ rakh kar kahā, “maiṅ use pānīse nikāl lāī hūṅ.”

mūsā farār hotā hai11jab mūsā jawān huā to ek din wuh

ghar se nikal kar apne logoṅ ke pāsgayā jo jabrī kām meṅ masrūf the.mūsā ne dekhā ki ek misrī mere ekibrānī bhāī ko mār rahā hai. 12mūsāne chāroṅ taraf nazar dauṛāī. jabmālūm huā ki koī nahīṅ dekh rahā tous ne misrī ko jān se mār diyā aur useret meṅ chhupā diyā.

13agle din bhī mūsā ghar se niklā. isdafā do ibrānī mard āpas meṅ laṛ rahethe. jo ġhaltī par thā us se mūsā nepūchhā, “tum apne bhāī ko kyūṅ mārrahe ho?” 14ādmī ne jawāb diyā, “kisne āp ko ham par hukmrān aur qāzīmuqarrar kiyā hai? kyā āp mujhe bhīqatl karnā chāhte haiṅ jis tarah misrīko mār ḍālā thā?” tab mūsā ḍar gayā.us ne sochā, “hāy, merā bhed khulgayā hai!”

15bādshāh ko bhī patā lagā to usne mūsā ko marwāne kī koshish kī.lekin mūsā midiyān ke mulk ko bhāggayā. wahāṅ wuh ek kueṅ ke pāsbaiṭh gayā. 16midiyān meṅ ek imāmthā jis kī sāt beṭiyāṅ thīṅ. yihlaṛkiyāṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ko pānīpilāne ke lie kueṅ par āīṅ aur pānīnikāl kar hauz bharne lagīṅ. 17lekinkuchh charwāhoṅ ne ā kar unheṅ

bhagā diyā. yih dekh kar mūsā uṭhāaur laṛkiyoṅ ko charwāhoṅ se bachākar un ke rewaṛ ko pānī pilāyā.

18jab laṛkiyāṅ apne bāp raūel kepās wāpas āīṅ to bāp ne pūchhā, “ājtum itnī jaldī se kyūṅ wāpas ā gaīho?” 19laṛkiyoṅ ne jawāb diyā, “ekmisrī ādmī ne hameṅ charwāhoṅ sebachāyā. na sirf yih balki us nehamāre lie pānī bhī nikāl kar rewaṛko pilā diyā.” 20raūel ne kahā, “wuhādmī kahāṅ hai? tum use kyūṅ chhoṛkar āī ho? use bulāo tāki wuh hamāresāth khānā khāe.”

21mūsā raūel ke ghar meṅ ṭhaharneke lie rāzī ho gayā. bād meṅ uskī shādī raūel kī beṭī saffūrā se huī.22saffūrā ke beṭā paidā huā to mūsā nekahā, “is kā nām jairsom yānī ‘ajnabīmulk meṅ pardesī’ ho, kyūṅki maiṅajnabī mulk meṅ pardesī hūṅ.”

23kāfī arsā guzar gayā. itne meṅmisr kā bādshāh intiqāl kar gayā.isrāīlī apnī ġhulāmī tale karāhte aurmadad ke lie pukārte rahe, aur unkī chīḳheṅ allāh tak pahuṅch gaīṅ.24allāh ne un kī āheṅ sunīṅ aur us ahdko yād kiyā jo us ne ibrāhīm, is’hāqaur yāqūb se bāndhā thā. 25allāhisrāīliyoṅ kī hālat dekh kar un kāḳhayāl karne lagā.

jaltī huī jhāṛī

3 mūsā apne susar yitro kī bheṛ-bakriyoṅ kī nigahbānī kartā thā

Page 96: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

96 ḳhurūj 3:16

(midiyān kā imām raūel yitro bhīkahlātā thā). ek din mūsā rewaṛ koregistān kī parlī jānib le gayā aurchalte chalte allāh ke pahāṛ horibyānī sīnā tak pahuṅch gayā. 2wahāṅrab kā farishtā āg ke shole meṅ uspar zāhir huā. yih sholā ek jhāṛī meṅbhaṛak rahā thā. mūsā ne dekhā kijhāṛī jal rahī hai lekin bhasm nahīṅho rahī. 3mūsā ne sochā, “yih to ajībbāt hai. kyā wajah hai ki jaltī huījhāṛī bhasm nahīṅ ho rahī? maiṅ zarāwahāṅ jā kar yih hairatangez manzardekhūṅ.”

4jab rab ne dekhā ki mūsā jhāṛī kodeḳhne ā rahā hai to us ne use jhāṛīmeṅ se pukārā, “mūsā, mūsā!” mūsāne kahā, “jī, maiṅ hāzir hūṅ.” 5rab nekahā, “is se zyādā qarīb na ānā. apnījūtiyāṅ utār, kyūṅki tū muqaddaszamīn par khaṛā hai. 6maiṅ terebāp kā ḳhudā, ibrāhīm kā ḳhudā,is’hāq kā ḳhudā aur yāqūb kā ḳhudāhūṅ.” yih sun kar mūsā ne apnāmuṅh ḍhāṅk liyā, kyūṅki wuh allāhko deḳhne se ḍarā.

7rab ne kahā, “maiṅ ne misr meṅapnī qaum kī burī hālat dekhī aurġhulāmī meṅ un kī chīḳheṅ sunī haiṅ,aur maiṅ un ke dukhoṅ ko ḳhūbjāntā hūṅ. 8ab maiṅ unheṅ misriyoṅke qābū se bachāne ke lie utar āyāhūṅ. maiṅ unheṅ misr se nikāl kar ekachchhe wasī mulk meṅ le jāūṅgā, ekaise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahd

kī kasrat hai, go is waqt kan’ānī,hittī, amorī, farizzī, hiwwī aur yabūsīus meṅ rahte haiṅ. 9isrāīliyoṅ kīchīḳheṅ mujh tak pahuṅchī haiṅ.maiṅ ne dekhā hai ki misrī un parkis tarah kā zulm ḍhā rahe haiṅ.10chunāṅche ab jā. maiṅ tujhe fir’aunke pās bhejtā hūṅ, kyūṅki tujhe merīqaum isrāīl ko misr se nikāl kar lānāhai.”

11lekin mūsā ne allāh se kahā,“maiṅ kaun hūṅ ki fir’aun ke pās jākar isrāīliyoṅ ko misr se nikāl lāūṅ?”12allāh ne kahā, “maiṅ to tere sāthhūṅgā. aur is kā sabūt ki maiṅ tujhebhej rahā hūṅ yih hogā ki logoṅ kemisr se nikalne ke bād tum yahāṅ ākar is pahāṛ par merī ibādat karoge.”

13lekin mūsā ne etirāz kiyā, “agarmaiṅ isrāīliyoṅ ke pās jā kar unheṅbatāūṅ ki tumhāre bāpdādā ke ḳhudāne mujhe tumhāre pās bhejā hai towuh pūchheṅge, ‘us kā nām kyā hai?’phir maiṅ un ko kyā jawāb dūṅ?”

14allāh ne kahā, “maiṅ jo hūṅ somaiṅ hūṅ. un se kahnā, ‘maiṅ hūṅ nemujhe tumhāre pās bhejā hai. 15rab jotumhāre bāpdādā kā ḳhudā, ibrāhīmkā ḳhudā, is’hāq kā ḳhudā aur yāqūbkā ḳhudā hai usī ne mujhe tumhārepās bhejā hai.’ yih abad tak merā nāmrahegā. log yihī nām le kar mujhenasl-dar-nasl yād kareṅge.

16ab jā aur isrāīl ke buzurgoṅ kojamā karke un ko batā de ki rab

Page 97: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 3:17 97

tumhāre bāpdādā ibrāhīm, is’hāq auryāqūb kā ḳhudā mujh par zāhir huāhai. wuh farmātā hai, ‘maiṅ neḳhūb dekh liyā hai ki misr meṅtumhāre sāth kyā sulūk ho rahā hai.17is lie maiṅ ne faislā kiyā hai kitumheṅ misr kī musībat se nikālkar kan’āniyoṅ, hittiyoṅ, amoriyoṅ,farizziyoṅ, hiwwiyoṅ aur yabūsiyoṅke mulk meṅ le jāūṅ, aise mulk meṅjahāṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.’18buzurg terī suneṅge. phir un kesāth misr ke bādshāh ke pās jā karus se kahnā, ‘rab ibrāniyoṅ kā ḳhudāham par zāhir huā hai. is lie hameṅijāzat deṅ ki ham tīn din kā safarkarke registān meṅ rab apne ḳhudāke lie qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ.’

19lekin mujhe mālūm hai ki misrkā bādshāh sirf is sūrat meṅ tumheṅjāne degā ki koī zabardastī tumheṅle jāe. 20is lie maiṅ apnī qudratzāhir karke apne mojizoṅ kī mārifatmisriyoṅ ko mārūṅga. phir wuhtumheṅ jāne degā. 21us waqt maiṅmisriyoṅ ke diloṅ ko tumhāre lienarm kar dūṅgā. tumheṅ ḳhālīhāth nahīṅ jānā paṛegā. 22tamāmibrānī aurateṅ apnī misrī paṛosanoṅaur apne ghar meṅ rahne wālīmisrī auratoṅ se chāṅdī aur sone kezewarāt aur nafīs kapṛe māṅg kar

apne bachchoṅ ko pahnāeṅgī. yūṅmisriyoṅ ko lūṭ liyā jāegā.”

4 mūsā ne etirāz kiyā, “lekin isrāīlīna merī bāt kā yaqīn kareṅge, na

merī suneṅge. wuh to kaheṅge, ‘rabtum par zāhir nahīṅ huā’.” 2jawābmeṅ rab ne mūsā se kahā, “tū nehāth meṅ kyā pakaṛā huā hai?” mūsāne kahā, “lāṭhī.” 3rab ne kahā, “usezamīn par ḍāl de.” mūsā ne aisā kiyāto lāṭhī sāṅp ban gaī, aur mūsā ḍarkar bhāgā. 4rab ne kahā, “ab sāṅp kīdum ko pakaṛ le.” mūsā ne aisā kiyāto sāṅp phir lāṭhī ban gayā.

5rab ne kahā, “yih dekh kar logoṅko yaqīn āegā ki rab jo un ke bāpdādākā ḳhudā, ibrāhīm kā ḳhudā, is’hāqkā ḳhudā aur yāqūb kā ḳhudā hai tujhpar zāhir huā hai. 6ab apnā hāth apnelibās meṅ ḍāl de.” mūsā ne aisā kiyā.jab us ne apnā hāth nikālā to wuhbarf kī mānind safed ho gayā thā.koṛh jaisī bīmārī lag gaī thī. 7tab rabne kahā, “ab apnā hāth dubārā apnelibās meṅ ḍāl.” mūsā ne aisā kiyā. jabus ne apnā hāth dubārā nikālā to wuhphir sehhatmand thā.

8rab ne kahā, “agar logoṅ ko pahlāmojizā dekh kar yaqīn na āe aur wuhterī na suneṅ to shāyad unheṅ dūsrāmojizā dekh kar yaqīn āe. 9agarunheṅ phir bhī yaqīn na āe aur wuhterī na suneṅ to daryā-e-nīl se kuchhpānī nikāl kar use ḳhushk zamīn par

Page 98: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

98 ḳhurūj 4:24

unḍel de. yih pānī zamīn par girte hīḳhūn ban jāegā.”

10lekin mūsā ne kahā, “mere āqā,maiṅ māzarat chāhtā hūṅ, maiṅachchhī tarah bāt nahīṅ kar saktābalki maiṅ kabhī bhī yih liyāqatnahīṅ rakhtā thā. is waqt bhī jabmaiṅ tujh se bāt kar rahā hūṅ merīyihī hālat hai. maiṅ ruk ruk kar boltāhūṅ.” 11rab ne kahā, “kis ne insān kāmuṅh banāyā? kaun ek ko gūṅgā aurdūsre ko bahrā banā detā hai? kaunek ko deḳhne kī qābiliyat detā hai aurdūsre ko is se mahrūm rakhtā hai?kyā maiṅ jo rab hūṅ yih sab kuchhnahīṅ kartā? 12ab jā! tere bolte waqtmaiṅ ḳhud tere sāth hūṅgā aur tujhewuh kuchh sikhāūṅgā jo tujhe kahnāhai.”

13lekin mūsā ne iltijā kī, “mere āqā,mehrbānī karke kisī aur ko bhej de.”

14tab rab mūsā se saḳht ḳhafā huā.us ne kahā, “kyā terā lāwī bhāī hārūnaise kām ke lie hāzir nahīṅ hai? maiṅjāntā hūṅ ki wuh achchhī tarah bolsaktā hai. dekh, wuh tujh se milneke lie nikal chukā hai. tujhe dekhkar wuh nihāyat ḳhush hogā. 15usewuh kuchh batā jo use kahnā hai.tumhāre bolte waqt maiṅ tere aurus ke sāth hūṅgā aur tumheṅ wuhkuchh sikhāūṅgā jo tumheṅ karnāhogā. 16hārūn terī jagah qaum sebāt karegā jabki tū merī tarah usewuh kuchh batāegā jo use kahnā

hai. 17lekin yih lāṭhī bhī sāth le jānā,kyūṅki isī ke zarī’e tū yih mojizekaregā.”

mūsā misr ko lauṭ jātā hai18phir mūsā apne susar yitro ke

ghar wāpas chalā gayā. us nekahā, “mujhe zarā apne azīzoṅ kepās wāpas jāne deṅ jo misr meṅhaiṅ. maiṅ mālūm karnā chāhtāhūṅ ki wuh abhī tak zindā haiṅ kinahīṅ.” yitro ne jawāb diyā, “ṭhīkhai, salāmatī se jāeṅ.” 19mūsā abhīmidiyān meṅ thā ki rab ne us sekahā, “misr ko wāpas chalā jā, kyūṅkijo ādmī tujhe qatl karnā chāhte thewuh mar gae haiṅ.” 20chunāṅchemūsā apnī bīwī aur beṭoṅ ko gadhepar sawār karke misr ko lauṭne lagā.allāh kī lāṭhī us ke hāth meṅ thī.

21rab ne us se yih bhī kahā, “misrjā kar fir’aun ke sāmne wuh tamāmmojize dikhā jin kā maiṅ ne tujheiḳhtiyār diyā hai. lekin mere kahnepar wuh aṛā rahegā. wuh isrāīliyoṅko jāne kī ijāzat nahīṅ degā. 22uswaqt fir’aun ko batā denā, ‘rabfarmātā hai ki isrāīl merā pahlauṭhāhai. 23maiṅ tujhe batā chukā hūṅ kimere beṭe ko jāne de tāki wuh merīibādat kare. agar tū mere beṭe ko jānese manā kare to maiṅ tere pahlauṭheko jān se mār dūṅgā’.”

24ek din jab mūsā apne ḳhāndān kesāth rāste meṅ kisī sarāy meṅ ṭhahrā

Page 99: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 4:25 99

huā thā to rab ne us par hamlā karkeuse mār dene kī koshish kī. 25yihdekh kar saffūrā ne ek tez patthar seapne beṭe kā ḳhatnā kiyā aur kāṭehue hisse se mūsā ke pair chhue. usne kahā, “yaqīnan tum mere ḳhūnīdūlhā ho.” 26tab allāh ne mūsā kochhoṛ diyā. saffūrā ne use ḳhatne kebāis hī ‘ḳhūnī dūlhā’ kahā thā.

27rab ne hārūn se bhī bāt kī,“registān meṅ mūsā se milne jā.”hārūn chal paṛā aur allāh ke pahāṛke pās mūsā se milā. us ne use bosādiyā. 28mūsā ne hārūn ko sab kuchhsunā diyā jo rab ne use kahne ke liebhejā thā. us ne use un mojizoṅ kebāre meṅ bhī batāyā jo use dikhānethe.

29phir donoṅ mil kar misr gae.wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne isrāīlke tamām buzurgoṅ ko jamā kiyā.30hārūn ne unheṅ wuh tamām bāteṅsunāīṅ jo rab ne mūsā ko batāī thīṅ.us ne mazkūrā mojize bhī logoṅ kesāmne dikhāe. 31phir unheṅ yaqīnāyā. aur jab unhoṅ ne sunā ki rab kotumhārā ḳhayāl hai aur wuh tumhārīmusībat se āgāh hai to unhoṅ ne rabko sijdā kiyā.

mūsā aur hārūn fir’aun ke darbār meṅ

5 phir mūsā aur hārūn fir’aun kepās gae. unhoṅ ne kahā, “rab

isrāīl kā ḳhudā farmātā hai, ‘merīqaum ko registān meṅ jāne de tāki

wuh mere lie īd manāeṅ’.” 2fir’aun nejawāb diyā, “yih rab kaun hai? maiṅkyūṅ us kā hukm mān kar isrāīliyoṅko jāne dūṅ? na maiṅ rab ko jāntāhūṅ, na isrāīliyoṅ ko jāne dūṅgā.”

3hārūn aur mūsā ne kahā,“ibrāniyoṅ kā ḳhudā ham par zāhirhuā hai. is lie mehrbānī karke hameṅijāzat deṅ ki registān meṅ tīn din kāsafar karke rab apne ḳhudā ke huzūrqurbāniyāṅ pesh kareṅ. kahīṅ wuhhameṅ kisī bīmārī yā talwār se namāre.”

4lekin misr ke bādshāh ne inkārkiyā, “mūsā aur hārūn, tum logoṅ kokām se kyūṅ rok rahe ho? jāo, jokām ham ne tum ko diyā hai us parlag jāo! 5isrāīlī waise bhī tādād meṅbahut baṛh gae haiṅ, aur tum unheṅkām karne se rok rahe ho.”

jawāb meṅ fir’aun kā saḳht dabāo6usī din fir’aun ne misrī nigarānoṅ

aur un ke taht ke isrāīlī nigarānoṅ kohukm diyā, 7“ab se isrāīliyoṅ ko īṅṭeṅbanāne ke lie bhūsā mat denā, balkiwuh ḳhud jā kar bhūsā jamā kareṅ.8to bhī wuh utnī hī īṅṭeṅ banāeṅ jitnīpahle banāte the. wuh sust ho gaehaiṅ aur isī lie chīḳh rahe haiṅ kihameṅ jāne deṅ tāki apne ḳhudā koqurbāniyāṅ pesh kareṅ. 9un se aurzyādā saḳht kām karāo, unheṅ kāmmeṅ lagāe rakho. un ke pās itnā waqt

Page 100: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

100 ḳhurūj 6:3

hī na ho ki wuh jhūṭī bātoṅ par dhyāndeṅ.”

10misrī nigarān aur un ke taht keisrāīlī nigarānoṅ ne logoṅ ke pās jākar un se kahā, “fir’aun kā hukm haiki tumheṅ bhūsā na diyā jāe. 11is lieḳhud jāo aur bhūsā ḍhūnḍ kar jamākaro. lekin ḳhabardār! utnī hī īṅṭeṅbanāo jitnī pahle banāte the.”

12yih sun kar isrāīlī bhūsā jamākarne ke lie pūre mulk meṅ phail gae.13misrī nigarān yih kah kar un pardabāo ḍālte rahe ki utnī īṅṭeṅ banāojitnī pahle banāte the. 14jo isrāīlīnigarān unhoṅ ne muqarrar kie theunheṅ wuh pīṭte aur kahte rahe, “tumne kal aur āj utnī īṅṭeṅ kyūṅ nahīṅbanwāīṅ jitnī pahle banwāte the?”

15phir isrāīlī nigarān fir’aun ke pāsgae. unhoṅ ne shikāyat karke kahā,“āp apne ḳhādimoṅ ke sāth aisā sulūkkyūṅ kar rahe haiṅ? 16hameṅ bhūsānahīṅ diyā jā rahā aur sāth sāth yihkahā gayā hai ki utnī īṅṭeṅ banāo jitnīpahle banāte the. natīje meṅ hameṅmārā pīṭā bhī jā rahā hai hālāṅki aisākarne meṅ āp ke apne log ġhaltī parhaiṅ.”

17fir’aun ne jawāb diyā, “tum logsust ho, tum kām karnā nahīṅ chāhte.is lie tum yih jagah chhoṛnā aur rabko qurbāniyāṅ pesh karnā chāhte ho.18ab jāo, kām karo. tumheṅ bhūsānahīṅ diyā jāegā, lekin ḳhabardār!

utnī hī īṅṭeṅ banāo jitnī pahle banātethe.”

19jab isrāīlī nigarānoṅ ko batāyāgayā ki īṅṭoṅ kī matlūbā tādād kamna karo to wuh samajh gae ki hamphaṅs gae haiṅ. 20fir’aun ke mahalse nikal kar un kī mulāqāt mūsā aurhārūn se huī jo un ke intizār meṅthe. 21unhoṅ ne mūsā aur hārūn sekahā, “rab ḳhud āp kī adālat kare.kyūṅki āp ke sabab se fir’aun aur uske mulāzimoṅ ko ham se ghin ātīhai. āp ne unheṅ hameṅ mār dene kāmauqā de diyā hai.”

mūsā kī shikāyat aur rab kā jawāb22yih sun kar mūsā rab ke pās

wāpas āyā aur kahā, “ai āqā, tū ne isqaum se aisā burā sulūk kyūṅ kiyā?kyā tū ne isī maqsad se mujhe yahāṅbhejā hai? 23jab se maiṅ ne fir’aun kepās jā kar use terī marzī batāī hai wuhisrāīlī qaum se burā sulūk kar rahāhai. aur tū ne ab tak unheṅ bachānekā koī qadam nahīṅ uṭhāyā.”

6 rab ne jawāb diyā, “ab tūdekhegā ki maiṅ fir’aun ke sāth

kyā kuchh kartā hūṅ. merī azīmqudrat kā tajribā karke wuh merelogoṅ ko jāne degā balki unheṅ jānepar majbūr karegā.”

2allāh ne mūsā se yih bhī kahā,“maiṅ rab hūṅ. 3maiṅ ibrāhīm, is’hāqaur yāqūb par zāhir huā. wuh mere

Page 101: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 6:4 101

nām allāh qādir-e-mutlaqa se wāqifhue, lekin maiṅ ne un par apne nāmrabibrānī meṅ yahwe. kā inkishāfnahīṅ kiyā. 4maiṅ ne un se ahd karkewādā kiyā ki unheṅ mulk-e-kan’āndūṅgā jis meṅ wuh ajnabī ke taur parrahte the. 5ab maiṅ ne sunā hai kiisrāīlī kis tarah misriyoṅ kī ġhulāmīmeṅ karāh rahe haiṅ, aur maiṅ neapnā ahd yād kiyā hai. 6chunāṅcheisrāīliyoṅ ko batānā, ‘maiṅ rab hūṅ.maiṅ tumheṅ misriyoṅ ke jūe seāzād karūṅga aur un kī ġhulāmī sebachāūṅgā. maiṅ baṛī qudrat ke sāthtumheṅ chhuṛāūṅgā aur un kī adālatkarūṅga. 7maiṅ tumheṅ apnī qaumbanāūṅgā aur tumhārā ḳhudā hūṅgā.tab tum jān loge ki maiṅ rab tumhārāḳhudā hūṅ jis ne tumheṅ misriyoṅke jūe se āzād kar diyā hai. 8maiṅtumheṅ us mulk meṅ le jāūṅgā jiskā wādā maiṅ ne qasam khā karibrāhīm, is’hāq aur yāqūb se kiyāhai. wuh mulk tumhārī apnī milkiyathogā. maiṅ rab hūṅ’.”

9mūsā ne yih sab kuchh isrāīliyoṅko batā diyā, lekin unhoṅ ne us kī bātna mānī, kyūṅki wuh saḳht kām kebāis himmat hār gae the. 10tab rab nemūsā se kahā, 11“jā, misr ke bādshāhfir’aun ko batā denā ki isrāīliyoṅ koapne mulk se jāne de.” 12lekin mūsāne etirāz kiyā, “isrāīlī merī bāt sunanā

nahīṅ chāhte to fir’aun kyūṅ merī bātmāne jabki maiṅ ruk ruk kar boltāhūṅ?”

13lekin rab ne mūsā aur hārūnko hukm diyā, “isrāīliyoṅ aur misrke bādshāh fir’aun se bāt karkeisrāīliyoṅ ko misr se nikālo.”

mūsā aur hārūn ke ābā-o-ajdād14isrāīl ke ābāī gharānoṅ ke

sarbarāh yih the: isrāīl ke pahlauṭherūbin ke chār beṭe hanūk, fallū,hasron aur karmī the. in se rūbinkī chār shāḳheṅ niklīṅ.

15shamāūn ke pāṅch beṭe yamūel,yamīn, uhad, yakīn, suhar aur sāūlthe. (sāūl kan’ānī aurat kā bachchāthā). in se shamāūn kī pāṅch shāḳheṅniklīṅ.

16lāwī ke tīn beṭe jairson, qihāt aurmirārī the. (lāwī 137 sāl kī umr meṅfaut huā).

17jairson ke do beṭe libnī aur simaīthe. in se jairson kī do shāḳheṅniklīṅ. 18qihāt ke chār beṭe amrām,izhār, habrūn aur uzzī’el the. (qihāt133 sāl kī umr meṅ faut huā). 19mirārīke do beṭe mahlī aur mūshī the. in sabse lāwī kī muḳhtalif shāḳheṅ niklīṅ.

20amrām ne apnī phūphī yūkabid seshādī kī. un ke do beṭe hārūn aurmūsā paidā hue. (amrām 137 sāl kīumr meṅ faut huā). 21izhār ke tīn beṭe

aibrānī meṅ el-shadaī.

Page 102: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

102 ḳhurūj 7:12

qorah, nafaj aur zikrī the. 22uzzī’el ketīn beṭe mīsāel, ilsafan aur sitrī the.

23hārūn ne ilīsibā se shādī kī.(ilīsibā ammīnadāb kī beṭī aur nahsonkī bahan thī). un ke chār beṭe nadab,abīhū, ilīazar aur itamar the. 24qorahke tīn beṭe assīr, ilqānā aur abiyāsafthe. un se qorahiyoṅ kī tīn shāḳheṅniklīṅ. 25hārūn ke beṭe ilīazar nefūtī’el kī ek beṭī se shādī kī. un kā ekbeṭā fīnhās thā.

yih sab lāwī ke ābāī gharānoṅ kesarbarāh the.

26rab ne amrām ke do beṭoṅ hārūnaur mūsā ko hukm diyā ki merī qaumko us ke ḳhāndānoṅ kī tartīb kemutābiq misr se nikālo. 27in hī doādmiyoṅ ne misr ke bādshāh fir’aunse bāt kī ki isrāīliyoṅ ko misr se jānede.

rab dubārā mūsā se ham-

kalām hotā hai28misr meṅ rab ne mūsā se kahā,

29“maiṅ rab hūṅ. misr ke bādshāhko wuh sab kuchh batā denā jo maiṅtujhe batātā hūṅ.” 30mūsā ne etirāzkiyā, “maiṅ to ruk ruk kar boltā hūṅ.fir’aun kis tarah merī bāt mānegā.”

7 lekin rab ne kahā, “dekh, merekahne par tū fir’aun ke lie allāh

kī haisiyat rakhegā aur terā bhāīhārūn terā paiġhambar hogā. 2jo bhīhukm maiṅ tujhe dūṅgā use tū hārūnko batā de. phir wuh sab kuchh

fir’aun ko batāe tāki wuh isrāīliyoṅko apne mulk se jāne de. 3lekin maiṅfir’aun ko aṛ jāne dūṅgā. agarchemaiṅ misr meṅ bahut se nishānoṅ aurmojizoṅ se apnī qudrat kā muzāharākarūṅga 4to bhī fir’aun tumhārī nahīṅsunegā. tab misriyoṅ par merā hāthbhārī ho jāegā, aur maiṅ un kosaḳht sazā de kar apnī qaum isrāīlko ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiqmisr se nikāl lāūṅgā. 5jab maiṅ misrke ḳhilāf apnī qudrat kā izhār karkeisrāīliyoṅ ko wahāṅ se nikālūṅgā tomisrī jān leṅge ki maiṅ rab hūṅ.”

6mūsā aur hārūn ne sab kuchhwaisā hī kiyā jaisā rab ne unheṅhukm diyā. 7fir’aun se bāt karte waqtmūsā 80 sāl kā aur hārūn 83 sāl kā thā.

mūsā kī lāṭhī sāṅp ban jātī hai8rab ne mūsā aur hārūn se kahā,

9“jab fir’aun tumheṅ mojizā dikhāneko kahegā to mūsā hārūn se kahe kiapnī lāṭhī zamīn par ḍāl de. is parwuh sāṅp ban jāegī.”

10mūsā aur hārūn ne fir’aun ke pāsjā kar aisā hī kiyā. hārūn ne apnī lāṭhīfir’aun aur us ke uhdedāroṅ ke sāmneḍāl dī to wuh sāṅp ban gaī. 11yihdekh kar fir’aun ne apne ālimoṅ aurjādūgaroṅ ko bulāyā. jādūgaroṅ nebhī apne jādū se aisā hī kiyā. 12harek ne apnī lāṭhī zamīn par phaiṅkīto wuh sāṅp ban gaī. lekin hārūn kīlāṭhī ne un kī lāṭhiyoṅ ko nigal liyā.

Page 103: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 7:13 103

13tāham fir’aun is se muta’assir nahuā. us ne mūsā aur hārūn kī bātsunane se inkār kiyā. waisā hī huājaisā rab ne kahā thā.

pānī ḳhūn meṅ badal jātā hai14phir rab ne mūsā se kahā, “fir’aun

aṛ gayā hai. wuh merī qaum komisr chhoṛne se roktā hai. 15kalsubhsawere jab wuh daryā-e-nīl parāegā to us se milne ke lie daryā kekināre par khaṛe ho jānā. us lāṭhīko thāme rakhnā jo sāṅp ban gaīthī. 16jab wuh wahāṅ pahuṅche tous se kahnā, ‘rab ibrāniyoṅ ke ḳhudāne mujhe āp ko yih batāne ke liebhejā hai ki merī qaum ko merī ibādatkarne ke lie registān meṅ jāne de.lekin āp ne abhī tak us kī nahīṅsunī. 17chunāṅche ab āp jān leṅgeki wuh rab hai. maiṅ is lāṭhī ko jomere hāth meṅ hai le kar daryā-e-nīl ke pānī ko mārūṅga. phir wuhḳhūn meṅ badal jāegā. 18daryā-e-nīlkī machhliyāṅ mar jāeṅgī, daryā sebadbū uṭhegī aur misrī daryā kā pānīnahīṅ pī sakeṅge’.”

19rab ne mūsā se kahā, “hārūn kobatā denā ki wuh apnī lāṭhī le karapnā hāth un tamām jaghoṅ kī tarafbaṛhāe jahāṅ pānī jamā hotā hai.tab misr kī tamām nadiyoṅ, nahroṅ,johaṛoṅ aur tālāboṅ kā pānī ḳhūnmeṅ badal jāegā. pūre mulk meṅḳhūn hī ḳhūn hogā, yahāṅ tak ki

lakaṛī aur patthar ke bartanoṅ kā pānībhī ḳhūn meṅ badal jāegā.”

20chunāṅche mūsā aur hārūn nefir’aun aur us ke uhdedāroṅ ke sāmneapnī lāṭhī uṭhā kar daryā-e-nīl kepānī par mārī. is par daryā kā sārāpānī ḳhūn meṅ badal gayā. 21daryākī machhliyāṅ mar gaīṅ, aur us se itnībadbū uṭhne lagī ki misrī us kā pānīna pī sake. misr meṅ chāroṅ tarafḳhūn hī ḳhūn thā.

22lekin jādūgaroṅ ne bhī apne jādūke zarī’e aisā hī kiyā. is lie fir’aun aṛgayā aur mūsā aur hārūn kī bāt namānī. waisā hī huā jaisā rab ne kahāthā. 23fir’aun palaṭ kar apne gharwāpas chalā gayā. use us kī parwānahīṅ thī jo mūsā aur hārūn ne kiyāthā. 24lekin misrī daryā se pānī na pīsake, aur unhoṅ ne pīne kā pānī hāsilkarne ke lie daryā ke kināre kināregaṛhe khode. 25pānī ke badal jāne kebād sāt din guzar gae.

meṅḍak

8 phir rab ne mūsā se kahā,“fir’aun ke pās jā kar use

batā denā ki rab farmātā hai, ‘merīqaum ko merī ibādat karne ke liejāne de, 2warnā maiṅ pūre misr komeṅḍakoṅ se sazā dūṅgā. 3daryā-e-nīl meṅḍakoṅ se itnā bhar jāegāki wuh daryā se nikal kar teremahal, tere sone ke kamre aur terebistar meṅ jā ghuseṅge. wuh tere

Page 104: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

104 ḳhurūj 8:19

uhdedāroṅ aur terī riāyā ke gharoṅmeṅ āeṅge balki tere tanūroṅ aurāṭā gūṅdhne ke bartanoṅ meṅ bhīphudakte phireṅge. 4meṅḍak tujhpar, terī qaum par aur tere uhdedāroṅpar chaṛh jāeṅge’.”

5rab ne mūsā se kahā, “hārūn kobatā denā ki wuh apnī lāṭhī ko hāthmeṅ le kar use daryāoṅ, nahroṅ aurjohaṛoṅ ke ūpar uṭhāe tāki meṅḍakbāhar nikal kar misr ke mulk meṅphail jāeṅ.” 6hārūn ne mulk-e-misrke pānī ke ūpar apnī lāṭhī uṭhāī tomeṅḍakoṅ ke ġhol pānī se nikal karpūre mulk par chhā gae. 7lekinjādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā hīkiyā. wuh bhī daryā se meṅḍak nikāllāe.

8fir’aun ne mūsā aur hārūn ko bulākar kahā, “rab se duā karo ki wuhmujh se aur merī qaum se meṅḍakoṅko dūr kare. phir maiṅ tumhārīqaum ko jāne dūṅgā tāki wuh rab koqurbāniyāṅ pesh kareṅ.”

9mūsā ne jawāb diyā, “wuh waqtmuqarrar kareṅ jab maiṅ āp keuhdedāroṅ aur āp kī qaum ke lie duākarūṅ. phir jo meṅḍak āp ke pāsaur āp ke gharoṅ meṅ haiṅ usī waqtḳhatm ho jāeṅge. meṅḍak sirf daryāmeṅ pāe jāeṅge.”

10fir’aun ne kahā, “ṭhīk hai, kalunheṅ ḳhatm karo.” mūsā ne kahā,“jaisā āp kahte haiṅ waisā hī hogā. istarah āp ko mālūm hogā ki hamāre

ḳhudā kī mānind koī nahīṅ hai.11meṅḍak āp, āp ke gharoṅ, āp keuhdedāroṅ aur āp kī qaum ko chhoṛkar sirf daryā meṅ rah jāeṅge.”

12mūsā aur hārūn fir’aun ke pās sechale gae. aur mūsā ne rab se minnatkī ki wuh meṅḍakoṅ ke wuh ġhol dūrkare jo us ne fir’aun ke ḳhilāf bhejethe. 13rab ne us kī duā sunī. gharoṅ,sahnoṅ aur khetoṅ meṅ meṅḍak margae. 14logoṅ ne unheṅ jamā karke unke ḍher lagā die. un kī badbū pūremulk meṅ phail gaī.

15lekin jab fir’aun ne dekhā kimaslā hal ho gayā hai to wuh phirakaṛ gayā aur un kī na sunī. yūṅ rabkī bāt durust niklī.

jūeṅ16phir rab ne mūsā se kahā, “hārūn

se kahnā ki wuh apnī lāṭhī se zamīnkī gard ko māre. jab wuh aisā karegāto pūre misr kī gard jū’oṅ meṅ badaljāegī.”

17unhoṅ ne aisā hī kiyā. hārūnne apnī lāṭhī se zamīn kī gard komārā to pūre mulk kī gard jū’oṅ meṅbadal gaī. un ke ġhol jānwaroṅ aurādmiyoṅ par chhā gae. 18jādūgaroṅne bhī apne jādū se aisā karne kīkoshish kī, lekin wuh gard se jūeṅna banā sake. jūeṅ ādmiyoṅ aurjānwaroṅ par chhā gaīṅ. 19jādūgaroṅne fir’aun se kahā, “allāh kī qudrat ne

Page 105: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 8:20 105

yih kiyā hai.” lekin fir’aun ne un kīna sunī. yūṅ rab kī bāt durust niklī.

kāṭne wālī makkhiyāṅ20phir rab ne mūsā se kahā, “jab

fir’aun subhsawere daryā par jāe totū us ke rāste meṅ khaṛā ho jānā.use kahnā ki rab farmātā hai, ‘merīqaum ko jāne de tāki wuh merī ibādatkar sakeṅ. 21warnā maiṅ tere aurtere uhdedāroṅ ke pās, terī qaum kepās aur tere gharoṅ meṅ kāṭne wālīmakkhiyāṅ bhej dūṅgā. misriyoṅ keghar makkhiyoṅ se bhar jāeṅge balkijis zamīn par wuh khaṛe haiṅ wuh bhīmakkhiyoṅ se ḍhāṅkī jāegī. 22lekinus waqt maiṅ apnī qaum ke sāthjo jushan meṅ rahtī hai farq sulūkkarūṅga. wahāṅ ek bhī kāṭne wālīmakkhī nahīṅ hogī. is tarah tujhepatā lagegā ki is mulk meṅ maiṅ hīrab hūṅ. 23maiṅ apnī qaum aur terīqaum meṅ imtiyāz karūṅga. kal hīmerī qudrat kā izhār hogā’.”

24rab ne aisā hī kiyā. kāṭne wālīmakkhiyoṅ ke ġhol fir’aun ke mahal,us ke uhdedāroṅ ke gharoṅ aur pūremisr meṅ phail gae. mulk kā satyānāsho gayā.

25phir fir’aun ne mūsā aur hārūnko bulā kar kahā, “chalo, isī mulkmeṅ apne ḳhudā ko qurbāniyāṅ peshkaro.” 26lekin mūsā ne kahā, “yihmunāsib nahīṅ hai. jo qurbāniyāṅham rab apne ḳhudā ko pesh kareṅge

wuh misriyoṅ kī nazar meṅ ghinaunīhaiṅ. agar ham yahāṅ aisā kareṅto kyā wuh hameṅ sangsār nahīṅkareṅge? 27is lie lāzim hai ki hamtīn din kā safar karke registān meṅ hīrab apne ḳhudā ko qurbāniyāṅ peshkareṅ jis tarah us ne hameṅ hukm bhīdiyā hai.”

28fir’aun ne jawāb diyā, “ṭhīk hai,maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā tāki tumregistān meṅ rab apne ḳhudā koqurbāniyāṅ pesh karo. lekin tumheṅzyādā dūr nahīṅ jānā hai. aur merelie bhī duā karnā.”

29mūsā ne kahā, “ṭhīk, maiṅ jāte hīrab se duā karūṅga. kal hī makkhiyāṅfir’aun, us ke uhdedāroṅ aur us kīqaum se dūr ho jāeṅgī. lekin hameṅdubārā fareb na denā balki hameṅjāne denā tāki ham rab ko qurbāniyāṅpesh kar sakeṅ.”

30phir mūsā fir’aun ke pās se chalāgayā aur rab se duā kī. 31rab ne mūsākī duā sunī. kāṭne wālī makkhiyāṅfir’aun, us ke uhdedāroṅ aur us kīqaum se dūr ho gaīṅ. ek bhī makkhīna rahī. 32lekin fir’aun phir akaṛgayā. us ne isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.

maweshiyoṅ meṅ wabā

9 phir rab ne mūsā se kahā,“fir’aun ke pās jā kar use batā

ki rab ibrāniyoṅ kā ḳhudā farmātāhai, ‘merī qaum ko jāne de tāki wuhmerī ibādat kar sakeṅ.’ 2agar āp

Page 106: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

106 ḳhurūj 9:19

inkār kareṅ aur unheṅ rokte raheṅ3to rab apnī qudrat kā izhār karke āpke maweshiyoṅ meṅ bhayānak wabāphailā degā jo āp ke ghoṛoṅ, gadhoṅ,ūṅṭoṅ, gāy-bailoṅ, bheṛ-bakriyoṅ aurmenḍhoṅ meṅ phail jāegī. 4lekin rabisrāīl aur misr ke maweshiyoṅ meṅimtiyāz karegā. isrāīliyoṅ kā ek bhījānwar nahīṅ maregā. 5rab ne faislākar liyā hai ki wuh kal hī aisā karegā.”

6agle din rab ne aisā hī kiyā. misrke tamām maweshī mar gae. lekinisrāīliyoṅ kā ek bhī jānwar na marā.7fir’aun ne kuchh logoṅ ko un kepās bhej diyā to patā chalā ki ek bhījānwar nahīṅ marā. tāham fir’aun aṛārahā. us ne isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.

phoṛe-phuṅsiyāṅ8phir rab ne mūsā aur hārūn se

kahā, “apnī muṭṭhiyāṅ kisī bhaṭṭī kīrākh se bhar kar fir’aun ke pās jāo.phir mūsā fir’aun ke sāmne yih rākhhawā meṅ uṛā de. 9yih rākh bārīkdhūl kā bādal ban jāegī jo pūre mulkpar chhā jāegā. us ke asar se logoṅaur jānwaroṅ ke jismoṅ par phoṛe-phuṅsiyāṅ phūṭ nikleṅge.”

10mūsā aur hārūn ne aisā hī kiyā.wuh kisī bhaṭṭī se rākh le kar fir’aunke sāmne khaṛe ho gae. mūsā ne rākhko hawā meṅ uṛā diyā to insānoṅaur jānwaroṅ ke jismoṅ par phoṛe-phuṅsiyāṅ nikal āe. 11is martabājādūgar mūsā ke sāmne khaṛe bhī na

ho sake kyūṅki un ke jismoṅ par bhīphoṛe nikal āe the. tamām misriyoṅkā yihī hāl thā. 12lekin rab ne fir’aunko ziddī banāe rakhā, is lie us ne mūsāaur hārūn kī na sunī. yūṅ waisā hīhuā jaisā rab ne mūsā ko batāyā thā.

ole13is ke bād rab ne mūsā se kahā,

“subhsawere uṭh aur fir’aun kesāmne khaṛe ho kar use batā ki rabibrāniyoṅ kā ḳhudā farmātā hai,‘merī qaum ko jāne de tāki wuhmerī ibādat kar sakeṅ. 14warnā maiṅapnī tamām āfateṅ tujh par, tereuhdedāroṅ par aur terī qaum par ānedūṅgā. phir tū jān legā ki tamāmduniyā meṅ mujh jaisā koī nahīṅ hai.15agar maiṅ chāhtā to apnī qudratse aisī wabā phailā saktā ki tujhe aurterī qaum ko duniyā se miṭā diyā jātā.16lekin maiṅ ne tujhe is lie barpā kiyāhai ki tujh par apnī qudrat kā izhārkarūṅ aur yūṅ tamām duniyā meṅmere nām kā parchār kiyā jāe. 17tūabhī tak apne āp ko sarfarāz karkemerī qaum ke ḳhilāf hai aur unheṅjāne nahīṅ detā. 18is lie kal maiṅisī waqt bhayānak qism ke oloṅ kātūfān bhej dūṅgā. misrī qaum kīibtidā se le kar āj tak misr meṅ oloṅkā aisā tūfān kabhī nahīṅ āyā hogā.19apne bandoṅ ko abhī bhejnā tākiwuh tere maweshiyoṅ ko aur khetoṅmeṅ paṛe tere māl ko lā kar mahfūz

Page 107: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 9:20 107

kar leṅ. kyūṅki jo bhī khule maidānmeṅ rahegā wuh oloṅ se mar jāegā,ḳhwāh insān ho yā haiwān’.”

20fir’aun ke kuchh uhdedār rab kāpaiġhām sun kar ḍar gae aur bhāgkar apne jānwaroṅ aur ġhulāmoṅ kogharoṅ meṅ le āe. 21lekin dūsroṅ nerab ke paiġhām kī parwā na kī. unke jānwar aur ġhulām bāhar khulemaidān meṅ rahe.

22rab ne mūsā se kahā, “apnā hāthāsmān kī taraf baṛhā de. phir misrke tamām insānoṅ, jānwaroṅ aurkhetoṅ ke paudoṅ par ole paṛeṅge.”23mūsā ne apnī lāṭhī āsmān kī tarafuṭhāī to rab ne ek zabardast tūfānbhej diyā. ole paṛe, bijlī girī aur bādalgarajte rahe. 24ole paṛte rahe aurbijlī chamaktī rahī. misrī qaum kīibtidā se le kar ab tak aise ḳhatarnākole kabhī nahīṅ paṛe the. 25insānoṅse le kar haiwānoṅ tak khetoṅ meṅsab kuchh barbād ho gayā. oloṅne khetoṅ meṅ tamām paude aurdaraḳht bhī toṛ die. 26wuh sirf jushanke ilāqe meṅ na paṛe jahāṅ isrāīlīābād the.

27tab fir’aun ne mūsā aur hārūn kobulāyā. us ne kahā, “is martabā maiṅne gunāh kiyā hai. rab haq par hai.mujh se aur merī qaum se ġhaltī huīhai. 28ole aur allāh kī garajtī āwāzeṅhad se zyādā haiṅ. rab se duā karotāki ole ruk jāeṅ. ab maiṅ tumheṅ

jāne dūṅgā. ab se tumheṅ yahāṅrahnā nahīṅ paṛegā.”

29mūsā ne fir’aun se kahā, “maiṅshahr se nikal kar donoṅ hāth rabkī taraf uṭhā kar duā karūṅga. phirgaraj aur ole ruk jāeṅge aur āp jānleṅge ki pūrī duniyā rab kī hai.30lekin maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp keuhdedār abhī tak rab ḳhudā kā ḳhaufnahīṅ mānte.”

31us waqt san ke phūl nikal chukethe aur jau kī bāleṅ lag gaī thīṅ. islie yih fasleṅ tabāh ho gaīṅ. 32lekingehūṅ aur ek aur qism kī gandum jobād meṅ paktī hai barbād na huī.

33mūsā fir’aun ko chhoṛ kar shahrse niklā. us ne rab kī taraf apnehāth uṭhāe to garaj, ole aur bārishkā tūfān ruk gayā. 34jab fir’aun nedekhā ki tūfān ḳhatm ho gayā hai towuh aur us ke uhdedār dubārā gunāhkarke akaṛ gae. 35fir’aun aṛā rahā aurisrāīliyoṅ ko jāne na diyā. waisā hīhuā jaisā rab ne mūsā se kahā thā.

ṭiḍḍiyāṅ

10 phir rab ne mūsā se kahā,“fir’aun ke pās jā, kyūṅki

maiṅ ne us kā aur us ke darbāriyoṅkā dil saḳht kar diyā hai tāki unke darmiyān apne mojizoṅ aur apnīqudrat kā izhār kar sakūṅ 2aur tumapne beṭe-beṭiyoṅ aur pote-potiyoṅko sunā sako ki maiṅ ne misriyoṅke sāth kyā sulūk kiyā hai aur un ke

Page 108: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

108 ḳhurūj 10:16

darmiyān kis tarah ke mojize karkeapnī qudrat kā izhār kiyā hai. yūṅtum jān loge ki maiṅ rab hūṅ.”

3mūsā aur hārūn fir’aun ke pās gae.unhoṅ ne us se kahā, “rab ibrāniyoṅke ḳhudā kā farmān hai, ‘tū kab takmere sāmne hathiyār ḍālne se inkārkaregā? merī qaum ko merī ibādatkarne ke lie jāne de, 4warnā maiṅ kaltere mulk meṅ ṭiḍḍiyāṅ lāūṅgā. 5unke ġhol zamīn par yūṅ chhā jāeṅge kizamīn nazar hī nahīṅ āegī. jo kuchholoṅ ne tabāh nahīṅ kiyā use wuhchaṭ kar jāeṅgī. bache hue daraḳhtoṅke patte bhī ḳhatm ho jāeṅge. 6teremahal, tere uhdedāroṅ aur bāqī logoṅke ghar un se bhar jāeṅge. jab semisrī is mulk meṅ ābād hue haiṅ tumne kabhī ṭiḍḍiyoṅ kā aisā saḳht hamlānahīṅ dekhā hogā’.” yih kah kar mūsāpalaṭ kar wahāṅ se chalā gayā.

7is par darbāriyoṅ ne fir’aun se bātkī, “ham kab tak is mard ke jāl meṅphaṅse raheṅ? isrāīliyoṅ ko rab apneḳhudā kī ibādat karne ke lie jāne deṅ.kyā āp ko abhī tak mālūm nahīṅ kimisr barbād ho gayā hai?”

8tab mūsā aur hārūn ko fir’aun kepās bulāyā gayā. us ne un se kahā,“jāo, apne ḳhudā kī ibādat karo. lekinyih batāo ki kaun kaun sāth jāegā?”9mūsā ne jawāb diyā, “hamāre jawānaur būṛhe sāth jāeṅge. ham apnebeṭe-beṭiyoṅ, bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ ko bhī sāth le kar jāeṅge. ham

sab ke sab jāeṅge, kyūṅki hameṅ rabkī īd manānī hai.”

10fir’aun ne tanzan kahā, “ṭhīk hai,jāo aur rab tumhāre sāth ho. nahīṅ,maiṅ kis tarah tum sab ko bāl-bachchoṅ samet jāne de saktā hūṅ?tum ne koī burā mansūbā banāyāhai. 11nahīṅ, sirf mard jā kar rabkī ibādat kar sakte haiṅ. tum ne toyihī darḳhwāst kī thī.” tab mūsā aurhārūn ko fir’aun ke sāmne se nikāldiyā gayā.

12phir rab ne mūsā se kahā, “misrpar apnā hāth uṭhā tāki ṭiḍḍiyāṅ ā karmisr kī sarzamīn par phail jāeṅ. jokuchh bhī khetoṅ meṅ oloṅ se bachgayā hai use wuh khā jāeṅgī.”

13mūsā ne apnī lāṭhī misr par uṭhāīto rab ne mashriq se āṅdhī chalāījo sārā din aur sārī rāt chaltī rahīaur aglī subh tak misr meṅ ṭiḍḍiyāṅpahuṅchāīṅ. 14beshumār ṭiḍḍiyāṅpūre mulk par hamlā karke har jagahbaiṭh gaīṅ. is se pahle yā bādmeṅ kabhī bhī ṭiḍḍiyoṅ kā itnā saḳhthamlā na huā thā. 15unhoṅ ne zamīnko yūṅ ḍhāṅk liyā ki wuh kālī nazarāne lagī. jo kuchh bhī oloṅ se bachgayā thā chāhe khetoṅ ke paude yādaraḳhtoṅ ke phal the unhoṅ ne khāliyā. misr meṅ ek bhī daraḳht yāpaudā na rahā jis ke patte bach gaehoṅ.

16tab fir’aun ne mūsā aur hārūn kojaldī se bulwāyā. us ne kahā, “maiṅ

Page 109: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 10:17 109

ne tumhāre ḳhudā kā aur tumhārāgunāh kiyā hai. 17ab ek aur martabāmerā gunāh muāf karo aur rab apneḳhudā se duā karo tāki maut kī yihhālat mujh se dūr ho jāe.”

18mūsā ne mahal se nikal kar rab seduā kī. 19jawāb meṅ rab ne hawā kāruḳh badal diyā. us ne maġhrib se tezāṅdhī chalāī jis ne ṭiḍḍiyoṅ ko uṛā karbahr-e-qulzum meṅ ḍāl diyā. misrmeṅ ek bhī ṭiḍḍī na rahī. 20lekin rabne hone diyā ki fir’aun phir aṛ gayā.us ne isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.

andherā21is ke bād rab ne mūsā se kahā,

“apnā hāth āsmān kī taraf uṭhā tomisr par andherā chhā jāegā. itnāandherā hogā ki bandā use chhūsakegā.” 22mūsā ne apnā hāth āsmānkī taraf uṭhāyā to tīn din tak misr pargahrā andherā chhāyā rahā. 23tīn dintak log na ek dūsre ko dekh sake, nakahīṅ jā sake. lekin jahāṅ isrāīlī rahtethe wahāṅ raushnī thī.

24tab fir’aun ne mūsā ko phirbulwāyā aur kahā, “jāo, rab kī ibādatkaro! tum apne sāth bāl-bachchoṅko bhī le jā sakte ho. sirf apnī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail pīchhe chhoṛdenā.” 25mūsā ne jawāb diyā, “kyā āphī hameṅ qurbāniyoṅ ke lie jānwardeṅge tāki unheṅ rab apne ḳhudā kopesh kareṅ? 26yaqīnan nahīṅ. islie lāzim hai ki ham apne jānwaroṅ

ko sāth le kar jāeṅ. ek khur bhīpīchhe nahīṅ chhoṛā jāegā, kyūṅkiabhī tak hameṅ mālūm nahīṅ ki rabkī ibādat ke lie kin kin jānwaroṅ kīzarūrat hogī. yih us waqt hī patāchalegā jab ham manzil-e-maqsūdpar pahuṅcheṅge. is lie zarūrī hai kiham sab ko apne sāth le kar jāeṅ.”

27lekin rab kī marzī ke mutābiqfir’aun aṛ gayā. us ne unheṅ jānena diyā. 28us ne mūsā se kahā, “dafāho jā. ḳhabardār! phir kabhī apnīshakl na dikhānā, warnā tujhe mautke hawāle kar diyā jāegā.” 29mūsā nekahā, “ṭhīk hai, āp kī marzī. maiṅphir kabhī āp ke sāmne nahīṅ āūṅgā.”

āḳhirī sazā kā elān

11 tab rab ne mūsā se kahā,“ab maiṅ fir’aun aur misr par

āḳhirī āfat lāne ko hūṅ. is ke bādwuh tumheṅ jāne degā balki tumheṅzabardastī nikāl degā. 2isrāīliyoṅ kobatā denā ki har mard apne paṛosīaur har aurat apnī paṛosan se sone-chāṅdī kī chīzeṅ māṅg le.” 3(rabne misriyoṅ ke dil isrāīliyoṅ kī tarafmāil kar die the. wuh fir’aun keuhdedāroṅ samet ḳhāskar mūsā kībaṛī izzat karte the).

4mūsā ne kahā, “rab farmātā hai,‘āj ādhī rāt ke waqt maiṅ misrmeṅ se guzarūṅga. 5tab bādshāhke pahlauṭhe se le kar chakkī pīsnewālī naukarānī ke pahlauṭhe tak

Page 110: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

110 ḳhurūj 12:12

misriyoṅ kā har pahlauṭhā mar jāegā.chaupāiyoṅ ke pahlauṭhe bhī marjāeṅge. 6misr kī sarzamīn par aisāronā pīṭnā hogā ki na māzī meṅ kabhīhuā, na mustaqbil meṅ kabhī hogā.7lekin isrāīlī aur un ke jānwar bacheraheṅge. kuttā bhī un par nahīṅbhaunkegā. is tarah tum jān loge kirab isrāīliyoṅ kī nisbat misriyoṅ sefarq sulūk kartā hai’.” 8mūsā ne yihkuchh fir’aun ko batāyā phir kahā,“us waqt āp ke tamām uhdedār ā karmere sāmne jhuk jāeṅge aur minnatkareṅge, ‘apne pairokāroṅ ke sāthchale jāeṅ.’ tab maiṅ chalā hī jāūṅgā.”yih kah kar mūsā fir’aun ke pās sechalā gayā. wuh baṛe ġhusse meṅthā.

9rab ne mūsā se kahā thā, “fir’auntumhārī nahīṅ sunegā. kyūṅki lāzimhai ki maiṅ misr meṅ apnī qudrat kāmazīd izhār karūṅ.” 10go mūsā aurhārūn ne fir’aun ke sāmne yih tamāmmojize dikhāe, lekin rab ne fir’aunko ziddī banāe rakhā, is lie us neisrāīliyoṅ ko mulk chhoṛne na diyā.

fasah kī īd

12 phir rab ne misr meṅ mūsāaur hārūn se kahā, 2“ab se

yih mahīnā tumhāre lie sāl kā pahlāmahīnā ho.” 3isrāīl kī pūrī jamā’atko batānā ki is mahīne ke dasweṅdin har ḳhāndān kā sarparast apnegharāne ke lie lelā yānī bheṛ yā bakrī

kā bachchā hāsil kare. 4agar gharāneke afrād pūrā jānwar khāne ke liekam hoṅ to wuh apne sab se qarībīpaṛosī ke sāth mil kar lelā hāsil kareṅ.itne log us meṅ se khāeṅ ki sab kelie kāfī ho aur pūrā jānwar khāyā jāe.5is ke lie ek sāl kā nar bachchā chunlenā jis meṅ nuqs na ho. wuh bheṛ yābakrī kā bachchā ho saktā hai.

6mahīne ke 14weṅ din tak us kīdekh-bhāl karo. us din tamām isrāīlīsūraj ke ġhurūb hote waqt apne lelezabah kareṅ. 7har ḳhāndān apnejānwar kā kuchh ḳhūn jamā karkeuse us ghar ke darwāze kī chaukhaṭpar lagāe jahāṅ lelā khāyā jāegā. yihḳhūn chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aurdāeṅ bāeṅ ke bāzū’oṅ par lagāyā jāe.8lāzim hai ki log jānwar ko bhūn karusī rāt khāeṅ. sāth hī wuh kaṛwā sāg-pāt aur beḳhamīrī roṭiyāṅ bhī khāeṅ.9lele kā gosht kachchā na khānā,na use pānī meṅ ubālnā balki pūrejānwar ko sar, pairoṅ aur andarūnīhissoṅ samet āg par bhūnanā. 10lāzimhai ki pūrā gosht usī rāt khāyā jāe.agar kuchh subh tak bach jāe to usejalānā hai. 11khānā khāte waqt aisālibās pahnanā jaise tum safar par jārahe ho. apne jūte pahne rakhnā aurhāth meṅ safar ke lie lāṭhī lie hue tumuse jaldī jaldī khānā. rab ke fasah kīīd yūṅ manānā.

12maiṅ āj rāt misr meṅ seguzarūṅga aur har pahlauṭhe ko jān

Page 111: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 12:13 111

se mār dūṅgā, ḳhwāh insān kā hoyā haiwān kā. yūṅ maiṅ jo rab hūṅmisr ke tamām dewatāoṅ kī adālatkarūṅga. 13lekin tumhāre gharoṅpar lagā huā ḳhūn tumhārā ḳhāsnishān hogā. jis jis ghar ke darwāzepar maiṅ wuh ḳhūn dekhūṅgā usechhoṛtā jāūṅgā. jab maiṅ misr parhamlā karūṅga to mohlak wabā tumtak nahīṅ pahuṅchegī. 14āj kī rāt kohameshā yād rakhnā. ise nasl-dar-nasl aur har sāl rab kī ḳhās īd ke taurpar manānā.

beḳhamīrī roṭī kī īd15sāt din tak beḳhamīrī roṭī khānā

hai. pahle din apne gharoṅ se tamāmḳhamīr nikāl denā. agar koī in sātdinoṅ ke daurān ḳhamīr khāe to useqaum meṅ se miṭāyā jāe. 16is īd kepahle aur āḳhirī din muqaddas ijtimāmun’aqid karnā. in tamām dinoṅke daurān kām na karnā. sirf ekkām kī ijāzat hai aur wuh hai apnākhānā tayyār karnā. 17beḳhamīrīroṭī kī īd manānā lāzim hai, kyūṅkius din maiṅ tumhāre muta’addidḳhāndānoṅ ko misr se nikāl lāyā. islie yih din nasl-dar-nasl har sāl yādrakhnā. 18pahle mahīne ke 14weṅ dinkī shām se le kar 21weṅ din kī shāmtak sirf beḳhamīrī roṭī khānā. 19sātdin tak tumhāre gharoṅ meṅ ḳhamīrna pāyā jāe. jo bhī is daurān ḳhamīrkhāe use isrāīl kī jamā’at meṅ se

miṭāyā jāe, ḳhwāh wuh isrāīlī shahrīho yā ajnabī. 20ġharz, is īd ke daurānḳhamīr na khānā. jahāṅ bhī tumrahte ho wahāṅ beḳhamīrī roṭī hīkhānā hai.

pahlauṭhoṅ kī halākat21phir mūsā ne tamām isrāīlī

buzurgoṅ ko bulā kar un se kahā,“jāo, apne ḳhāndānoṅ ke lie bheṛ yābakrī ke bachche chun kar unheṅfasah kī īd ke lie zabah karo. 22zūfekā guchchhā le kar use ḳhūn se bharehue bāsan meṅ ḍubo denā. phir usele kar ḳhūn ko chaukhaṭ ke ūpar wālehisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzū’oṅ parlagā denā. subh tak koī apne ghar sena nikle. 23jab rab misriyoṅ ko mārḍālne ke lie mulk meṅ se guzaregāto wuh chaukhaṭ ke ūpar wāle hisseaur dāeṅ bāeṅ ke bāzū’oṅ par lagāhuā ḳhūn dekh kar un gharoṅ kochhoṛ degā. wuh halāk karne wālefarishte ko ijāzat nahīṅ degā ki wuhtumhāre gharoṅ meṅ jā kar tumheṅhalāk kare.

24tum apnī aulād samet hameshā inhidāyāt par amal karnā. 25yih rasm uswaqt bhī adā karnā jab tum us mulkmeṅ pahuṅchoge jo rab tumheṅ degā.26aur jab tumhāre bachche tum sepūchheṅ ki ham yih īd kyūṅ manātehaiṅ 27to un se kaho, ‘yih fasah kīqurbānī hai jo ham rab ko pesh kartehaiṅ. kyūṅki jab rab misriyoṅ ko

Page 112: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

112 ḳhurūj 12:43

halāk kar rahā thā to us ne hamāregharoṅ ko chhoṛ diyā thā’.”

yih sun kar isrāīliyoṅ ne allāh kosijdā kiyā. 28phir unhoṅ ne sab kuchhwaisā hī kiyā jaisā rab ne mūsā aurhārūn ko batāyā thā.

29ādhī rāt ko rab ne bādshāh kepahlauṭhe se le kar jel ke qaidī kepahlauṭhe tak misriyoṅ ke tamāmpahlauṭhoṅ ko jān se mār diyā.chaupāiyoṅ ke pahlauṭhe bhī margae. 30us rāt misr ke har ghar meṅkoī na koī mar gayā. fir’aun, us keuhdedār aur misr ke tamām log jāguṭhe aur zor zor se rone aur chīḳhnelage.

isrāīliyoṅ kī hijrat31abhī rāt thī ki fir’aun ne mūsā

aur hārūn ko bulā kar kahā, “ab tumaur bāqī isrāīlī merī qaum meṅ senikal jāo. apnī darḳhwāst ke mutābiqrab kī ibādat karo. 32jis tarah tumchāhte ho apnī bheṛ-bakriyoṅ ko bhīapne sāth le jāo. aur mujhe bhībarkat denā.” 33bāqī misriyoṅ ne bhīisrāīliyoṅ par zor de kar kahā, “jaldījaldī mulk se nikal jāo, warnā hamsab mar jāeṅge.”

34isrāīliyoṅ ke gūṅdhe hue āṭe meṅḳhamīr nahīṅ thā. unhoṅ ne usegūṅdhne ke bartanoṅ meṅ rakh karapne kapṛoṅ meṅ lapeṭ liyā aur safarkarte waqt apne kandhoṅ par rakhliyā. 35isrāīlī mūsā kī hidāyat par

amal karke apne misrī paṛosiyoṅ kepās gae aur un se kapṛe aur sone-chāṅdī kī chīzeṅ māṅgīṅ. 36rab nemisriyoṅ ke diloṅ ko isrāīliyoṅ kītaraf māil kar diyā thā, is lie unhoṅne un kī har darḳhwāst pūrī kī. yūṅisrāīliyoṅ ne misriyoṅ ko lūṭ liyā.

37isrāīlī rāmsīs se rawānā ho karsukkāt pahuṅch gae. auratoṅ aurbachchoṅ ko chhoṛ kar un ke 6 lākhmard the. 38wuh apne bheṛ-bakriyoṅaur gāy-bailoṅ ke baṛe baṛe rewaṛ bhīsāth le gae. bahut se aise log bhīun ke sāth nikle jo isrāīlī nahīṅ the.39rāste meṅ unhoṅ ne us beḳhamīrīāṭe se roṭiyāṅ banāīṅ jo wuh sāth lekar nikle the. āṭe meṅ is lie ḳhamīrnahīṅ thā ki unheṅ itnī jaldī se misrse nikāl diyā gayā thā ki khānā tayyārkarne kā waqt hī na milā thā.

40isrāīlī 430 sāl tak misr meṅ rahethe. 41430 sāl ke ain bād, usī din rabke yih tamām ḳhāndān misr se nikle.42us ḳhās rāt rab ne ḳhud pahrā diyātāki isrāīlī misr se nikal sakeṅ. is lietamām isrāīliyoṅ ke lie lāzim hai kiwuh nasl-dar-nasl is rāt rab kī tāzīmmeṅ jāgte raheṅ, wuh bhī aur un kebād kī aulād bhī.

fasah kī īd kī hidāyāt43rab ne mūsā aur hārūn se kahā,

“fasah kī īd ke yih usūl haiṅ:kisī bhī pardesī ko fasah kī īd

kā khānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai.

Page 113: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 12:44 113

44agar tum ne kisī ġhulām ko ḳharīdkar us kā ḳhatnā kiyā hai to wuhfasah kā khānā khā saktā hai. 45lekinġhairshahrī yā mazdūr ko fasah kākhānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai. 46yihkhānā ek hī ghar ke andar khānā hai.na gosht ghar se bāhar le jānā, na lelekī kisī haḍḍī ko toṛnā. 47lāzim hai kiisrāīl kī pūrī jamā’at yih īd manāe.48agar koī pardesī tumhāre sāth rahtāhai jo fasah kī īd meṅ shirkat karnāchāhe to lāzim hai ki pahle us kegharāne ke har mard kā ḳhatnā kiyājāe. tab wuh isrāīlī kī tarah khānemeṅ sharīk ho saktā hai. lekin jiskā ḳhatnā na huā use fasah kā khānākhāne kī ijāzat nahīṅ hai. 49yihī usūlhar ek par lāgū hogā, ḳhwāh wuhisrāīlī ho yā pardesī.”

50tamām isrāīliyoṅ ne waisā hī kiyājaisā rab ne mūsā aur hārūn se kahāthā. 51usī din rab tamām isrāīliyoṅ koḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq misrse nikāl lāyā.

yih īd najāt kī yād dilātī

13 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ke har pahlauṭhe

ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddaskarnā hai. har pahlā nar bachchāmerā hī hai, ḳhwāh insān kā ho yāhaiwān kā.” 3phir mūsā ne logoṅse kahā, “is din ko yād rakho jab

tum rab kī azīm qudrat ke bāis misrkī ġhulāmī se nikle. is din koī chīzna khānā jis meṅ ḳhamīr ho. 4āj hīabīb ke mahīnea meṅ tum misr serawānā ho rahe ho. 5rab ne tumhārebāpdādā se qasam khā kar wādā kiyāhai ki wuh tum ko kan’ānī, hittī,amorī, hiwwī aur yabūsī qaumoṅkā mulk degā, ek aisā mulk jis meṅdūdh aur shahd kī kasrat hai. jab rabtumheṅ us mulk meṅ pahuṅchā degāto lāzim hai ki tum isī mahīne meṅyih rasm manāo. 6sāt din beḳhamīrīroṭī khāo. sātweṅ din rab kī tāzīmmeṅ īd manāo. 7sāt din ḳhamīrī roṭīna khānā. kahīṅ bhī ḳhamīr na pāyājāe. pūre mulk meṅ ḳhamīr kā nām-o-nishān tak na ho.

8us din apne beṭe se yih kaho, ‘maiṅyih īd us kām kī ḳhushī meṅ manātāhūṅ jo rab ne mere lie kiyā jab maiṅmisr se niklā.’ 9yih īd tumhāre hāthyā peshānī par nishān kī mānind hojo tumheṅ yād dilāe ki rab kī sharīatko tumhāre hoṅṭoṅ par rahnā hai.kyūṅki rab tumheṅ apnī azīm qudratse misr se nikāl lāyā. 10is din kī yādhar sāl ṭhīk waqt par manānā.

pahlauṭhoṅ kī maḳhsūsiyat11rab tumheṅ kan’āniyoṅ ke us

mulk meṅ le jāegā jis kā wādā usne qasam khā kar tum aur tumhāre

amārch tā aprail.

Page 114: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

114 ḳhurūj 14:3

bāpdādā se kiyā hai. 12lāzim hai kiwahāṅ pahuṅch kar tum apne tamāmpahlauṭhoṅ ko rab ke lie maḳhsūskaro. tumhāre maweshiyoṅ ketamām pahlauṭhe bhī rab kī milkiyathaiṅ. 13agar tum apnā pahlauṭhāgadhā ḳhud rakhnā chāho to rab kous ke badle bheṛ yā bakrī kā bachchāpesh karo. lekin agar tum use rakhnānahīṅ chāhte to us kī gardan toṛ ḍālo.lekin insān ke pahlauṭhoṅ ke lie harsūrat meṅ iwazī denā hai.

14āne wāle dinoṅ meṅ jab tumhārābeṭā pūchhe ki is kā kyā matlab haito use jawāb denā, ‘rab apnī azīmqudrat se hameṅ misr kī ġhulāmī senikāl lāyā. 15jab fir’aun ne akaṛ karhameṅ jāne na diyā to rab ne misrke tamām insānoṅ aur haiwānoṅ kepahlauṭhoṅ ko mār ḍālā. is wajahse maiṅ apne jānwaroṅ kā har pahlābachchā rab ko qurbān kartā aurapne har pahlauṭhe ke lie iwazī detāhūṅ’. 16yih dastūr tumhāre hāth aurpeshānī par nishān kī mānind ho jotumheṅ yād dilāe ki rab hameṅ apnīqudrat se misr se nikāl lāyā.”

misr se nikalne kā rāstā17jab fir’aun ne isrāīlī qaum ko jāne

diyā to allāh unheṅ filistiyoṅ ke ilāqemeṅ se guzarne wāle rāste se le karna gayā, agarche us par chalte huewuh jald hī mulk-e-kan’ān pahuṅchjāte. balki rab ne kahā, “agar us

rāste par chaleṅge to unheṅ dūsroṅse laṛnā paṛegā. aisā na ho ki wuhis wajah se apnā irādā badal kar misrlauṭ jāeṅ.” 18is lie allāh unheṅ dūsrerāste se le kar gayā, aur wuh registānke rāste se bahr-e-qulzum kī tarafbaṛhe. misr se nikalte waqt mardmusallah the. 19mūsā yūsuf kā tābūtbhī apne sāth le gayā, kyūṅki yūsufne isrāīliyoṅ ko qasam dilā kar kahāthā, “allāh yaqīnan tumhārī dekh-bhāl karke wahāṅ le jāegā. us waqtmerī haḍḍiyoṅ ko bhī uṭhā kar sāthle jānā.”

20isrāīliyoṅ ne sukkāt ko chhoṛ karetām meṅ apne ḳhaime lagāe. etāmregistān ke kināre par thā. 21rab unke āge āge chaltā gayā, din ke waqtbādal ke satūn meṅ tāki unheṅ rāstekā patā lage aur rāt ke waqt āg kesatūn meṅ tāki unheṅ raushnī mile.yūṅ wuh din aur rāt safar kar saktethe. 22din ke waqt bādal kā satūn aurrāt ke waqt āg kā satūn un ke sāmnerahā. wuh kabhī bhī apnī jagah se nahaṭā.

isrāīl samundar meṅ se guzartā hai

14 tab rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko kah denā ki

wuh pīchhe muṛ kar mijdāl aursamundar ke bīch yānī fī-haḳhīrotke nazdīk ruk jāeṅ. wuh bāl-safon ke muqābil sāhil par apneḳhaime lagāeṅ. 3yih dekh kar fir’aun

Page 115: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 14:4 115

samjhegā ki isrāīlī rāstā bhūl karāwārā phir rahe haiṅ aur ki registānne chāroṅ taraf unheṅ gher rakhā hai.4phir maiṅ fir’aun ko dubārā aṛ jānedūṅgā, aur wuh isrāīliyoṅ kā pīchhākaregā. lekin maiṅ fir’aun aur us kīpūrī fauj par apnā jalāl zāhir karūṅga.misrī jān leṅge ki maiṅ hī rab hūṅ.”isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā.

5jab misr ke bādshāh ko ittilā dī gaīki isrāīlī hijrat kar gae haiṅ to us neaur us ke darbāriyoṅ ne apnā ḳhayālbadal kar kahā, “ham ne kyā kiyā hai?ham ne unheṅ jāne diyā hai, aur abham un kī ḳhidmat se mahrūm hogae haiṅ.” 6chunāṅche bādshāh neapnā jangī rath tayyār karwāyā aurapnī fauj ko le kar niklā. 7wuh 600behtarīn qism ke rath aur misr kebāqī tamām rathoṅ ko sāth le gayā.tamām rathoṅ par afsarān muqarrarthe. 8rab ne misr ke bādshāh fir’aunko dubārā aṛ jāne diyā thā, is liejab isrāīlī baṛe iḳhtiyār ke sāth nikalrahe the to wuh un kā tāqqub karnelagā. 9isrāīliyoṅ kā pīchhā kartekarte fir’aun ke tamām ghoṛe, rath,sawār aur faujī un ke qarīb pahuṅche.isrāīlī bahr-e-qulzum ke sāhil parbāl-safon ke muqābil fī-haḳhīrot kenazdīk ḳhaime lagā chuke the.

10jab isrāīliyoṅ ne fir’aun aur uskī fauj ko apnī taraf baṛhte dekhāto wuh saḳht ghabrā gae aur madadke lie rab ke sāmne chīḳhne-chillāne

lage. 11unhoṅ ne mūsā se kahā,“kyā misr meṅ qabroṅ kī kamī thī kiāp hameṅ registān meṅ le āe haiṅ?hameṅ misr se nikāl kar āp ne hamāresāth kyā kiyā hai? 12kyā ham ne misrmeṅ āp se darḳhwāst nahīṅ kī thīki mehrbānī karke hameṅ chhoṛ deṅ,hameṅ misriyoṅ kī ḳhidmat karnedeṅ? yahāṅ ā kar registān meṅ marjāne kī nisbat behtar hotā ki hammisriyoṅ ke ġhulām rahte.”

13lekin mūsā ne jawāb diyā, “matghabrāo. ārām se khaṛe raho aurdekho ki rab tumheṅ āj kis tarahbachāegā. āj ke bād tum in misriyoṅko phir kabhī nahīṅ dekhoge. 14rabtumhāre lie laṛegā. tumheṅ bas, chuprahnā hai.”

15phir rab ne mūsā se kahā, “tūmere sāmne kyūṅ chīḳh rahā hai?isrāīliyoṅ ko āge baṛhne kā hukmde. 16apnī lāṭhī ko pakaṛ kar usesamundar ke ūpar uṭhā to wuhdo hissoṅ meṅ baṭ jāegā. isrāīlīḳhushk zamīn par samundar meṅ seguzareṅge. 17maiṅ misriyoṅ ko aṛerahne dūṅgā tāki wuh isrāīliyoṅ kāpīchhā kareṅ. phir maiṅ fir’aun, uskī sārī fauj, us ke rathoṅ aur us kesawāroṅ par apnā jalāl zāhir karūṅga.18jab maiṅ fir’aun, us ke rathoṅ aurus ke sawāroṅ par apnā jalāl zāhirkarūṅga to misrī jān leṅge ki maiṅ hīrab hūṅ.”

Page 116: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

116 ḳhurūj 15:1

19allāh kā farishtā isrāīlī lashkarke āge āge chal rahā thā. ab wuhwahāṅ se haṭ kar un ke pīchhekhaṛā ho gayā. bādal kā satūnbhī logoṅ ke āge se haṭ kar un kepīchhe jā khaṛā huā. 20is tarah bādalmisriyoṅ aur isrāīliyoṅ ke lashkaroṅke darmiyān ā gayā. pūrī rātmisriyoṅ kī taraf andherā hī andherāthā jabki isrāīliyoṅ kī taraf raushnīthī. is lie misrī pūrī rāt ke daurānisrāīliyoṅ ke qarīb na ā sake.

21mūsā ne apnā hāth samundar keūpar uṭhāyā to rab ne mashriq setez āṅdhī chalāī. āṅdhī tamām rātchaltī rahī. us ne samundar ko pīchhehaṭā kar us kī tah ḳhushk kar dī.samundar do hissoṅ meṅ baṭ gayā22to isrāīlī samundar meṅ se ḳhushkzamīn par chalte hue guzar gae. unke dāīṅ aur bāīṅ taraf pānī dīwār kītarah khaṛā rahā.

23jab misriyoṅ ko patā chalāto fir’aun ke tamām ghoṛe, rathaur ghuṛsawār bhī un ke pīchhepīchhe samundar meṅ chale gae.24subhsawere hī rab ne bādal aur āgke satūn se misr kī fauj par nigāhkī aur us meṅ abtarī paidā kar dī.25un ke rathoṅ ke pahie nikal gae toun par qābū pānā mushkil ho gayā.misriyoṅ ne kahā, “āo, ham isrāīliyoṅse bhāg jāeṅ, kyūṅki rab un ke sāthhai. wuhī misr kā muqābalā kar rahāhai.”

26tab rab ne mūsā se kahā, “apnāhāth samundar ke ūpar uṭhā. phirpānī wāpas ā kar misriyoṅ, un kerathoṅ aur ghuṛsawāroṅ ko ḍubodegā.” 27mūsā ne apnā hāth samundarke ūpar uṭhāyā to din nikalte waqtpānī māmūl ke mutābiq bahne lagā,aur jis taraf misrī bhāg rahe thewahāṅ pānī hī pānī thā. yūṅ rabne unheṅ samundar meṅ bahā karġharq kar diyā. 28pānī wāpas ā gayā.us ne rathoṅ aur ghuṛsawāroṅ koḍhāṅk liyā. fir’aun kī pūrī fauj joisrāīliyoṅ kā tāqqub kar rahī thī ḍūbkar tabāh ho gaī. un meṅ se ek bhī nabachā. 29lekin isrāīlī ḳhushk zamīnpar samundar meṅ se guzare. un kedāīṅ aur bāīṅ taraf pānī dīwār kī tarahkhaṛā rahā.

30us din rab ne isrāīliyoṅ komisriyoṅ se bachāyā. misriyoṅ kīlāsheṅ unheṅ sāhil par nazar āīṅ.31jab isrāīliyoṅ ne rab kī yih azīmqudrat dekhī jo us ne misriyoṅ parzāhir kī thī to rab kā ḳhauf un parchhā gayā. wuh us par aur us keḳhādim mūsā par etimād karne lage.

mūsā kā gīt

15 tab mūsā aur isrāīliyoṅ nerab ke lie yih gīt gāyā,

“maiṅ rab kī tamjīd meṅ gītgāūṅgā, kyūṅki wuh nihāyat azīmhai. ghoṛe aur us ke sawār ko us nesamundar meṅ paṭaḳh diyā hai.

Page 117: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 15:2 117

2rab merī quwwat aur merā gīt hai,wuh merī najāt ban gayā hai. wuhīmerā ḳhudā hai, aur maiṅ us kī tārīfkarūṅga. wuhī mere bāp kā ḳhudāhai, aur maiṅ us kī tāzīm karūṅga.

3rab sūrmā hai, rab us kā nām hai.4fir’aun ke rathoṅ aur fauj ko us

ne samundar meṅ paṭaḳh diyā tobādshāh ke behtarīn afsarān bahr-e-qulzum meṅ ḍūb gae.

5gahre pānī ne unheṅ ḍhāṅk liyā,aur wuh patthar kī tarah samundar kītah tak utar gae.

6ai rab, tere dahne hāth kā jalāl baṛīqudrat se zāhir hotā hai. ai rab, terādahnā hāth dushman ko chaknāchūrkar detā hai.

7jo tere ḳhilāf uṭh khaṛe hote haiṅunheṅ tū apnī azmat kā izhār karkezamīn par paṭaḳh detā hai. terāġhazab un par ān paṛtā hai to wuh āgmeṅ bhūse kī tarah jal jāte haiṅ.

8tū ne ġhusse meṅ ā kar phūṅkmārī to pānī ḍher kī sūrat meṅ jamāho gayā. bahtā pānī ṭhos dīwār bangayā, samundar gahrāī tak jam gayā.

9dushman ne ḍīṅg mār kar kahā,‘maiṅ un kā pīchhā karke unheṅpakaṛ lūṅgā, maiṅ un kā lūṭā huāmāl taqsīm karūṅga. merī lālchī jānun se ser ho jāegī, maiṅ apnī talwārkhaiṅch kar unheṅ halāk karūṅga.’

10lekin tū ne un par phūṅk mārī tosamundar ne unheṅ ḍhāṅk liyā, aur

wuh sīse kī tarah zordār maujoṅ meṅḍūb gae.

11ai rab, kaun sā mābūd terī mānindhai? kaun terī tarah jalālī aur quddūshai? kaun terī tarah hairatangez kāmkartā aur azīm mojize dikhātā hai?koī bhī nahīṅ.

12tū ne apnā dahnā hāth uṭhāyā tozamīn hamāre dushmanoṅ ko nigalgaī.

13apnī shafqat se tū ne iwazānā dekar apnī qaum ko chhuṭkārā diyā aurus kī rāhnumāī kī hai, apnī qudrat setū ne use apnī muqaddas sukūnatgāhtak pahuṅchāyā hai.

14yih sun kar dīgar qaumeṅ kāṅpuṭhīṅ, filistī ḍar ke māre pech-o-tābkhāne lage.

15adom ke raīs saham gae. moābke rāhnumāoṅ par kapkapī tārī hogaī, aur kan’ān ke tamām bāshindehimmat hār gae.

16dahshat aur ḳhauf un par chhāgayā. terī azīm qudrat ke bāis wuhpatthar kī tarah jam gae. ai rab, wuhna hile jab tak terī qaum guzar na gaī.wuh behiss-o-harkat rahe jab tak terīḳharīdī huī qaum guzar na gaī.

17ai rab, tū apne logoṅ ko le karpaudoṅ kī tarah apne maurūsī pahāṛpar lagāegā, us jagah par jo tū ne apnīsukūnat ke lie chun lī hai, jahāṅ tū neapne hāthoṅ se apnā maqdis tayyārkiyā hai.

Page 118: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

118 ḳhurūj 16:4

18rab abad tak bādshāh hai!”

19jab fir’aun ke ghoṛe, rath aurghuṛsawār samundar meṅ chale gaeto rab ne unheṅ samundar ke pānīse ḍhāṅk liyā. lekin isrāīlī ḳhushkzamīn par samundar meṅ se guzargae. 20tab hārūn kī bahan mariyamjo nabiyā thī ne daf liyā, aur bāqītamām aurateṅ bhī daf le kar us kepīchhe ho līṅ. sab gāne aur nāchnelagīṅ. mariyam ne yih gā kar un kīrāhnumāī kī,

21“rab kī tamjīd meṅ gīt gāo,kyūṅki wuh nihāyat azīm hai. ghoṛeaur us ke sawār ko us ne samundarmeṅ paṭaḳh diyā hai.”

mārā aur elīm ke chashme22mūsā ke kahne par isrāīlī bahr-

e-qulzum se rawānā ho kar dasht-e-shūr meṅ chale gae. wahāṅ wuh tīndin tak safar karte rahe. is daurānunheṅ pānī na milā. 23āḳhirkār wuhmārā pahuṅche jahāṅ pānī dastyābthā. lekin wuh kaṛwā thā, is liemaqām kā nām mārā yānī kaṛwāhaṭpaṛ gayā. 24yih dekh kar log mūsā keḳhilāf buṛbuṛā kar kahne lage, “hamkyā pieṅ?” 25mūsā ne madad ke lierab se iltijā kī to us ne use lakaṛī kā ekṭukṛā dikhāyā. jab mūsā ne yih lakaṛīpānī meṅ ḍālī to pānī kī kaṛwāhaṭḳhatm ho gaī.

mārā meṅ rab ne apnī qaum koqawānīn die. wahāṅ us ne unheṅāzmāyā bhī. 26us ne kahā, “ġhaurse rab apne ḳhudā kī āwāz suno!jo kuchh us kī nazar meṅ durusthai wuhī karo. us ke ahkām pardhyān do aur us kī tamām hidāyāt paramal karo. phir maiṅ tum par wuhbīmāriyāṅ nahīṅ lāūṅgā jo misriyoṅpar lāyā thā, kyūṅki maiṅ rab hūṅ jotujhe shifā detā hūṅ.” 27phir isrāīlīrawānā ho kar elīm pahuṅche jahāṅ12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳhtthe. wahāṅ unhoṅ ne pānī ke qarībapne ḳhaime lagāe.

man aur baṭereṅ

16 is ke bād isrāīl kī pūrī jamā’atelīm se safar karke sīn ke

registān meṅ pahuṅchī jo elīm aursīnā ke darmiyān hai. wuh misrse nikalne ke bād dūsre mahīne ke15weṅ din pahuṅche. 2registān meṅtamām log phir mūsā aur hārūn keḳhilāf buṛbuṛāne lage. 3unhoṅ nekahā, “kāsh rab hameṅ misr meṅ hīmār ḍāltā! wahāṅ ham kam az kamjī bhar kar gosht aur roṭī to khā saktethe. āp hameṅ sirf is lie registān meṅle āe haiṅ ki ham sab bhūke mar jāeṅ.”

4tab rab ne mūsā se kahā, “maiṅāsmān se tumhāre lie roṭī barsāūṅgā.har roz log bāhar jā kar usī dinkī zarūrat ke mutābiq khānā jamākareṅ. is se maiṅ unheṅ āzmā kar

Page 119: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 16:5 119

dekhūṅgā ki āyā wuh merī sunte haiṅki nahīṅ. 5har roz wuh sirf utnākhānā jamā kareṅ jitnā ki ek din kelie kāfī ho. lekin chhaṭe din jab wuhkhānā tayyār kareṅge to wuh agle dinke lie bhī kāfī hogā.”

6mūsā aur hārūn ne isrāīliyoṅ sekahā, “āj shām ko tum jān loge ki rabhī tumheṅ misr se nikāl lāyā hai. 7aurkal subh tum rab kā jalāl dekhoge.us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ,kyūṅki asal meṅ tum hamāre ḳhilāfnahīṅ balki rab ke ḳhilāf buṛbuṛārahe ho. 8phir bhī rab tum ko shāmke waqt gosht aur subh ke waqtwāfir roṭī degā, kyūṅki us ne tumhārīshikāyateṅ sun lī haiṅ. tumhārīshikāyateṅ hamāre ḳhilāf nahīṅ balkirab ke ḳhilāf haiṅ.”

9mūsā ne hārūn se kahā, “isrāīliyoṅko batānā, ‘rab ke sāmne hāzir hojāo, kyūṅki us ne tumhārī shikāyateṅsun lī haiṅ’.” 10jab hārūn pūrī jamā’atke sāmne bāt karne lagā to logoṅne palaṭ kar registān kī taraf dekhā.wahāṅ rab kā jalāl bādal meṅ zāhirhuā. 11rab ne mūsā se kahā, 12“maiṅne isrāīliyoṅ kī shikāyat sun lī hai.unheṅ batā, ‘āj jab sūraj ġhurūb honelagegā to tum gosht khāoge aur kalsubh peṭ bhar kar roṭī. phir tumjān loge ki maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ’.”

13usī shām baṭeroṅ ke ġhol āe jopūrī ḳhaimāgāh par chhā gae. aur

aglī subh ḳhaime ke chāroṅ tarafos paṛī thī. 14jab os sūkh gaī tobarf ke gāloṅ jaise patle dāne pālekī tarah zamīn par paṛe the. 15jabisrāīliyoṅ ne use dekhā to ek dūsre sepūchhne lage, “man hū?” yānī “yihkyā hai?” kyūṅki wuh nahīṅ jāntethe ki yih kyā chīz hai. mūsā ne unko samjhāyā, “yih wuh roṭī hai jo rabne tumheṅ khāne ke lie dī hai. 16rabkā hukm hai ki har ek utnā jamā karejitnā us ke ḳhāndān ko zarūrat ho.apne ḳhāndān ke har fard ke lie doliṭar jamā karo.”

17isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā. bāzne zyādā aur bāz ne kam jamā kiyā.18lekin jab use nāpā gayā to har ekādmī ke lie kāfī thā. jis ne zyādājamā kiyā thā us ke pās kuchh nabachā. lekin jis ne kam jamā kiyāthā us ke pās bhī kāfī thā. 19mūsā nehukm diyā, “agle din ke lie khānā nabachānā.”

20lekin logoṅ ne mūsā kī bāt namānī balki bāz ne khānā bachā liyā.lekin aglī subh mālūm huā ki bachehue khāne meṅ kīṛe paṛ gae haiṅ aurus se bahut badbū ā rahī hai. yih sunkar mūsā un se nārāz huā.

21har subh har koī utnā jamā karletā jitnī use zarūrat hotī thī. jab dhūptez hotī to jo kuchh zamīn par rah jātāwuh pighal kar ḳhatm ho jātā thā.

22chhaṭe din jab log yih ḳhurākjamā karte to wuh miqdār meṅ dugnī

Page 120: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

120 ḳhurūj 17:2

hotī thī yānī har fard ke lie chār liṭar.jab jamā’at ke buzurgoṅ ne mūsā kepās ā kar use ittilā dī 23to us ne un sekahā, “rab kā farmān hai ki kal ārāmkā din hai, muqaddas sabat kā din joallāh kī tāzīm meṅ manānā hai. ājtum jo tanūr meṅ pakānā chāhte hopakā lo aur jo ubālnā chāhte ho ubāllo. jo bach jāe use kal ke lie mahfūzrakho.”

24logoṅ ne mūsā ke hukm kemutābiq agle din ke lie khānā mahfūzkar liyā to na khāne se badbū āī, na usmeṅ kīṛe paṛe. 25mūsā ne kahā, “ājyihī bachā huā khānā khāo, kyūṅkiāj sabat kā din hai, rab kī tāzīm meṅārām kā din. āj tumheṅ registān meṅkuchh nahīṅ milegā. 26chhih din kedaurān yih ḳhurāk jamā karnā hai,lekin sātwāṅ din ārām kā din hai. usdin zamīn par khāne ke lie kuchhnahīṅ hogā.”

27to bhī kuchh log hafte ko khānājamā karne ke lie nikle, lekin unheṅkuchh na milā. 28tab rab ne mūsā sekahā, “tum log kab tak mere ahkāmaur hidāyāt par amal karne se inkārkaroge? 29dekho, rab ne tumhāre liemuqarrar kiyā hai ki sabat kā dinārām kā din hai. is lie wuh tumheṅjum’e ko do din ke lie ḳhurāk detāhai. hafte ko sab ko apne ḳhaimoṅmeṅ rahnā hai. koī bhī apne ghar sebāhar na nikle.”

30chunāṅche log sabat ke din ārāmkarte the.

31isrāīliyoṅ ne is ḳhurāk kā nām‘man’ rakhā. us ke dāne dhanie kīmānind safed the, aur us kā zāiqāshahd se bane kek kī mānind thā.

32mūsā ne kahā, “rab farmātā hai,‘do liṭar man ek martabān meṅrakh kar use āne wālī nasloṅ kelie mahfūz rakhnā. phir wuh dekhsakeṅge ki maiṅ tumheṅ kyā khānākhilātā rahā jab tumheṅ misr se nikāllāyā’.” 33mūsā ne hārūn se kahā, “ekmartabān lo aur use do liṭar man sebhar kar rab ke sāmne rakho tāki wuhāne wālī nasloṅ ke lie mahfūz rahe.”34hārūn ne aisā hī kiyā. us ne manke is martabān ko ahd ke sandūq kesāmne rakhā tāki wuh mahfūz rahe.

35isrāīliyoṅ ko 40 sāl tak man miltārahā. wuh us waqt tak man khāterahe jab tak registān se nikal karkan’ān kī sarhad par na pahuṅche.36(jo paimānā isrāīlī man ke lieistemāl karte the wuh do liṭar kā ekbartan thā jis kā nām omar thā.)

chaṭān se pānī

17 phir isrāīl kī pūrī jamā’at sīnke registān se niklī. rab

jis tarah hukm detā rahā wuh ekjagah se dūsrī jagah safar karte rahe.rafīdīm meṅ unhoṅ ne ḳhaime lagāe.wahāṅ pīne ke lie pānī na milā. 2islie wuh mūsā ke sāth yih kah kar

Page 121: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 17:3 121

jhagaṛne lage, “hameṅ pīne ke liepānī do.” mūsā ne jawāb diyā, “tummujh se kyūṅ jhagaṛ rahe ho? rabko kyūṅ āzmā rahe ho?” 3lekin logbahut pyāse the. wuh mūsā ke ḳhilāfbuṛbuṛāne se bāz na āe balki kahā,“āp hameṅ misr se kyūṅ lāe haiṅ?kyā is lie ki ham apne bachchoṅ aurrewaṛoṅ samet pyāse mar jāeṅ?”

4tab mūsā ne rab ke huzūr faryādkī, “maiṅ in logoṅ ke sāth kyā karūṅ?hālāt zarā bhī aur bigaṛ jāeṅ to wuhmujhe sangsār kar deṅge.” 5rab nemūsā se kahā, “kuchh buzurg sāth lekar logoṅ ke āge āge chal. wuh lāṭhībhī sāth le jā jis se tū ne daryā-e-nīlko mārā thā. 6maiṅ horib yānī sīnāpahāṛ kī ek chaṭān par tere sāmnekhaṛā hūṅgā. lāṭhī se chaṭān komārnā to us se pānī niklegā aur logpī sakeṅge.”

mūsā ne isrāīl ke buzurgoṅ kesāmne aisā hī kiyā. 7us ne us jagah kānām massā aur marībā yānī ‘āzmānāaur jhagaṛnā’ rakhā, kyūṅki wahāṅisrāīlī buṛbuṛāe aur yih pūchh karrab ko āzmāyā ki kyā rab hamāredarmiyān hai ki nahīṅ?

amālīqiyoṅ kī shikast8rafīdīm wuh jagah bhī thī jahāṅ

amālīqī isrāīliyoṅ se laṛne āe. 9mūsāne yashūa se kahā, “laṛne ke qābilādmiyoṅ ko chun lo aur nikal karamālīqiyoṅ kā muqābalā karo. kal

maiṅ allāh kī lāṭhī pakaṛe hue pahāṛkī choṭī par khaṛā ho jāūṅgā.”

10yashūa mūsā kī hidāyat kemutābiq amālīqiyoṅ se laṛne gayājabki mūsā, hārūn aur hūr pahāṛ kīchoṭī par chaṛh gae. 11aur yūṅ huāki jab mūsā ke hāth uṭhāe hue the toisrāīlī jītte rahe, aur jab wuh nīchethe to amālīqī jītte rahe. 12kuchh derke bād mūsā ke bāzū thak gae. is liehārūn aur hūr ek chaṭān le āe tākiwuh us par baiṭh jāe. phir unhoṅ neus ke dāīṅ aur bāīṅ taraf khaṛe ho karus ke bāzū’oṅ ko ūpar uṭhāe rakhā.sūraj ke ġhurūb hone tak unhoṅ neyūṅ mūsā kī madad kī. 13is tarahyashūa ne amālīqiyoṅ se laṛte laṛteunheṅ shikast dī.

14tab rab ne mūsā se kahā, “yihwāqiā yādgārī ke lie kitāb meṅ likhle. lāzim hai ki yih sab kuchhyashūa kī yād meṅ rahe, kyūṅkimaiṅ duniyā se amālīqiyoṅ kā nām-o-nishān miṭā dūṅgā.” 15us waqtmūsā ne qurbāngāh banā kar us kānām ‘rab merā jhanḍā hai’ rakhā.16us ne kahā, “rab ke taḳht ke ḳhilāfhāth uṭhāyā gayā hai, is lie rabkī amālīqiyoṅ se hameshā tak jangrahegī.”

yitro se mulāqāt

18 mūsā kā susar yitro ab takmidiyān meṅ imām thā. jab

us ne sab kuchh sunā jo allāh ne mūsā

Page 122: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

122 ḳhurūj 18:16

aur apnī qaum ke lie kiyā hai, ki wuhunheṅ misr se nikāl lāyā hai 2to wuhmūsā ke pās āyā. wuh us kī bīwīsaffūrā ko apne sāth lāyā, kyūṅkimūsā ne use apne beṭoṅ samet maikebhej diyā thā. 3yitro mūsā ke donoṅbeṭoṅ ko bhī sāth lāyā. pahle beṭekā nām jairsom yānī ‘ajnabī mulkmeṅ pardesī’ thā, kyūṅki jab wuhpaidā huā to mūsā ne kahā thā, “maiṅajnabī mulk meṅ pardesī hūṅ.” 4dūsrebeṭe kā nām ilīazar yānī ‘merā ḳhudāmadadgār hai’ thā, kyūṅki jab wuhpaidā huā to mūsā ne kahā thā, “merebāp ke ḳhudā ne merī madad karkemujhe fir’aun kī talwār se bachāyāhai.”

5yitro mūsā kī bīwī aur beṭe sāth lekar us waqt mūsā ke pās pahuṅchājab us ne registān meṅ allāh ke pahāṛyānī sīnā ke qarīb ḳhaimā lagāyā huāthā. 6us ne mūsā ko paiġhām bhejāthā, “maiṅ, āp kā susar yitro āp kībīwī aur do beṭoṅ ko sāth le kar āpke pās ā rahā hūṅ.”

7mūsā apne susar ke istiqbāl ke liebāhar niklā, us ke sāmne jhukā auruse bosā diyā. donoṅ ne ek dūsre kāhāl pūchhā, phir ḳhaime meṅ chalegae. 8mūsā ne yitro ko tafsīl se batāyāki rab ne isrāīliyoṅ kī ḳhātir fir’aunaur misriyoṅ ke sāth kyā kuchh kiyāhai. us ne rāste meṅ pesh āī tamāmmushkilāt kā zikr bhī kiyā ki rab nehameṅ kis tarah un se bachāyā hai.

9yitro un sāre achchhe kāmoṅ kebāre meṅ sun kar ḳhush huā jo rabne isrāīliyoṅ ke lie kie the jab us neunheṅ misriyoṅ ke hāth se bachāyāthā. 10us ne kahā, “rab kī tamjīd hojis ne āp ko misriyoṅ aur fir’aun keqabze se najāt dilāī hai. usī ne qaumko ġhulāmī se chhuṛāyā hai! 11abmaiṅ ne jān liyā hai ki rab tamāmmābūdoṅ se azīm hai, kyūṅki us neyih sab kuchh un logoṅ ke sāth kiyājinhoṅ ne apne ġhurūr meṅ isrāīliyoṅke sāth burā sulūk kiyā thā.” 12phiryitro ne allāh ko bhasm hone wālīqurbānī aur dīgar kaī qurbāniyāṅpesh kīṅ. tab hārūn aur tamāmbuzurg mūsā ke susar yitro ke sāthallāh ke huzūr khānā khāne baiṭhe.

70 buzurgoṅ ko muqarrar kiyā jātā hai13agle din mūsā logoṅ kā insāf

karne ke lie baiṭh gayā. un kī tādāditnī zyādā thī ki wuh subh se le karshām tak mūsā ke sāmne khaṛe rahe.14jab yitro ne yih sab kuchh dekhā tous ne pūchhā, “yih kyā hai jo āp logoṅke sāth kar rahe haiṅ? sārā din wuhāp ko ghere rahte aur āp un kī adālatkarte rahte haiṅ. āp yih sab kuchhakele hī kyūṅ kar rahe haiṅ?”

15mūsā ne jawāb diyā, “log merepās ā kar allāh kī marzī mālūm kartehaiṅ. 16jab kabhī koī tanāzā yājhagaṛā hotā hai to donoṅ pārṭiyāṅmere pās ātī haiṅ. maiṅ faislā karke

Page 123: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 18:17 123

unheṅ allāh ke ahkām aur hidāyātbatātā hūṅ.”

17mūsā ke susar ne us se kahā, “āpkā tarīqā achchhā nahīṅ hai. 18kāmitnā wasī hai ki āp use akele nahīṅsaṅbhāl sakte. is se āp aur wuh logjo āp ke pās āte haiṅ burī tarah thakjāte haiṅ. 19merī bāt suneṅ! maiṅāp ko ek mashwarā detā hūṅ. allāhus meṅ āp kī madad kare. lāzimhai ki āp allāh ke sāmne qaum kenumāindā raheṅ aur un ke muāmalātus ke sāmne pesh kareṅ. 20yih bhīzarūrī hai ki āp unheṅ allāh ke ahkāmaur hidāyāt sikhāeṅ, ki wuh kis tarahzindagī guzāreṅ aur kyā kyā kareṅ.21lekin sāth sāth qaum meṅ se qābil-e-etimād ādmī chuneṅ. wuh aise loghoṅ jo allāh kā ḳhauf mānte hoṅ,rāstdil hoṅ aur rishwat se nafrat kartehoṅ. unheṅ hazār hazār, sau sau,pachās pachās aur das das ādmiyoṅpar muqarrar kareṅ. 22un ādmiyoṅkī zimmādārī yih hogī ki wuh harwaqt logoṅ kā insāf kareṅ. agarkoī bahut hī pechīdā muāmalā ho towuh faisle ke lie āp ke pās āeṅ, lekindīgar muāmaloṅ kā faislā wuh ḳhudkareṅ. yūṅ wuh kām meṅ āp kā hāthbaṭāeṅge aur āp kā bojh halkā hojāegā.

23agar merā yih mashwarā allāhkī marzī ke mutābiq ho aur āp aisākareṅ to āp apnī zimmādārī nibhāsakeṅge aur yih tamām log insāf ke

milne par salāmatī ke sāth apne apneghar jā sakeṅge.”

24mūsā ne apne susar kā mashwarāmān liyā aur aisā hī kiyā. 25usne isrāīliyoṅ meṅ se qābil-e-etimādādmī chune aur unheṅ hazār hazār,sau sau, pachās pachās aur das dasādmiyoṅ par muqarrar kiyā. 26yihmard qāzī ban kar mustaqil taur parlogoṅ kā insāf karne lage. āsānmasloṅ kā faislā wuh ḳhud karte aurmushkil muāmaloṅ ko mūsā ke pās leāte the.

27kuchh arse bād mūsā ne apnesusar ko ruḳhsat kiyā to yitro apnewatan wāpas chalā gayā.

koh-e-sīnā

19 isrāīliyoṅ ko misr se safarkarte hue do mahīne ho gae

the. tīsre mahīne ke pahle hī dinwuh sīnā ke registān meṅ pahuṅche.2us din wuh rafīdīm ko chhoṛ kardasht-e-sīnā meṅ ā pahuṅche. wahāṅunhoṅ ne registān meṅ pahāṛ keqarīb ḍere ḍāle.

3tab mūsā pahāṛ par chaṛh kar allāhke pās gayā. allāh ne pahāṛ par semūsā ko pukār kar kahā, “yāqūb kegharāne banī isrāīl ko batā, 4‘tum nedekhā hai ki maiṅ ne misriyoṅ ke sāthkyā kuchh kiyā, aur ki maiṅ tum kouqāb ke paroṅ par uṭhā kar yahāṅapne pās lāyā hūṅ. 5chunāṅche agartum merī suno aur mere ahd ke

Page 124: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

124 ḳhurūj 19:21

mutābiq chalo to phir tamām qaumoṅmeṅ se merī ḳhās milkiyat hoge.go pūrī duniyā merī hī hai, 6lekintum mere lie maḳhsūs imāmoṅ kībādshāhī aur muqaddas qaum hoge.’ab jā kar yih sārī bāteṅ isrāīliyoṅ kobatā.”

7mūsā ne pahāṛ se utar kar aurqaum ke buzurgoṅ ko bulā kar unheṅwuh tamām bāteṅ batāīṅ jo kahne kelie rab ne use hukm diyā thā. 8jawābmeṅ pūrī qaum ne mil kar kahā, “hamrab kī har bāt pūrī kareṅge jo us nefarmāī hai.” mūsā ne pahāṛ par lauṭkar rab ko qaum kā jawāb batāyā.9jab wuh pahuṅchā to rab ne mūsāse kahā, “maiṅ ghane bādal meṅ terepās āūṅgā tāki log mujhe tujh sehamkalām hote hue suneṅ. phir wuhhameshā tujh par bharosā rakheṅge.”tab mūsā ne rab ko wuh tamām bāteṅbatāīṅ jo logoṅ ne kī thīṅ.

10rab ne mūsā se kahā, “ab logoṅke pās lauṭ kar āj aur kal unheṅmere lie maḳhsūs-o-muqaddas kar.wuh apne libās dho kar 11tīsre dinke lie tayyār ho jāeṅ, kyūṅki us dinrab logoṅ ke deḳhte deḳhte koh-e-sīnā par utregā. 12logoṅ kī hifāzatke lie chāroṅ taraf pahāṛ kī haddeṅmuqarrar kar. unheṅ ḳhabardār karki hudūd ko pār na karo. na pahāṛpar chaṛho, na us ke dāman ko chhuo.jo bhī use chhue wuh zarūr mārājāe. 13aur use hāth se chhū kar

nahīṅ mārnā hai balki pattharoṅ yātīroṅ se. ḳhwāh insān ho yā haiwān,wuh zindā nahīṅ rah saktā. jab taknarsingā der tak phūṅkā na jāe uswaqt tak logoṅ ko pahāṛ par chaṛhnīkī ijāzat nahīṅ hai.”

14mūsā ne pahāṛ se utar kar logoṅko allāh ke lie maḳhsūs-o-muqaddaskiyā. unhoṅ ne apne libās bhī dhoe.15us ne un se kahā, “tīsre din kelie tayyār ho jāo. mard auratoṅ sehambistar na hoṅ.”

16tīsre din subh pahāṛ par ghanābādal chhā gayā. bijlī chamaknelagī, bādal garajne lagā aur narsingekī nihāyat zordār āwāz sunāī dī.ḳhaimāgāh meṅ log laraz uṭhe. 17tabmūsā logoṅ ko allāh se milne ke lieḳhaimāgāh se bāhar pahāṛ kī taraf legayā, aur wuh pahāṛ ke dāman meṅkhaṛe hue. 18sīnā pahāṛ dhueṅ seḍhakā huā thā, kyūṅki rab āg meṅ uspar utar āyā. pahāṛ se dhuāṅ is tarahuṭh rahā thā jaise kisī bhaṭṭe se uṭhtāhai. pūrā pahāṛ shiddat se laraznelagā. 19narsinge kī āwāz tez se teztarhotī gaī. mūsā bolne lagā aur allāhuse ūṅchī āwāz meṅ jawāb detā rahā.

20rab sīnā pahāṛ kī choṭī par utrāaur mūsā ko ūpar āne ke lie kahā.mūsā ūpar chaṛhā. 21rab ne mūsā sekahā, “fauran nīche utar kar logoṅ koḳhabardār kar ki wuh mujhe deḳhneke lie pahāṛ kī hudūd meṅ zabardastīdāḳhil na hoṅ. agar wuh aisā kareṅ to

Page 125: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 19:22 125

bahut se halāk ho jāeṅge. 22imām bhījo rab ke huzūr āte haiṅ apne āp komaḳhsūs-o-muqaddas kareṅ, warnāmerā ġhazab un par ṭūṭ paṛegā.”

23lekin mūsā ne rab se kahā, “logpahāṛ par nahīṅ ā sakte, kyūṅki tūne ḳhud hī hameṅ ḳhabardār kiyā kiham pahāṛ kī haddeṅ muqarrar karkeuse maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ.”

24rab ne jawāb diyā, “to bhī utarjā aur hārūn ko sāth le kar wāpas ā.lekin imāmoṅ aur logoṅ ko mat ānede. agar wuh zabardastī mere pās āeṅto merā ġhazab un par ṭūṭ paṛegā.”

25mūsā ne logoṅ ke pās utar karunheṅ yih bāteṅ batā dīṅ.

das ahkām

20 tab allāh ne yih tamām bāteṅfarmāīṅ, 2“maiṅ rab terā

ḳhudā hūṅ jo tujhe mulk-e-misr kīġhulāmī se nikāl lāyā. 3mere siwākisī aur mābūd kī parastish na karnā.4apne lie but na banānā. kisī bhīchīz kī mūrat na banānā, chāhe wuhāsmān meṅ, zamīn par yā samundarmeṅ ho. 5na butoṅ kī parastish, na unkī ḳhidmat karnā, kyūṅki maiṅ terārab ġhayūr ḳhudā hūṅ. jo mujh senafrat karte haiṅ unheṅ maiṅ tīsrī aurchauthī pusht tak sazā dūṅgā. 6lekinjo mujh se muhabbat rakhte aur mereahkām pūre karte haiṅ un par maiṅhazār pushtoṅ tak mehrbānī karūṅga.

7rab apne ḳhudā kā nām bemaqsadyā ġhalat maqsad ke lie istemāl nakarnā. jo bhī aisā kartā hai use rabsazā die baġhair nahīṅ chhoṛegā.

8sabat ke din kā ḳhayāl rakhnā. useis tarah manānā ki wuh maḳhsūs-o-muqaddas ho. 9hafte ke pahle chhihdin apnā kām-kāj kar, 10lekin sātwāṅdin rab tere ḳhudā kā ārām kā dinhai. us din kisī tarah kā kām nakarnā. na tū, na terā beṭā, na terībeṭī, na terā naukar, na terī naukarānīaur na tere maweshī. jo pardesī teredarmiyān rahtā hai wuh bhī kām nakare. 11kyūṅki rab ne pahle chhihdin meṅ āsmān-o-zamīn, samundaraur jo kuchh un meṅ hai banāyālekin sātweṅ din ārām kiyā. is lierab ne sabat ke din ko barkat de karmuqarrar kiyā ki wuh maḳhsūs aurmuqaddas ho.

12apne bāp aur apnī māṅ kī izzatkarnā. phir tū us mulk meṅ jo rabterā ḳhudā tujhe dene wālā hai dertak jītā rahegā.

13qatl na karnā.14zinā na karnā.15chorī na karnā.16apne paṛosī ke bāre meṅ jhūṭī

gawāhī na denā.17apne paṛosī ke ghar kā lālach na

karnā. na us kī bīwī kā, na us kenaukar kā, na us kī naukarānī kā, naus ke bail aur na us ke gadhe kā balkius kī kisī bhī chīz kā lālach na karnā.”

Page 126: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

126 ḳhurūj 21:6

log ghabrā jāte haiṅ18jab bāqī tamām logoṅ ne bādal kī

garaj aur narsinge kī āwāz sunī aurbijlī kī chamak aur pahāṛ se uṭhtehue dhueṅ ko dekhā to wuh ḳhauf kemāre kāṅpne lage aur pahāṛ se dūrkhaṛe ho gae. 19unhoṅ ne mūsā sekahā, “āp hī ham se bāt kareṅ to hamsuneṅge. lekin allāh ko ham se bāt nakarne deṅ warnā ham mar jāeṅge.”

20lekin mūsā ne un se kahā, “matḍaro, kyūṅki rab tumheṅ jāṅchneke lie āyā hai, tāki us kā ḳhauftumhārī āṅkhoṅ ke sāmne rahe aurtum gunāh na karo.” 21log dūr hī rahejabki mūsā us gahrī tārīkī ke qarībgayā jahāṅ allāh thā.

22tab rab ne mūsā se kahā,“isrāīliyoṅ ko batā, ‘tum ne ḳhuddekhā ki maiṅ ne āsmān parse tumhāre sāth bāteṅ kī haiṅ.23chunāṅche merī parastish ke sāthsāth apne lie sone yā chāṅdī kebut na banāo. 24mere lie miṭṭī kīqurbāngāh banā kar us par apnī bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ kī bhasmhone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅchaṛhānā. maiṅ tujhe wuh jagheṅdikhāūṅgā jahāṅ mere nām kī tāzīmmeṅ qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. aisītamām jaghoṅ par maiṅ tere pās ā kartujhe barkat dūṅgā.

25agar tū mere lie qurbāngāhbanāne kī ḳhātir patthar istemālkarnā chāhe to tarāshe hue patthar

istemāl na karnā. kyūṅki tū tarāshneke lie istemāl hone wāle auzār se uskī behurmatī karegā. 26qurbāngāh kosīṛhiyoṅ ke baġhair banānā hai tākius par chaṛhnī se tere libās ke nīchese terā nangāpan nazar na āe.’

21 isrāīliyoṅ ko yih ahkām batā,

ibrānī ġhulām ke huqūq2‘agar tū ibrānī ġhulām ḳharīde to

wuh chhih sāl terā ġhulām rahe. iske bād lāzim hai ki use āzād kar diyājāe. āzād hone ke lie use paise denekī zarūrat nahīṅ hogī.

3agar ġhulām ġhairshādīshudāhālat meṅ mālik ke ghar āyā ho towuh āzād ho kar akelā hī chalā jāe.agar wuh shādīshudā hālat meṅ āyāho to lāzim hai ki wuh apnī bīwīsamet āzād ho kar jāe. 4agar mālikne ġhulām kī shādī karāī aur bachchepaidā hue haiṅ to us kī bīwī aurbachche mālik kī milkiyat hoṅge.chhih sāl ke bād jab ġhulām āzādho kar jāe to us kī bīwī aur bachchemālik hī ke pās raheṅ.

5agar ġhulām kahe, “maiṅ apnemālik aur apne bīwī bachchoṅ semuhabbat rakhtā hūṅ, maiṅ āzādnahīṅ honā chāhtā” 6to ġhulām kāmālik use allāh ke sāmne lāe. wuhuse darwāze yā us kī chaukhaṭ ke pāsle jāe aur sutālī yānī tez auzār se us kekān kī lau chhed de. tab wuh zindagībhar us kā ġhulām banā rahegā.

Page 127: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 21:7 127

7agar koī apnī beṭī ko ġhulāmī meṅbech ḍāle to us ke lie āzādī milne kīsharāit mard se farq haiṅ. 8agar uske mālik ne use muntaḳhab kiyā kiwuh us kī bīwī ban jāe, lekin bād meṅwuh use pasand na āe to lāzim haiki wuh munāsib muāwazā le kar useus ke rishtedāroṅ ko wāpas kar de.use aurat ko ġhairmulkiyoṅ ke hāthbechne kā iḳhtiyār nahīṅ hai, kyūṅkius ne us ke sāth bewafā sulūk kiyāhai.

9agar launḍī kā mālik us kī apnebeṭe ke sāth shādī karāe to aurat kobeṭī ke huqūq hāsil hoṅge.

10agar mālik ne us se shādī karkebād meṅ dūsrī aurat se bhī shādī kī tolāzim hai ki wuh pahlī ko bhī khānāaur kapṛe detā rahe. is ke ilāwā uske sāth hambistar hone kā farz bhīadā karnā hai. 11agar wuh yih tīnfarāiz adā na kare to use aurat ko āzādkarnā paṛegā. is sūrat meṅ use muftāzād karnā hogā.

zaḳhmī karne kī sazā12jo kisī ko jān-būjh kar itnā saḳht

mārtā ho ki wuh mar jāe to use zarūrsazā-e-maut denā hai. 13lekin agar usne use jān-būjh kar na mārā balki yihittifāq se huā aur allāh ne yih honediyā, to mārne wālā ek aisī jagahpanāh le saktā hai jo maiṅ muqarrarkarūṅga. wahāṅ use qatl kie jānekī ijāzat nahīṅ hogī. 14lekin jo dīdā-

dānistā aur chālākī se kisī ko mārḍāltā hai use merī qurbāngāh se bhīchhīn kar sazā-e-maut denā hai.

15jo apne bāp yā apnī māṅ ko mārtāpīṭtā hai use sazā-e-maut dī jāe.

16jis ne kisī ko aġhwā kar liyā haiuse sazā-e-maut dī jāe, chāhe wuhuse ġhulām banā kar bech chukā hoyā use ab tak apne pās rakhā huā ho.

17jo apne bāp yā māṅ par lānat kareuse sazā-e-maut dī jāe.

18ho saktā hai ki ādmī jhagaṛeṅ aurek shaḳhs dūsre ko patthar yā mukkese itnā zaḳhmī kar de ki go wuh bachjāe wuh bistar se uṭh na saktā ho.19agar bād meṅ marīz yahāṅ tak shifāpāe ki dubārā uṭh kar lāṭhī ke sahārechal phir sake to choṭ pahuṅchānewāle ko sazā nahīṅ milegī. use sirf uswaqt ke lie muāwazā denā paṛegā jabtak marīz paise na kamā sake. sāth hīuse us kā pūrā ilāj karwānā hai.

20jo apne ġhulām yā launḍī ko lāṭhīse yūṅ māre ki wuh mar jāe use sazādī jāe. 21lekin agar ġhulām yā launḍīpiṭāī ke bād ek yā do din zindā raheto mālik ko sazā na dī jāe. kyūṅkijo raqm us ne us ke lie dī thī us kānuqsān use ḳhud uṭhānā paṛegā.

22ho saktā hai ki log āpas meṅlaṛ rahe hoṅ aur laṛte laṛte kisīhāmilā aurat se yūṅ ṭakrā jāeṅ kius kā bachchā zāe ho jāe. agarkoī aur nuqsān na huā ho to zarbpahuṅchāne wāle ko jurmānā denā

Page 128: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

128 ḳhurūj 22:1

paṛegā. aurat kā shauhar yihjurmānā muqarrar kare, aur adālatmeṅ is kī tasdīq ho.

23lekin agar us aurat ko aurnuqsān bhī pahuṅchā ho to phirzarb pahuṅchāne wāle ko is usūl kemutābiq sazā dī jāe ki jān ke badlejān, 24āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt kebadle dāṅt, hāth ke badle hāth, pāoṅke badle pāoṅ, 25jalne ke zaḳhm kebadle jalne kā zaḳhm, mār ke badlemār, kāṭ ke badle kāṭ.

26agar koī mālik apne ġhulām kīāṅkh par yūṅ māre ki wuh zāe ho jāeto use ġhulām ko āṅkh ke badle āzādkarnā paṛegā, chāhe ġhulām mard hoyā aurat. 27agar mālik ke pīṭne seġhulām kā dāṅt ṭūṭ jāe to use ġhulāmko dāṅt ke badle āzād karnā paṛegā,chāhe ġhulām mard ho yā aurat.

nuqsān kā muāwazā28agar koī bail kisī mard yā aurat ko

aisā māre ki wuh mar jāe to us bail kosangsār kiyā jāe. us kā gosht khānekī ijāzat nahīṅ hai. is sūrat meṅ bailke mālik ko sazā na dī jāe. 29lekinho saktā hai ki mālik ko pahle āgāhkiyā gayā thā ki bail logoṅ ko mārtāhai, to bhī us ne bail ko khulā chhoṛāthā jis ke natīje meṅ us ne kisī komār ḍālā. aisī sūrat meṅ na sirf bailko balki us ke mālik ko bhī sangsārkarnā hai. 30lekin agar faislā kiyā jāeki wuh apnī jān kā fidyā de to jitnā

muāwazā bhī muqarrar kiyā jāe usedenā paṛegā.

31sazā meṅ koī farq nahīṅ hai,chāhe beṭe ko mārā jāe yā beṭī ko.32lekin agar bail kisī ġhulām yā launḍīko mār de to us kā mālik ġhulām kemālik ko chāṅdī ke 30 sikke de aurbail ko sangsār kiyā jāe.

33ho saktā hai ki kisī ne apne hauzko khulā rahne diyā yā hauz banāneke lie gaṛhā khod kar use khulā rahnediyā aur koī bail yā gadhā us meṅgir kar mar gayā. 34aisī sūrat meṅhauz kā mālik murdā jānwar ke liepaise de. wuh jānwar ke mālik kous kī pūrī qīmat adā kare aur murdājānwar ḳhud le le.

35agar kisī kā bail kisī dūsre ke bailko aise māre ki wuh mar jāe to donoṅmālik zindā bail ko bech kar us kepaise āpas meṅ barābar bāṅṭ leṅ. isītarah wuh murdā bail ko bhī barābartaqsīm kareṅ. 36lekin ho saktā haiki mālik ko mālūm thā ki merā baildūsre jānwaroṅ par hamlā kartā hai,is ke bāwujūd us ne use āzād chhoṛdiyā thā. aisī sūrat meṅ use murdābail ke iwaz us ke mālik ko nayābail denā paṛegā, aur wuh murdā bailḳhud le le.

milkiyat kī hifāzat

22 jis ne koī bail yā bheṛ chorīkarke use zabah kiyā yā bech

ḍālā hai use har chorī ke bail ke iwaz

Page 129: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 22:2 129

pāṅch bail aur har chorī kī bheṛ keiwaz chār bheṛeṅ wāpas karnā hai.

2ho saktā hai ki koī chor naqb lagārahā ho aur log use pakaṛ kar yahāṅtak mārte pīṭte raheṅ ki wuh marjāe. agar rāt ke waqt aisā huā ho towuh us ke ḳhūn ke zimmādār nahīṅṭhahar sakte. 3lekin agar sūraj ke tulūhone ke bād aisā huā ho to jis ne usemārā wuh qātil ṭhahregā.

chor ko har churāī huī chīz kāiwazānā denā hai. agar us ke pāsdene ke lie kuchh na ho to useġhulām banā kar bechnā hai. jo paiseuse bechne ke iwaz mileṅ wuh churāīhuī chīzoṅ ke badle meṅ die jāeṅ.

4agar chorī kā jānwar chor ke pāszindā pāyā jāe to use har jānwar keiwaz do dene paṛeṅge, chāhe wuhbail, bheṛ, bakrī yā gadhā ho.

5ho saktā hai ki koī apne maweshīko apne khet yā angūr ke bāġh meṅchhoṛ kar charne de aur hote hotewuh kisī dūsre ke khet yā angūr kebāġh meṅ jā kar charne lage. aisīsūrat meṅ lāzim hai ki maweshī kāmālik nuqsān ke iwaz apne angūr kebāġh aur khet kī behtarīn paidāwārmeṅ se de.

6ho saktā hai ki kisī ne āg jalāī hoaur wuh kāṅṭedār jhāṛiyoṅ ke zarī’epaṛosī ke khet tak phail kar us ke anājke pūloṅ ko, us kī pakī huī fasal ko yākhet kī kisī aur paidāwār ko barbād

kar de. aisī sūrat meṅ jis ne āg jalāīho use us kī pūrī qīmat adā karnī hai.

7ho saktā hai ki kisī ne kuchh paiseyā koī aur māl apne kisī wāqifkārke sapurd kar diyā ho tāki wuh usemahfūz rakhe. agar yih chīzeṅ us keghar se chorī ho jāeṅ aur bād meṅchor ko pakaṛā jāe to chor ko us kīdugnī qīmat adā karnī paṛegī. 8lekinagar chor pakaṛā na jāe to lāzim haiki us ghar kā mālik jis ke sapurdyih chīzeṅ kī gaī thīṅ allāh ke huzūrkhaṛā ho tāki mālūm kiyā jāe ki us neḳhud yih māl chorī kiyā hai yā nahīṅ.

9ho saktā hai ki do logoṅ kā āpasmeṅ jhagaṛā ho, aur donoṅ kisīchīz ke bāre meṅ dāwā karte hoṅki yih merī hai. agar koī qīmtīchīz ho masalan bail, gadhā, bheṛ,bakrī, kapṛe yā koī khoī huī chīz tomuāmalā allāh ke huzūr lāyā jāe. jiseallāh qusūrwār qarār de use dūsre kozer-e-bahs chīz kī dugnī qīmat adākarnī hai.

10ho saktā hai ki kisī ne apnā koīgadhā, bail, bheṛ, bakrī yā koī aurjānwar kisī wāqifkār ke sapurd kardiyā tāki wuh use mahfūz rakhe.wahāṅ jānwar mar jāe yā zaḳhmī hojāe, yā koī us par qabzā karke useus waqt le jāe jab koī na dekh rahāho. 11yih muāmalā yūṅ hal kiyā jāeki jis ke sapurd jānwar kiyā gayāthā wuh rab ke huzūr qasam khā karkahe ki maiṅ ne apne wāqifkār ke

Page 130: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

130 ḳhurūj 22:27

jānwar ke lālach meṅ yih kām nahīṅkiyā. jānwar ke mālik ko yih qabūlkarnā paṛegā, aur dūsre ko is ke badlekuchh nahīṅ denā hogā. 12lekin agarwāqaī jānwar ko chorī kiyā gayā haito jis ke sapurd jānwar kiyā gayāthā use us kī qīmat adā karnī paṛegī.13agar kisī janglī jānwar ne use phāṛḍālā ho to wuh sabūt ke taur par phāṛīhuī lāsh ko le āe. phir use us kī qīmatadā nahīṅ karnī paṛegī.

14ho saktā hai ki koī apne wāqifkārse ijāzat le kar us kā jānwar istemālkare. agar jānwar ko mālik kīġhairmaujūdagī meṅ choṭ lage yāwuh mar jāe to us shaḳhs ko jis ke pāsjānwar us waqt thā us kā muāwazādenā paṛegā. 15lekin agar jānwar kāmālik us waqt sāth thā to dūsre komuāwazā dene kī zarūrat nahīṅ hogī.agar us ne jānwar ko kirāe par liyāho to us kā nuqsān kirāe se pūrā hojāegā.

laṛkī ko warġhalāne kā jurm16agar kisī kuṅwārī kī mangnī

nahīṅ huī aur koī mard use warġhalākar us se hambistar ho jāe to wuhmahr de kar us se shādī kare. 17lekinagar laṛkī kā bāp us kī us mard kesāth shādī karne se inkār kare, issūrat meṅ bhī mard ko kuṅwārī ke liemuqarrarā raqm denī paṛegī.

sazā-e-maut ke lāiq jarāim18jādūgarnī ko jīne na denā.19jo shaḳhs kisī jānwar ke sāth jinsī

tālluqāt rakhtā ho use sazā-e-maut dījāe.

20jo na sirf rab ko qurbāniyāṅ peshkare balki dīgar mābūdoṅ ko bhī useqaum se nikāl kar halāk kiyā jāe.

kamzoroṅ kī hifāzat ke lie ahkām21jo pardesī tere mulk meṅ

mehmān hai use na dabānā aur naus se burā sulūk karnā, kyūṅki tumbhī misr meṅ pardesī the.

22kisī bewā yā yatīm se burā sulūkna karnā. 23agar tū aisā kare aur wuhchillā kar mujh se faryād kareṅ tomaiṅ zarūr un kī sunūṅgā. 24maiṅbaṛe ġhusse meṅ ā kar tumheṅtalwār se mār ḍālūṅgā. phir tumhārībīwiyāṅ ḳhud bewāeṅ aur tumhārebachche ḳhud yatīm ban jāeṅge.

25agar tū ne merī qaum ke kisīġharīb ko qarz diyā hai to us se sūdna lenā.

26agar tujhe kisī se us kī chādargirwī ke taur par milī ho to use sūrajḍūbne se pahle hī wāpas kar denāhai, 27kyūṅki isī ko wuh sone ke lieistemāl kartā hai. warnā wuh kyāchīz oṛh kar soegā? agar tū chādarwāpas na kare aur wuh shaḳhs chillākar mujh se faryād kare to maiṅ us kīsunūṅgā, kyūṅki maiṅ mehrbān hūṅ.

Page 131: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 22:28 131

allāh se mutālliq farāiz28allāh ko na kosnā, na apnī qaum

ke kisī sardār par lānat karnā.29mujhe waqt par apne khet

aur kolhū’oṅ kī paidāwār meṅ senazarāne pesh karnā. apne pahlauṭhemujhe denā. 30apne bailoṅ, bheṛoṅaur bakriyoṅ ke pahlauṭhoṅ ko bhīmujhe denā. jānwar kā pahlauṭhāpahle sāt din apnī māṅ ke sāth rahe.āṭhweṅ din wuh mujhe diyā jāe.

31apne āp ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddas rakhnā. is lie aise jānwarkā gosht mat khānā jise kisī janglījānwar ne phāṛ ḍālā hai. aise goshtko kuttoṅ ko khāne denā.

adālat meṅ insāf aur dūsroṅ

se muhabbat

23 ġhalat afwāheṅ na phailānā.kisī sharīr ādmī kā sāth de

kar jhūṭī gawāhī denā manā hai.2agar aksariyat ġhalat kām kar rahīho to us ke pīchhe na ho lenā. adālatmeṅ gawāhī dete waqt aksariyat kesāth mil kar aisī bāt na karnā jis seġhalat faislā kiyā jāe. 3lekin adālatmeṅ kisī ġharīb kī tarafdārī bhī nakarnā.

4agar tujhe tere dushman kā bail yāgadhā āwārā phirtā huā nazar āe touse har sūrat meṅ wāpas kar denā.5agar tujh se nafrat karne wāle kāgadhā bojh tale gir gayā ho aur tujhe

patā lage to use na chhoṛnā balkizarūr us kī madad karnā.

6adālat meṅ ġharīb ke huqūq namārnā. 7aise muāmale se dūr rahnājis meṅ log jhūṭ bolte haiṅ. jobegunāh aur haq par hai use sazā-e-maut na denā, kyūṅki maiṅ qusūrwārko haq-ba-jānib nahīṅ ṭhahrāūṅgā.8rishwat na lenā, kyūṅki rishwatdeḳhne wāle ko andhā kar detī haiaur us kī bāt banane nahīṅ detī jo haqpar hai.

9jo pardesī tere mulk meṅ mehmānhai us par dabāo na ḍālnā. tumaise logoṅ kī hālat se ḳhūb wāqif ho,kyūṅki tum ḳhud misr meṅ pardesīrahe ho.

sabat kā sāl aur sabat10chhih sāl tak apnī zamīn meṅ bīj

bo kar us kī paidāwār jamā karnā.11lekin sātweṅ sāl zamīn ko istemālna karnā balki use paṛe rahne denā.jo kuchh bhī uge wuh qaum ke ġharīblog khāeṅ. jo un se bach jāe use janglījānwar khāeṅ. apne angūr aur zaitūnke bāġhoṅ ke sāth bhī aisā hī karnāhai.

12chhih din apnā kām-kāj karnā,lekin sātweṅ din ārām karnā. phirterā bail aur terā gadhā bhī ārām karsakeṅge, terī launḍī kā beṭā aur teresāth rahne wālā pardesī bhī tāzādamho jāeṅge.

Page 132: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

132 ḳhurūj 23:26

13jo bhī hidāyat maiṅ ne dī haius par amal kar. dīgar mābūdoṅ kīparastish na karnā. maiṅ tere muṅhse un ke nāmoṅ tak kā zikr na sunūṅ.

tīn ḳhās īdeṅ14sāl meṅ tīn dafā merī tāzīm meṅ

īd manānā. 15pahle, beḳhamīrī roṭīkī īd manānā. abīb ke mahīnea meṅsāt din tak terī roṭī meṅ ḳhamīr naho jis tarah maiṅ ne hukm diyā hai,kyūṅki is mahīne meṅ tū misr seniklā. in dinoṅ meṅ koī mere huzūrḳhālī hāth na āe. 16dūsre, faslkaṭāīkī īd us waqt manānā jab tū apnekhet meṅ boī huī pahlī fasal kāṭegā.tīsre, jamā karne kī īd fasal kī kaṭāīke iḳhtitāmb par manānā hai jab tū neangūr aur bāqī bāġhoṅ ke phal jamākie hoṅge. 17yūṅ tere tamām mard tīnmartabā rab qādir-e-mutlaq ke huzūrhāzir huā kareṅ.

18jab tū kisī jānwar ko zabah karkequrbānī ke taur par pesh kare to us keḳhūn ke sāth aisī roṭī pesh na karnājis meṅ ḳhamīr ho. aur jo jānwar tūmerī īdoṅ par chaṛhāe un kī charbīaglī subh tak bāqī na rahe.

19apnī zamīn kī pahlī paidāwār kābehtarīn hissā rab apne ḳhudā keghar meṅ lānā.

bheṛ yā bakrī ke bachche ko us kīmāṅ ke dūdh meṅ na pakānā.

rab kā farishtā rāhnumāī karegā20maiṅ tere āge āge farishtā bhejtā

hūṅ jo rāste meṅ terī hifāzat karegāaur tujhe us jagah tak le jāegā jomaiṅ ne tere lie tayyār kī hai. 21uskī maujūdagī meṅ ehtiyāt baratnā.us kī sunanā, aur us kī ḳhilāfwarzīna karnā. agar tū sarkash ho jāe towuh tujhe muāf nahīṅ karegā, kyūṅkimerā nām us meṅ hāzir hogā. 22lekinagar tū us kī sune aur sab kuchhkare jo maiṅ tujhe batātā hūṅ to maiṅtere dushmanoṅ kā dushman aur teremuḳhālifoṅ kā muḳhālif hūṅgā.

23kyūṅki merā farishtā tere āge āgechalegā aur tujhe mulk-e-kan’ān takpahuṅchā degā jahāṅ amorī, hittī,farizzī, kan’ānī, hiwwī aur yabūsīābād haiṅ. tab maiṅ unheṅ rū-e-zamīn par se miṭā dūṅgā. 24un kemābūdoṅ ko sijdā na karnā, na un kīḳhidmat karnā. un ke rasm-o-riwājbhī na apnānā balki un ke butoṅ kotabāh kar denā. jin satūnoṅ ke sāmnewuh ibādat karte haiṅ un ko bhī ṭukṛeṭukṛe kar ḍālnā. 25rab apne ḳhudā kīḳhidmat karnā. phir maiṅ terī ḳhurākaur pānī ko barkat de kar tamāmbīmāriyāṅ tujh se dūr karūṅga. 26phirtere mulk meṅ na kisī kā bachchā zāehogā, na koī bāṅjh hogī. sāth hī maiṅtujhe tawīl zindagī atā karūṅga.

amārch tā aprail. bsitambar tā aktūbar.

Page 133: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 23:27 133

27maiṅ tere āge āge dahshatphailāūṅgā. jahāṅ bhī tū jāegā wahāṅmaiṅ tamām qaumoṅ meṅ abtarīpaidā karūṅga. mere sabab se teresāre dushman palaṭ kar bhāg jāeṅge.28maiṅ tere āge zambūr bhej dūṅgājo hiwwī, kan’ānī aur hittī ko mulkchhoṛne par majbūr kareṅge. 29lekinjab tū wahāṅ pahuṅchegā to maiṅunheṅ ek hī sāl meṅ mulk se nahīṅnikālūṅgā. warnā pūrā mulk wīrānho jāegā aur janglī jānwar phail kartere lie nuqsān kā bāis ban jāeṅge.30is lie maiṅ tere pahuṅchne par mulkke bāshindoṅ ko thoṛā thoṛā karkenikāltā jāūṅgā. itne meṅ terī tādādbaṛhegī aur tū raftā raftā mulk parqabzā kar sakegā.

31maiṅ terī sarhaddeṅ muqarrarkarūṅga. bahr-e-qulzum ek hadhogī aur filistiyoṅ kā samundardūsrī, junūb kā registān ek hogī aurdaryā-e-furāt dūsrī. maiṅ mulk kebāshindoṅ ko tere qabze meṅ kardūṅgā, aur tū unheṅ apne āge āgemulk se dūr kartā jāegā. 32lāzim haiki tū un ke sāth yā un ke mābūdoṅke sāth ahd na bāndhe. 33un kā teremulk meṅ rahnā manā hai, warnā tūun ke sabab se merā gunāh karegā.agar tū un ke mābūdoṅ kī ibādatkaregā to yih tere lie phandā banjāegā’.”

rab isrāīl se ahd bāndhtā hai

24 rab ne mūsā se kahā, “tū,hārūn, nadab, abīhū aur

isrāīl ke 70 buzurg mere pās ūpar āeṅ.kuchh fāsile par khaṛe ho kar mujhesijdā karo. 2sirf tū akelā hī mere qarībā, dūsre dūr raheṅ. aur qaum ke bāqīlog tere sāth pahāṛ par na chaṛheṅ.”

3tab mūsā ne qaum ke pās jā karrab kī tamām bāteṅ aur ahkām peshkie. jawāb meṅ sab ne mil kar kahā,“ham rab kī in tamām bātoṅ par amalkareṅge.”

4tab mūsā ne rab kī tamām bāteṅlikh līṅ. agle din wuh subhsawereuṭhā aur pahāṛ ke pās gayā. us kedāman meṅ us ne qurbāngāh banāī.sāth hī us ne isrāīl ke har ek qabīle kelie ek ek patthar kā satūn khaṛā kiyā.5phir us ne kuchh isrāīlī naujawānoṅko qurbānī pesh karne ke lie bulāyātāki wuh rab kī tāzīm meṅ bhasmhone wālī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ aurjawān bailoṅ ko salāmatī kī qurbānīke taur par pesh kareṅ. 6mūsā nequrbāniyoṅ kā ḳhūn jamā kiyā. uskā ādhā hissā us ne bāsanoṅ meṅ ḍāldiyā aur ādhā hissā qurbāngāh parchhiṛak diyā.

7phir us ne wuh kitāb lī jis meṅrab ke sāth ahd kī tamām sharāitdarj thīṅ aur use qaum ko paṛh karsunāyā. jawāb meṅ unhoṅ ne kahā,“ham rab kī in tamām bātoṅ par amalkareṅge. ham us kī suneṅge.” 8is par

Page 134: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

134 ḳhurūj 25:9

mūsā ne bāsanoṅ meṅ se ḳhūn le karuse logoṅ par chhiṛkā aur kahā, “yihḳhūn us ahd kī tasdīq kartā hai jo rabne tumhāre sāth kiyā hai aur jo us kītamām bātoṅ par mabnī hai.”

9is ke bād mūsā, hārūn, nadab,abīhū aur isrāīl ke 70 buzurg sīnāpahāṛ par chaṛhe. 10wahāṅ unhoṅ neisrāīl ke ḳhudā ko dekhā. lagtā thā kius ke pāoṅ ke nīche sang-e-lājawardkā sā taḳhtā thā. wuh āsmān kīmānind sāf-o-shaffāf thā. 11agarcheisrāīl ke rāhnumāoṅ ne yih sab kuchhdekhā to bhī rab ne unheṅ halāk nakiyā, balki wuh allāh ko deḳhte raheaur us ke huzūr ahd kā khānā khāteaur pīte rahe.

patthar kī taḳhtiyāṅ12pahāṛ se utarne ke bād rab ne

mūsā se kahā, “mere pās pahāṛ par ākar kuchh der ke lie ṭhahre rahnā.maiṅ tujhe patthar kī taḳhtiyāṅdūṅgā jin par maiṅ ne apnī sharīataur ahkām likhe haiṅ aur jo isrāīl kītālīm-o-tarbiyat ke lie zarūrī haiṅ.”

13mūsā apne madadgār yashūa kesāth chal paṛā aur allāh ke pahāṛ parchaṛh gayā. 14pahle us ne buzurgoṅse kahā, “hamārī wāpasī ke intizārmeṅ yahāṅ ṭhahre raho. hārūn aurhūr tumhāre pās raheṅge. koī bhīmuāmalā ho to log un hī ke pās jāeṅ.”

mūsā rab se miltā hai15jab mūsā chaṛhnī lagā to pahāṛ

par bādal chhā gayā. 16rab kā jalālkoh-e-sīnā par utar āyā. chhih dintak bādal us par chhāyā rahā. sātweṅdin rab ne bādal meṅ se mūsā kobulāyā. 17rab kā jalāl isrāīliyoṅ ko bhīnazar ātā thā. unheṅ yūṅ lagā jaisā kipahāṛ kī choṭī par tez āg bhaṛak rahīho. 18chaṛhte chaṛhte mūsā bādalmeṅ dāḳhil huā. wahāṅ wuh chālīsdin aur chālīs rāt rahā.

mulāqāt kā ḳhaimā banāne ke lie hadie

25 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batā ki wuh

hadie lā kar mujhe uṭhāne wālīqurbānī ke taur par pesh kareṅ. lekinsirf un se hadie qabūl karo jo dilīḳhushī se deṅ. 3un se yih chīzeṅhadie ke taur par qabūl karo: sonā,chāṅdī, pītal; 4nīle, arġhawānī aurqirmizī rang kā dhāgā, bārīk katān,bakrī ke bāl, 5menḍhoṅ kī surḳh rangīhuī khāleṅ, taḳhasa kī khāleṅ, kīkarkī lakaṛī, 6shamādān ke lie zaitūnkā tel, masah karne ke lie tel aurḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle,7aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhir joimām-e-āzam ke bālāposh aur sīneke kīse meṅ jaṛe jāeṅge. 8in chīzoṅ selog mere lie maqdis banāeṅ tāki maiṅun ke darmiyān rahūṅ. 9maiṅ tujhe

aġhāliban is matrūk ibrānī lafz se murād koīsamundarī jānwar hai.

Page 135: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 25:10-12 135

maqdis aur us ke tamām sāmān kānamūnā dikhāūṅgā, kyūṅki tumheṅsab kuchh ain usī ke mutābiq banānāhai.

ahd kā sandūq10-12log kīkar kī lakaṛī kā sandūq

banāeṅ. us kī lambāī paune chārfuṭ ho jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāīsawā do do fuṭ ho. pūre sandūqpar andar aur bāhar se ḳhālis sonāchaṛhānā. ūpar kī satah ke irdgirdsone kī jhālar lagānā. sandūq kouṭhāne ke lie sone ke chār kaṛe ḍhālkar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ parlagānā. donoṅ taraf do do kaṛe hoṅ.13phir kīkar kī do lakaṛiyāṅ sandūqko uṭhāne ke lie tayyār karnā. un parsonā chaṛhā kar 14un ko donoṅ tarafke kaṛoṅ meṅ ḍālnā tāki un se sandūqko uṭhāyā jāe. 15yih lakaṛiyāṅ sandūqke in kaṛoṅ meṅ paṛī raheṅ. unheṅkabhī bhī dūr na kiyā jāe. 16sandūqmeṅ sharīat kī wuh do taḳhtiyāṅrakhnā jo maiṅ tujhe dūṅgā.

17sandūq kā ḍhaknā ḳhālis sone kābanānā. us kī lambāī paune chār fuṭaur chauṛāī sawā do fuṭ ho. us kānām kaffāre kā ḍhaknā hai. 18-19sonese ghaṛ kar do karūbī farishte banāejāeṅ jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ parkhaṛe hoṅ. yih do farishte aurḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāne haiṅ.20farishtoṅ ke par yūṅ ūpar kī tarafphaile hue hoṅ ki wuh ḍhakne ko

panāh deṅ. un ke muṅh ek dūsre kītaraf kie hue hoṅ, aur wuh ḍhakne kītaraf dekheṅ.

21ḍhakne ko sandūq par lagā,aur sandūq meṅ sharīat kī wuh dotaḳhtiyāṅ rakh jo maiṅ tujhe dūṅgā.22wahāṅ ḍhakne ke ūpar donoṅfarishtoṅ ke darmiyān se maiṅ apneāp ko tujh par zāhir karke tujh sehamkalām hūṅgā aur tujhe isrāīliyoṅke lie tamām ahkām dūṅgā.

maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez23kīkar kī lakaṛī kī mez banānā. us

kī lambāī tīn fuṭ, chauṛāī ḍeṛh fuṭaur ūṅchāī sawā do fuṭ ho. 24uspar ḳhālis sonā chaṛhānā, aur us keirdgird sone kī jhālar lagānā. 25mezkī ūpar kī satah par chaukhaṭā lagānājis kī ūṅchāī tīn inch ho aur jis parsone kī jhālar lagī ho. 26sone ke chārkaṛe ḍhāl kar unheṅ chāroṅ konoṅpar lagānā jahāṅ mez ke pāe lagehaiṅ. 27yih kaṛe mez kī satah par lagechaukhaṭe ke nīche lagāe jāeṅ. unmeṅ wuh lakaṛiyāṅ ḍālnī haiṅ jin semez ko uṭhāyā jāegā. 28yih lakaṛiyāṅbhī kīkar kī hoṅ aur un par sonāchaṛhāyā jāe. un se mez ko uṭhānāhai.

29us ke thāl, pyāle, martabān aurmai kī nazareṅ pesh karne ke bartanḳhālis sone se banānā hai. 30mez parwuh roṭiyāṅ har waqt mere huzūrpaṛī raheṅ jo mere lie maḳhsūs haiṅ.

Page 136: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

136 ḳhurūj 26:12

shamādān31ḳhālis sone kā shamādān bhī

banānā. us kā pāyā aur ḍanḍī ghaṛkar banānā hai. us kī pyāliyāṅ jophūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī hoṅgīpāe aur ḍanḍī ke sāth ek hī ṭukṛāhoṅ. 32ḍanḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraftīn tīn shāḳheṅ nikleṅ. 33har shāḳhpar tīn pyāliyāṅ lagī hoṅ jo bādām kīkaliyoṅ aur phūloṅ kī shakl kī hoṅ.34shamādān kī ḍanḍī par bhī is qismkī pyāliyāṅ lagī hoṅ, lekin tādād meṅchār. 35in meṅ se tīn pyāliyāṅ dāeṅbāeṅ kī chhih shāḳhoṅ ke nīche lagīhoṅ. wuh yūṅ lagī hoṅ ki har pyālīse do shāḳheṅ nikleṅ. 36shāḳheṅaur pyāliyāṅ balki pūrā shamādānḳhālis sone ke ek hī ṭukṛe se ghaṛ karbanānā hai.

37shamādān ke lie sāt charāġh banākar unheṅ yūṅ shāḳhoṅ par rakhnā kiwuh sāmne kī jagah raushan kareṅ.38battī katarne kī qainchiyāṅ aur jaltekoele ke lie chhoṭe bartan bhī ḳhālissone se banāe jāeṅ. 39shamādān aurus sāre sāmān ke lie pūre 34 kilogrāmḳhālis sonā istemāl kiyā jāe. 40ġhaurkar ki sab kuchh ain us namūne kemutābiq banāyā jāe jo maiṅ tujheyahāṅ pahāṛ par dikhātā hūṅ.

mulāqāt kā ḳhaimā

26 muqaddas ḳhaime ke lie dasparde banānā. un ke lie bārīk

katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī

rang kā dhāgā istemāl karnā. pardoṅmeṅ kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī kekām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāinbanwānā. 2har parde kī lambāī 42 fuṭaur chauṛāī 6 fuṭ ho. 3pāṅch pardoṅke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛejāeṅ aur isī tarah bāqī pāṅch bhī. yūṅdo baṛe ṭukṛe ban jāeṅge. 4donoṅṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāneke lie nīle dhāge ke halqe banānā.yih halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ wāleek kināre par lagāe jāeṅ, 5ek ṭukṛeke hāshie par 50 halqe aur dūsre parbhī utne hī halqe. in do hāshiyoṅ kehalqe ek dūsre ke āmne-sāmne hoṅ.6phir sone kī 50 hukeṅ banā kar unse āmne-sāmne ke halqe ek dūsre kesāth milānā. yūṅ donoṅ ṭukṛe juṛ karḳhaime kā kām deṅge.

7bakrī ke bāloṅ se bhī 11 pardebanānā jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime keūpar rakhā jāe. 8har parde kī lambāī45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho. 9pāṅchpardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre kesāth joṛe jāeṅ aur isī tarah bāqī chhihbhī. in chhih pardoṅ ke chhaṭe pardeko ek dafā tah karnā. yih sāmne wālehisse se laṭke.

10bakrī ke bāl ke in donoṅ ṭukṛoṅko bhī milānā hai. is ke lie har ṭukṛeke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachāspachās halqe lagānā. 11phir pītalkī 50 hukeṅ banā kar un se donoṅhisse milānā. 12jab bakriyoṅ ke bāloṅkā yih ḳhaimā kapṛe ke ḳhaime ke

Page 137: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 26:13 137

ūpar lagāyā jāegā to ādhā pardā bāqīrahegā. wuh ḳhaime kī pichhlī taraflaṭkā rahe. 13ḳhaime ke dāīṅ aur bāīṅtaraf bakrī ke bāloṅ kā ḳhaimā kapṛeke ḳhaime kī nisbat ḍeṛh ḍeṛh fuṭlambā hogā. yūṅ wuh donoṅ taraflaṭke hue kapṛe ke ḳhaime ko mahfūzrakhegā.

14ek dūsre ke ūpar ke in donoṅḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie do ġhilāfbanāne haiṅ. bakrī ke bāloṅ keḳhaime par menḍhoṅ kī surḳh rangīhuī khāleṅ joṛ kar rakhī jāeṅ aur unpar taḳhas kī khāleṅ milā kar rakhījāeṅ.

15kīkar kī lakaṛī ke taḳhte banānā jokhaṛe kie jāeṅ tāki ḳhaime kī dīwāroṅkā kām deṅ. 16har taḳhte kī ūṅchāī15 fuṭ ho aur chauṛāī sawā do fuṭ.17har taḳhte ke nīche do do chūleṅhoṅ. yih chūleṅ har taḳhte ko uske pāiyoṅ ke sāth joṛeṅgī tāki taḳhtākhaṛā rahe. 18ḳhaime kī junūbī dīwārke lie 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai 19aursāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. un partaḳhte khaṛe kie jāeṅge. har taḳhteke nīche do pāe hoṅge, aur har pāemeṅ ek chūl lagegī. 20isī tarah ḳhaimekī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhtoṅkī zarūrat hai 21aur sāth hī chāṅdī ke40 pāiyoṅ kī. wuh bhī taḳhtoṅ kokhaṛā karne ke lie haiṅ. har taḳhteke nīche do pāe hoṅge. 22ḳhaimekī pichhlī yānī maġhribī dīwār kelie chhih taḳhte banānā. 23is dīwār

ko shimālī aur junūbī dīwāroṅ kesāth joṛne ke lie kone wāle do taḳhtebanānā. 24in do taḳhtoṅ meṅ nīchese le kar ūpar tak konā ho tāki ekse shimālī dīwār maġhribī dīwār kesāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīwārmaġhribī dīwār ke sāth. in ke ūpar kesire kaṛoṅ se mazbūt kie jāeṅ. 25yūṅpichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrītādād 8 hogī aur in ke lie chāṅdī kepāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte kenīche do do pāe hoṅge.

26-27is ke ilāwā kīkar kī lakaṛī keshahtīr banānā, tīnoṅ dīwāroṅ ke liepāṅch pāṅch shahtīr. wuh har dīwārke taḳhtoṅ par yūṅ lagāe jāeṅ kiwuh unheṅ ek dūsre ke sāth milāeṅ.28darmiyānī shahtīr dīwār kī ādhīūṅchāī par dīwār ke ek sire se dūsresire tak lagāyā jāe. 29shahtīroṅ kotaḳhtoṅ ke sāth lagāne ke lie sone kekaṛe banā kar taḳhtoṅ meṅ lagānā.tamām taḳhtoṅ aur shahtīroṅ parsonā chaṛhānā.

30pūre muqaddas ḳhaime ko usīnamūne ke mutābiq banānā jo maiṅtujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.

muqaddas ḳhaime ke parde31ab ek aur pardā banānā. is ke lie

bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānīaur qirmizī rang kā dhāgā istemālkarnā. us par bhī kisī māhir kārīgarke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅkā ḍizāin banwānā. 32ise sone kī

Page 138: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

138 ḳhurūj 27:12

hukoṅ se kīkar kī lakaṛī ke chārsatūnoṅ se laṭkānā. in satūnoṅ parsonā chaṛhāyā jāe aur wuh chāṅdī kepāiyoṅ par khaṛe hoṅ. 33yih pardāmuqaddas kamre ko muqaddastarīnkamre se alag karegā jis meṅ ahd kāsandūq paṛā rahegā. parde ko laṭkāneke bād us ke pīchhe muqaddastarīnkamre meṅ ahd kā sandūq rakhnā.34phir ahd ke sandūq par kaffāre kāḍhaknā rakhnā.

35jis mez par mere lie maḳhsūskī gaī roṭiyāṅ paṛī rahtī haiṅ wuhparde ke bāhar muqaddas kamre meṅshimāl kī taraf rakhī jāe. us kemuqābil junūb kī taraf shamādānrakhā jāe.

36phir ḳhaime ke darwāze ke lie bhīpardā banāyā jāe. is ke lie bhī bārīkkatān aur nīle, arġhawānī aur qirmizīrang kā dhāgā istemāl kiyā jāe. is parkaṛhāī kā kām kiyā jāe.

37is parde ko sone kī hukoṅ se kīkarkī lakaṛī ke pāṅch satūnoṅ se laṭkānā.in satūnoṅ par bhī sonā chaṛhāyā jāe,aur wuh pītal ke pāiyoṅ par khaṛehoṅ.

jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh

27 kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāhbanānā. us kī ūṅchāī sāṛhe

chār fuṭ ho jabki us kī lambāī aurchauṛāī sāṛhe sāt sāt fuṭ ho. 2us keūpar chāroṅ konoṅ meṅ se ek ek sīṅgnikle. sīṅg aur qurbāngāh ek hī ṭukṛe

ke hoṅ. sab par pītal chaṛhānā. 3uskā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhīpītal ke hoṅ yānī rākh ko uṭhā kar lejāne kī bālṭiyāṅ, belche, kāṅṭe, jaltehue koele ke lie bartan aur chhiṛkāoke kaṭore.

4qurbāngāh ko uṭhāne ke lie pītalkā janglā banānā jo ūpar se khulāho. jangle ke chāroṅ konoṅ parkaṛe lagāe jāeṅ. 5qurbāngāh kīādhī ūṅchāī par kinārā lagānā, aurqurbāngāh ko jangle meṅ is kināretak rakhā jāe. 6use uṭhāne ke lie kīkarkī do lakaṛiyāṅ banānā jin par pītalchaṛhānā hai. 7un ko qurbāngāh kedonoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl denā.

8pūrī qurbāngāh lakaṛī kī ho, lekinandar se khokhlī ho. use ain usnamūne ke mutābiq banānā jo maiṅtujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.

ḳhaime kā sahan9muqaddas ḳhaime ke lie sahan

banānā. us kī chārdīwārī bārīk katānke kapṛe se banāī jāe. chārdīwārīkī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭho. 10kapṛe ko chāṅdī kī hukoṅ aurpaṭṭiyoṅ se lakaṛī ke 20 khamboṅ kesāth lagāyā jāe. har khambā pītalke pāe par khaṛā ho. 11chārdīwārīshimāl kī taraf bhī isī kī mānind ho.12ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī tarafchārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aurkapṛā lakaṛī ke 10 khamboṅ ke sāth

Page 139: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 27:13 139

lagāyā jāe. yih khambe bhī pītal kepāiyoṅ par khaṛe hoṅ.

13sāmne, mashriq kī taraf jahāṅse sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kīchauṛāī bhī 75 fuṭ ho. 14-15yahāṅchārdīwārī kā darwāzā ho. kapṛādarwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭchauṛā ho aur us ke bāīṅ taraf bhīutnā hī chauṛā. use donoṅ taraf tīntīn lakaṛī ke khamboṅ ke sāth lagāyājāe jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.16darwāze kā pardā 30 fuṭ chauṛābanānā. wuh nīle, arġhawānī aurqirmizī rang ke dhāge aur bārīk katānse banāyā jāe, aur us par kaṛhāī kākām ho. yih kapṛā lakaṛī ke chārkhamboṅ ke sāth lagāyā jāe. wuh bhīpītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.

17tamām khambe pītal ke pāiyoṅpar khaṛe hoṅ aur kapṛā chāṅdī kīhukoṅ aur paṭṭiyoṅ se har khambeke sāth lagāyā jāe. 18chārdīwārī kīlambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aurūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ ho. khamboṅ ketamām pāe pītal ke hoṅ. 19jo bhīsāz-o-sāmān muqaddas ḳhaime meṅistemāl kiyā jātā hai wuh sab pītalkā ho. ḳhaime aur chārdīwārī kīmeḳheṅ bhī pītal kī hoṅ.

shamādān kā tel20isrāīliyoṅ ko hukm denā ki wuh

tere pās kūṭe hue zaitūnoṅ kā ḳhālistel lāeṅ tāki muqaddas kamre keshamādān ke charāġh mutawātir

jalte raheṅ. 21hārūn aur us ke beṭeshamādān ko mulāqāt ke ḳhaime kemuqaddas kamre meṅ rakheṅ, usparde ke sāmne jis ke pīchhe ahdkā sandūq hai. us meṅ wuh tel ḍālteraheṅ tāki wuh rab ke sāmne shām sele kar subh tak jaltā rahe. isrāīliyoṅkā yih usūl abad tak qāim rahe.

imāmoṅ ke libās

28 apne bhāī hārūn aur us kebeṭoṅ nadab, abīhū, ilīazar

aur itamar ko bulā. maiṅ ne unheṅisrāīliyoṅ meṅ se chun liyā hai tākiwuh imāmoṅ kī haisiyat se merīḳhidmat kareṅ. 2apne bhāī hārūnke lie muqaddas libās banwānā jopurwaqār aur shāndār hoṅ. 3libāsbanāne kī zimmādārī un tamāmlogoṅ ko denā jo aise kāmoṅ meṅmāhir haiṅ aur jin ko maiṅ ne hikmatkī rūh se bhar diyā hai. kyūṅki jabhārūn ko maḳhsūs kiyā jāegā aurwuh muqaddas ḳhaime kī ḳhidmatsaranjām degā to use in kapṛoṅ kīzarūrat hogī.

4us ke lie yih libās banāne haiṅ:sīne kā kīsā, bālāposh, choġhā, bunāhuā zerjāmā, pagaṛī aur kamarband.yih kapṛe apne bhāī hārūn aur uske beṭoṅ ke lie banwāne haiṅ tākiwuh imām ke taur par ḳhidmat karsakeṅ. 5in kapṛoṅ ke lie sonā aur nīle,arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgāaur bārīk katān istemāl kiyā jāe.

Page 140: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

140 ḳhurūj 28:21

hārūn kā bālāposh6bālāposh ko bhī sone aur nīle,

arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāgeaur bārīk katān se banānā hai. uspar kisī māhir kārīgar se kaṛhāī kākām karwāyā jāe. 7us kī do paṭṭiyāṅhoṅ jo kandhoṅ par rakh kar sāmneaur pīchhe se bālāposh ke sāth lagīhoṅ. 8is ke ilāwā ek paṭkā bunanā haijis se bālāposh ko bāndhā jāe aur jobālāposh ke sāth ek ṭukṛā ho. us ke liebhī sonā, nīle, arġhawānī aur qirmizīrang kā dhāgā aur bārīk katān istemālkiyā jāe.

9phir aqīq-e-ahmar ke do pattharchun kar un par isrāīl ke bārah beṭoṅke nām kandā karnā. 10har jauharpar chhih chhih nām un kī paidāishkī tartīb ke mutābiq kandā kie jāeṅ.11yih nām us tarah jauharoṅ parkandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandākī jātī hai. phir donoṅ jauhar sone keḳhānoṅ meṅ jaṛ kar 12bālāposh kī dopaṭṭiyoṅ par aise lagānā ki kandhoṅpar ā jāeṅ. jab hārūn mere huzūrāegā to jauharoṅ par ke yih nām uske kandhoṅ par hoṅge aur mujheisrāīliyoṅ kī yād dilāeṅge.

13sone ke ḳhāne banānā 14aurḳhālis sone kī do zanjīreṅ jo ḍorī kītarah gundhī huī hoṅ. phir in dozanjīroṅ ko sone ke ḳhānoṅ ke sāthlagānā.

sīne kā kīsā15sīne ke lie kīsā banānā. us meṅ

wuh qur’e paṛe raheṅ jin kī mārifatmerī marzī mālūm kī jāegī. māhirkārīgar use un hī chīzoṅ se banāe jinse hārūn kā bālāposh banāyā gayāhai yānī sone aur nīle, arġhawānī aurqirmizī rang ke dhāge aur bārīk katānse. 16jab kapṛe ko ek dafā tah kiyāgayā ho to kīse kī lambāī aur chauṛāīnau nau inch ho.

17us par chār qatāroṅ meṅ jawāhirjaṛnā. har qatār meṅ tīn tīnjauhar hoṅ. pahlī qatār meṅ lāl,a

zabarjadb aur zumurrad. 18dūsrī meṅfīrozā, sang-e-lājawardc aur hajr-ul-qamar.d 19tīsrī meṅ zarqon,e aqīq f auryāqūt-e-arġhawānī.g 20chauthī meṅpukhrāj,h aqīq-e-ahmar i aur yashab.j

har jauhar sone ke ḳhāne meṅ jaṛāhuā ho. 21yih bārah jawāhir isrāīl kebārah qabīloṅ kī numāindagī karte

ayā ek qism kā surḳh aqīq. yād rahe kichūṅki qadīm zamāne ke aksar jawāhirāt kenām matrūk haiṅ yā un kā matlab badal gayāhai, is lie un kā muḳhtalif tarjumā ho saktāhai.bperidotclapis lazuli

dmoonstoneehyacinthfagategamethysthtopasicarnelianjjasper

Page 141: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 28:22 141

haiṅ. ek ek jauhar par ek qabīle kānām kandā kiyā jāe. yih nām us tarahkandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandākī jātī hai.

22sīne ke kīse par ḳhālis sone kīdo zanjīreṅ lagānā jo ḍorī kī tarahgundhī huī hoṅ. 23unheṅ lagāne kelie do kaṛe banā kar kīse ke ūpar kedo konoṅ par lagānā. 24ab donoṅzanjīreṅ un do kaṛoṅ se lagānā. 25unke dūsre sire bālāposh kī kandhoṅwālī paṭṭiyoṅ ke do ḳhānoṅ ke sāthjoṛ denā, phir sāmne kī taraf lagānā.26kīse ke nichle do konoṅ par bhīsone ke do kaṛe lagānā. wuh andar,bālāposh kī taraf lage hoṅ. 27abdo aur kaṛe banā kar bālāposh kīkandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ par lagānā.yih bhī sāmne kī taraf lage hoṅ lekinnīche, bālāposh ke paṭke ke ūpar hī.28sīne ke kīse ke nichle kaṛe nīlī ḍorīse bālāposh ke in nichle kaṛoṅ kesāth bāndhe jāeṅ. yūṅ kīsā paṭke keūpar achchhī tarah sīne ke sāth lagārahegā.

29jab bhī hārūn maqdis meṅ dāḳhilho kar rab ke huzūr āegā wuh isrāīlīqabīloṅ ke nām apne dil par sīne kekīse kī sūrat meṅ sāth le jāegā. yūṅwuh qaum kī yād dilātā rahegā.

30sīne ke kīse meṅ donoṅ qur’ebanām ūrīm aur tummīm rakhe jāeṅ.wuh bhī maqdis meṅ rab ke sāmneāte waqt hārūn ke dil par hoṅ. yūṅjab hārūn rab ke huzūr hogā to rab kī

marzī pūchhne kā wasīlā hameshā uske dil par hogā.

hārūn kā choġhā31choġhā bhī bunanā. wuh pūrī

tarah nīle dhāge se banāyā jāe.choġhe ko bālāposh se pahle pahnājāe. 32us ke garebān ko bune huekālar se mazbūt kiyā jāe tāki wuhna phaṭe. 33nīle, arġhawānī aurqirmizī rang ke dhāge se anār banākar unheṅ choġhe ke dāman meṅlagā denā. un ke darmiyān sone kīghanṭiyāṅ lagānā. 34dāman meṅ anāraur ghanṭiyāṅ bārī bārī lagānā.

35hārūn ḳhidmat karte waqthameshā choġhā pahne. jab wuhmaqdis meṅ rab ke huzūr āegā aurwahāṅ se niklegā to ghanṭiyāṅ sunāīdeṅgī. phir wuh nahīṅ maregā.

māthe par chhoṭī taḳhtī,

zerjāmā aur pagaṛī36ḳhālis sone kī taḳhtī banā kar us

par yih alfāz kandā karnā, ‘rab kelie maḳhsūs-o-muqaddas.’ yih alfāzyūṅ kandā kie jāeṅ jis tarah muhrkandā kī jātī hai. 37use nīlī ḍorīse pagaṛī ke sāmne wāle hisse selagāyā jāe 38tāki wuh hārūn ke māthepar paṛī rahe. jab bhī wuh maqdismeṅ jāe to yih taḳhtī sāth ho. jabisrāīlī apne nazarāne lā kar rab kelie maḳhsūs kareṅ lekin kisī ġhaltī kebāis qusūrwār hoṅ to un kā yih qusūr

Page 142: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

142 ḳhurūj 29:12

hārūn par muntaqil hogā. is lie yihtaḳhtī har waqt us ke māthe par hotāki rab isrāīliyoṅ ko qabūl kar le.

39zerjāme ko bārīk katān se bunanāaur is tarah pagaṛī bhī. phirkamarband banānā. us par kaṛhāī kākām kiyā jāe.

bāqī libās40hārūn ke beṭoṅ ke lie bhī zerjāme,

kamarband aur pagaṛiyāṅ banānātāki wuh purwaqār aur shāndār nazarāeṅ. 41yih sab apne bhāī hārūn aurus ke beṭoṅ ko pahnānā. un ke saroṅpar tel unḍel kar unheṅ masah karnā.yūṅ unheṅ un ke uhde par muqarrarkarke merī ḳhidmat ke lie maḳhsūskarnā.

42un ke lie katān ke pājāme bhībanānā tāki wuh zerjāme ke nīchenange na hoṅ. un kī lambāī kamrse rān tak ho. 43jab bhī hārūnaur us ke beṭe mulāqāt ke ḳhaimemeṅ dāḳhil hoṅ to unheṅ yih pājāmepahnane haiṅ. isī tarah jab unheṅmuqaddas kamre meṅ ḳhidmat karneke lie qurbāngāh ke pās ānā hotāhai to wuh yih pahneṅ, warnā wuhqusūrwār ṭhahar kar mar jāeṅge. yihhārūn aur us kī aulād ke lie ek abadīusūl hai.

imāmoṅ kī maḳhsūsiyat

29 imāmoṅ ko maqdis meṅmerī ḳhidmat ke lie maḳhsūs

karne kā yih tarīqā hai:ek jawān bail aur do beaib menḍhe

chun lenā. 2behtarīn maide setīn qism kī chīzeṅ pakānā jin meṅḳhamīr na ho. pahle, sādā roṭī. dūsre,roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā ho. tīsre,roṭī jis par tel lagāyā gayā ho. 3yihchīzeṅ ṭokrī meṅ rakh kar jawān bailaur do menḍhoṅ ke sāth rab ko peshkarnā. 4phir hārūn aur us ke beṭoṅko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzepar lā kar ġhusl karānā. 5is ke bādzerjāmā, choġhā, bālāposh aur sīnekā kīsā le kar hārūn ko pahnānā.bālāposh ko us ke mahārat se bunehue paṭke ke zarī’e bāndhnā. 6us kesar par pagaṛī bāndh kar us par sonekī muqaddas taḳhtī lagānā. 7hārūnke sar par masah kā tel unḍel kar usemasah karnā.

8phir us ke beṭoṅ ko āge lā karzerjāmā pahnānā. 9un ke pagaṛiyāṅaur kamarband bāndhnā. yūṅ tūhārūn aur us ke beṭoṅ ko un kemansab par muqarrar karnā. sirf wuhaur un kī aulād hameshā tak maqdismeṅ merī ḳhidmat karte raheṅ.

10bail ko mulāqāt ke ḳhaime kesāmne lānā. hārūn aur us ke beṭe uske sar par apne hāth rakheṅ. 11useḳhaime ke darwāze ke sāmne rabke huzūr zabah karnā. 12bail ke

Page 143: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 29:13 143

ḳhūn meṅ se kuchh le kar apnī unglīse qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagānāaur bāqī ḳhūn qurbāngāh ke pāe parunḍel denā. 13antaṛiyoṅ par kī tamāmcharbī, joṛkalejī aur donoṅ gurde unkī charbī samet le kar qurbāngāh parjalā denā. 14lekin bail ke gosht, khālaur antaṛiyoṅ ke gobar ko ḳhaimāgāhke bāhar jalā denā. yih gunāh kīqurbānī hai.

15is ke bād pahle menḍhe ko leānā. hārūn aur us ke beṭe apne hāthmenḍhe ke sar par rakheṅ. 16usezabah karke us kā ḳhūn qurbāngāhke chār pahlū’oṅ par chhiṛaknā.17menḍhe ko ṭukṛe ṭukṛe karke us kīantaṛiyoṅ aur pinḍliyoṅ ko dhonā.phir unheṅ sar aur bāqī ṭukṛoṅ kesāth milā kar 18pūre menḍhe koqurbāngāh par jalā denā. jalne wālīyih qurbānī rab ke lie bhasm honewālī qurbānī hai, aur us kī ḳhushbūrab ko pasand hai.

19ab dūsre menḍhe ko le ānā. hārūnaur us ke beṭe apne hāth menḍheke sar par rakheṅ. 20us ko zabahkarnā. us ke ḳhūn meṅ se kuchhle kar hārūn aur us ke beṭoṅ kedahne kān kī lau par lagānā. isītarah ḳhūn ko un ke dahne hāthaur dahne pāoṅ ke angūṭhoṅ par bhīlagānā. bāqī ḳhūn qurbāngāh ke chārpahlū’oṅ par chhiṛaknā. 21jo ḳhūnqurbāngāh par paṛā hai us meṅ sekuchh le kar aur masah ke tel ke sāth

milā kar hārūn aur us ke kapṛoṅ parchhiṛaknā. isī tarah us ke beṭoṅ aurun ke kapṛoṅ par bhī chhiṛaknā. yūṅwuh aur us ke beṭe ḳhidmat ke liemaḳhsūs-o-muqaddas ho jāeṅge.

22is menḍhe kā ḳhās maqsad yih haiki hārūn aur us ke beṭoṅ ko maqdismeṅ ḳhidmat karne kā iḳhtiyār auruhdā diyā jāe. menḍhe kī charbī,dum, antaṛiyoṅ par kī sārī charbī,joṛkalejī, donoṅ gurde un kī charbīsamet aur dahnī rān alag karnī hai.23us ṭokrī meṅ se jo rab ke huzūryānī ḳhaime ke darwāze par paṛī haiek sādā roṭī, ek roṭī jis meṅ tel ḍālāgayā ho aur ek roṭī jis par tel lagāyāgayā ho nikālnā. 24menḍhe se alagkī gaī chīzeṅ aur beḳhamīrī roṭī kīṭokrī kī yih chīzeṅ le kar hārūn aurus ke beṭoṅ ke hāthoṅ meṅ denā, aurwuh unheṅ hilāne wālī qurbānī ketaur par rab ke sāmne hilāeṅ. 25phiryih chīzeṅ un se wāpas le kar bhasmhone wālī qurbānī ke sāth qurbāngāhpar jalā denā. yih rab ke lie jalne wālīqurbānī hai, aur us kī ḳhushbū rab kopasand hai.

26ab us menḍhe kā sīnā lenā jiskī mārifat hārūn ko imām-e-āzam kāiḳhtiyār diyā jātā hai. sīne ko bhīhilāne wālī qurbānī ke taur par rabke sāmne hilānā. yih sīnā qurbānī kāterā hissā hogā. 27yūṅ tujhe hārūnaur us ke beṭoṅ kī maḳhsūsiyat ke liemustāmal menḍhe ke ṭukṛe maḳhsūs-

Page 144: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

144 ḳhurūj 29:42

o-muqaddas karne haiṅ. us ke sīneko rab ke sāmne hilāne wālī qurbānīke taur par hilāyā jāe aur us kī rānko uṭhāne wālī qurbānī ke taur paruṭhāyā jāe. 28hārūn aur us kī aulād koisrāīliyoṅ kī taraf se hameshā tak yihmilne kā haq hai. jab bhī isrāīlī rabko apnī salāmatī kī qurbāniyāṅ peshkareṅ to imāmoṅ ko yih do ṭukṛemileṅge.

29jab hārūn faut ho jāegā to us kemuqaddas libās us kī aulād meṅ se usmard ko dene haiṅ jise masah karkehārūn kī jagah muqarrar kiyā jāegā.30jo beṭā us kī jagah muqarrar kiyājāegā aur maqdis meṅ ḳhidmat karneke lie mulāqāt ke ḳhaime meṅ āegāwuh yih libās sāt din tak pahne rahe.

31jo menḍhā hārūn aur us ke beṭoṅkī maḳhsūsiyat ke lie zabah kiyāgayā hai use muqaddas jagah parubālnā hai. 32phir hārūn aur us kebeṭe mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzepar menḍhe kā gosht aur ṭokrī kībeḳhamīrī roṭiyāṅ khāeṅ. 33wuh yihchīzeṅ khāeṅ jin se unheṅ gunāhoṅkā kaffārā aur imām kā uhdā milāhai. lekin koī aur yih na khāe, kyūṅkiyih maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ. 34auragar aglī subh tak is gosht yā roṭīmeṅ se kuchh bach jāe to use jalāyājāe. use khānā manā hai, kyūṅki wuhmuqaddas hai.

35jab tū hārūn aur us ke beṭoṅko imām muqarrar karegā to ain

merī hidāyat par amal karnā. yihtaqrīb sāt din tak manāī jāe. 36is kedaurān gunāh kī qurbānī ke taur parrozānā ek jawān bail zabah karnā.is se tū qurbāngāh kā kaffārā dekar use har tarah kī nāpākī se pākkaregā. is ke ilāwā us par masahkā tel unḍelnā. is se wuh merelie maḳhsūs-o-muqaddas ho jāegā.37sāt din tak qurbāngāh kā kaffārāde kar use pāk-sāf karnā aur use telse maḳhsūs-o-muqaddas karnā. phirqurbāngāh nihāyat muqaddas hogī.jo bhī use chhuegā wuh bhī maḳhsūs-o-muqaddas ho jāegā.

rozmarrā kī qurbāniyāṅ38rozānā ek ek sāl ke do bheṛ

ke nar bachche qurbāngāh par jalādenā, 39ek ko subh ke waqt, dūsreko sūraj ke ġhurūb hone ke ain bād.40pahle jānwar ke sāth ḍeṛh kilogrāmbehtarīn maidā pesh kiyā jāe jo kūṭehue zaitūnoṅ ke ek liṭar tel ke sāthmilāyā gayā ho. mai kī nazar ke taurpar ek liṭar mai bhī qurbāngāh parunḍelnā. 41dūsre jānwar ke sāth bhīġhallā aur mai kī yih do nazareṅ peshkī jāeṅ. aisī qurbānī kī ḳhushbū rabko pasand hai.

42lāzim hai ki āne wālī tamāmnasleṅ bhasm hone wālī yih qurbānībāqāidagī se muqaddas ḳhaime kedarwāze par rab ke huzūr chaṛhāeṅ.wahāṅ maiṅ tum se milā karūṅga aur

Page 145: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 29:43 145

tum se hamkalām hūṅgā. 43wahāṅmaiṅ isrāīliyoṅ se bhī milā karūṅga,aur wuh jagah mere jalāl se maḳhsūs-o-muqaddas ho jāegī. 44yūṅ maiṅmulāqāt ke ḳhaime aur qurbāngāh komaḳhsūs karūṅga aur hārūn aur us kebeṭoṅ ko maḳhsūs karūṅga tāki wuhimāmoṅ kī haisiyat se merī ḳhidmatkareṅ.

45tab maiṅ isrāīliyoṅ ke darmiyānrahūṅgā aur un kā ḳhudā hūṅgā.46wuh jān leṅge ki maiṅ rab unkā ḳhudā hūṅ, ki maiṅ unheṅ misrse nikāl lāyā tāki un ke darmiyānsukūnat karūṅ. maiṅ rab un kā ḳhudāhūṅ.

baḳhūr jalāne kī qurbāngāh

30 kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāhbanānā jis par baḳhūr jalāyā

jāe. 2wuh ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hīchauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī ho. us kechāroṅ konoṅ meṅ se sīṅg nikleṅ joqurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe sebanāe gae hoṅ. 3us kī ūpar kī satah,us ke chār pahlū’oṅ aur us ke sīṅgoṅpar ḳhālis sonā chaṛhānā. ūpar kīsatah ke irdgird sone kī jhālar ho.4sone ke do kaṛe banā kar inheṅ usjhālar ke nīche ek dūsre ke muqābilpahlū’oṅ par lagānā. in kaṛoṅ meṅqurbāngāh ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅḍālī jāeṅgī. 5yih lakaṛiyāṅ kīkar kīhoṅ, aur un par bhī sonā chaṛhānā.

6is qurbāngāh ko ḳhaime kemuqaddas kamre meṅ us parde kesāmne rakhnā jis ke pīchhe ahd kāsandūq aur us kā ḍhaknā hoṅge,wuh ḍhaknā jahāṅ maiṅ tujh semilā karūṅga. 7jab hārūn har subhshamādān ke charāġh tayyār kare uswaqt wuh us par ḳhushbūdār baḳhūrjalāe. 8sūraj ke ġhurūb hone ke bādbhī jab wuh dubārā charāġhoṅ kīdekh-bhāl karegā to wuh sāth sāthbaḳhūr jalāe. yūṅ rab ke sāmnebaḳhūr mutawātir jaltā rahe. lāzimhai ki bād kī nasleṅ bhī is usūl parqāim raheṅ.

9is qurbāngāh par sirf jāiz baḳhūristemāl kiyā jāe. is par na tojānwaroṅ kī qurbāniyāṅ chaṛhāī jāeṅ,na ġhallā yā mai kī nazareṅ pesh kījāeṅ. 10hārūn sāl meṅ ek dafā uskā kaffārā de kar use pāk kare. iske lie wuh kaffāre ke din us qurbānīkā kuchh ḳhūn sīṅgoṅ par lagāe.yih usūl bhī abad tak qāim rahe.yih qurbāngāh rab ke lie nihāyatmuqaddas hai.”

mardumshumārī ke paise11rab ne mūsā se kahā, 12“jab bhī

tū isrāīliyoṅ kī mardumshumārī kareto lāzim hai ki jin kā shumār kiyāgayā ho wuh rab ko apnī jān kā fidyādeṅ tāki un meṅ wabā na phaile.13jis jis kā shumār kiyā gayā ho wuhchāṅdī ke ādhe sikke ke barābar raqm

Page 146: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

146 ḳhurūj 30:32

uṭhāne wālī qurbānī ke taur par de.sikke kā wazn maqdis ke sikkoṅ kebarābar ho. yānī chāṅdī ke sikke kāwazn 11 grām ho, is lie chhih grāmchāṅdī denī hai. 14jis kī bhī umr 20sāl yā is se zāid ho wuh rab ko yihraqm uṭhāne wālī qurbānī ke taurpar de. 15amīr aur ġharīb donoṅ itnāhī deṅ, kyūṅki yihī nazarānā rab kopesh karne se tumhārī jān kā kaffārādiyā jātā hai. 16kaffāre kī yih raqmmulāqāt ke ḳhaime kī ḳhidmat ke lieistemāl karnā. phir yih nazarānā rabko yād dilātā rahegā ki tumhārī jānoṅkā kaffārā diyā gayā hai.”

dhone kā hauz17rab ne mūsā se kahā, 18“pītal kā

ḍhāṅchā banānā jis par pītal kā hauzbanā kar rakhnā hai. yih hauz dhoneke lie hai. use sahan meṅ mulāqātke ḳhaime aur jānwaroṅ ko chaṛhānekī qurbāngāh ke darmiyān rakh karpānī se bhar denā. 19hārūn aur us kebeṭe apne hāth-pāoṅ dhone ke lie uskā pānī istemāl kareṅ. 20mulāqāt keḳhaime meṅ dāḳhil hone se pahle hīwuh apne āp ko dhoeṅ warnā wuhmar jāeṅge. isī tarah jab bhī wuhḳhaime ke bāhar kī qurbāngāh parjānwaroṅ kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ21to lāzim hai ki pahle hāth-pāoṅ dholeṅ, warnā wuh mar jāeṅge. yih usūlhārūn aur us kī aulād ke lie hameshātak qāim rahe.”

masah kā tel22rab ne mūsā se kahā, 23“masah

ke tel ke lie umdā qism ke masāleistemāl karnā. 6 kilogrām āb-e-mur,3 kilogrām ḳhushbūdār dārchīnī, 3kilogrām ḳhushbūdār bed 24aur 6kilogrām tejpāt. yih chīzeṅ maqdiske bāṭoṅ ke hisāb se tol kar chārliṭar zaitūn ke tel meṅ ḍālnā. 25sabkuchh milā kar ḳhushbūdār tel tayyārkarnā. wuh muqaddas hai aur sirfus waqt istemāl kiyā jāe jab koīchīz yā shaḳhs mere lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāe.

26yihī tel le kar mulāqāt kā ḳhaimāaur us kā sārā sāmān masah karnāyānī ḳhaimā, ahd kā sandūq, 27mezaur us kā sāmān, shamādān aurus kā sāmān, baḳhūr jalāne kīqurbāngāh, 28jānwaroṅ ko chaṛhānekī qurbāngāh aur us kā sāmān, dhonekā hauz aur us kā ḍhāṅchā. 29yūṅtū yih tamām chīzeṅ maḳhsūs-o-muqaddas karegā. is se wuh nihāyatmuqaddas ho jāeṅgī. jo bhī unheṅchhuegā wuh muqaddas ho jāegā.

30hārūn aur us ke beṭoṅ ko bhīis tel se masah karnā tāki wuhmuqaddas ho kar mere lie imām kākām saranjām de sakeṅ. 31isrāīliyoṅko kah de ki yih tel hameshā tak merelie maḳhsūs-o-muqaddas hai. 32islie ise apne lie istemāl na karnā aurna is tarkīb se apne lie tel banānā.yih tel maḳhsūs-o-muqaddas hai aur

Page 147: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 30:33 147

tumheṅ bhī ise yūṅ ṭhahrānā hai.33jo is tarkīb se ām istemāl ke lietel banātā hai yā kisī ām shaḳhs parlagātā hai use us kī qaum meṅ se miṭāḍālnā hai.”

baḳhūr kī qurbānī34rab ne mūsā se kahā, “baḳhūr is

tarkīb se banānā hai: mastakī, onikā,a

birījā aur ḳhālis lubān barābar kehissoṅ meṅ 35milā kar ḳhushbūdārbaḳhūr banānā. itarsāz kā yih kāmnamkīn, ḳhālis aur muqaddas ho. 36ismeṅ se kuchh pīs kar pāuḍar banānāaur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ahd kesandūq ke sāmne ḍālnā jahāṅ maiṅtujh se milā karūṅga.

is baḳhūr ko muqaddastarīnṭhahrānā. 37isī tarkīb ke mutābiqapne lie baḳhūr na banānā. ise rab kelie maḳhsūs-o-muqaddas ṭhahrānāhai. 38jo bhī apne zātī istemāl ke lie isqism kā baḳhūr banāe use us kī qaummeṅ se miṭā ḍālnā hai.”

bazlī’el aur uhliyāb

31 phir rab ne mūsā se kahā,2“maiṅ ne yahūdāh ke qabīle

ke bazlī’el bin ūrī bin hūr ko chunliyā hai tāki wuh muqaddas ḳhaimekī tāmīr meṅ rāhnumāī kare. 3maiṅne use ilāhī rūh se māmūr karkehikmat, samajh aur tāmīr ke har kām

ke lie darkār ilm de diyā hai. 4wuhnaqshe banā kar un ke mutābiq sone,chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktāhai. 5wuh jawāhir ko kāṭ kar jaṛnekī qābiliyat rakhtā hai. wuh lakaṛīko tarāsh kar us se muḳhtalif chīzeṅbanā saktā hai. wuh bahut sāre aurkāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai.

6sāth hī maiṅ ne dān ke qabīle keuhliyāb bin aḳhīsamak ko muqarrarkiyā hai tāki wuh har kām meṅ uskī madad kare. is ke ilāwā maiṅne tamām samajhdār kārīgaroṅ komahārat dī hai tāki wuh sab kuchhun hidāyāt ke mutābiq banā sakeṅ jomaiṅ ne tujhe dī haiṅ. 7yānī mulāqātkā ḳhaimā, kaffāre ke ḍhakne sametahd kā sandūq aur ḳhaime kā sārādūsrā sāmān, 8mez aur us kā sāmān,ḳhālis sone kā shamādān aur us kāsāmān, baḳhūr jalāne kī qurbāngāh,9jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāhaur us kā sāmān, dhone kā hauz usḍhāṅche samet jis par wuh rakhā jātāhai, 10wuh libās jo hārūn aur us kebeṭe maqdis meṅ ḳhidmat karne kelie pahante haiṅ, 11masah kā tel aurmaqdis ke lie ḳhushbūdār baḳhūr.yih sab kuchh wuh waise hī banāeṅjaise maiṅ ne tujhe hukm diyā hai.”

aonycha (unguis odoratus)

Page 148: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

148 ḳhurūj 32:8

sabat yānī hafte kā din12rab ne mūsā se kahā, 13“isrāīliyoṅ

ko batā ki har sabat kā din zarūrmanāo. kyūṅki sabat kā din eknumāyāṅ nishān hai jis se jānliyā jāegā ki maiṅ rab hūṅ jotumheṅ maḳhsūs-o-muqaddas kartāhūṅ. aur yih nishān mere aurtumhāre darmiyān nasl-dar-naslqāim rahegā. 14sabat kā din zarūrmanānā, kyūṅki wuh tumhāre liemaḳhsūs-o-muqaddas hai. jo bhī uskī behurmatī kare wuh zarūr jān semārā jāe. jo bhī is din kām kare use uskī qaum meṅ se miṭāyā jāe. 15chhihdin kām karnā, lekin sātwāṅ din ārāmkā din hai. wuh rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.

16isrāīliyoṅ ko hāl meṅ aurmustaqbil meṅ sabat kā din abadī ahdsamajh kar manānā hai. 17wuh mereaur isrāīliyoṅ ke darmiyān abadīnishān hogā. kyūṅki rab ne chhih dinke daurān āsmān-o-zamīn ko banāyājabki sātweṅ din us ne ārām kiyā aurtāzādam ho gayā.”

rab sharīat kī taḳhtiyāṅ detā hai18yih sab kuchh mūsā ko batāne ke

bād rab ne use sīnā pahāṛ par sharīatkī do taḳhtiyāṅ dīṅ. allāh ne ḳhudpatthar kī in taḳhtiyoṅ par tamāmbāteṅ likhī thīṅ.

sone kā bachhṛā

32 pahāṛ ke dāman meṅ logmūsā ke intizār meṅ rahe,

lekin bahut der ho gaī. ek din wuhhārūn ke gird jamā ho kar kahne lage,“āeṅ, hamāre lie dewatā banā deṅ johamāre āge āge chalte hue hamārīrāhnumāī kareṅ. kyūṅki kyā mālūmki us bande mūsā ko kyā huā hai johameṅ misr se nikāl lāyā.”

2jawāb meṅ hārūn ne kahā, “āp kībīwiyāṅ, beṭe aur beṭiyāṅ apnī sonekī bāliyāṅ utār kar mere pās le āeṅ.”3sab log apnī bāliyāṅ utār utār karhārūn ke pās le āe 4to us ne yihzewarāt le kar bachhṛā ḍhāl diyā.bachhṛe ko dekh kar log bol uṭhe, “aiisrāīl, yih tere dewatā haiṅ jo tujhemisr se nikāl lāe.”

5jab hārūn ne yih dekhā to usne bachhṛe ke sāmne qurbāngāhbanā kar elān kiyā, “kal ham rabkī tāzīm meṅ īd manāeṅge.” 6agledin log subhsawere uṭhe aur bhasmhone wālī qurbāniyāṅ aur salāmatīkī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. wuh khāne-pīne ke lie baiṭh gae aur phir uṭhkar rangraliyoṅ meṅ apne dil bahlānelage.

mūsā apnī qaum kī shafā’at kartā hai7us waqt rab ne mūsā se kahā,

“pahāṛ se utar jā. tere log jinheṅtū misr se nikāl lāyā baṛī sharārateṅkar rahe haiṅ. 8wuh kitnī jaldī se us

Page 149: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 32:9 149

rāste se haṭ gae haiṅ jis par chalneke lie maiṅ ne unheṅ hukm diyā thā.unhoṅ ne apne lie ḍhālā huā bachhṛābanā kar use sijdā kiyā hai. unhoṅ neuse qurbāniyāṅ pesh karke kahā hai,‘ai isrāīl, yih tere dewatā haiṅ. yihītujhe misr se nikāl lāe haiṅ’.” 9allāhne mūsā se kahā, “maiṅ ne dekhā haiki yih qaum baṛī haṭdharm hai. 10abmujhe rokne kī koshish na kar. maiṅun par apnā ġhazab unḍel kar un korū-e-zamīn par se miṭā dūṅgā. un kījagah maiṅ tujh se ek baṛī qaum banādūṅgā.”

11lekin mūsā ne kahā, “ai rab, tūapnī qaum par apnā ġhussā kyūṅutārnā chāhtā hai? tū ḳhud apnīazīm qudrat se use misr se nikāllāyā hai. 12misrī kyūṅ kaheṅ, ‘rabisrāīliyoṅ ko sirf is bure maqsad sehamāre mulk se nikāl le gayā hai kiunheṅ pahāṛī ilāqe meṅ mār ḍāle auryūṅ unheṅ rū-e-zamīn par se miṭāe’?apnā ġhussā ṭhanḍā hone de aur apnīqaum ke sāth burā sulūk karne sebāz rah. 13yād rakh ki tū ne apneḳhādimoṅ ibrāhīm, is’hāq aur yāqūbse apnī hī qasam khā kar kahā thā,‘maiṅ tumhārī aulād kī tādād yūṅbaṛhāūṅgā ki wuh āsmān ke sitāroṅke barābar ho jāegī. maiṅ unheṅwuh mulk dūṅgā jis kā wādā maiṅ nekiyā hai, aur wuh use hameshā ke liemīrās meṅ pāeṅge’.”

14mūsā ke kahne par rab ne wuhnahīṅ kiyā jis kā elān us ne kar diyāthā balki wuh apnī qaum se burāsulūk karne se bāz rahā.

butparastī ke natāij15mūsā muṛ kar pahāṛ se utrā. us

ke hāthoṅ meṅ sharīat kī donoṅtaḳhtiyāṅ thīṅ. un par āge pīchhelikhā gayā thā. 16allāh ne ḳhudtaḳhtiyoṅ ko banā kar un par apneahkām kandā kie the.

17utarte utarte yashūa ne logoṅkā shor sunā aur mūsā se kahā,“ḳhaimāgāh meṅ jang kā shor machrahā hai!” 18mūsā ne jawāb diyā,“na to yih fathmandoṅ ke nāre haiṅ,na shikast khāe huoṅ kī chīḳh-pukār.mujhe gāne wāloṅ kī āwāz sunāī derahī hai.”

19jab wuh ḳhaimāgāh ke nazdīkpahuṅchā to us ne logoṅ ko soneke bachhṛe ke sāmne nāchte huedekhā. baṛe ġhusse meṅ ā kar usne taḳhtiyoṅ ko zamīn par paṭaḳhdiyā, aur wuh ṭukṛe ṭukṛe ho karpahāṛ ke dāman meṅ gir gaīṅ. 20mūsāne isrāīliyoṅ ke banāe hue bachhṛeko jalā diyā. jo kuchh bach gayāuse us ne pīs pīs kar pāuḍar banāḍālā aur pāuḍar pānī par chhiṛak karisrāīliyoṅ ko pilā diyā.

21us ne hārūn se pūchhā, “in logoṅne tumhāre sāth kyā kiyā ki tum neunheṅ aise baṛe gunāh meṅ phaṅsā

Page 150: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

150 ḳhurūj 33:1

diyā?” 22hārūn ne kahā, “mere āqā.ġhusse na hoṅ. āp ḳhud jānte haiṅki yih log badī par tule rahte haiṅ.23unhoṅ ne mujh se kahā, ‘hamāre liedewatā banā deṅ jo hamāre āge āgechalte hue hamārī rāhnumāī kareṅ.kyūṅki kyā mālūm ki us bande mūsāko kyā huā hai jo hameṅ misr senikāl lāyā.’ 24is lie maiṅ ne un kobatāyā, ‘jis ke pās sone ke zewarāthaiṅ wuh unheṅ utār lāe.’ jo kuchhunhoṅ ne mujhe diyā use maiṅ ne āgmeṅ phaiṅk diyā to hote hote sone kāyih bachhṛā nikal āyā.”

25mūsā ne dekhā ki log beqābū hogae haiṅ. kyūṅki hārūn ne unheṅbelagām chhoṛ diyā thā, aur yūṅ wuhisrāīl ke dushmanoṅ ke lie mazāqkā nishānā ban gae the. 26mūsāḳhaimāgāh ke darwāze par khaṛe hokar bolā, “jo bhī rab kā bandā haiwuh mere pās āe.” jawāb meṅ lāwī keqabīle ke tamām log us ke pās jamāho gae. 27phir mūsā ne un se kahā,“rab isrāīl kā ḳhudā farmātā hai, ‘harek apnī talwār le kar ḳhaimāgāh meṅse guzare. ek sire ke darwāze seshurū karke dūsre sire ke darwāze takchalte chalte har milne wāle ko jānse mār do, chāhe wuh tumhārā bhāī,dost yā rishtedār hī kyūṅ na ho. phirmuṛ kar mārte mārte pahle darwāzepar wāpas ā jāo’.”

28lāwiyoṅ ne mūsā kī hidāyat paramal kiyā to us din taqrīban 3,000

mard halāk hue. 29yih dekh karmūsā ne lāwiyoṅ se kahā, “āj apneāp ko maqdis meṅ rab kī ḳhidmatkarne ke lie maḳhsūs-o-muqaddaskaro, kyūṅki tum apne beṭoṅ aurbhāiyoṅ ke ḳhilāf laṛne ke lie tayyārthe. is lie rab tum ko āj barkat degā.”

30agle din mūsā ne isrāīliyoṅ se bātkī, “tum ne nihāyat sangīn gunāhkiyā hai. to bhī maiṅ ab rab ke pāspahāṛ par jā rahā hūṅ. shāyad maiṅtumhāre gunāh kā kaffārā de sakūṅ.”

31chunāṅche mūsā ne rab ke pāswāpas jā kar kahā, “hāy, is qaumne nihāyat sangīn gunāh kiyā hai.unhoṅ ne apne lie sone kā dewatābanā liyā. 32mehrbānī karke unheṅmuāf kar. lekin agar tū unheṅ muāfna kare to phir mujhe bhī apnī uskitāb meṅ se miṭā de jis meṅ tū neapne logoṅ ke nām darj kie haiṅ.”33rab ne jawāb diyā, “maiṅ sirf us koapnī kitāb meṅ se miṭātā hūṅ jo merāgunāh kartā hai. 34ab jā, logoṅ kous jagah le chal jis kā zikr maiṅ nekiyā hai. merā farishtā tere āge āgechalegā. lekin jab sazā kā muqarrarādin āegā tab maiṅ unheṅ sazā dūṅgā.”

35phir rab ne isrāīliyoṅ kedarmiyān wabā phailne dī, is lie kiunhoṅ ne us bachhṛe kī pūjā kī thī johārūn ne banāyā thā.

33 rab ne mūsā se kahā, “isjagah se rawānā ho jā. un

logoṅ ko le kar jin ko tū misr se nikāl

Page 151: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 33:2 151

lāyā hai us mulk ko jā jis kā wādāmaiṅ ne ibrāhīm, is’hāq aur yāqūb sekiyā hai. un hī se maiṅ ne qasam khākar kahā thā, ‘maiṅ yih mulk tumhārīaulād ko dūṅgā.’ 2maiṅ tere āge āgefarishtā bhej kar kan’ānī, amorī, hittī,farizzī, hiwwī aur yabūsī aqwām kous mulk se nikāl dūṅgā. 3uṭh, us mulkko jā jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrathai. lekin maiṅ sāth nahīṅ jāūṅgā.tum itne haṭdharm ho ki agar maiṅsāth jāūṅ to ḳhatrā hai ki tumheṅwahāṅ pahuṅchne se pahle hī barbādkar dūṅ.”

4jab isrāīliyoṅ ne yih saḳht alfāzsune to wuh mātam karne lage. kisīne bhī apne zewar na pahne, 5kyūṅkirab ne mūsā se kahā thā, “isrāīliyoṅko batā ki tum haṭdharm ho. agarmaiṅ ek lamhā bhī tumhāre sāthchalūṅ to ḳhatrā hai ki maiṅ tumheṅtabāh kar dūṅ. ab apne zewarāt utārḍālo. phir maiṅ faislā karūṅga kitumhāre sāth kyā kiyā jāe.”

6in alfāz par isrāīliyoṅ ne horibyānī sīnā pahāṛ par apne zewar utārdie.

mulāqāt kā ḳhaimā7us waqt mūsā ne ḳhaimā le kar use

kuchh fāsile par ḳhaimāgāh ke bāharlagā diyā. us ne us kā nām ‘mulāqātkā ḳhaimā’ rakhā. jo bhī rab kī marzīdaryāft karnā chāhtā wuh ḳhaimāgāhse nikal kar wahāṅ jātā. 8jab bhī

mūsā ḳhaimāgāh se nikal kar wahāṅjātā to tamām log apne ḳhaimoṅ kedarwāzoṅ par khaṛe ho kar mūsā kepīchhe deḳhne lagte. us ke mulāqātke ḳhaime meṅ ojhal hone tak wuhuse deḳhte rahte.

9mūsā ke ḳhaime meṅ dāḳhil honepar bādal kā satūn utar kar ḳhaimeke darwāze par ṭhahar jātā. jitnīder tak rab mūsā se bāteṅ kartā utnīder tak wuh wahāṅ ṭhahrā rahtā.10jab isrāīlī mulāqāt ke ḳhaime kedarwāze par bādal kā satūn deḳhte towuh apne apne ḳhaime ke darwāzepar khaṛe ho kar sijdā karte. 11rabmūsā se rū-ba-rū bāteṅ kartā thā, aiseshaḳhs kī tarah jo apne dost se bāteṅkartā hai. is ke bād mūsā nikal karḳhaimāgāh ko wāpas chalā jātā. lekinus kā jawān madadgār yashūa binnūn ḳhaime ko nahīṅ chhoṛtā thā.

mūsā rab kā jalāl deḳhtā hai12mūsā ne rab se kahā, “dekh, tū

mujh se kahtā āyā hai ki is qaum kokan’ān le chal. lekin tū mere sāthkis ko bhejegā? tū ne ab tak yih bātmujhe nahīṅ batāī hālāṅki tū ne kahāhai, ‘maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ,tujhe merā karm hāsil huā hai.’ 13agarmujhe wāqaī terā karm hāsil hai tomujhe apne rāste dikhā tāki maiṅtujhe jān lūṅ aur terā karm mujhehāsil hotā rahe. is bāt kā ḳhayāl rakhki yih qaum terī hī ummat hai.”

Page 152: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

152 ḳhurūj 34:7

14rab ne jawāb diyā, “maiṅ ḳhudtere sāth chalūṅgā aur tujhe ārāmdūṅgā.” 15mūsā ne kahā, “agar tūḳhud sāth nahīṅ chalegā to phirhameṅ yahāṅ se rawānā na karnā.16agar tū hamāre sāth na jāe to kistarah patā chalegā ki mujhe aur terīqaum ko terā karm hāsil huā hai?ham sirf isī wajah se duniyā kī dīgarqaumoṅ se alag aur mumtāz haiṅ.”

17rab ne mūsā se kahā, “maiṅterī yih darḳhwāst bhī pūrī karūṅga,kyūṅki tujhe merā karm hāsil huā haiaur maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ.”

18phir mūsā bolā, “barāh-e-karmmujhe apnā jalāl dikhā.” 19rab nejawāb diyā, “maiṅ apnī pūrī bhalāītere sāmne se guzarne dūṅgā aurtere sāmne hī apne nām rab kā elānkarūṅga. maiṅ jis par mehrbān honāchāhūṅ us par mehrbān hotā hūṅ,aur jis par rahm karnā chāhūṅ uspar rahm kartā hūṅ. 20lekin tū merāchehrā nahīṅ dekh saktā, kyūṅki jobhī merā chehrā dekhe wuh zindānahīṅ rah saktā.” 21phir rab nefarmāyā, “dekh, mere pās ek jagahhai. wahāṅ kī chaṭān par khaṛāho jā. 22jab merā jalāl wahāṅ seguzaregā to maiṅ tujhe chaṭān ke ekshigāf meṅ rakhūṅgā aur apnā hāthtere ūpar phailāūṅgā tāki tū mereguzarne ke daurān mahfūz rahe. 23iske bād maiṅ apnā hāth haṭāūṅgā aur

tū mere pīchhe dekh sakegā. lekinmerā chehrā dekhā nahīṅ jā saktā.”

patthar kī naī taḳhtiyāṅ

34 rab ne mūsā se kahā, “apnelie patthar kī do taḳhtiyāṅ

tarāsh le jo pahlī do kī mānindhoṅ. phir maiṅ un par wuh alfāzlikhūṅgā jo pahlī taḳhtiyoṅ par likhethe jinheṅ tū ne paṭaḳh diyā thā.2subh tak tayyār ho kar sīnā pahāṛpar chaṛhnā. choṭī par mere sāmnekhaṛā ho jā. 3tere sāth koī bhīna āe balki pūre pahāṛ par koī aurshaḳhs nazar na āe, yahāṅ tak kibheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail bhī pahāṛke dāman meṅ na chareṅ.”

4chunāṅche mūsā ne do taḳhtiyāṅtarāsh līṅ jo pahlī kī mānind thīṅ.phir wuh subhsawere uṭh kar sīnāpahāṛ par chaṛh gayā jis tarah rabne use hukm diyā thā. us ke hāthoṅmeṅ patthar kī donoṅ taḳhtiyāṅ thīṅ.5jab wuh choṭī par pahuṅchā to rabbādal meṅ utar āyā aur us ke pāskhaṛe ho kar apne nām rab kā elānkiyā. 6mūsā ke sāmne se guzarte hueus ne pukārā, “rab, rab, rahīm aurmehrbān ḳhudā. tahammul, shafqataur wafā se bharpūr. 7wuh hazāroṅpar apnī shafqat qāim rakhtā aurlogoṅ kā qusūr, nāfarmānī aur gunāhmuāf kartā hai. lekin wuh har ek kous kī munāsib sazā bhī detā hai. jabwālidain gunāh kareṅ to un kī aulād

Page 153: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 34:8 153

ko bhī tīsrī aur chauthī pusht tak sazāke natāij bhugatne paṛeṅge.”

8mūsā ne jaldī se jhuk kar sijdākiyā. 9us ne kahā, “ai rab, agar mujhpar terā karm ho to hamāre sāth chal.beshak yih qaum haṭdharm hai, tobhī hamārā qusūr aur gunāh muāfkar aur baḳhsh de ki ham dubārā terehī ban jāeṅ.”

10tab rab ne kahā, “maiṅ tumhāresāth ahd bāndhūṅgā. terī qaum kesāmne hī maiṅ aise mojize karūṅgajo ab tak duniyā bhar kī kisī bhīqaum meṅ nahīṅ kie gae. pūrī qaumjis ke darmiyān tū rahtā hai rab kākām dekhegī aur us se ḍar jāegī jomaiṅ tere sāth karūṅga. 11jo ahkāmmaiṅ āj detā hūṅ un par amal kartārah. maiṅ amorī, kan’ānī, hittī,farizzī, hiwwī aur yabūsī aqwām kotere āge āge mulk se nikāl dūṅgā.12ḳhabardār, jo us mulk meṅ rahtehaiṅ jahāṅ tū jā rahā hai un seahd na bāndhnā. warnā wuh teredarmiyān rahte hue tujhe gunāhoṅmeṅ phaṅsāte raheṅge. 13un kīqurbāngāheṅ ḍhā denā, un ke butoṅke satūn ṭukṛe ṭukṛe kar denā aur unkī dewī yasīrat ke khambe kāṭ ḍālnā.

14kisī aur mābūd kī parastishna karnā, kyūṅki rab kā nāmġhayūr hai, allāh ġhairatmandhai. 15ḳhabardār, us mulk kebāshindoṅ se ahd na karnā, kyūṅkitere darmiyān rahte hue bhī wuh

apne mābūdoṅ kī pairawī karkezinā kareṅge aur unheṅ qurbāniyāṅchaṛhāeṅge. āḳhirkār wuh tujhebhī apnī qurbāniyoṅ meṅ shirkat kīdāwat deṅge. 16ḳhatrā hai ki tū un kībeṭiyoṅ kā apne beṭoṅ ke sāth rishtābāndhe. phir jab yih apne mābūdoṅkī pairawī karke zinā kareṅgī to unke sabab se tere beṭe bhī un kī pairawīkarne lageṅge.

17apne lie dewatā na ḍhālnā.

sālānā īdeṅ18beḳhamīrī roṭī kī īd manānā. abīb

ke mahīnea meṅ sāt din tak terī roṭīmeṅ ḳhamīr na ho jis tarah maiṅ nehukm diyā hai. kyūṅki is mahīnemeṅ tū misr se niklā.

19har pahlauṭhā merā hai. teremāl maweshiyoṅ kā har pahlauṭhāmerā hai, chāhe bachhṛā ho yā lelā.20lekin pahlauṭhe gadhe ke iwaz bheṛdenā. agar yih mumkin na ho to uskī gardan toṛ ḍālnā. apne pahlauṭhebeṭoṅ ke lie bhī iwazī denā. koī merepās ḳhālī hāth na āe.

21chhih din kām-kāj karnā, lekinsātweṅ din ārām karnā. ḳhwāh halchalānā ho yā fasal kāṭnī ho to bhīsātweṅ din ārām karnā.

22gandum kī fasal kī kaṭāī kī īdb uswaqt manānā jab tū gehūṅ kī pahlīfasal kāṭegā. angūr aur phal jamākarne kī īd isrāīlī sāl ke iḳhtitām parmanānī hai. 23lāzim hai ki tere tamām

Page 154: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

154 ḳhurūj 35:2

mard sāl meṅ tīn martabā rab qādir-e-mutlaq ke sāmne jo isrāīl kā ḳhudāhai hāzir hoṅ. 24maiṅ tere āge āgeqaumoṅ ko mulk se nikāl dūṅgā aurterī sarhaddeṅ baṛhātā jāūṅgā. phirjab tū sāl meṅ tīn martabā rab apneḳhudā ke huzūr āegā to koī bhī teremulk kā lālach nahīṅ karegā.

25jab tū kisī jānwar ko zabah karkequrbānī ke taur par pesh kartā hai tous ke ḳhūn ke sāth aisī roṭī pesh nakarnā jis meṅ ḳhamīr ho. īd-e-fasahkī qurbānī se aglī subh tak kuchh bāqīna rahe.

26apnī zamīn kī pahlī paidāwār meṅse behtarīn hissā rab apne ḳhudā keghar meṅ le ānā.

bakrī yā bheṛ ke bachche ko us kīmāṅ ke dūdh meṅ na pakānā.”

mūsā ke chehre par chamak27rab ne mūsā se kahā, “yih tamām

bāteṅ likh le, kyūṅki yih us ahd kībunyād haiṅ jo maiṅ ne tere aur isrāīlke sāth bāndhā hai.”

28mūsā chālīs din aur chālīs rātwahīṅ rab ke huzūr rahā. is daurānna us ne kuchh khāyā na piyā. us nepatthar kī taḳhtiyoṅ par ahd ke dasahkām likhe.

29is ke bād mūsā sharīat kī donoṅtaḳhtiyoṅ ko hāth meṅ lie hue sīnāpahāṛ se utrā. us ke chehre kī jild

chamak rahī thī, kyūṅki us ne rab sebāt kī thī. lekin use ḳhud is kā ilmnahīṅ thā. 30jab hārūn aur tamāmisrāīliyoṅ ne dekhā ki mūsā kā chehrāchamak rahā hai to wuh us ke pās ānese ḍar gae. 31lekin us ne unheṅ bulāyāto hārūn aur jamā’at ke tamām sardārus ke pās āe, aur us ne un se bāt kī.32bād meṅ bāqī isrāīlī bhī āe, aur mūsāne unheṅ tamām ahkām sunāe jo rabne use koh-e-sīnā par die the.

33yih sab kuchh kahne ke bād mūsāne apne chehre par niqāb ḍāl liyā.34jab bhī wuh rab se bāt karne ke liemulāqāt ke ḳhaime meṅ jātā to niqābko ḳhaime se nikalte waqt tak utārletā. aur jab wuh nikal kar isrāīliyoṅko rab se mile hue ahkām sunātā 35towuh deḳhte ki us ke chehre kī jildchamak rahī hai. is ke bād mūsādubārā niqāb ko apne chehre par ḍālletā, aur wuh us waqt tak chehre parrahtā jab tak mūsā rab se bāt karneke lie mulāqāt ke ḳhaime meṅ na jātāthā.

sabat kā din

35 mūsā ne isrāīl kī pūrī jamā’atko ikaṭṭhā karke kahā, “rab

ne tum ko yih hukm die haiṅ: 2chhihdin kām-kāj kiyā jāe, lekin sātwāṅdin maḳhsūs-o-muqaddas ho. wuhrab ke lie ārām kā sabat hai. jo bhī

amārch tā aprail. bsitambar tā aktūbar.

Page 155: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 35:3 155

is din kām kare use sazā-e-maut dījāe. 3hafte ke din apne tamām gharoṅmeṅ āg tak na jalānā.”

mulāqāt ke ḳhaime ke lie sāmān4mūsā ne isrāīl kī pūrī jamā’at

se kahā, “rab ne hidāyat dī hai 5kijo kuchh tumhāre pās hai us meṅse hadie lā kar rab ko uṭhāne wālīqurbānī ke taur par pesh karo. jobhī dilī ḳhushī se denā chāhe wuhin chīzoṅ meṅ se kuchh de: sonā,chāṅdī, pītal; 6nīle, arġhawānī aurqirmizī rang kā dhāgā, bārīk katān,bakrī ke bāl, 7menḍhoṅ kī surḳh rangīhuī khāleṅ, taḳhas kī khāleṅ, kīkarkī lakaṛī, 8shamādān ke lie zaitūnkā tel, masah karne ke lie tel aurḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle,9aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhir joimām-e-āzam ke bālāposh aur sīne kekīse meṅ jaṛe jāeṅge.

10tum meṅ se jitne māhir kārīgarhaiṅ wuh ā kar wuh kuchh banāeṅjo rab ne farmāyā 11yānī ḳhaimā aurwuh ġhilāf jo us ke ūpar lagāe jāeṅge,hukeṅ, dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr,satūn aur pāe, 12ahd kā sandūq, useuṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us ke kaffārekā ḍhaknā, muqaddastarīn kamreke darwāze kā pardā, 13maḳhsūsroṭiyoṅ kī mez, use uṭhāne kīlakaṛiyāṅ, us kā sārā sāmān aurroṭiyāṅ, 14shamādān aur us parrakhne ke charāġh us ke sāmān

samet, shamādān ke lie tel, 15baḳhūrjalāne kī qurbāngāh, use uṭhāne kīlakaṛiyāṅ, masah kā tel, ḳhushbūdārbaḳhūr, muqaddas ḳhaime kedarwāze kā pardā, 16jānwaroṅ kochaṛhāne kī qurbāngāh, us kā pītalkā janglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅaur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauzaur wuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhājātā hai, 17chārdīwārī ke parde un kekhamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahanke darwāze kā pardā, 18ḳhaime aurchārdīwārī kī meḳheṅ aur rasse, 19aurwuh muqaddas libās jo hārūn aur uske beṭe maqdis meṅ ḳhidmat karneke lie pahante haiṅ.”

20yih sun kar isrāīl kī pūrī jamā’atmūsā ke pās se chalī gaī. 21aur jo jodilī ḳhushī se denā chāhtā thā wuhmulāqāt ke ḳhaime, us ke sāmān yāimāmoṅ ke kapṛoṅ ke lie koī hadiyāle kar wāpas āyā. 22rab ke hadie kelie mard aur ḳhawātīn dilī ḳhushī seapne sone ke zewarāt masalan jaṛāopineṅ, bāliyāṅ aur chhalle le āe. 23jisjis ke pās darkār chīzoṅ meṅ se kuchhthā wuh use mūsā ke pās le āyāyānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rangkā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl,menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅaur taḳhas kī khāleṅ. 24chāṅdī, pītalaur kīkar kī lakaṛī bhī hadie ke taurpar lāī gaī. 25aur jitnī aurateṅ kātnemeṅ māhir thīṅ wuh apnī kātī huīchīzeṅ le āīṅ yānī nīle, qirmizī aur

Page 156: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

156 ḳhurūj 36:6

arġhawānī rang kā dhāgā aur bārīkkatān. 26isī tarah jo jo aurat bakrīke bāl kātne meṅ māhir thī aurdilī ḳhushī se maqdis ke lie kāmkarnā chāhtī thī wuh yih kāt kar leāī. 27sardār aqīq-e-ahmar aur dīgarjawāhir le āe jo imām-e-āzam kebālāposh aur sīne ke kīse ke lie darkārthe. 28wuh shamādān, masah ke telaur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāleaur zaitūn kā tel bhī le āe.

29yūṅ isrāīl ke tamām mard aurḳhawātīn jo dilī ḳhushī se rab kokuchh denā chāhte the us sāre kāmke lie hadie le āe jo rab ne mūsā kīmārifat karne ko kahā thā.

bazlī’el aur uhliyāb30phir mūsā ne isrāīliyoṅ se kahā,

“rab ne yahūdāh ke qabīle ke bazlī’elbin ūrī bin hūr ko chun liyā hai.31us ne use ilāhī rūh se māmūr karkehikmat, samajh aur tāmīr ke har kāmke lie darkār ilm de diyā hai. 32wuhnaqshe banā kar un ke mutābiq sone,chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktāhai. 33wuh jawāhir ko kāṭ kar jaṛnekī qābiliyat rakhtā hai. wuh lakaṛīko tarāsh kar us se muḳhtalif chīzeṅbanā saktā hai. wuh bahut sāre aurkāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai.34sāth hī rab ne use aur dān ke qabīleke uhliyāb bin aḳhīsamak ko dūsroṅko sikhāne kī qābiliyat bhī dī hai. 35usne unheṅ wuh mahārat aur hikmat

dī hai jo har kām ke lie darkār haiyānī kārīgarī ke har kām ke lie, kaṛhāīke kām ke lie, nīle, arġhawānī aurqirmizī rang ke dhāge aur bārīk katānse kapṛā banāne ke lie aur bunāī kekām ke lie. wuh māhir kārīgar haiṅaur naqshe bhī banā sakte haiṅ.

36 lāzim hai ki bazlī’el, uhliyābaur bāqī kārīgar jin ko rab

ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmataur samajh dī hai sab kuchh ain unhidāyāt ke mutābiq banāeṅ jo rab nedī haiṅ.”

isrāīlī dilī ḳhushī se dete haiṅ2mūsā ne bazlī’el aur uhliyāb ko

bulāyā. sāth hī us ne har us kārīgarko bhī bulāyā jise rab ne maqdis kītāmīr ke lie hikmat aur mahārat dīthī aur jo ḳhushī se ānā aur yih kāmkarnā chāhtā thā. 3unheṅ mūsā setamām hadie mile jo isrāīlī maqdis kītāmīr ke lie lāe the.

is ke bād bhī log roz-ba-roz subhke waqt hadie lāte rahe. 4āḳhirkārtamām kārīgar jo maqdis banāne kekām meṅ lage the apnā kām chhoṛkar mūsā ke pās āe. 5unhoṅ ne kahā,“log had se zyādā lā rahe haiṅ. jiskām kā hukm rab ne diyā hai us kelie itne sāmān kī zarūrat nahīṅ hai.”6tab mūsā ne pūrī ḳhaimāgāh meṅelān karwā diyā ki koī mard yā auratmaqdis kī tāmīr ke lie ab kuchh nalāe.

Page 157: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 36:7 157

yūṅ unheṅ mazīd chīzeṅ lāne serokā gayā, 7kyūṅki kām ke lie sāmānzarūrat se zyādā ho gayā thā.

mulāqāt kā ḳhaimā8jo kārīgar mahārat rakhte the

unhoṅ ne ḳhaime ko banāyā. unhoṅne bārīk katān aur nīle, arġhawānīaur qirmizī dhāge se das parde banāe.pardoṅ par kisī māhir kārīgar kekaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kāḍizāin banāyā gayā. 9har parde kīlambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī.10pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ekdūsre ke sāth joṛe gae aur isī tarahbāqī pāṅch bhī. yūṅ do baṛe ṭukṛeban gae. 11donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsreke sāth milāne ke lie unhoṅ ne nīledhāge ke halqe banāe. yih halqe harṭukṛe ke 42 fuṭ wāle ek kināre parlagāe gae. 12ek ṭukṛe ke hāshie par 50halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe.in do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsreke āmne-sāmne the. 13phir bazlī’elne sone kī 50 hukeṅ banā kar un seāmne-sāmne ke halqoṅ ko ek dūsreke sāth milāyā. yūṅ donoṅ ṭukṛoṅ kejoṛne se ḳhaimā ban gayā.

14us ne bakrī ke bāloṅ se bhī11 parde banāe jinheṅ kapṛe wāleḳhaime ke ūpar rakhnā thā. 15harparde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī6 fuṭ thī. 16pāṅch pardoṅ ke lambehāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae auris tarah bāqī chhih bhī. 17in donoṅ

ṭukṛoṅ ko milāne ke lie us ne harṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre parpachās pachās halqe lagāe. 18phirpītal kī 50 hukeṅ banā kar us nedonoṅ hisse milāe.

19ek dūsre ke ūpar ke donoṅḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie bazlī’el nedo aur ġhilāf banāe. bakrī ke bāloṅke ḳhaime par rakhne ke lie us nemenḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅjoṛ dīṅ aur us ke ūpar rakhne ke lietaḳhas kī khāleṅ milāīṅ.

20is ke bād us ne kīkar kī lakaṛī ketaḳhte banāe jo ḳhaime kī dīwāroṅkā kām dete the. 21har taḳhte kīūṅchāī 15 fuṭ thī aur chauṛāī sawādo fuṭ. 22har taḳhte ke nīche do dochūleṅ thīṅ. in chūloṅ se har taḳhteko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛā jātā thātāki taḳhtā khaṛā rahe. 23ḳhaime kījunūbī dīwār ke lie 20 taḳhte banāegae 24aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāebhī jin par taḳhte khaṛe kie jāte the.har taḳhte ke nīche do pāe the, aurhar pāe meṅ ek chūl lagtī thī. 25isītarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke liebhī 20 taḳhte banāe gae 26aur sāth hīchāṅdī ke 40 pāe jo taḳhtoṅ ko khaṛākarne ke lie the. har taḳhte ke nīchedo pāe the. 27ḳhaime kī pichhlī yānīmaġhribī dīwār ke lie chhih taḳhtebanāe gae. 28is dīwār ko shimālī aurjunūbī dīwāroṅ ke sāth joṛne ke liekone wāle do taḳhte banāe gae. 29indo taḳhtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar

Page 158: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

158 ḳhurūj 37:7-8

tak konā thā tāki ek se shimālī dīwārmaġhribī dīwār ke sāth juṛ jāe aurdūsre se junūbī dīwār maġhribī dīwārke sāth. in ke ūpar ke sire kaṛoṅ semazbūt kie gae. 30yūṅ pichhle yānīmaġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 thīaur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād16, har taḳhte ke nīche do pāe.

31-32phir bazlī’el ne kīkar kī lakaṛīke shahtīr banāe, tīnoṅ dīwāroṅ kelie pāṅch pāṅch shahtīr. wuh hardīwār ke taḳhtoṅ par yūṅ lagāne kelie the ki un se taḳhte ek dūsre kesāth milāe jāeṅ. 33darmiyānī shahtīryūṅ banāyā gayā ki wuh dīwār kīādhī ūṅchāī par dīwār ke ek sire sedūsre sire tak lag saktā thā. 34usne tamām taḳhtoṅ aur shahtīroṅ parsonā chaṛhāyā. shahtīroṅ ko taḳhtoṅke sāth lagāne ke lie us ne sone kekaṛe banāe jo taḳhtoṅ meṅ lagānethe.

muqaddas ḳhaime ke parde35ab bazlī’el ne ek aur pardā

banāyā. us ke lie bhī bārīk katānaur nīle, arġhawānī aur qirmizī rangkā dhāgā istemāl huā. us par bhīkisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kāmse karūbī farishtoṅ kā ḍizāin banāyāgayā. 36phir us ne parde ko laṭkāneke lie kīkar kī lakaṛī ke chār satūn,sone kī hukeṅ aur chāṅdī ke chār pāebanāe. satūnoṅ par sonā chaṛhāyāgayā.

37bazlī’el ne ḳhaime ke darwāze kelie bhī pardā banāyā. wuh bhī bārīkkatān aur nīle, arġhawānī aur qirmizīrang ke dhāge se banāyā gayā, aurus par kaṛhāī kā kām kiyā gayā. 38isparde ko laṭkāne ke lie us ne sone kīhukeṅ aur kīkar kī lakaṛī ke pāṅchsatūn banāe. satūnoṅ ke ūpar kesiroṅ aur paṭṭiyoṅ par sonā chaṛhāyāgayā jabki un ke pāe pītal ke the.

ahd kā sandūq

37 bazlī’el ne kīkar kī lakaṛī kāsandūq banāyā. us kī lambāī

paune chār fuṭ thī jabki us kī chauṛāīaur ūṅchāī sawā do do fuṭ thī. 2us nepūre sandūq par andar aur bāhar seḳhālis sonā chaṛhāyā. ūpar kī satahke irdgird us ne sone kī jhālar lagāī.3sandūq ko uṭhāne ke lie us ne soneke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūqke chārpāiyoṅ par lagāyā. donoṅtaraf do do kaṛe the. 4phir us ne kīkarkī do lakaṛiyāṅ sandūq ko uṭhāneke lie tayyār kīṅ aur un par sonāchaṛhāyā. 5us ne in lakaṛiyoṅ kodonoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl diyātāki un se sandūq ko uṭhāyā jā sake.

6bazlī’el ne sandūq kā ḍhaknāḳhālis sone kā banāyā. us kī lambāīpaune chār fuṭ aur chauṛāī sawā dofuṭ thī. 7-8phir us ne do karūbī farishtesone se ghaṛ kar banāe jo ḍhakne kedonoṅ siroṅ par khaṛe the. yih dofarishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se

Page 159: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 37:9 159

banāe gae. 9farishtoṅ ke par yūṅ ūparkī taraf phaile hue the ki wuh ḍhakneko panāh dete the. un ke muṅh ekdūsre kī taraf kie hue the, aur wuhḍhakne kī taraf deḳhte the.

maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez10is ke bād bazlī’el ne kīkar kī lakaṛī

kī mez banāī. us kī lambāī tīn fuṭ,chauṛāī ḍeṛh fuṭ aur ūṅchāī sawā dofuṭ thī. 11us ne us par ḳhālis sonāchaṛhā kar us ke irdgird sone kī jhālarlagāī. 12mez kī ūpar kī satah par us nechaukhaṭā bhī lagāyā jis kī ūṅchāī tīninch thī aur jis par sone kī jhālar lagīthī. 13ab us ne sone ke chār kaṛe ḍhālkar unheṅ chāroṅ konoṅ par lagāyājahāṅ mez ke pāe lage the. 14yihkaṛe mez kī satah par lage chaukhaṭeke nīche lagāe gae. un meṅ wuhlakaṛiyāṅ ḍālnī thīṅ jin se mez kouṭhānā thā. 15bazlī’el ne yih lakaṛiyāṅbhī kīkar se banāīṅ aur un par sonāchaṛhāyā.

16āḳhirkār us ne ḳhālis sone ke wuhthāl, pyāle, mai kī nazareṅ pesh karneke bartan aur martabān banāe jo uspar rakhe jāte the.

shamādān17phir bazlī’el ne ḳhālis sone kā

shamādān banāyā. us kā pāyā aurḍanḍī ghaṛ kar banāe gae. us kīpyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kīshakl kī thīṅ pāe aur ḍanḍī ke sāth

ek hī ṭukṛā thīṅ. 18ḍanḍī se dāīṅ aurbāīṅ taraf tīn tīn shāḳheṅ nikaltī thīṅ.19har shāḳh par tīn pyāliyāṅ lagī thīṅjo bādām kī kaliyoṅ aur phūloṅ kīshakl kī thīṅ. 20shamādān kī ḍanḍīpar bhī is qism kī pyāliyāṅ lagī thīṅ,lekin tādād meṅ chār. 21in meṅ se tīnpyāliyāṅ dāeṅ bāeṅ kī chhih shāḳhoṅke nīche lagī thīṅ. wuh yūṅ lagī thīṅki har pyālī se do shāḳheṅ nikaltīthīṅ. 22shāḳheṅ aur pyāliyāṅ balkipūrā shamādān ḳhālis sone ke ek hīṭukṛe se ghaṛ kar banāyā gayā.

23bazlī’el ne shamādān ke lie ḳhālissone ke sāt charāġh banāe. us ne battīkatarne kī qainchiyāṅ aur jalte koeleke lie chhoṭe bartan bhī ḳhālis sone sebanāe. 24shamādān aur us ke tamāmsāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālissonā istemāl huā.

baḳhūr jalāne kī qurbāngāh25bazlī’el ne kīkar kī lakaṛī kī

qurbāngāh banāī jo baḳhūr jalāne kelie thī. wuh ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hīchauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī thī. us kechār konoṅ meṅ se sīṅg nikalte thejo qurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe sebanāe gae the. 26us kī ūpar kī satah,us ke chār pahlū’oṅ aur us ke sīṅgoṅpar ḳhālis sonā chaṛhāyā gayā. ūparkī satah ke irdgird bazlī’el ne sone kījhālar banāī. 27sone ke do kaṛe banākar us ne unheṅ is jhālar ke nīcheek dūsre ke muqābil pahlū’oṅ par

Page 160: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

160 ḳhurūj 38:17

lagāyā. in kaṛoṅ meṅ qurbāngāh kouṭhāne kī lakaṛiyāṅ ḍālī gaīṅ. 28yihlakaṛiyāṅ kīkar kī thīṅ, aur un par bhīsonā chaṛhāyā gayā.

29bazlī’el ne masah karne kāmuqaddas tel aur ḳhushbūdār ḳhālisbaḳhūr bhī banāyā. yih itarsāz kākām thā.

jānwaroṅ ko pesh karne kī qurbāngāh

38 bazlī’el ne kīkar kī lakaṛī kīek aur qurbāngāh banāī jo

bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke liethī. us kī ūṅchāī sāṛhe chār fuṭ, uskī lambāī aur chauṛāī sāṛhe sāt sāt fuṭthī. 2us ke ūpar chāroṅ konoṅ meṅ sesīṅg nikalte the. sīṅg aur qurbāngāhek hī ṭukṛe ke the, aur us par pītalchaṛhāyā gayā. 3us kā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhī pītal ke the yānīrākh ko uṭhā kar le jāne kī bālṭiyāṅ,belche, kāṅṭe, jalte hue koele ke liebartan aur chhiṛkāo ke kaṭore.

4qurbāngāh ko uṭhāne ke lie us nepītal kā janglā banāyā. wuh ūpar sekhulā thā aur yūṅ banāyā gayā ki jabqurbāngāh us meṅ rakhī jāe to wuhus kināre tak pahuṅche jo qurbāngāhkī ādhī ūṅchāī par lagī thī. 5us nequrbāngāh ko uṭhāne ke lie chār kaṛebanā kar unheṅ jangle ke chār konoṅpar lagāyā. 6phir us ne kīkar kīdo lakaṛiyāṅ banā kar un par pītalchaṛhāyā 7aur qurbāngāh ke donoṅtaraf lage in kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ. yūṅ

use uṭhāyā jā saktā thā. qurbāngāhlakaṛī kī thī lekin khokhlī thī.

8bazlī’el ne dhone kā hauz aur uskā ḍhāṅchā bhī pītal se banāyā. us kāpītal un auratoṅ ke āīnoṅ se milā thājo mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze parḳhidmat kartī thīṅ.

ḳhaime kā sahan9phir bazlī’el ne sahan banāyā. us

kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe sebanāī gaī. chārdīwārī kī lambāī junūbkī taraf 150 fuṭ thī. 10kapṛe ko lagāneke lie chāṅdī kī hukeṅ, paṭṭiyāṅ,lakaṛī ke khambe aur un ke pāe banāegae. 11chārdīwārī shimāl kī tarafbhī isī tarah banāī gaī. 12ḳhaime kepīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kīchauṛāī 75 fuṭ thī. kapṛe ke ilāwāus ke lie 10 khambe, 10 pāe aurkapṛā lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅaur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ. 13sāmne,mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulūhotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75fuṭ thī. 14-15kapṛā darwāze ke dāīṅtaraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā thā aur uske bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. usedonoṅ taraf tīn tīn khamboṅ ke sāthlagāyā gayā jo pītal ke pāiyoṅ parkhaṛe the. 16chārdīwārī ke tamāmpardoṅ ke lie bārīk katān istemāl huā.17khambe pītal ke pāiyoṅ par khaṛethe, aur parde chāṅdī kī hukoṅ aurpaṭṭiyoṅ se khamboṅ ke sāth lage the.khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī

Page 161: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 38:18 161

chaṛhāī gaī thī. sahan ke tamāmkhamboṅ par chāṅdī kī paṭṭiyāṅ lagīthīṅ.

18chārdīwārī ke darwāze kā pardānīle, arġhawānī aur qirmizī rang kedhāge aur bārīk katān se banāyāgayā, aur us par kaṛhāī kā kāmkiyā gayā. wuh 30 fuṭ chauṛā aurchārdīwārī ke dūsre pardoṅ kī tarahsāṛhe sāt fuṭ ūṅchā thā. 19us ke chārkhambe aur pītal ke chār pāe the. uskī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ chāṅdī kī thīṅ,aur khamboṅ ke ūpar ke siroṅ parchāṅdī chaṛhāī gaī thī. 20ḳhaime aurchārdīwārī kī tamām meḳheṅ pītal kīthīṅ.

ḳhaime kā tāmīrī sāmān21zail meṅ us sāmān kī fahrist hai

jo maqdis kī tāmīr ke lie istemālhuā. mūsā ke hukm par imām-e-āzam hārūn ke beṭe itamar nelāwiyoṅ kī mārifat yih fahrist tayyārkī. 22(yahūdāh ke qabīle ke bazlī’elbin ūrī bin hūr ne wuh sab kuchhbanāyā jo rab ne mūsā ko batāyāthā. 23us ke sāth dān ke qabīle kāuhliyāb bin aḳhīsamak thā jo kārīgarīke har kām aur kaṛhāī ke kām meṅmāhir thā. wuh nīle, arġhawānī aurqirmizī rang ke dhāge aur bārīk katānse kapṛā banāne meṅ bhī māhir thā.)

24us sone kā wazn jo logoṅ kehadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kītāmīr ke lie istemāl huā taqrīban

1,000 kilogrām thā (use maqdis kebāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā).

25tāmīr ke lie chāṅdī jomardumshumārī ke hisāb se wasūlhuī, us kā wazn taqrīban 3,430kilogrām thā (use bhī maqdis kebāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā). 26jinmardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāidthī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkādenā paṛā. mardoṅ kī kul tādād6,03,550 thī. 27chūṅki dīwāroṅ ketaḳhtoṅ ke pāe aur muqaddastarīnkamre ke darwāze ke satūnoṅ kepāe chāṅdī ke the is lie taqrīban pūrīchāṅdī in 100 pāiyoṅ ke lie sarf huī.28taqrīban 30 kilogrām chāṅdī bachgaī. is se chārdīwārī ke khamboṅ kīhukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ, auryih khamboṅ ke ūpar ke siroṅ parbhī chaṛhāī gaī.

29jo pītal hadiyoṅ se jamā huāus kā wazn taqrīban 2,425 kilogrāmthā. 30ḳhaime ke darwāze ke pāe,jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh,us kā janglā, bartan aur sāz-o-sāmān, 31chārdīwārī ke pāe, sahanke darwāze ke pāe aur ḳhaime aurchārdīwārī kī tamām meḳheṅ isī sebanāī gaīṅ.

hārūn kā bālāposh

39 bazlī’el kī hidāyat parkārīgaroṅ ne nīle, arġhawānī

aur qirmizī rang kā dhāgā le karmaqdis meṅ ḳhidmat ke lie libās

Page 162: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

162 ḳhurūj 39:18

banāe. unhoṅ ne hārūn ke muqaddaskapṛe un hidāyāt ke ain mutābiqbanāe jo rab ne mūsā ko dī thīṅ.2unhoṅ ne imām-e-āzam kā bālāposhbanāne ke lie sonā, nīle, arġhawānīaur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīkkatān istemāl kiyā. 3unhoṅ ne soneko kūṭ kūṭ kar warq banāyā aurphir use kāṭ kar dhāge banāe. jabnīle, arġhawānī aur qirmizī rangke dhāge aur bārīk katān se kapṛābanāyā gayā to sone kā yih dhāgāmahārat se kaṛhāī ke kām meṅistemāl huā. 4unhoṅ ne bālāposhke lie do paṭṭiyāṅ banāīṅ aur unheṅbālāposh ke kandhoṅ par rakh karsāmne aur pīchhe se bālāposh kesāth lagāīṅ. 5paṭkā bhī banāyā gayājis se bālāposh ko bāndhā jātā thā.is ke lie bhī sonā, nīle, arġhawānīaur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīkkatān istemāl huā. yih un hidāyāt keain mutābiq huā jo rab ne mūsā ko dīthīṅ. 6phir unhoṅ ne aqīq-e-ahmar kedo patthar chun lie aur unheṅ soneke ḳhānoṅ meṅ jaṛ kar un par isrāīlke bārah beṭoṅ ke nām kandā kie. yihnām jauharoṅ par us tarah kandā kiegae jis tarah muhr kandā kī jātī hai.7unhoṅ ne pattharoṅ ko bālāposhkī do paṭṭiyoṅ par yūṅ lagāyā kiwuh hārūn ke kandhoṅ par rab koisrāīliyoṅ kī yād dilāte raheṅ. yih sabkuchh rab kī dī gaī hidāyāt ke ainmutābiq huā.

sīne kā kīsā8is ke bād unhoṅ ne sīne kā kīsā

banāyā. yih māhir kārīgar kā kāmthā aur un hī chīzoṅ se banā jin sehārūn kā bālāposh bhī banā thā yānīsone aur nīle, arġhawānī aur qirmizīrang ke dhāge aur bārīk katān se. 9jabkapṛe ko ek dafā tah kiyā gayā to kīsekī lambāī aur chauṛāī nau nau inchthī. 10unhoṅ ne us par chār qatāroṅmeṅ jawāhir jaṛe. har qatār meṅ tīntīn jauhar the. pahlī qatār meṅ lāl,zabarjad aur zumurrad. 11dūsrī meṅfīrozā, sang-e-lājaward aur hajr-ul-qamar. 12tīsrī meṅ zarqon, aqīq auryāqūt-e-arġhawānī. 13chauthī meṅpukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab.har jauhar sone ke ḳhāne meṅ jaṛāhuā thā. 14yih bārah jawāhir isrāīlke bārah qabīloṅ kī numāindagī kartethe. ek ek jauhar par ek qabīle kānām kandā kiyā gayā, aur yih nāmus tarah kandā kie gae jis tarah muhrkandā kī jātī hai.

15ab unhoṅ ne sīne ke kīse ke lieḳhālis sone kī do zanjīreṅ banāīṅ joḍorī kī tarah gundhī huī thīṅ. 16sāthsāth unhoṅ ne sone ke do ḳhāne aurdo kaṛe bhī banāe. unhoṅ ne yihkaṛe kīse ke ūpar ke do konoṅ parlagāe. 17phir donoṅ zanjīreṅ un dokaṛoṅ ke sāth lagāī gaīṅ. 18un kedūsre sire bālāposh kī kandhoṅ wālīpaṭṭiyoṅ ke do ḳhānoṅ ke sāth joṛdie gae. phir sāmne kī taraf lagāe

Page 163: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 39:19 163

gae. 19unhoṅ ne kīse ke nichle dokonoṅ par bhī sone ke do kaṛe lagāe.wuh andar, bālāposh kī taraf lage the.20ab unhoṅ ne do aur kaṛe banā karbālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅpar lagāe. yih bhī sāmne kī taraf lagethe lekin nīche, bālāposh ke paṭke keūpar hī. 21unhoṅ ne sīne ke kīse kenichle kaṛe nīlī ḍorī se bālāposh kein nichle kaṛoṅ ke sāth bāndhe. yūṅkīsā paṭke ke ūpar achchhī tarah sīneke sāth lagā rahā. yih un hidāyāt keain mutābiq huā jo rab ne mūsā ko dīthīṅ.

hārūn kā choġhā22phir kārīgaroṅ ne choġhā bunā.

wuh pūrī tarah nīle dhāge se banāyāgayā. choġhe ko bālāposh se pahlepahnanā thā. 23us ke garebān kobune hue kālar se mazbūt kiyā gayātāki wuh na phaṭe. 24unhoṅ nenīle, arġhawānī aur qirmizī rang kedhāge se anār banā kar unheṅ choġheke dāman meṅ lagā diyā. 25un kedarmiyān ḳhālis sone kī ghanṭiyāṅlagāī gaīṅ. 26dāman meṅ anār aurghanṭiyāṅ bārī bārī lagāī gaīṅ. lāzimthā ki hārūn ḳhidmat karne ke liehameshā yih choġhā pahne. rab nemūsā ko yihī hukm diyā thā.

ḳhidmat ke lie dīgar libās27kārīgaroṅ ne hārūn aur us ke

beṭoṅ ke lie bārīk katān ke zerjāme

banāe. yih bunane wāle kā kām thā.28sāth sāth unhoṅ ne bārīk katān kīpagaṛiyāṅ aur bārīk katān ke pājāmebanāe. 29kamarband ko bārīk katānaur nīle, arġhawānī aur qirmizī rangke dhāge se banāyā gayā. kaṛhāīkarne wāloṅ ne is par kām kiyā. sabkuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyāgayā jo rab ne mūsā ko dī thīṅ.

30unhoṅ ne muqaddas tāj yānīḳhālis sone kī taḳhtī banāī aur uspar yih alfāz kandā kie, ‘rab ke liemaḳhsūs-o-muqaddas.’ 31phir unhoṅne ise nīlī ḍorī se pagaṛī ke sāmnewāle hisse se lagā diyā. yih bhī unhidāyāt ke mutābiq banāyā gayā jorab ne mūsā ko dī thīṅ.

sārā sāmān mūsā ko dikhāyā jātā hai32āḳhirkār maqdis kā kām

mukammal huā. isrāīliyoṅ ne sabkuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyāthā jo rab ne mūsā ko dī thīṅ. 33wuhmaqdis kī tamām chīzeṅ mūsā kepās le āe yānī muqaddas ḳhaimāaur us kā sārā sāmān, us kī hukeṅ,dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr, satūn aurpāe, 34ḳhaime par menḍhoṅ kī surḳhrangī huī khāloṅ kā ġhilāf aur taḳhaskī khāloṅ kā ġhilāf, muqaddastarīnkamre ke darwāze kā pardā, 35ahd kāsandūq jis meṅ sharīat kī taḳhtiyāṅrakhnī thīṅ, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅaur us kā ḍhaknā, 36maḳhsūs roṭiyoṅkī mez, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ,

Page 164: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

164 ḳhurūj 40:14

37ḳhālis sone kā shamādān aur uspar rakhne ke charāġh us ke sāresāmān samet, shamādān ke lie tel,38baḳhūr jalāne kī sone kī qurbāngāh,masah kā tel, ḳhushbūdār baḳhūr,muqaddas ḳhaime ke darwāze kāpardā, 39jānwaroṅ ko chaṛhāne kīpītal kī qurbāngāh, us kā pītal kājanglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aurbāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aurwuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhnā thā,40chārdīwārī ke parde un ke khamboṅaur pāiyoṅ samet, sahan ke darwāzekā pardā, chārdīwārī ke rasse aurmeḳheṅ, mulāqāt ke ḳhaime meṅḳhidmat karne kā bāqī sārā sāmān41aur maqdis meṅ ḳhidmat karne kewuh muqaddas libās jo hārūn aur uske beṭoṅ ko pahnane the.

42sab kuchh un hidāyāt ke mutābiqbanāyā gayā thā jo rab ne mūsā kodī thīṅ. 43mūsā ne tamām chīzoṅkā muāinā kiyā aur mālūm kiyā kiunhoṅ ne sab kuchh rab kī hidāyāt kemutābiq banāyā thā. tab us ne unheṅbarkat dī.

maqdis ko khaṛā karne kī hidāyāt

40 phir rab ne mūsā se kahā,2“pahle mahīne kī pahlī

tārīḳh ko mulāqāt kā ḳhaimā khaṛākarnā. 3ahd kā sandūq jis meṅ sharīatkī taḳhtiyāṅ haiṅ muqaddastarīnkamre meṅ rakh kar us ke darwāzekā pardā lagānā. 4is ke bād maḳhsūs

roṭiyoṅ kī mez muqaddas kamremeṅ lā kar us par tamām zarūrīsāmān rakhnā. us kamre meṅshamādān bhī le ānā aur us par uske charāġh rakhnā. 5baḳhūr kī sonekī qurbāngāh us parde ke sāmnerakhnā jis ke pīchhe ahd kā sandūqhai. phir ḳhaime meṅ dāḳhil hone kedarwāze par pardā lagānā. 6jānwaroṅko chaṛhāne kī qurbāngāh sahan meṅḳhaime ke darwāze ke sāmne rakhījāe. 7ḳhaime aur is qurbāngāh kedarmiyān dhone kā hauz rakh kar usmeṅ pānī ḍālnā. 8sahan kī chārdīwārīkhaṛī karke us ke darwāze kā pardālagānā.

9phir masah kā tel le kar useḳhaime aur us ke sāre sāmān parchhiṛak denā. yūṅ tū use mere liemaḳhsūs karegā aur wuh muqaddashogā. 10phir jānwaroṅ ko chaṛhānekī qurbāngāh aur us ke sāmān parmasah kā tel chhiṛaknā. yūṅ tū usemere lie maḳhsūs karegā aur wuhnihāyat muqaddas hogā. 11isī tarahhauz aur us ḍhāṅche ko bhī maḳhsūskarnā jis par hauz rakhā gayā hai.

12hārūn aur us ke beṭoṅ ko mulāqātke ḳhaime ke darwāze par lā karġhusl karānā. 13phir hārūn komuqaddas libās pahnānā aur usemasah karke mere lie maḳhsūs-o-muqaddas karnā tāki imām ke taurpar merī ḳhidmat kare. 14us ke beṭoṅko lā kar unheṅ zerjāme pahnā denā.

Page 165: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ḳhurūj 40:15 165

15unheṅ un ke wālid kī tarah masahkarnā tāki wuh bhī imāmoṅ ke taurpar merī ḳhidmat kareṅ. jab unheṅmasah kiyā jāegā to wuh aur bād meṅun kī aulād hameshā tak maqdis meṅis ḳhidmat ke lie maḳhsūs hoṅge.”

maqdis ko khaṛā kiyā jātā hai16mūsā ne sab kuchh rab kī hidāyāt

ke mutābiq kiyā. 17pahle mahīnekī pahlī tārīḳh ko muqaddas ḳhaimākhaṛā kiyā gayā. unheṅ misr se niklepūrā ek sāl ho gayā thā. 18mūsā nedīwār ke taḳhtoṅ ko un ke pāiyoṅpar khaṛā karke un ke sāth shahtīrlagāe. isī tarah us ne satūnoṅ ko bhīkhaṛā kiyā. 19us ne rab kī hidāyātke ain mutābiq dīwāroṅ par kapṛe kāḳhaimā lagāyā aur us par dūsre ġhilāfrakhe.

20us ne sharīat kī donoṅ taḳhtiyāṅle kar ahd ke sandūq meṅ rakh dīṅ,uṭhāne ke lie lakaṛiyāṅ sandūq kekaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ aur kaffāre kāḍhaknā us par lagā diyā. 21phir us nerab kī hidāyāt ke ain mutābiq sandūqko muqaddastarīn kamre meṅ rakhkar us ke darwāze kā pardā lagā diyā.yūṅ ahd ke sandūq par pardā paṛārahā. 22mūsā ne maḳhsūs roṭiyoṅkī mez muqaddas kamre ke shimālīhisse meṅ us parde ke sāmne rakhdī jis ke pīchhe ahd kā sandūq thā.23us ne rab kī hidāyat ke ain mutābiqrab ke lie maḳhsūs kī huī roṭiyāṅ mez

par rakhīṅ. 24usī kamre ke junūbīhisse meṅ us ne shamādān ko mezke muqābil rakh diyā. 25us par usne rab kī hidāyat ke ain mutābiq rabke sāmne charāġh rakh die. 26us nebaḳhūr kī sone kī qurbāngāh bhī usīkamre meṅ rakhī, us parde ke bilkulsāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūqthā. 27us ne us par rab kī hidāyatke ain mutābiq ḳhushbūdār baḳhūrjalāyā.

28phir us ne ḳhaime kā darwāzālagā diyā. 29bāhar jā kar us nejānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāhḳhaime ke darwāze ke sāmne rakhdī. us par us ne rab kī hidāyatke ain mutābiq bhasm hone wālīqurbāniyāṅ aur ġhallā kī nazareṅchaṛhāīṅ.

30us ne dhone ke hauz ko ḳhaimeaur us qurbāngāh ke darmiyān rakhkar us meṅ pānī ḍāl diyā. 31mūsā,hārūn aur us ke beṭe use apne hāth-pāoṅ dhone ke lie istemāl karte the.32jab bhī wuh mulāqāt ke ḳhaimemeṅ dāḳhil hote yā jānwaroṅ kochaṛhāne kī qurbāngāh ke pās āte torab kī hidāyat ke ain mutābiq pahleġhusl karte.

33āḳhir meṅ mūsā ne ḳhaimā,qurbāngāh aur chārdīwārī khaṛīkarke sahan ke darwāze kā pardālagā diyā. yūṅ mūsā ne maqdis kītāmīr mukammal kī.

Page 166: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

166 ḳhurūj 40:38

ḳhaime meṅ rab kā jalāl34phir mulāqāt ke ḳhaime par bādal

chhā gayā aur maqdis rab ke jalālse bhar gayā. 35mūsā ḳhaime meṅdāḳhil na ho sakā, kyūṅki bādal uspar ṭhahrā huā thā aur maqdis rab kejalāl se bhar gayā thā.

36tamām safar ke daurān jab bhīmaqdis ke ūpar se bādal uṭhtā to

isrāīlī safar ke lie tayyār ho jāte.37agar wuh na uṭhtā to wuh us waqttak ṭhahre rahte jab tak bādal uṭh najātā. 38din ke waqt bādal maqdis keūpar ṭhahrā rahtā aur rāt ke waqtwuh tamām isrāīliyoṅ ko āg kī sūratmeṅ nazar ātā thā. yih silsilā pūresafar ke daurān jārī rahā.

Page 167: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār

bhasm hone wālī qurbānī

1 rab ne mulāqāt ke ḳhaime meṅse mūsā ko bulā kar kahā 2ki

isrāīliyoṅ ko ittilā de,“agar tum meṅ se koī rab ko

qurbānī pesh karnā chāhe to wuhapne gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅmeṅ se jānwar chun le.

3agar wuh apne gāy-bailoṅ meṅ sebhasm hone wālī qurbānī chaṛhānāchāhe to wuh beaib bail chun karuse mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzepar pesh kare tāki rab use qabūlkare. 4qurbānī pesh karne wālā apnāhāth jānwar ke sar par rakhe to yihqurbānī maqbūl ho kar us kā kaffārādegī. 5qurbānī pesh karne wālā bailko wahāṅ rab ke sāmne zabah kare.phir hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kāḳhūn rab ko pesh karke use darwāzepar kī qurbāngāh ke chār pahlū’oṅpar chhiṛkeṅ. 6is ke bād qurbānī peshkarne wālā khāl utār kar jānwar keṭukṛe ṭukṛe kare. 7imām qurbāngāh

par āg lagā kar us par tartīb selakaṛiyāṅ chuneṅ. 8us par wuhjānwar ke ṭukṛe sar aur charbī sametrakheṅ. 9lāzim hai ki qurbānī peshkarne wālā pahle jānwar kī antaṛiyāṅaur pinḍliyāṅ dhoe, phir imām pūrejānwar ko qurbāngāh par jalā de. isjalne wālī qurbānī kī ḳhushbū rab kopasand hai.

10agar bhasm hone wālī qurbānībheṛ-bakriyoṅ meṅ se chunī jāe towuh beaib nar ho. 11pesh karnewālā use rab ke sāmne qurbāngāh kīshimālī simt meṅ zabah kare. phirhārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kāḳhūn qurbāngāh ke chār pahlū’oṅpar chhiṛkeṅ. 12is ke bād pesh karnewālā jānwar ke ṭukṛe ṭukṛe kare aurimām yih ṭukṛe sar aur charbī sametqurbāngāh kī jaltī huī lakaṛiyoṅ partartīb se rakhe. 13lāzim hai ki qurbānīpesh karne wālā pahle jānwar kīantaṛiyāṅ aur pinḍliyāṅ dhoe, phirimām pūre jānwar ko rab ko pesh

Page 168: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

168 ahbār 2:12

karke qurbāngāh par jalā de. isjalne wālī qurbānī kī ḳhushbū rab kopasand hai.

14agar bhasm hone wālī qurbānīparindā ho to wuh qumrī yā jawānkabūtar ho. 15imām use qurbāngāhke pās le āe aur us kā sar maroṛkar qurbāngāh par jalā de. wuhus kā ḳhūn yūṅ nikalne de ki wuhqurbāngāh kī ek taraf se nīche ṭapke.16wuh us kā poṭā aur jo us meṅhai dūr karke qurbāngāh kī mashriqīsimt meṅ phaiṅk de, wahāṅ jahāṅrākh phaiṅkī jātī hai. 17use peshkarte waqt imām us ke par pakaṛkar parinde ko phāṛ ḍāle, lekin yūṅki wuh bilkul ṭukṛe ṭukṛe na ho jāe.phir imām use qurbāngāh par jaltī huīlakaṛiyoṅ par jalā de. is jalne wālīqurbānī kī ḳhushbū rab ko pasandhai.

ġhallā kī nazar

2 agar koī rab ko ġhallā kī nazarpesh karnā chāhe to wuh is ke

lie behtarīn maidā istemāl kare. uspar wuh zaitūn kā tel unḍele aurlubān rakh kar 2use hārūn ke beṭoṅke pās le āe jo imām haiṅ. imāmtel se milāyā gayā muṭṭhī bhar maidāaur tamām lubān le kar qurbāngāhpar jalā de. yih yādgār kā hissā hai,aur us kī ḳhushbū rab ko pasand hai.3bāqī maidā aur tel hārūn aur us kebeṭoṅ kā hissā hai. wuh rab kī jalne

wālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyatmuqaddas hissā hai.

4agar yih qurbānī tanūr meṅ pakāīhuī roṭī ho to us meṅ ḳhamīr na ho. iskī do qismeṅ ho saktī haiṅ, roṭiyāṅ jobehtarīn maide aur tel se banī huī hoṅaur roṭiyāṅ jin par tel lagāyā gayā ho.

5agar yih qurbānī tawe par pakāīhuī roṭī ho to wuh behtarīn maideaur tel kī ho. us meṅ ḳhamīr na ho.6chūṅki wuh ġhallā kī nazar hai is lieroṭī ko ṭukṛe ṭukṛe karnā aur us partel ḍālnā.

7agar yih qurbānī kaṛāhī meṅ pakāīhuī roṭī ho to wuh behtarīn maide aurtel kī ho.

8agar tū in chīzoṅ kī banī huī ġhallākī nazar rab ke huzūr lānā chāheto use imām ko pesh karnā. wuhīuse qurbāngāh ke pās le āe. 9phirimām yādgār kā hissā alag karkeuse qurbāngāh par jalā de. aisīqurbānī kī ḳhushbū rab ko pasandhai. 10qurbānī kā bāqī hissā hārūnaur us ke beṭoṅ ke lie hai. wuh rabkī jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se eknihāyat muqaddas hissā hai.

11ġhallā kī jitnī nazareṅ tum rabko pesh karte ho un meṅ ḳhamīr naho, kyūṅki lāzim hai ki tum rab kojalne wālī qurbānī pesh karte waqt naḳhamīr, na shahd jalāo. 12yih chīzeṅfasal ke pahle phaloṅ ke sāth rab kopesh kī jā saktī haiṅ, lekin unheṅqurbāngāh par na jalāyā jāe, kyūṅki

Page 169: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 2:13 169

wahāṅ rab ko un kī ḳhushbū pasandnahīṅ hai. 13ġhallā kī har nazar meṅnamak ho, kyūṅki namak us ahd kīnumāindagī kartā hai jo tere ḳhudāne tere sāth bāndhā hai. tujhe harqurbānī meṅ namak ḍālnā hai.

14agar tū ġhallā kī nazar ke lie fasalke pahle phal pesh karnā chāhe tokuchlī huī kachchī bāliyāṅ bhūn karpesh karnā. 15chūṅki wuh ġhallā kīnazar hai is lie us par tel unḍelnā aurlubān rakhnā. 16kuchle hue dānoṅaur tel kā jo hissā rab kā hai yānīyādgār kā hissā use imām tamāmlubān ke sāth jalā de. yih nazar rabke lie jalne wālī qurbānī hai.

salāmatī kī qurbānī

3 agar koī rab ko salāmatī kīqurbānī pesh karne ke lie gāy yā

bail chaṛhānā chāhe to wuh jānwarbeaib ho. 2wuh apnā hāth jānwarke sar par rakh kar use mulāqāt keḳhaime ke darwāze par zabah kare.hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kāḳhūn qurbāngāh ke chār pahlū’oṅpar chhiṛkeṅ. 3-4pesh karne wālāantaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde uscharbī samet jo un par aur kamr keqarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne wālīqurbānī ke taur par rab ko pesh kare.in chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alagkarnā hai. 5phir hārūn ke beṭe yihsab kuchh bhasm hone wālī qurbānīke sāth qurbāngāh kī lakaṛiyoṅ par

jalā deṅ. yih jalne wālī qurbānī hai,aur is kī ḳhushbū rab ko pasand hai.6agar salāmatī kī qurbānī ke lie bheṛ-bakriyoṅ meṅ se jānwar chunā jāe towuh beaib nar yā mādā ho.

7agar wuh bheṛ kā bachchāchaṛhānā chāhe to wuh use rab kesāmne le āe. 8wuh apnā hāth uske sar par rakh kar use mulāqāt keḳhaime ke sāmne zabah kare. hārūnke beṭe us kā ḳhūn qurbāngāh ke chārpahlū’oṅ par chhiṛkeṅ. 9-10pesh karnewālā charbī, pūrī dum, antaṛiyoṅ parkī sārī charbī, gurde us charbī sametjo un par aur kamr ke qarīb hotī haiaur joṛkalejī jalne wālī qurbānī ketaur par rab ko pesh kare. in chīzoṅko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.11imām yih sab kuchh rab ko peshkarke qurbāngāh par jalā de. yihḳhurāk jalne wālī qurbānī hai.

12agar salāmatī kī qurbānī bakrīkī ho 13to pesh karne wālā us parhāth rakh kar use mulāqāt ke ḳhaimeke sāmne zabah kare. hārūn kebeṭe jānwar kā ḳhūn qurbāngāh kechār pahlū’oṅ par chhiṛkeṅ. 14-15peshkarne wālā antaṛiyoṅ par kī sārīcharbī, gurde us charbī samet jo unpar aur kamr ke qarīb hotī hai aurjoṛkalejī jalne wālī qurbānī ke taurpar rab ko pesh kare. in chīzoṅ kogurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.16imām yih sab kuchh rab ko peshkarke qurbāngāh par jalā de. yih

Page 170: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

170 ahbār 4:18

ḳhurāk jalne wālī qurbānī hai, aur iskī ḳhushbū rab ko pasand hai.

sārī charbī rab kī hai. 17tumhārelie ḳhūn yā charbī khānā manā hai.yih na sirf tumhāre lie manā hai balkitumhārī aulād ke lie bhī, na sirf yahāṅbalki har jagah jahāṅ tum rahte ho.”

gunāh kī qurbānī

4 rab ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅko batānā ki jo bhī ġhairirādī

taur par gunāh karke rab ke kisīhukm ko toṛe wuh yih kare:

imām ke lie gunāh kī qurbānī3agar imām-e-āzam gunāh kare

aur natīje meṅ pūrī qaum qusūrwārṭhahre to phir wuh rab ko ek beaibjawān bail le kar gunāh kī qurbānī ketaur par pesh kare. 4wuh jawān bailko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze kepās le āe aur apnā hāth us ke sarpar rakh kar use rab ke sāmne zabahkare. 5phir wuh jānwar ke ḳhūnmeṅ se kuchh le kar ḳhaime meṅ jāe.6wahāṅ wuh apnī unglī us meṅ ḍālkar use sāt bār rab ke sāmne yānīmuqaddastarīn kamre ke parde parchhiṛke. 7phir wuh ḳhaime ke andarkī us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ parḳhūn lagāe jis par baḳhūr jalāyā jātāhai. bāqī ḳhūn wuh bāhar ḳhaimeke darwāze par kī us qurbāngāh kepāe par unḍele jis par jānwar jalāejāte haiṅ. 8jawān bail kī sārī charbī,

antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, 9gurde uscharbī samet jo un par aur kamr keqarīb hotī hai aur joṛkalejī ko gurdoṅke sāth hī alag karnā hai. 10yih bilkulusī tarah kiyā jāe jis tarah us bail kesāth kiyā gayā jo salāmatī kī qurbānīke lie pesh kiyā jātā hai. imām yihsab kuchh us qurbāngāh par jalā dejis par jānwar jalāe jāte haiṅ. 11lekinwuh us kī khāl, us kā sārā gosht, saraur pinḍliyāṅ, antaṛiyāṅ aur un kāgobar 12ḳhaimāgāh ke bāhar le jāe.yih chīzeṅ us pāk jagah par jahāṅqurbāniyoṅ kī rākh phaiṅkī jātī hailakaṛiyoṅ par rakh kar jalā denī haiṅ.

qaum ke lie gunāh kī qurbānī13agar isrāīl kī pūrī jamā’at ne

ġhairirādī taur par gunāh karke rabke kisī hukm se tajāwuz kiyā hai aurjamā’at ko mālūm nahīṅ thā to bhīwuh qusūrwār hai. 14jab logoṅ kopatā lage ki ham ne gunāh kiyā haito jamā’at mulāqāt ke ḳhaime ke pāsek jawān bail le āe aur use gunāhkī qurbānī ke taur par pesh kare.15jamā’at ke buzurg rab ke sāmneapne hāth us ke sar par rakheṅ, aurwuh wahīṅ zabah kiyā jāe. 16phirimām-e-āzam jānwar ke ḳhūn meṅ sekuchh le kar mulāqāt ke ḳhaime meṅjāe. 17wahāṅ wuh apnī unglī us meṅḍāl kar use sāt bār rab ke sāmne yānīmuqaddastarīn kamre ke parde parchhiṛke. 18phir wuh ḳhaime ke andar

Page 171: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 4:19 171

kī us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ parḳhūn lagāe jis par baḳhūr jalāyā jātāhai. bāqī ḳhūn wuh bāhar ḳhaimeke darwāze kī us qurbāngāh ke pāepar unḍele jis par jānwar jalāe jātehaiṅ. 19is ke bād wuh us kī tamāmcharbī nikāl kar qurbāngāh par jalāde. 20us bail ke sāth wuh sab kuchhkare jo use apne zātī ġhairirādī gunāhke lie karnā hotā hai. yūṅ wuh logoṅkā kaffārā degā aur unheṅ muāfīmil jāegī. 21āḳhir meṅ wuh bail koḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar us tarahjalā de jis tarah use apne lie bail kojalā denā hotā hai. yih jamā’at kāgunāh dūr karne kī qurbānī hai.

qaum ke rāhnumā ke lie

gunāh kī qurbānī22agar koī sardār ġhairirādī taur

par gunāh karke rab ke kisī hukmse tajāwuz kare aur yūṅ qusūrwārṭhahre to 23jab bhī use patā lageki mujh se gunāh huā hai to wuhqurbānī ke lie ek beaib bakrā le āe.24wuh apnā hāth bakre ke sar parrakh kar use wahāṅ zabah kare jahāṅbhasm hone wālī qurbāniyāṅ zabahkī jātī haiṅ. yih gunāh kī qurbānī hai.25imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl karuse us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅpar lagāe jis par jānwar jalāe jātehaiṅ. bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh kepāe par unḍele. 26phir wuh us kī sārīcharbī qurbāngāh par us tarah jalā de

jis tarah wuh salāmatī kī qurbāniyoṅkī charbī jalā detā hai. yūṅ imām usādmī kā kaffārā degā aur use muāfīhāsil ho jāegī.

ām logoṅ ke lie gunāh kī qurbānī27agar koī ām shaḳhs ġhairirādī

taur par gunāh karke rab ke kisīhukm se tajāwuz kare aur yūṅqusūrwār ṭhahre to 28jab bhī use patālage ki mujh se gunāh huā hai towuh qurbānī ke lie ek beaib bakrī leāe. 29wuh apnā hāth bakrī ke sarpar rakh kar use wahāṅ zabah karejahāṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅzabah kī jātī haiṅ. 30imām apnī unglīḳhūn meṅ ḍāl kar use us qurbāngāhke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe jis parjānwar jalāe jāte haiṅ. bāqī ḳhūnwuh qurbāngāh ke pāe par unḍele.31phir wuh us kī sārī charbī us tarahnikāle jis tarah wuh salāmatī kīqurbāniyoṅ kī charbī nikāltā hai. iske bād wuh use qurbāngāh par jalāde. aisī qurbānī kī ḳhushbū rab kopasand hai. yūṅ imām us ādmī kākaffārā degā aur use muāfī hāsil hojāegī.

32agar wuh gunāh kī qurbānī kelie bheṛ kā bachchā lānā chāhe towuh beaib mādā ho. 33wuh apnāhāth us ke sar par rakh kar usewahāṅ zabah kare jahāṅ bhasm honewālī qurbāniyāṅ zabah kī jātī haiṅ.34imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl kar

Page 172: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

172 ahbār 5:11

use us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅpar lagāe jis par jānwar jalāe jātehaiṅ. bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh kepāe par unḍele. 35phir wuh us kītamām charbī us tarah nikāle jis tarahsalāmatī kī qurbānī ke lie zabah kiegae jawān menḍhe kī charbī nikālījātī hai. is ke bād imām charbī koqurbāngāh par un qurbāniyoṅ sametjalā de jo rab ke lie jalāī jātī haiṅ. yūṅimām us ādmī kā kaffārā degā aur usemuāfī mil jāegī.

gunāh kī qurbāniyoṅ ke bāre

meṅ ḳhās hidāyāt

5 ho saktā hai ki kisī ne yūṅ gunāhkiyā ki us ne koī jurm dekhā yā

wuh us ke bāre meṅ kuchh jāntā hai.to bhī jab gawāhoṅ ko qasam ke liebulāyā jātā hai to wuh gawāhī deneke lie sāmne nahīṅ ātā. is sūrat meṅwuh qusūrwār ṭhahartā hai.

2ho saktā hai ki kisī ne ġhairirādītaur par kisī nāpāk chīz ko chhū liyāhai, ḳhwāh wuh kisī janglī jānwar,maweshī yā reṅgne wāle jānwar kīlāsh kyūṅ na ho. is sūrat meṅ wuhnāpāk hai aur qusūrwār ṭhahartā hai.

3ho saktā hai ki kisī ne ġhairirādītaur par kisī shaḳhs kī nāpākī kochhū liyā hai yānī us kī koī aisī chīzjis se wuh nāpāk ho gayā hai. jab usemālūm ho jātā hai to wuh qusūrwārṭhahartā hai.

4ho saktā hai ki kisī ne beparwāī sekuchh karne kī qasam khāī hai, chāhewuh achchhā kām thā yā ġhalat. jabwuh jān letā hai ki us ne kyā kiyā haito wuh qusūrwār ṭhahartā hai.

5jo is tarah ke kisī gunāh kī bināpar qusūrwār ho, lāzim hai ki wuhapnā gunāh taslīm kare. 6phir wuhgunāh kī qurbānī ke taur par ek bheṛyā bakrī pesh kare. yūṅ imām us kākaffārā degā.

7agar qusūrwār shaḳhs ġhurbat kebāis bheṛ yā bakrī na de sake towuh rab ko do qumriyāṅ yā dojawān kabūtar pesh kare, ek gunāhkī qurbānī ke lie aur ek bhasm honewālī qurbānī ke lie. 8wuh unheṅimām ke pās le āe. imām pahlegunāh kī qurbānī ke lie parindā peshkare. wuh us kī gardan maroṛ ḍālelekin aise ki sar judā na ho jāe.9phir wuh us ke ḳhūn meṅ se kuchhqurbāngāh ke ek pahlū par chhiṛke.bāqī ḳhūn wuh yūṅ nikalne de kiwuh qurbāngāh ke pāe par ṭapke. yihgunāh kī qurbānī hai. 10phir imāmdūsre parinde ko qawāid ke mutābiqbhasm hone wālī qurbānī ke taur parpesh kare. yūṅ imām us ādmī kākaffārā degā aur use muāfī mil jāegī.

11agar wuh shaḳhs ġhurbat ke bāisdo qumriyāṅ yā do jawān kabūtarbhī na de sake to phir wuh gunāh kīqurbānī ke lie ḍeṛh kilogrām behtarīnmaidā pesh kare. wuh us par na tel

Page 173: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 5:12 173

unḍele, na lubān rakhe, kyūṅki yihġhallā kī nazar nahīṅ balki gunāh kīqurbānī hai. 12wuh use imām ke pāsle āe jo yādgār kā hissā yānī muṭṭhībhar un qurbāniyoṅ ke sāth jalā de jorab ke lie jalāī jātī haiṅ. yih gunāh kīqurbānī hai. 13yūṅ imām us ādmī kākaffārā degā aur use muāfī mil jāegī.ġhallā kī nazar kī tarah bāqī maidāimām kā hissā hai.”

qusūr kī qurbānī14rab ne mūsā se kahā, 15“agar

kisī ne be’īmānī karke ġhairirādī taurpar rab kī maḳhsūs aur muqaddaschīzoṅ ke silsile meṅ gunāh kiyā ho,aisā shaḳhs qusūr kī qurbānī ke taurpar rab ko beaib aur qīmat ke lihāzse munāsib menḍhā yā bakrā peshkare. us kī qīmat maqdis kī sharhke mutābiq muqarrar kī jāe. 16jitnānuqsān maqdis ko huā hai utnā hīwuh de. is ke ilāwā wuh mazīd 20fīsad adā kare. wuh use imām kode de aur imām jānwar ko qusūr kīqurbānī ke taur par pesh karke us kākaffārā de. yūṅ use muāfī mil jāegī.

17agar koī ġhairirādī taur par gunāhkarke rab ke kisī hukm se tajāwuzkare to wuh qusūrwār hai, aur wuhus kā zimmādār ṭhahregā. 18wuhqusūr kī qurbānī ke taur par imāmke pās ek beaib aur qīmat ke lihāz semunāsib menḍhā le āe. us kī qīmatmaqdis kī sharh ke mutābiq muqarrar

kī jāe. phir imām yih qurbānī usgunāh ke lie chaṛhāe jo qusūrwārshaḳhs ne ġhairirādī taur par kiyāhai. yūṅ use muāfī mil jāegī. 19yihqusūr kī qurbānī hai, kyūṅki wuh rabkā gunāh karke qusūrwār ṭhahrā hai.”

6 rab ne mūsā se kahā, 2“ho saktāhai kisī ne gunāh karke be’īmānī

kī hai, masalan us ne apne paṛosīkī koī chīz wāpas nahīṅ kī jo us kesapurd kī gaī thī yā jo use girwī ketaur par milī thī, yā us ne us kī koīchīz chorī kī, yā us ne kisī se koī chīzchhīn lī, 3yā us ne kisī kī gumshudāchīz ke bāre meṅ jhūṭ bolā jab usemil gaī, yā us ne qasam khā kar jhūṭbolā hai, yā is tarah kā koī aur gunāhkiyā hai. 4agar wuh is tarah kā gunāhkarke qusūrwār ṭhahre to lāzim hai kiwuh wuhī chīz wāpas kare jo us nechorī kī yā chhīn lī yā jo us ke sapurdkī gaī yā jo gumshudā ho kar us kepās ā gaī hai 5yā jis ke bāre meṅ usne qasam khā kar jhūṭ bolā hai. wuhus kā utnā hī wāpas karke 20 fīsadzyādā de. aur wuh yih sab kuchh usdin wāpas kare jab wuh apnī qusūrkī qurbānī pesh kartā hai. 6qusūr kīqurbānī ke taur par wuh ek beaib aurqīmat ke lihāz se munāsib menḍhāimām ke pās le āe aur rab ko peshkare. us kī qīmat maqdis kī sharh kemutābiq muqarrar kī jāe. 7phir imāmrab ke sāmne us kā kaffārā degā touse muāfī mil jāegī.”

Page 174: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

174 ahbār 6:25

bhasm hone wālī qurbānī8rab ne mūsā se kahā, 9“hārūn

aur us ke beṭoṅ ko bhasm honewālī qurbāniyoṅ ke bāre meṅ zailkī hidāyāt denā: bhasm hone wālīqurbānī pūrī rāt subh tak qurbāngāhkī us jagah par rahe jahāṅ āg jaltīhai. āg ko bujhne na denā. 10subhko imām katān kā libās aur katān kāpājāmā pahan kar qurbānī se bachīhuī rākh qurbāngāh ke pās zamīn parḍāle. 11phir wuh apne kapṛe badal karrākh ko ḳhaimāgāh ke bāhar kisī pākjagah par chhoṛ āe. 12qurbāngāh parāg jaltī rahe. wuh kabhī bhī na bujhe.har subh imām lakaṛiyāṅ chun kar uspar bhasm hone wālī qurbānī tartīb serakhe aur us par salāmatī kī qurbānīkī charbī jalā de. 13āg hameshā jaltīrahe. wuh kabhī na bujhne pāe.

ġhallā kī nazar14ġhallā kī nazar ke bāre meṅ

hidāyāt yih haiṅ: hārūn ke beṭeuse qurbāngāh ke sāmne rab kopesh kareṅ. 15phir imām yādgār kāhissā yānī tel se milāyā gayā muṭṭhībhar behtarīn maidā aur qurbānī kātamām lubān le kar qurbāngāh parjalā de. is kī ḳhushbū rab ko pasandhai. 16hārūn aur us ke beṭe qurbānīkā bāqī hissā khā leṅ. lekin wuhuse muqaddas jagah par yānī mulāqātke ḳhaime kī chārdīwārī ke andarkhāeṅ, aur us meṅ ḳhamīr na ho.

17use pakāne ke lie us meṅ ḳhamīrna ḍālā jāe. maiṅ ne jalne wālīqurbāniyoṅ meṅ se yih hissā un kelie muqarrar kiyā hai. yih gunāh kīqurbānī aur qusūr kī qurbānī kī tarahnihāyat muqaddas hai. 18hārūn kīaulād ke tamām mard use khāeṅ. yihusūl abad tak qāim rahe. jo bhī usechhuegā wuh maḳhsūs-o-muqaddasho jāegā.”

19rab ne mūsā se kahā, 20“jabhārūn aur us ke beṭoṅ ko imām kīzimmādārī uṭhāne ke lie maḳhsūskarke tel se masah kiyā jāegā to wuhḍeṛh kilogrām behtarīn maidā peshkareṅ. us kā ādhā hissā subh ko aurādhā hissā shām ke waqt pesh kiyājāe. wuh ġhallā kī yih nazar rozānāpesh kareṅ. 21use tel ke sāth milākar tawe par pakānā hai. phir useṭukṛe ṭukṛe karke ġhallā kī nazar ketaur par pesh karnā. us kī ḳhushbūrab ko pasand hai. 22yih qurbānīhameshā hārūn kī nasl kā wuh ādmīpesh kare jise masah karke imām-e-āzam kā uhdā diyā gayā hai, aur wuhuse pūre taur par rab ke lie jalā de.23imām kī ġhallā kī nazar hameshāpūre taur par jalānā. use na khānā.”

gunāh kī qurbānī24rab ne mūsā se kahā, 25“hārūn

aur us ke beṭoṅ ko gunāh kī qurbānīke bāre meṅ zail kī hidāyāt denā:gunāh kī qurbānī ko rab ke sāmne

Page 175: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 6:26 175

wahīṅ zabah karnā hai jahāṅ bhasmhone wālī qurbānī zabah kī jātī hai.wuh nihāyat muqaddas hai. 26usepesh karne wālā imām use muqaddasjagah par yānī mulāqāt ke ḳhaimekī chārdīwārī ke andar khāe. 27jobhī is qurbānī ke gosht ko chhūletā hai wuh maḳhsūs-o-muqaddasho jātā hai. agar qurbānī ke ḳhūnke chhīṅṭe kisī libās par paṛ jāeṅto use muqaddas jagah par dhonāhai. 28agar gosht ko hanḍiyā meṅpakāyā gayā ho to us bartan ko bādmeṅ toṛ denā hai. agar us ke liepītal kā bartan istemāl kiyā gayāho to use ḳhūb māṅjh kar pānī sesāf karnā. 29imāmoṅ ke ḳhāndānoṅmeṅ se tamām mard use khā saktehaiṅ. yih khānā nihāyat muqaddashai. 30lekin gunāh kī har wuh qurbānīkhāī na jāe jis kā ḳhūn mulāqāt keḳhaime meṅ is lie lāyā gayā hai kimaqdis meṅ kisī kā kaffārā diyā jāe.use jalānā hai.

qusūr kī qurbānī

7 qusūr kī qurbānī jo nihāyatmuqaddas hai us ke bāre meṅ

hidāyāt yih haiṅ:2qusūr kī qurbānī wahīṅ zabah

karnī hai jahāṅ bhasm hone wālīqurbānī zabah kī jātī hai. us kāḳhūn qurbāngāh ke chār pahlū’oṅpar chhiṛkā jāe. 3us kī tamām charbīnikāl kar qurbāngāh par chaṛhānī hai

yānī us kī dum, antaṛiyoṅ par kīcharbī, 4gurde us charbī samet jo unpar aur kamr ke qarīb hotī hai aurjoṛkalejī. in chīzoṅ ko gurdoṅ kesāth hī alag karnā hai. 5imām yihsab kuchh rab ko qurbāngāh par jalnewālī qurbānī ke taur par pesh kare.yih qusūr kī qurbānī hai. 6imāmoṅ keḳhāndānoṅ meṅ se tamām mard usekhā sakte haiṅ. lekin use muqaddasjagah par khāyā jāe. yih nihāyatmuqaddas hai.

7gunāh aur qusūr kī qurbānī kelie ek hī usūl hai, jo imām qurbānīko pesh karke kaffārā detā hai usko us kā gosht miltā hai. 8is tarahjo imām kisī jānwar ko bhasm honewālī qurbānī ke taur par chaṛhātāhai usī ko jānwar kī khāl miltī hai.9aur isī tarah tanūr meṅ, kaṛāhī meṅyā tawe par pakāī gaī ġhallā kī harnazar us imām ko miltī hai jis neuse pesh kiyā hai. 10lekin hārūnke tamām beṭoṅ ko ġhallā kī bāqīnazareṅ barābar barābar miltī raheṅ,ḳhwāh un meṅ tel milāyā gayā ho yāwuh ḳhushk hoṅ.

salāmatī kī qurbānī11salāmatī kī qurbānī jo rab ko pesh

kī jātī hai us ke bāre meṅ zail kīhidāyāt haiṅ:

12agar koī is qurbānī se apnīshukrguzārī kā izhār karnā chāhe towuh jānwar ke sāth beḳhamīrī roṭī

Page 176: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

176 ahbār 7:33

jis meṅ tel ḍālā gayā ho, beḳhamīrīroṭī jis par tel lagāyā gayā ho aurroṭī jis meṅ behtarīn maidā aur telmilāyā gayā ho pesh kare. 13is keilāwā wuh ḳhamīrī roṭī bhī pesh kare.14pesh karne wālā qurbānī kī harchīz kā ek hissā uṭhā kar rab ke liemaḳhsūs kare. yih us imām kā hissāhai jo jānwar kā ḳhūn qurbāngāh parchhiṛaktā hai. 15gosht usī din khāyājāe jab jānwar ko zabah kiyā gayā ho.aglī subh tak kuchh nahīṅ bachnāchāhie.

16is qurbānī kā gosht sirf is sūratmeṅ agle din khāyā jā saktā hai jabkisī ne mannat mān kar yā apnīḳhushī se use pesh kiyā hai. 17agarkuchh gosht tīsre din tak bach jāeto use jalānā hai. 18agar use tīsredin bhī khāyā jāe to rab yih qurbānīqabūl nahīṅ karegā. us kā koī fāidānahīṅ hogā balki use nāpāk qarārdiyā jāegā. jo bhī us se khāegā wuhqusūrwār ṭhahregā. 19agar yih goshtkisī nāpāk chīz se lag jāe to use nahīṅkhānā hai balki use jalāyā jāe. agargosht pāk hai to har shaḳhs jo ḳhudpāk hai use khā saktā hai. 20lekinagar nāpāk shaḳhs rab ko pesh kī gaīsalāmatī kī qurbānī kā yih gosht khāeto use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnāhai. 21ho saktā hai ki kisī ne kisīnāpāk chīz ko chhū liyā hai chāhewuh nāpāk shaḳhs, jānwar yā koī aurghinaunī aur nāpāk chīz ho. agar aisā

shaḳhs rab ko pesh kī gaī salāmatī kīqurbānī kā gosht khāe to use us kīqaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.”

charbī aur ḳhūn khānā manā hai22rab ne mūsā se kahā, 23“isrāīliyoṅ

ko batā denā ki gāy-bail aur bheṛ-bakriyoṅ kī charbī khānā tumhārelie manā hai. 24tum fitrī taur parmare hue jānwaroṅ aur phāṛe huejānwaroṅ kī charbī dīgar kāmoṅ kelie istemāl kar sakte ho, lekin usekhānā manā hai. 25jo bhī us charbīmeṅ se khāe jo jalā kar rab ko peshkī jātī hai use us kī qaum meṅ se miṭāḍālnā hai. 26jahāṅ bhī tum rahte howahāṅ parindoṅ yā dīgar jānwaroṅkā ḳhūn khānā manā hai. 27jo bhīḳhūn khāe use us kī qaum meṅ semiṭāyā jāe.”

qurbāniyoṅ meṅ se imām kā hissā28rab ne mūsā se kahā, 29“isrāīliyoṅ

ko batānā ki jo rab ko salāmatī kīqurbānī pesh kare wuh rab ke lie ekhissā maḳhsūs kare. 30wuh jalne wālīyih qurbānī apne hāthoṅ se rab kopesh kare. is ke lie wuh jānwar kīcharbī aur sīnā rab ke sāmne peshkare. sīnā hilāne wālī qurbānī ho.31imām charbī ko qurbāngāh par jalāde jabki sīnā hārūn aur us ke beṭoṅkā hissā hai. 32qurbānī kī dahnī rānimām ko uṭhāne wālī qurbānī ke taurpar dī jāe. 33wuh us imām kā hissā

Page 177: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 7:34 177

hai jo salāmatī kī qurbānī kā ḳhūn aurcharbī chaṛhātā hai.

34isrāīliyoṅ kī salāmatī kīqurbāniyoṅ meṅ se maiṅ ne hilānewālā sīnā aur uṭhāne wālī rānimāmoṅ ko dī hai. yih chīzeṅhameshā ke lie isrāīliyoṅ kī taraf seimāmoṅ kā haq haiṅ.”

35yih us din jalne wālī qurbāniyoṅmeṅ se hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissāban gaīṅ jab unheṅ maqdis meṅ rabkī ḳhidmat meṅ pesh kiyā gayā. 36rabne us din jab unheṅ tel se masah kiyāgayā hukm diyā thā ki isrāīlī yih hissāhameshā imāmoṅ ko diyā kareṅ.

37ġharz yih hidāyāt tamāmqurbāniyoṅ ke bāre meṅ haiṅ yānībhasm hone wālī qurbānī, ġhallākī nazar, gunāh kī qurbānī, qusūrkī qurbānī, imām ko maqdis meṅḳhidmat ke lie maḳhsūs karne kīqurbānī aur salāmatī kī qurbānī kebāre meṅ. 38rab ne mūsā ko yihhidāyāt sīnā pahāṛ par dīṅ, us dinjab us ne isrāīliyoṅ ko hukm diyā kiwuh dasht-e-sīnā meṅ rab ko apnīqurbāniyāṅ pesh kareṅ.

hārūn aur us ke beṭoṅ kī maḳhsūsiyat

8 rab ne mūsā se kahā, 2“hārūnaur us ke beṭoṅ ko mere huzūr

le ānā. nīz imāmoṅ ke libās, masahkā tel, gunāh kī qurbānī ke liejawān bail, do menḍhe aur beḳhamīrīroṭiyoṅ kī ṭokrī le ānā. 3phir pūrī

jamā’at ko ḳhaime ke darwāze parjamā karnā.”

4mūsā ne aisā hī kiyā. jab pūrījamā’at ikaṭṭhī ho gaī to 5us neun se kahā, “ab maiṅ wuh kuchhkartā hūṅ jis kā hukm rab ne diyāhai.” 6mūsā ne hārūn aur us kebeṭoṅ ko sāmne lā kar ġhusl karāyā.7us ne hārūn ko katān kā zerjāmāpahnā kar kamarband lapeṭā. phirus ne choġhā pahnāyā jis par us nebālāposh ko mahārat se bune huepaṭke se bāndhā. 8is ke bād us nesīne kā kīsā lagā kar us meṅ donoṅqur’e banām ūrīm aur tummīm rakhe.9phir us ne hārūn ke sar par pagaṛīrakhī jis ke sāmne wāle hisse par usne muqaddas tāj yānī sone kī taḳhtīlagā dī. sab kuchh us hukm ke ainmutābiq huā jo rab ne mūsā ko diyāthā.

10is ke bād mūsā ne masah ketel se maqdis ko aur jo kuchh usmeṅ thā masah karke use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. 11us ne yih tel sātbār jānwar chaṛhāne kī qurbāngāhaur us ke sāmān par chhiṛak diyā.isī tarah us ne sāt bār dhone kehauz aur us ḍhāṅche par tel chhiṛakdiyā jis par hauz rakhā huā thā.yūṅ yih chīzeṅ maḳhsūs-o-muqaddashuīṅ. 12us ne hārūn ke sar par masahkā tel unḍel kar use masah kiyā. yūṅwuh maḳhsūs-o-muqaddas huā.

Page 178: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

178 ahbār 8:28

13phir mūsā ne hārūn ke beṭoṅ kosāmne lā kar unheṅ zerjāme pahnāe,kamarband lapeṭe aur un ke saroṅpar pagaṛiyāṅ bāndhīṅ. sab kuchh ushukm ke ain mutābiq huā jo rab nemūsā ko diyā thā.

14ab mūsā ne gunāh kī qurbānī kelie jawān bail ko pesh kiyā. hārūn aurus ke beṭoṅ ne apne hāth us ke sarpar rakhe. 15mūsā ne use zabah karkeus ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar apnīunglī se qurbāngāh ke sīṅgoṅ parlagā diyā tāki wuh gunāhoṅ se pākho jāe. bāqī ḳhūn us ne qurbāngāhke pāe par unḍel diyā. yūṅ us neuse maḳhsūs-o-muqaddas karke uskā kaffārā diyā. 16mūsā ne antaṛiyoṅpar kī tamām charbī, joṛkalejī aurdonoṅ gurde un kī charbī samet le karqurbāngāh par jalā die. 17lekin bailkī khāl, gosht aur antaṛiyoṅ ke gobarko us ne ḳhaimāgāh ke bāhar le jākar jalā diyā. sab kuchh us hukm kemutābiq huā jo rab ne mūsā ko diyāthā.

18is ke bād us ne bhasm hone wālīqurbānī ke lie pahlā menḍhā peshkiyā. hārūn aur us ke beṭoṅ neapne hāth us ke sar par rakh die.19mūsā ne use zabah karke us kāḳhūn qurbāngāh ke chār pahlū’oṅpar chhiṛak diyā. 20us ne menḍheko ṭukṛe ṭukṛe karke sar, ṭukṛe aurcharbī jalā dī. 21us ne antaṛiyāṅaur pinḍliyāṅ pānī se sāf karke pūre

menḍhe ko qurbāngāh par jalā diyā.sab kuchh us hukm ke ain mutābiqhuā jo rab ne mūsā ko diyā thā. rab kelie jalne wālī yih qurbānī bhasm honewālī qurbānī thī, aur us kī ḳhushbūrab ko pasand thī.

22is ke bād mūsā ne dūsre menḍheko pesh kiyā. is qurbānī kā maqsadimāmoṅ ko maqdis meṅ ḳhidmat kelie maḳhsūs karnā thā. hārūn aurus ke beṭoṅ ne apne hāth menḍheke sar par rakh die. 23mūsā neuse zabah karke us ke ḳhūn meṅ sekuchh le kar hārūn ke dahne kān kīlau par aur us ke dahne hāth aurdahne pāoṅ ke angūṭhoṅ par lagāyā.24yihī us ne hārūn ke beṭoṅ ke sāthbhī kiyā. us ne unheṅ sāmne lākar un ke dahne kān kī lau paraur un ke dahne hāth aur dahnepāoṅ ke angūṭhoṅ par ḳhūn lagāyā.bāqī ḳhūn us ne qurbāngāh ke chārpahlū’oṅ par chhiṛak diyā. 25us nemenḍhe kī charbī, dum, antaṛiyoṅpar kī sārī charbī, joṛkalejī, donoṅgurde un kī charbī samet aur dahnīrān alag kī. 26phir wuh rab ke sāmnepaṛī beḳhamīrī roṭiyoṅ kī ṭokrī meṅse ek sādā roṭī, ek roṭī jis meṅ tel ḍālāgayā thā aur ek roṭī jis par tel lagāyāgayā thā le kar charbī aur rān parrakh dī. 27us ne yih sab kuchh hārūnaur us ke beṭoṅ ke hāthoṅ par rakhkar use hilāne wālī qurbānī ke taurpar rab ko pesh kiyā. 28phir us ne yih

Page 179: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 8:29 179

chīzeṅ un se wāpas le kar qurbāngāhpar jalā dīṅ jis par pahle bhasm honewālī qurbānī rakhī gaī thī. rab kelie jalne wālī yih qurbānī imāmoṅ komaḳhsūs karne ke lie chaṛhāī gaī, aurus kī ḳhushbū rab ko pasand thī.

29mūsā ne sīnā bhī liyā aur usehilāne wālī qurbānī ke taur par rabke sāmne hilāyā. yih maḳhsūsiyat kemenḍhe meṅ se mūsā kā hissā thā.mūsā ne is meṅ bhī sab kuchh rab kehukm ke ain mutābiq kiyā.

30phir us ne masah ke tel aurqurbāngāh par ke ḳhūn meṅ se kuchhle kar hārūn, us ke beṭoṅ aur un kekapṛoṅ par chhiṛak diyā. yūṅ us neunheṅ aur un ke kapṛoṅ ko maḳhsūs-o-muqaddas kiyā.

31mūsā ne un se kahā, “gosht komulāqāt ke ḳhaime ke darwāze parubāl kar use un roṭiyoṅ ke sāthkhānā jo maḳhsūsiyat kī qurbāniyoṅkī ṭokrī meṅ paṛī haiṅ. kyūṅki rab nemujhe yihī hukm diyā hai. 32goshtaur roṭiyoṅ kā baqāyā jalā denā.33sāt din tak mulāqāt ke ḳhaime kedarwāze meṅ se na nikalnā, kyūṅkimaqdis meṅ ḳhidmat ke lie tumhārīmaḳhsūsiyat ke itne hī din haiṅ. 34jokuchh āj huā hai wuh rab ke hukmke mutābiq huā tāki tumhārā kaffārādiyā jāe. 35tumheṅ sāt rāt aur din takḳhaime ke darwāze ke andar rahnāhai. rab kī is hidāyat ko māno warnā

tum mar jāoge, kyūṅki yih hukmmujhe rab kī taraf se diyā gayā hai.”

36hārūn aur us ke beṭoṅ ne untamām hidāyāt par amal kiyā jo rabne mūsā kī mārifat unheṅ dī thīṅ.

hārūn qurbāniyāṅ chaṛhātā hai

9 maḳhsūsiyat ke sāt din ke bādmūsā ne āṭhweṅ din hārūn, us

ke beṭoṅ aur isrāīl ke buzurgoṅ kobulāyā. 2us ne hārūn se kahā, “ekbeaib bachhṛā aur ek beaib menḍhāchun kar rab ko pesh kar. bachhṛāgunāh kī qurbānī ke lie aur menḍhābhasm hone wālī qurbānī ke lie ho.3phir isrāīliyoṅ ko kah denā ki gunāhkī qurbānī ke lie ek bakrā jabki bhasmhone wālī qurbānī ke lie ek beaibyaksālā bachhṛā aur ek beaib yaksālābheṛ kā bachchā pesh karo. 4sāthhī salāmatī kī qurbānī ke lie ek bailaur ek menḍhā chuno. tel ke sāthmilāī huī ġhallā kī nazar bhī le kar sabkuchh rab ko pesh karo. kyūṅki āj hīrab tum par zāhir hogā.”

5isrāīlī mūsā kī matlūbā tamāmchīzeṅ mulāqāt ke ḳhaime ke sāmnele āe. pūrī jamā’at qarīb ā kar rabke sāmne khaṛī ho gaī. 6mūsā neun se kahā, “tumheṅ wuhī karnā haijis kā hukm rab ne tumheṅ diyā hai.kyūṅki āj hī rab kā jalāl tum par zāhirhogā.”

7phir us ne hārūn se kahā,“qurbāngāh ke pās jā kar gunāh

Page 180: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

180 ahbār 9:24

kī qurbānī aur bhasm hone wālīqurbānī chaṛhā kar apnā aur apnīqaum kā kaffārā denā. rab ke hukmke mutābiq qaum ke lie bhī qurbānīpesh karnā tāki us kā kaffārā diyājāe.”

8hārūn qurbāngāh ke pās āyā. usne bachhṛe ko zabah kiyā. yih us kelie gunāh kī qurbānī thā. 9us ke beṭebachhṛe kā ḳhūn us ke pās le āe. usne apnī unglī ḳhūn meṅ ḍubo kar usequrbāngāh ke sīṅgoṅ par lagāyā. bāqīḳhūn ko us ne qurbāngāh ke pāe parunḍel diyā. 10phir us ne us kī charbī,gurdoṅ aur joṛkalejī ko qurbāngāhpar jalā diyā. jaise rab ne mūsā kohukm diyā thā waise hī hārūn nekiyā. 11bachhṛe kā gosht aur khāl usne ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar jalādī.

12is ke bād hārūn ne bhasm honewālī qurbānī ko zabah kiyā. us kebeṭoṅ ne use us kā ḳhūn diyā, aur usne use qurbāngāh ke chār pahlū’oṅpar chhiṛak diyā. 13unhoṅ ne usequrbānī ke muḳhtalif ṭukṛe sar sametdie, aur us ne unheṅ qurbāngāh parjalā diyā. 14phir us ne us kī antaṛiyāṅaur pinḍliyāṅ dho kar bhasm honewālī qurbānī kī bāqī chīzoṅ par rakhkar jalā dīṅ.

15ab hārūn ne qaum ke lie qurbānīchaṛhāī. us ne gunāh kī qurbānīke lie bakrā zabah karke use pahlīqurbānī kī tarah chaṛhāyā. 16us ne

bhasm hone wālī qurbānī bhī qawāidke mutābiq chaṛhāī. 17us ne ġhallā kīnazar pesh kī aur us meṅ se muṭṭhībhar qurbāngāh par jalā diyā. yihġhallā kī us nazar ke ilāwā thī jo subhko bhasm hone wālī qurbānī ke sāthchaṛhāī gaī thī. 18phir us ne salāmatīkī qurbānī ke lie bail aur menḍhe kozabah kiyā. yih bhī qaum ke lie thī.us ke beṭoṅ ne use jānwaroṅ kā ḳhūndiyā, aur us ne use qurbāngāh ke chārpahlū’oṅ par chhiṛak diyā. 19lekinunhoṅ ne bail aur menḍhe ko charbī,dum, antaṛiyoṅ par kī charbī aurjoṛkalejī nikāl kar 20sīne ke ṭukṛoṅpar rakh diyā. hārūn ne charbī kāhissā qurbāngāh par jalā diyā. 21sīneke ṭukṛe aur dahnī rāneṅ us ne hilānewālī qurbānī ke taur par rab ke sāmnehilāīṅ. us ne sab kuchh mūsā kehukm ke mutābiq hī kiyā.

22tamām qurbāniyāṅ pesh karneke bād hārūn ne apne hāth uṭhākar qaum ko barkat dī. phir wuhqurbāngāh se utar kar 23mūsā ke sāthmulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā.jab donoṅ bāhar āe to unhoṅ ne qaumko barkat dī. tab rab kā jalāl pūrīqaum par zāhir huā. 24rab ke huzūrse āg nikal kar qurbāngāh par utrī aurbhasm hone wālī qurbānī aur charbīke ṭukṛe bhasm kar die. yih dekh karlog ḳhushī ke nāre mārne lage aurmuṅh ke bal gir gae.

Page 181: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 10:1 181

nadab aur abīhū kā gunāh

10 hārūn ke beṭe nadabaur abīhū ne apne apne

baḳhūrdān le kar un meṅ jalte huekoele ḍāle. un par baḳhūr ḍāl karwuh rab ke sāmne āe tāki use peshkareṅ. lekin yih āg nājāiz thī. rab neyih pesh karne kā hukm nahīṅ diyāthā. 2achānak rab ke huzūr se āg niklījis ne unheṅ bhasm kar diyā. wahīṅrab ke sāmne wuh mar gae.

3mūsā ne hārūn se kahā, “ab wuhīhuā hai jo rab ne farmāyā thā kijo mere qarīb haiṅ un se maiṅapnī quddūsiyat zāhir karūṅga, maiṅtamām qaum ke sāmne hī apne jalālkā izhār karūṅga.”

hārūn ḳhāmosh rahā. 4mūsā nehārūn ke chachā uzzī’el ke beṭoṅmīsāel aur ilsafan ko bulā kar kahā,“idhar āo aur apne rishtedāroṅko maqdis ke sāmne se uṭhā karḳhaimāgāh ke bāhar le jāo.” 5wuhāe aur mūsā ke hukm ke ain mutābiqunheṅ un ke zerjāmoṅ samet uṭhākar ḳhaimāgāh ke bāhar le gae.

6mūsā ne hārūn aur us ke dīgarbeṭoṅ ilīazar aur itamar se kahā,“mātam kā izhār na karo. na apnebāl bikharne do, na apne kapṛe phāṛo.warnā tum mar jāoge aur rab pūrījamā’at se nārāz ho jāegā. lekintumhāre rishtedār aur bāqī tamāmisrāīlī zarūr in kā mātam kareṅ jinko rab ne āg se halāk kar diyā hai.

7mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze kebāhar na niklo warnā tum mar jāoge,kyūṅki tumheṅ rab ke tel se masahkiyā gayā hai.” chunāṅche unhoṅ neaisā hī kiyā.

imāmoṅ ke lie hidāyāt8rab ne hārūn se kahā, 9“jab bhī

tujhe yā tere beṭoṅ ko mulāqāt keḳhaime meṅ dāḳhil honā hai tomai yā koī aur nashā-āwar chīzpīnā manā hai, warnā tum marjāoge. yih usūl āne wālī nasloṅ kelie bhī abad tak anmiṭ hai. 10yihbhī lāzim hai ki tum muqaddasaur ġhairmuqaddas chīzoṅ meṅ,pāk aur nāpāk chīzoṅ meṅ imtiyāzkaro. 11tumheṅ isrāīliyoṅ ko tamāmpābandiyāṅ sikhānī haiṅ jo maiṅ netumheṅ mūsā kī mārifat batāī haiṅ.”

12mūsā ne hārūn aur us ke bachehue beṭoṅ ilīazar aur itamar se kahā,“ġhallā kī nazar kā jo hissā rab kesāmne jalāyā nahīṅ jātā use apnelie le kar beḳhamīrī roṭī pakānā aurqurbāngāh ke pās hī khānā. kyūṅkiwuh nihāyat muqaddas hai. 13usemuqaddas jagah par khānā, kyūṅkiwuh rab kī jalne wālī qurbāniyoṅmeṅ se tumhāre aur tumhāre beṭoṅkā hissā hai. kyūṅki mujhe iskā hukm diyā gayā hai. 14josīnā hilāne wālī qurbānī aur dahnīrān uṭhāne wālī qurbānī ke taurpar pesh kī gaī hai, wuh tum

Page 182: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

182 ahbār 11:13

aur tumhāre beṭe-beṭiyāṅ khā saktehaiṅ. unheṅ muqaddas jagah parkhānā hai. isrāīliyoṅ kī salāmatīkī qurbāniyoṅ meṅ se yih ṭukṛetumhārā hissā haiṅ. 15lekin pahleimām rān aur sīne ko jalne wālīqurbāniyoṅ kī charbī ke sāth peshkareṅ. wuh unheṅ hilāne wālīqurbānī ke taur par rab ke sāmnehilāeṅ. rab farmātā hai ki yih ṭukṛeabad tak tumhāre aur tumhāre beṭoṅkā hissā haiṅ.”

16mūsā ne daryāft kiyā ki us bakreke gosht kā kyā huā jo gunāh kīqurbānī ke taur par chaṛhāyā gayāthā. use patā chalā ki wuh bhījal gayā thā. yih sun kar usehārūn ke beṭoṅ ilīazar aur itamar parġhussā āyā. us ne pūchhā, 17“tumne gunāh kī qurbānī kā gosht kyūṅnahīṅ khāyā? tumheṅ use muqaddasjagah par khānā thā. yih ek nihāyatmuqaddas hissā hai jo rab ne tumheṅdiyā tāki tum jamā’at kā qusūr dūrkarke rab ke sāmne logoṅ kā kaffārādo. 18chūṅki is bakre kā ḳhūn maqdismeṅ na lāyā gayā is lie tumheṅ us kāgosht maqdis meṅ khānā thā jis tarahmaiṅ ne tumheṅ hukm diyā thā.”

19hārūn ne mūsā ko jawāb de karkahā, “dekheṅ, āj logoṅ ne apne liegunāh kī qurbānī aur bhasm honewālī qurbānī rab ko pesh kī hai jabkimujh par yih āfat guzarī hai. agarmaiṅ āj gunāh kī qurbānī se khātā to

kyā yih rab ko achchhā lagtā?” 20yihbāt mūsā ko achchhī lagī.

pāk aur nāpāk jānwar

11 rab ne mūsā aur hārūn sekahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā

ki tumheṅ zamīn par rahne wālejānwaroṅ meṅ se zail ke jānwaroṅko khāne kī ijāzat hai: 3jin ke khuryā pāoṅ bilkul chire hue haiṅ aurjo jugālī karte haiṅ unheṅ khāne kīijāzat hai. 4-6ūṅṭ, bijjū yā ḳhargoshkhānā manā hai. wuh tumhāre lienāpāk haiṅ, kyūṅki wuh jugālī tokarte haiṅ lekin un ke khur yā pāoṅchire hue nahīṅ haiṅ. 7sūar na khānā.wuh tumhāre lie nāpāk hai, kyūṅki uske khur to chire hue haiṅ lekin wuhjugālī nahīṅ kartā. 8na un kā goshtkhānā, na un kī lāshoṅ ko chhūnā.wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ.

9samundarī aur daryāī jānwarkhāne ke lie jāiz haiṅ agar un kepar aur chhilke hoṅ. 10lekin jin kepar yā chhilke nahīṅ haiṅ wuh sabtumhāre lie makrūh haiṅ, ḳhwāhwuh baṛī tādād meṅ mil kar rahtehaiṅ yā nahīṅ. 11is lie un kā goshtkhānā manā hai, aur un kī lāshoṅ sebhī ghin khānā hai. 12pānī meṅ rahnewāle tamām jānwar jin ke par yāchhilke na hoṅ tumhāre lie makrūhhaiṅ.

13zail ke parinde tumhāre lie qābil-e-ghin hoṅ. inheṅ khānā manā hai,

Page 183: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 11:14 183

kyūṅki wuh makrūh haiṅ: uqāb,daṛhiyal giddh, kālā giddh, 14lāl chīl,har qism kī kālī chīl, 15har qism kākawwā, 16uqābī ullū, chhoṭe kān wālāullū, baṛe kān wālā ullū, har qism kābāz, 17chhoṭā ullū, qūq, chinghāṛnewālā ullū, 18safed ullū, dashtī ullū,misrī giddh, 19laqlaq, har qism kābūtīmār, hudhud aur chamgādaṛ.a

20tamām par rakhne wāle kīṛe jochār pāoṅ par chalte haiṅ tumhārelie makrūh haiṅ, 21siwāe un ke jinkī ṭāṅgoṅ ke do hisse haiṅ aur jophudakte haiṅ. un ko tum khā sakteho. 22is nāte se tum muḳhtalif qismke ṭiḍḍe khā sakte ho. 23bāqī sab parrakhne wāle kīṛe jo chār pāoṅ parchalte haiṅ tumhāre lie makrūh haiṅ.

24-28jo bhī zail ke jānwaroṅ kīlāsheṅ chhue wuh shām tak nāpākrahegā: (alif) khur rakhne wāletamām jānwar siwāe un ke jin kekhur yā pāoṅ pūre taur par chire huehaiṅ aur jo jugālī karte haiṅ, (be)tamām jānwar jo apne chār panjoṅpar chalte haiṅ. yih jānwar tumhārelie nāpāk haiṅ, aur jo bhī un kī lāsheṅuṭhāe yā chhue lāzim hai ki wuh apnekapṛe dho le. is ke bāwujūd bhī wuhshām tak nāpāk rahegā.

29-30zamīn par reṅgne wālejānwaroṅ meṅ se chhachhūṅdar,muḳhtalif qism ke chūhe aur

muḳhtalif qism kī chhipkliyāṅtumhāre lie nāpāk haiṅ. 31jo bhīunheṅ aur un kī lāsheṅ chhū letā haiwuh shām tak nāpāk rahegā. 32agarun meṅ se kisī kī lāsh kisī chīz pargir paṛe to wuh bhī nāpāk ho jāegī. isse koī farq nahīṅ paṛtā ki wuh lakaṛī,kapṛe, chamṛe yā ṭāṭ kī banī ho, nais se koī farq paṛtā hai ki wuh kiskām ke lie istemāl kī jātī hai. usehar sūrat meṅ pānī meṅ ḍubonā hai.to bhī wuh shām tak nāpāk rahegī.33agar aisī lāsh miṭṭī ke bartan meṅgir jāe to jo kuchh bhī us meṅ haināpāk ho jāegā aur tumheṅ us bartanko toṛnā hai. 34har khāne wālī chīzjis par aise bartan kā pānī ḍālā gayāhai nāpāk hai. isī tarah us bartan seniklī huī har pīne wālī chīz nāpākhai. 35jis par bhī aisī lāsh gir paṛewuh nāpāk ho jātā hai. agar wuhtanūr yā chūlhe par gir paṛe to unko toṛ denā hai. wuh nāpāk haiṅ aurtumhāre lie nāpāk raheṅge. 36lekinjis chashme yā hauz meṅ aisī lāshgire wuh pāk rahtā hai. sirf wuh jolāsh ko chhū letā hai nāpāk ho jātāhai. 37agar aisī lāsh bījoṅ par gir paṛejin ko abhī bonā hai to wuh pāk rahtehaiṅ. 38lekin agar bījoṅ par pānī ḍālāgayā ho aur phir lāsh un par gir paṛeto wuh nāpāk haiṅ.

ayād rahe ki qadīm zamāne ke in parindoṅke aksar nām matrūk haiṅ yā un kā matlab

badal gayā hai, is lie un kā muḳhtalif tarjumāho saktā hai.

Page 184: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

184 ahbār 12:8

39agar aisā jānwar jise khāne kīijāzat hai mar jāe to jo bhī us kī lāshchhue shām tak nāpāk rahegā. 40jo usmeṅ se kuchh khāe yā use uṭhā kar lejāe use apne kapṛoṅ ko dhonā hai. tobhī wuh shām tak nāpāk rahegā.

41har jānwar jo zamīn par reṅgtāhai qābil-e-ghin hai. use khānā manāhai, 42chāhe wuh apne peṭ par chāhechār yā is se zāid pāoṅ par chaltā ho.43in tamām reṅgne wāloṅ se apne āpko ghin kā bāis aur nāpāk na banānā,44kyūṅki maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ. lāzim hai ki tum apne āp komaḳhsūs-o-muqaddas rakho, kyūṅkimaiṅ quddūs hūṅ. apne āp ko zamīnpar reṅgne wāle tamām jānwaroṅ senāpāk na banānā. 45maiṅ rab hūṅ.maiṅ tumheṅ misr se nikāl lāyā hūṅtāki tumhārā ḳhudā banūṅ. lihāzāmuqaddas raho, kyūṅki maiṅ quddūshūṅ.

46zamīn par chalne wāle jānwaroṅ,parindoṅ, ābī jānwaroṅ aur zamīnpar reṅgne wāle jānwaroṅ ke bāremeṅ shar’a yihī hai. 47lāzim hai kitum nāpāk aur pāk meṅ imtiyāz karo,aise jānwaroṅ meṅ jo khāne ke lie jāizhaiṅ aur aisoṅ meṅ jo nājāiz haiṅ.”

bachche kī paidāish ke bād

māṅ par pābandiyāṅ

12 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batā ki jab

kisī aurat ke laṛkā paidā ho to wuh

māhwārī ke ayyām kī tarah sāt dintak nāpāk rahegī. 3āṭhweṅ din laṛkekā ḳhatnā karwānā hai. 4phir māṅmazīd 33 din intizār kare. is ke bād uskī wuh nāpākī dūr ho jāegī jo ḳhūnbahne se paidā huī hai. is daurānwuh koī maḳhsūs aur muqaddas chīzna chhue, na maqdis ke pās jāe.

5agar us ke laṛkī paidā ho jāe towuh māhwārī ke ayyām kī tarahnāpāk hai. yih nāpākī 14 din takrahegī. phir wuh mazīd 66 din intizārkare. is ke bād us kī wuh nāpākī dūrho jāegī jo ḳhūn bahne se paidā huīhai.

6jab laṛke yā laṛkī ke silsile meṅyih din guzar jāeṅ to wuh mulāqātke ḳhaime ke darwāze par imām kozail kī chīzeṅ de: bhasm hone wālīqurbānī ke lie ek yaksālā bheṛ kābachchā aur gunāh kī qurbānī ke lieek jawān kabūtar yā qumrī. 7imāmyih jānwar rab ko pesh karke us kākaffārā de. phir ḳhūn bahne ke bāispaidā hone wālī nāpākī dūr ho jāegī.usūl ek hī hai, chāhe laṛkā ho yā laṛkī.

8agar wuh ġhurbat ke bāis bheṛ kābachchā na de sake to phir wuh doqumriyāṅ yā do jawān kabūtar le āe,ek bhasm hone wālī qurbānī ke lie aurdūsrā gunāh kī qurbānī ke lie. yūṅimām us kā kaffārā de aur wuh pākho jāegī.”

Page 185: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 13:1 185

jildī bīmāriyāṅ

13 rab ne mūsā aur hārūn sekahā, 2“agar kisī kī jild meṅ

sūjan yā papaṛī yā safed dāġh ho aurḳhatrā hai ki wabāī jildī bīmārī hoto use imāmoṅ yānī hārūn yā us kebeṭoṅ ke pās le ānā hai. 3imām usjagah kā muāinā kare. agar us kebāl safed ho gae hoṅ aur wuh jildmeṅ dhaṅsī huī ho to wabāī bīmārīhai. jab imām ko yih mālūm ho towuh use nāpāk qarār de. 4lekin hosaktā hai ki jild kī jagah safed to hailekin jild meṅ dhaṅsī huī nahīṅ hai,na us ke bāl safed hue haiṅ. is sūratmeṅ imām us shaḳhs ko sāt din kelie alāhidagī meṅ rakhe. 5sātweṅ dinimām dubārā us kā muāinā kare. agarwuh dekhe ki muta’assirā jagah waisīhī hai aur phailī nahīṅ to wuh usemazīd sāt din alāhidagī meṅ rakhe.6sātweṅ din wuh ek aur martabā uskā muāinā kare. agar us jagah kārang dubārā sehhatmand jild ke rangkī mānind ho rahā ho aur phailī na hoto wuh use pāk qarār de. is kā matlabhai ki yih marz ām papaṛī se zyādānahīṅ hai. marīz apne kapṛe dho leto wuh pāk ho jāegā. 7lekin agaris ke bād muta’assirā jagah phailnelage to wuh dubārā apne āp ko imāmko dikhāe. 8imām us kā muāinākare. agar jagah wāqaī phail gaī hoto imām use nāpāk qarār de, kyūṅkiyih wabāī jildī marz hai.

9agar kisī ke jism par wabāī jildīmarz nazar āe to use imām ke pāslāyā jāe. 10imām us kā muāinā kare.agar muta’assirā jild meṅ safed sūjanho, us ke bāl bhī safed ho gae hoṅ,aur us meṅ kachchā gosht maujūd ho11to is kā matlab hai ki wabāī jildībīmārī purānī hai. imām us shaḳhs kosāt din ke lie alāhidagī meṅ rakh karintizār na kare balki use fauran nāpākqarār de, kyūṅki yih us kī nāpākī kāsabūt hai. 12lekin agar bīmārī jaldī sephail gaī ho, yahāṅ tak ki sar se lekar pāoṅ tak pūrī jild muta’assir huīho 13to imām yih dekh kar marīz kopāk qarār de. chūṅki pūrī jild safedho gaī hai is lie wuh pāk hai. 14lekinjab bhī kahīṅ kachchā gosht nazarāe us waqt wuh nāpāk ho jātā hai.15imām yih dekh kar marīz ko nāpākqarār de. kachchā gosht har sūratmeṅ nāpāk hai, kyūṅki is kā matlabhai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.16agar kachche gosht kā yih zaḳhmbhar jāe aur muta’assirā jagah kī jildsafed ho jāe to marīz imām ke pās jāe.17agar imām dekhe ki wāqaī aisā hīhuā hai aur muta’assirā jild safed hogaī hai to wuh use pāk qarār de.

18agar kisī kī jild par phoṛā ho lekinwuh ṭhīk ho jāe 19aur us kī jagahsafed sūjan yā surḳhī-māil safed dāġhnazar āe to marīz apne āp ko imāmko dikhāe. 20agar wuh us kā muāinākarke dekhe ki muta’assirā jagah jild

Page 186: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

186 ahbār 13:33

ke andar dhaṅsī huī hai aur us kebāl safed ho gae haiṅ to wuh marīzko nāpāk qarār de. kyūṅki is kāmatlab hai ki jahāṅ pahle phoṛā thāwahāṅ wabāī jildī bīmārī paidā hogaī hai. 21lekin agar imām dekheki muta’assirā jagah ke bāl safednahīṅ haiṅ, wuh jild meṅ dhaṅsī huīnazar nahīṅ ātī aur us kā rang dubārāsehhatmand jild kī mānind ho rahāhai to wuh use sāt din ke lie alāhidagīmeṅ rakhe. 22agar is daurān bīmārīmazīd phail jāe to imām marīz konāpāk qarār de, kyūṅki is kā matlabhai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.23lekin agar dāġh na phaile to is kāmatlab hai ki yih sirf us bhare huezaḳhm kā nishān hai jo phoṛe sepaidā huā thā. imām marīz ko pākqarār de.

24agar kisī kī jild par jalne kā zaḳhmlag jāe aur muta’assirā jagah parsurḳhī-māil safed dāġh yā safed dāġhpaidā ho jāe 25to imām muta’assirājagah kā muāinā kare. agar mālūmho jāe ki muta’assirā jagah ke bālsafed ho gae haiṅ aur wuh jild meṅdhaṅsī huī hai to is kā matlab hai kichoṭ kī jagah par wabāī jildī marz laggayā hai. imām use nāpāk qarār de,kyūṅki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.26lekin agar imām ne mālūm kiyā haiki dāġh meṅ bāl safed nahīṅ haiṅ,wuh jild meṅ dhaṅsā huā nazar nahīṅātā aur us kā rang sehhatmand jild

kī mānind ho rahā hai to wuh marīzko sāt din tak alāhidagī meṅ rakhe.27agar wuh sātweṅ din mālūm kareki muta’assirā jagah phail gaī hai towuh use nāpāk qarār de. kyūṅki iskā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī laggaī hai. 28lekin agar dāġh phailā huānazar nahīṅ ātā aur muta’assirā jildkā rang sehhatmand jild ke rang kīmānind ho gayā hai to is kā matlabhai ki yih sirf us bhare hue zaḳhm kānishān hai jo jalne se paidā huā thā.imām marīz ko pāk qarār de.

29agar kisī ke sar yā dāṛhī kījild meṅ nishān nazar āe 30to imāmmuta’assirā jagah kā muāinā kare.agar wuh dhaṅsī huī nazar āe aurus ke bāl rang ke lihāz se chamaktehue sone kī mānind aur bārīk hoṅto imām marīz ko nāpāk qarār de.is kā matlab hai ki aisī wabāī jildībīmārī sar yā dāṛhī kī jild par laggaī hai jo ḳhārish paidā kartī hai.31lekin agar imām ne mālūm kiyā kimuta’assirā jagah jild meṅ dhaṅsī huīnazar nahīṅ ātī agarche us ke bāloṅkā rang badal gayā hai to wuh usesāt din ke lie alāhidagī meṅ rakhe.32sātweṅ din imām jild kī muta’assirājagah kā muāinā kare. agar wuhphailī huī nazar nahīṅ ātī aur us kebāloṅ kā rang chamakdār sone kīmānind nahīṅ hai, sāth hī wuh jagahjild meṅ dhaṅsī huī bhī dikhāī nahīṅdetī, 33to marīz apne bāl munḍwāe.

Page 187: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 13:34 187

sirf wuh bāl rah jāeṅ jo muta’assirājagah se nikalte haiṅ. imām marīz komazīd sāt din alāhidagī meṅ rakhe.34sātweṅ din wuh us kā muāinā kare.agar muta’assirā jagah nahīṅ phailīaur wuh jild meṅ dhaṅsī huī nazarnahīṅ ātī to imām use pāk qarār de.wuh apne kapṛe dho le to wuh pākho jāegā. 35lekin agar is ke bād jildkī muta’assirā jagah phailnā shurū hojāe 36to imām dubārā us kā muāinākare. agar wuh jagah wāqaī phailīhuī nazar āe to marīz nāpāk hai,chāhe muta’assirā jagah ke bāloṅ kārang chamakte sone kī mānind ho yāna ho. 37lekin agar us ke ḳhayāl meṅmuta’assirā jagah phailī huī nazarnahīṅ ātī balki us meṅ se kāle rang kebāl nikal rahe haiṅ to is kā matlab haiki marīz kī sehhat bahāl ho gaī hai.imām use pāk qarār de.

38agar kisī mard yā aurat kī jild parsafed dāġh paidā ho jāeṅ 39to imāmun kā muāinā kare. agar un kā safedrang halkā sā ho to yih sirf bezararpapaṛī hai. marīz pāk hai.

40-41agar kisī mard kā sar māthe kītaraf yā pīchhe kī taraf ganjā hai towuh pāk hai. 42lekin agar us jagahjahāṅ wuh ganjā hai surḳhī-māilsafed dāġh ho to is kā matlab hai kiwahāṅ wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.43imām us kā muāinā kare. agar ganjījagah par surḳhī-māil safed sūjan hojo wabāī jildī bīmārī kī mānind nazar

āe 44to marīz ko wabāī jildī bīmārī laggaī hai. imām use nāpāk qarār de.

nāpāk marīz kā sulūk45wabāī jildī bīmārī kā marīz phaṭe

kapṛe pahne. us ke bāl bikhre raheṅ.wuh apnī mūṅchhoṅ ko kisī kapṛese chhupāe aur pukārtā rahe, ‘nāpāk,nāpāk.’ 46jis waqt tak wabāī jildībīmārī lagī rahe wuh nāpāk hai. wuhis daurān ḳhaimāgāh ke bāhar jā kartanhāī meṅ rahe.

phaphūṅdī se nipaṭne kā tarīqā47ho saktā hai ki ūn yā katān ke

kisī libās par phaphūṅdī lag gaī hai,48yā ki phaphūṅdī ūn yā katān kekisī kapṛe ke ṭukṛe yā kisī chamṛe yāchamṛe kī kisī chīz par lag gaī hai.49agar phaphūṅdī kā rang harā yā lālsā ho to wuh phailne wālī phaphūṅdīhai, aur lāzim hai ki use imām kodikhāyā jāe. 50imām us kā muāinākarke use sāt din ke lie alāhidagīmeṅ rakhe. 51sātweṅ din wuh dubārāus kā muāinā kare. agar phaphūṅdīphail gaī ho to is kā matlab hai kiwuh nuqsāndeh hai. muta’assirā chīznāpāk hai. 52imām use jalā de, kyūṅkiyih phaphūṅdī nuqsāndeh hai. lāzimhai ki use jalā diyā jāe. 53lekin agarin sāt dinoṅ ke bād phaphūṅdī phailīhuī nazar nahīṅ ātī 54to imām hukmde ki muta’assirā chīz ko dhulwāyājāe. phir wuh use mazīd sāt din ke lie

Page 188: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

188 ahbār 14:11

alāhidagī meṅ rakhe. 55is ke bād wuhdubārā us kā muāinā kare. agar wuhmālūm kare ki phaphūṅdī to phailīhuī nazar nahīṅ ātī lekin us kā rangwaise kā waisā hai to wuh nāpākhai. use jalā denā, chāhe phaphūṅdīmuta’assirā chīz ke sāmne wāle hisseyā pichhle hisse meṅ lagī ho. 56lekinagar mālūm ho jāe ki phaphūṅdī kārang māṅd paṛ gayā hai to imāmkapṛe yā chamṛe meṅ se muta’assirājagah phāṛ kar nikāl de. 57to bhī hosaktā hai ki phaphūṅdī dubārā usīkapṛe yā chamṛe par nazar āe. is kāmatlab hai ki wuh phail rahī hai auruse jalā denā lāzim hai. 58lekin agarphaphūṅdī dhone ke bād ġhāib ho jāeto use ek aur dafā dhonā hai. phirmuta’assirā chīz pāk hogī.

59isī tarah phaphūṅdī se nipaṭnāhai, chāhe wuh ūn yā katān ke kisīlibās ko lag gaī ho, chāhe ūn yā katānke kisī ṭukṛe yā chamṛe kī kisī chīz kolag gaī ho. in hī usūloṅ ke taht faislākarnā hai ki muta’assirā chīz pāk haiyā nāpāk.”

wabāī jildī bīmārī ke marīz

kī shifā par qurbānī

14 rab ne mūsā se kahā, 2“agarkoī shaḳhs jildī bīmārī se

shifā pāe aur use pāk-sāf karānā haito use imām ke pās lāyā jāe 3joḳhaimāgāh ke bāhar jā kar us kāmuāinā kare. agar wuh dekhe ki

marīz kī sehhat wāqaī bahāl ho gaīhai 4to imām us ke lie do zindā aurpāk parinde, deodār kī lakaṛī, qirmizīrang kā dhāgā aur zūfā mangwāe.5imām ke hukm par parindoṅ meṅ seek ko tāzā pānī se bhare hue miṭṭī kebartan ke ūpar zabah kiyā jāe. 6imāmzindā parinde ko deodār kī lakaṛī,qirmizī rang ke dhāge aur zūfā kesāth zabah kie gae parinde ke us ḳhūnmeṅ ḍubo de jo miṭṭī ke bartan kepānī meṅ ā gayā hai. 7wuh pānī semilāyā huā ḳhūn sāt bār pāk honewāle shaḳhs par chhiṛak kar use pākqarār de, phir zindā parinde ko khulemaidān meṅ chhoṛ de. 8jo apne āp kopāk-sāf karā rahā hai wuh apne kapṛedhoe, apne tamām bāl munḍwāe aurnahā le. is ke bād wuh pāk hai. abwuh ḳhaimāgāh meṅ dāḳhil ho saktāhai agarche wuh mazīd sāt din apneḍere meṅ nahīṅ jā saktā. 9sātweṅdin wuh dubārā apne sar ke bāl, apnīdāṛhī, apne abrū aur bāqī tamām bālmunḍwāe. wuh apne kapṛe dhoe aurnahā le. tab wuh pāk hai.

10āṭhweṅ din wuh do bheṛ ke narbachche aur ek yaksālā bheṛ chun lejo beaib hoṅ. sāth hī wuh ġhallākī nazar ke lie tel ke sāth milāyāgayā sāṛhe 4 kilogrām behtarīn maidāaur 300 milīliṭar tel le. 11phir jisimām ne use pāk qarār diyā wuhuse in qurbāniyoṅ samet mulāqāt keḳhaime ke darwāze par rab ko pesh

Page 189: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 14:12 189

kare. 12bheṛ kā ek nar bachchā aur300 milīliṭar tel qusūr kī qurbānī kelie hai. imām unheṅ hilāne wālīqurbānī ke taur par rab ke sāmnehilāe. 13phir wuh bheṛ ke is bachcheko ḳhaime ke darwāze par zabahkare jahāṅ gunāh kī qurbāniyāṅ aurbhasm hone wālī qurbāniyāṅ zabahkī jātī haiṅ. gunāh kī qurbāniyoṅ kītarah qusūr kī yih qurbānī imām kāhissā hai aur nihāyat muqaddas hai.14imām ḳhūn meṅ se kuchh le kar pākhone wāle ke dahne kān kī lau paraur us ke dahne hāth aur dahne pāoṅke angūṭhoṅ par lagāe. 15ab wuh 300milīliṭar tel meṅ se kuchh le kar apnebāeṅ hāth kī hathelī par ḍāle. 16apnedahne hāth ke angūṭhe ke sāth wālīunglī is tel meṅ ḍubo kar wuh use sātbār rab ke sāmne chhiṛke. 17wuh apnīhathelī par ke tel meṅ se kuchh aurle kar pāk hone wāle ke dahne kānkī lau par aur us ke dahne hāth aurdahne pāoṅ ke angūṭhoṅ par lagā deyānī un jaghoṅ par jahāṅ wuh qusūrkī qurbānī kā ḳhūn lagā chukā hai.18imām apnī hathelī par kā bāqī telpāk hone wāle ke sar par ḍāl kar rabke sāmne us kā kaffārā de.

19is ke bād imām gunāh kī qurbānīchaṛhā kar pāk hone wāle kā kaffārāde. āḳhir meṅ wuh bhasm hone wālīqurbānī kā jānwar zabah kare. 20wuhuse ġhallā kī nazar ke sāth qurbāngāh

par chaṛhā kar us kā kaffārā de. tabwuh pāk hai.

21agar shifāyāb shaḳhs ġhurbat kebāis yih qurbāniyāṅ nahīṅ chaṛhāsaktā to phir wuh qusūr kī qurbānīke lie bheṛ kā sirf ek nar bachchā leāe. kāfī hai ki kaffārā dene ke lie yihīrab ke sāmne hilāyā jāe. sāth sāthġhallā kī nazar ke lie ḍeṛh kilogrāmbehtarīn maidā tel ke sāth milā karpesh kiyā jāe aur 300 milīliṭar tel.22is ke ilāwā wuh do qumriyāṅ yādo jawān kabūtar pesh kare, ek kogunāh kī qurbānī ke lie aur dūsreko bhasm hone wālī qurbānī ke lie.23āṭhweṅ din wuh unheṅ mulāqāt keḳhaime ke darwāze par imām ke pāsaur rab ke sāmne le āe tāki wuh pāk-sāf ho jāe. 24imām bheṛ ke bachcheko 300 milīliṭar tel samet le kar hilānewālī qurbānī ke taur par rab ke sāmnehilāe. 25wuh qusūr kī qurbānī ke liebheṛ ke bachche ko zabah kare aurus ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar pākhone wāle ke dahne kān kī lau paraur us ke dahne hāth aur dahne pāoṅke angūṭhoṅ par lagāe. 26ab wuh 300milīliṭar tel meṅ se kuchh apne bāeṅhāth kī hathelī par ḍāle 27aur apnedahne hāth ke angūṭhe ke sāth wālīunglī is tel meṅ ḍubo kar use sāt bārrab ke sāmne chhiṛak de. 28wuh apnīhathelī par ke tel meṅ se kuchh aurle kar pāk hone wāle ke dahne kānkī lau par aur us ke dahne hāth aur

Page 190: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

190 ahbār 14:48

dahne pāoṅ ke angūṭhoṅ par lagā deyānī un jaghoṅ par jahāṅ wuh qusūrkī qurbānī kā ḳhūn lagā chukā hai.29apnī hathelī par kā bāqī tel wuh pākhone wāle ke sar par ḍāl de tāki rabke sāmne us kā kaffārā de. 30is kebād wuh shifāyāb shaḳhs kī gunjāishke mutābiq do qumriyāṅ yā do jawānkabūtar chaṛhāe, 31ek ko gunāh kīqurbānī ke lie aur dūsre ko bhasmhone wālī qurbānī ke lie. sāth hī wuhġhallā kī nazar pesh kare. yūṅ imāmrab ke sāmne us kā kaffārā detā hai.32yih usūl aise shaḳhs ke lie hai jowabāī jildī bīmārī se shifā pā gayā hailekin apnī ġhurbat ke bāis pāk ho jāneke lie pūrī qurbānī pesh nahīṅ karsaktā.”

gharoṅ meṅ phaphūṅdī33rab ne mūsā aur hārūn se kahā,

34“jab tum mulk-e-kan’ān meṅ dāḳhilhoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā towahāṅ aise makān hoṅge jin meṅmaiṅ ne phaphūṅdī phailne dī hai.35aise ghar kā mālik jā kar imāmko batāe ki maiṅ ne apne ghar meṅphaphūṅdī jaisī koī chīz dekhī hai.36tab imām hukm de ki ghar kāmuāinā karne se pahle ghar kā pūrāsāmān nikālā jāe. warnā agar gharko nāpāk qarār diyā jāe to sāmānko bhī nāpāk qarār diyā jāegā. iske bād imām andar jā kar makān kāmuāinā kare. 37wuh dīwāroṅ ke sāth

lagī huī phaphūṅdī kā muāinā kare.agar muta’assirā jagheṅ harī yā lālsī hoṅ aur dīwār ke andar dhaṅsīhuī nazar āeṅ 38to phir imām gharse nikal kar sāt din ke lie tālā lagāe.39sātweṅ din wuh wāpas ā kar makānkā muāinā kare. agar phaphūṅdīphailī huī nazar āe 40to wuh hukm deki muta’assirā pattharoṅ ko nikāl karābādī ke bāhar kisī nāpāk jagah parphaiṅkā jāe. 41nīz wuh hukm de kiandar kī dīwāroṅ ko kuredā jāe aurkuredī huī miṭṭī ko ābādī ke bāhar kisīnāpāk jagah par phaiṅkā jāe. 42phirlog nae patthar lagā kar ghar ko naegāre se plastar kareṅ. 43lekin agar iske bāwujūd phaphūṅdī dubārā paidāho jāe 44to imām ā kar dubārā uskā muāinā kare. agar wuh dekheki phaphūṅdī ghar meṅ phail gaī haito is kā matlab hai ki phaphūṅdīnuqsāndeh hai, is lie ghar nāpāk hai.45lāzim hai ki use pūre taur par ḍhādiyā jāe aur sab kuchh yānī us kepatthar, lakaṛī aur plastar ko ābādī kebāhar kisī nāpāk jagah par phaiṅkājāe.

46agar imām ne kisī ghar kā muāinākarke tālā lagā diyā hai aur phir bhīkoī us ghar meṅ dāḳhil ho jāe towuh shām tak nāpāk rahegā. 47joaise ghar meṅ soe yā khānā khāelāzim hai ki wuh apne kapṛe dhole. 48lekin agar ghar ko nae sire seplastar karne ke bād imām ā kar us

Page 191: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 14:49 191

kā dubārā muāinā kare aur dekhe kiphaphūṅdī dubārā nahīṅ niklī to iskā matlab hai ki phaphūṅdī ḳhatm hogaī hai. wuh use pāk qarār de. 49usegunāh se pāk-sāf karāne ke lie wuhdo parinde, deodār kī lakaṛī, qirmizīrang kā dhāgā aur zūfā le le. 50wuhparindoṅ meṅ se ek ko tāzā pānī sebhare hue miṭṭī ke bartan ke ūparzabah kare. 51is ke bād wuh deodārkī lakaṛī, zūfā, qirmizī rang kā dhāgāaur zindā parindā le kar us tāzā pānīmeṅ ḍubo de jis ke sāth zabah kie hueparinde kā ḳhūn milāyā gayā hai auris pānī ko sāt bār ghar par chhiṛakde. 52in chīzoṅ se wuh ghar ko gunāhse pāk-sāf kartā hai. 53āḳhir meṅwuh zindā parinde ko ābādī ke bāharkhule maidān meṅ chhoṛ de. yūṅwuh ghar kā kaffārā degā, aur wuhpāk-sāf ho jāegā.

54-56lāzim hai ki har qism kī wabāībīmārī se aise nipṭo jaise bayānkiyā gayā hai, chāhe wuh wabāījildī bīmāriyāṅ hoṅ (masalan ḳhārish,sūjan, papaṛī yā safed daġh), chāhekapṛoṅ yā gharoṅ meṅ phaphūṅdīho. 57in usūloṅ ke taht faislā karnāhai ki koī shaḳhs yā chīz pāk hai yānāpāk.”

mardoṅ kī nāpākī

15 rab ne mūsā aur hārūn sekahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā

ki agar kisī mard ko jaryān kā marz

ho to wuh ḳhārij hone wāle māe kesabab se nāpāk hai, 3chāhe māe bahtārahtā ho yā ruk gayā ho. 4jis chīzpar bhī marīz leṭtā yā baiṭhtā hai wuhnāpāk hai. 5-6jo bhī us ke leṭne kījagah ko chhue yā us ke baiṭhne kījagah par baiṭh jāe wuh apne kapṛedho kar nahā le. wuh shām taknāpāk rahegā. 7isī tarah jo bhī aisemarīz ko chhue wuh apne kapṛe dhokar nahā le. wuh shām tak nāpākrahegā. 8agar marīz kisī pāk shaḳhspar thūke to yihī kuchh karnā hai aurwuh shaḳhs shām tak nāpāk rahegā.9jab aisā marīz kisī jānwar par sawārhotā hai to har chīz jis par wuh baiṭhjātā hai nāpāk hai. 10jo bhī aisī chīzchhue yā use uṭhā kar le jāe wuh apnekapṛe dho kar nahā le. wuh shāmtak nāpāk rahegā. 11jis kisī ko bhīmarīz apne hāth dhoe baġhair chhuewuh apne kapṛe dho kar nahā le. wuhshām tak nāpāk rahegā. 12miṭṭī kā jobartan aisā marīz chhue use toṛ diyājāe. lakaṛī kā jo bartan wuh chhueuse ḳhūb dhoyā jāe.

13jise is marz se shifā milī hai wuhsāt din intizār kare. is ke bād wuhtāzā pānī se apne kapṛe dho kar nahāle. phir wuh pāk ho jāegā. 14āṭhweṅdin wuh do qumriyāṅ yā do jawānkabūtar le kar mulāqāt ke ḳhaime kedarwāze par rab ke sāmne imām kode. 15imām un meṅ se ek ko gunāhkī qurbānī ke taur par aur dūsre ko

Page 192: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

192 ahbār 16:2

bhasm hone wālī qurbānī ke taur parchaṛhāe. yūṅ wuh rab ke sāmne uskā kaffārā degā.

16agar kisī mard kā nutfā ḳhārij hojāe to wuh apne pūre jism ko dho le.wuh shām tak nāpāk rahegā. 17harkapṛā yā chamṛā jis se nutfā lag gayāho use dhonā hai. wuh bhī shām taknāpāk rahegā. 18agar mard aur auratke hambistar hone par nutfā ḳhārijho jāe to lāzim hai ki donoṅ nahā leṅ.wuh shām tak nāpāk raheṅge.

auratoṅ kī nāpākī19māhwārī ke waqt aurat sāt din

tak nāpāk hai. jo bhī use chhue wuhshām tak nāpāk rahegā. 20is daurānjis chīz par bhī wuh leṭtī yā baiṭhtīhai wuh nāpāk hai. 21-23jo bhī uske leṭne kī jagah ko chhue yā us kebaiṭhne kī jagah par baiṭh jāe wuhapne kapṛe dho kar nahā le. wuhshām tak nāpāk rahegā. 24agar mardaurat se hambistar ho aur usī waqtmāhwārī ke din shurū ho jāeṅ tomard ḳhūn lagne ke bāis sāt din taknāpāk rahegā. jis chīz par bhī wuhleṭtā hai wuh nāpāk ho jāegī.

25agar kisī aurat ko māhwārī ke dinchhoṛ kar kisī aur waqt kaī dinoṅ takḳhūn āe yā ḳhūn māhwārī ke dinoṅke bād bhī jārī rahe to wuh māhwārīke dinoṅ kī tarah us waqt tak nāpākrahegī jab tak ḳhūn ruk na jāe. 26jischīz par bhī wuh leṭtī yā baiṭhtī hai

wuh nāpāk hai. 27jo bhī aisī chīzko chhue wuh apne kapṛe dho karnahā le. wuh shām tak nāpāk rahegā.28ḳhūn ke ruk jāne par aurat mazīdsāt din intizār kare. phir wuh pākhogī. 29āṭhweṅ din wuh do qumriyāṅyā do jawān kabūtar le kar mulāqātke ḳhaime ke darwāze par imām kepās āe. 30imām un meṅ se ek kogunāh kī qurbānī ke lie aur dūsreko bhasm hone wālī qurbānī ke liechaṛhāe. yūṅ wuh rab ke sāmne uskī nāpākī kā kaffārā degā.

31lāzim hai ki isrāīliyoṅ ko aisīchīzoṅ se dūr rakhā jāe jin se wuhnāpāk ho jāeṅ. warnā merā wuhmaqdis jo un ke darmiyān hai un senāpāk ho jāegā aur wuh halāk hojāeṅge.

32lāzim hai ki is qism ke muāmaloṅse aise nipṭo jaise bayān kiyā gayāhai. is meṅ wuh mard shāmil haijo jaryān kā marīz hai aur wuh jonutfā ḳhārij hone ke bāis nāpāk hai.33is meṅ wuh aurat bhī shāmil hai jiske māhwārī ke ayyām haiṅ aur wuhmard jo nāpāk aurat se hambistar hojātā hai.”

yaum-e-kaffārā

16 jab hārūn ke do beṭe rab keqarīb ā kar halāk hue to is ke

bād rab mūsā se hamkalām huā. 2usne kahā,

Page 193: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 16:3 193

“apne bhāī hārūn ko batānā kiwuh sirf muqarrarā waqt par pardeke pīchhe muqaddastarīn kamre meṅdāḳhil ho kar ahd ke sandūq keḍhakne ke sāmne khaṛā ho jāe, warnāwuh mar jāegā. kyūṅki maiṅ ḳhudus ḍhakne ke ūpar bādal kī sūratmeṅ zāhir hotā hūṅ. 3aur jab bhīwuh dāḳhil ho to gunāh kī qurbānīke lie ek jawān bail aur bhasm honewālī qurbānī ke lie ek menḍhā peshkare. 4pahle wuh nahā kar imāmke katān ke muqaddas kapṛe pahanle yānī zerjāmā, us ke nīche pājāmā,phir kamarband aur pagaṛī. 5isrāīl kījamā’at hārūn ko gunāh kī qurbānīke lie do bakre aur bhasm hone wālīqurbānī ke lie ek menḍhā de.

6pahle hārūn apne aur apnegharāne ke lie jawān bail ko gunāhkī qurbānī ke taur par chaṛhāe. 7phirwuh donoṅ bakroṅ ko mulāqāt keḳhaime ke darwāze par rab ke sāmnele āe. 8wahāṅ wuh qur’ā ḍāl kar ek korab ke lie chune aur dūsre ko azāzelke lie. 9jo bakrā rab ke lie hai usewuh gunāh kī qurbānī ke taur parpesh kare. 10dūsrā bakrā jo qur’e kezarī’e azāzel ke lie chunā gayā usezindā hālat meṅ rab ke sāmne khaṛākiyā jāe tāki wuh jamā’at kā kaffārāde. wahāṅ se use registān meṅ azāzelke pās bhejā jāe.

11lekin pahle hārūn jawān bailko gunāh kī qurbānī ke taur par

chaṛhā kar apnā aur apne gharānekā kaffārā de. use zabah karne kebād 12wuh baḳhūr kī qurbāngāh sejalte hue koeloṅ se bharā huā bartanle kar apnī donoṅ muṭṭhiyāṅ bārīkḳhushbūdār baḳhūr se bhar le aurmuqaddastarīn kamre meṅ dāḳhil hojāe. 13wahāṅ wuh rab ke huzūrbaḳhūr ko jalte hue koeloṅ par ḍālde. is se paidā hone wālā dhuāṅ ahdke sandūq kā ḍhaknā chhupā degātāki hārūn mar na jāe. 14ab wuhjawān bail ke ḳhūn meṅ se kuchh lekar apnī unglī se ḍhakne ke sāmnewāle hisse par chhiṛke, phir kuchhapnī unglī se sāt bār us ke sāmnezamīn par chhiṛke. 15is ke bād wuhus bakre ko zabah kare jo qaum kelie gunāh kī qurbānī hai. wuh us kāḳhūn muqaddastarīn kamre meṅ le āeaur use bail ke ḳhūn kī tarah ahd kesandūq ke ḍhakne par aur sāt bār uske sāmne zamīn par chhiṛke. 16yūṅwuh muqaddastarīn kamre kā kaffārādegā jo isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ aurtamām gunāhoṅ se muta’assir hotārahtā hai. is se wuh mulāqāt kepūre ḳhaime kā bhī kaffārā degā joḳhaimāgāh ke darmiyān hone ke bāisisrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ se muta’assirhotā rahtā hai.

17jitnā waqt hārūn apnā, apnegharāne kā aur isrāīl kī pūrī jamā’atkā kaffārā dene ke lie muqaddastarīnkamre meṅ rahegā is daurān kisī

Page 194: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

194 ahbār 16:33

dūsre ko mulāqāt ke ḳhaime meṅṭhaharne kī ijāzat nahīṅ hai. 18phirwuh muqaddastarīn kamre se nikalkar ḳhaime meṅ rab ke sāmne paṛīqurbāngāh kā kaffārā de. wuh bailaur bakre ke ḳhūn meṅ se kuchh lekar use qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅpar lagāe. 19kuchh ḳhūn wuh apnīunglī se sāt bār us par chhiṛak de.yūṅ wuh use isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅse pāk karke maḳhsūs-o-muqaddaskaregā.

20muqaddastarīn kamre, mulāqātke ḳhaime aur qurbāngāh kā kaffārādene ke bād hārūn zindā bakre kosāmne lāe. 21wuh apne donoṅ hāthus ke sar par rakhe aur isrāīliyoṅke tamām qusūr yānī un ke tamāmjarāim aur gunāhoṅ kā iqrār karkeunheṅ bakre ke sar par ḍāl de. phirwuh use registān meṅ bhej de. is kelie wuh bakre ko ek ādmī ke sapurdkare jise yih zimmādārī dī gaī hai.22bakrā apne āp par un kā tamāmqusūr uṭhā kar kisī wīrān jagah meṅle jāegā. wahāṅ sāth wālā ādmī usechhoṛ āe.

23is ke bād hārūn mulāqāt keḳhaime meṅ jāe aur katān ke wuhkapṛe jo us ne muqaddastarīn kamremeṅ dāḳhil hone se peshtar pahan liethe utār kar wahīṅ chhoṛ de. 24wuhmuqaddas jagah par nahā kar apnīḳhidmat ke ām kapṛe pahan le. phirwuh bāhar ā kar apne aur apnī qaum

ke lie bhasm hone wālī qurbānī peshkare tāki apnā aur apnī qaum kākaffārā de. 25is ke ilāwā wuh gunāh kīqurbānī kī charbī qurbāngāh par jalāde.

26jo ādmī azāzel ke lie bakre koregistān meṅ chhoṛ āyā hai wuh apnekapṛe dho kar nahā le. is ke bād wuhḳhaimāgāh meṅ ā saktā hai.

27jis bail aur bakre ko gunāh kīqurbānī ke lie pesh kiyā gayā aurjin kā ḳhūn kaffārā dene ke liemuqaddastarīn kamre meṅ lāyā gayā,lāzim hai ki un kī khāleṅ, gosht aurgobar ḳhaimāgāh ke bāhar jalā diyājāe. 28yih chīzeṅ jalāne wālā bād meṅapne kapṛe dho kar nahā le. phir wuhḳhaimāgāh meṅ ā saktā hai.

29lāzim hai ki sātweṅ mahīne kedasweṅ din isrāīlī aur un ke darmiyānrahne wāle pardesī apnī jān ko dukhdeṅ aur kām na kareṅ. yih usūltumhāre lie abad tak qāim rahe. 30isdin tumhārā kaffārā diyā jāegā tākitumheṅ pāk kiyā jāe. tab tum rab kesāmne apne tamām gunāhoṅ se pākṭhahroge. 31pūrā din ārām karo aurapnī jān ko dukh do. yih usūl abadtak qāim rahe.

32is din imām-e-āzam tumhārākaffārā de, wuh imām jise us kebāp kī jagah masah kiyā gayāaur iḳhtiyār diyā gayā hai. wuhkatān ke muqaddas kapṛe pahankar 33muqaddastarīn kamre, mulāqāt

Page 195: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 16:34 195

ke ḳhaime, qurbāngāh, imāmoṅ aurjamā’at ke tamām logoṅ kā kaffārāde. 34lāzim hai ki sāl meṅ ek dafāisrāīliyoṅ ke tamām gunāhoṅ kākaffārā diyā jāe. yih usūl tumhārelie abad tak qāim rahe.”

sab kuchh waise hī kiyā gayā jaisārab ne mūsā ko hukm diyā thā.

qurbānī chaṛhāne kā maqām

17 rab ne mūsā se kahā,2“hārūn, us ke beṭoṅ aur

tamām isrāīliyoṅ ko hidāyat denā3-4ki jo bhī isrāīlī apnī gāy yā bheṛ-bakrī mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzepar rab ko qurbānī ke taur par peshna kare balki ḳhaimāgāh ke andaryā bāhar kisī aur jagah par zabahkare wuh ḳhūn bahāne kā qusūrwārṭhahregā. us ne ḳhūn bahāyā hai, aurlāzim hai ki use us kī qaum meṅ semiṭāyā jāe. 5is hidāyat kā maqsad yihhai ki isrāīlī ab se apnī qurbāniyāṅkhule maidān meṅ zabah na kareṅbalki rab ko pesh kareṅ. wuh apnejānwaroṅ ko mulāqāt ke ḳhaime kedarwāze par imām ke pās lā karunheṅ rab ko salāmatī kī qurbānī ketaur par pesh kareṅ. 6imām un kāḳhūn mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzepar kī qurbāngāh par chhiṛke aur unkī charbī us par jalā de. aisī qurbānīkī ḳhushbū rab ko pasand hai. 7abse isrāīlī apnī qurbāniyāṅ un bakroṅke dewatāoṅ ko pesh na kareṅ jin

kī pairawī karke unhoṅ ne zinā kiyāhai. yih un ke lie aur un ke bād ānewālī nasloṅ ke lie ek dāimī usūl hai.

8lāzim hai ki har isrāīlī aur tumhāredarmiyān rahne wālā pardesī apnībhasm hone wālī qurbānī yā koīaur qurbānī 9mulāqāt ke ḳhaime kedarwāze par lā kar rab ko pesh kare.warnā use us kī qaum meṅ se miṭāyājāegā.

ḳhūn khānā manā hai10ḳhūn khānā bilkul manā hai.

jo bhī isrāīlī yā tumhāre darmiyānrahne wālā pardesī ḳhūn khāe maiṅus ke ḳhilāf ho jāūṅgā aur use us kīqaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā. 11kyūṅkihar maḳhlūq ke ḳhūn meṅ us kī jānhai. maiṅ ne use tumheṅ de diyāhai tāki wuh qurbāngāh par tumhārākaffārā de. kyūṅki ḳhūn hī us jān kezarī’e jo us meṅ hai tumhārā kaffārādetā hai. 12is lie maiṅ kahtā hūṅ ki nakoī isrāīlī na koī pardesī ḳhūn khāe.

13agar koī bhī isrāīlī yā pardesī kisījānwar yā parinde kā shikār karkepakaṛe jise khāne kī ijāzat hai towuh use zabah karne ke bād us kāpūrā ḳhūn zamīn par bahne de aurḳhūn par miṭṭī ḍāle. 14kyūṅki harmaḳhlūq kā ḳhūn us kī jān hai. is liemaiṅ ne isrāīliyoṅ ko kahā hai ki kisībhī maḳhlūq kā ḳhūn na khāo. harmaḳhlūq kā ḳhūn us kī jān hai, aur jo

Page 196: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

196 ahbār 18:19

bhī use khāe use qaum meṅ se miṭādenā hai.

15agar koī bhī isrāīlī yā pardesī aisejānwar kā gosht khāe jo fitrī taur parmar gayā yā jise janglī jānwaroṅ nephāṛ ḍālā ho to wuh apne kapṛe dhokar nahā le. wuh shām tak nāpākrahegā. 16jo aisā nahīṅ kartā use apnequsūr kī sazā bhugatnī paṛegī.”

nājāiz jinsī tālluqāt

18 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batānā ki

maiṅ rab tumhārā ḳhudā hūṅ.3misriyoṅ kī tarah zindagī na guzārnājin meṅ tum rahte the. mulk-e-kan’ān ke logoṅ kī tarah bhī zindagīna guzārnā jin ke pās maiṅ tumheṅle jā rahā hūṅ. un ke rasm-o-riwājna apnānā. 4mere hī ahkām par amalkaro aur merī hidāyāt ke mutābiqchalo. maiṅ rab tumhārā ḳhudā hūṅ.5merī hidāyāt aur ahkām ke mutābiqchalnā, kyūṅki jo yūṅ karegā wuhjītā rahegā. maiṅ rab hūṅ.

6tum meṅ se koī bhī apnī qarībīrishtedār se hambistar na ho. maiṅrab hūṅ.

7apnī māṅ se hambistar na honā,warnā tere bāp kī behurmatī hojāegī. wuh terī māṅ hai, is lie us sehambistar na honā.

8apne bāp kī kisī bhī bīwī sehambistar na honā, warnā tere bāp kībehurmatī ho jāegī.

9apnī bahan se hambistar na honā,chāhe wuh tere bāp yā terī māṅ kībeṭī ho, chāhe wuh tere hī ghar meṅyā kahīṅ aur paidā huī ho.

10apnī potī yā nawāsī se hambistarna honā, warnā terī apnī behurmatīho jāegī.

11apne bāp kī bīwī kī beṭī sehambistar na honā. wuh terī bahanhai.

12apnī phūphī se hambistar nahonā. wuh tere bāp kī qarībīrishtedār hai.

13apnī ḳhālā se hambistar na honā.wuh terī māṅ kī qarībī rishtedār hai.

14apne bāp ke bhāī kī bīwī sehambistar na honā, warnā tere bāp kebhāī kī behurmatī ho jāegī. us kī bīwīterī chachī hai.

15apnī bahū se hambistar na honā.wuh tere beṭe kī bīwī hai.

16apnī bhābī se hambistar na honā,warnā tere bhāī kī behurmatī hojāegī.

17agar terā jinsī tālluq kisī auratse ho to us kī beṭī, potī yā nawāsīse hambistar honā manā hai, kyūṅkiwuh us kī qarībī rishtedār haiṅ. aisākarnā baṛī sharmnāk harkat hai.

18apnī bīwī ke jīte jī us kī bahan seshādī na karnā.

19kisī aurat se us kī māhwārī kedinoṅ meṅ hambistar na honā. isdaurān wuh nāpāk hai.

Page 197: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 18:20 197

20kisī dūsre mard kī bīwī sehambistar na honā, warnā tū apneāp ko nāpāk karegā.

21apne kisī bhī bachche ko malikdewatā ko qurbānī ke taur par peshkarke jalā denā manā hai. aisī harkatse tū apne ḳhudā ke nām ko dāġhlagāegā. maiṅ rab hūṅ.

22mard dūsre mard ke sāth jinsītālluqāt na rakhe. aisī harkat qābil-e-ghin hai.

23kisī jānwar se jinsī tālluqāt narakhnā, warnā tū nāpāk ho jāegā.auratoṅ ke lie bhī aisā karnā manāhai. yih baṛī sharmnāk harkat hai.

24aisī harkatoṅ se apne āp ko nāpākna karnā. kyūṅki jo qaumeṅ maiṅtumhāre āge mulk se nikālūṅgā wuhisī tarah nāpāk hotī rahīṅ. 25mulkḳhud bhī nāpāk huā. is lie maiṅne use us ke qusūr ke sabab sesazā dī, aur natīje meṅ us ne apnebāshindoṅ ko ugal diyā. 26lekin tummerī hidāyāt aur ahkām ke mutābiqchalo. na desī aur na pardesī aisīkoī ghinaunī harkat kareṅ. 27kyūṅkiyih tamām qābil-e-ghin bāteṅ un sehuīṅ jo tum se pahle is mulk meṅrahte the. yūṅ mulk nāpāk huā.28lihāzā agar tum bhī mulk ko nāpākkaroge to wuh tumheṅ isī tarah ugaldegā jis tarah us ne tum se pahlemaujūd qaumoṅ ko ugal diyā. 29jo bhīmazkūrā ghinaunī harkatoṅ meṅ seek kare use us kī qaum meṅ se miṭāyā

jāe. 30mere ahkām ke mutābiq chalteraho aur aise qābil-e-ghin rasm-o-riwāj na apnānā jo tumhāre āne sepahle rāij the. in se apne āp ko nāpākna karnā. maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ.”

muqaddas qaum ke lie hidāyāt

19 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ kī pūrī jamā’at

ko batānā ki muqaddas raho, kyūṅkimaiṅ rab tumhārā ḳhudā quddūs hūṅ.

3tum meṅ se har ek apne māṅ-bāp kī izzat kare. hafte ke din kāmna karnā. maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ. 4na butoṅ kī taraf rujū karnā,na apne lie dewatā ḍhālnā. maiṅ hīrab tumhārā ḳhudā hūṅ.

5jab tum rab ko salāmatī kī qurbānīpesh karte ho to use yūṅ chaṛhāo kitum manzūr ho jāo. 6us kā goshtusī din yā agle din khāyā jāe. jo bhītīsre din tak bach jātā hai use jalānāhai. 7agar koī use tīsre din khāe touse ilm honā chāhie ki yih qurbānīnāpāk hai aur rab ko pasand nahīṅhai. 8aise shaḳhs ko apne qusūr kīsazā uṭhānī paṛegī, kyūṅki us ne uschīz kī muqaddas hālat ḳhatm kī haijo rab ke lie maḳhsūs kī gaī thī. useus kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.

9kaṭāī ke waqt apnī fasal pūre taurpar na kāṭnā balki khet ke kināroṅpar kuchh chhoṛ denā. is tarah jokuchh kaṭāī karte waqt khet meṅ

Page 198: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

198 ahbār 19:24

bach jāe use chhoṛnā. 10angūr kebāġhoṅ meṅ bhī jo kuchh angūr toṛtewaqt bach jāe use chhoṛ denā. joangūr zamīn par gir jāeṅ unheṅ uṭhākar na le jānā. unheṅ ġharīboṅ aurpardesiyoṅ ke lie chhoṛ denā. maiṅrab tumhārā ḳhudā hūṅ.

11chorī na karnā, jhūṭ na bolnā, ekdūsre ko dhokā na denā.

12mere nām kī qasam khā kardhokā na denā, warnā tum mere nāmko dāġh lagāoge. maiṅ rab hūṅ.

13ek dūsre ko na dabānā aur nalūṭnā. kisī kī mazdūrī usī din kī shāmtak de denā aur use aglī subh tak rokena rakhnā.

14bahre ko na kosnā, na andhe kerāste meṅ koī chīz rakhnā jis se wuhṭhokar khāe. is meṅ bhī apne ḳhudākā ḳhauf mānanā. maiṅ rab hūṅ.

15adālat meṅ kisī kī haqtalfī nakarnā. faislā karte waqt kisī kī bhījānibdārī na karnā, chāhe wuh ġharībyā asar-o-rasūḳh wālā ho. insāf seapne paṛosī kī adālat kar.

16apnī qaum meṅ idhar udharphirte hue kisī par buhtān na lagānā.koī bhī aisā kām na karnā jis se kisīkī jān ḳhatre meṅ paṛ jāe. maiṅ rabhūṅ.

17dil meṅ apne bhāī se nafrat nakarnā. agar kisī kī sarzanish karnī

hai to rū-ba-rū karnā, warnā tū us kesabab se qusūrwār ṭhahregā.

18intiqām na lenā. apnī qaum kekisī shaḳhs par der tak terā ġhussāna rahe balki apne paṛosī se waisīmuhabbat rakhnā jaisī tū apne āp serakhtā hai. maiṅ rab hūṅ.

19merī hidāyāt par amal karo. domuḳhtalif qism ke jānwaroṅ ko milāpna karne denā. apne khet meṅ doqism ke bīj na bonā. aisā kapṛāna pahnanā jo do muḳhtalif qism kedhāgoṅ kā bunā huā ho.

20agar koī ādmī kisī launḍī se jiskī mangnī kisī aur se ho chukī hohambistar ho jāe aur launḍī ko abtak na paisoṅ se na waise hī āzādkiyā gayā ho to munāsib sazā dī jāe.lekin unheṅ sazā-e-maut na dī jāe,kyūṅki use ab tak āzād nahīṅ kiyāgayā. 21qusūrwār ādmī mulāqāt keḳhaime ke darwāze par ek menḍhā leāe tāki wuh rab ko qusūr kī qurbānīke taur par pesh kiyā jāe. 22imāmis qurbānī se rab ke sāmne us kegunāh kā kaffārā de. yūṅ us kāgunāh muāf kiyā jāegā. 23jab mulk-e-kan’ān meṅ dāḳhil hone ke bādtum phaldār daraḳht lagāoge to pahletīn sāl un kā phal na khānā balkiuse mamnūa samajhnā. 24chauthesāl un kā tamām phal ḳhushī kemuqaddas nazarāne ke taur par rab

alafzī tarjumā: nāmaḳhtūn.

Page 199: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 19:25 199

ke lie maḳhsūs kiyā jāe. 25pāṅchweṅsāl tum un kā phal khā sakte ho. yūṅtumhārī fasal baṛhāī jāegī. maiṅ rabtumhārā ḳhudā hūṅ.

26aisā gosht na khānā jis meṅ ḳhūnho. fāl yā shugūn na nikālnā.

27apne sar ke bāl gol shakl meṅ nakaṭwānā, na apnī dāṛhī ko tarāshnā.28apne āp ko murdoṅ ke sabab se kāṭkar zaḳhmī na karnā, na apnī jild parnuqūsh gudwānā. maiṅ rab hūṅ.

29apnī beṭī ko kasbī na banānā,warnā us kī muqaddas hālat jātīrahegī aur mulk zinākārī ke bāisharāmkārī se bhar jāegā.

30hafte ke din ārām karnā aur meremaqdis kā ehtirām karnā. maiṅ rabhūṅ.

31aise logoṅ ke pās na jānā jomurdoṅ se rābitā karte haiṅ, naġhaibdānoṅ kī taraf rujū karnā,warnā tum un se nāpāk ho jāoge.maiṅ rab tumhārā ḳhudā hūṅ.

32būṛhe logoṅ ke sāmne uṭh karkhaṛā ho jānā, buzurgoṅ kī izzatkarnā aur apne ḳhudā kā ehtirāmkarnā. maiṅ rab hūṅ.

33jo pardesī tumhāre mulk meṅtumhāre darmiyān rahtā hai use nadabānā. 34us ke sāth aisā sulūkkar jaisā apne hamwatanoṅ ke sāthkartā hai. jis tarah tū apne āp semuhabbat rakhtā hai usī tarah us sebhī muhabbat rakhnā. yād rahe ki

tum ḳhud misr meṅ pardesī the. maiṅrab tumhārā ḳhudā hūṅ.

35nāinsāfī na karnā. na adālat meṅ,na lambāī nāpte waqt, na tolte waqtaur na kisī chīz kī miqdār nāpte waqt.36sahīh tarāzū, sahīh bāṭ aur sahīhpaimānā istemāl karnā. maiṅ rabtumhārā ḳhudā hūṅ jo tumheṅ misrse nikāl lāyā hūṅ.

37merī tamām hidāyāt aur tamāmahkām māno aur un par amal karo.maiṅ rab hūṅ.”

jarāim kī sazāeṅ

20 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batānā ki tum

meṅ se jo bhī apne bachche ko malikdewatā ko qurbānī ke taur par peshkare use sazā-e-maut denī hai. is meṅkoī farq nahīṅ ki wuh isrāīlī hai yāpardesī. jamā’at ke log use sangsārkareṅ. 3maiṅ ḳhud aise shaḳhs keḳhilāf ho jāūṅgā aur use us kī qaummeṅ se miṭā ḍālūṅgā. kyūṅki apnebachchoṅ ko malik ko pesh karne seus ne mere maqdis ko nāpāk kiyāaur mere nām ko dāġh lagāyā hai.4agar jamā’at ke log apnī āṅkheṅband karke aise shaḳhs kī harkateṅnazarandāz kareṅ aur use sazā-e-maut na deṅ 5to phir maiṅ ḳhud aiseshaḳhs aur us ke gharāne ke ḳhilāfkhaṛā ho jāūṅgā. maiṅ use aur untamām logoṅ ko qaum meṅ se miṭāḍālūṅgā jinhoṅ ne us ke pīchhe lag

Page 200: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

200 ahbār 20:19

kar malik dewatā ko sijdā karne sezinā kiyā hai.

6jo shaḳhs murdoṅ se rābitā karneaur ġhaibdānī karne wāloṅ kī tarafrujū kartā hai maiṅ us ke ḳhilāfho jāūṅgā. un kī pairawī karnese wuh zinā kartā hai. maiṅ useus kī qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā.7apne āp ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddas rakho, kyūṅki maiṅ rabtumhārā ḳhudā hūṅ. 8merī hidāyātmāno aur un par amal karo. maiṅ rabhūṅ jo tumheṅ maḳhsūs-o-muqaddaskartā hūṅ.

9jis ne bhī apne bāp yā māṅ parlānat bhejī hai use sazā-e-maut dī jāe.is harkat se wuh apnī maut kā ḳhudzimmādār hai.

10agar kisī mard ne kisī kī bīwī kesāth zinā kiyā hai to donoṅ ko sazā-e-maut denī hai.

11jo mard apne bāp kī bīwī sehambistar huā hai us ne apne bāp kībehurmatī kī hai. donoṅ ko sazā-e-maut denī hai. wuh apnī maut keḳhud zimmādār haiṅ.

12agar koī mard apnī bahū sehambistar huā hai to donoṅ ko sazā-e-maut denī hai. jo kuchh unhoṅ nekiyā hai wuh nihāyat sharmnāk hai.wuh apnī maut ke ḳhud zimmādārhaiṅ.

13agar koī mard kisī dūsre mard sejinsī tālluqāt rakhe to donoṅ ko isghinaunī harkat ke bāis sazā-e-maut

denī hai. wuh apnī maut ke ḳhudzimmādār haiṅ.

14agar koī ādmī apnī bīwī ke ilāwāus kī māṅ se bhī shādī kare to yih eknihāyat sharmnāk bāt hai. donoṅ kojalā denā hai tāki tumhāre darmiyānkoī aisī ḳhabīs bāt na rahe.

15jo mard kisī jānwar se jinsītālluqāt rakhe use sazā-e-maut denāhai. us jānwar ko bhī mār diyā jāe.16jo aurat kisī jānwar se jinsī tālluqātrakhe use sazā-e-maut denī hai. usjānwar ko bhī mār diyā jāe. wuh apnīmaut ke ḳhud zimmādār haiṅ.

17jis mard ne apnī bahan se shādīkī hai us ne sharmnāk harkat kī hai,chāhe wuh bāp kī beṭī ho yā māṅkī. unheṅ isrāīlī qaum kī nazaroṅ semiṭāyā jāe. aise shaḳhs ne apnī bahankī behurmatī kī hai. is lie use ḳhudapne qusūr ke natīje bardāsht karnepaṛeṅge.

18agar koī mard māhwārī ke ayyāmmeṅ kisī aurat se hambistar huā haito donoṅ ko un kī qaum meṅ semiṭānā hai. kyūṅki donoṅ ne auratke ḳhūn ke mambā se pardā uṭhāyāhai.

19apnī ḳhālā yā phūphī sehambistar na honā. kyūṅki jo aisākartā hai wuh apnī qarībī rishtedārkī behurmatī kartā hai. donoṅ koapne qusūr ke natīje bardāsht karnepaṛeṅge.

Page 201: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 20:20 201

20jo apnī chachī yā tāī se hambistarhuā hai us ne apne chachā yā tāyākī behurmatī kī hai. donoṅ koapne qusūr ke natīje bardāsht karnepaṛeṅge. wuh beaulād mareṅge.

21jis ne apnī bhābī se shādī kī haius ne ek najis harkat kī hai. us neapne bhāī kī behurmatī kī hai. wuhbeaulād raheṅge.

22merī tamām hidāyāt aur ahkāmko māno aur un par amal karo.warnā jis mulk meṅ maiṅ tumheṅle jā rahā hūṅ wuh tumheṅ ugaldegā. 23un qaumoṅ ke rasm-o-riwājke mutābiq zindagī na guzārnā jinheṅmaiṅ tumhāre āge se nikāl dūṅgā.mujhe is sabab se un se ghin ānelagī ki wuh yih sab kuchh karte the.24lekin tum se maiṅ ne kahā, ‘tum hīun kī zamīn par qabzā karoge. maiṅhī use tumheṅ de dūṅgā, aisā mulkjis meṅ kasrat kā dūdh aur shahdhai.’ maiṅ rab tumhārā ḳhudā hūṅ,jis ne tum ko dīgar qaumoṅ meṅ sechun kar alag kar diyā hai. 25is lielāzim hai ki tum zamīn par chalnewāle jānwaroṅ aur parindoṅ meṅ pākaur nāpāk kā imtiyāz karo. apne āpko nāpāk jānwar khāne se qābil-e-ghin na banānā, chāhe wuh zamīnpar chalte yā reṅgte haiṅ, chāhehawā meṅ uṛte haiṅ. maiṅ hī neunheṅ tumhāre lie nāpāk qarār diyāhai. 26tumheṅ mere lie maḳhsūs-o-muqaddas honā hai, kyūṅki maiṅ

quddūs hūṅ, aur maiṅ ne tumheṅdīgar qaumoṅ meṅ se chun kar apnelie alag kar liyā hai.

27tum meṅ se jo murdoṅ se rābitāyā ġhaibdānī kartā hai use sazā-e-maut denī hai, ḳhwāh aurat ho yāmard. unheṅ sangsār karnā. wuhapnī maut ke ḳhud zimmādār haiṅ.”

imāmoṅ ke lie hidāyāt

21 rab ne mūsā se kahā, “hārūnke beṭoṅ ko jo imām haiṅ

batā denā ki imām apne āp kokisī isrāīlī kī lāsh ke qarīb jāne senāpāk na kare 2siwāe apne qarībīrishtedāroṅ ke yānī māṅ, bāp, beṭā,beṭī, bhāī 3aur jo ġhairshādīshudābahan us ke ghar meṅ rahtī hai. 4wuhapnī qaum meṅ kisī aur ke bāis apneāp ko nāpāk na kare, warnā us kīmuqaddas hālat jātī rahegī.

5imām apne sar ko na munḍwāeṅ.wuh na apnī dāṛhī ko tarāsheṅ aur nakāṭne se apne āp ko zaḳhmī kareṅ.

6wuh apne ḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddas raheṅ aur apne ḳhudāke nām ko dāġh na lagāeṅ. chūṅkiwuh rab ko jalne wālī qurbāniyāṅyānī apne ḳhudā kī roṭī pesh kartehaiṅ is lie lāzim hai ki wuh muqaddasraheṅ. 7imām zinākār aurat, mandirkī kasbī yā talāqyāftā aurat se shādīna kareṅ, kyūṅki wuh apne rab ke liemaḳhsūs-o-muqaddas haiṅ. 8imāmko muqaddas samajhnā, kyūṅki wuh

Page 202: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

202 ahbār 22:2

tere ḳhudā kī roṭī ko qurbāngāh parchaṛhātā hai. wuh tere lie muqaddasṭhahre kyūṅki maiṅ rab quddūs hūṅ.maiṅ hī tumheṅ muqaddas kartā hūṅ.

9kisī imām kī jo beṭī zinākārī seapnī muqaddas hālat ko ḳhatm kardetī hai wuh apne bāp kī muqaddashālat ko bhī ḳhatm kar detī hai. usejalā diyā jāe.

10imām-e-āzam ke sar par masahkā tel unḍelā gayā hai aur use imām-e-āzam ke muqaddas kapṛe pahnanekā iḳhtiyār diyā gayā hai. is liewuh ranj ke ālam meṅ apne bāloṅko bikharne na de, na kabhī apnekapṛoṅ ko phāṛe. 11wuh kisī lāshke qarīb na jāe, chāhe wuh us kebāp yā māṅ kī lāsh kyūṅ na ho,warnā wuh nāpāk ho jāegā. 12jabtak koī lāsh us ke ghar meṅ paṛīrahe wuh maqdis ko chhoṛ kar apneghar na jāe, warnā wuh maqdis konāpāk karegā. kyūṅki use us keḳhudā ke tel se maḳhsūs kiyā gayāhai. maiṅ rab hūṅ. 13imām-e-āzamko sirf kuṅwārī se shādī kī ijāzat hai.14wuh bewā, talāqyāftā aurat, mandirkī kasbī yā zinākār aurat se shādī nakare balki sirf apne qabīle kī kuṅwārīse, 15warnā us kī aulād maḳhsūs-o-muqaddas nahīṅ hogī. kyūṅki maiṅrab hūṅ jo use apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.”

16rab ne mūsā se yih bhī kahā,17“hārūn ko batānā ki terī aulād meṅ

se koī bhī jis ke jism meṅ nuqs homere huzūr ā kar apne ḳhudā kīroṭī na chaṛhāe. yih usūl āne wālīnasloṅ ke lie bhī aṭal hai. 18kyūṅkikoī bhī māzūr mere huzūr na āe, naandhā, na langaṛā, na wuh jis kī nākchirī huī ho yā jis ke kisī azu meṅkamī beshī ho, 19na wuh jis kā pāoṅyā hāth ṭūṭā huā ho, 20na kubaṛā,na baunā, na wuh jis kī āṅkh meṅnuqs ho yā jise wabāī jildī bīmārīho yā jis ke ḳhusye kuchle hue hoṅ.21hārūn imām kī koī bhī aulād jis kejism meṅ nuqs ho mere huzūr ā karrab ko jalne wālī qurbāniyāṅ peshna kare. chūṅki us meṅ nuqs haiis lie wuh mere huzūr ā kar apneḳhudā kī roṭī na chaṛhāe. 22use allāhkī muqaddas balki muqaddastarīnqurbāniyoṅ meṅ se bhī imāmoṅ kāhissā khāne kī ijāzat hai. 23lekinchūṅki us meṅ nuqs hai is lie wuhmuqaddastarīn kamre ke darwāze keparde ke qarīb na jāe, na qurbāngāhke pās āe. warnā wuh merī muqaddaschīzoṅ ko nāpāk karegā. kyūṅkimaiṅ rab hūṅ jo unheṅ apne liemaḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.”

24mūsā ne yih hidāyāt hārūn, us kebeṭoṅ aur tamām isrāīliyoṅ ko dīṅ.

qurbānī kā gosht khāne kī hidāyāt

22 rab ne mūsā se kahā, 2“hārūnaur us ke beṭoṅ ko batānā

ki isrāīliyoṅ kī un qurbāniyoṅ kā

Page 203: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 22:3 203

ehtirām karo jo tum ne mere liemaḳhsūs-o-muqaddas kī haiṅ, warnātum mere nām ko dāġh lagāoge. maiṅrab hūṅ. 3jo imām nāpāk hone kebāwujūd un qurbāniyoṅ ke pās ā jāejo isrāīliyoṅ ne mere lie maḳhsūs-o-muqaddas kī haiṅ use mere sāmne semiṭānā hai. yih usūl āne wālī nasloṅke lie bhī aṭal hai. maiṅ rab hūṅ.

4hārūn kī aulād meṅ se jo bhī wabāījildī bīmārī yā jaryān kā marīz ho usemuqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnāhissā khāne kī ijāzat nahīṅ hai. pahlewuh pāk ho jāe. jo aisī koī bhī chīzchhue jo lāsh se nāpāk ho gaī ho yāaise ādmī ko chhue jis kā nutfā niklāho wuh nāpāk ho jātā hai. 5wuhnāpāk reṅgne wāle jānwar yā nāpākshaḳhs ko chhūne se bhī nāpāk hojātā hai, ḳhwāh wuh kisī bhī sabab senāpāk kyūṅ na huā ho. 6jo aisī koībhī chīz chhue wuh shām tak nāpākrahegā. is ke ilāwā lāzim hai ki wuhmuqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnāhissā khāne se pahle nahā le. 7sūrajke ġhurūb hone par wuh pāk hogāaur muqaddas qurbāniyoṅ meṅ seapnā hissā khā sakegā. kyūṅki wuhus kī rozī haiṅ. 8imām aise jānwaroṅkā gosht na khāe jo fitrī taur parmar gae yā jinheṅ janglī jānwaroṅ nephāṛ ḍālā ho, warnā wuh nāpāk hojāegā. maiṅ rab hūṅ.

9imām merī hidāyāt ke mutābiqchaleṅ, warnā wuh qusūrwār ban

jāeṅge aur muqaddas chīzoṅ kībehurmatī karne ke sabab se marjāeṅge. maiṅ rab hūṅ jo unheṅ apnelie maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.

10sirf imām ke ḳhāndān ke afrādmuqaddas qurbāniyoṅ meṅ se khāsakte haiṅ. ġhairshahrī yā mazdūrko ijāzat nahīṅ hai. 11lekin imāmkā ġhulām yā launḍī us meṅ se khāsakte haiṅ, chāhe unheṅ ḳharīdā gayāho yā wuh us ke ghar meṅ paidāhue hoṅ. 12agar imām kī beṭī nekisī aise shaḳhs se shādī kī hai joimām nahīṅ hai to use muqaddasqurbāniyoṅ meṅ se khāne kī ijāzatnahīṅ hai. 13lekin ho saktā hai kiwuh bewā yā talāqyāftā ho aur us kebachche na hoṅ. jab wuh apne bāpke ghar lauṭ kar wahāṅ aise rahegījaise apnī jawānī meṅ to wuh apnebāp ke us khāne meṅ se khā saktī haijo qurbāniyoṅ meṅ se bāp kā hissāhai. lekin jo imām ke ḳhāndān kā fardnahīṅ hai use khāne kī ijāzat nahīṅhai.

14jis shaḳhs ne nādānistā taur parmuqaddas qurbāniyoṅ meṅ se imāmke hisse se kuchh khāyā hai wuhimām ko sab kuchh wāpas karne keilāwā 20 fīsad zyādā de. 15imāmrab ko pesh kī huī qurbāniyoṅ kīmuqaddas hālat yūṅ ḳhatm na kareṅ16ki wuh dūsre isrāīliyoṅ ko yihmuqaddas chīzeṅ khāne deṅ. aisīharkat se wuh un ko baṛā qusūrwār

Page 204: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

204 ahbār 22:33

banā deṅge. maiṅ rab hūṅ jo unheṅapne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartāhūṅ.”

jānwaroṅ kī qurbāniyoṅ

ke bāre meṅ hidāyāt17rab ne mūsā se kahā, 18“hārūn, us

ke beṭoṅ aur isrāīliyoṅ ko batānā kiagar tum meṅ se koī isrāīlī yā pardesīrab ko bhasm hone wālī qurbānīpesh karnā chāhe to tarīq-e-kār meṅkoī farq nahīṅ hai, chāhe wuh yihmannat mān kar yā waise hī dilīḳhushī se kar rahā ho. 19is ke lie lāzimhai ki tum ek beaib bail, menḍhā yābakrā pesh karo. phir hī use qabūlkiyā jāegā. 20qurbānī ke lie kabhībhī aisā jānwar pesh na karnā jismeṅ nuqs ho, warnā tum us ke bāismanzūr nahīṅ hoge. 21agar koī rab kosalāmatī kī qurbānī pesh karnā chāheto tarīq-e-kār meṅ koī farq nahīṅ hai,chāhe wuh yih mannat mān kar yāwaise hī dilī ḳhushī se kar rahā ho. iske lie lāzim hai ki wuh gāy-bailoṅ yābheṛ-bakriyoṅ meṅ se beaib jānwarchune. phir use qabūl kiyā jāegā.22rab ko aise jānwar pesh na karnājo andhe hoṅ, jin ke āzā ṭūṭe yā kaṭehue hoṅ, jin ko rasaulī ho yā jinheṅwabāī jildī bīmārī lag gaī ho. rab kounheṅ jalne wālī qurbānī ke taur parqurbāngāh par pesh na karnā. 23lekinjis gāy-bail yā bheṛ-bakrī ke kisī azumeṅ kamī beshī ho use pesh kiyā

jā saktā hai. shart yih hai ki peshkarne wālā use waise hī dilī ḳhushī sechaṛhāe. agar wuh use apnī mannatmān kar pesh kare to wuh qabūlnahīṅ kiyā jāegā. 24rab ko aisā jānwarpesh na karnā jis ke ḳhusye kuchle,toṛe yā kaṭe hue hoṅ. apne mulk meṅjānwaroṅ ko is tarah ḳhasī na banānā,25na aise jānwar kisī ġhairmulkī seḳharīd kar apne ḳhudā kī roṭī ke taurpar pesh karnā. tum aise jānwaroṅ kebāis manzūr nahīṅ hoge, kyūṅki unmeṅ ḳharābī aur nuqs hai.”

26rab ne mūsā se yih bhī kahā,27“jab kisī gāy, bheṛ yā bakrī kābachchā paidā hotā hai to lāzim haiki wuh pahle sāt din apnī māṅ kepās rahe. āṭhweṅ din se pahle rabuse jalne wālī qurbānī ke taur parqabūl nahīṅ karegā. 28kisī gāy, bheṛyā bakrī ke bachche ko us kī māṅsamet ek hī din zabah na karnā. 29jabtum rab ko salāmatī kī koī qurbānīchaṛhānā chāhte ho to use yūṅ peshkarnā ki tum manzūr ho jāo. 30aglīsubh tak kuchh bachā na rahe balkiuse usī din khānā hai. maiṅ rab hūṅ.

31mere ahkām māno aur un paramal karo. maiṅ rab hūṅ. 32merenām ko dāġh na lagānā. lāzim hai kimujhe isrāīliyoṅ ke darmiyān quddūsmānā jāe. maiṅ rab hūṅ jo tumheṅapne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartāhūṅ. 33maiṅ tumheṅ misr se nikāl

Page 205: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 23:1 205

lāyā hūṅ tāki tumhārā ḳhudā hūṅ.maiṅ rab hūṅ.”

23 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batānā ki yih

merī, rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅlogoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamākarnā hai.

sabat kā din3hafte meṅ chhih din kām karnā,

lekin sātwāṅ din har tarah se ārām kādin hai. us din muqaddas ijtimā ho.jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ kāmna karnā. yih din rab ke lie maḳhsūssabat hai.

fasah kī īd aur beḳhamīrī roṭī kī īd4yih rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ

logoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamākarnā hai.

5fasah kī īd pahle mahīne kechaudhweṅ din shurū hotī hai. usdin sūraj ke ġhurūb hone par rab kīḳhushī manāī jāe. 6agle din rab kīyād meṅ beḳhamīrī roṭī kī īd shurūhotī hai. sāt din tak tumhārī roṭīmeṅ ḳhamīr na ho. 7in sāt dinoṅke pahle din muqaddas ijtimā ho aurlog apnā har kām chhoṛeṅ. 8in sātdinoṅ meṅ rozānā rab ko jalne wālīqurbānī pesh karo. sātweṅ din bhīmuqaddas ijtimā ho aur log apnā harkām chhoṛeṅ.”

pahle pūle kī īd9rab ne mūsā se kahā, 10“isrāīliyoṅ

ko batānā ki jab tum us mulk meṅdāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgāaur wahāṅ anāj kī fasal kāṭoge totumheṅ imām ko pahlā pūlā denāhai. 11itwār ko imām yih pūlā rabke sāmne hilāe tāki tum manzūr hojāo. 12us din bheṛ kā ek yaksālābeaib bachchā bhī rab ko pesh karnā.use qurbāngāh par bhasm hone wālīqurbānī ke taur par chaṛhānā. 13sāthhī ġhallā kī nazar ke lie tel se milāyāgayā 3 kilogrām behtarīn maidā bhīpesh karnā. jalne wālī yih qurbānīrab ko pasand hai. is ke ilāwā maikī nazar ke lie ek liṭar mai bhī peshkarnā. 14pahle yih sab kuchh karo,phir hī tumheṅ naī fasal ke anāj sekhāne kī ijāzat hogī, ḳhwāh wuhbhunā huā ho, ḳhwāh kachchā yā roṭīkī sūrat meṅ pakāyā gayā ho. jahāṅbhī tum rahte ho wahāṅ aisā hī karnāhai. yih usūl abad tak qāim rahe.

haftoṅ kī īd yānī pantikust15jis din tum ne anāj kā pūlā

pesh kiyā us din se pūre sāt haftegino. 16pachāsweṅ din yānī sātweṅitwār ko rab ko nae anāj kī qurbānīchaṛhānā. 17har gharāne kī tarafse rab ko hilāne wālī qurbānī ketaur par do roṭiyāṅ pesh kī jāeṅ.har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīnmaidā istemāl kiyā jāe. un meṅ

Page 206: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

206 ahbār 23:36

ḳhamīr ḍāl kar pakānā hai. yihfasal kī pahlī paidāwār kī qurbānīhaiṅ. 18in roṭiyoṅ ke sāth ek jawānbail, do menḍhe aur bheṛ ke sātbeaib aur yaksālā bachche pesh karo.unheṅ rab ke huzūr bhasm hone wālīqurbānī ke taur par chaṛhānā. iske ilāwā ġhallā kī nazar aur mai kīnazar bhī pesh karnī hai. jalne wālīis qurbānī kī ḳhushbū rab ko pasandhai. 19phir gunāh kī qurbānī ke lie ekbakrā aur salāmatī kī qurbānī ke liedo yaksālā bheṛ ke bachche chaṛhāo.20imām bheṛ ke yih do bachchemazkūrā roṭiyoṅ samet hilāne wālīqurbānī ke taur par rab ke sāmnehilāe. yih rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ aur qurbāniyoṅ meṅse imām kā hissā haiṅ. 21usī dinlogoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamākaro. koī bhī kām na karnā. yih usūlabad tak qāim rahe, aur ise har jagahmānanā hai.

22kaṭāī ke waqt apnī fasal pūre taurpar na kāṭnā balki khet ke kināroṅpar kuchh chhoṛ denā. is tarah jokuchh kaṭāī karte waqt khet meṅbach jāe use chhoṛnā. bachā huā anājġharīboṅ aur pardesiyoṅ ke lie chhoṛdenā. maiṅ rab tumhārā ḳhudā hūṅ.”

nae sāl kī īd23rab ne mūsā se kahā, 24“isrāīliyoṅ

ko batānā ki sātweṅ mahīne kā pahlādin ārām kā din hai. us din muqaddas

ijtimā ho jis par yād dilāne ke lienarsingā phūṅkā jāe. 25koī bhī kāmna karnā. rab ko jalne wālī qurbānīpesh karnā.”

kaffārā kā din26rab ne mūsā se kahā, 27“sātweṅ

mahīne kā daswāṅ din kaffārā kā dinhai. us din muqaddas ijtimā ho. apnījān ko dukh denā aur rab ko jalnewālī qurbānī pesh karnā. 28us dinkām na karnā, kyūṅki yih kaffārākā din hai, jab rab tumhāre ḳhudāke sāmne tumhārā kaffārā diyā jātāhai. 29jo us din apnī jān ko dukhnahīṅ detā use us kī qaum meṅ semiṭāyā jāe. 30jo us din kām kartā haiuse maiṅ us kī qaum meṅ se nikālkar halāk karūṅga. 31koī bhī kāmna karnā. yih usūl abad tak qāimrahe, aur ise har jagah mānanā hai.32yih din ārām kā ḳhās din hai jis meṅtumheṅ apnī jān ko dukh denā hai.ise mahīne ke naweṅ din kī shām sele kar aglī shām tak manānā.”

jhoṅpṛiyoṅ kī īd33rab ne mūsā se kahā, 34“isrāīliyoṅ

ko batānā ki sātweṅ mahīne kepandrahweṅ din jhoṅpṛiyoṅ kī īdshurū hotī hai. is kā daurāniyā sātdin hai. 35pahle din muqaddas ijtimāho. is din koī kām na karnā. 36insāt dinoṅ ke daurān rab ko jalne wālīqurbāniyāṅ pesh karnā. āṭhweṅ din

Page 207: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 23:37 207

muqaddas ijtimā ho. rab ko jalne wālīqurbānī pesh karo. is ḳhās ijtimā kedin bhī kām nahīṅ karnā hai.

37yih rab kī īdeṅ haiṅ jin partumheṅ muqaddas ijtimā karnā haitāki rab ko rozmarrā kī matlūbā jalnewālī qurbāniyāṅ aur mai kī nazareṅpesh kī jāeṅ yānī bhasm hone wālīqurbāniyāṅ, ġhallā kī nazareṅ, zabahkī qurbāniyāṅ aur mai kī nazareṅ.38yih qurbāniyāṅ un qurbāniyoṅ keilāwā haiṅ jo sabat ke din chaṛhāījātī haiṅ aur jo tum ne hadie ke taurpar yā mannat mān kar yā apnī dilīḳhushī se pesh kī haiṅ.

39chunāṅche sātweṅ mahīne kepandrahweṅ din fasal kī kaṭāī keiḳhtitām par rab kī yih īd yānījhoṅpṛiyoṅ kī īd manāo. ise sāt dinmanānā. pahlā aur āḳhirī din ārāmke din haiṅ. 40pahle din apne liedaraḳhtoṅ ke behtarīn phal, khajūrkī ḍāliyāṅ aur ghane daraḳhtoṅ aursafedā kī shāḳheṅ toṛnā. sāt dintak rab apne ḳhudā ke sāmne ḳhushīmanāo. 41har sāl sātweṅ mahīne meṅrab kī ḳhushī meṅ yih īd manānā.yih usūl abad tak qāim rahe. 42īdke hafte ke daurān jhoṅpṛiyoṅ meṅrahnā. tamām mulk meṅ ābād isrāīlīaisā kareṅ. 43phir tumhārī aulādjānegī ki isrāīliyoṅ ko misr se nikāltewaqt maiṅ ne unheṅ jhoṅpṛiyoṅ meṅbasāyā. maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ.”

44mūsā ne isrāīliyoṅ ko rab kī īdoṅke bāre meṅ yih bāteṅ batāīṅ.

rab ke sāmne shamādān aur roṭiyāṅ

24 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko hukm de ki

wuh tere pās kūṭe hue zaitūnoṅ kāḳhālis tel le āeṅ tāki muqaddas kamreke shamādān ke charāġh mutawātirjalte raheṅ. 3hārūn unheṅ musalsal,shām se le kar subh tak rab ke huzūrsaṅbhāle yānī wahāṅ jahāṅ wuhmuqaddastarīn kamre ke parde kesāmne paṛe haiṅ, us parde ke sāmnejis ke pīchhe ahd kā sandūq hai.yih usūl abad tak qāim rahe. 4wuhḳhālis sone ke shamādān par lagecharāġhoṅ kī dekh-bhāl yūṅ kareki yih hameshā rab ke sāmne jalteraheṅ.

5bārah roṭiyāṅ pakānā. har roṭī kelie 3 kilogrām behtarīn maidā istemālkiyā jāe. 6unheṅ do qatāroṅ meṅrab ke sāmne ḳhālis sone kī mez parrakhnā. 7har qatār par ḳhālis lubānḍālnā. yih lubān roṭī ke lie yādgārīkī qurbānī hai jise bād meṅ rab kelie jalānā hai. 8har hafte ko rab kesāmne tāzā roṭiyāṅ isī tartīb se mezpar rakhnī haiṅ. yih isrāīliyoṅ ke lieabadī ahd kī lāzimī shart hai. 9mezkī roṭiyāṅ hārūn aur us ke beṭoṅ kāhissā haiṅ, aur wuh unheṅ muqaddasjagah par khāeṅ, kyūṅki wuh jalnewālī qurbāniyoṅ kā muqaddastarīn

Page 208: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

208 ahbār 25:4

hissā haiṅ. yih abad tak un kā haqrahegā.”

allāh kī tauhīn, ḳhūṅrezī aur

zaḳhmī karne kī sazāeṅ10-11ḳhaimāgāh meṅ ek ādmī thā jis

kā bāp misrī aur māṅ isrāīlī thī. māṅkā nām salūmīt thā. wuh dibrī kībeṭī aur dān ke qabīle kī thī. ek dinyih ādmī ḳhaimāgāh meṅ kisī isrāīlīse jhagaṛne lagā. laṛte laṛte us nerab ke nām par kufr bak kar us parlānat bhejī. yih sun kar log use mūsāke pās le āe. 12wahāṅ unhoṅ ne usepahre meṅ biṭhā kar rab kī hidāyat kāintizār kiyā.

13tab rab ne mūsā se kahā, 14“lānatkarne wāle ko ḳhaimāgāh ke bāhar lejāo. jinhoṅ ne us kī yih bāteṅ sunīhaiṅ wuh sab apne hāth us ke sarpar rakheṅ. phir pūrī jamā’at usesangsār kare. 15isrāīliyoṅ se kahnā kijo bhī apne ḳhudā par lānat bheje useapne qusūr ke natīje bardāsht karnepaṛeṅge. 16jo bhī rab ke nām parkufr bake use sazā-e-maut dī jāe. pūrījamā’at use sangsār kare. jis ne rabke nām par kufr bakā ho use zarūrsazā-e-maut denī hai, ḳhwāh desī hoyā pardesī.

17jis ne kisī ko mār ḍālā hai usesazā-e-maut dī jāe. 18jis ne kisī kejānwar ko mār ḍālā hai wuh us kāmuāwazā de. jān ke badle jān dī jāe.19agar kisī ne kisī ko zaḳhmī kar diyā

hai to wuhī kuchh us ke sāth kiyā jāejo us ne dūsre ke sāth kiyā hai. 20agardūsre kī koī haḍḍī ṭūṭ jāe to us kī wuhīhaḍḍī toṛī jāe. agar dūsre kī āṅkh zāeho jāe to us kī āṅkh zāe kar dī jāe.agar dūsre kā dāṅt ṭūṭ jāe to us kāwuhī dāṅt toṛā jāe. jo bhī zaḳhm usne dūsre ko pahuṅchāyā wuhī zaḳhmuse pahuṅchāyā jāe. 21jis ne kisījānwar ko mār ḍālā hai wuh us kāmuāwazā de, lekin jis ne kisī insānko mār diyā hai use sazā-e-maut denīhai. 22desī aur pardesī ke lie tumhārāek hī qānūn ho. maiṅ rab tumhārāḳhudā hūṅ.”

23phir mūsā ne isrāīliyoṅ se bāt kī,aur unhoṅ ne rab par lānat bhejnewāle ko ḳhaimāgāh se bāhar le jā karuse sangsār kiyā. unhoṅ ne waisā hīkiyā jaisā rab ne mūsā ko hukm diyāthā.

zamīn ke lie sabat kā sāl

25 rab ne sīnā pahāṛ par mūsāse kahā, 2“isrāīliyoṅ ko

batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhilhoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā to lāzimhai ki rab kī tāzīm meṅ zamīn ek sālārām kare. 3chhih sāl ke daurān apnekhetoṅ meṅ bīj bonā, apne angūr kebāġhoṅ kī kāṅṭ-chhāṅṭ karnā aur unkī fasleṅ jamā karnā. 4lekin sātwāṅsāl zamīn ke lie ārām kā sāl hai,rab kī tāzīm meṅ sabat kā sāl. ussāl na apne khetoṅ meṅ bīj bonā,

Page 209: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 25:5 209

na apne angūr ke bāġhoṅ kī kāṅṭ-chhāṅṭ karnā. 5jo anāj ḳhud-ba-ḳhudugtā hai us kī kaṭāī na karnā aur joangūr us sāl lagte haiṅ un ko toṛ karjamā na karnā, kyūṅki zamīn ko eksāl ke lie ārām karnā hai. 6albattājo bhī yih zamīn ārām ke sāl meṅpaidā karegī us se tum apnī rozānākī zarūriyāt pūrī kar sakte ho yānītū, tere ġhulām aur launḍiyāṅ, teremazdūr, tere ġhairshahrī, tere sāthrahne wāle pardesī, 7tere maweshīaur terī zamīn par rahne wāle janglījānwar. jo kuchh bhī yih zamīn paidākartī hai wuh khāyā jā saktā hai.

bahālī kā sāl8sāt sabat ke sāl yānī 49 sāl ke bād

ek aur kām karnā hai. 9pachāsweṅsāl ke sātweṅ mahīne ke dasweṅ dinyānī kaffārā ke din apne mulk kī harjagah narsingā bajānā. 10pachāswāṅsāl maḳhsūs-o-muqaddas karo aurpūre mulk meṅ elān karo ki tamāmbāshindoṅ ko āzād kar diyā jāe. yihbahālī kā sāl ho jis meṅ har shaḳhsko us kī milkiyat wāpas kī jāe aurhar ġhulām ko āzād kiyā jāe tākiwuh apne rishtedāroṅ ke pās wāpasjā sake. 11yih pachāswāṅ sāl bahālīkā sāl ho, is lie na apne khetoṅ meṅbīj bonā, na ḳhud-ba-ḳhud ugne wāleanāj kī kaṭāī karnā, aur na angūr toṛkar jamā karnā. 12kyūṅki yih bahālīkā sāl hai jo tumhāre lie maḳhsūs-

o-muqaddas hai. rozānā utnī hīpaidāwār lenā ki ek din kī zarūriyātpūrī ho jāeṅ. 13bahālī ke sāl meṅ harshaḳhs ko us kī milkiyat wāpas kī jāe.

14chunāṅche jab kabhī tum apnekisī hamwatan bhāī ko zamīn bechteyā us se ḳharīdte ho to us se nājāizfāidā na uṭhānā. 15zamīn kī qīmat ishisāb se muqarrar kī jāe ki wuh aglebahālī ke sāl tak kitne sāl fasleṅ paidākaregī. 16agar bahut sāl rah gae hoṅto us kī qīmat zyādā hogī, aur agarkam sāl rah gae hoṅ to us kī qīmatkam hogī. kyūṅki un fasloṅ kī tādādbik rahī hai jo zamīn agle bahālī kesāl tak paidā kar saktī hai.

17apne hamwatan se nājāiz fāidā nauṭhānā balki rab apne ḳhudā kā ḳhaufmānanā, kyūṅki maiṅ rab tumhārāḳhudā hūṅ.

18merī hidāyāt par amal karnā aurmere ahkām ko mān kar un kemutābiq chalnā. tab tum apne mulkmeṅ mahfūz rahoge. 19zamīn apnīpūrī paidāwār degī, tum ser ho jāogeaur mahfūz rahoge. 20ho saktā haikoī pūchhe, ‘ham sātweṅ sāl meṅ kyākhāeṅge jabki ham bīj nahīṅ boeṅgeaur fasal nahīṅ kāṭeṅge?’ 21jawāb yihhai ki maiṅ chhaṭe sāl meṅ zamīnko itnī barkat dūṅgā ki us sāl kīpaidāwār tīn sāl ke lie kāfī hogī. 22jabtum āṭhweṅ sāl bīj bo’oge to tumhārepās chhaṭe sāl kī itnī paidāwār bāqī

Page 210: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

210 ahbār 25:35

hogī ki tum fasal kī kaṭāī tak guzārākar sakoge.

maurūsī zamīn ke huqūq23koī zamīn bhī hameshā ke lie na

bechī jāe, kyūṅki mulk kī tamāmzamīn merī hī hai. tum merehuzūr sirf pardesī aur ġhairshahrīho. 24mulk meṅ jahāṅ bhī zamīn bikjāe wahāṅ maurūsī mālik kā yih haqmānā jāe ki wuh apnī zamīn wāpasḳharīd saktā hai.

25agar terā koī hamwatan bhāīġharīb ho kar apnī kuchh zamīnbechne par majbūr ho jāe to lāzimhai ki us kā sab se qarībī rishtedāruse wāpas ḳharīd le. 26ho saktā haiki aise shaḳhs kā koī qarībī rishtedārna ho jo us kī zamīn wāpas ḳharīdsake, lekin wuh ḳhud kuchh der kebād itne paise jamā kartā hai ki wuhapnī zamīn wāpas ḳharīd saktā hai.27is sūrat meṅ wuh hisāb kare kiḳharīdne wāle ke lie agle bahālī kesāl tak kitne sāl rah gae haiṅ. jitnānuqsān ḳharīdne wāle ko zamīn kobahālī ke sāl se pahle wāpas dene sepahuṅchegā utne hī paise use denehaiṅ. 28lekin agar us ke pās itne paisena hoṅ to zamīn agle bahālī ke sāl takḳharīdne wāle ke hāth meṅ rahegī.phir use maurūsī mālik ko wāpas diyājāegā.

29agar kisī kā ghar fasīldār shahrmeṅ hai to jab wuh use bechegā to

apnā ghar wāpas ḳharīdne kā haqsirf ek sāl tak rahegā. 30agar pahlāmālik use pahle sāl ke andar andarna ḳharīde to wuh hameshā ke lieḳharīdne wāle kī maurūsī milkiyatban jāegā. wuh bahālī ke sāl meṅ bhīwāpas nahīṅ kiyā jāegā.

31lekin jo ghar aisī ābādī meṅ hai jiskī fasīl na ho wuh dehāt meṅ shumārkiyā jātā hai. us ke maurūsī mālik kohaq hāsil hai ki har waqt apnā gharwāpas ḳharīd sake. bahālī ke sāl meṅis ghar ko lāziman wāpas kar denāhai.

32lekin lāwiyoṅ ko yih haq hāsilhai ki wuh apne wuh ghar harwaqt ḳharīd sakte haiṅ jo un ke liemuqarrar kie hue shahroṅ meṅ haiṅ.33agar aisā ghar kisī lāwī ke hāthfaroḳht kiyā jāe aur wāpas na ḳharīdājāe to use lāziman bahālī ke sāl meṅwāpas karnā hai. kyūṅki lāwī ke joghar un ke muqarrarā shahroṅ meṅhote haiṅ wuh isrāīliyoṅ meṅ un kīmaurūsī milkiyat haiṅ. 34lekin jozamīneṅ shahroṅ ke irdgird maweshīcharāne ke lie muqarrar haiṅ unheṅbechne kī ijāzat nahīṅ hai. wuh un kīdāimī milkiyat haiṅ.

ġharīboṅ ke lie qarzā35agar terā koī hamwatan bhāī

ġharīb ho jāe aur guzārā na kar saketo us kī madad kar. us tarah uskī madad karnā jis tarah pardesī yā

Page 211: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 25:36 211

ġhairshahrī kī madad karnī hotī haitāki wuh tere sāth rahte hue zindagīguzār sake. 36us se kisī tarah kāsūd na lenā balki apne ḳhudā kāḳhauf mānanā tāki terā bhāī tere sāthzindagī guzār sake. 37agar wuh terāqarzdār ho to us se sūd na lenā. isītarah ḳhurāk bechte waqt us se nafāna lenā. 38maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ. maiṅ tumheṅ is lie misr se nikāllāyā ki tumheṅ mulk-e-kan’ān dūṅaur tumhārā ḳhudā hūṅ.

isrāīlī ġhulāmoṅ ke huqūq39agar terā koī isrāīlī bhāī ġharīb ho

kar apne āp ko tere hāth bech ḍāle tous se ġhulām kā sā kām na karānā.40us ke sāth mazdūr yā ġhairshahrī kāsā sulūk karnā. wuh tere lie bahālīke sāl tak kām kare. 41phir wuhaur us ke bāl-bachche āzād ho karapne rishtedāroṅ aur maurūsī zamīnke pās wāpas jāeṅ. 42chūṅki isrāīlīmere ḳhādim haiṅ jinheṅ maiṅ misrse nikāl lāyā is lie unheṅ ġhulāmīmeṅ na bechā jāe. 43aise logoṅ parsaḳhtī se hukmrānī na karnā balkiapne ḳhudā kā ḳhauf mānanā.

44tum paṛosī mamālik se apne lieġhulām aur launḍiyāṅ hāsil kar sakteho. 45jo pardesī ġhairshahrī ketaur par tumhāre mulk meṅ ābādhaiṅ unheṅ bhī tum ḳharīd sakteho. un meṅ wuh bhī shāmil haiṅjo tumhāre mulk meṅ paidā hue

haiṅ. wuhī tumhārī milkiyat ban kar46tumhāre beṭoṅ kī mīrās meṅ ā jāeṅaur wuhī hameshā tumhāre ġhulāmraheṅ. lekin apne hamwatan bhāiyoṅpar saḳht hukmrānī na karnā.

47agar tere mulk meṅ rahne wālākoī pardesī yā ġhairshahrī amīr ho jāejabki terā koī hamwatan bhāī ġharībho kar apne āp ko us pardesī yāġhairshahrī yā us ke ḳhāndān ke kisīfard ko bech ḍāle 48to bik jāne kebād use āzādī ḳharīdne kā haq hāsilhai. koī bhāī, 49chachā, tāyā, chachāyā tāyā kā beṭā yā koī aur qarībīrishtedār use wāpas ḳharīd saktā hai.wuh ḳhud bhī apnī āzādī ḳharīd saktāhai agar us ke pās paise kāfī hoṅ. 50issūrat meṅ wuh apne mālik se mil karwuh sāl gine jo us ke ḳharīdne se lekar agle bahālī ke sāl tak bāqī haiṅ. uskī āzādī ke paise us qīmat par mabnīhoṅ jo mazdūr ko itne sāloṅ ke liedie jāte haiṅ. 51-52jitne sāl bāqī rahgae haiṅ un ke mutābiq us kī bik jānekī qīmat meṅ se paise wāpas kar diejāeṅ. 53us ke sāth sāl-ba-sāl mazdūrkā sā sulūk kiyā jāe. us kā mālik uspar saḳht hukmrānī na kare. 54agarwuh is tarah ke kisī tarīqe se āzād naho jāe to use aur us ke bachchoṅ kohar hālat meṅ agle bahālī ke sāl meṅāzād kar denā hai, 55kyūṅki isrāīlīmere hī ḳhādim haiṅ. wuh merehī ḳhādim haiṅ jinheṅ maiṅ misr se

Page 212: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

212 ahbār 26:16

nikāl lāyā. maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ.

farmāṅbardārī kā ajr

26 apne lie but na banānā.na apne lie dewatā ke

mujassame yā patthar ke maḳhsūskie hue satūn khaṛe karnā, na sijdākarne ke lie apne mulk meṅ aisepatthar rakhnā jin meṅ dewatā kītaswīr kandā kī gaī ho. maiṅ rabtumhārā ḳhudā hūṅ. 2sabat kā dinmanānā aur mere maqdis kī tāzīmkarnā. maiṅ rab hūṅ.

3agar tum merī hidāyāt par chaloaur mere ahkām mān kar un paramal karo 4to maiṅ waqt par bārishbhejūṅgā, zamīn apnī paidāwār degīaur daraḳht apne apne phal lāeṅge.5kasrat ke bāis anāj kī fasal kī kaṭāīangūr toṛte waqt tak jārī rahegī aurangūr kī fasal us waqt tak toṛī jāegījab tak bīj bone kā mausam āegā. itnīḳhurāk milegī ki tum kabhī bhūkenahīṅ hoge. aur tum apne mulk meṅmahfūz rahoge.

6maiṅ mulk ko amn-o-amānbaḳhshūṅgā. tum ārām se leṭ jāoge,kyūṅki kisī ḳhatre se ḍarne kī zarūratnahīṅ hogī. maiṅ wahshī jānwarmulk se dūr kar dūṅgā, aur wuhtalwār kī qatl-o-ġhārat se bachārahegā. 7tum apne dushmanoṅ parġhālib ā kar un kā tāqqub karoge,aur wuh tumhārī talwār se māre

jāeṅge. 8tumhāre pāṅch ādmī saudushmanoṅ kā pīchhā kareṅge, aurtumhāre sau ādmī un ke das hazārādmiyoṅ ko bhagā deṅge. tumhāredushman tumhārī talwār se mārejāeṅge.

9merī nazar-e-karm tum parhogī. maiṅ tumhārī aulād kī tādādbaṛhāūṅgā aur tumhāre sāth apnāahd qāim rakhūṅgā. 10ek sāl itnī fasalhogī ki jab aglī fasal kī kaṭāī hogīto nae anāj ke lie jagah banāne kīḳhātir purāne anāj ko phaiṅk denāpaṛegā. 11maiṅ tumhāre darmiyānapnā maskan qāim karūṅga aur tumse ghin nahīṅ khāūṅgā. 12maiṅ tummeṅ phirūṅga, aur tum merī qaumhoge.

13maiṅ rab tumhārā ḳhudā hūṅjo tumheṅ misr se nikāl lāyā tākitumhārī ġhulāmī kī hālat ḳhatm hojāe. maiṅ ne tumhāre jūe ko toṛ ḍālā,aur ab tum āzād aur sīdhe ho kar chalsakte ho.

farmāṅbardār na hone kī sazā14lekin agar tum merī nahīṅ sunoge

aur in tamām ahkām par nahīṅchaloge, 15agar tum merī hidāyātko radd karke mere ahkām se ghinkhāoge aur un par amal na karkemerā ahd toṛoge 16to maiṅ jawāb meṅtum par achānak dahshat tārī kardūṅgā. jism ko ḳhatm karne wālībīmāriyoṅ aur buḳhār se tumhārī

Page 213: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 26:17 213

āṅkheṅ zāe ho jāeṅgī aur tumhārī jānchhin jāegī. jab tum bīj bo’oge tobefāidā, kyūṅki dushman us kī fasalkhā jāegā. 17maiṅ tumhāre ḳhilāf hojāūṅgā, is lie tum apne dushmanoṅke hāth se shikast khāoge. tum senafrat rakhne wāle tum par hukūmatkareṅge. us waqt bhī jab koī tumhārātāqqub nahīṅ karegā tum bhāg jāoge.

18agar tum is ke bād bhī merī nasuno to maiṅ tumhāre gunāhoṅ kesabab se tumheṅ sāt gunā zyādā sazādūṅgā. 19maiṅ tumhārā saḳht ġhurūrḳhāk meṅ milā dūṅgā. tumhāre ūparāsmān lohe jaisā aur tumhāre nīchezamīn pītal jaisī hogī. 20jitnī bhīmehnat karoge wuh befāidā hogī,kyūṅki tumhāre khetoṅ meṅ fasleṅnahīṅ pakeṅgī aur tumhāre daraḳhtphal nahīṅ lāeṅge.

21agar tum phir bhī merīmuḳhālafat karoge aur merī nahīṅsunoge to maiṅ in gunāhoṅ ke jawābmeṅ tumheṅ is se bhī sāt gunāzyādā sazā dūṅgā. 22maiṅ tumhāreḳhilāf janglī jānwar bhej dūṅgā jotumhāre bachchoṅ ko phāṛ khāeṅgeaur tumhāre maweshī barbād kardeṅge. āḳhir meṅ tumhārī tādāditnī kam ho jāegī ki tumhārī saṛakeṅwīrān ho jāeṅgī.

23agar tum phir bhī merī tarbiyatqabūl na karo balki mere muḳhālifraho 24to maiṅ ḳhud tumhāre ḳhilāfho jāūṅgā. in gunāhoṅ ke jawāb

meṅ maiṅ tumheṅ sāt gunā zyādāsazā dūṅgā. 25maiṅ tum par talwārchalā kar is kā badlā lūṅgā ki tumne mere ahd ko toṛā hai. jabtum apnī hifāzat ke lie shahroṅmeṅ bhāg kar jamā hoge to maiṅtumhāre darmiyān wabāī bīmāriyāṅphailāūṅgā aur tumheṅ dushmanoṅke hāth meṅ de dūṅgā. 26anāj kīitnī kamī hogī ki das aurateṅ tumhārīpūrī roṭī ek hī tanūr meṅ pakāsakeṅgī, aur wuh use baṛī ehtiyāt setol tol kar taqsīm kareṅgī. tum khākar bhī bhūke rahoge.

27agar tum phir bhī merī nahīṅsunoge balki mere muḳhālif rahoge28to merā ġhussā bhaṛkegā aur maiṅtumhāre ḳhilāf ho kar tumhāregunāhoṅ ke jawāb meṅ tumheṅsāt gunā zyādā sazā dūṅgā. 29tummusībat ke bāis apne beṭe-beṭiyoṅ kāgosht khāoge. 30maiṅ tumhārī ūṅchījaghoṅ kī qurbāngāheṅ aur tumhārībaḳhūr kī qurbāngāheṅ barbād kardūṅgā. maiṅ tumhārī lāshoṅ ke ḍhertumhāre bejān butoṅ par lagāūṅgāaur tum se ghin khāūṅgā. 31maiṅtumhāre shahroṅ ko khanḍarāt meṅbadal kar tumhāre mandiroṅ kobarbād karūṅga. tumhārī qurbāniyoṅkī ḳhushbū mujhe pasand nahīṅ āegī.32maiṅ tumhāre mulk kā satyānāsyūṅ karūṅga ki jo dushman us meṅābād ho jāeṅge un ke roṅgṭe khaṛeho jāeṅge. 33maiṅ tumheṅ muḳhtalif

Page 214: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

214 ahbār 26:46

mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā,lekin wahāṅ bhī apnī talwār ko hāthmeṅ lie tumhārā pīchhā karūṅga.tumhārī zamīn wīrān hogī aurtumhāre shahr khanḍarāt ban jāeṅge.34us waqt jab tum apne dushmanoṅke mulk meṅ rahoge tumhārī zamīnwīrān hālat meṅ ārām ke wuh sālmanā sakegī jin se wuh mahrūm rahīhai. 35un tamām dinoṅ meṅ jab wuhbarbād rahegī use wuh ārām milegājo use na milā jab tum mulk meṅrahte the.

36tum meṅ se jo bach kar apnedushmanoṅ ke mamālik meṅ raheṅgeun ke diloṅ par maiṅ dahshat tārīkarūṅga. wuh hawā ke jhoṅkoṅ segirne wāle patte kī āwāz se chaunkkar bhāg jāeṅge. wuh farār hoṅgegoyā koī hāth meṅ talwār lie un kātāqqub kar rahā ho. aur wuh girkar mar jāeṅge hālāṅki koī un kāpīchhā nahīṅ kar rahā hogā. 37wuhek dūsre se ṭakrā kar laṛkhaṛāeṅgegoyā koī talwār le kar un ke pīchhechal rahā ho hālāṅki koī nahīṅ hai.chunāṅche tum apne dushmanoṅ kāsāmnā nahīṅ kar sakoge. 38tum dīgarqaumoṅ meṅ muntashir ho kar halākho jāoge, aur tumhāre dushmanoṅ kīzamīn tumheṅ haṛap kar legī.

39tum meṅ se bāqī log apne aurapne bāpdādā ke qusūr ke bāis apnedushmanoṅ ke mamālik meṅ gal saṛjāeṅge. 40lekin ek waqt āegā ki wuh

apne aur apne bāpdādā kā qusūr mānleṅge. wuh mere sāth apnī bewafāīaur wuh muḳhālafat taslīm kareṅge41jis ke sabab se maiṅ un ke ḳhilāfhuā aur unheṅ un ke dushmanoṅ kemulk meṅ dhakel diyā thā. pahleun kā ḳhatnā sirf zāhirī taur par huāthā, lekin ab un kā dil ājiz ho jāegāaur wuh apne qusūr kī qīmat adākareṅge. 42phir maiṅ ibrāhīm kesāth apnā ahd, is’hāq ke sāth apnāahd aur yāqūb ke sāth apnā ahdyād karūṅga. maiṅ mulk-e-kan’ānbhī yād karūṅga. 43lekin pahle wuhzamīn ko chhoṛeṅge tāki wuh un kīġhairmaujūdagī meṅ wīrān ho karārām ke sāl manāe. yūṅ isrāīlī apnequsūr ke natīje bhugteṅge, is sababse ki unhoṅ ne mere ahkām radd kieaur merī hidāyāt se ghin khāī. 44is kebāwujūd bhī maiṅ unheṅ dushmanoṅke mulk meṅ chhoṛ kar radd nahīṅkarūṅga, na yahāṅ tak un se ghinkhāūṅgā ki wuh bilkul tabāh ho jāeṅ.kyūṅki maiṅ un ke sāth apnā ahdnahīṅ toṛne kā. maiṅ rab un kāḳhudā hūṅ. 45maiṅ un kī ḳhātir un kebāpdādā ke sāth bandhā huā ahd yādkarūṅga, un logoṅ ke sāth ahd jinheṅmaiṅ dūsrī qaumoṅ ke deḳhte deḳhtemisr se nikāl lāyā tāki un kā ḳhudāhūṅ. maiṅ rab hūṅ.”

46rab ne mūsā ko isrāīliyoṅ ke lieyih tamām hidāyāt aur ahkām sīnāpahāṛ par die.

Page 215: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

ahbār 27:1 215

maḳhsūs kī huī chīzoṅ kī wāpasī

27 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batānā ki agar

kisī ne mannat mān kar kisī ko rab kelie maḳhsūs kiyā ho to wuh use zailkī raqm de kar āzād kar saktā hai(mustāmal sikke maqdis ke sikkoṅke barābar hoṅ): 3us ādmī ke lie jiskī umr 20 aur 60 sāl ke darmiyānhai chāṅdī ke 50 sikke, 4isī umr kīaurat ke lie chāṅdī ke 30 sikke, 5uslaṛke ke lie jis kī umr 5 aur 20 sāl kedarmiyān ho chāṅdī ke 20 sikke, isīumr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 10 sikke,6ek māh se le kar 5 sāl tak ke laṛke kelie chāṅdī ke 5 sikke, isī umr kī laṛkīke lie chāṅdī ke 3 sikke, 7sāṭh sāl sebaṛe ādmī ke lie chāṅdī ke 15 sikkeaur isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke10 sikke.

8agar mannat mānane wālāmuqarrarā raqm adā na kar saketo wuh maḳhsūs kie hue shaḳhsko imām ke pās le āe. phir imāmaisī raqm muqarrar kare jo mannatmānane wālā adā kar sake.

9agar kisī ne mannat mān karaisā jānwar maḳhsūs kiyā jo rab kīqurbāniyoṅ ke lie istemāl ho saktā haito aisā jānwar maḳhsūs-o-muqaddasho jātā hai. 10wuh use badal nahīṅsaktā. na wuh achchhe jānwar kījagah nāqis, na nāqis jānwar kī jagahachchhā jānwar de. agar wuh ekjānwar dūsre kī jagah de to donoṅmaḳhsūs-o-muqaddas ho jāte haiṅ.

11agar kisī ne mannat mān kar koīnāpāk jānwar maḳhsūs kiyā jo rab kīqurbāniyoṅ ke lie istemāl nahīṅ hosaktā to wuh us ko imām ke pās le āe.12imām us kī raqm us kī achchhī aurburī siftoṅ kā lihāz karke muqarrarkare. is muqarrarā qīmat meṅ kamībeshī nahīṅ ho saktī. 13agar mannatmānane wālā use wāpas ḳharīdnāchāhe to wuh muqarrarā qīmat jamā20 fīsad adā kare.

14agar koī apnā ghar rab ke liemaḳhsūs-o-muqaddas kare to imāmus kī achchhī aur burī siftoṅ kālihāz karke us kī raqm muqarrarkare. is muqarrarā qīmat meṅ kamībeshī nahīṅ ho saktī. 15agar gharko maḳhsūs karne wālā use wāpasḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarāraqm jamā 20 fīsad adā kare.

16agar koī apnī maurūsī zamīnmeṅ se kuchh rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to us kī qīmat us bījkī miqdār ke mutābiq muqarrar kī jāejo us meṅ bonā hotā hai. jis khetmeṅ 135 kilogrām jau kā bīj boyā jāeus kī qīmat chāṅdī ke 50 sikke hogī.17shart yih hai ki wuh apnī zamīnbahālī ke sāl ke ain bād maḳhsūs kare.phir us kī yihī qīmat muqarrar kījāe. 18agar zamīn kā mālik use bahālīke sāl ke kuchh der bād maḳhsūskare to imām agle bahālī ke sāl takrahne wāle sāloṅ ke mutābiq zamīnkī qīmat muqarrar kare. jitne kamsāl bāqī haiṅ utnī kam us kī qīmat

Page 216: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

216 ahbār 27:34

hogī. 19agar maḳhsūs karne wālāapnī zamīn wāpas ḳharīdnā chāhe towuh muqarrarā qīmat jamā 20 fīsadadā kare. 20agar maḳhsūs karne wālāapnī zamīn ko rab se wāpas ḳharīdebaġhair use kisī aur ko beche touse wāpas ḳharīdne kā haq ḳhatmho jāegā. 21agle bahālī ke sāl yihzamīn maḳhsūs-o-muqaddas rahegīaur rab kī dāimī milkiyat ho jāegī.chunāṅche wuh imām kī milkiyathogī.

22agar koī apnā maurūsī khet nahīṅbalki apnā ḳharīdā huā khet rab ke liemaḳhsūs kare 23to imām agle bahālīke sāl tak rahne wāle sāloṅ kā lihāzkarke us kī qīmat muqarrar kare.khet kā mālik usī din us ke paise adākare. yih paise rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hoṅge. 24bahālī ke sāl meṅyih khet us shaḳhs ke pās wāpas āegājis ne use bechā thā.

25wāpas ḳharīdne ke lie mustāmalsikke maqdis ke sikkoṅ ke barābarhoṅ. us ke chāṅdī ke sikkoṅ kā wazn11 grām hai.

26lekin koī bhī kisī maweshī kāpahlauṭhā rab ke lie maḳhsūs nahīṅkar saktā. wuh to pahle se rab ke liemaḳhsūs hai. is meṅ koī farq nahīṅki wuh gāy, bail yā bheṛ ho. 27agarus ne koī nāpāk jānwar maḳhsūs kiyāho to wuh use muqarrarā qīmat jamā20 fīsad ke lie wāpas ḳharīd saktā hai.agar wuh use wāpas na ḳharīde to

wuh muqarrarā qīmat ke lie bechājāe.

28lekin agar kisī ne apnī milkiyatmeṅ se kuchh ġhairmashrūt taur parrab ke lie maḳhsūs kiyā hai to usebechā yā wāpas nahīṅ ḳharīdā jāsaktā, ḳhwāh wuh insān, jānwar yāzamīn ho. jo is tarah maḳhsūskiyā gayā ho wuh rab ke lie nihāyatmuqaddas hai. 29isī tarah jis shaḳhsko tabāhī ke lie maḳhsūs kiyā gayāhai us kā fidyā nahīṅ diyā jā saktā.lāzim hai ki use sazā-e-maut dī jāe.

30har fasal kā daswāṅ hissā rab kāhai, chāhe wuh anāj ho yā phal. wuhrab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.31agar koī apnī fasal kā daswāṅ hissāchhuṛānā chāhtā hai to wuh is ke lieus kī muqarrarā qīmat jamā 20 fīsadde. 32isī tarah gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ kā daswāṅ hissā bhī rabke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai, hardaswāṅ jānwar jo gallābān ke ḍanḍeke nīche se guzaregā. 33yih jānwarchunane se pahle un kā muāinā nakiyā jāe ki kaun se jānwar achchheyā kamzor haiṅ. yih bhī na karnā kidasweṅ hisse ke kisī jānwar ke badlekoī aur jānwar diyā jāe. agar phir bhīuse badlā jāe to donoṅ jānwar rab kelie maḳhsūs-o-muqaddas hoṅge. aurunheṅ wāpas ḳharīdā nahīṅ jā saktā.”

34yih wuh ahkām haiṅ jo rab nesīnā pahāṛ par mūsā ko isrāīliyoṅ kelie die.

Page 217: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī

isrāīliyoṅ kī pahlī mardumshumārī

1 isrāīliyoṅ ko misr se nikle hueek sāl se zyādā arsā guzar gayā

thā. ab tak wuh dasht-e-sīnā meṅ the.dūsre sāl ke dūsre mahīne ke pahledin rab mulāqāt ke ḳhaime meṅ mūsāse hamkalām huā. us ne kahā,

2“tū aur hārūn tamām isrāīliyoṅkī mardumshumārī kunboṅ aur ābāīgharānoṅ ke mutābiq karnā. untamām mardoṅ kī fahrist banānā 3jokam az kam bīs sāl ke aur jang laṛneke qābil hoṅ. 4is meṅ har qabīle ke ekḳhāndān kā sarparast tumhārī madadkare. 5yih un ke nām haiṅ: rūbin keqabīle se ilīsūr bin shadiyūr,

6shamāūn ke qabīle se salūmī’el binsūrīshaddī,

7yahūdāh ke qabīle se nahson binammīnadāb,

8ishkār ke qabīle se natanī’el binzuġhar,

9zabūlūn ke qabīle se iliyāb binhelon,

10yūsuf ke beṭe ifrāīm ke qabīlese ilīsamā bin ammīhūd, yūsuf kebeṭe manassī ke qabīle se jamlī’el binfadāhsūr,

11binyamīn ke qabīle se abidān binjidāūnī,

12dān ke qabīle se aḳhīazar binammīshaddī,

13āshar ke qabīle se faj’ī’el binakrān,

14jad ke qabīle se iliyāsaf bin daūel,15naftālī ke qabīle se aḳhīrā bin

enān.”16yihī mard jamā’at se is kām ke

lie bulāe gae. wuh apne qabīloṅ kerāhnumā aur kunboṅ ke sarparastthe. 17in kī madad se mūsā aur hārūnne 18usī din pūrī jamā’at ko ikaṭṭhākiyā. har isrāīlī mard jo kam az kam20 sāl kā thā rajisṭar meṅ darj kiyāgayā. rajisṭar kī tartīb un ke kunboṅaur ābāī gharānoṅ ke mutābiq thī.

19sab kuchh waisā hī kiyā gayājaisā rab ne hukm diyā thā. mūsā

Page 218: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

218 gintī 2:9

ne sīnā ke registān meṅ logoṅ kīmardumshumārī kī. natījā yih niklā:

20-21rūbin ke qabīle ke 46,500 mard,22-23shamāūn ke qabīle ke 59,300

mard,24-25jad ke qabīle ke 45,650 mard,26-27yahūdāh ke qabīle ke 74,600

mard,28-29ishkār ke qabīle ke 54,400 mard,30-31zabūlūn ke qabīle ke 57,400

mard,32-33yūsuf ke beṭe ifrāīm ke qabīle

ke 40,500 mard,34-35yūsuf ke beṭe manassī ke qabīle

ke 32,200 mard,36-37binyamīn ke qabīle ke 35,400

mard,38-39dān ke qabīle ke 62,700 mard,40-41āshar ke qabīle ke 41,500 mard,42-43naftālī ke qabīle ke 53,400 mard.44mūsā, hārūn aur qabīloṅ ke bārah

rāhnumāoṅ ne in tamām ādmiyoṅ koginā. 45-46un kī pūrī tādād 6,03,550 thī.

47lekin lāwiyoṅ kī mardumshumārīna huī, 48kyūṅki rab ne mūsā se kahāthā, 49“isrāīliyoṅ kī mardumshumārīmeṅ lāwiyoṅ ko shāmil na karnā. 50iske bajāe unheṅ sharīat kī sukūnatgāhaur us kā sārā sāmān saṅbhālne kīzimmādārī denā. wuh safar kartewaqt yih ḳhaimā aur us kā sārāsāmān uṭhā kar le jāeṅ, us kī ḳhidmatke lie hāzir raheṅ aur rukte waqtuse apne ḳhaimoṅ se ghere rakheṅ.51rawānā hote waqt wuhī ḳhaime

ko sameṭeṅ aur rukte waqt wuhīuse lagāeṅ. agar koī aur us keqarīb āe to use sazā-e-maut dī jāegī.52bāqī isrāīlī ḳhaimāgāh meṅ apneapne daste ke mutābiq aur apne apnealam ke irdgird apne ḳhaime lagāeṅ.53lekin lāwī apne ḳhaimoṅ se sharīatkī sukūnatgāh ko gher leṅ tāki merāġhazab kisī ġhalat shaḳhs ke nazdīkāne se isrāīliyoṅ kī jamā’at par nāzilna ho jāe. yūṅ lāwiyoṅ ko sharīat kīsukūnatgāh ko saṅbhālnā hai.”

54isrāīliyoṅ ne waisā hī kiyā jaisārab ne mūsā ko hukm diyā thā.

ḳhaimāgāh meṅ qabīloṅ kī tartīb

2 rab ne mūsā aur hārūn se kahā2ki isrāīlī apne ḳhaime kuchh

fāsile par mulāqāt ke ḳhaime keirdgird lagāeṅ. har ek apne apne alamaur apne apne ābāī gharāne ke nishānke sāth ḳhaimāzan ho.

3in hidāyāt ke mutābiq maqdis kemashriq meṅ yahūdāh kā alam thājis ke irdgird tīn daste ḳhaimāzanthe. pahle, yahūdāh kā qabīlā jiskā kamānḍar nahson bin ammīnadābthā, 4aur jis ke lashkar ke 74,600faujī the. 5dūsre, ishkār kā qabīlājis kā kamānḍar natanī’el bin zuġharthā, 6aur jis ke lashkar ke 54,400faujī the. 7tīsre, zabūlūn kā qabīlājis kā kamānḍar iliyāb bin helon thā8aur jis ke lashkar ke 57,400 faujīthe. 9tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul

Page 219: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 2:10 219

tādād 1,86,400 thī. rawānā hote waqtyih āge chalte the.

10maqdis ke junūb meṅ rūbin kāalam thā jis ke irdgird tīn dasteḳhaimāzan the. pahle, rūbin kā qabīlājis kā kamānḍar ilīsūr bin shadiyūrthā, 11aur jis ke 46,500 faujī the.12dūsre, shamāūn kā qabīlā jis kākamānḍar salūmī’el bin sūrīshaddīthā, 13aur jis ke 59,300 faujī the.14tīsre, jad kā qabīlā jis kā kamānḍariliyāsaf bin daūel thā, 15aur jis ke45,650 faujī the. 16tīnoṅ qabīloṅke faujiyoṅ kī kul tādād 1,51,450thī. rawānā hote waqt yih mashriqīqabīloṅ ke pīchhe chalte the.

17in junūbī qabīloṅ ke bād lāwīmulāqāt kā ḳhaimā uṭhā kar qabīloṅke ain bīch meṅ chalte the. qabīleus tartīb se rawānā hote the jis tartībse wuh apne ḳhaime lagāte the. harqabīlā apne alam ke pīchhe chaltāthā.

18maqdis ke maġhrib meṅ ifrāīmkā alam thā jis ke irdgird tīn dasteḳhaimāzan the. pahle, ifrāīm kāqabīlā jis kā kamānḍar ilīsamā binammīhūd thā, 19aur jis ke 40,500 faujīthe. 20dūsre, manassī kā qabīlā jis kākamānḍar jamlī’el bin fadāhsūr thā,21aur jis ke 32,200 faujī the. 22tīsre,binyamīn kā qabīlā jis kā kamānḍarabidān bin jidāūnī thā, 23aur jis ke35,400 faujī the. 24tīnoṅ qabīloṅ kefaujiyoṅ kī kul tādād 1,08,100 thī.

rawānā hote waqt yih junūbī qabīloṅke pīchhe chalte the.

25maqdis ke shimāl meṅ dān kāalam thā jis ke irdgird tīn dasteḳhaimāzan the. pahle, dān kāqabīlā jis kā kamānḍar aḳhīazar binammīshaddī thā, 26aur jis ke 62,700faujī the. 27dūsre, āshar kā qabīlā jiskā kamānḍar faj’ī’el bin akrān thā,28aur jis ke 41,500 faujī the. 29tīsre,naftālī kā qabīlā jis kā kamānḍaraḳhīrā bin enān thā, 30aur jis ke53,400 faujī the. 31tīnoṅ qabīloṅ kīkul tādād 1,57,600 thī. wuh āḳhir meṅapnā alam uṭhā kar rawānā hote the.

32pūrī ḳhaimāgāh ke faujiyoṅ kī kultādād 6,03,550 thī. 33sirf lāwī is tādādmeṅ shāmil nahīṅ the, kyūṅki rab nemūsā ko hukm diyā thā ki un kī bhartīna kī jāe.

34yūṅ isrāīliyoṅ ne sab kuchh unhidāyāt ke mutābiq kiyā jo rab nemūsā ko dī thīṅ. un ke mutābiq hīwuh apne jhanḍoṅ ke irdgird apneḳhaime lagāte the aur un ke mutābiqhī apne kunboṅ aur ābāī gharānoṅ kesāth rawānā hote the.

hārūn ke beṭe

3 yih hārūn aur mūsā ke ḳhāndānkā bayān hai. us waqt kā zikr

hai jab rab ne sīnā pahāṛ par mūsā sebāt kī. 2hārūn ke chār beṭe the. baṛābeṭā nadab thā, phir abīhū, ilīazaraur itamar. 3yih imām the jin ko

Page 220: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

220 gintī 3:29

masah karke is ḳhidmat kā iḳhtiyārdiyā gayā thā. 4lekin nadab aur abīhūus waqt mar gae jab unhoṅ ne dasht-e-sīnā meṅ rab ke huzūr nājāiz āgpesh kī. chūṅki wuh beaulād the is liehārūn ke jīte jī sirf ilīazar aur itamarimām kī ḳhidmat saranjām dete the.

lāwiyoṅ kī maqdis meṅ zimmādārī5rab ne mūsā se kahā, 6“lāwī ke

qabīle ko lā kar hārūn kī ḳhidmatkarne kī zimmādārī de. 7unheṅ uske lie aur pūrī jamā’at ke lie mulāqātke ḳhaime kī ḳhidmāt saṅbhālnā hai.8wuh mulāqāt ke ḳhaime kā sāmānsaṅbhāleṅ aur tamām isrāīliyoṅ ke liemaqdis ke farāiz adā kareṅ. 9tamāmisrāīliyoṅ meṅ se sirf lāwiyoṅ kohārūn aur us ke beṭoṅ kī ḳhidmat kelie muqarrar kar. 10lekin sirf hārūnaur us ke beṭoṅ ko imām kī haisiyathāsil hai. jo bhī bāqiyoṅ meṅ se unkī zimmādāriyāṅ uṭhāne kī koshishkaregā use sazā-e-maut dī jāegī.”

11rab ne mūsā se yih bhī kahā,12“maiṅ ne isrāīliyoṅ meṅ se lāwiyoṅko chun liyā hai. wuh tamām isrāīlīpahlauṭhoṅ ke iwaz mere lie maḳhsūshaiṅ, 13kyūṅki tamām pahlauṭhemere hī haiṅ. jis din maiṅ ne misrmeṅ tamām pahlauṭhoṅ ko mār diyāus din maiṅ ne isrāīl ke pahlauṭhoṅko apne lie maḳhsūs kiyā, ḳhwāhwuh insān ke the yā haiwān ke. wuhmere hī haiṅ. maiṅ rab hūṅ.”

lāwiyoṅ kī mardumshumārī14rab ne sīnā ke registān meṅ mūsā

se kahā, 15“lāwiyoṅ ko gin kar unke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ kemutābiq rajisṭar meṅ darj karnā. harbeṭe ko ginanā hai jo ek māh yā is sezāid kā hai.” 16mūsā ne aisā hī kiyā.

17lāwī ke tīn beṭe jairson, qihāt aurmirārī the. 18jairson ke do kunbeus ke beṭoṅ libnī aur simaī ke nāmrakhte the. 19qihāt ke chār kunbe uske beṭoṅ amrām, izhār, habrūn auruzzī’el ke nām rakhte the. 20mirārīke do kunbe us ke beṭoṅ mahlī aurmūshī ke nām rakhte the. ġharz lāwīke qabīle ke kunbe us ke potoṅ kenām rakhte the.

21jairson ke do kunboṅ banām libnīaur simaī 22ke 7,500 mard the jo ekmāh yā is se zāid ke the. 23unheṅapne ḳhaime maġhrib meṅ maqdiske pīchhe lagāne the. 24un kārāhnumā iliyāsaf bin lāel thā, 25aurwuh ḳhaime ko saṅbhālte the yānīus kī poshisheṅ, ḳhaime ke darwāzekā pardā, 26ḳhaime aur qurbāngāh kīchārdīwārī ke parde, chārdīwārī kedarwāze kā pardā aur tamām rasse.in chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat unkī zimmādārī thī.

27qihāt ke chār kunboṅ banāmamrām, izhār, habrūn aur uzzī’el 28ke8,600 mard the jo ek māh yā is sezāid ke the aur jin ko maqdis kīḳhidmat karnī thī. 29unheṅ apne

Page 221: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 3:30 221

ḍere maqdis ke junūb meṅ ḍālne the.30un kā rāhnumā ilīsafan bin uzzī’elthā, 31aur wuh yih chīzeṅ saṅbhāltethe: ahd kā sandūq, mez, shamādān,qurbāngāheṅ, wuh bartan aur sāz-o-sāmān jo maqdis meṅ istemāl hotāthā aur muqaddastarīn kamre kāpardā. in chīzoṅ se mutālliq sārīḳhidmat un kī zimmādārī thī. 32hārūnimām kā beṭā ilīazar lāwiyoṅ ketamām rāhnumāoṅ par muqarrar thā.wuh un tamām logoṅ kā inchārj thājo maqdis kī dekh-bhāl karte the.

33mirārī ke do kunboṅ banāmmahlī aur mūshī 34ke 6,200 mard thejo ek māh yā is se zāid ke the. 35unkā rāhnumā sūrī’el bin abīḳhail thā.unheṅ apne ḍere maqdis ke shimālmeṅ ḍālne the, 36aur wuh yih chīzeṅsaṅbhālte the: ḳhaime ke taḳhte, uske shahtīr, khambe, pāe aur is tarahkā sārā sāmān. in chīzoṅ se mutālliqsārī ḳhidmat un kī zimmādārī thī.37wuh chārdīwārī ke khambe, pāe,meḳheṅ aur rasse bhī saṅbhālte the.

38mūsā, hārūn aur un ke beṭoṅ koapne ḍere mashriq meṅ maqdis kesāmne ḍālne the. un kī zimmādārīmaqdis meṅ banī isrāīl ke lie ḳhidmatkarnā thī. un ke ilāwā jo bhī maqdismeṅ dāḳhil hone kī koshish kartā usesazā-e-maut denī thī.

39un lāwī mardoṅ kī kul tādād joek māh yā is se zāid ke the 22,000thī. rab ke kahne par mūsā aur hārūn

ne unheṅ kunboṅ ke mutābiq gin karrajisṭar meṅ darj kiyā.

lāwī ke qabīle ke mard pahlauṭhoṅ

ke iwazī haiṅ40rab ne mūsā se kahā, “tamām

isrāīlī pahlauṭhoṅ ko ginanā jo ekmāh yā is se zāid ke haiṅ aur unke nām rajisṭar meṅ darj karnā.41un tamām pahlauṭhoṅ kī jagahlāwiyoṅ ko mere lie maḳhsūs karnā.isī tarah isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅke pahlauṭhoṅ kī jagah lāwiyoṅ kemaweshī mere lie maḳhsūs karnā.maiṅ rab hūṅ.” 42mūsā ne aisā hī kiyājaisā rab ne use hukm diyā. us netamām isrāīlī pahlauṭhe 43jo ek māhyā is se zāid ke the gin lie. un kī kultādād 22,273 thī.

44rab ne mūsā se kahā, 45“mujhetamām isrāīlī pahlauṭhoṅ kī jagahlāwiyoṅ ko pesh karnā. isī tarahmujhe isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅ kījagah lāwiyoṅ ke maweshī peshkarnā. lāwī mere hī haiṅ. maiṅrab hūṅ. 46lāwiyoṅ kī nisbat bāqīisrāīliyoṅ ke 273 pahlauṭhe zyādāhaiṅ. un meṅ se 47har ek ke iwazchāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdiske wazn ke mutābiq hoṅ (fī sikkātaqrīban 11 grām). 48yih paise hārūnaur us ke beṭoṅ ko denā.”

49mūsā ne aisā hī kiyā. 50yūṅ usne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16kilogrām) jamā karke 51hārūn aur us

Page 222: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

222 gintī 4:15

ke beṭoṅ ko die, jis tarah rab ne usehukm diyā thā.

qihātiyoṅ kī zimmādāriyāṅ

4 rab ne mūsā aur hārūn sekahā, 2“lāwī ke qabīle meṅ

se qihātiyoṅ kī mardumshumārī unke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ kemutābiq karnā. 3un tamām mardoṅko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 sele kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt keḳhaime meṅ ḳhidmat karne ke lie āsakte haiṅ. 4qihātiyoṅ kī ḳhidmatmuqaddastarīn kamre kī dekh-bhālhai.

5jab ḳhaime ko safar ke lie sameṭnāhai to hārūn aur us ke beṭe dāḳhil hokar muqaddastarīn kamre kā pardāutāreṅ aur use sharīat ke sandūq parḍāl deṅ. 6is par wuh taḳhas kī khāloṅkā ġhilāf aur āḳhir meṅ pūrī tarahnīle rang kā kapṛā bichhāeṅ. is ke bādwuh sandūq ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅlagāeṅ.

7wuh us mez par bhī nīle rang kākapṛā bichhāeṅ jis par rab ko roṭīpesh kī jātī hai. us par thāl, pyāle,mai kī nazareṅ pesh karne ke bartanaur martabān rakhe jāeṅ. jo roṭīhameshā mez par hotī hai wuh bhīus par rahe. 8hārūn aur us ke beṭein tamām chīzoṅ par qirmizī rangkā kapṛā bichhā kar āḳhir meṅ unke ūpar taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf

ḍāleṅ. is ke bād wuh mez ko uṭhānekī lakaṛiyāṅ lagāeṅ.

9wuh shamādān aur us ke sāmānpar yānī us ke charaġh, battī katarnekī qainchiyoṅ, jalte koele ke chhoṭebartanoṅ aur tel ke bartanoṅ par nīlerang kā kapṛā rakheṅ. 10yih sabkuchh wuh taḳhas kī khāloṅ ke ġhilāfmeṅ lapeṭeṅ aur use uṭhā kar le jāneke lie ek chaukhaṭe par rakheṅ.

11wuh baḳhūr jalāne kī sone kīqurbāngāh par bhī nīle rang kā kapṛābichhā kar us par taḳhas kī khāloṅ kāġhilāf ḍāleṅ aur phir use uṭhāne kīlakaṛiyāṅ lagāeṅ. 12wuh sārā sāmānjo muqaddas kamre meṅ istemāl hotāhai le kar nīle rang ke kapṛe meṅlapeṭeṅ, us par taḳhas kī khāloṅ kāġhilāf ḍāleṅ aur use uṭhā kar le jāneke lie ek chaukhaṭe par rakheṅ.

13phir wuh jānwaroṅ ko jalāne kīqurbāngāh ko rākh se sāf karke us pararġhawānī rang kā kapṛā bichhāeṅ.14us par wuh qurbāngāh kī ḳhidmatke lie sārā zarūrī sāmān rakheṅ yānīchhiṛkāo ke kaṭore, jalte hue koeleke bartan, belche aur kāṅṭe. issāmān par wuh taḳhas kī khāloṅ kāġhilāf ḍāl kar qurbāngāh ko uṭhāne kīlakaṛiyāṅ lagāeṅ.

15safar ke lie rawānā hote waqt yihsab kuchh uṭhā kar le jānā qihātiyoṅkī zimmādārī hai. lekin lāzim hai kipahle hārūn aur us ke beṭe yih tamāmmuqaddas chīzeṅ ḍhāṅpeṅ. qihātī in

Page 223: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 4:16 223

meṅ se koī bhī chīz na chhueṅ warnāmar jāeṅge.

16hārūn imām kā beṭā ilīazar pūremuqaddas ḳhaime aur us ke sāmānkā inchārj ho. is meṅ charāġhoṅ kātel, baḳhūr, ġhallā kī rozānā nazar aurmasah kā tel bhī shāmil hai.”

17rab ne mūsā aur hārūn se kahā,18“ḳhabardār raho ki qihāt ke kunbelāwī ke qabīle meṅ se miṭne na pāeṅ.19chunāṅche jab wuh muqaddastarīnchīzoṅ ke pās āeṅ to hārūn aur us kebeṭe har ek ko us sāmān ke pās le jāeṅjo use uṭhā kar le jānā hai tāki wuhna mareṅ balki jīte raheṅ. 20qihātīek lamhe ke lie bhī muqaddas chīzeṅdeḳhne ke lie andar na jāeṅ, warnāwuh mar jāeṅge.”

jairsoniyoṅ kī zimmādāriyāṅ21phir rab ne mūsā se

kahā, 22“jairson kī aulād kīmardumshumārī bhī un ke ābāīgharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiqkarnā. 23un tamām mardoṅ korajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se lekar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt keḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā saktehaiṅ. 24wuh yih chīzeṅ uṭhā kar lejāne ke zimmādār haiṅ: 25mulāqāt kāḳhaimā, us kī chhat, chhat par rakhīhuī taḳhas kī khāl kī poshish, ḳhaimeke darwāze kā pardā, 26ḳhaime aurqurbāngāh kī chārdīwārī ke parde,chārdīwārī ke darwāze kā pardā,

us ke rasse aur use lagāne kā bāqīsāmān. wuh un tamām kāmoṅke zimmādār haiṅ jo in chīzoṅ semunsalik haiṅ. 27jairsoniyoṅ kī pūrīḳhidmat hārūn aur us ke beṭoṅ kīhidāyāt ke mutābiq ho. ḳhabardārraho ki wuh sab kuchh ain hidāyātke mutābiq uṭhā kar le jāeṅ. 28yih sabmulāqāt ke ḳhaime meṅ jairsoniyoṅkī zimmādāriyāṅ haiṅ. is kām meṅhārūn imām kā beṭā itamar un parmuqarrar hai.”

mirāriyoṅ kī zimmādāriyāṅ29rab ne kahā, “mirārī kī aulād

kī mardumshumārī bhī un ke ābāīgharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiqkarnā. 30un tamām mardoṅ korajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se lekar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt keḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā saktehaiṅ. 31wuh mulāqāt ke ḳhaime kī yihchīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmādārhaiṅ: dīwār ke taḳhte, shahtīr,khambe aur pāe, 32phir ḳhaime kīchārdīwārī ke khambe, pāe, meḳheṅ,rasse aur yih chīzeṅ lagāne kā sāmān.har ek ko tafsīl se batānā ki wuh kyākyā uṭhā kar le jāe. 33yih sab kuchhmirāriyoṅ kī mulāqāt ke ḳhaime meṅzimmādāriyoṅ meṅ shāmil hai. iskām meṅ hārūn imām kā beṭā itamarun par muqarrar ho.”

Page 224: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

224 gintī 5:8

lāwiyoṅ kī mardumshumārī34mūsā, hārūn aur jamā’at

ke rāhnumāoṅ ne qihātiyoṅ kīmardumshumārī un ke kunboṅaur ābāī gharānoṅ ke mutābiq kī.35-37unhoṅ ne un tamām mardoṅko rajisṭar meṅ darj kiyā jo 30 sele kar 50 sāl ke the aur jo mulāqātke ḳhaime meṅ ḳhidmat kar saktethe. un kī kul tādād 2,750 thī. mūsāaur hārūn ne sab kuchh waisā hīkiyā jaisā rab ne mūsā kī mārifatfarmāyā thā. 38-41phir jairsoniyoṅkī mardumshumārī un ke kunboṅaur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī.ḳhidmat ke lāiq mardoṅ kī kul tādād2,630 thī. mūsā aur hārūn ne sabkuchh waisā hī kiyā jaisā rab nemūsā ke zarī’e farmāyā thā. 42-45phirmirāriyoṅ kī mardumshumārī unke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ kemutābiq huī. ḳhidmat ke lāiq mardoṅkī kul tādād 3,200 thī. mūsā aurhārūn ne sab kuchh waisā hī kiyājaisā rab ne mūsā ke zarī’e farmāyāthā. 46-48lāwiyoṅ ke un mardoṅ kīkul tādād 8,580 thī jinheṅ mulāqāt keḳhaime meṅ ḳhidmat karnā aur safarkarte waqt use uṭhā kar le jānā thā.

49mūsā ne rab ke hukm ke mutābiqhar ek ko us kī apnī apnī zimmādārīsauṅpī aur use batāyā ki use kyā kyāuṭhā kar le jānā hai. yūṅ un kīmardumshumārī rab ke us hukm ke

ain mutābiq kī gaī jo us ne mūsā kīmārifat diyā thā.

nāpāk log ḳhaimāgāh meṅ

nahīṅ rah sakte

5 rab ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅko hukm de ki har us shaḳhs

ko ḳhaimāgāh se bāhar kar do jisko wabāī jildī bīmārī hai, jis kezaḳhmoṅ se māe nikaltā rahtā haiyā jo kisī lāsh ko chhūne se nāpākhai. 3ḳhwāh mard ho yā aurat, sabko ḳhaimāgāh ke bāhar bhej denātāki wuh ḳhaimāgāh ko nāpāk nakareṅ jahāṅ maiṅ tumhāre darmiyānsukūnat kartā hūṅ.” 4isrāīliyoṅ newaisā hī kiyā jaisā rab ne mūsā kokahā thā. unhoṅ ne rab ke hukm keain mutābiq is tarah ke tamām logoṅko ḳhaimāgāh se bāhar kar diyā.

ġhalat kām kā muāwazā5rab ne mūsā se kahā, 6“isrāīliyoṅ

ko hidāyat denā ki jo bhī kisī se ġhalatsulūk kare wuh mere sāth bewafāīkartā hai aur qusūrwār hai, ḳhwāhmard ho yā aurat. 7lāzim hai ki wuhapnā gunāh taslīm kare aur us kāpūrā muāwazā de balki muta’assirāshaḳhs kā nuqsān pūrā karne keilāwā 20 fīsad zyādā de. 8lekin agarwuh shaḳhs jis kā qusūr kiyā gayāthā mar chukā ho aur us kā koī wārisna ho jo yih muāwazā wasūl kar saketo phir use rab ko denā hai. imām

Page 225: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 5:9-10 225

ko yih muāwazā us menḍhe ke ilāwāmilegā jo qusūrwār apne kaffārā kelie degā. 9-10nīz imām ko isrāīliyoṅ kīqurbāniyoṅ meṅ se wuh kuchh milnāhai jo uṭhāne wālī qurbānī ke taurpar use diyā jātā hai. yih hissā sirfimāmoṅ ko hī milnā hai.”

zinā ke shak par allāh kā faislā11rab ne mūsā se kahā, 12“isrāīliyoṅ

ko batānā, ho saktā hai ki koīshādīshudā aurat bhaṭak kar apneshauhar se bewafā ho jāe aur 13kisīaur se hambistar ho kar nāpāk ho jāe.us ke shauhar ne use nahīṅ dekhā,kyūṅki yih poshīdagī meṅ huā haiaur na kisī ne use pakaṛā, na is kākoī gawāh hai. 14agar shauhar koapnī bīwī kī wafādārī par shak hoaur wuh ġhairat khāne lage, lekinyaqīn se nahīṅ kah saktā ki merī bīwīqusūrwār hai ki nahīṅ 15to wuh apnībīwī ko imām ke pās le āe. sāth sāthwuh apnī bīwī ke lie qurbānī ke taurpar jau kā ḍeṛh kilogrām behtarīnmaidā le āe. is par na tel unḍelā jāe,na baḳhūr ḍālā jāe, kyūṅki ġhallā kīyih nazar ġhairat kī nazar hai jis kāmaqsad hai ki poshīdā qusūr zāhir hojāe. 16imām aurat ko qarīb āne de aurrab ke sāmne khaṛā kare. 17wuh miṭṭīkā bartan muqaddas pānī se bhar karus meṅ maqdis ke farsh kī kuchhḳhāk ḍāle. 18phir wuh aurat ko rab kopesh karke us ke bāl khulwāe aur us

ke hāthoṅ par maide kī nazar rakhe.imām ke apne hāth meṅ kaṛwe pānīkā wuh bartan ho jo lānat kā bāis hai.

19phir wuh aurat ko qasam khilākar kahe, ‘agar koī aur ādmī āp sehambistar nahīṅ huā hai aur āp nāpāknahīṅ huī haiṅ to is kaṛwe pānī kīlānat kā āp par koī asar na ho. 20lekinagar āp bhaṭak kar apne shauhar sebewafā ho gaī haiṅ aur kisī aur sehambistar ho kar nāpāk ho gaī haiṅ21to rab āp ko āp kī qaum ke sāmnelānatī banāe. āp bāṅjh ho jāeṅ aur āpkā peṭ phūl jāe. 22jab lānat kā yih pānīāp ke peṭ meṅ utre to āp bāṅjh ho jāeṅaur āp kā peṭ phūl jāe.’ is par auratkahe, ‘āmīn, aisā hī ho.’

23phir imām yih lānat likh karkāġhaz ko bartan ke pānī meṅ yūṅdho de ki us par likhī huī bāteṅ pānīmeṅ ghul jāeṅ. 24bād meṅ wuh auratko yih pānī pilāe tāki wuh us kejism meṅ jā kar use lānat pahuṅchāe.25lekin pahle imām us ke hāthoṅ meṅse ġhairat kī qurbānī le kar use ġhallākī nazar ke taur par rab ke sāmnehilāe aur phir qurbāngāh ke pās le āe.26us par wuh muṭṭhī bhar yādgārī kīqurbānī ke taur par jalāe. is ke bādwuh aurat ko pānī pilāe. 27agar wuhapne shauhar se bewafā thī aur nāpākho gaī hai to wuh bāṅjh ho jāegī, uskā peṭ phūl jāegā aur wuh apnī qaumke sāmne lānatī ṭhahregī. 28lekin agarwuh pāk-sāf hai to use sazā nahīṅ dī

Page 226: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

226 gintī 6:14

jāegī aur wuh bachche janm dene keqābil rahegī.

29-30chunāṅche aisā hī karnā hai jabshauhar ġhairat khāe aur use apnībīwī par zinā kā shak ho. bīwī koqurbāngāh ke sāmne khaṛā kiyā jāeaur imām yih sab kuchh kare. 31issūrat meṅ shauhar bequsūr ṭhahregā,lekin agar us kī bīwī ne wāqaī zinākiyā ho to use apne gunāh ke natījebardāsht karne paṛeṅge.”

jo apne āp ko maḳhsūs karte haiṅ

6 rab ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅko hidāyat denā ki agar koī ādmī

yā aurat mannat mān kar apne āpko ek muqarrarā waqt ke lie rab kelie maḳhsūs kare 3to wuh mai yā koīaur nashā-āwar chīz na pie. na wuhangūr yā kisī aur chīz kā sirkā pie, naangūr kā ras. wuh angūr yā kishmishna khāe. 4jab tak wuh maḳhsūs haiwuh angūr kī koī bhī paidāwār nakhāe, yahāṅ tak ki angūr ke bīj yāchhilke bhī na khāe. 5jab tak wuhapnī mannat ke mutābiq maḳhsūs haiwuh apne bāl na kaṭwāe. jitnī derke lie us ne apne āp ko rab ke liemaḳhsūs kiyā hai utnī der tak wuhmuqaddas hai. is lie wuh apne bālbaṛhne de. 6jab tak wuh maḳhsūshai wuh kisī lāsh ke qarīb na jāe,7chāhe wuh us ke bāp, māṅ, bhāī yābahan kī lāsh kyūṅ na ho. kyūṅkiis se wuh nāpāk ho jāegā jabki abhī

tak us kī maḳhsūsiyat lambe bāloṅkī sūrat meṅ nazar ātī hai. 8wuhapnī maḳhsūsiyat ke daurān rab ke liemaḳhsūs-o-muqaddas hai.

9agar koī achānak mar jāe jabmaḳhsūs shaḳhs us ke qarīb ho tous ke maḳhsūs bāl nāpāk ho jāeṅge.aisī sūrat meṅ lāzim hai ki wuh apneāp ko pāk-sāf karke sātweṅ din apnesar ko munḍwāe. 10āṭhweṅ din wuhdo qumriyāṅ yā do jawān kabūtar lekar mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzepar āe aur imām ko de. 11imāmin meṅ se ek ko gunāh kī qurbānīke taur par chaṛhāe aur dūsre kobhasm hone wālī qurbānī ke taurpar. yūṅ wuh us ke lie kaffārā degājo lāsh ke qarīb hone se nāpāk hogayā hai. usī din wuh apne sar kodubārā maḳhsūs kare 12aur apne āpko muqarrarā waqt ke lie dubārā rabke lie maḳhsūs kare. wuh qusūr kīqurbānī ke taur par ek sāl kā bheṛkā bachchā pesh kare. jitne din usne pahle maḳhsūsiyat kī hālat meṅguzāre haiṅ wuh shumār nahīṅ kiejā sakte kyūṅki wuh maḳhsūsiyat kīhālat meṅ nāpāk ho gayā thā. wuhdubārā pahle din se shurū kare.

13sharīat ke mutābiq jab maḳhsūsshaḳhs kā muqarrarā waqt guzargayā ho to pahle use mulāqāt keḳhaime ke darwāze par lāyā jāe.14wahāṅ wuh rab ko bhasm honewālī qurbānī ke lie bheṛ kā ek

Page 227: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 6:15 227

beaib yaksālā nar bachchā, gunāh kīqurbānī ke lie ek beaib yaksālā bheṛaur salāmatī kī qurbānī ke lie ek beaibmenḍhā pesh kare. 15is ke ilāwā wuhek ṭokrī meṅ beḳhamīrī roṭiyāṅ jinmeṅ behtarīn maidā aur tel milāyāgayā ho aur beḳhamīrī roṭiyāṅ jin partel lagāyā gayā ho mutālliqā ġhallā kīnazar aur mai kī nazar ke sāth 16rabko pesh kare. pahle imām gunāh kīqurbānī aur bhasm hone wālī qurbānīrab ke huzūr chaṛhāe. 17phir wuhmenḍhe ko beḳhamīrī roṭiyoṅ ke sāthsalāmatī kī qurbānī ke taur par peshkare. imām ġhallā kī nazar aur maikī nazar bhī chaṛhāe. 18is daurānmaḳhsūs shaḳhs mulāqāt ke ḳhaimepar apne maḳhsūs kie gae sar komunḍwā kar tamām bāl salāmatī kīqurbānī kī āg meṅ phaiṅke.

19phir imām menḍhe kā ek pakāhuā shānā aur ṭokrī meṅ se donoṅqismoṅ kī ek ek roṭī le kar maḳhsūsshaḳhs ke hāthoṅ par rakhe. 20iske bād wuh yih chīzeṅ wāpas le karunheṅ hilāne kī qurbānī ke taur parrab ke sāmne hilāe. yih ek muqaddasqurbānī hai jo imām kā hissā hai.salāmatī kī qurbānī kā hilāyā huāsīnā aur uṭhāī huī rān bhī imām kāhissā haiṅ. qurbānī ke iḳhtitām parmaḳhsūs kie hue shaḳhs ko mai pīnekī ijāzat hai.

21jo apne āp ko rab ke lie maḳhsūskartā hai wuh aisā hī kare. lāzim hai

ki wuh in hidāyāt ke mutābiq tamāmqurbāniyāṅ pesh kare. agar gunjāishho to wuh aur bhī pesh kar saktāhai. baharhāl lāzim hai ki wuh apnīmannat aur yih hidāyāt pūrī kare.”

imām kī barkat22rab ne mūsā se kahā, 23“hārūn

aur us ke beṭoṅ ko batā denā ki wuhisrāīliyoṅ ko yūṅ barkat deṅ,

24‘rab tujhe barkat de aur terīhifāzat kare.

25rab apne chehre kā mehrbān nūrtujh par chamkāe aur tujh par rahmkare.

26rab kī nazar-e-karm tujh par ho,aur wuh tujhe salāmatī baḳhshe.’

27yūṅ wuh merā nām le karisrāīliyoṅ ko barkat deṅ. phir maiṅunheṅ barkat dūṅgā.”

maqdis kī maḳhsūsiyat ke hadie

7 jis din maqdis mukammal huāusī din mūsā ne use maḳhsūs-

o-muqaddas kiyā. is ke lie usne ḳhaime, us ke tamām sāmān,qurbāngāh aur us ke tamām sāmānpar tel chhiṛkā. 2-3phir qabīloṅ kebārah sardār maqdis ke lie hadie lekar āe. yih wuhī rāhnumā the jinhoṅne mardumshumārī ke waqt mūsākī madad kī thī. unhoṅ ne chhatwālī chhih bail gāṛiyāṅ aur bārah bailḳhaime ke sāmne rab ko pesh kie, do

Page 228: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

228 gintī 7:85

do sardāroṅ kī taraf se ek bailgāṛī aurhar ek sardār kī taraf se ek bail.

4rab ne mūsā se kahā, 5“yih tohfeqabūl karke mulāqāt ke ḳhaime kekām ke lie istemāl kar. unheṅlāwiyoṅ meṅ un kī ḳhidmat kīzarūrat ke mutābiq taqsīm karnā.”6chunāṅche mūsā ne bail gāṛiyāṅaur bail lāwiyoṅ ko de die. 7us nedo bail gāṛiyāṅ chār bailoṅ sametjairsoniyoṅ ko 8aur chār bail gāṛiyāṅāṭh bailoṅ samet mirāriyoṅ ko dīṅ.mirārī hārūn imām ke beṭe itamar ketaht ḳhidmat karte the. 9lekin mūsāne qihātiyoṅ ko na bail gāṛiyāṅ aur nabail die. wajah yih thī ki jo muqaddaschīzeṅ un ke sapurd thīṅ wuh un kokandhoṅ par uṭhā kar le jānī thīṅ.

10bārah sardār qurbāngāh kīmaḳhsūsiyat ke mauqe par bhīhadie le āe. unhoṅ ne apne hadiequrbāngāh ke sāmne pesh kie. 11rabne mūsā se kahā, “sardār bārah dinke daurān bārī bārī apne hadie peshkareṅ.” 12pahle din yahūdāh ke sardārnahson bin ammīnadāb kī bārī thī.us ke hadie yih the: 13chāṅdī kāthāl jis kā wazn ḍeṛh kilogrām thāaur chhiṛkāo kā chāṅdī kā kaṭorājis kā wazn 800 grām thā. donoṅġhallā kī nazar ke lie tel ke sāthmilāe gae behtarīn maide se bharehue the. 14in ke ilāwā nahson ne yihchīzeṅ pesh kīṅ: sone kā pyālā jiskā wazn 110 grām thā aur jo baḳhūr

se bharā huā thā, 15ek jawān bail, ekmenḍhā, bhasm hone wālī qurbānīke lie bheṛ kā ek yaksālā bachchā,16gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā17aur salāmatī kī qurbānī ke lie dobail, pāṅch menḍhe, pāṅch bakre aurbheṛ ke pāṅch yaksālā bachche.

18-23agle gyārah din bāqī sardārbhī yihī hadie maqdis ke pās le āe.dūsre din ishkār ke sardār natanī’elbin zuġhar kī bārī thī, 24-29tīsre dinzabūlūn ke sardār iliyāb bin helonkī, 30-47chauthe din rūbin ke sardārilīsūr bin shadiyūr kī, pāṅchweṅdin shamāūn ke sardār salūmī’el binsūrīshaddī kī, chhaṭe din jad ke sardāriliyāsaf bin daūel kī, 48-53sātweṅdin ifrāīm ke sardār ilīsamā binammīhūd kī, 54-71āṭhweṅ din manassīke sardār jamlī’el bin fadāhsūr kī,naweṅ din binyamīn ke sardār abidānbin jidāūnī kī, dasweṅ din dān kesardār aḳhīazar bin ammīshaddī kī,72-83gyārhweṅ din āshar ke sardārfaj’ī’el bin akrān kī aur bārhweṅ dinnaftālī ke sardār aḳhīrā bin enān kībārī thī.

84isrāīl ke in sardāroṅ ne mil karqurbāngāh kī maḳhsūsiyat ke liechāṅdī ke 12 thāl, chhiṛkāo ke chāṅdīke 12 kaṭore aur sone ke 12 pyālepesh kie. 85har thāl kā wazn ḍeṛhkilogrām aur chhiṛkāo ke har kaṭorekā wazn 800 grām thā. in chīzoṅ kākul wazn taqrīban 28 kilogrām thā.

Page 229: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 7:86 229

86baḳhūr se bhare hue sone ke pyāloṅkā kul wazn taqrīban ḍeṛh kilogrāmthā (fī pyālā 110 grām). 87sardāroṅ nemil kar bhasm hone wālī qurbānī kelie 12 jawān bail, 12 menḍhe aur bheṛke 12 yaksālā bachche un kī ġhallākī nazaroṅ samet pesh kie. gunāhkī qurbānī ke lie unhoṅ ne 12 bakrepesh kie 88aur salāmatī kī qurbānīke lie 24 bail, 60 menḍhe, 60 bakreaur bheṛ ke 60 yaksālā bachche. intamām jānwaroṅ ko qurbāngāh kīmaḳhsūsiyat ke mauqe par chaṛhāyāgayā.

89jab mūsā mulāqāt ke ḳhaime meṅrab ke sāth bāt karne ke lie dāḳhilhotā thā to wuh rab kī āwāz ahdke sandūq ke ḍhakne par se yānīdo karūbī farishtoṅ ke darmiyān sesuntā thā.

shamādān par charāġh

8 rab ne mūsā se kahā, 2“hārūnko batānā, ‘tujhe sāt charāġhoṅ

ko shamādān par yūṅ rakhnā hai kiwuh shamādān kā sāmne wālā hissāraushan kareṅ’.”

3hārūn ne aisā hī kiyā. jis tarahrab ne mūsā ko hukm diyā thā usītarah us ne charāġhoṅ ko rakh diyātāki wuh sāmne wālā hissā raushankareṅ. 4shamādān pāe se le kar ūparkī kaliyoṅ tak sone ke ek ghaṛe hueṭukṛe kā banā huā thā. mūsā ne use

us namūne ke ain mutābiq banwāyājo rab ne use dikhāyā thā.

lāwiyoṅ kī maḳhsūsiyat5rab ne mūsā se kahā, 6“lāwiyoṅ

ko dīgar isrāīliyoṅ se alag karke pāk-sāf karnā. 7is ke lie gunāh se pākkarne wālā pānī un par chhiṛak karunheṅ hukm denā ki apne jism kepūre bāl munḍwāo aur apne kapṛedho’o. yūṅ wuh pāk-sāf ho jāeṅge.8phir wuh ek jawān bail chuneṅ aursāth kī ġhallā kī nazar ke lie tel kesāth milāyā gayā behtarīn maidā leṅ.tū ḳhud bhī ek jawān bail chun. wuhgunāh kī qurbānī ke lie hogā.

9is ke bād lāwiyoṅ ko mulāqāt keḳhaime ke sāmne khaṛā karke isrāīlkī pūrī jamā’at ko wahāṅ jamā karnā.10jab lāwī rab ke sāmne khaṛe hoṅto bāqī isrāīlī un ke saroṅ par apnehāth rakheṅ. 11phir hārūn lāwiyoṅko rab ke sāmne pesh kare. unheṅisrāīliyoṅ kī taraf se hilāī huī qurbānīkī haisiyat se pesh kiyā jāe tāki wuhrab kī ḳhidmat kar sakeṅ. 12phir lāwīapne hāth donoṅ bailoṅ ke saroṅ parrakheṅ. ek bail ko gunāh kī qurbānīke taur par aur dūsre ko bhasm honewālī qurbānī ke taur par chaṛhāo tākilāwiyoṅ kā kaffārā diyā jāe.

13lāwiyoṅ ko is tarīqe se hārūnaur us ke beṭoṅ ke sāmne khaṛākarke rab ko hilāī huī qurbānī ketaur par pesh karnā hai. 14unheṅ

Page 230: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

230 gintī 9:6

bāqī isrāīliyoṅ se alag karne se wuhmerā hissā baneṅge. 15is ke bādhī wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ ākar ḳhidmat kareṅ, kyūṅki ab wuhḳhidmat karne ke lāiq haiṅ. unheṅpāk-sāf karke hilāī huī qurbānī ketaur par pesh karne kā sabab yih hai16ki lāwī isrāīliyoṅ meṅ se wuh haiṅjo mujhe pūre taur par die gae haiṅ.maiṅ ne unheṅ isrāīliyoṅ ke tamāmpahlauṭhoṅ kī jagah le liyā hai.17kyūṅki isrāīl meṅ har pahlauṭhāmerā hai, ḳhwāh wuh insān kā hoyā haiwān kā. us din jab maiṅne misriyoṅ ke pahlauṭhoṅ ko mārdiyā maiṅ ne isrāīl ke pahlauṭhoṅ koapne lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā.18is silsile meṅ maiṅ ne lāwiyoṅ koisrāīliyoṅ ke tamām pahlauṭhoṅ kījagah le kar 19unheṅ hārūn aur uske beṭoṅ ko diyā hai. wuh mulāqātke ḳhaime meṅ isrāīliyoṅ kī ḳhidmatkareṅ aur un ke lie kaffārā kā intizāmqāim rakheṅ tāki jab isrāīlī maqdis keqarīb āeṅ to un ko wabā se mārā najāe.”

20mūsā, hārūn aur isrāīliyoṅ kī pūrījamā’at ne ehtiyāt se rab kī lāwiyoṅke bāre meṅ hidāyāt par amal kiyā.21lāwiyoṅ ne apne āp ko gunāhoṅ sepāk-sāf karke apne kapṛoṅ ko dhoyā.phir hārūn ne unheṅ rab ke sāmnehilāī huī qurbānī ke taur par peshkiyā aur un kā kaffārā diyā tāki wuhpāk ho jāeṅ. 22is ke bād lāwī mulāqāt

ke ḳhaime meṅ āe tāki hārūn aur uske beṭoṅ ke taht ḳhidmat kareṅ. yūṅsab kuchh waisā hī kiyā gayā jaisā rabne mūsā ko hukm diyā thā.

23rab ne mūsā se yih bhī kahā,24“lāwī 25 sāl kī umr meṅ mulāqātke ḳhaime meṅ apnī ḳhidmat shurūkareṅ 25aur 50 sāl kī umr meṅ riṭāyarho jāeṅ. 26is ke bād wuh mulāqāt keḳhaime meṅ apne bhāiyoṅ kī madadkar sakte haiṅ, lekin ḳhud ḳhidmatnahīṅ kar sakte. tujhe lāwiyoṅ ko inhidāyāt ke mutābiq un kī apnī apnīzimmādāriyāṅ denī haiṅ.”

registān meṅ īd-e-fasah

9 isrāīliyoṅ ko misr se nikle ek sālho gayā thā. dūsre sāl ke pahle

mahīne meṅ rab ne dasht-e-sīnā meṅmūsā se bāt kī.

2“lāzim hai ki isrāīlī īd-e-fasah komuqarrarā waqt par manāeṅ, 3yānīis mahīne ke chaudhweṅ din, sūrajke ġhurūb hone ke ain bād. usetamām qawāid ke mutābiq manānā.”4chunāṅche mūsā ne isrāīliyoṅ sekahā ki wuh īd-e-fasah manāeṅ, 5aurunhoṅ ne aisā hī kiyā. unhoṅ ne īd-e-fasah ko pahle mahīne ke chaudhweṅdin sūraj ke ġhurūb hone ke ain bādmanāyā. unhoṅ ne sab kuchh waisāhī kiyā jaisā rab ne mūsā ko hukmdiyā thā.

6lekin kuchh ādmī nāpāk the,kyūṅki unhoṅ ne lāsh chhū lī thī.

Page 231: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 9:7 231

is wajah se wuh us din īd-e-fasahna manā sake. wuh mūsā aur hārūnke pās ā kar 7kahne lage, “ham nelāsh chhū lī hai, is lie nāpāk haiṅ.lekin hameṅ is sabab se īd-e-fasah komanāne se kyūṅ rokā jāe? ham bhīmuqarrarā waqt par bāqī isrāīliyoṅ kesāth rab kī qurbānī pesh karnā chāhtehaiṅ.” 8mūsā ne jawāb diyā, “yahāṅmere intizār meṅ khaṛe raho. maiṅmālūm kartā hūṅ ki rab tumhāre bāremeṅ kyā hukm detā hai.”

9rab ne mūsā se kahā, 10“isrāīliyoṅko batā denā ki agar tum yā tumhārīaulād meṅ se koī īd-e-fasah ke daurānlāsh chhūne se nāpāk ho yā kisīdūrdarāz ilāqe meṅ safar kar rahā ho,to bhī wuh īd manā saktā hai. 11aisāshaḳhs use ain ek māh ke bād manākar lele ke sāth beḳhamīrī roṭī aurkaṛwā sāg-pāt khāe. 12khāne meṅse kuchh bhī aglī subh tak bāqī narahe. jānwar kī koī bhī haḍḍī natoṛnā. manāne wālā īd-e-fasah kepūre farāiz adā kare. 13lekin jo pākhone aur safar na karne ke bāwujūdbhī īd-e-fasah ko na manāe use uskī qaum meṅ se miṭāyā jāe, kyūṅkius ne muqarrarā waqt par rab koqurbānī pesh nahīṅ kī. us shaḳhsko apne gunāh kā natījā bhugatnāpaṛegā. 14agar koī pardesī tumhāredarmiyān rahte hue rab ke sāmne īd-e-fasah manānā chāhe to use ijāzathai. shart yih hai ki wuh pūre farāiz

adā kare. pardesī aur desī ke lie īd-e-fasah manāne ke farāiz ek jaise haiṅ.”

mulāqāt ke ḳhaime par bādal kā satūn15jis din sharīat ke muqaddas

ḳhaime ko khaṛā kiyā gayā us dinbādal ā kar us par chhā gayā. rātke waqt bādal āg kī sūrat meṅ nazarāyā. 16is ke bād yihī sūrat-e-hāl rahīki bādal us par chhāyā rahtā aur rātke daurān āg kī sūrat meṅ nazarātā. 17jab bhī bādal ḳhaime par seuṭhtā isrāīlī rawānā ho jāte. jahāṅbhī bādal utar jātā wahāṅ isrāīlī apneḍere ḍālte. 18isrāīlī rab ke hukm parrawānā hote aur us ke hukm parḍere ḍālte. jab tak bādal maqdis parchhāyā rahtā us waqt tak wuh wahīṅṭhaharte. 19kabhī kabhī bādal baṛīder tak ḳhaime par ṭhahrā rahtā. tabisrāīlī rab kā hukm mān kar rawānāna hote. 20kabhī kabhī bādal sirf dochār din ke lie ḳhaime par ṭhahartā.phir wuh rab ke hukm ke mutābiqhī ṭhaharte aur rawānā hote the.21kabhī kabhī bādal sirf shām se lekar subh tak ḳhaime par ṭhahartā. jabwuh subh ke waqt uṭhtā to isrāīlī bhīrawānā hote the. jab bhī bādal uṭhtāwuh bhī rawānā ho jāte. 22jab takbādal muqaddas ḳhaime par chhāyārahtā us waqt tak isrāīlī rawānā nahote, chāhe wuh do din, ek māh, eksāl yā is se zyādā arsā maqdis parchhāyā rahtā. lekin jab wuh uṭhtā to

Page 232: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

232 gintī 10:19

isrāīlī bhī rawānā ho jāte. 23wuh rabke hukm par ḳhaime lagāte aur uske hukm par rawānā hote the. wuhwaisā hī karte the jaisā rab mūsā kīmārifat farmātā thā.

10 rab ne mūsā se kahā,2“chāṅdī ke do bigul ghaṛ

kar banwā le. unheṅ jamā’at ko jamākarne aur qabīloṅ ko rawānā karneke lie istemāl kar. 3jab donoṅ ko dertak bajāyā jāe to pūrī jamā’at mulāqātke ḳhaime ke darwāze par ā kar teresāmne jamā ho jāe. 4lekin agar ek hībajāyā jāe to sirf kunboṅ ke buzurgtere sāmne jamā ho jāeṅ. 5agar unkī āwāz sirf thoṛī der ke lie sunāī deto maqdis ke mashriq meṅ maujūdqabīle rawānā ho jāeṅ. 6phir jab un kīāwāz dūsrī bār thoṛī der ke lie sunāīde to maqdis ke junūb meṅ maujūdqabīle rawānā ho jāeṅ. jab un kī āwāzthoṛī der ke lie sunāī de to yih rawānāhone kā elān hogā. 7is ke muqābalemeṅ jab un kī āwāz der tak sunāī deto yih is bāt kā elān hogā ki jamā’atjamā ho jāe.

8bigul bajāne kī zimmādārī hārūnke beṭoṅ yānī imāmoṅ ko dī jāe. yihtumhāre aur āne wālī nasloṅ ke liedāimī usūl ho. 9un kī āwāz us waqtbhī thoṛī der ke lie sunā do jab tumapne mulk meṅ kisī zālim dushmanse jang laṛne ke lie nikloge. tab rabtumhārā ḳhudā tumheṅ yād karkedushman se bachāegā.

10isī tarah un kī āwāz maqdis meṅḳhushī ke mauqoṅ par sunāī de yānīmuqarrarā īdoṅ aur nae chāṅd kī īdoṅpar. in mauqoṅ par wuh bhasmhone wālī qurbāniyāṅ aur salāmatīkī qurbāniyāṅ chaṛhāte waqt bajāejāeṅ. phir tumhārā ḳhudā tumheṅyād karegā. maiṅ rab tumhārā ḳhudāhūṅ.”

sīnā pahāṛ se rawānagī11isrāīliyoṅ ko misr se nikle ek sāl

se zāid arsā ho chukā thā. dūsresāl ke bīsweṅ din bādal mulāqāt keḳhaime par se uṭhā. 12phir isrāīlīmuqarrarā tartīb ke mutābiq dasht-e-sīnā se rawānā hue. chalte chaltebādal fārān ke registān meṅ utar āyā.

13us waqt wuh pahlī dafā us tartībse rawānā hue jo rab ne mūsā kīmārifat muqarrar kī thī. 14pahleyahūdāh ke qabīle ke tīn daste apnealam ke taht chal paṛe. tīnoṅ kākamānḍar nahson bin ammīnadābthā. 15sāth chalne wāle qabīle ishkārkā kamānḍar natanī’el bin zuġharthā. 16zabūlūn kā qabīlā bhī sāthchalā jis kā kamānḍar iliyāb bin helonthā. 17is ke bād mulāqāt kā ḳhaimāutārā gayā. jairsonī aur mirārī useuṭhā kar chal die. 18in lāwiyoṅ kebād rūbin ke qabīle ke tīn daste apnealam ke taht chalne lage. tīnoṅkā kamānḍar ilīsūr bin shadiyūr thā.19sāth chalne wāle qabīle shamāūn

Page 233: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 10:20 233

kā kamānḍar salūmī’el bin sūrīshaddīthā. 20jad kā qabīlā bhī sāth chalā jiskā kamānḍar iliyāsaf bin daūel thā.21phir lāwiyoṅ meṅ se qihātī maqdiskā sāmān uṭhā kar rawānā hue.lāzim thā ki un ke aglī manzil parpahuṅchne tak mulāqāt kā ḳhaimālagā diyā gayā ho. 22is ke bād ifrāīmke qabīle ke tīn daste apne alamke taht chal die. un kā kamānḍarilīsamā bin ammīhūd thā. 23ifrāīmke sāth chalne wāle qabīle manassīkā kamānḍar jamlī’el bin fadāhsūrthā. 24binyamīn kā qabīlā bhī sāthchalā jis kā kamānḍar abidān binjidāūnī thā. 25āḳhir meṅ dān ke tīndaste aqbī muhāfiz ke taur par apnealam ke taht rawānā hue. un kākamānḍar aḳhīazar bin ammīshaddīthā. 26dān ke sāth chalne wāle qabīleāshar kā kamānḍar faj’ī’el bin akrānthā. 27naftālī kā qabīlā bhī sāth chalājis kā kamānḍar aḳhīrā bin enān thā.28isrāīlī isī tartīb se rawānā hue.

mūsā hobāb ko sāth chalne

par majbūr kartā hai29mūsā ne apne midiyānī susar

raūel yānī yitro ke beṭe hobāb sekahā, “ham us jagah ke lie rawānāho rahe haiṅ jis kā wādā rab ne hamse kiyā hai. hamāre sāth chaleṅ!ham āp par ehsān kareṅge, kyūṅkirab ne isrāīl par ehsān karne kāwādā kiyā hai.” 30lekin hobāb ne

jawāb diyā, “maiṅ sāth nahīṅ jāūṅgābalki apne mulk aur rishtedāroṅ kepās wāpas chalā jāūṅgā.” 31mūsāne kahā, “mehrbānī karke hameṅ nachhoṛeṅ. kyūṅki āp hī jānte haiṅ kiham registān meṅ kahāṅ kahāṅ apneḍere ḍāl sakte haiṅ. āp registān meṅhameṅ rāstā dikhā sakte haiṅ. 32agarāp hamāre sāth jāeṅ to ham āp ko usehsān meṅ sharīk kareṅge jo rab hampar karegā.”

ahd ke sandūq kā safar33chunāṅche unhoṅ ne rab ke

pahāṛ se rawānā ho kar tīn din safarkiyā. is daurān rab kā ahd kā sandūqun ke āge āge chalā tāki un ke lieārām karne kī jagah mālūm kare.34jab kabhī wuh rawānā hote to rabkā bādal din ke waqt un ke ūparrahtā. 35sandūq ke rawānā hotewaqt mūsā kahtā, “ai rab, uṭh. teredushman titar-bitar ho jāeṅ. tujh senafrat karne wāle tere sāmne se farārho jāeṅ.” 36aur jab bhī wuh ruk jātā tomūsā kahtā, “ai rab, isrāīl ke hazāroṅḳhāndānoṅ ke pās wāpas ā.”

taberā meṅ rab kī āg

11 ek din log ḳhūb shikāyatkarne lage. jab yih

shikāyateṅ rab tak pahuṅchīṅ touse ġhussā āyā aur us kī āg un kedarmiyān bhaṛak uṭhī. jalte jalte usne ḳhaimāgāh kā ek kinārā bhasm

Page 234: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

234 gintī 11:18

kar diyā. 2log madad ke lie mūsā kepās ā kar chillāne lage to us ne rab seduā kī, aur āg bujh gaī. 3us maqāmkā nām taberā yānī jalnā paṛ gayā,kyūṅki rab kī āg un ke darmiyān jaluṭhī thī.

mūsā 70 rāhnumā chuntā hai4isrāīliyoṅ ke sāth jo ajnabī safar

kar rahe the wuh gosht khāne kīshadīd ārzū karne lage. tab isrāīlībhī ro paṛe aur kahne lage, “kaunhameṅ gosht khilāegā? 5misr meṅham machhlī muft khā sakte the. hāy,wahāṅ ke khīre, tarbūz, gandane,pyāz aur lahsan kitne achchhe the!6lekin ab to hamārī jān sūkh gaī hai.yahāṅ bas man hī man nazar ātā rahtāhai.”

7man dhanie ke dānoṅ kī mānindthā, aur us kā rang gūgal ke gūṅdkī mānind thā. 8-9rāt ke waqt wuhḳhaimāgāh meṅ os ke sāth zamīn pargirtā thā. subh ke waqt log idharudhar ghūmte phirte hue use jamākarte the. phir wuh use chakkī meṅpīs kar yā ukhlī meṅ kūṭ kar ubālte yāroṭī banāte the. us kā zāiqā aisī roṭī kāsā thā jis meṅ zaitūn kā tel ḍālā gayāho.

10tamām ḳhāndān apne apneḳhaime ke darwāze par rone lageto rab ko shadīd ġhussā āyā. un kāshor mūsā ko bhī bahut burā lagā.11us ne rab se pūchhā, “tū ne apne

ḳhādim ke sāth itnā burā sulūk kyūṅkiyā? maiṅ ne kis kām se tujhe itnānārāz kiyā ki tū ne in tamām logoṅkā bojh mujh par ḍāl diyā? 12kyāmaiṅ ne hāmilā ho kar is pūrī qaumko janm diyā ki tū mujh se kahtā hai,‘ise us tarah uṭhā kar le chalnā jistarah āyā shīrḳhwār bachche ko uṭhākar har jagah sāth lie phirtī hai. isītarah ise us mulk meṅ le jānā jis kāwādā maiṅ ne qasam khā kar in kebāpdādā se kiyā hai.’ 13ai allāh, maiṅin tamām logoṅ ko kahāṅ se goshtmuhayyā karūṅ? wuh mere sāmnerote rahte haiṅ ki hameṅ khāne kelie gosht do. 14maiṅ akelā in tamāmlogoṅ kī zimmādārī nahīṅ uṭhā saktā.yih bojh mere lie had se zyādā bhārīhai. 15agar tū is par isrār kare to phirbehtar hai ki abhī mujhe mār de tākimaiṅ apnī tabāhī na dekhūṅ.”

16jawāb meṅ rab ne mūsā se kahā,“mere pās isrāīl ke 70 buzurg jamākar. sirf aise log chun jin kebāre meṅ tujhe mālūm hai ki wuhlogoṅ ke buzurg aur nigahbān haiṅ.unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke pās leā. wahāṅ wuh tere sāth khaṛe hojāeṅ, 17to maiṅ utar kar tere sāthhamkalām hūṅgā. us waqt maiṅ usrūh meṅ se kuchh lūṅgā jo maiṅ netujh par nāzil kiyā thā aur use un parnāzil karūṅga. tab wuh qaum kā bojhuṭhāne meṅ terī madad kareṅge aurtū is meṅ akelā nahīṅ rahegā. 18logoṅ

Page 235: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 11:19 235

ko batānā, ‘apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas karo, kyūṅki kal tum goshtkhāoge. rab ne tumhārī sunī jabtum ro paṛe ki kaun hameṅ goshtkhilāegā, misr meṅ hamārī hālatbehtar thī. ab rab tumheṅ goshtmuhayyā karegā aur tum use khāoge.19tum use na sirf ek, do yā pāṅchdin khāoge balki 10 yā 20 din se bhīzyādā arse tak. 20tum ek pūrā mahīnāḳhūb gosht khāoge, yahāṅ tak ki wuhtumhārī nāk se niklegā aur tumheṅus se ghin āegī. aur yih is sabab sehogā ki tum ne rab ko jo tumhāredarmiyān hai radd kiyā aur rote roteus ke sāmne kahā ki ham kyūṅ misrse nikle’.”

21lekin mūsā ne etirāz kiyā, “agarqaum ke paidal chalne wāle gine jāeṅto chhih lākh haiṅ. tū kis tarahhameṅ ek māh tak gosht muhayyākaregā? 22kyā gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ ko itnī miqdār meṅ zabahkiyā jā saktā hai ki kāfī ho? agarsamundar kī tamām machhliyāṅ unke lie pakaṛī jāeṅ to kyā kāfī hoṅgī?”

23rab ne kahā, “kyā rab kā iḳhtiyārkam hai? ab tū ḳhud dekh legā kimerī bāteṅ durust haiṅ ki nahīṅ.”

24chunāṅche mūsā ne wahāṅ senikal kar logoṅ ko rab kī yih bāteṅbatāīṅ. us ne un ke buzurgoṅ meṅse 70 ko chun kar unheṅ mulāqātke ḳhaime ke irdgird khaṛā kar diyā.25tab rab bādal meṅ utar kar mūsā se

hamkalām huā. jo rūh us ne mūsā parnāzil kiyā thā us meṅ se us ne kuchhle kar un 70 buzurgoṅ par nāzil kiyā.jab rūh un par āyā to wuh nabuwwatkarne lage. lekin aisā phir kabhī nahuā.

26ab aisā huā ki in sattar buzurgoṅmeṅ se do ḳhaimāgāh meṅ rah gaethe. un ke nām ildād aur medād the.unheṅ chunā to gayā thā lekin wuhmulāqāt ke ḳhaime ke pās nahīṅ āethe. is ke bāwujūd rūh un par bhīnāzil huā aur wuh ḳhaimāgāh meṅnabuwwat karne lage. 27ek naujawānbhāg kar mūsā ke pās āyā aur kahā,“ildād aur medād ḳhaimāgāh meṅ hīnabuwwat kar rahe haiṅ.”

28yashūa bin nūn jo jawānī se mūsākā madadgār thā bol uṭhā, “mūsāmere āqā, unheṅ rok deṅ!” 29lekinmūsā ne jawāb diyā, “kyā tū merīḳhātir ġhairat khā rahā hai? kāsh rabke tamām log nabī hote aur wuh unsab par apnā rūh nāzil kartā!” 30phirmūsā aur isrāīl ke buzurg ḳhaimāgāhmeṅ wāpas āe.

31tab rab kī taraf se zordār hawāchalne lagī jis ne samundar ko pārkarne wāle baṭeroṅ ke ġhol dhakelkar ḳhaimāgāh ke irdgird zamīn parphaiṅk die. un ke ġhol tīn fuṭ ūṅcheaur ḳhaimāgāh ke chāroṅ taraf 30kilomīṭar tak paṛe rahe. 32us pūre dinaur rāt aur agle pūre din log nikalkar baṭereṅ jamā karte rahe. har

Page 236: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

236 gintī 12:14

ek ne kam az kam das baṛī ṭokriyāṅbhar līṅ. phir unhoṅ ne un kā goshtḳhaime ke irdgird zamīn par phailādiyā tāki wuh ḳhushk ho jāe.

33lekin gosht ke pahle ṭukṛe abhīmuṅh meṅ the ki rab kā ġhazabun par ān paṛā, aur us ne un meṅsaḳht wabā phailne dī. 34chunāṅchemaqām kā nām qabrot-hattāwā yānī‘lālach kī qabreṅ’ rakhā gayā, kyūṅkiwahāṅ unhoṅ ne un logoṅ ko dafnkiyā jo gosht ke lālach meṅ ā gae the.

35is ke bād isrāīlī qabrot-hattāwā serawānā ho kar hasīrāt pahuṅch gae.wahāṅ wuh ḳhaimāzan hue.

mariyam aur hārūn kī muḳhālafat

12 ek din mariyam aur hārūnmūsā ke ḳhilāf bāteṅ karne

lage. wajah yih thī ki us ne kūsh kīek aurat se shādī kī thī. 2unhoṅ nepūchhā, “kyā rab sirf mūsā kī mārifatbāt kartā hai? kyā us ne ham se bhībāt nahīṅ kī?” rab ne un kī yih bāteṅsunīṅ.

3lekin mūsā nihāyat halīm thā.duniyā meṅ us jaisā halīm koī nahīṅthā. 4achānak rab mūsā, hārūnaur mariyam se muḳhātib huā, “tumtīnoṅ bāhar nikal kar mulāqāt keḳhaime ke pās āo.”

tīnoṅ wahāṅ pahuṅche. 5tab rabbādal ke satūn meṅ utar kar mulāqātke ḳhaime ke darwāze par khaṛā huā.us ne hārūn aur mariyam ko bulāyā

to donoṅ āe. 6us ne kahā, “merī bātsuno. jab tumhāre darmiyān nabīhotā hai to maiṅ apne āp ko royāmeṅ us par zāhir kartā hūṅ yā ḳhwābmeṅ us se muḳhātib hotā hūṅ. 7lekinmere ḳhādim mūsā kī aur bāt hai.use maiṅ ne apne pūre gharāne parmuqarrar kiyā hai. 8us se maiṅ rū-ba-rū hamkalām hotā hūṅ. us semaiṅ muammoṅ ke zarī’e nahīṅ balkisāf sāf bāt kartā hūṅ. wuh rab kīsūrat deḳhtā hai. to phir tum mereḳhādim ke ḳhilāf bāteṅ karne se kyūṅna ḍare?”

9rab kā ġhazab un par ān paṛā, aurwuh chalā gayā. 10jab bādal kā satūnḳhaime se dūr huā to mariyam kī jildbarf kī mānind safed thī. wuh koṛhkā shikār ho gaī thī. hārūn us kī tarafmuṛā to us kī hālat dekhī 11aur mūsāse kahā, “mere āqā, mehrbānī karkehameṅ is gunāh kī sazā na deṅ johamārī hamāqat ke bāis sarzad huāhai. 12mariyam ko is hālat meṅ nachhoṛeṅ. wuh to aise bachche kīmānind hai jo murdā paidā huā ho, jiske jism kā ādhā hissā gal chukā ho.”

13tab mūsā ne pukār kar rab sekahā, “ai allāh, mehrbānī karke useshifā de.” 14rab ne jawāb meṅ mūsāse kahā, “agar mariyam kā bāp us kemuṅh par thūktā to kyā wuh pūrehafte tak sharm mahsūs na kartī? useek hafte ke lie ḳhaimāgāh ke bāhar

Page 237: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 12:15 237

band rakh. is ke bād use wāpas lāyājā saktā hai.”

15chunāṅche mariyam ko ek hafteke lie ḳhaimāgāh ke bāhar bandrakhā gayā. log us waqt tak safar kelie rawānā na hue jab tak use wāpasna lāyā gayā. 16jab wuh wāpas āī toisrāīlī hasīrāt se rawānā ho kar fārānke registān meṅ ḳhaimāzan hue.

mulk-e-kan’ān meṅ isrāīlī jāsūs

13 phir rab ne mūsā se kahā,2“kuchh ādmī mulk-e-

kan’ān kā jāizā lene ke lie bhejde, kyūṅki maiṅ use isrāīliyoṅ kodene ko hūṅ. har qabīle meṅ se ekrāhnumā ko chun kar bhej de.”

3mūsā ne rab ke kahne par unheṅdasht-e-fārān se bhejā. sab isrāīlīrāhnumā the. 4un ke nām yihhaiṅ: rūbin ke qabīle se sammūa binzakkūr,

5shamāūn ke qabīle se sāfat binhorī,

6yahūdāh ke qabīle se kālib binyafunnā,

7ishkār ke qabīle se ijāl bin yūsuf,8ifrāīm ke qabīle se hosea bin nūn,9binyamīn ke qabīle se faltī bin

rafū,10zabūlūn ke qabīle se jaddī’el bin

sodī,11yūsuf ke beṭe manassī ke qabīle se

jiddī bin sūsī,

12dān ke qabīle se ammī’el binjamallī,

13āshar ke qabīle se satūr binmīkāel,

14naftālī ke qabīle se naḳhbī binwufsī,

15jad ke qabīle se jiyūel bin mākī.16mūsā ne in hī bārah ādmiyoṅ ko

mulk kā jāizā lene ke lie bhejā. us nehosea kā nām yashūa yānī ‘rab najāthai’ meṅ badal diyā.

17unheṅ ruḳhsat karne se pahle usne kahā, “dasht-e-najab se guzar karpahāṛī ilāqe tak pahuṅcho. 18mālūmkaro ki yih kis tarah kā mulk hai aurus ke bāshinde kaise haiṅ. kyā wuhtāqatwar haiṅ yā kamzor, tādād meṅkam haiṅ yā zyādā? 19jis mulk meṅwuh baste haiṅ kyā wuh achchhāhai ki nahīṅ? wuh kis qism keshahroṅ meṅ rahte haiṅ? kyā un kīchārdīwāriyāṅ haiṅ ki nahīṅ? 20mulkkī zamīn zarḳhez hai yā banjar? usmeṅ daraḳht haiṅ ki nahīṅ? aur jur’atkarke mulk kā kuchh phal chun kar leāo.” us waqt pahle angūr pak gae the.

21chunāṅche in ādmiyoṅ ne safarkarke dasht-e-sīn se rahob tak mulkkā jāizā liyā. rahob labo-hamāt keqarīb hai. 22wuh dasht-e-najab seguzar kar habrūn pahuṅche jahāṅanāq ke beṭe aḳhīmān, sīsī aur talmīrahte the. (habrūn ko misr ke shahrzuan se sāt sāl pahle tāmīr kiyā gayāthā). 23jab wuh wādī-e-iskāl tak

Page 238: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

238 gintī 14:4

pahuṅche to unhoṅ ne ek ḍālī kāṭ lījis par angūr kā guchchhā lagā huāthā. do ādmiyoṅ ne yih angūr, kuchhanār aur kuchh anjīr lāṭhī par laṭkāeaur use uṭhā kar chal paṛe. 24us jagahkā nām us guchchhe ke sabab se joisrāīliyoṅ ne wahāṅ se kāṭ liyā iskālyānī guchchhā rakhā gayā.

25chālīs din tak mulk kā khoj lagātelagāte wuh lauṭ āe. 26wuh mūsā,hārūn aur isrāīl kī pūrī jamā’at kepās āe jo dasht-e-fārān meṅ qādis kījagah par intizār kar rahe the. wahāṅunhoṅ ne sab kuchh batāyā jo unhoṅne mālūm kiyā thā aur unheṅ wuhphal dikhāe jo le kar āe the. 27unhoṅne mūsā ko riporṭ dī, “ham us mulkmeṅ gae jahāṅ āp ne hameṅ bhejāthā. wāqaī us mulk meṅ dūdh aurshahd kī kasrat hai. yahāṅ hamārepās us ke kuchh phal bhī haiṅ. 28lekinus ke bāshinde tāqatwar haiṅ. unke shahroṅ kī fasīleṅ haiṅ, aur wuhnihāyat baṛe haiṅ. ham ne wahāṅanāq kī aulād bhī dekhī. 29amālīqīdasht-e-najab meṅ rahte haiṅ jabkihittī, yabūsī aur amorī pahāṛī ilāqemeṅ ābād haiṅ. kan’ānī sāhilī ilāqeaur daryā-e-yardan ke kināre kinārebaste haiṅ.”

30kālib ne mūsā ke sāmnejamāshudā logoṅ ko ishārā kiyā kiwuh ḳhāmosh ho jāeṅ. phir us nekahā, “āeṅ, ham mulk meṅ dāḳhilho jāeṅ aur us par qabzā kar leṅ,

kyūṅki ham yaqīnan yih karne keqābil haiṅ.” 31lekin dūsre ādmiyoṅne jo us ke sāth mulk ko deḳhne gaethe kahā, “ham un logoṅ par hamlānahīṅ kar sakte, kyūṅki wuh ham setāqatwar haiṅ.” 32unhoṅ ne isrāīliyoṅke darmiyān us mulk ke bāre meṅġhalat afwāheṅ phailāīṅ jis kī taftīshunhoṅ ne kī thī. unhoṅ ne kahā,“jis mulk meṅ se ham guzare tāki uskā jāizā leṅ wuh apne bāshindoṅ kohaṛap kar letā hai. jo bhī us meṅ rahtāhai nihāyat darāzqad hai. 33ham newahāṅ deoqāmat afrād bhī dekhe.(anāq ke beṭe deoqāmat ke afrād kīaulād the). un ke sāmne ham apneāp ko ṭiḍḍī jaisā mahsūs kar rahe the,aur ham un kī nazar meṅ aise thebhī.”

log kan’ān meṅ dāḳhil

nahīṅ honā chāhte

14 us rāt tamām log chīḳheṅmār mār kar rote rahe. 2sab

mūsā aur hārūn ke ḳhilāf buṛbuṛānelage. pūrī jamā’at ne un se kahā,“kāsh ham misr yā is registān meṅmar gae hote! 3rab hameṅ kyūṅ usmulk meṅ le jā rahā hai? kyā is lie kidushman hameṅ talwār se qatl kareaur hamāre bāl-bachchoṅ ko lūṭ le?kyā behtar nahīṅ hogā ki ham misrwāpas jāeṅ?” 4unhoṅ ne ek dūsrese kahā, “āo, ham rāhnumā chun karmisr wāpas chale jāeṅ.”

Page 239: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 14:5 239

5tab mūsā aur hārūn pūrī jamā’atke sāmne muṅh ke bal gire. 6lekinyashūa bin nūn aur kālib binyafunnā bāqī das jāsūsoṅ se farq the.pareshānī ke ālam meṅ unhoṅ neapne kapṛe phāṛ kar 7pūrī jamā’at sekahā, “jis mulk meṅ se ham guzareaur jis kī taftīsh ham ne kī wuhnihāyat hī achchhā hai. 8agar rabham se ḳhush hai to wuh zarūrhameṅ us mulk meṅ le jāegā jis meṅdūdh aur shahd kī kasrat hai. wuhhameṅ zarūr yih mulk degā. 9rabse baġhāwat mat karnā. us mulk kerahne wāloṅ se na ḍareṅ. ham unheṅhaṛap kar jāeṅge. un kī panāh unse jātī rahī hai jabki rab hamāre sāthhai. chunāṅche un se mat ḍareṅ.”

10yih sun kar pūrī jamā’at unheṅsangsār karne ke lie tayyār huī. lekinachānak rab kā jalāl mulāqāt keḳhaime par zāhir huā, aur tamāmisrāīliyoṅ ne use dekhā. 11rab nemūsā se kahā, “yih log mujhe kab takhaqīr jāneṅge? wuh kab tak mujhpar īmān rakhne se inkār kareṅgeagarche maiṅ ne un ke darmiyān itnemojize kie haiṅ? 12maiṅ unheṅ wabāse mār ḍālūṅgā aur unheṅ rū-e-zamīnpar se miṭā dūṅgā. un kī jagah maiṅtujh se ek qaum banāūṅgā jo un sebaṛī aur tāqatwar hogī.”

13lekin mūsā ne rab se kahā, “phirmisrī yih sun leṅge! kyūṅki tū neapnī qudrat se in logoṅ ko misr se

nikāl kar yahāṅ tak pahuṅchāyā hai.14misrī yih bāt kan’ān ke bāshindoṅko batāeṅge. yih log pahle se sunchuke haiṅ ki rab is qaum ke sāthhai, ki tujhe rū-ba-rū dekhā jātā hai,ki terā bādal un ke ūpar ṭhahrā rahtāhai, aur ki tū din ke waqt bādal kesatūn meṅ aur rāt ko āg ke satūn meṅin ke āge āge chaltā hai. 15agar tū ekdam is pūrī qaum ko tabāh kar ḍāleto bāqī qaumeṅ yih sun kar kaheṅgī,16‘rab in logoṅ ko us mulk meṅ le jāneke qābil nahīṅ thā jis kā wādā us neun se qasam khā kar kiyā thā. isī lieus ne unheṅ registān meṅ halāk kardiyā.’ 17ai rab, ab apnī qudrat yūṅzāhir kar jis tarah tū ne farmāyā hai.kyūṅki tū ne kahā, 18‘rab tahammulaur shafqat se bharpūr hai. wuhgunāh aur nāfarmānī muāf kartā hai,lekin har ek ko us kī munāsib sazā bhīdetā hai. jab wālidain gunāh kareṅ toun kī aulād ko bhī tīsrī aur chauthīpusht tak sazā ke natāij bhugatnepaṛeṅge.’ 19in logoṅ kā qusūr apnīazīm shafqat ke mutābiq muāf kar.unheṅ us tarah muāf kar jis tarah tūunheṅ misr se nikalte waqt ab takmuāf kartā rahā hai.”

20rab ne jawāb diyā, “tere kahne parmaiṅ ne unheṅ muāf kar diyā hai. 21iske bāwujūd merī hayāt kī qasam aurmere jalāl kī qasam jo pūrī duniyāko māmūr kartā hai, 22in logoṅ meṅse koī bhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ

Page 240: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

240 gintī 14:39

hogā. unhoṅ ne merā jalāl aur meremojize dekhe haiṅ jo maiṅ ne misraur registān meṅ kar dikhāe haiṅ. tobhī unhoṅ ne das dafā mujhe āzmāyāaur merī na sunī. 23un meṅ se ekbhī us mulk ko nahīṅ dekhegā jis kāwādā maiṅ ne qasam khā kar un kebāpdādā se kiyā thā. jis ne bhī mujhehaqīr jānā hai wuh kabhī use nahīṅdekhegā. 24sirf merā ḳhādim kālibmuḳhtalif hai. us kī rūh farq hai. wuhpūre dil se merī pairawī kartā hai, islie maiṅ use us mulk meṅ le jāūṅgā jismeṅ us ne safar kiyā hai. us kī aulādmulk mīrās meṅ pāegī. 25lekin filhālamālīqī aur kan’ānī us kī wādiyoṅmeṅ ābād raheṅge. chunāṅche kalmuṛ kar wāpas chalo. registān meṅbahr-e-qulzum kī taraf rawānā hojāo.”

26rab ne mūsā aur hārūn se kahā,27“yih sharīr jamā’at kab tak mereḳhilāf buṛbuṛātī rahegī? un ke gile-shikwe mujh tak pahuṅch gae haiṅ.28is lie unheṅ batāo, ‘rab farmātāhai ki merī hayāt kī qasam, maiṅtumhāre sāth wuhī kuchh karūṅgajo tum ne mere sāmne kahā hai.29tum is registān meṅ mar kar yihīṅpaṛe rahoge, har ek jo 20 sāl yā isse zāid kā hai, jo mardumshumārīmeṅ ginā gayā aur jo mere ḳhilāfbuṛbuṛāyā. 30go maiṅ ne hāth uṭhākar qasam khāī thī ki maiṅ tujhe usmeṅ basāūṅgā tum meṅ se koī bhī

us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hogā. sirfkālib bin yafunnā aur yashūa bin nūndāḳhil hoṅge. 31tum ne kahā thāki dushman hamāre bachchoṅ ko lūṭleṅge. lekin un hī ko maiṅ us mulkmeṅ le jāūṅgā jise tum ne radd kiyāhai. 32lekin tum ḳhud dāḳhil nahīṅhoge. tumhārī lāsheṅ is registān meṅpaṛī raheṅgī. 33tumhāre bachche 40sāl tak yahāṅ registān meṅ gallābānhoṅge. unheṅ tumhārī bewafāī kesabab se us waqt tak taqlīf uṭhānīpaṛegī jab tak tum meṅ se āḳhirīshaḳhs mar na gayā ho. 34tum nechālīs din ke daurān us mulk kājāizā liyā. ab tumheṅ chālīs sāl takapne gunāhoṅ kā natījā bhugatnāpaṛegā. tab tumheṅ patā chalegā kiis kā kyā matlab hai ki maiṅ tumhārīmuḳhālafat kartā hūṅ. 35maiṅ, rabne yih bāt farmāī hai. maiṅ yaqīnanyih sab kuchh us sārī sharīr jamā’atke sāth karūṅga jis ne mil kar merīmuḳhālafat kī hai. isī registān meṅwuh ḳhatm ho jāeṅge, yihīṅ marjāeṅge’.”

36-37jin ādmiyoṅ ko mūsā ne mulkkā jāizā lene ke lie bhejā thā, rab neunheṅ fauran mohlak wabā se mārḍālā, kyūṅki un ke ġhalat afwāheṅphailāne se pūrī jamā’at buṛbuṛānelagī thī. 38sirf yashūa bin nūn aurkālib bin yafunnā zindā rahe.

39jab mūsā ne rab kī yih bāteṅisrāīliyoṅ ko batāīṅ to wuh ḳhūb

Page 241: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 14:40 241

mātam karne lage. 40aglī subhsawerewuh uṭhe aur yih kahte hue ūṅchepahāṛī ilāqe ke lie rawānā hue ki hamse ġhaltī huī hai, lekin ab ham hāzirhaiṅ aur us jagah kī taraf jā rahe haiṅjis kā zikr rab ne kiyā hai.

41lekin mūsā ne kahā, “tum kyūṅrab kī ḳhilāfwarzī kar rahe ho? tumkāmyāb nahīṅ hoge. 42wahāṅ na jāo,kyūṅki rab tumhāre sāth nahīṅ hai.tum dushmanoṅ ke hāthoṅ shikastkhāoge, 43kyūṅki wahāṅ amālīqī aurkan’ānī tumhārā sāmnā kareṅge.chūṅki tum ne apnā muṅh rab se pherliyā hai is lie wuh tumhāre sāth nahīṅhogā, aur dushman tumheṅ talwār semār ḍālegā.”

44to bhī wuh apne ġhurūr meṅjur’at karke ūṅche pahāṛī ilāqe kītaraf baṛhe, hālāṅki na mūsā aur naahd ke sandūq hī ne ḳhaimāgāh kochhoṛā. 45phir us pahāṛī ilāqe meṅrahne wāle amālīqī aur kan’ānī unpar ān paṛe aur unheṅ mārte mārtehurmā tak titar-bitar kar diyā.

kan’ān meṅ qurbāniyāṅ

pesh karne kā tarīqā

15 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batānā ki jab

tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jomaiṅ tumheṅ dūṅgā 3-4to jalne wālīqurbāniyāṅ yūṅ pesh karnā:

agar tum apne gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ meṅ se aisī qurbānī pesh

karnā chāho jis kī ḳhushbū rab kopasand ho to sāth sāth ḍeṛh kilogrāmbehtarīn maidā bhī pesh karo jo ekliṭar zaitūn ke tel ke sāth milāyā gayāho. is meṅ koī farq nahīṅ ki yihbhasm hone wālī qurbānī, mannat kīqurbānī, dilī ḳhushī kī qurbānī yā kisīīd kī qurbānī ho.

5har bheṛ ko pesh karte waqt ekliṭar mai bhī mai kī nazar ke taur parpesh karnā. 6jab menḍhā qurbān kiyājāe to 3 kilogrām behtarīn maidā bhīsāth pesh karnā jo sawā liṭar tel kesāth milāyā gayā ho. 7sawā liṭar maibhī mai kī nazar ke taur par pesh kījāe. aisī qurbānī kī ḳhushbū rab kopasand āegī.

8agar tū rab ko bhasm hone wālīqurbānī, mannat kī qurbānī yāsalāmatī kī qurbānī ke taur par jawānbail pesh karnā chāhe 9to us ke sāthsāṛhe 4 kilogrām behtarīn maidā bhīpesh karnā jo do liṭar tel ke sāthmilāyā gayā ho. 10do liṭar mai bhī maikī nazar ke taur par pesh kī jāe. aisīqurbānī kī ḳhushbū rab ko pasandhai. 11lāzim hai ki jab bhī kisī gāy,bail, bheṛ, menḍhe, bakrī yā bakre kochaṛhāyā jāe to aisā hī kiyā jāe.

12agar ek se zāid jānwaroṅ koqurbān karnā hai to har ek ke liemuqarrarā ġhallā aur mai kī nazareṅbhī sāth hī pesh kī jāeṅ.

13lāzim hai ki har desī isrāīlī jalnewālī qurbāniyāṅ pesh karte waqt aisā

Page 242: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

242 gintī 15:30

hī kare. phir un kī ḳhushbū rabko pasand āegī. 14yih bhī lāzim haiki isrāīl meṅ ārizī yā mustaqil taurpar rahne wāle pardesī in usūloṅ kemutābiq apnī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ.phir un kī ḳhushbū rab ko pasandāegī. 15mulk-e-kan’ān meṅ rahnewāle tamām logoṅ ke lie pābandiyāṅek jaisī haiṅ, ḳhwāh wuh desī hoṅyā pardesī, kyūṅki rab kī nazarmeṅ pardesī tumhāre barābar hai.yih tumhāre aur tumhārī aulād kelie dāimī usūl hai. 16tumhāre aurtumhāre sāth rahne wāle pardesī kelie ek hī sharīat hai.”

fasal ke lie shukrguzārī kī qurbānī17rab ne mūsā se kahā, 18“isrāīliyoṅ

ko batānā ki jab tum us mulk meṅdāḳhil hoge jis meṅ maiṅ tumheṅ lejā rahā hūṅ 19aur wahāṅ kī paidāwārkhāoge to pahle us kā ek hissā uṭhānewālī qurbānī ke taur par rab ko peshkarnā. 20fasal ke pahle ḳhālis āṭe meṅse mere lie ek roṭī banā kar uṭhānewālī qurbānī ke taur par pesh karo.wuh gāhne kī jagah kī taraf se rab kelie uṭhāne wālī qurbānī hogī. 21apnīfasal ke pahle ḳhālis āṭe meṅ se yihqurbānī pesh kiyā karo. yih usūlhameshā tak lāgū rahe.

nādānistā gunāhoṅ ke lie qurbāniyāṅ22ho saktā hai ki ġhairirādī taur par

tum se ġhaltī huī hai aur tum ne un

ahkām par pūre taur par amal nahīṅkiyā jo rab mūsā ko de chukā hai23yā jo wuh āne wālī nasloṅ ko degā.24agar jamā’at is bāt se nāwāqif thīaur ġhairirādī taur par us se ġhaltīhuī to phir pūrī jamā’at ek jawānbail bhasm hone wālī qurbānī ketaur par pesh kare. sāth hī wuhmuqarrarā ġhallā aur mai kī nazareṅbhī pesh kare. is kī ḳhushbū rabko pasand hogī. is ke ilāwā jamā’atgunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā peshkare. 25imām isrāīl kī pūrī jamā’atkā kaffārā de to unheṅ muāfī milegī,kyūṅki un kā gunāh ġhairirādī thāaur unhoṅ ne rab ko bhasm hone wālīqurbānī aur gunāh kī qurbānī peshkī hai. 26isrāīliyoṅ kī pūrī jamā’atko pardesiyoṅ samet muāfī milegī,kyūṅki gunāh ġhairirādī thā.

27agar sirf ek shaḳhs se ġhairirādītaur par gunāh huā ho to gunāh kīqurbānī ke lie wuh ek yaksālā bakrīpesh kare. 28imām rab ke sāmne usshaḳhs kā kaffārā de. jab kaffārā dediyā gayā to use muāfī hāsil hogī.29yihī usūl pardesī par bhī lāgū hai.agar us se ġhairirādī taur par gunāhhuā ho to wuh muāfī hāsil karne kelie wuhī kuchh kare jo isrāīlī ko karnāhotā hai.

dānistā gunāhoṅ ke lie sazā-e-maut30lekin agar koī desī yā pardesī

jān-būjh kar gunāh kartā hai to aisā

Page 243: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 15:31 243

shaḳhs rab kī ihānat kartā hai, is lielāzim hai ki use us kī qaum meṅ semiṭāyā jāe. 31us ne rab kā kalām haqīrjān kar us ke ahkām toṛ ḍāle haiṅ, islie use zarūr qaum meṅ se miṭāyā jāe.wuh apne gunāh kā zimmādār hai.”

32jab isrāīlī registān meṅ se guzarrahe the to ek ādmī ko pakaṛā gayā johafte ke din lakaṛiyāṅ jamā kar rahāthā. 33jinhoṅ ne use pakaṛā thā wuhuse mūsā, hārūn aur pūrī jamā’at kepās le āe. 34chūṅki sāf mālūm nahīṅthā ki us ke sāth kyā kiyā jāe is lieunhoṅ ne use giriftār kar liyā.

35phir rab ne mūsā se kahā, “is ādmīko zarūr sazā-e-maut dī jāe. pūrījamā’at use ḳhaimāgāh ke bāhar lejā kar sangsār kare.” 36chunāṅchejamā’at ne use ḳhaimāgāh ke bāharle jā kar sangsār kiyā, jis tarah rab nemūsā ko hukm diyā thā.

ahkām kī yād dilāne wāle phundne37rab ne mūsā se kahā, 38“isrāīliyoṅ

ko batānā ki tum aur tumhāre bādkī nasleṅ apne libās ke kināroṅ parphundne lagāeṅ. har phundnā ekqirmizī ḍorī se libās ke sāth lagāho. 39in phundnoṅ ko dekh kartumheṅ rab ke tamām ahkām yādraheṅge aur tum un par amal karoge.phir tum apne diloṅ aur āṅkhoṅkī ġhalat ḳhwāhishoṅ ke pīchhenahīṅ paṛoge balki zinākārī se dūrrahoge. 40phir tum mere ahkām

ko yād karke un par amal karogeaur apne ḳhudā ke sāmne maḳhsūs-o-muqaddas rahoge. 41maiṅ rabtumhārā ḳhudā hūṅ jo tumheṅ misrse nikāl lāyā tāki tumhārā ḳhudā hūṅ.maiṅ rab tumhārā ḳhudā hūṅ.”

qorah, dātan aur abīrām kī sarkashī

16 1-2ek din qorah bin izhārmūsā ke ḳhilāf uṭhā. wuh

lāwī ke qabīle kā qihātī thā. us ke sāthrūbin ke qabīle ke tīn ādmī the, iliyābke beṭe dātan aur abīrām aur on binpalat. un ke sāth 250 aur ādmī bhīthe jo jamā’at ke sardār aur asar-o-rasūḳh wāle the, aur jo kaunsal ke liechune gae the. 3wuh mil kar mūsāaur hārūn ke pās ā kar kahne lage,“āp ham se ziyādatī kar rahe haiṅ.pūrī jamā’at maḳhsūs-o-muqaddashai, aur rab us ke darmiyān hai.to phir āp apne āp ko kyūṅ rab kījamā’at se baṛh kar samajhte haiṅ?”

4yih sun kar mūsā muṅh ke balgirā. 5phir us ne qorah aur us ketamām sāthiyoṅ se kahā, “kal subhrab zāhir karegā ki kaun us kā bandāaur kaun maḳhsūs-o-muqaddas hai.usī ko wuh apne pās āne degā. 6aiqorah, kal apne tamām sāthiyoṅ kesāth baḳhūrdān le kar 7rab ke sāmneun meṅ angāre aur baḳhūr ḍālo. jisādmī ko rab chunegā wuh maḳhsūs-o-muqaddas hogā. ab tum lāwī ḳhudziyādatī kar rahe ho.”

Page 244: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

244 gintī 16:27

8mūsā ne qorah se bāt jārī rakhī,“ai lāwī kī aulād, suno! 9kyā tumhārīnazar meṅ yih koī chhoṭī bāt hai kirab tumheṅ isrāīlī jamā’at ke bāqīlogoṅ se alag karke apne qarīb leāyā tāki tum rab ke maqdis meṅ aurjamā’at ke sāmne khaṛe ho kar unkī ḳhidmat karo? 10wuh tujhe aurtere sāthī lāwiyoṅ ko apne qarīb lāyāhai. lekin ab tum imām kā uhdā bhīapnānā chāhte ho. 11apne sāthiyoṅse mil kar tū ne hārūn kī nahīṅ balkirab kī muḳhālafat kī hai. kyūṅkihārūn kaun hai ki tum us ke ḳhilāfbuṛbuṛāo?”

12phir mūsā ne iliyāb ke beṭoṅdātan aur abīrām ko bulāyā. lekinunhoṅ ne kahā, “ham nahīṅ āeṅge.13āp hameṅ ek aise mulk se nikāl lāehaiṅ jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrathai tāki ham registān meṅ halāk hojāeṅ. kyā yih kāfī nahīṅ hai? kyāab āp ham par hukūmat bhī karnāchāhte haiṅ? 14na āp ne hameṅ aisemulk meṅ pahuṅchāyā jis meṅ dūdhaur shahd kī kasrat hai, na hameṅkhetoṅ aur angūr ke bāġhoṅ ke wārisbanāyā hai. kyā āp in ādmiyoṅ kīāṅkheṅ nikāl ḍāleṅge? nahīṅ, hamhargiz nahīṅ āeṅge.”

15tab mūsā nihāyat ġhusse huā. usne rab se kahā, “un kī qurbānī koqabūl na kar. maiṅ ne ek gadhā takun se nahīṅ liyā, na maiṅ ne un meṅse kisī se burā sulūk kiyā hai.”

16qorah se us ne kahā, “kal tum aurtumhāre sāthī rab ke sāmne hāzir hojāo. hārūn bhī āegā. 17har ek apnābaḳhūrdān le kar use rab ko peshkare.” 18chunāṅche har ādmī ne apnābaḳhūrdān le kar us meṅ angāre aurbaḳhūr ḍāl diyā. phir sab mūsā aurhārūn ke sāth mulāqāt ke ḳhaime kedarwāze par khaṛe hue. 19qorah nepūrī jamā’at ko darwāze par mūsā aurhārūn ke muqābale meṅ jamā kiyāthā.

achānak pūrī jamā’at par rab kājalāl zāhir huā. 20rab ne mūsā aurhārūn se kahā, 21“is jamā’at se alagho jāo tāki maiṅ ise fauran halāk kardūṅ.” 22mūsā aur hārūn muṅh ke balgire aur bol uṭhe, “ai allāh, tū tamāmjānoṅ kā ḳhudā hai. kyā terā ġhazabek hī ādmī ke gunāh ke sabab se pūrījamā’at par ān paṛegā?”

23tab rab ne mūsā se kahā,24“jamā’at ko batā de ki qorah, dātanaur abīrām ke ḍeroṅ se dūr ho jāo.”25mūsā uṭh kar dātan aur abīrām kepās gayā, aur isrāīl ke buzurg us kepīchhe chale. 26us ne jamā’at ko āgāhkiyā, “in sharīroṅ ke ḳhaimoṅ se dūrho jāo! jo kuchh bhī un ke pās haiuse na chhuo, warnā tum bhī un kesāth tabāh ho jāoge jab wuh apnegunāhoṅ ke bāis halāk hoṅge.” 27tabbāqī log qorah, dātan aur abīrām keḍeroṅ se dūr ho gae.

Page 245: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 16:28 245

dātan aur abīrām apne bāl-bachchoṅ samet apne ḳhaimoṅ senikal kar bāhar khaṛe the. 28mūsā nekahā, “ab tumheṅ patā chalegā ki rabne mujhe yih sab kuchh karne ke liebhejā hai. maiṅ apnī nahīṅ balki uskī marzī pūrī kar rahā hūṅ. 29agaryih log dūsroṅ kī tarah tabaī mautmareṅ to phir rab ne mujhe nahīṅbhejā. 30lekin agar rab aisā kām karejo pahle kabhī nahīṅ huā aur zamīnapnā muṅh khol kar unheṅ aur un kāpūrā māl haṛap kar le aur unheṅ jītejī dafnā de to is kā matlab hogā ki inādmiyoṅ ne rab ko haqīr jānā hai.”

31yih bāt kahte hī un ke nīche kīzamīn phaṭ gaī. 32us ne apnā muṅhkhol kar unheṅ, un ke ḳhāndānoṅ ko,qorah ke tamām logoṅ ko aur un kāsārā sāmān haṛap kar liyā. 33wuhapnī pūrī milkiyat samet jīte jī dafnho gae. zamīn un ke ūpar wāpas ā gaī.yūṅ unheṅ jamā’at se nikālā gayā aurwuh halāk ho gae. 34un kī chīḳheṅsun kar un ke irdgird khaṛe tamāmisrāīlī bhāg uṭhe, kyūṅki unhoṅ nesochā, “aisā na ho ki zamīn hameṅbhī nigal le.”

35usī lamhe rab kī taraf se āg utarāī aur un 250 ādmiyoṅ ko bhasm kardiyā jo baḳhūr pesh kar rahe the.36rab ne mūsā se kahā, 37“hārūn imāmke beṭe ilīazar ko ittilā de ki wuhbaḳhūrdānoṅ ko rākh meṅ se nikālkar rakhe. un ke angāre wuh dūr

phaiṅke. baḳhūrdānoṅ ko rakhne kāsabab yih hai ki ab wuh maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ. 38log un ādmiyoṅ keyih baḳhūrdān le leṅ jo apne gunāhke bāis jāṅ-ba-haq ho gae. wuhunheṅ kūṭ kar un se chādareṅ banāeṅaur unheṅ jalne wālī qurbāniyoṅ kīqurbāngāh par chaṛhāeṅ. kyūṅkiwuh rab ko pesh kie gae haiṅ, islie wuh maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ.yūṅ wuh isrāīliyoṅ ke lie ek nishānraheṅge.”

39chunāṅche ilīazar imām ne pītalke yih baḳhūrdān jamā kie jo bhasmkie hue ādmiyoṅ ne rab ko peshkie the. phir logoṅ ne unheṅkūṭ kar un se chādareṅ banāīṅ aurunheṅ qurbāngāh par chaṛhā diyā.40hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyājaisā rab ne mūsā kī mārifat batāyāthā. maqsad yih thā ki baḳhūrdānisrāīliyoṅ ko yād dilāte raheṅ ki sirfhārūn kī aulād hī ko rab ke sāmne ākar baḳhūr jalāne kī ijāzat hai. agarkoī aur aisā kare to us kā hāl qorahaur us ke sāthiyoṅ kā sā hogā.

41agle din isrāīl kī pūrī jamā’atmūsā aur hārūn ke ḳhilāf buṛbuṛānelagī. unhoṅ ne kahā, “āp ne rab kīqaum ko mār ḍālā hai.” 42lekin jabwuh mūsā aur hārūn ke muqābalemeṅ jamā hue aur mulāqāt ke ḳhaimekā ruḳh kiyā to achānak us par bādalchhā gayā aur rab kā jalāl zāhir huā.43phir mūsā aur hārūn mulāqāt ke

Page 246: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

246 gintī 17:13

ḳhaime ke sāmne āe, 44aur rab nemūsā se kahā, 45“is jamā’at se nikaljāo tāki maiṅ ise fauran halāk kardūṅ.” yih sun kar donoṅ muṅh ke balgire. 46mūsā ne hārūn se kahā, “apnābaḳhūrdān le kar us meṅ qurbāngāhke angāre aur baḳhūr ḍāleṅ. phirbhāg kar jamā’at ke pās chale jāeṅtāki un kā kaffārā deṅ. jaldī kareṅ,kyūṅki rab kā ġhazab un par ṭūṭ paṛāhai. wabā phailne lagī hai.”

47hārūn ne aisā hī kiyā. wuh dauṛkar jamā’at ke bīch meṅ gayā. logoṅmeṅ wabā shurū ho chukī thī, lekinhārūn ne rab ko baḳhūr pesh karkeun kā kaffārā diyā. 48wuh zindoṅ aurmurdoṅ ke bīch meṅ khaṛā huā towabā ruk gaī. 49to bhī 14,700 afrādwabā se mar gae. is meṅ wuh shāmilnahīṅ haiṅ jo qorah ke sabab se margae the.

50jab wabā ruk gaī to hārūn mūsāke pās wāpas āyā jo ab tak mulāqātke ḳhaime ke darwāze par khaṛā thā.

hārūn kī lāṭhī se koṅpleṅ nikaltī haiṅ

17 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ se bāt karke un

se 12 lāṭhiyāṅ mangwā le, har qabīleke sardār se ek lāṭhī. har lāṭhī par uske mālik kā nām likhnā. 3lāwī kī lāṭhīpar hārūn kā nām likhnā, kyūṅki harqabīle ke sardār ke lie ek lāṭhī hogī.4phir un ko mulāqāt ke ḳhaime meṅahd ke sandūq ke sāmne rakh jahāṅ

merī tum se mulāqāt hotī hai. 5jisādmī ko maiṅ ne chun liyā hai uskī lāṭhī se koṅpleṅ phūṭ nikleṅgī. istarah maiṅ tumhāre ḳhilāf isrāīliyoṅkī buṛbuṛāhaṭ ḳhatm kar dūṅgā.”

6chunāṅche mūsā ne isrāīliyoṅ sebāt kī, aur qabīloṅ ke har sardār neuse apnī lāṭhī dī. in 12 lāṭhiyoṅ meṅhārūn kī lāṭhī bhī shāmil thī. 7mūsāne unheṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅahd ke sandūq ke sāmne rakhā. 8agledin jab wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅdāḳhil huā to us ne dekhā ki lāwīke qabīle ke sardār hārūn kī lāṭhī sena sirf koṅpleṅ phūṭ niklī haiṅ balkiphūl aur pake hue bādām bhī lagehaiṅ.

9mūsā tamām lāṭhiyāṅ rab kesāmne se bāhar lā kar isrāīliyoṅke pās le āyā, aur unhoṅ ne un kāmuāinā kiyā. phir har ek ne apnīapnī lāṭhī wāpas le lī. 10rab nemūsā se kahā, “hārūn kī lāṭhī ahd kesandūq ke sāmne rakh de. yih bāġhīisrāīliyoṅ ko yād dilāegī ki wuh apnābuṛbuṛānā band kareṅ, warnā halākho jāeṅge.”

11mūsā ne aisā hī kiyā. 12lekinisrāīliyoṅ ne mūsā se kahā, “hāy,ham mar jāeṅge. hāy, ham halāk hojāeṅge, ham sab halāk ho jāeṅge. 13jobhī rab ke maqdis ke qarīb āe wuhmar jāegā. kyā ham sab hī halāk hojāeṅge?”

Page 247: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 18:1 247

imāmoṅ aur lāwiyoṅ kī zimmādāriyāṅ

18 rab ne hārūn se kahā,“maqdis terī, tere beṭoṅ aur

lāwī ke qabīle kī zimmādārī hai.agar is meṅ koī ġhaltī ho jāe to tumqusūrwār ṭhahroge. isī tarah imāmoṅkī ḳhidmat sirf terī aur tere beṭoṅ kīzimmādārī hai. agar is meṅ koī ġhaltīho jāe to tū aur tere beṭe qusūrwārṭhahreṅge. 2apne qabīle lāwī ke bāqīādmiyoṅ ko bhī mere qarīb āne de.wuh tere sāth mil kar yūṅ hissā leṅki wuh terī aur tere beṭoṅ kī ḳhidmatkareṅ jab tum ḳhaime ke sāmneapnī zimmādāriyāṅ nibhāoge. 3terīḳhidmat aur ḳhaime meṅ ḳhidmat unkī zimmādārī hai. lekin wuh ḳhaimeke maḳhsūs-o-muqaddas sāmān aurqurbāngāh ke qarīb na jāeṅ, warnāna sirf wuh balki tū bhī halāk hojāegā. 4yūṅ wuh tere sāth mil karmulāqāt ke ḳhaime ke pūre kām meṅhissā leṅ. lekin kisī aur ko aisā karnekī ijāzat nahīṅ hai. 5sirf tū aur terebeṭe maqdis aur qurbāngāh kī dekh-bhāl kareṅ tāki merā ġhazab dubārāisrāīliyoṅ par na bhaṛke. 6maiṅ hīne isrāīliyoṅ meṅ se tere bhāiyoṅyānī lāwiyoṅ ko chun kar tujhe tohfeke taur par diyā hai. wuh rab kelie maḳhsūs haiṅ tāki ḳhaime meṅḳhidmat kareṅ. 7lekin sirf tū aur terebeṭe imām kī ḳhidmat saranjām deṅ.maiṅ tumheṅ imām kā uhdā tohfe ketaur par detā hūṅ. koī aur qurbāngāh

aur muqaddas chīzoṅ ke nazdīk naāe, warnā use sazā-e-maut dī jāe.”

imāmoṅ kā hissā8rab ne hārūn se kahā, “maiṅ ne

ḳhud muqarrar kiyā hai ki tamāmuṭhāne wālī qurbāniyāṅ terā hissāhoṅ. yih hameshā tak qurbāniyoṅmeṅ se terā aur terī aulād kā hissāhaiṅ. 9tumheṅ muqaddastarīnqurbāniyoṅ kā wuh hissā milnā haijo jalāyā nahīṅ jātā. hāṅ, tujheaur tere beṭoṅ ko wuhī hissā milnāhai, ḳhwāh wuh mujhe ġhallā kīnazareṅ, gunāh kī qurbāniyāṅ yāqusūr kī qurbāniyāṅ pesh kareṅ.10use muqaddas jagah par khānā. harmard use khā saktā hai. ḳhayāl rakhki wuh maḳhsūs-o-muqaddas hai.

11maiṅ ne muqarrar kiyā hai kitamām hilāne wālī qurbāniyoṅ kāuṭhāyā huā hissā terā hai. yihhameshā ke lie tere aur tere beṭe-beṭiyoṅ kā hissā hai. tere gharānekā har fard use khā saktā hai. shartyih hai ki wuh pāk ho. 12jab log rabko apnī fasloṅ kā pahlā phal peshkareṅge to wuh terā hī hissā hogā.maiṅ tujhe zaitūn ke tel, naī maiaur anāj kā behtarīn hissā detā hūṅ.13fasloṅ kā jo bhī pahlā phal wuh rabko pesh kareṅge wuh terā hī hogā.tere gharāne kā har pāk fard use khāsaktā hai. 14isrāīl meṅ jo bhī chīzrab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kī gaī

Page 248: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

248 gintī 18:28

hai wuh terī hogī. 15har insān aurhar haiwān kā jo pahlauṭhā rab kopesh kiyā jātā hai wuh terā hī hai.lekin lāzim hai ki tū har insān aur harnāpāk jānwar ke pahlauṭhe kā fidyāde kar use chhuṛāe.

16jab wuh ek māh ke haiṅ to unke iwaz chāṅdī ke pāṅch sikke denā.(har sikke kā wazn maqdis ke bāṭoṅke mutābiq 11 grām ho). 17lekin gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ ke pahlebachchoṅ kā fidyā yānī muāwazāna denā. wuh maḳhsūs-o-muqaddashaiṅ. un kā ḳhūn qurbāngāh parchhiṛak denā aur un kī charbī jalādenā. aisī qurbānī rab ko pasandhogī. 18un kā gosht waise hī tumhārelie ho, jaise hilāne wālī qurbānī kāsīnā aur dahnī rān bhī tumhāre liehaiṅ.

19muqaddas qurbāniyoṅ meṅ setamām uṭhāne wālī qurbāniyāṅ terāaur tere beṭe-beṭiyoṅ kā hissā haiṅ.maiṅ ne use hameshā ke lie tujhe diyāhai. yih namak kā dāimī ahd hai jomaiṅ ne tere aur terī aulād ke sāthqāim kiyā hai.”

lāwiyoṅ kā hissā20rab ne hārūn se kahā, “tū mīrās

meṅ zamīn nahīṅ pāegā. isrāīl meṅtujhe koī hissā nahīṅ diyā jāegā,kyūṅki isrāīliyoṅ ke darmiyān maiṅhī terā hissā aur terī mīrās hūṅ.21apnī paidāwār kā jo daswāṅ hissā

isrāīlī mujhe dete haiṅ wuh maiṅlāwiyoṅ ko detā hūṅ. yih un kīwirāsat hai, jo unheṅ mulāqāt keḳhaime meṅ ḳhidmat karne ke badlemeṅ miltī hai. 22ab se isrāīlī mulāqātke ḳhaime ke qarīb na āeṅ, warnāunheṅ apnī ḳhatā kā natījā bardāshtkarnā paṛegā aur wuh halāk hojāeṅge. 23sirf lāwī mulāqāt ke ḳhaimemeṅ ḳhidmat kareṅ. agar is meṅkoī ġhaltī ho jāe to wuhī qusūrwārṭhahreṅge. yih ek dāimī usūl hai.unheṅ isrāīl meṅ mīrās meṅ zamīnnahīṅ milegī. 24kyūṅki maiṅ neunheṅ wuhī daswāṅ hissā mīrās ketaur par diyā hai jo isrāīlī mujheuṭhāne wālī qurbānī ke taur par peshkarte haiṅ. is wajah se maiṅ neun ke bāre meṅ kahā ki unheṅ bāqīisrāīliyoṅ ke sāth mīrās meṅ zamīnnahīṅ milegī.”

lāwiyoṅ kā daswāṅ hissā25rab ne mūsā se kahā, 26“lāwiyoṅ

ko batānā ki tumheṅ isrāīliyoṅ kīpaidāwār kā daswāṅ hissā milegā.yih rab kī taraf se tumhārī wirāsathogī. lāzim hai ki tum is kā daswāṅhissā rab ko uṭhāne wālī qurbānī ketaur par pesh karo. 27tumhārī yihqurbānī nae anāj yā nae angūr ke raskī qurbānī ke barābar qarār dī jāegī.28is tarah tum bhī rab ko isrāīliyoṅkī paidāwār ke dasweṅ hisse meṅ seuṭhāne wālī qurbānī pesh karoge. rab

Page 249: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 18:29 249

ke lie yih qurbānī hārūn imām kodenā. 29jo bhī tumheṅ milā hai usmeṅ se sab se achchhā aur muqaddashissā rab ko denā. 30jab tum is kāsab se achchhā hissā pesh karoge touse nae anāj yā nae angūr ke ras kīqurbānī ke barābar qarār diyā jāegā.31tum apne gharānoṅ samet is kā bāqīhissā kahīṅ bhī khā sakte ho, kyūṅkiyih mulāqāt ke ḳhaime meṅ tumhārīḳhidmat kā ajr hai. 32agar tum nepahle is kā behtarīn hissā pesh kiyāho to phir ise khāne meṅ tumhārākoī qusūr nahīṅ hogā. phir isrāīliyoṅkī maḳhsūs-o-muqaddas qurbāniyāṅtum se nāpāk nahīṅ ho jāeṅgī aur tumnahīṅ maroge.”

surḳh gāy kī rākh

19 rab ne mūsā aur hārūn sekahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā

ki wuh tumhāre pās surḳh rang kījawān gāy le kar āeṅ. us meṅ nuqs naho aur us par kabhī jūā na rakhā gayāho. 3tum use ilīazar imām ko denā jouse ḳhaime ke bāhar le jāe. wahāṅuse us kī maujūdagī meṅ zabah kiyājāe. 4phir ilīazar imām apnī unglī seus ke ḳhūn se kuchh le kar mulāqāt keḳhaime ke sāmne wāle hisse kī tarafchhiṛke. 5us kī maujūdagī meṅ pūrīkī pūrī gāy ko jalāyā jāe. us kī khāl,gosht, ḳhūn aur antaṛiyoṅ kā gobarbhī jalāyā jāe. 6phir wuh deodār kīlakaṛī, zūfā aur qirmizī rang kā dhāgā

le kar use jaltī huī gāy par phaiṅke.7is ke bād wuh apne kapṛoṅ ko dhokar nahā le. phir wuh ḳhaimāgāhmeṅ ā saktā hai lekin shām tak nāpākrahegā.

8jis ādmī ne gāy ko jalāyā wuh bhīapne kapṛoṅ ko dho kar nahā le. wuhbhī shām tak nāpāk rahegā.

9ek dūsrā ādmī jo pāk hai gāykī rākh ikaṭṭhī karke ḳhaimāgāh kebāhar kisī pāk jagah par ḍāl de.wahāṅ isrāīl kī jamā’at use nāpākīdūr karne kā pānī tayyār karne kelie mahfūz rakhe. yih gunāh se pākkarne ke lie istemāl hogā. 10jis ādmīne rākh ikaṭṭhī kī hai wuh bhī apnekapṛoṅ ko dho le. wuh bhī shām taknāpāk rahegā. yih isrāīliyoṅ aur unke darmiyān rahne wāle pardesiyoṅke lie dāimī usūl ho.

lāsh chhūne se pāk ho jāne kā tarīqā11jo bhī lāsh chhue wuh sāt din tak

nāpāk rahegā. 12tīsre aur sātweṅ dinwuh apne āp par nāpākī dūr karne kāpānī chhiṛak kar pāk-sāf ho jāe. iske bād hī wuh pāk hogā. lekin agarwuh in donoṅ dinoṅ meṅ apne āp koyūṅ pāk na kare to nāpāk rahegā. 13jobhī lāsh chhū kar apne āp ko yūṅ pāknahīṅ kartā wuh rab ke maqdis konāpāk kartā hai. lāzim hai ki use isrāīlmeṅ se miṭāyā jāe. chūṅki nāpākī dūrkarne kā pānī us par chhiṛkā nahīṅgayā is lie wuh nāpāk rahegā.

Page 250: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

250 gintī 20:8

14agar koī ḍere meṅ mar jāe to jobhī us waqt us meṅ maujūd ho yādāḳhil ho jāe wuh sāt din tak nāpākrahegā. 15har khulā bartan jo ḍhaknese band na kiyā gayā ho wuh bhīnāpāk hogā. 16isī tarah jo khulemaidān meṅ lāsh chhue wuh bhī sātdin tak nāpāk rahegā, ḳhwāh wuhtalwār se yā tabaī maut marā ho. joinsān kī koī haḍḍī yā qabr chhue wuhbhī sāt din tak nāpāk rahegā.

17nāpākī dūr karne ke lie us surḳhrang kī gāy kī rākh meṅ se kuchh lenājo gunāh dūr karne ke lie jalāī gaī thī.use bartan meṅ ḍāl kar tāzā pānī meṅmilānā. 18phir koī pāk ādmī kuchhzūfā le aur use us pānī meṅ ḍubo karmare hue shaḳhs ke ḳhaime, us kesāmān aur un logoṅ par chhiṛke jo uske marte waqt wahāṅ the. isī tarahwuh pānī us shaḳhs par bhī chhiṛkejis ne tabaī yā ġhairtabaī maut marehue shaḳhs ko, kisī insān kī haḍḍīko yā koī qabr chhūī ho. 19pāk ādmīyih pānī tīsre aur sātweṅ din nāpākshaḳhs par chhiṛke. sātweṅ din wuhuse pāk kare. jise pāk kiyā jā rahā haiwuh apne kapṛe dho kar nahā le towuh usī shām pāk hogā.

20lekin jo nāpāk shaḳhs apne āpko pāk nahīṅ kartā use jamā’at meṅse miṭānā hai, kyūṅki us ne rab kāmaqdis nāpāk kar diyā hai. nāpākīdūr karne kā pānī us par nahīṅchhiṛkā gayā, is lie wuh nāpāk rahā

hai. 21yih un ke lie dāimī usūl hai.jis ādmī ne nāpākī dūr karne kā pānīchhiṛkā hai wuh bhī apne kapṛe dhoe.balki jis ne bhī yih pānī chhuā haishām tak nāpāk rahegā. 22aur nāpākshaḳhs jo bhī chīz chhue wuh nāpākho jātī hai. na sirf yih balki jo bādmeṅ yih nāpāk chīz chhue wuh bhīshām tak nāpāk rahegā.”

chaṭān se pānī

20 pahle mahīne meṅ isrāīl kīpūrī jamā’at dasht-e-sīn meṅ

pahuṅch kar qādis meṅ rahne lagī.wahāṅ mariyam ne wafāt pāī aurwahīṅ use dafnāyā gayā.

2qādis meṅ pānī dastyāb nahīṅ thā,is lie log mūsā aur hārūn ke muqābalemeṅ jamā hue. 3wuh mūsā se yih kahkar jhagaṛne lage, “kāsh ham apnebhāiyoṅ ke sāth rab ke sāmne margae hote! 4āp rab kī jamā’at ko kyūṅis registān meṅ le āe? kyā is lie kiham yahāṅ apne maweshiyoṅ sametmar jāeṅ? 5āp hameṅ misr se nikālkar us nāḳhushgawār jagah par kyūṅle āe haiṅ? yahāṅ na to anāj, na anjīr,angūr yā anār dastyāb haiṅ. pānī bhīnahīṅ hai!”

6mūsā aur hārūn logoṅ ko chhoṛkar mulāqāt ke ḳhaime ke darwāzepar gae aur muṅh ke bal gire. tabrab kā jalāl un par zāhir huā. 7rabne mūsā se kahā, 8“ahd ke sandūqke sāmne paṛī lāṭhī pakaṛ kar hārūn

Page 251: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 20:9 251

ke sāth jamā’at ko ikaṭṭhā kar. unke sāmne chaṭān se bāt karo to wuhapnā pānī degī. yūṅ tū chaṭān meṅ sejamā’at ke lie pānī nikāl kar unheṅ unke maweshiyoṅ samet pānī pilāegā.”

9mūsā ne aisā hī kiyā. us ne ahdke sandūq ke sāmne paṛī lāṭhī uṭhāī10aur hārūn ke sāth jamā’at ko chaṭānke sāmne ikaṭṭhā kiyā. mūsā ne un sekahā, “ai baġhāwat karne wālo, suno!kyā ham is chaṭān meṅ se tumhārelie pānī nikāleṅ?” 11us ne lāṭhī kouṭhā kar chaṭān ko do martabā mārāto bahut sā pānī phūṭ niklā. jamā’ataur un ke maweshiyoṅ ne ḳhūb pānīpiyā.

12lekin rab ne mūsā aur hārūn sekahā, “tumhārā mujh par itnā īmānnahīṅ thā ki merī quddūsiyat koisrāīliyoṅ ke sāmne qāim rakhte. islie tum us jamā’at ko us mulk meṅnahīṅ le jāoge jo maiṅ unheṅ dūṅgā.”

13yih wāqiā marībā yānī ‘jhagaṛnā’ke pānī par huā. wahāṅ isrāīliyoṅ nerab se jhagaṛā kiyā, aur wahāṅ us neun par zāhir kiyā ki wuh quddūs hai.

adom isrāīl ko guzarne nahīṅ detā14qādis se mūsā ne adom ke

bādshāh ko ittilā bhejī, “āp ke bhāīisrāīl kī taraf se ek guzārish hai. āp koun tamām musībatoṅ ke bāre meṅ ilmhai jo ham par ān paṛī haiṅ. 15hamārebāpdādā misr gae the aur wahāṅham bahut arse tak rahe. misriyoṅ

ne hamāre bāpdādā aur ham se burāsulūk kiyā. 16lekin jab ham ne chillākar rab se minnat kī to us ne hamārīsunī aur farishtā bhej kar hameṅ misrse nikāl lāyā. ab ham yahāṅ qādisshahr meṅ haiṅ jo āp kī sarhad parhai. 17mehrbānī karke hameṅ apnemulk meṅ se guzarne deṅ. ham kisīkhet yā angūr ke bāġh meṅ nahīṅjāeṅge, na kisī kueṅ kā pānī pieṅge.ham shāhrāh par hī raheṅge. āp kemulk meṅ se guzarte hue ham us sena dāīṅ aur na bāīṅ taraf haṭeṅge.”

18lekin adomiyoṅ ne jawāb diyā,“yahāṅ se na guzarnā, warnā hamnikal kar āp se laṛeṅge.” 19isrāīl nedubārā ḳhabar bhejī, “ham shāhrāhpar rahte hue guzareṅge. agarhameṅ yā hamāre jānwaroṅ ko pānīkī zarūrat huī to paise de kar ḳharīdleṅge. ham paidal hī guzarnā chāhtehaiṅ, aur kuchh nahīṅ chāhte.”

20lekin adomiyoṅ ne dubārā inkārkiyā. sāth hī unhoṅ ne un ke sāthlaṛne ke lie ek baṛī aur tāqatwar faujbhejī.

21chūṅki adom ne unheṅ guzarnekī ijāzat na dī is lie isrāīlī muṛ kardūsre rāste se chale gae.

hārūn kī wafāt22isrāīl kī pūrī jamā’at qādis se

rawānā ho kar hor pahāṛ ke pāspahuṅchī. 23yih pahāṛ adom kīsarhad par wāqe thā. wahāṅ rab ne

Page 252: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

252 gintī 21:11

mūsā aur hārūn se kahā, 24“hārūnab kūch karke apne bāpdādā se jāmilegā. wuh us mulk meṅ dāḳhilnahīṅ hogā jo maiṅ isrāīliyoṅ kodūṅgā, kyūṅki tum donoṅ ne marībāke pānī par mere hukm kī ḳhilāfwarzīkī. 25hārūn aur us ke beṭe ilīazar kole kar hor pahāṛ par chaṛh jā. 26hārūnke kapṛe utār kar us ke beṭe ilīazar kopahnā denā. phir hārūn kūch karkeapne bāpdādā se jā milegā.”

27mūsā ne aisā hī kiyā jaisā rab nekahā. tīnoṅ pūrī jamā’at ke deḳhtedeḳhte hor pahāṛ par chaṛh gae.28mūsā ne hārūn ke kapṛe utarwā karus ke beṭe ilīazar ko pahnā die. phirhārūn wahāṅ pahāṛ kī choṭī par fauthuā, aur mūsā aur ilīazar nīche utargae. 29jab pūrī jamā’at ko mālūm huāki hārūn intiqāl kar gayā hai to sab ne30 din tak us ke lie mātam kiyā.

kan’ānī mulk-e-arād par fath

21 dasht-e-najab ke kan’ānīmulk arād ke bādshāh ko

ḳhabar milī ki isrāīlī athārim kī tarafbaṛh rahe haiṅ. us ne un par hamlākiyā aur kaī ek ko pakaṛ kar qaidkar liyā. 2tab isrāīliyoṅ ne rab kesāmne mannat mān kar kahā, “agartū hameṅ un par fath degā to hamunheṅ un ke shahroṅ samet tabāhkar deṅge.” 3rab ne un kī sunīaur kan’āniyoṅ par fath baḳhshī.isrāīliyoṅ ne unheṅ un ke shahroṅ

samet pūrī tarah tabāh kar diyā. is lieus jagah kā nām hurmā yānī tabāhīpaṛ gayā.

pītal kā sāṅp4hor pahāṛ se rawānā ho kar wuh

bahr-e-qulzum kī taraf chal die tākiadom ke mulk meṅ se guzarnā napaṛe. lekin chalte chalte log besabarho gae. 5wuh rab aur mūsā ke ḳhilāfbāteṅ karne lage, “āp hameṅ misrse nikāl kar registān meṅ marne kelie kyūṅ le āe haiṅ? yahāṅ na roṭīdastyāb hai na pānī. hameṅ is ghaṭiyāqism kī ḳhurāk se ghin ātī hai.”

6tab rab ne un ke darmiyān zahrīlesāṅp bhej die jin ke kāṭne se bahut selog mar gae. 7phir log mūsā ke pās āe.unhoṅ ne kahā, “ham ne rab aur āpke ḳhilāf bāteṅ karte hue gunāh kiyā.hamārī sifārish kareṅ ki rab ham sesāṅp dūr kar de.”

mūsā ne un ke lie duā kī 8to rab nemūsā se kahā, “ek sāṅp banā kar usekhambe se laṭkā de. jo bhī ḍasā gayāho wuh use dekh kar bach jāegā.”9chunāṅche mūsā ne pītal kā ek sāṅpbanāyā aur khambā khaṛā karke sāṅpko us se laṭkā diyā. aur aisā huā ki jisebhī ḍasā gayā thā wuh pītal ke sāṅppar nazar karke bach gayā.

moāb kī taraf safar10isrāīlī rawānā hue aur obot meṅ

apne ḳhaime lagāe. 11phir wahāṅ

Page 253: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 21:12 253

se kūch karke ayye-abārīm meṅ ḍereḍāle, us registān meṅ jo mashriq kītaraf moāb ke sāmne hai. 12wahāṅse rawānā ho kar wuh wādī-e-ziradmeṅ ḳhaimāzan hue. 13jab wādī-e-zirad se rawānā hue to daryā-e-arnon ke parle yānī junūbī kinārepar ḳhaimāzan hue. yih daryāregistān meṅ hai aur amoriyoṅ keilāqe se nikaltā hai. yih amoriyoṅ aurmoābiyoṅ ke darmiyān kī sarhad hai.14is kā zikr kitāb ‘rab kī jangeṅ’ meṅbhī hai,

“wāheb jo sūfā meṅ hai, daryā-e-arnon kī wādiyāṅ 15aur wādiyoṅ kāwuh ḍhalān jo ār shahr tak jātā haiaur moāb kī sarhad par wāqe hai.”

16wahāṅ se wuh bair yānī ‘kuāṅ’pahuṅche. yih wuhī bair hai jahāṅrab ne mūsā se kahā, “logoṅ koikaṭṭhā kar to maiṅ unheṅ pānīdūṅgā.” 17us waqt isrāīliyoṅ ne yih gītgāyā,

“ai kueṅ, phūṭ nikal! us ke bāremeṅ gīt gāo,

18us kueṅ ke bāre meṅ jise sardāroṅne khodā, jise qaum ke rāhnumāoṅne asā-e-shāhī aur apnī lāṭhiyoṅ sekhodā.”

phir wuh registān se mattanā kogae. 19mattanā se nahlī’el ko aurnahlī’el se bāmāt ko. 20bāmāt se wuhmoābiyoṅ ke ilāqe kī us wādī meṅpahuṅche jo pisgā pahāṛ ke dāmanmeṅ hai. is pahāṛ kī choṭī se wādī-

e-yardan kā junūbī hissā yashīmonḳhūb nazar ātā hai.

sīhon aur oj kī shikast21isrāīl ne amoriyoṅ ke bādshāh

sīhon ko ittilā bhejī, 22“hameṅ apnemulk meṅ se guzarne deṅ. ham sīdhesīdhe guzar jāeṅge. na ham koī khetyā angūr kā bāġh chheṛeṅge, na kisīkueṅ kā pānī pieṅge. ham āp ke mulkmeṅ se sīdhe guzarte hue shāhrāh parhī raheṅge.” 23lekin sīhon ne unheṅguzarne na diyā balki apnī fauj jamākarke isrāīl se laṛne ke lie registānmeṅ chal paṛā. yahaz pahuṅch karus ne isrāīliyoṅ se jang kī. 24lekinisrāīliyoṅ ne use qatl kiyā aur daryā-e-arnon se le kar daryā-e-yabboq takyānī ammoniyoṅ kī sarhad tak us kemulk par qabzā kar liyā. wuh is seāge na jā sake kyūṅki ammoniyoṅ neapnī sarhad kī hisārbandī kar rakhīthī. 25isrāīlī tamām amorī shahroṅpar qabzā karke un meṅ rahne lage.un meṅ hasbon aur us ke irdgird kīābādiyāṅ shāmil thīṅ.

26hasbon amorī bādshāh sīhon kādār-ul-hukūmat thā. us ne moāb kepichhle bādshāh se laṛ kar us se yihilāqā daryā-e-arnon tak chhīn liyāthā. 27us wākie kā zikr shāirī meṅyūṅ kiyā gayā hai,

“hasbon ke pās ā kar use az sar-e-nau tāmīr karo, sīhon ke shahr ko azsar-e-nau qāim karo.

Page 254: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

254 gintī 22:6

28hasbon se āg niklī, sīhon ke shahrse sholā bhaṛkā. us ne moāb ke shahrār ko jalā diyā, arnon kī bulandiyoṅke mālikoṅ ko bhasm kiyā.

29ai moāb, tujh par afsos! ai kamosdewatā kī qaum, tū halāk huī hai.kamos ne apne beṭoṅ ko mafrūr aurapnī beṭiyoṅ ko amorī bādshāh sīhonkī qaidī banā diyā hai.

30lekin jab ham ne amoriyoṅ par tīrchalāe to hasbon kā ilāqā dībon takbarbād huā. ham ne nufah tak sabkuchh tabāh kiyā, wuh nufah jis kāilāqā mīdabā tak hai.”

31yūṅ isrāīl amoriyoṅ ke mulk meṅābād huā. 32wahāṅ se mūsā ne apnejāsūs yāzer shahr bheje. wahāṅ bhīamorī rahte the. isrāīliyoṅ ne yāzeraur us ke irdgird ke shahroṅ par bhīqabzā kiyā aur wahāṅ ke amoriyoṅko nikāl diyā.

33is ke bād wuh muṛ kar basan kītaraf baṛhe. tab basan kā bādshāh ojapnī tamām fauj le kar un se laṛne kelie shahr idraī āyā. 34us waqt rab nemūsā se kahā, “oj se na ḍarnā. maiṅuse, us kī tamām fauj aur us kā mulktere hawāle kar chukā hūṅ. us ke sāthwuhī sulūk kar jo tū ne amoriyoṅ kebādshāh sīhon ke sāth kiyā, jis kā dār-ul-hukūmat hasbon thā.” 35isrāīliyoṅne oj, us ke beṭoṅ aur tamām fauj kohalāk kar diyā. koī bhī na bachā. phirunhoṅ ne basan ke mulk par qabzākar liyā.

balaq bal’ām ko isrāīl par lānat

bhejne ke lie bulātā hai

22 is ke bād isrāīlī moāb kemaidānoṅ meṅ pahuṅch

kar daryā-e-yardan ke mashriqīkināre par yarīhū ke āmne-sāmneḳhaimāzan hue.

2moāb ke bādshāh balaq bin saforko mālūm huā ki isrāīliyoṅ neamoriyoṅ ke sāth kyā kuchh kiyāhai. 3moābiyoṅ ne yih bhī dekhāki isrāīlī bahut zyādā haiṅ, is lieun par dahshat chhā gaī. 4unhoṅne midiyāniyoṅ ke buzurgoṅ se bātkī, “ab yih hujūm us tarah hamāreirdgird kā ilāqā chaṭ kar jāegā jistarah bail maidān kī ghās chaṭ karjātā hai.”

5tab balaq ne apne qāsid fator shahrko bheje jo daryā-e-furāt par wāqethā aur jahāṅ bal’ām bin baor apnewatan meṅ rahtā thā. qāsid usebulāne ke lie us ke pās pahuṅche auruse balaq kā paiġhām sunāyā, “ekqaum misr se nikal āī hai jo rū-e-zamīn par chhā kar mere qarīb hīābād huī hai. 6is lie āeṅ aur in logoṅpar lānat bhejeṅ, kyūṅki wuh mujhse zyādā tāqatwar haiṅ. phir shāyadmaiṅ unheṅ shikast de kar mulk sebhagā sakūṅ. kyūṅki maiṅ jāntā hūṅki jinheṅ āp barkat dete haiṅ unheṅbarkat miltī hai aur jin par āp lānatbhejte haiṅ un par lānat ātī hai.”

Page 255: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 22:7 255

7yih paiġhām le kar moāb aurmidiyān ke buzurg rawānā hue. unke pās in’ām ke paise the. bal’āmke pās pahuṅch kar unhoṅ ne usebalaq kā paiġhām sunāyā. 8bal’ām nekahā, “rāt yahāṅ guzāreṅ. kal maiṅāp ko batā dūṅgā ki rab is ke bāre meṅkyā farmātā hai.” chunāṅche moābīsardār us ke pās ṭhahar gae.

9rāt ke waqt allāh bal’ām par zāhirhuā. us ne pūchhā, “yih ādmī kaunhaiṅ jo tere pās āe haiṅ?” 10bal’āmne jawāb diyā, “moāb ke bādshāhbalaq bin safor ne mujhe paiġhāmbhejā hai, 11‘jo qaum misr se nikal āīhai wuh rū-e-zamīn par chhā gaī hai.is lie āeṅ aur mere lie un par lānatbhejeṅ. phir shāyad maiṅ un se laṛkar unheṅ bhagā dene meṅ kāmyābho jāūṅ’.” 12rab ne bal’ām se kahā, “unke sāth na jānā. tujhe un par lānatbhejne kī ijāzat nahīṅ hai, kyūṅki unpar merī barkat hai.”

13aglī subh bal’ām jāg uṭhā to usne balaq ke sardāroṅ se kahā, “apnewatan wāpas chale jāeṅ, kyūṅki rabne mujhe āp ke sāth jāne kī ijāzatnahīṅ dī.” 14chunāṅche moābī sardārḳhālī hāth balaq ke pās wāpas āe.unhoṅ ne kahā, “bal’ām hamāre sāthāne se inkār kartā hai.” 15tab balaqne aur sardār bheje jo pahle wāloṅkī nisbat tādād aur uhde ke lihāz sezyādā the. 16wuh bal’ām ke pās jākar kahne lage, “balaq bin safor kahte

haiṅ ki koī bhī bāt āp ko mere pāsāne se na roke, 17kyūṅki maiṅ āp kobaṛā in’ām dūṅgā. āp jo bhī kaheṅgemaiṅ karne ke lie tayyār hūṅ. āeṅ tosahī aur mere lie un logoṅ par lānatbhejeṅ.”

18lekin bal’ām ne jawāb diyā, “agarbalaq apne mahal ko chāṅdī aur sonese bhar kar bhī mujhe de to bhīmaiṅ rab apne ḳhudā ke farmān kīḳhilāfwarzī nahīṅ kar saktā, ḳhwāhbāt chhoṭī ho yā baṛī. 19āp dūsresardāroṅ kī tarah rāt yahāṅ guzāreṅ.itne meṅ maiṅ mālūm karūṅga ki rabmujhe mazīd kyā kuchh batātā hai.”

20us rāt allāh bal’ām par zāhir huāaur kahā, “chūṅki yih ādmī tujhebulāne āe haiṅ is lie un ke sāth chalājā. lekin sirf wuhī kuchh karnā jomaiṅ tujhe batāūṅgā.”

bal’ām kī gadhī21subh ko bal’ām ne uṭh kar

apnī gadhī par zīn kasā aur moābīsardāroṅ ke sāth chal paṛā. 22lekinallāh nihāyat ġhusse huā ki wuhjā rahā hai, is lie us kā farishtā uskā muqābalā karne ke lie rāste meṅkhaṛā ho gayā. bal’ām apnī gadhīpar sawār thā aur us ke do naukar uske sāth chal rahe the. 23jab gadhī nedekhā ki rab kā farishtā apne hāthmeṅ talwār thāme hue rāste meṅkhaṛā hai to wuh rāste se haṭ kar

Page 256: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

256 gintī 22:38

khet meṅ chalne lagī. bal’ām usemārte mārte rāste par wāpas le āyā.

24phir wuh angūr ke do bāġhoṅke darmiyān se guzarne lage. rāstātang thā, kyūṅki wuh donoṅ tarafbāġhoṅ kī chārdīwārī se band thā.ab rab kā farishtā wahāṅ khaṛā huā.25gadhī yih dekh kar chārdīwārī kesāth sāth chalne lagī, aur bal’ām kāpāoṅ kuchlā gayā. us ne use dubārāmārā.

26rab kā farishtā āge niklā aur tīsrīmartabā rāste meṅ khaṛā ho gayā. abrāste se haṭ jāne kī koī gunjāish nahīṅthī, na dāīṅ taraf aur na bāīṅ taraf.27jab gadhī ne rab kā farishtā dekhāto wuh leṭ gaī. bal’ām ko ġhussā āgayā, aur us ne use apnī lāṭhī se ḳhūbmārā.

28tab rab ne gadhī ko bolne diyā,aur us ne bal’ām se kahā, “maiṅ neāp se kyā ġhalat sulūk kiyā hai ki āpmujhe ab tīsrī dafā pīṭ rahe haiṅ?”29bal’ām ne jawāb diyā, “tū ne mujhebewuqūf banāyā hai! kāsh mere hāthmeṅ talwār hotī to maiṅ abhī tujhezabah kar detā!” 30gadhī ne bal’āmse kahā, “kyā maiṅ āp kī gadhī nahīṅhūṅ jis par āp āj tak sawār hote rahehaiṅ? kyā mujhe kabhī aisā karne kīādat thī?” us ne kahā, “nahīṅ.”

31phir rab ne bal’ām kī āṅkheṅkholīṅ aur us ne rab ke farishte kodekhā jo ab tak hāth meṅ talwārthāme hue rāste meṅ khaṛā thā.

bal’ām ne muṅh ke bal gir kar sijdākiyā. 32rab ke farishte ne pūchhā, “tūne tīn bār apnī gadhī ko kyūṅ pīṭā?maiṅ tere muqābale meṅ āyā hūṅ,kyūṅki jis taraf tū baṛh rahā hai us kāanjām burā hai. 33gadhī tīn martabāmujhe dekh kar merī taraf se haṭ gaī.agar wuh na haṭtī to tū us waqt halākho gayā hotā agarche maiṅ gadhī kochhoṛ detā.”

34bal’ām ne rab ke farishte sekahā, “maiṅ ne gunāh kiyā hai.mujhe mālūm nahīṅ thā ki tū meremuqābale meṅ rāste meṅ khaṛā hai.lekin agar merā safar tujhe burā lageto maiṅ ab wāpas chalā jāūṅgā.” 35rabke farishte ne kahā, “in ādmiyoṅ kesāth apnā safar jārī rakh. lekin sirfwuhī kuchh kahnā jo maiṅ tujhebatāūṅgā.” chunāṅche bal’ām nebalaq ke sardāroṅ ke sāth apnā safarjārī rakhā.

36jab balaq ko ḳhabar milī ki bal’āmā rahā hai to wuh us se milne ke liemoāb ke us shahr tak gayā jo moāb kīsarhad daryā-e-arnon par wāqe hai.37us ne bal’ām se kahā, “kyā maiṅne āp ko ittilā nahīṅ bhejī thī ki āpzarūr āeṅ? āp kyūṅ nahīṅ āe? kyāāp ne sochā ki maiṅ āp ko munāsibin’ām nahīṅ de pāūṅgā?” 38bal’āmne jawāb diyā, “baharhāl ab maiṅpahuṅch gayā hūṅ. lekin maiṅ sirfwuhī kuchh kah saktā hūṅ jo allāh

Page 257: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 22:39 257

ne pahle hī mere muṅh meṅ ḍāl diyāhai.”

39phir bal’ām balaq ke sāth qiryat-husāt gayā. 40wahāṅ balaq ne gāy-bail aur bheṛ-bakriyāṅ qurbān karkeun ke gosht meṅ se bal’ām aur us kesāth wāle sardāroṅ ko de diyā. 41aglīsubh balaq bal’ām ko sāth le kar ekūṅchī jagah par chaṛh gayā jis kānām bāmot-bāl thā. wahāṅ se isrāīlīḳhaimāgāh kā kinārā nazar ātā thā.

bal’ām kī pahlī barkat

23 bal’ām ne kahā, “yahāṅ merelie sāt qurbāngāheṅ banāeṅ.

sāth sāth mere lie sāt bail aur sātmenḍhe tayyār kar rakheṅ.” 2balaqne aisā hī kiyā, aur donoṅ ne milkar har qurbāngāh par ek bail aur ekmenḍhā chaṛhāyā. 3phir bal’ām nebalaq se kahā, “yahāṅ apnī qurbānīke pās khaṛe raheṅ. maiṅ kuchhfāsile par jātā hūṅ, shāyad rab mujhse milne āe. jo kuchh wuh mujh parzāhir kare maiṅ āp ko batā dūṅgā.”

yih kah kar wuh ek ūṅche maqāmpar chalā gayā jo hariyālī se bilkulmahrūm thā. 4wahāṅ allāh bal’āmse milā. bal’ām ne kahā, “maiṅ nesāt qurbāngāheṅ tayyār karke harqurbāngāh par ek bail aur ek menḍhāqurbān kiyā hai.” 5tab rab ne usebalaq ke lie paiġhām diyā aur kahā,“balaq ke pās wāpas jā aur use yihpaiġhām sunā.” 6bal’ām balaq ke pās

wāpas āyā jo ab tak moābī sardāroṅke sāth apnī qurbānī ke pās khaṛā thā.7bal’ām bol uṭhā,

“balaq mujhe arām se yahāṅlāyā hai, moābī bādshāh ne mujhemashriqī pahāṛoṅ se bulā kar kahā,‘āo, yāqūb par mere lie lānat bhejo.āo, isrāīl ko badduā do.’

8maiṅ kis tarah un par lānat bhejūṅjin par allāh ne lānat nahīṅ bhejī?maiṅ kis tarah unheṅ badduā dūṅjinheṅ rab ne badduā nahīṅ dī?

9maiṅ unheṅ chaṭānoṅ kī choṭīse deḳhtā hūṅ, pahāṛiyoṅ se un kāmushāhadā kartā hūṅ. wāqaī yih ekaisī qaum hai jo dūsroṅ se alag rahtīhai. yih apne āp ko dūsrī qaumoṅ semumtāz samajhtī hai.

10kaun yāqūb kī aulād ko gin saktāhai jo gard kī mānind beshumār hai.kaun isrāīliyoṅ kā chauthā hissā bhīgin saktā hai? rab kare ki maiṅrāstbāzoṅ kī maut marūṅ, ki merāanjām un ke anjām jaisā achchhā ho.”

11balaq ne bal’ām se kahā, “āp nemere sāth kyā kiyā hai? maiṅ āpko apne dushmanoṅ par lānat bhejneke lie lāyā aur āp ne unheṅ achchhī-ḳhāsī barkat dī hai.” 12bal’ām nejawāb diyā, “kyā lāzim nahīṅ ki maiṅwuhī kuchh bolūṅ jo rab ne batāne kokahā hai?”

Page 258: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

258 gintī 23:29

bal’ām kī dūsrī barkat13phir balaq ne us se kahā, “āeṅ,

ham ek aur jagah jāeṅ jahāṅ se āpisrāīlī qaum ko dekh sakeṅge, goun kī ḳhaimāgāh kā sirf kinārā hīnazar āegā. āp sab ko nahīṅ dekhsakeṅge. wahīṅ se un par merelie lānat bhejeṅ.” 14yih kah karwuh us ke sāth pisgā kī choṭī parchaṛh kar pahredāroṅ ke maidān takpahuṅch gayā. wahāṅ bhī us ne sātqurbāngāheṅ banā kar har ek parek bail aur ek menḍhā qurbān kiyā.15bal’ām ne balaq se kahā, “yahāṅapnī qurbāngāh ke pās khaṛe raheṅ.maiṅ kuchh fāsile par jā kar rab semilūṅgā.”

16rab bal’ām se milā. us ne usebalaq ke lie paiġhām diyā aur kahā,“balaq ke pās wāpas jā aur use yihpaiġhām sunā de.” 17wuh wāpas chalāgayā. balaq ab tak apne sardāroṅke sāth apnī qurbānī ke pās khaṛāthā. us ne us se pūchhā, “rab ne kyākahā?” 18bal’ām ne kahā, “ai balaq,uṭho aur suno. ai safor ke beṭe, merībāt par ġhaur karo.

19allāh ādmī nahīṅ jo jhūṭ boltā hai.wuh insān nahīṅ jo koī faislā karkebād meṅ pachhtāe. kyā wuh kabhīapnī bāt par amal nahīṅ kartā? kyāwuh kabhī apnī bāt pūrī nahīṅ kartā?

20mujhe barkat dene ko kahā gayāhai. us ne barkat dī hai aur maiṅ yihbarkat rok nahīṅ saktā.

21yāqūb ke gharāne meṅ ḳharābīnazar nahīṅ ātī, isrāīl meṅ dukhdikhāī nahīṅ detā. rab us kā ḳhudāus ke sāth hai, aur qaum bādshāh kīḳhushī meṅ nāre lagātī hai.

22allāh unheṅ misr se nikāl lāyā,aur unheṅ janglī bail kī tāqat hāsilhai.

23yāqūb ke gharāne ke ḳhilāfjādūgarī nākām hai, isrāīl ke ḳhilāfġhaibdānī befāidā hai. ab yāqūb kegharāne se kahā jāegā, ‘allāh ne kaisākām kiyā hai!’

24isrāīlī qaum shernī kī tarah uṭhtīaur sherbabar kī tarah khaṛī ho jātīhai. jab tak wuh apnā shikār na khāle wuh ārām nahīṅ kartā, jab tak wuhmāre hue logoṅ kā ḳhūn na pī le wuhnahīṅ leṭtā.”

25yih sun kar balaq ne kahā, “agarāp un par lānat bhejne se inkār kareṅ,kam az kam unheṅ barkat to na deṅ.”26bal’ām ne jawāb diyā, “kyā maiṅ neāp ko nahīṅ batāyā thā ki jo kuchhbhī rab kahegā maiṅ wuhī karūṅga?”

bal’ām kī tīsrī barkat27tab balaq ne bal’ām se kahā, “āeṅ,

maiṅ āp ko ek aur jagah le jāūṅ.shāyad allāh rāzī ho jāe ki āp merelie wahāṅ se un par lānat bhejeṅ.”28wuh us ke sāth faġhūr pahāṛ parchaṛh gayā. us kī choṭī se yardan kīwādī kā junūbī hissā yashīmon dikhāīdiyā. 29bal’ām ne us se kahā, “mere

Page 259: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 23:30 259

lie yahāṅ sāt qurbāngāheṅ banā karsāt bail aur sāt menḍhe tayyār karrakheṅ.” 30balaq ne aisā hī kiyā. usne har ek qurbāngāh par ek bail aurek menḍhā qurbān kiyā.

24 ab bal’ām ko us bāt kā pūrāyaqīn ho gayā ki rab ko

pasand hai ki maiṅ isrāīliyoṅ kobarkat dūṅ. is lie us ne is martabāpahle kī tarah jādūgarī kā tarīqāistemāl na kiyā balki sīdhā registānkī taraf ruḳh kiyā 2jahāṅ isrāīl apneapne qabīloṅ kī tartīb se ḳhaimāzanthā. yih dekh kar allāh kā rūh us parnāzil huā, 3aur wuh bol uṭhā,

“bal’ām bin baor kā paiġhām suno,us ke paiġhām par ġhaur karo jo sāfsāf deḳhtā hai, 4us kā paiġhām joallāh kī bāteṅ sun letā hai, qādir-e-mutlaq kī royā ko dekh letā haiaur zamīn par gir kar poshīdā bāteṅdeḳhtā hai.

5ai yāqūb, tere ḳhaime kitneshāndār haiṅ! ai isrāīl, tere ghar kitneachchhe haiṅ!

6wuh dūr tak phailī huī wādiyoṅ kīmānind, nahar ke kināre lage bāġhoṅkī mānind, rab ke lagāe hue ūd kedaraḳhtoṅ kī mānind, pānī ke kinārelage deodār ke daraḳhtoṅ kī mānindhaiṅ.

7un kī bālṭiyoṅ se pānī chhalaktārahegā, un ke bīj ko kasrat kā pānīmilegā. un kā bādshāh ajāj se zyādā

tāqatwar hogā, aur un kī saltanatsarfarāz hogī.

8allāh unheṅ misr se nikāl lāyā,aur unheṅ janglī bail kī sī tāqat hāsilhai. wuh muḳhālif qaumoṅ ko haṛapkarke un kī haḍḍiyāṅ chūr chūr kardete haiṅ, wuh apne tīr chalā karunheṅ mār ḍālte haiṅ.

9isrāīl sherbabar yā shernī kīmānind hai. jab wuh dabak kar baiṭhjāe to koī bhī use chheṛne kī jur’atnahīṅ kartā. jo tujhe barkat de usebarkat mile, aur jo tujh par lānatbheje us par lānat āe.”

10yih sun kar balaq āpe se bāharhuā. us ne tālī bajā kar apnī hiqāratkā izhār kiyā aur kahā, “maiṅ netujhe is lie bulāyā thā ki tū meredushmanoṅ par lānat bheje. ab tū neunheṅ tīnoṅ bār barkat hī dī hai. 11abdafā ho jā! apne ghar wāpas bhāgjā! maiṅ ne kahā thā ki baṛā in’āmdūṅgā. lekin rab ne tujhe in’ām pānese rok diyā hai.”

12bal’ām ne jawāb diyā, “kyā maiṅne un logoṅ ko jinheṅ āp ne mujhebulāne ke lie bhejā thā nahīṅ batāyāthā 13ki agar balaq apne mahal kochāṅdī aur sone se bhar kar bhīmujhe de de to bhī maiṅ rab kī kisībāt kī ḳhilāfwarzī nahīṅ kar saktā,ḳhwāh merī nīyat achchhī ho yā burī.maiṅ sirf wuh kuchh kar saktā hūṅjo allāh farmātā hai. 14ab maiṅ apnewatan wāpas chalā jātā hūṅ. lekin

Page 260: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

260 gintī 25:5

pahle maiṅ āp ko batā detā hūṅ kiāḳhirkār yih qaum āp kī qaum ke sāthkyā kuchh karegī.”

bal’ām kī chauthī barkat15wuh bol uṭhā,“bal’ām bin baor kā paiġhām suno,

us kā paiġhām jo sāf sāf deḳhtā hai,16us kā paiġhām jo allāh kī bāteṅ

sun letā aur allāh t’ālā kī marzī kojāntā hai, jo qādir-e-mutlaq kī royāko dekh letā aur zamīn par gir karposhīdā bāteṅ deḳhtā hai.

17jise maiṅ dekh rahā hūṅ wuh iswaqt nahīṅ hai. jo mujhe nazar ārahā hai wuh qarīb nahīṅ hai. yāqūbke gharāne se sitārā niklegā, aur isrāīlse asā-e-shāhī uṭhegā jo moāb kemāthoṅ aur set ke tamām beṭoṅ kīkhopaṛiyoṅ ko pāsh pāsh karegā.

18adom us ke qabze meṅ āegā, us kādushman saīr us kī milkiyat banegājabki isrāīl kī tāqat baṛhtī jāegī.

19yāqūb ke gharāne se ek hukmrānniklegā jo shahr ke bache huoṅ kohalāk kar degā.”

bal’ām ke āḳhirī paiġhām20phir bal’ām ne amālīq ko dekhā

aur kahā,“amālīq qaumoṅ meṅ awwal thā,

lekin āḳhirkār wuh ḳhatm ho jāegā.”21phir us ne qīniyoṅ ko dekhā aur

kahā,

“terī sukūnatgāh mustahkam hai,terā chaṭān meṅ banā ghoṅslāmazbūt hai.

22lekin tū tabāh ho jāegā jab asūrtujhe giriftār karegā.”

23ek aur dafā us ne bāt kī,“hāy, kaun zindā rah saktā hai jab

allāh yūṅ karegā?24kittīm ke sāhil se bahrī jahāz

āeṅge jo asūr aur ibar ko zalīlkareṅge, lekin wuh ḳhud bhī halāk hojāeṅge.”

25phir bal’ām uṭh kar apne gharwāpas chalā gayā. balaq bhī wahāṅse chalā gayā.

moāb isrāīliyoṅ kī āzmāish kartā hai

25 jab isrāīlī shittīm meṅ rahrahe the to isrāīlī mard

moābī auratoṅ se zinākārī karnelage. 2yih aisā huā ki moābī aurateṅapne dewatāoṅ ko qurbāniyāṅ peshkarte waqt isrāīliyoṅ ko sharīk honekī dāwat dene lagīṅ. isrāīlī dāwatqabūl karke qurbāniyoṅ se khāne aurdewatāoṅ ko sijdā karne lage. 3istarīqe se isrāīlī moābī dewatā banāmbāl-faġhūr kī pūjā karne lage, aur rabkā ġhazab un par ān paṛā. 4us nemūsā se kahā, “is qaum ke tamāmrāhnumāoṅ ko sazā-e-maut de karsūraj kī raushnī meṅ rab ke sāmnelaṭkā, warnā rab kā isrāīliyoṅ par seġhazab nahīṅ ṭalegā.” 5chunāṅchemūsā ne isrāīl ke qāziyoṅ se kahā,

Page 261: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 25:6 261

“lāzim hai ki tum meṅ se har ek apneun ādmiyoṅ ko jān se mār de jo bāl-faġhūr dewatā kī pūjā meṅ sharīkhue haiṅ.”

6mūsā aur isrāīl kī pūrī jamā’atmulāqāt ke ḳhaime ke darwāze parjamā ho kar rone lage. ittifāq se usīwaqt ek ādmī wahāṅ se guzarā jo ekmidiyānī aurat ko apne ghar le jā rahāthā. 7yih dekh kar hārūn kā potāfīnhās bin ilīazar jamā’at se niklā aurnezā pakaṛ kar 8us isrāīlī ke pīchhechal paṛā. wuh aurat samet apneḳhaime meṅ dāḳhil huā to fīnhās neun ke pīchhe pīchhe jā kar nezā itnezor se mārā ki wuh donoṅ meṅ seguzar gayā. us waqt wabā phailnelagī thī, lekin fīnhās ke is amal sewuh ruk gaī. 9to bhī 24,000 afrād marchuke the.

10rab ne mūsā se kahā, 11“hārūn kepote fīnhās bin ilīazar ne isrāīliyoṅpar merā ġhussā ṭhanḍā kar diyā hai.merī ġhairat apnā kar wuh isrāīl meṅdīgar mābūdoṅ kī pūjā ko bardāshtna kar sakā. is lie merī ġhairatne isrāīliyoṅ ko nest-o-nābūd nahīṅkiyā. 12lihāzā use batā denā ki maiṅus ke sāth salāmatī kā ahd qāim kartāhūṅ. 13is ahd ke taht use aur us kīaulād ko abad tak imām kā uhdā hāsilrahegā, kyūṅki apne ḳhudā kī ḳhātirġhairat khā kar us ne isrāīliyoṅ kākaffārā diyā.”

14jis ādmī ko midiyānī aurat ke sāthmār diyā gayā us kā nām zimrī binsalū thā, aur wuh shamāūn ke qabīleke ek ābāī gharāne kā sarparast thā.15midiyānī aurat kā nām kazbī thā,aur wuh sūr kī beṭī thī jo midiyāniyoṅke ek ābāī gharāne kā sarparast thā.

16rab ne mūsā se kahā,17“midiyāniyoṅ ko dushman qarārde kar unheṅ mār ḍālnā. 18kyūṅkiunhoṅ ne apnī chālākiyoṅ se tumhāresāth dushman kā sā sulūk kiyā,unhoṅ ne tumheṅ bāl-faġhūr kī pūjākarne par uksāyā aur tumheṅ apnībahan midiyānī sardār kī beṭī kazbīke zarī’e jise wabā phailte waqt mārdiyā gayā bahkāyā.”

dūsrī mardumshumārī

26 wabā ke bād rab ne mūsā aurhārūn ke beṭe ilīazar se kahā,

2“pūrī isrāīlī jamā’at kīmardumshumārī un ke ābāīgharānoṅ ke mutābiq karnā. untamām mardoṅ ko ginanā jo 20 sālyā is se zāid ke haiṅ aur jo jang laṛneke qābil haiṅ.”

3-4mūsā aur ilīazar ne isrāīliyoṅ kobatāyā ki rab ne unheṅ kyā hukmdiyā hai. chunāṅche unhoṅ nemoāb ke maidānī ilāqe meṅ yarīhūke sāmne, lekin daryā-e-yardan kemashriqī kināre par mardumshumārīkī. yih wuh isrāīlī ādmī the jo misr senikle the.

Page 262: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

262 gintī 26:35-37

5-7isrāīl ke pahlauṭhe rūbin keqabīle ke 43,730 mard the. qabīle kechār kunbe hanūkī, falluwī, hasronīaur karmī rūbin ke beṭoṅ hanūk,fallū, hasron aur karmī se nikle huethe. 8rūbin kā beṭā fallū iliyāb kābāp thā 9jis ke beṭe namūel, dātan aurabīrām the.

dātan aur abīrām wuhī log thejinheṅ jamā’at ne chunā thā aurjinhoṅ ne qorah ke guroh samet mūsāaur hārūn se jhagaṛte hue ḳhud rabse jhagaṛā kiyā. 10us waqt zamīnne apnā muṅh khol kar unheṅ qorahsamet haṛap kar liyā thā. us ke 250sāthī bhī mar gae the jab āg ne unheṅbhasm kar diyā. yūṅ wuh sab isrāīlke lie ibratangez misāl ban gae the.11lekin qorah kī pūrī nasl miṭāī nahīṅgaī thī.

12-14shamāūn ke qabīle ke 22,200mard the. qabīle ke pāṅch kunbenamūelī, yamīnī, yaqīnī, zārhī aursāūlī shamāūn ke beṭoṅ namūel,yamīn, yakīn, zārah aur sāūl se niklehue the.

15-18jad ke qabīle ke 40,500 mardthe. qabīle ke sāt kunbe safonī, hajjī,sūnī, uznī, erī, arūdī aur arelī jad kebeṭoṅ safon, hajjī, sūnī, uznī, erī, arūdaur arelī se nikle hue the.

19-22yahūdāh ke qabīle ke 76,500mard the. yahūdāh ke do beṭe eraur onān misr āne se pahle kan’ānmeṅ mar gae the. qabīle ke tīn kunbe

selānī, fārsī aur zārhī yahūdāh kebeṭoṅ selā, fāras aur zārah se niklehue the.

fāras ke do beṭoṅ hasron aur hamūlse do kunbe hasronī aur hamūlī niklehue the. 23-25ishkār ke qabīle ke64,300 mard the. qabīle ke chār kunbetolaī, fuwwī, yasūbī aur simronīishkār ke beṭoṅ tolā, fuwwā, yasūbaur simron se nikle hue the.

26-27zabūlūn ke qabīle ke 60,500mard the. qabīle ke tīn kunbe sardī,ailonī aur yahlī’elī zabūlūn ke beṭoṅsard, ailon aur yahlī’el se nikle huethe.

28yūsuf ke do beṭoṅ manassī aurifrāīm ke alag alag qabīle bane.

29-34manassī ke qabīle ke 52,700mard the. qabīle ke āṭh kunbe makīrī,jiliādī, īazrī, ḳhalqī, asrī’elī, sikmī,samīdāī aur hifrī the. makīrī manassīke beṭe makīr se jabki jiliādī makīrke beṭe jiliād se nikle hue the. bāqīkunbe jiliād ke chhih beṭoṅ īazar,ḳhalaq, asrī’el, sikam, samīdā aurhifar se nikle hue the.

hifar silāfihād kā bāp thā. silāfihādkā koī beṭā nahīṅ balki pāṅch beṭiyāṅmahlāh, nūsāh, hujlāh, milkāh aurtirzā thīṅ.

35-37ifrāīm ke qabīle ke 32,500 mardthe. qabīle ke chār kunbe sūtalhī,bakrī, tahnī aur īrānī the. pahle tīnkunbe ifrāīm ke beṭoṅ sūtalah, bakar

Page 263: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 26:38-41 263

aur tahan se jabki īrānī sūtalah kebeṭe īrān se nikle hue the.

38-41binyamīn ke qabīle ke 45,600mard the. qabīle ke sāt kunbe bālāī,ashbelī, aḳhīrāmī, sūfāmī, hūfāmī,ardī aur nāmānī the. pahle pāṅchkunbe binyamīn ke beṭoṅ bālā,ashbel, aḳhīrām, sūfām aur hūfām sejabki ardī aur nāmānī bālā ke beṭoṅse nikle hue the.

42-43dān ke qabīle ke 64,400 mardthe. sab dān ke beṭe sūhām se niklehue the, is lie sūhāmī kahlāte the.

44-47āshar ke qabīle ke 53,400 mardthe. qabīle ke pāṅch kunbe yimnī,iswī, barī’ī, hibarī aur malkī’elī the.pahle tīn kunbe āshar ke beṭoṅyimnā, iswī aur barīā se jabki bāqībarīā ke beṭoṅ hibar aur malkī’el senikle hue the. āshar kī ek beṭī banāmsirah bhī thī.

48-50naftālī ke qabīle ke 45,400 mardthe. qabīle ke chār kunbe yahsī’elī,jūnī, yisrī aur sillīmī naftālī ke beṭoṅyahsī’el, jūnī, yisar aur sillīm se niklehue the.

51isrāīlī mardoṅ kī kul tādād6,01,730 thī.

52rab ne mūsā se kahā, 53“jab mulk-e-kan’ān ko taqsīm kiyā jāegā tozamīn in kī tādād ke mutābiq denāhai. 54baṛe qabīloṅ ko chhoṭe kīnisbat zyādā zamīn dī jāe. har qabīlekā ilāqā us kī tādād se mutābiqatrakhe. 55-56qur’ā ḍālne se faislā kiyā

jāe ki har qabīle ko kahāṅ zamīnmilegī. lekin har qabīle ke ilāqe kāraqbā is par mabnī ho ki qabīle kekitne afrād haiṅ.”

57lāwī ke qabīle ke tīn kunbejairsonī, qihātī aur mirārī lāwī kebeṭoṅ jairson, qihāt aur mirārī senikle hue the. 58is ke ilāwā libnī,hibrūnī, mahlī, mūshī aur korhī bhīlāwī ke kunbe the. qihāt amrāmkā bāp thā. 59amrām ne lāwī auratyūkabid se shādī kī jo misr meṅpaidā huī thī. un ke do beṭe hārūnaur mūsā aur ek beṭī mariyam paidāhue. 60hārūn ke beṭe nadab, abīhū,ilīazar aur itamar the. 61lekin nadabaur abīhū rab ko baḳhūr kī nājāizqurbānī pesh karne ke bāis mar gae.62lāwiyoṅ ke mardoṅ kī kul tādād23,000 thī. in meṅ wuh sab shāmilthe jo ek māh yā is se zāid ke the.unheṅ dūsre isrāīliyoṅ se alag gināgayā, kyūṅki unheṅ isrāīl meṅ mīrāsmeṅ zamīn nahīṅ milnī thī.

63yūṅ mūsā aur ilīazar ne moābke maidānī ilāqe meṅ yarīhū kesāmne lekin daryā-e-yardan kemashriqī kināre par isrāīliyoṅ kīmardumshumārī kī. 64logoṅ ko ginteginte unheṅ mālūm huā ki jo logdasht-e-sīn meṅ mūsā aur hārūn kīpahlī mardumshumārī meṅ gine gaethe wuh sab mar chuke haiṅ. 65rab nekahā thā ki wuh sab ke sab registānmeṅ mar jāeṅge, aur aisā hī huā thā.

Page 264: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

264 gintī 27:17

sirf kālib bin yafunnā aur yashūa binnūn zindā rahe.

silāfihād kī beṭiyāṅ

27 silāfihād kī pāṅch beṭiyāṅmahlāh, nūsāh, hujlāh,

milkāh aur tirzā thīṅ. silāfihād yūsufke beṭe manassī ke kunbe kā thā. uskā pūrā nām silāfihād bin hifar binjiliād bin makīr bin manassī bin yūsufthā. 2silāfihād kī beṭiyāṅ mulāqāt keḳhaime ke darwāze par ā kar mūsā,ilīazar imām aur pūrī jamā’at kesāmne khaṛī huīṅ. unhoṅ ne kahā,3“hamārā bāp registān meṅ faut huā.lekin wuh qorah ke un sāthiyoṅ meṅse nahīṅ thā jo rab ke ḳhilāf muttahidhue the. wuh is sabab se na marābalki apne zātī gunāh ke bāis. jabwuh mar gayā to us kā koī beṭā nahīṅthā. 4kyā yih ṭhīk hai ki hamāreḳhāndān meṅ beṭā na hone ke bāishameṅ zamīn na mile aur hamāre bāpkā nām-o-nishān miṭ jāe? hameṅ bhīhamāre bāp ke dīgar rishtedāroṅ kesāth zamīn deṅ.”

5mūsā ne un kā muāmalā rab kesāmne pesh kiyā 6to rab ne us se kahā,7“jo bāt silāfihād kī beṭiyāṅ kar rahīhaiṅ wuh durust hai. unheṅ zarūr unke bāp ke rishtedāroṅ ke sāth zamīnmilnī chāhie. unheṅ bāp kā wirsā miljāe. 8isrāīliyoṅ ko bhī batānā ki jabbhī koī ādmī mar jāe jis kā beṭā naho to us kī beṭī ko us kī mīrās mil

jāe. 9agar us kī beṭī bhī na ho to uske bhāiyoṅ ko us kī mīrās mil jāe.10agar us ke bhāī bhī na hoṅ to uske bāp ke bhāiyoṅ ko us kī mīrās miljāe. 11agar yih bhī na hoṅ to us ke sabse qarībī rishtedār ko us kī mīrās miljāe. wuh us kī zātī milkiyat hogī. yihusūl isrāīliyoṅ ke lie qānūnī haisiyatrakhtā hai. wuh ise waisā māneṅjaisā rab ne mūsā ko hukm diyā hai.”

yashūa ko mūsā kā jānashīn

muqarrar kiyā jātā hai12phir rab ne mūsā se kahā, “abārīm

ke pahāṛī silsile ke is pahāṛ parchaṛh kar us mulk par nigāh ḍāljo maiṅ isrāīliyoṅ ko dūṅgā. 13usedeḳhne ke bād tū bhī apne bhāī hārūnkī tarah kūch karke apne bāpdādāse jā milegā, 14kyūṅki tum donoṅne dasht-e-sīn meṅ mere hukm kīḳhilāfwarzī kī. us waqt jab pūrījamā’at ne marībā meṅ mere ḳhilāfgilā-shikwā kiyā to tū ne chaṭān sepānī nikālte waqt logoṅ ke sāmnemerī quddūsiyat qāim na rakhī.”(marībā dasht-e-sīn ke qādis meṅchashmā hai.)

15mūsā ne rab se kahā, 16“ai rab,tamām jānoṅ ke ḳhudā, jamā’at parkisī ādmī ko muqarrar kar 17jo un keāge āge jang ke lie nikle aur un ke āgeāge wāpas ā jāe, jo unheṅ bāhar le jāeaur wāpas le āe. warnā rab kī jamā’at

Page 265: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 27:18 265

un bheṛoṅ kī mānind hogī jin kā koīcharwāhā na ho.”

18jawāb meṅ rab ne mūsā se kahā,“yashūa bin nūn ko chun le jis meṅmerā rūh hai, aur apnā hāth uspar rakh. 19use ilīazar imām aurpūrī jamā’at ke sāmne khaṛā karkeun ke rū-ba-rū hī use rāhnumāī kīzimmādārī de. 20apne iḳhtiyār meṅse kuchh use de tāki isrāīl kī pūrījamā’at us kī itā’at kare. 21rab kīmarzī jānane ke lie wuh ilīazar imāmke sāmne khaṛā hogā to ilīazar rabke sāmne ūrīm aur tummīm istemālkarke us kī marzī daryāft karegā. usīke hukm par yashūa aur isrāīl kī pūrījamā’at ḳhaimāgāh se nikleṅge aurwāpas āeṅge.”

22mūsā ne aisā hī kiyā. us neyashūa ko chun kar ilīazar aur pūrījamā’at ke sāmne khaṛā kiyā. 23phirus ne us par apne hāth rakh karuse rāhnumāī kī zimmādārī sauṅpī jistarah rab ne use batāyā thā.

rozmarrā kī qurbāniyāṅ

28 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batānā,

ḳhayāl rakho ki tum muqarrarā auqātpar mujhe jalne wālī qurbāniyāṅpesh karo. yih merī roṭī haiṅ aur inkī ḳhushbū mujhe pasand hai. 3rabko jalne wālī yih qurbānī pesh karnā:

rozānā bheṛ ke do yaksālā bachchejo beaib hoṅ pūre taur par jalā denā.

4ek ko subh ke waqt pesh karnāaur dūsre ko sūraj ke ḍūbne ke ainbād. 5bheṛ ke bachche ke sāth ġhallākī nazar bhī pesh kī jāe yānī ḍeṛhkilogrām behtarīn maidā jo ek liṭarzaitūn ke kūṭ kar nikāle hue tel kesāth milāyā gayā ho. 6yih rozmarrākī qurbānī hai jo pūre taur par jalāījātī hai aur pahlī dafā sīnā pahāṛ parchaṛhāī gaī. is jalne wālī qurbānī kīḳhushbū rab ko pasand hai. 7-8sāthhī ek liṭar sharāb bhī nazar ke taurpar qurbāngāh par ḍālī jāe. subh aurshām kī yih qurbāniyāṅ donoṅ hī istarīqe se pesh kī jāeṅ.

sabat yānī hafte kī qurbānī9sabat ke din bheṛ ke do aur

bachche chaṛhānā. wuh bhī beaib aurek sāl ke hoṅ. sāth hī mai aur ġhallākī nazareṅ bhī pesh kī jāeṅ. ġhallākī nazar ke lie 3 kilogrām behtarīnmaidā tel ke sāth milāyā jāe. 10bhasmhone wālī yih qurbānī har hafte kedin pesh karnī hai. yih rozmarrā kīqurbāniyoṅ ke ilāwā hai.

har māh ke pahle din kī qurbānī11har māh ke shurū meṅ rab ko

bhasm hone wālī qurbānī ke taur pardo jawān bail, ek menḍhā aur bheṛ kesāt yaksālā bachche pesh karnā. sabbaġhair nuqs ke hoṅ. 12har jānwarke sāth ġhallā kī nazar pesh karnā jiske lie tel meṅ milāyā gayā behtarīn

Page 266: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

266 gintī 29:2

maidā istemāl kiyā jāe. har bail kesāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍheke sāth 3 kilogrām 13aur bheṛ ke harbachche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidāpesh karnā. bhasm hone wālī yihqurbāniyāṅ rab ko pasand haiṅ. 14inqurbāniyoṅ ke sāth mai kī nazar bhīqurbāngāh par ḍālnā yānī har bailke sāth do liṭar, har menḍhe ke sāthsawā liṭar aur bheṛ ke har bachcheke sāth ek liṭar mai pesh karnā. yihqurbānī sāl meṅ har mahīne ke pahledin ke mauqe par pesh karnī hai. 15isqurbānī aur rozmarrā kī qurbāniyoṅke ilāwā rab ko ek bakrā gunāh kīqurbānī ke taur par pesh karnā.

fasah kī qurbāniyāṅ16pahle mahīne ke chaudhweṅ din

fasah kī īd manāī jāe. 17agle dinpūre hafte kī wuh īd shurū hotī haijis ke daurān tumheṅ sirf beḳhamīrīroṭī khānī hai. 18pahle din kām nakarnā balki muqaddas ijtimā ke lieikaṭṭhe honā. 19rab ke huzūr bhasmhone wālī qurbānī ke taur par dojawān bail, ek menḍhā aur bheṛ kesāt yaksālā bachche pesh karnā. sabbaġhair nuqs ke hoṅ. 20har jānwar kesāth ġhallā kī nazar bhī pesh karnā jiske lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīnmaidā istemāl kiyā jāe. har bail kesāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍheke sāth 3 kilogrām 21aur bheṛ ke harbachche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā

pesh karnā. 22gunāh kī qurbānī ketaur par ek bakrā bhī pesh karnātāki tumhārā kaffārā diyā jāe. 23-24intamām qurbāniyoṅ ko īd ke daurānhar roz pesh karnā. yih rozmarrākī bhasm hone wālī qurbāniyoṅ keilāwā haiṅ. is ḳhurāk kī ḳhushbū rabko pasand hai. 25sātweṅ din kām nakarnā balki muqaddas ijtimā ke lieikaṭṭhe honā.

fasal kī kaṭāī kī īd kī qurbāniyāṅ26fasal kī kaṭāī ke pahle din kī īd

par jab tum rab ko apnī fasal kī pahlīpaidāwār pesh karte ho to kām nakarnā balki muqaddas ijtimā ke lieikaṭṭhe honā. 27-29us din do jawānbail, ek menḍhā aur bheṛ ke sātyaksālā bachche qurbāngāh par pūretaur par jalā denā. is ke sāth ġhallāaur mai kī wuhī nazareṅ pesh karnājo fasah kī īd par bhī pesh kī jātī haiṅ.30is ke ilāwā rab ko ek bakrā gunāh kīqurbānī ke taur par chaṛhānā.

31yih tamām qurbāniyāṅ rozmarrākī bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aurun ke sāth wālī ġhallā aur mai kīnazaroṅ ke ilāwā haiṅ. wuh beaibhoṅ.

nae sāl kī īd kī qurbāniyāṅ

29 sātweṅ māh ke pandrahweṅdin bhī kām na karnā balki

muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā.us din narsinge phūṅke jāeṅ. 2rab ko

Page 267: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 29:3 267

bhasm hone wālī qurbānī pesh kī jāejis kī ḳhushbū use pasand ho yānī ekjawān bail, ek menḍhā aur bheṛ ke sātyaksālā bachche. sab nuqs ke baġhairhoṅ. 3har jānwar ke sāth ġhallā kīnazar bhī pesh karnā jis ke lie telke sāth milāyā gayā behtarīn maidāistemāl kiyā jāe. bail ke sāth sāṛhe 4kilogrām, menḍhe ke sāth 3 kilogrām4aur bheṛ ke har bachche ke sāthḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā. 5ekbakrā bhī gunāh kī qurbānī ke taurpar pesh karnā tāki tumhārā kaffārādiyā jāe. 6yih qurbāniyāṅ rozānā aurhar māh ke pahle din kī qurbāniyoṅaur un ke sāth kī ġhallā aur mai kīnazaroṅ ke ilāwā haiṅ. in kī ḳhushbūrab ko pasand hai.

kaffārā ke din kī qurbāniyāṅ7sātweṅ mahīne ke dasweṅ din

muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā.us din kām na karnā aur apnī jānko dukh denā. 8-11rab ko wuhīqurbāniyāṅ pesh karnā jo isī mahīneke pahle din pesh kī jātī haiṅ. sirfek farq hai, us din ek nahīṅ balki dobakre gunāh kī qurbānī ke taur parpesh kie jāeṅ tāki tumhārā kaffārādiyā jāe. aisī qurbāniyāṅ rab kopasand haiṅ.

jhoṅpṛiyoṅ kī īd kī qurbāniyāṅ12sātweṅ mahīne ke pandrahweṅ

din bhī kām na karnā balki muqaddas

ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā. sāt dintak rab kī tāzīm meṅ īd manānā. 13īdke pahle din rab ko 13 jawān bail,2 menḍhe aur 14 bheṛ ke yaksālābachche bhasm hone wālī qurbānī ketaur par pesh karnā. in kī ḳhushbūuse pasand hai. sab nuqs ke baġhairhoṅ. 14har jānwar ke sāth ġhallākī nazar bhī pesh karnā jis ke lietel se milāyā gayā behtarīn maidāistemāl kiyā jāe. har bail ke sāthsāṛhe 4 kilogrām, har menḍhe ke sāth3 kilogrām 15aur bheṛ ke har bachcheke sāth ḍeṛh kilogrām maidā peshkarnā. 16is ke ilāwā ek bakrā bhīgunāh kī qurbānī ke taur par peshkarnā. yih qurbāniyāṅ rozānā kībhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur unke sāth wālī ġhallā aur mai kī nazaroṅke ilāwā haiṅ. 17-34īd ke bāqī chhihdin yihī qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ.lekin har din ek bail kam ho yānīdūsre din 12, tīsre din 11, chauthedin 10, pāṅchweṅ din 9, chhaṭe din8 aur sātweṅ din 7 bail. har dingunāh kī qurbānī ke lie bakrā aurmāmūl kī rozānā kī qurbāniyāṅ bhīpesh karnā. 35īd ke āṭhweṅ din kāmna karnā balki muqaddas ijtimā ke lieikaṭṭhe honā. 36rab ko ek jawān bail,ek menḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālābachche bhasm hone wālī qurbānī ketaur par pesh karnā. in kī ḳhushbūrab ko pasand hai. sab nuqs kebaġhair hoṅ. 37-38sāth hī wuh tamām

Page 268: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

268 gintī 30:13

qurbāniyāṅ bhī pesh karnā jo pahledin pesh kī jātī haiṅ. 39yih sab wuhīqurbāniyāṅ haiṅ jo tumheṅ rab koapnī īdoṅ par pesh karnī haiṅ. yihun tamām qurbāniyoṅ ke ilāwā haiṅjo tum dilī ḳhushī se yā mannat mānkar dete ho, chāhe wuh bhasm honewālī, ġhallā kī, mai kī yā salāmatī kīqurbāniyāṅ kyūṅ na hoṅ.”

40mūsā ne rab kī yih tamām hidāyātisrāīliyoṅ ko batā dīṅ.

mannat mānane ke qawāid

30 phir mūsā ne qabīloṅ kesardāroṅ se kahā, “rab

farmātā hai,2agar koī ādmī rab ko kuchh dene

kī mannat māne yā kisī chīz se parhezkarne kī qasam khāe to wuh apnī bātpar qāim rah kar use pūrā kare.

3agar koī jawān aurat jo ab tak apnebāp ke ghar meṅ rahtī hai rab kokuchh dene kī mannat māne yā kisīchīz se parhez karne kī qasam khāe4to lāzim hai ki wuh apnī mannat yāqasam kī har bāt pūrī kare. shartyih hai ki us kā bāp us ke bāre meṅsun kar etirāz na kare. 5lekin agar uskā bāp yih sun kar use aisā karne semanā kare to us kī mannat yā qasammansūḳh hai, aur wuh use pūrā karnese barī hai. rab use muāf karegā,kyūṅki us ke bāp ne use manā kiyāhai.

6ho saktā hai ki kisī ġhairshādīshudāaurat ne mannat mānī yā kisī chīz separhez karne kī qasam khāī, chāheus ne dānistā taur par yā besoche-samjhe aisā kiyā. is ke bād us aurat neshādī kar lī. 7shādīshudā hālat meṅbhī lāzim hai ki wuh apnī mannatyā qasam kī har bāt pūrī kare. shartyih hai ki us kā shauhar is ke bāremeṅ sun kar etirāz na kare. 8lekinagar us kā shauhar yih sun kar useaisā karne se manā kare to us kīmannat yā qasam mansūḳh hai, aurwuh use pūrā karne se barī hai. rabuse muāf karegā. 9agar kisī bewā yātalāqshudā aurat ne mannat mānī yākisī chīz se parhez karne kī qasamkhāī to lāzim hai ki wuh apnī har bātpūrī kare.

10agar kisī shādīshudā aurat nemannat mānī yā kisī chīz se parhezkarne kī qasam khāī 11to lāzim hai kiwuh apnī har bāt pūrī kare. shartyih hai ki us kā shauhar us ke bāremeṅ sun kar etirāz na kare. 12lekinagar us kā shauhar use aisā karne semanā kare to us kī mannat yā qasammansūḳh hai. wuh use pūrā karnese barī hai. rab use muāf karegā,kyūṅki us ke shauhar ne use manākiyā hai. 13chāhe bīwī ne kuchhdene kī mannat mānī ho yā kisī chīzse parhez karne kī qasam khāī ho,us ke shauhar ko us kī tasdīq yāuse mansūḳh karne kā iḳhtiyār hai.

Page 269: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 30:14 269

14agar us ne apnī bīwī kī mannat yāqasam ke bāre meṅ sun liyā aur agledin tak etirāz na kiyā to lāzim haiki us kī bīwī apnī har bāt pūrī kare.shauhar ne agle din tak etirāz nakarne se apnī bīwī kī bāt kī tasdīq kīhai. 15agar wuh is ke bād yih mannatyā qasam mansūḳh kare to use isqusūr ke natāij bhugatne paṛeṅge.”

16rab ne mūsā ko yih hidāyātdīṅ. yih aisī auratoṅ kī mannatoṅyā qasmoṅ ke usūl haiṅ joġhairshādīshudā hālat meṅ apnebāp ke ghar meṅ rahtī haiṅ yā joshādīshudā haiṅ.

midiyāniyoṅ se jang

31 rab ne mūsā se kahā,2“midiyāniyoṅ se isrāīliyoṅ

kā badlā le. is ke bād tū kūch karkeapne bāpdādā se jā milegā.”

3chunāṅche mūsā ne isrāīliyoṅ sekahā, “hathiyāroṅ se apne kuchhādmiyoṅ ko les karo tāki wuhmidiyān se jang karke rab kā badlāleṅ. 4har qabīle ke 1,000 mard janglaṛne ke lie bhejo.”

5chunāṅche har qabīle ke 1,000musallah mard yānī kul 12,000 ādmīchune gae. 6tab mūsā ne unheṅjang laṛne ke lie bhej diyā. us neilīazar imām ke beṭe fīnhās ko bhīun ke sāth bhejā jis ke pās maqdiskī kuchh chīzeṅ aur elān karne kebigul the. 7unhoṅ ne rab ke hukm ke

mutābiq midiyāniyoṅ se jang kī aurtamām ādmiyoṅ ko maut ke ghāṭ utārdiyā. 8in meṅ midiyāniyoṅ ke pāṅchbādshāh iwī, raqam, sūr, hūr aur rabāthe. bal’ām bin baor ko bhī jān se mārdiyā gayā.

9isrāīliyoṅ ne midiyānī auratoṅ aurbachchoṅ ko giriftār karke un ketamām gāy-bail, bheṛ-bakriyāṅ aurmāl lūṭ liyā. 10unhoṅ ne un kī tamāmābādiyoṅ ko ḳhaimāgāhoṅ samet jalākar rākh kar diyā. 11-12phir wuhtamām lūṭā huā māl qaidiyoṅ aurjānwaroṅ samet mūsā, ilīazar imāmaur isrāīl kī pūrī jamā’at ke pās leāe jo ḳhaimāgāh meṅ intizār karrahe the. abhī tak wuh moāb kemaidānī ilāqe meṅ daryā-e-yardanke mashriqī kināre par yarīhū kesāmne ṭhahre hue the. 13mūsā, ilīazaraur jamā’at ke tamām sardār un kāistiqbāl karne ke lie ḳhaimāgāh senikle.

14unheṅ dekh kar mūsā ko hazārhazār aur sau sau afrād par muqarrarafsarān par ġhussā āyā. 15us nekahā, “āp ne tamām auratoṅ ko kyūṅbachāe rakhā? 16un hī ne bal’ām kemashware par faġhūr meṅ isrāīliyoṅko rab se dūr kar diyā thā. unhī ke sabab se rab kī wabā us kelogoṅ meṅ phail gaī. 17chunāṅcheab tamām laṛkoṅ ko jān se mār do.un tamām auratoṅ ko bhī maut keghāṭ utārnā jo kuṅwāriyāṅ nahīṅ

Page 270: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

270 gintī 31:48

haiṅ. 18lekin tamām kuṅwāriyoṅ kobachāe rakhnā. 19jis ne bhī kisī komār diyā yā kisī lāsh ko chhuā haiwuh sāt din tak ḳhaimāgāh ke bāharrahe. tīsre aur sātweṅ din apne āp koapne qaidiyoṅ samet gunāh se pāk-sāf karnā. 20har libās aur har chīz kopāk-sāf karnā jo chamṛe, bakriyoṅ kebāloṅ yā lakaṛī kī ho.”

21phir ilīazar imām ne jang sewāpas āne wāle mardoṅ se kahā, “josharīat rab ne mūsā ko dī us kemutābiq 22-23jo bhī chīz jal nahīṅ jātīuse āg meṅ se guzār denā tāki pāk-sāf ho jāe. us meṅ sonā, chāṅdī,pītal, lohā, ṭīn aur sīsā shāmil hai.phir us par nāpākī dūr karne kāpānī chhiṛaknā. bāqī tamām chīzeṅpānī meṅ se guzār denā tāki wuhpāk-sāf ho jāeṅ. 24sātweṅ din apnelibās ko dhonā to tum pāk-sāf ho karḳhaimāgāh meṅ dāḳhil ho sakte ho.”

lūṭe hue māl kī taqsīm25rab ne mūsā se kahā, 26“tamām

qaidiyoṅ aur lūṭe hue jānwaroṅ kogin. is meṅ ilīazar imām aur qabāilīkunboṅ ke sarparast terī madadkareṅ. 27sārā māl do barābar kehissoṅ meṅ taqsīm karnā, ek hissāfaujiyoṅ ke lie aur dūsrā bāqī jamā’atke lie ho. 28faujiyoṅ ke hisse ke pāṅchpāṅch sau qaidiyoṅ meṅ se ek eknikāl kar rab ko denā. isī tarah pāṅchpāṅch sau bailoṅ, gadhoṅ, bheṛoṅ aur

bakriyoṅ meṅ se ek ek nikāl kar rabko denā. 29unheṅ ilīazar imām kodenā tāki wuh unheṅ rab ko uṭhānewālī qurbānī ke taur par pesh kare.30bāqī jamā’at ke hisse ke pachāspachās qaidiyoṅ meṅ se ek ek nikālkar rab ko denā, isī tarah pachāspachās bailoṅ, gadhoṅ, bheṛoṅ aurbakriyoṅ yā dūsre jānwaroṅ meṅ sebhī ek ek nikāl kar rab ko denā.unheṅ un lāwiyoṅ ko denā jo rab kemaqdis ko saṅbhālte haiṅ.”

31mūsā aur ilīazar ne aisā hī kiyā.32-34unhoṅ ne 6,75,000 bheṛ-bakriyāṅ,72,000 gāy-bail aur 61,000 gadhe gine.35in ke ilāwā 32,000 qaidī kuṅwāriyāṅbhī thīṅ. 36-40faujiyoṅ ko tamāmchīzoṅ kā ādhā hissā mil gayā yānī3,37,500 bheṛ-bakriyāṅ, 36,000 gāy-bail, 30,500 gadhe aur 16,000 qaidīkuṅwāriyāṅ. in meṅ se unhoṅ ne675 bheṛ-bakriyāṅ, 72 gāy-bail, 61gadhe aur 32 laṛkiyāṅ rab ko dīṅ.41mūsā ne rab kā yih hissā ilīazarimām ko uṭhāne wālī qurbānī ke taurpar de diyā, jis tarah rab ne hukmdiyā thā. 42-47bāqī jamā’at ko bhīlūṭe hue māl kā ādhā hissā mil gayā.mūsā ne pachās pachās qaidiyoṅ aurjānwaroṅ meṅ se ek ek nikāl kar unlāwiyoṅ ko de diyā jo rab kā maqdissaṅbhālte the. us ne waisā hī kiyājaisā rab ne hukm diyā thā.

48phir wuh afsar mūsā ke pās āe jolashkar ke hazār hazār aur sau sau

Page 271: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 31:49 271

ādmiyoṅ par muqarrar the. 49unhoṅne us se kahā, “āp ke ḳhādimoṅne un faujiyoṅ ko gin liyā hai jinpar wuh muqarrar haiṅ, aur hameṅpatā chal gayā ki ek bhī kam nahīṅhuā. 50is lie ham rab ko sone kātamām zewar qurbān karnā chāhtehaiṅ jo hameṅ fath pāne par milā thāmasalan sone ke bāzūband, kangan,muhr lagāne kī angūṭhiyāṅ, bāliyāṅaur hār. yih sab kuchh ham rab kopesh karnā chāhte haiṅ tāki rab kesāmne hamārā kaffārā ho jāe.”

51mūsā aur ilīazar imām ne sone kītamām chīzeṅ un se le līṅ. 52jo chīzeṅunhoṅ ne afsarān ke lūṭe hue mālmeṅ se rab ko uṭhāne wālī qurbānī ketaur par pesh kīṅ un kā pūrā wazntaqrīban 190 kilogrām thā. 53sirfafsarān ne aisā kiyā. bāqī faujiyoṅne apnā lūṭ kā māl apne lie rakh liyā.54mūsā aur ilīazar afsarān kā yih sonāmulāqāt ke ḳhaime meṅ le āe tākiwuh rab ko us kī qaum kī yād dilātārahe.

daryā-e-yardan ke mashriqī

kināre par ābād qabīle

32 rūbin aur jad ke qabīloṅke pās bahut se maweshī

the. jab unhoṅ ne dekhā ki yāzeraur jiliād kā ilāqā maweshī pālneke lie achchhā hai 2to unhoṅ nemūsā, ilīazar imām aur jamā’at kerāhnumāoṅ ke pās ā kar kahā, 3-4“jis

ilāqe ko rab ne isrāīl kī jamā’at ke āgeāge shikast dī hai wuh maweshī pālneke lie achchhā hai. atārāt, dībon,yāzer, nimrā, hasbon, ilīālī, sabām,nabū aur baūn jo is meṅ shāmilhaiṅ hamāre kām āeṅge, kyūṅki āpke ḳhādimoṅ ke pās maweshī haiṅ.5agar āp kī nazar-e-karm ham parho to hameṅ yih ilāqā diyā jāe. yihhamārī milkiyat ban jāe aur hameṅdaryā-e-yardan ko pār karne parmajbūr na kiyā jāe.”

6mūsā ne jad aur rūbin ke afrādse kahā, “kyā tum yahāṅ pīchhe rahkar apne bhāiyoṅ ko chhoṛnā chāhteho jab wuh jang laṛne ke lie āgenikleṅge? 7us waqt jab isrāīlī daryā-e-yardan ko pār karke us mulk meṅdāḳhil hone wāle haiṅ jo rab neunheṅ diyā hai to tum kyūṅ un kīhauslāshiknī kar rahe ho? 8tumhārebāpdādā ne bhī yihī kuchh kiyā jabmaiṅ ne unheṅ qādis-barnīa se mulkke bāre meṅ mālūmāt hāsil karne kelie bhejā. 9iskāl kī wādī meṅ pahuṅchkar mulk kī taftīsh karne ke bādunhoṅ ne isrāīliyoṅ kī hauslāshiknīkī tāki wuh us mulk meṅ dāḳhil nahoṅ jo rab ne unheṅ diyā thā. 10us dinrab ne ġhusse meṅ ā kar qasam khāī,11‘un ādmiyoṅ meṅ se jo misr se nikalāe haiṅ koī us mulk ko nahīṅ dekhegājis kā wādā maiṅ ne qasam khā karibrāhīm, is’hāq aur yāqūb se kiyā thā.kyūṅki unhoṅ ne pūrī wafādārī se

Page 272: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

272 gintī 32:27

merī pairawī na kī. sirf wuh jin kīumr us waqt 20 sāl se kam hai dāḳhilhoṅge. 12buzurgoṅ meṅ se sirf kālibbin yafunnā qanizzī aur yashūa binnūn mulk meṅ dāḳhil hoṅge, is lieki unhoṅ ne pūrī wafādārī se merīpairawī kī.’ 13us waqt rab kā ġhazabun par ān paṛā, aur unheṅ 40 sāl takregistān meṅ māre māre phirnā paṛā,jab tak ki wuh tamām nasl ḳhatm naho gaī jis ne us ke nazdīk ġhalat kāmkiyā thā. 14ab tum gunāhgāroṅ kīaulād apne bāpdādā kī jagah khaṛeho kar rab kā isrāīl par ġhussā mazīdbaṛhā rahe ho. 15agar tum us kīpairawī se haṭoge to wuh dubārā inlogoṅ ko registān meṅ rahne degā,aur tum in kī halākat kā bāis banoge.”

16is ke bād rūbin aur jad ke afrāddubārā mūsā ke pās āe aur kahā,“ham yahāṅ filhāl apne maweshī kelie bāṛe aur apne bāl-bachchoṅ ke lieshahr banānā chāhte haiṅ. 17is kebād ham musallah ho kar isrāīliyoṅke āge āge chaleṅge aur har ek kous kī apnī jagah tak pahuṅchāeṅge.itne meṅ hamāre bāl-bachche hamāreshahroṅ kī fasīloṅ ke andar mulkke muḳhālif bāshindoṅ se mahfūzraheṅge. 18ham us waqt tak apnegharoṅ ko nahīṅ lauṭeṅge jab takhar isrāīlī ko us kī maurūsī zamīnna mil jāe. 19dūsre, ham ḳhud unke sāth daryā-e-yardan ke maġhribmeṅ mīrās meṅ kuchh nahīṅ pāeṅge,

kyūṅki hameṅ apnī maurūsī zamīndaryā-e-yardan ke mashriqī kinārepar mil chukī hai.”

20yih sun kar mūsā ne kahā, “agartum aisā hī karoge to ṭhīk hai. phirrab ke sāmne jang ke lie tayyār ho jāo21aur sab hathiyār bāndh kar rab kesāmne daryā-e-yardan ko pār karo.us waqt tak na lauṭo jab tak rab neapne tamām dushmanoṅ ko apne āgese nikāl na diyā ho. 22phir jab mulkpar rab kā qabzā ho gayā hogā totum lauṭ sakoge. tab tum ne rab aurapne hamwatan bhāiyoṅ ke lie apnefarāiz adā kar die hoṅge, aur yih ilāqārab ke sāmne tumhārā maurūsī haqhogā. 23lekin agar tum aisā na karoto phir tum rab hī kā gunāh karoge.yaqīn jāno tumheṅ apne gunāh kīsazā milegī. 24ab apne bāl-bachchoṅke lie shahr aur apne maweshiyoṅ kelie bāṛe banā lo. lekin apne wāde kozarūr pūrā karnā.”

25jad aur rūbin ke afrād ne mūsāse kahā, “ham āp ke ḳhādim haiṅ,ham apne āqā ke hukm ke mutābiqhī kareṅge. 26hamāre bāl-bachcheaur maweshī yihīṅ jiliād ke shahroṅmeṅ raheṅge. 27lekin āp ke ḳhādimmusallah ho kar daryā ko pār kareṅgeaur rab ke sāmne jang kareṅge. hamsab kuchh waisā hī kareṅge jaisāhamāre āqā ne hameṅ hukm diyāhai.”

Page 273: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 32:28 273

28tab mūsā ne ilīazar imām, yashūabin nūn aur qabāilī kunboṅ kesarparastoṅ ko hidāyat dī, 29“lāzimhai ki jad aur rūbin ke mard musallahho kar tumhāre sāth hī rab ke sāmnedaryā-e-yardan ko pār kareṅ aurmulk par qabzā kareṅ. agar wuh aisākareṅ to unheṅ mīrās meṅ jiliād kāilāqā do. 30lekin agar wuh aisā nakareṅ to phir unheṅ mulk-e-kan’ānhī meṅ tumhāre sāth maurūsī zamīnmile.”

31jad aur rūbin ke afrād ne isrārkiyā, “āp ke ḳhādim sab kuchhkareṅge jo rab ne kahā hai. 32hammusallah ho kar rab ke sāmne daryā-e-yardan ko pār kareṅge aur kan’ānke mulk meṅ dāḳhil hoṅge, agarchehamārī maurūsī zamīn yardan kemashriqī kināre par hogī.”

33tab mūsā ne jad, rūbin aurmanassī ke ādhe qabīle ko yih ilāqādiyā. us meṅ wuh pūrā mulkshāmil thā jis par pahle amoriyoṅkā bādshāh sīhon aur basan kābādshāh oj hukūmat karte the. inshikastḳhurdā mamālik ke dehātoṅsamet tamām shahr un ke hawāle kiegae.

34jad ke qabīle ne dībon, atārāt,aroīr, 35atarāt-shofān, yāzer,yugbahā, 36bait-nimrā aur bait-hārānke shahroṅ ko dubārā tāmīr kiyā.unhoṅ ne un kī fasīleṅ banāīṅ aurapne maweshiyoṅ ke lie bāṛe bhī.

37rūbin ke qabīle ne hasbon, ilīālī,qiryatāim, 38nabū, bāl-maūn aursibmāh dubārā tāmīr kie. nabū aurbāl-maūn ke nām badal gae. kyūṅkiunhoṅ ne un shahroṅ ko nae nām diejo unhoṅ ne dubārā tāmīr kie.

39manassī ke beṭe makīr kī aulādne jiliād jā kar us par qabzā kar liyāaur us ke tamām amorī bāshindoṅko nikāl diyā. 40chunāṅche mūsāne makīriyoṅ ko jiliād kī sarzamīnde dī, aur wuh wahāṅ ābād hue.41manassī ke ek ādmī banām yāīrne us ilāqe meṅ kuchh bastiyoṅ parqabzā karke unheṅ hawwot-yāīr yānī‘yāīr kī bastiyāṅ’ kā nām diyā. 42isītarah us qabīle ke ek aur ādmī banāmnūbah ne jā kar qanāt aur us kedehātoṅ par qabzā kar liyā. us neshahr kā nām nūbah rakhā.

isrāīl ke safar ke marhale

33 zail meṅ un jaghoṅ ke nāmhaiṅ jahāṅ jahāṅ isrāīlī

qabīle apne dastoṅ ke mutābiq mūsāaur hārūn kī rāhnumāī meṅ misr senikal kar ḳhaimāzan hue the. 2rab kehukm par mūsā ne har jagah kā nāmqalamband kiyā jahāṅ unhoṅ ne apneḳhaime lagāe the. un jaghoṅ ke nāmyih haiṅ:

3pahle mahīne ke pandrahweṅ dinisrāīlī rāmsīs se rawānā hue. yānīfasah ke din ke bād ke din wuh baṛeiḳhtiyār ke sāth tamām misriyoṅ ke

Page 274: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

274 gintī 33:53

deḳhte deḳhte chale gae. 4misrī uswaqt apne pahlauṭhoṅ ko dafn karrahe the, kyūṅki rab ne pahlauṭhoṅko mār kar un ke dewatāoṅ kī adālatkī thī.

5rāmsīs se isrāīlī sukkāt pahuṅchgae jahāṅ unhoṅ ne pahlī martabāapne ḍere lagāe. 6wahāṅ se wuhetām pahuṅche jo registān ke kinārepar wāqe hai. 7etām se wuhwāpas muṛ kar fī-haḳhīrot kī tarafbaṛhe jo bāl-safon ke mashriq meṅhai. wuh mijdāl ke qarīb ḳhaimāzanhue. 8phir wuh fī-haḳhīrot se kūchkarke samundar meṅ se guzar gae.is ke bād wuh tīn din etām keregistān meṅ safar karte karte mārāpahuṅch gae aur wahāṅ apne ḳhaimelagāe. 9mārā se wuh elīm chale gaejahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70daraḳht the. wahāṅ ṭhaharne kebād 10wuh bahr-e-qulzum ke sāhilpar ḳhaimāzan hue, 11phir dasht-e-sīn meṅ pahuṅch gae.

12un ke agle marhale yih the:dufqā, 13-37alūs, rafīdīm jahāṅ pīnekā pānī dastyāb na thā, dasht-e-sīnā, qabrot-hattāwā, hasīrāt, ritmā,rimmon-fāras, libnā, rissā, qahīlātā,sāfar pahāṛ, harādā, maqhīlot, tahat,tārah, mitaqā, hashmūnā, mausīrot,banī-yāqān, hor-hajjidjād, yutbātā,abrūnā, asyūn-jābar, dasht-e-sīn meṅwāqe qādis aur hor pahāṛ jo adom kīsarhad par wāqe hai.

38wahāṅ rab ne hārūn imām kohukm diyā ki wuh hor pahāṛ parchaṛh jāe. wahīṅ wuh pāṅchweṅmāh ke pahle din faut huā. isrāīliyoṅko misr se nikle 40 sāl guzar chukethe. 39us waqt hārūn 123 sāl kā thā.

40un dinoṅ meṅ arād ke kan’ānībādshāh ne sunā ki isrāīlī mere mulkkī taraf baṛh rahe haiṅ. wuh kan’ānke junūb meṅ hukūmat kartā thā.

41-47hor pahāṛ se rawānā ho karisrāīlī zail kī jaghoṅ par ṭhahre:zalmūnā, fūnon, obot, ayye-abārīmjo moāb ke ilāqe meṅ thā, dībon-jad, almūn-diblātāim aur nabū keqarīb wāqe abārīm kā pahāṛī ilāqā.48wahāṅ se unhoṅ ne yardan kī wādīmeṅ utar kar moāb ke maidānī ilāqemeṅ apne ḍere lagāe. ab wuhdaryā-e-yardan ke mashriqī kinārepar yarīhū shahr ke sāmne the. 49unke ḳhaime bait-yasīmot se le kar abīl-shittīm tak lage the.

tamām kan’ānī bāshindoṅ

ko nikālne kā hukm50wahāṅ rab ne mūsā se kahā,

51“isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tumdaryā-e-yardan ko pār karke mulk-e-kan’ān meṅ dāḳhil hoge 52to lāzimhai ki tum tamām bāshindoṅ konikāl do. un ke tarāshe aur ḍhālehue butoṅ ko toṛ ḍālo aur un kīūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ ko tabāhkaro. 53mulk par qabzā karke us

Page 275: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 33:54 275

meṅ ābād ho jāo, kyūṅki maiṅ ne yihmulk tumheṅ de diyā hai. yih merītaraf se tumhārī maurūsī milkiyathai. 54mulk ko muḳhtalif qabīloṅaur ḳhāndānoṅ meṅ qur’ā ḍāl kartaqsīm karnā. har ḳhāndān ke afrādkī tādād kā lihāz rakhnā. baṛeḳhāndān ko nisbatan zyādā zamīndenā aur chhoṭe ḳhāndān ko nisbatankam zamīn. 55lekin agar tum mulkke bāshindoṅ ko nahīṅ nikāloge tobache hue tumhārī āṅkhoṅ meṅ ḳhāraur tumhāre pahlū’oṅ meṅ kāṅṭeban kar tumheṅ us mulk meṅ tangkareṅge jis meṅ tum ābād hoge.56phir maiṅ tumhāre sāth wuh kuchhkarūṅga jo un ke sāth karnā chāhtāhūṅ.”

mulk-e-kan’ān kī sarhaddeṅ

34 rab ne mūsā se kahā,2“isrāīliyoṅ ko batānā ki jab

tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅtumheṅ mīrās meṅ dūṅgā to us kīsarhaddeṅ yih hoṅgī:

3us kī junūbī sarhad dasht-e-sīnmeṅ adom kī sarhad ke sāth sāthchalegī. mashriq meṅ wuh bahīrā-e-murdār ke junūbī sāhil se shurū hogī,phir in jaghoṅ se ho kar maġhrib kītaraf guzaregī: 4darrā-e-aqrabbīm kejunūb meṅ se, dasht-e-sīn meṅ se,qādis-barnīa ke junūb meṅ se hasar-addār aur azmūn meṅ se. 5wahāṅse wuh muṛ kar misr kī sarhad

par wāqe wādī-e-misr ke sāth sāthbahīrā-e-rūm tak pahuṅchegī. 6uskī maġhribī sarhad bahīrā-e-rūm kāsāhil hogā. 7us kī shimālī sarhadbahīrā-e-rūm se le kar in jaghoṅ seho kar mashriq kī taraf guzaregī:hor pahāṛ, 8labo-hamāt, sidād, 9zifrūnaur hasar-enān. hasar-enān shimālīsarhad kā sab se mashriqī maqāmhogā. 10us kī mashriqī sarhad shimālmeṅ hasar-enān se shurū hogī. phirwuh in jaghoṅ se ho kar junūb kītaraf guzaregī: sifām, 11riblā jo ain kemashriq meṅ hai aur kinnarat yānīgalīl kī jhīl ke mashriq meṅ wāqepahāṛī ilāqā. 12is ke bād wuh daryā-e-yardan ke kināre kināre guzartī huībahīrā-e-murdār tak pahuṅchegī. yihtumhāre mulk kī sarhaddeṅ hoṅgī.”

13mūsā ne isrāīliyoṅ se kahā, “yihwuhī mulk hai jise tumheṅ qur’ā ḍālkar taqsīm karnā hai. rab ne hukmdiyā hai ki use bāqī sāṛhe nau qabīloṅko denā hai. 14kyūṅki aṛhāī qabīloṅke ḳhāndānoṅ ko un kī mīrās milchukī hai yānī rūbin aur jad ke pūreqabīle aur manassī ke ādhe qabīleko. 15unheṅ yahāṅ, daryā-e-yardanke mashriq meṅ yarīhū ke sāmnezamīn mil chukī hai.”

mulk taqsīm karne ke zimmādār ādmī16rab ne mūsā se kahā, 17“ilīazar

imām aur yashūa bin nūn logoṅ ke liemulk taqsīm kareṅ. 18har qabīle ke ek

Page 276: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

276 gintī 35:12

ek rāhnumā ko bhī chunanā tāki wuhtaqsīm karne meṅ madad kare. jin kotumheṅ chunanā hai un ke nām yihhaiṅ:

19yahūdāh ke qabīle kā kālib binyafunnā,

20shamāūn ke qabīle kā samūel binammīhūd,

21binyamīn ke qabīle kā ilīdād binkislon,

22dān ke qabīle kā buqqī bin yuglī,23manassī ke qabīle kā hannī’el bin

afūd,24ifrāīm ke qabīle kā qamūel bin

siftān,25zabūlūn ke qabīle kā ilīsafan bin

farnāk,26ishkār ke qabīle kā faltī’el bin

azzān,27āshar ke qabīle kā aḳhīhūd bin

shalūmī,28naftālī ke qabīle kā fidāhel bin

ammīhūd.”29rab ne in hī ādmiyoṅ ko mulk

ko isrāīliyoṅ meṅ taqsīm karne kīzimmādārī dī.

lāwiyoṅ ke lie shahr

35 isrāīlī ab tak moāb kemaidānī ilāqe meṅ daryā-e-

yardan ke mashriqī kināre par yarīhūke sāmne the. wahāṅ rab ne mūsā sekahā,

2“isrāīliyoṅ ko batā de ki wuhlāwiyoṅ ko apnī milī huī zamīnoṅ

meṅ se rahne ke lie shahr deṅ.unheṅ shahroṅ ke irdgird maweshīcharāne kī zamīn bhī mile. 3phirlāwiyoṅ ke pās rahne ke lie shahraur apne jānwar charāne ke lie zamīnhogī. 4charāne ke lie zamīn shahrke irdgird hogī, aur chāroṅ taraf kāfāsilā fasīloṅ se 1,500 fuṭ ho. 5charānekī yih zamīn murabbā shakl kī hogījis ke har pahlū kā fāsilā 3,000 fuṭ ho.shahr is murabbā shakl ke bīch meṅho. yih raqbā shahr ke bāshindoṅ kelie ho tāki wuh apne maweshī charāsakeṅ.

ġhairirādī ḳhūṅrezī ke

lie panāh ke shahr6-7lāwiyoṅ ko kul 48 shahr denā.

in meṅ se chhih panāh ke shahrmuqarrar karnā. un meṅ aise logpanāh le sakeṅge jin ke hāthoṅġhairirādī taur par koī halāk huā ho.8har qabīlā lāwiyoṅ ko apne ilāqe keraqbe ke mutābiq shahr de. jis qabīlekā ilāqā baṛā hai use lāwiyoṅ kozyādā shahr dene haiṅ jabki jis qabīlekā ilāqā chhoṭā hai wuh lāwiyoṅ kokam shahr de.”

9phir rab ne mūsā se kahā,10“isrāīliyoṅ ko batānā ki daryā-e-yardan ko pār karne ke bād 11kuchhpanāh ke shahr muqarrar karnā. unmeṅ wuh shaḳhs panāh le sakegājis ke hāthoṅ ġhairirādī taur par koīhalāk huā ho. 12wahāṅ wuh intiqām

Page 277: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

gintī 35:13 277

lene wāle se panāh le sakegā aurjamā’at kī adālat ke sāmne khaṛehone se pahle mārā nahīṅ jā sakegā.13is ke lie chhih shahr chun lo. 14tīndaryā-e-yardan ke mashriq meṅ aurtīn mulk-e-kan’ān meṅ hoṅ. 15yihchhih shahr har kisī ko panāh deṅge,chāhe wuh isrāīlī, pardesī yā un kedarmiyān rahne wālā ġhairshahrī ho.jis se bhī ġhairirādī taur par koī halākhuā ho wuh wahāṅ panāh le saktāhai.

16-18agar kisī ne kisī ko jān-būjh karlohe, patthar yā lakaṛī kī kisī chīzse mār ḍālā ho wuh qātil hai auruse sazā-e-maut denī hai. 19maqtūlkā sab se qarībī rishtedār use talāshkarke mār de. 20-21kyūṅki jo nafrat yādushmanī ke bāis jān-būjh kar kisī koyūṅ dhakkā de, us par koī chīz phaiṅkde yā use mukkā māre ki wuh marjāe wuh qātil hai aur use sazā-e-mautdenī hai.

22lekin wuh qātil nahīṅ hai jis sedushmanī ke bāis nahīṅ balki ittifāqse aur ġhairirādī taur par koī halākhuā ho, chāhe us ne use dhakkā diyā,koī chīz us par phaiṅk dī 23yā koīpatthar us par girne diyā. 24agar aisāhuā to lāzim hai ki jamā’at in hidāyātke mutābiq us ke aur intiqām lenewāle ke darmiyān faislā kare. 25agarmulzim bequsūr hai to jamā’at us kīhifāzat karke use panāh ke us shahrmeṅ wāpas le jāe jis meṅ us ne panāh

lī hai. wahāṅ wuh muqaddas tel semasah kie gae imām-e-āzam kī mauttak rahe. 26lekin agar yih shaḳhsis se pahle panāh ke shahr se nikleto wuh mahfūz nahīṅ hogā. 27agarus kā intiqām lene wāle se sāmnāho jāe to intiqām lene wāle ko usemār ḍālne kī ijāzat hogī. agar wuhaisā kare to bequsūr rahegā. 28panāhlene wālā imām-e-āzam kī wafāt takpanāh ke shahr meṅ rahe. is ke bādhī wuh apne ghar wāpas jā saktāhai. 29yih usūl dāimī haiṅ. jahāṅ bhītum rahte ho tumheṅ hameshā in paramal karnā hai.

30jis par qatl kā ilzām lagāyā gayāho use sirf is sūrat meṅ sazā-e-mautdī jā saktī hai ki kam az kam dogawāh hoṅ. ek gawāh kāfī nahīṅ hai.

31qātil ko zarūr sazā-e-maut denā.ḳhwāh wuh is se bachne ke lie koībhī muāwazā de use āzād na chhoṛnābalki sazā-e-maut denā. 32us shaḳhsse bhī paise qabūl na karnā jis seġhairirādī taur par koī halāk huā hoaur jo is sabab se panāh ke shahr meṅrah rahā hai. use ijāzat nahīṅ ki wuhpaise de kar panāh kā shahr chhoṛeaur apne ghar wāpas chalā jāe. lāzimhai ki wuh is ke lie imām-e-āzam kīwafāt kā intizār kare.

33jis mulk meṅ tum rahte ho us kīmuqaddas hālat ko nāpāk na karnā.jab kisī ko us meṅ qatl kiyā jāe to wuhnāpāk ho jātā hai. jab is tarah ḳhūn

Page 278: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

278 gintī 36:13

bahtā hai to mulk kī muqaddas hālatsirf us shaḳhs ke ḳhūn bahne se bahālho jātī hai jis ne yih ḳhūn bahāyā hai.yānī mulk kā sirf qātil kī maut se hīkaffārā diyā jā saktā hai. 34us mulk konāpāk na karnā jis meṅ tum ābād hoaur jis meṅ maiṅ sukūnat kartā hūṅ.kyūṅki maiṅ rab hūṅ jo isrāīliyoṅ kedarmiyān sukūnat kartā hūṅ.”

ek qabīle kī maurūsī zamīn shādī se

dūsre qabīle meṅ muntaqil

nahīṅ ho saktī

36 ek din jiliād bin makīrbin manassī bin yūsuf ke

kunbe se nikle hue ābāī gharānoṅke sarparast mūsā aur un sardāroṅke pās āe jo dīgar ābāī gharānoṅ kesarparast the. 2unhoṅ ne kahā, “rabne āp ko hukm diyā thā ki āp qur’āḍāl kar mulk ko isrāīliyoṅ meṅ taqsīmkareṅ. us waqt us ne yih bhī kahā thāki hamāre bhāī silāfihād kī beṭiyoṅko us kī maurūsī zamīn milnī hai.3agar wuh isrāīl ke kisī aur qabīle kemardoṅ se shādī kareṅ to phir yihzamīn jo hamāre qabīle kā maurūsīhissā hai us qabīle kā maurūsī hissābanegī aur ham us se mahrūm hojāeṅge. phir hamārā qabāilī ilāqāchhoṭā ho jāegā. 4aur agar ham yihzamīn wāpas bhī ḳharīdeṅ to bhī wuhagle bahālī ke sāl meṅ dūsre qabīle kowāpas chalī jāegī jis meṅ in auratoṅ

ne shādī kī hai. is tarah wuh hameshāke lie hamāre hāth se nikal jāegī.”

5mūsā ne rab ke hukm parisrāīliyoṅ ko batāyā, “jiliād ke mardhaq-ba-jānib haiṅ. 6is lie rab kīhidāyat yih hai ki silāfihād kī beṭiyoṅko har ādmī se shādī karne kī ijāzathai, lekin sirf is sūrat meṅ ki wuhun ke apne qabīle kā ho. 7is tarah ekqabīle kī maurūsī zamīn kisī dūsreqabīle meṅ muntaqil nahīṅ hogī.lāzim hai ki har qabīle kā pūrā ilāqāusī ke pās rahe.

8jo bhī beṭī mīrās meṅ zamīn pātīhai us ke lie lāzim hai ki wuh apnehī qabīle ke kisī mard se shādī karetāki us kī zamīn qabīle ke pās hī rahe.9ek qabīle kī maurūsī zamīn kisī dūsreqabīle ko muntaqil karne kī ijāzatnahīṅ hai. lāzim hai ki har qabīle kāpūrā maurūsī ilāqā usī ke pās rahe.”

10-11silāfihād kī beṭiyoṅ mahlāh,tirzā, hujlāh, milkāh aur nūsāh newaisā hī kiyā jaisā rab ne mūsā kobatāyā thā. unhoṅ ne apne chachāzādbhāiyoṅ se shādī kī. 12chūṅki wuhbhī manassī ke qabīle ke the is lie yihmaurūsī zamīn silāfihād ke qabīle kepās rahī.

13rab ne yih ahkām aur hidāyātisrāīliyoṅ ko mūsā kī mārifat dīṅjab wuh moāb ke maidānī ilāqe meṅdaryā-e-yardan ke mashriqī kinārepar yarīhū ke sāmne ḳhaimāzan the.

Page 279: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā

mūsā isrāīliyoṅ se muḳhātib hotā hai

1 is kitāb meṅ wuh bāteṅ darj haiṅjo mūsā ne tamām isrāīliyoṅ

se kahīṅ jab wuh daryā-e-yardan kemashriqī kināre par bayābān meṅthe. wuh yardan kī wādī meṅ sūf keqarīb the. ek taraf fārān shahr thāaur dūsrī taraf tofal, lāban, hasīrāt aurdīzahab ke shahr the. 2agar adom kepahāṛī ilāqe se ho kar jāeṅ to horibyānī sīnā pahāṛ se qādis-barnīa tak kāsafar 11 din meṅ tai kiyā jā saktā hai.

3isrāīliyoṅ ko misr se nikle 40 sāl hogae the. is sāl ke gyārhweṅ māh kepahle din mūsā ne unheṅ sab kuchhbatāyā jo rab ne use unheṅ batāne kokahā thā. 4us waqt wuh amoriyoṅke bādshāh sīhon ko shikast de chukāthā jis kā dār-ul-hukūmat hasbon thā.basan ke bādshāh oj par bhī fath hāsilho chukī thī jis kī hukūmat ke markazastārāt aur idraī the.

5wahāṅ, daryā-e-yardan kemashriqī kināre par jo moāb ke ilāqe

meṅ thā mūsā allāh kī sharīat kītashrīh karne lagā. us ne kahā,

6jab tum horib yānī sīnā pahāṛke pās the to rab hamāre ḳhudā neham se kahā, “tum kāfī der se yahāṅṭhahre hue ho. 7ab is jagah kochhoṛ kar āge mulk-e-kan’ān kī tarafbaṛho. amoriyoṅ ke pahāṛī ilāqe aurun ke paṛos kī qaumoṅ ke pās jāojo yardan ke maidānī ilāqe meṅ ābādhaiṅ. pahāṛī ilāqe meṅ, maġhrib kenashebī pahāṛī ilāqe meṅ, junūb kedasht-e-najab meṅ, sāhilī ilāqe meṅ,mulk-e-kan’ān meṅ aur lubnān meṅdaryā-e-furāt tak chale jāo. 8maiṅ netumheṅ yih mulk de diyā hai. ab jākar us par qabzā kar lo. kyūṅki rabne qasam khā kar tumhāre bāpdādāibrāhīm, is’hāq aur yāqūb se wādākiyā thā ki maiṅ yih mulk tumheṅ aurtumhārī aulād ko dūṅgā.”

Page 280: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

280 istisnā 1:23

rāhnumā muqarrar kie gae9us waqt maiṅ ne tum se kahā,

“maiṅ akelā tumhārī rāhnumāī karnekī zimmādārī nahīṅ uṭhā saktā. 10rabtumhāre ḳhudā ne tumhārī tādāditnī baṛhā dī hai ki āj tum āsmānke sitāroṅ kī mānind beshumār ho.11aur rab tumhāre bāpdādā kā ḳhudākare ki tumhārī tādād mazīd hazārgunā baṛh jāe. wuh tumheṅ wuhbarkat de jis kā wādā us ne kiyāhai. 12lekin maiṅ akelā hī tumhārābojh uṭhāne aur jhagaṛoṅ ko nipṭānekī zimmādārī nahīṅ uṭhā saktā. 13islie apne har qabīle meṅ se kuchhaise dānishmand aur samajhdār ādmīchun lo jin kī liyāqat ko log māntehaiṅ. phir maiṅ unheṅ tum parmuqarrar karūṅga.”

14yih bāt tumheṅ pasand āī. 15tumne apne meṅ se aise rāhnumā chun liejo dānishmand the aur jin kī liyāqatko log mānte the. phir maiṅ ne unheṅhazār hazār, sau sau aur pachāspachās mardoṅ par muqarrar kiyā.yūṅ wuh qabīloṅ ke nigahbān bangae. 16us waqt maiṅ ne un qāziyoṅ sekahā, “adālat karte waqt har ek kī bātġhaur se sun kar ġhairjānibdār faislekarnā, chāhe do isrāīlī farīq ek dūsrese jhagaṛā kar rahe hoṅ yā muāmalākisī isrāīlī aur pardesī ke darmiyānho. 17adālat karte waqt jānibdārī nakarnā. chhoṭe aur baṛe kī bāt sun kardonoṅ ke sāth ek jaisā sulūk karnā.

kisī se mat ḍarnā, kyūṅki allāh hī netumheṅ adālat karne kī zimmādārī dīhai. agar kisī muāmale meṅ faislākarnā tumhāre lie mushkil ho to usemujhe pesh karo. phir maiṅ hī us kāfaislā karūṅga.” 18us waqt maiṅ netumheṅ sab kuchh batāyā jo tumheṅkarnā thā.

mulk-e-kan’ān meṅ jāsūs19ham ne waisā hī kiyā jaisā rab

ne hameṅ kahā thā. ham horib serawānā ho kar amoriyoṅ ke pahāṛīilāqe kī taraf baṛhe. safar karte karteham us wasī aur haulnāk registānmeṅ se guzar gae jise tum ne dekhliyā hai. āḳhirkār ham qādis-barnīapahuṅch gae. 20wahāṅ maiṅ ne tumse kahā, “tum amoriyoṅ ke pahāṛīilāqe tak pahuṅch gae ho jo rabhamārā ḳhudā hameṅ dene wālā hai.21dekh, rab tere ḳhudā ne tujhe yihmulk de diyā hai. ab jā kar us parqabzā kar le jis tarah rab tere bāpdādāke ḳhudā ne tujhe batāyā hai. matḍarnā aur bedil na ho jānā!”

22lekin tum sab mere pās āe aurkahā, “kyūṅ na ham jāne se pahlekuchh ādmī bhejeṅ jo mulk ke hālātdaryāft kareṅ aur wāpas ā kar hameṅus rāste ke bāre meṅ batāeṅ jispar hameṅ jānā hai aur un shahroṅke bāre meṅ ittilā deṅ jin ke pāsham pahuṅcheṅge.” 23yih bāt mujhepasand āī. maiṅ ne is kām ke lie har

Page 281: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 1:24 281

qabīle ke ek ādmī ko chun kar bhejdiyā. 24jab yih bārah ādmī pahāṛīilāqe meṅ jā kar wādī-e-iskāl meṅpahuṅche to us kī taftīsh kī. 25phirwuh mulk kā kuchh phal le kar lauṭāe aur hameṅ mulk ke bāre meṅ ittilāde kar kahā, “jo mulk rab hamārāḳhudā hameṅ dene wālā hai wuhachchhā hai.”

26lekin tum jānā nahīṅ chāhte thebalki sarkashī karke rab apne ḳhudākā hukm na mānā. 27tum ne apneḳhaimoṅ meṅ buṛbuṛāte hue kahā,“rab ham se nafrat rakhtā hai. wuhhameṅ misr se nikāl lāyā hai tākihameṅ amoriyoṅ ke hāthoṅ halākkarwāe. 28ham kahāṅ jāeṅ? hamārebhāiyoṅ ne hameṅ bedil kar diyā hai.wuh kahte haiṅ, ‘wahāṅ ke log hamse tāqatwar aur darāzqad haiṅ. un kebaṛe baṛe shahroṅ kī fasīleṅ āsmān sebāteṅ kartī haiṅ. wahāṅ ham ne anāqkī aulād bhī dekhī jo deoqāmat haiṅ’.”

29maiṅ ne kahā, “na ghabrāo aurna un se ḳhauf khāo. 30rab tumhārāḳhudā tumhāre āge āge chaltā huātumhāre lie laṛegā. tum ḳhud dekhchuke ho ki wuh kis tarah misr 31aurregistān meṅ tumhāre lie laṛā. yahāṅbhī wuh aisā hī karegā. tū ḳhudgawāh hai ki bayābān meṅ pūre safarke daurān rab tujhe yūṅ uṭhāe phirājis tarah bāp apne beṭe ko uṭhāephirtā hai. is tarah chalte chaltetum yahāṅ tak pahuṅch gae.” 32is ke

bāwujūd tum ne rab apne ḳhudā parbharosā na rakhā. 33tum ne yih bātnazarandāz kī ki wuh safar ke daurānrāt ke waqt āg aur din ke waqt bādalkī sūrat meṅ tumhāre āge āge chaltārahā tāki tumhāre lie ḳhaime lagānekī jagheṅ mālūm kare aur tumheṅrāstā dikhāe.

34jab rab ne tumhārī yih bāteṅsunīṅ to use ġhussā āyā aur us neqasam khā kar kahā, 35“is sharīr naslkā ek mard bhī us achchhe mulkko nahīṅ dekhegā agarche maiṅ neqasam khā kar tumhāre bāpdādā sewādā kiyā thā ki maiṅ use unheṅdūṅgā. 36sirf kālib bin yafunnā usedekhegā. maiṅ use aur us kī aulād kowuh mulk dūṅgā jis meṅ us ne safarkiyā hai, kyūṅki us ne pūre taur parrab kī pairawī kī.”

37tumhārī wajah se rab mujh sebhī nārāz huā aur kahā, “tū bhīus meṅ dāḳhil nahīṅ hogā. 38lekinterā madadgār yashūa bin nūn dāḳhilhogā. us kī hauslā-afzāī kar, kyūṅkiwuh mulk par qabzā karne meṅisrāīl kī rāhnumāī karegā.” 39tum serab ne kahā, “tumhāre bachche joabhī achchhe aur bure meṅ imtiyāznahīṅ kar sakte, wuhī mulk meṅdāḳhil hoṅge, wuhī bachche jin kebāre meṅ tum ne kahā ki dushmanunheṅ mulk-e-kan’ān meṅ chhīnleṅge. unheṅ maiṅ mulk dūṅgā, aurwuh us par qabzā kareṅge. 40lekin

Page 282: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

282 istisnā 2:9

tum ḳhud āge na baṛho. pīchhemuṛ kar dubārā registān meṅ bahr-e-qulzum kī taraf safar karo.”

41tab tum ne kahā, “ham ne rabkā gunāh kiyā hai. ab ham mulkmeṅ jā kar laṛeṅge, jis tarah rabhamāre ḳhudā ne hameṅ hukm diyāhai.” chunāṅche yih sochte hue kius pahāṛī ilāqe par hamlā karnā āsānhogā, har ek musallah huā. 42lekinrab ne mujh se kahā, “unheṅ batānāki wahāṅ jang karne ke lie na jāo,kyūṅki maiṅ tumhāre sāth nahīṅhūṅgā. tum apne dushmanoṅ kehāthoṅ shikast khāoge.”

43maiṅ ne tumheṅ yih batāyā, lekintum ne merī na sunī. tum nesarkashī karke rab kā hukm na mānābalki maġhrūr ho kar pahāṛī ilāqemeṅ dāḳhil hue. 44wahāṅ ke amorībāshinde tumhārā sāmnā karne nikle.wuh shahd kī makkhiyoṅ ke ġhol kītarah tum par ṭūṭ paṛe aur tumhārātāqqub karke tumheṅ saīr se hurmātak mārte gae.

45tab tum wāpas ā kar rab kesāmne zār-o-qatār rone lage. lekinus ne tawajjuh na dī balki tumheṅnazarandāz kiyā. 46is ke bād tumbahut dinoṅ tak qādis-barnīa meṅrahe.

registān meṅ dubārā safar

2 phir jis tarah rab ne mujhehukm diyā thā ham pīchhe muṛ

kar registān meṅ bahr-e-qulzum kītaraf safar karne lage. kāfī der takham saīr yānī adom ke pahāṛī ilāqeke kināre kināre phirte rahe.

2ek din rab ne mujh se kahā, 3“tumbahut der se is pahāṛī ilāqe ke kinārekināre phir rahe ho. ab shimāl kī tarafsafar karo. 4qaum ko batānā, agledinoṅ meṅ tum saīr ke mulk meṅ seguzaroge jahāṅ tumhāre bhāī esau kīaulād ābād hai. wuh tum se ḍareṅge.to bhī baṛī ehtiyāt se guzarnā. 5unke sāth jang na chheṛnā, kyūṅki maiṅtumheṅ un ke mulk kā ek murabbāfuṭ bhī nahīṅ dūṅgā. maiṅ ne saīr kāpahāṛī ilāqā esau aur us kī aulād kodiyā hai. 6lāzim hai ki tum khāne aurpīne kī tamām zarūriyāt paise de karḳharīdo.”

7jo bhī kām tū ne kiyā hai rab neus par barkat dī hai. is wasī registānmeṅ pūre safar ke daurān us ne terīnigahbānī kī. in 40 sāloṅ ke daurānrab terā ḳhudā tere sāth thā, aur terītamām zarūriyāt pūrī hotī rahīṅ.

8chunāṅche ham saīr ko chhoṛ karjahāṅ hamāre bhāī esau kī aulād ābādthī dūsre rāste se āge nikle. hamne wuh rāstā chhoṛ diyā jo ailāt aurasyūn-jābar ke shahroṅ se bahīrā-e-murdār tak pahuṅchātā hai aurmoāb ke bayābān kī taraf baṛhnelage. 9wahāṅ rab ne mujh se kahā,“moāb ke bāshindoṅ kī muḳhālafatna karnā aur na un ke sāth jang

Page 283: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 2:10 283

chheṛnā, kyūṅki maiṅ un ke mulk kākoī bhī hissā tujhe nahīṅ dūṅgā. maiṅne ār shahr ko lūt kī aulād ko diyāhai.”

10pahle aimī wahāṅ rahte the joanāq kī aulād kī tarah tāqatwar,darāzqad aur tādād meṅ zyādā the.11anāq kī aulād kī tarah wuh rafāiyoṅmeṅ shumār kie jāte the, lekin moābīunheṅ aimī kahte the.

12isī tarah qadīm zamāne meṅ horīsaīr meṅ ābād the, lekin esau kī aulādne unheṅ wahāṅ se nikāl diyā thā. jistarah isrāīliyoṅ ne bād meṅ us mulkmeṅ kiyā jo rab ne unheṅ diyā thāusī tarah esau kī aulād baṛhte baṛhtehoriyoṅ ko tabāh karke un kī jagahābād hue the.

13rab ne kahā, “ab jā kar wādī-e-zirad ko ubūr karo.” ham ne aisāhī kiyā. 14hameṅ qādis-barnīa serawānā hue 38 sāl ho gae the. abwuh tamām ādmī mar chuke the jo uswaqt jang karne ke qābil the. waisāhī huā thā jaisā rab ne qasam khākar kahā thā. 15rab kī muḳhālafat kebāis āḳhirkār ḳhaimāgāh meṅ us naslkā ek mard bhī na rahā. 16jab wuhsab mar gae the 17tab rab ne mujh sekahā, 18“āj tumheṅ ār shahr se ho karmoāb ke ilāqe meṅ se guzarnā hai.19phir tum ammoniyoṅ ke ilāqe takpahuṅchoge. un kī bhī muḳhālafatna karnā, aur na un ke sāth jangchheṛnā, kyūṅki maiṅ un ke mulk kā

koī bhī hissā tumheṅ nahīṅ dūṅgā.maiṅ ne yih mulk lūt kī aulād ko diyāhai.”

20haqīqat meṅ ammoniyoṅ kā mulkbhī rafāiyoṅ kā mulk samjhā jātāthā jo qadīm zamāne meṅ wahāṅābād the. ammonī unheṅ zamzumīkahte the, 21aur wuh deoqāmat the,tāqatwar aur tādād meṅ zyādā. wuhanāq kī aulād jaise darāzqad the.jab ammonī mulk meṅ āe to rab nerafāiyoṅ ko un ke āge āge tabāhkar diyā. chunāṅche ammonī baṛhtebaṛhte unheṅ nikālte gae aur un kījagah ābād hue, 22bilkul usī tarah jistarah rab ne esau kī aulād ke āge āgehoriyoṅ ko tabāh kar diyā thā jabwuh saīr ke mulk meṅ āe the. wahāṅbhī wuh baṛhte baṛhte horiyoṅ konikālte gae aur un kī jagah ābād hue.23isī tarah ek aur qadīm qaum banāmawwī ko bhī us ke mulk se nikālāgayā. awwī ġhazzā tak ābād the,lekin jab kaftūrī kaftūr yānī krete seāe to unhoṅ ne unheṅ tabāh kar diyāaur un kī jagah ābād ho gae.

sīhon bādshāh se jang24rab ne mūsā se kahā, “ab jā kar

wādī-e-arnon ko ubūr karo. yūṅsamjho ki maiṅ hasbon ke amorībādshāh sīhon ko us ke mulk samettumhāre hawāle kar chukā hūṅ. uspar qabzā karnā shurū karo aur uske sāth jang karne kā mauqā ḍhūnḍo.

Page 284: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

284 istisnā 3:2

25isī din se maiṅ tamām qaumoṅ meṅtumhāre bāre meṅ dahshat aur ḳhaufpaidā karūṅga. wuh tumhārī ḳhabarsun kar ḳhauf ke māre thartharāeṅgīaur kāṅpeṅgī.”

26maiṅ ne dasht-e-qadīmāt sehasbon ke bādshāh sīhon ke pāsqāsid bheje. merā paiġhām nafrataur muḳhālafat se ḳhālī thā. wuhyih thā, 27“hameṅ apne mulk meṅse guzarne deṅ. ham shāhrāh parhī raheṅge aur us se na bāīṅ, nadāīṅ taraf haṭeṅge. 28ham khāneaur pīne kī tamām zarūriyāt ke liemunāsib paise deṅge. hameṅ paidalapne mulk meṅ se guzarne deṅ, 29jistarah saīr ke bāshindoṅ esau kī aulādaur ār ke rahne wāle moābiyoṅ nehameṅ guzarne diyā. kyūṅki hamārīmanzil daryā-e-yardan ke maġhribmeṅ hai, wuh mulk jo rab hamārāḳhudā hameṅ dene wālā hai.”

30lekin hasbon ke bādshāh sīhon nehameṅ guzarne na diyā, kyūṅki rabtumhāre ḳhudā ne use belchak aurhamārī bāt se inkār karne par āmādākar diyā thā tāki sīhon hamāre qābūmeṅ ā jāe. aur bād meṅ aisā hī huā.31rab ne mujh se kahā, “yūṅ samajh leki maiṅ sīhon aur us ke mulk ko terehawāle karne lagā hūṅ. ab nikal karus par qabzā karnā shurū karo.”

32jab sīhon apnī sārī fauj le karhamārā muqābalā karne ke lie yahazāyā 33to rab hamāre ḳhudā ne hameṅ

pūrī fath baḳhshī. ham ne sīhon,us ke beṭoṅ aur pūrī qaum koshikast dī. 34us waqt ham ne us ketamām shahroṅ par qabzā kar liyāaur un ke tamām mardoṅ, auratoṅaur bachchoṅ ko mār ḍālā. koī bhīna bachā. 35ham ne sirf maweshīaur shahroṅ kā lūṭā huā māl apne liebachāe rakhā.

36wādī-e-arnon ke kināre par wāqearoīr se le kar jiliād tak har shahrko shikast mānanī paṛī. is meṅwuh shahr bhī shāmil thā jo wādī-e-arnon meṅ thā. rab hamāre ḳhudā neun sab ko hamāre hawāle kar diyā.37lekin tum ne ammoniyoṅ kā mulkchhoṛ diyā aur na daryā-e-yabboqke irdgird ke ilāqe, na us ke pahāṛīilāqe ke shahroṅ ko chheṛā, kyūṅkirab hamāre ḳhudā ne aisā karne setumheṅ manā kiyā thā.

basan ke bādshāh oj kī shikast

3 is ke bād ham shimāl meṅ basankī taraf baṛh gae. basan kā

bādshāh oj apnī tamām fauj ke sāthnikal kar hamārā muqābalā karne kelie idraī āyā. 2rab ne mujh se kahā,“us se mat ḍar. maiṅ use, us kī pūrīfauj aur us kā mulk tere hawāle karchukā hūṅ. us ke sāth wuh kuchh karjo tū ne amorī bādshāh sīhon ke sāthkiyā jo hasbon meṅ hukūmat kartāthā.”

Page 285: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 3:3 285

3aisā hī huā. rab hamāre ḳhudā kīmadad se ham ne basan ke bādshāhoj aur us kī tamām qaum ko shikastdī. ham ne sab ko halāk kar diyā. koībhī na bachā. 4usī waqt ham ne uske tamām shahroṅ par qabzā kar liyā.ham ne kul 60 shahroṅ par yānī arjūbke sāre ilāqe par qabzā kiyā jis par ojkī hukūmat thī. 5in tamām shahroṅ kīhifāzat ūṅchī ūṅchī fasīloṅ aur kunḍewāle darwāzoṅ se kī gaī thī. dehātmeṅ bahut sī aisī ābādiyāṅ bhī milgaīṅ jin kī fasīleṅ nahīṅ thīṅ. 6hamne un ke sāth wuh kuchh kiyā joham ne hasbon ke bādshāh sīhon keilāqe ke sāth kiyā thā. ham ne sabkuchh rab ke hawāle karke har shahrko aur tamām mardoṅ, auratoṅ aurbachchoṅ ko halāk kar ḍālā. 7ham nesirf tamām maweshī aur shahroṅ kālūṭā huā māl apne lie bachāe rakhā.

8yūṅ ham ne us waqt amoriyoṅ kein do bādshāhoṅ se daryā-e-yardankā mashriqī ilāqā wādī-e-arnon sele kar harmūn pahāṛ tak chhīn liyā.9(saidā ke bāshinde harmūn ko siryūnkahte haiṅ jabki amoriyoṅ ne uskā nām sanīr rakhā). 10ham ne ojbādshāh ke pūre ilāqe par qabzā karliyā. is meṅ maidān-e-murtafā ketamām shahr shāmil the, nīz salkāaur idraī tak jiliād aur basan ke pūreilāqe.

11bādshāh oj deoqāmat qabīle rafāīkā āḳhirī mard thā. us kā lohe kā

tābūt 13 se zāid fuṭ lambā aur chhihfuṭ chauṛā thā aur āj tak ammoniyoṅke shahr rabbā meṅ dekhā jā saktāhai.

yardan ke mashriq meṅ

mulk kī taqsīm12jab ham ne daryā-e-yardan ke

mashriqī ilāqe par qabzā kiyā to maiṅne rūbin aur jad ke qabīloṅ ko us kājunūbī hissā shahroṅ samet diyā. isilāqe kī junūbī sarhad daryā-e-arnonpar wāqe shahr aroīr hai jabki shimālmeṅ is meṅ jiliād ke pahāṛī ilāqe kāādhā hissā bhī shāmil hai. 13jiliād kāshimālī hissā aur basan kā mulk maiṅne manassī ke ādhe qabīle ko diyā.

(basan meṅ arjūb kā ilāqā hai jahāṅpahle oj bādshāh kī hukūmat thī aurjo rafāiyoṅ yānī deoqāmat afrād kāmulk kahlātā thā. 14manassī ke qabīleke ek ādmī banām yāīr ne arjūb parjasūriyoṅ aur mākātiyoṅ kī sarhadtak qabzā kar liyā thā. us ne is ilāqekī bastiyoṅ ko apnā nām diyā. āj takyihī nām hawwot-yāīr yānī yāīr kībastiyāṅ chaltā hai.)

15maiṅ ne jiliād kā shimālī hissāmanassī ke kunbe makīr ko diyā16lekin jiliād kā junūbī hissā rūbin aurjad ke qabīloṅ ko diyā. is hisse kī eksarhad junūb meṅ wādī-e-arnon kebīch meṅ se guzartī hai jabki dūsrīsarhad daryā-e-yabboq hai jis ke pārammoniyoṅ kī hukūmat hai. 17us

Page 286: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

286 istisnā 4:1

kī maġhribī sarhad daryā-e-yardanhai yānī kinnarat (galīl) kī jhīl se lekar bahīrā-e-murdār tak jo pisgā kepahāṛī silsile ke dāman meṅ hai.

18us waqt maiṅ ne rūbin, jad aurmanassī ke qabīloṅ se kahā, “rabtumhāre ḳhudā ne tumheṅ mīrāsmeṅ yih mulk de diyā hai. lekinshart yih hai ki tumhāre tamām jangkarne ke qābil mard musallah hokar tumhāre isrāīlī bhāiyoṅ ke āgeāge daryā-e-yardan ko pār kareṅ.19sirf tumhārī aurateṅ aur bachchepīchhe rah kar un shahroṅ meṅintizār kar sakte haiṅ jo maiṅ netumhāre lie muqarrar kie haiṅ. tumapne maweshiyoṅ ko bhī pīchhechhoṛ sakte ho, kyūṅki mujhe patāhai ki tumhāre bahut zyādā jānwarhaiṅ. 20apne bhāiyoṅ ke sāth chaltehue un kī madad karte raho. jabrab tumhārā ḳhudā unheṅ daryā-e-yardan ke maġhrib meṅ wāqe mulkdegā aur wuh tumhārī tarah ārām aursukūn se wahāṅ ābād ho jāeṅge tabtum apne mulk meṅ wāpas jā sakteho.”

mūsā ko yardan pār karne

kī ijāzat nahīṅ miltī21sāth sāth maiṅ ne yashūa se kahā,

“tū ne apnī āṅkhoṅ se sab kuchh dekhliyā hai jo rab tumhāre ḳhudā nein donoṅ bādshāhoṅ sīhon aur oj sekiyā. wuh yihī kuchh har us bādshāh

ke sāth karegā jis ke mulk par tūdaryā ko pār karke hamlā karegā.22un se na ḍaro. tumhārā ḳhudā ḳhudtumhāre lie jang karegā.”

23us waqt maiṅ ne rab se iltijākarke kahā, 24“ai rab qādir-e-mutlaq,tū apne ḳhādim ko apnī azmat aurqudrat dikhāne lagā hai. kyā āsmānyā zamīn par koī aur ḳhudā hai joterī tarah ke azīm kām kar saktāhai? hargiz nahīṅ! 25mehrbānīkarke mujhe bhī daryā-e-yardan kopār karke us achchhe mulk yānī usbehtarīn pahāṛī ilāqe ko lubnān takdeḳhne kī ijāzat de.”

26lekin tumhāre sabab se rab mujhse nārāz thā. us ne merī na sunī balkikahā, “bas kar! āindā mere sāth iskā zikr na karnā. 27pisgā kī choṭī parchaṛh kar chāroṅ taraf nazar dauṛā.wahāṅ se ġhaur se dekh, kyūṅki tūḳhud daryā-e-yardan ko ubūr nahīṅkaregā. 28apnī jagah yashūa komuqarrar kar. us kī hauslā-afzāī karaur use mazbūt kar, kyūṅki wuhī isqaum ko daryā-e-yardan ke maġhribmeṅ le jāegā aur qabīloṅ meṅ us mulkko taqsīm karegā jise tū pahāṛ sedekhegā.”

29chunāṅche ham bait-faġhūr keqarīb wādī meṅ ṭhahre.

farmāṅbardārī kī ashadd zarūrat

4 ai isrāīl, ab wuh tamām ahkāmdhyān se sun le jo maiṅ tumheṅ

Page 287: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 4:2 287

sikhātā hūṅ. un par amal karo tākitum zindā raho aur jā kar us mulk parqabzā karo jo rab tumhāre bāpdādākā ḳhudā tumheṅ dene wālā hai. 2joahkām maiṅ tumheṅ sikhātā hūṅ unmeṅ na kisī bāt kā izāfā karo aur naun se koī bāt nikālo. rab apne ḳhudāke tamām ahkām par amal karo jomaiṅ ne tumheṅ die haiṅ. 3tum neḳhud dekhā hai ki rab ne bāl-faġhūrse kyā kuchh kiyā. wahāṅ rab tereḳhudā ne har ek ko halāk kar ḍālājis ne faġhūr ke bāl dewatā kī pūjākī. 4lekin tum meṅ se jitne rab apneḳhudā ke sāth lipṭe rahe wuh sab ājtak zindā haiṅ.

5maiṅ ne tumheṅ tamām ahkāmyūṅ sikhā die haiṅ jis tarah rab mereḳhudā ne mujhe batāyā. kyūṅkilāzim hai ki tum us mulk meṅ in ketābe raho jis par tum qabzā karnewāle ho. 6inheṅ māno aur in par amalkaro to dūsrī qaumoṅ ko tumhārīdānishmandī aur samajh nazar āegī.phir wuh in tamām ahkām ke bāremeṅ sun kar kaheṅgī, “wāh, yihazīm qaum kaisī dānishmand aursamajhdār hai!” 7kaun sī azīmqaum ke mābūd itne qarīb haiṅ jitnāhamārā ḳhudā hamāre qarīb hai? jabbhī ham madad ke lie pukārte haiṅto rab hamārā ḳhudā maujūd hotāhai. 8kaun sī azīm qaum ke pās aisemunsifānā ahkām aur hidāyāt haiṅ

jaise maiṅ āj tumheṅ pūrī sharīatsunā kar pesh kar rahā hūṅ?

9lekin ḳhabardār, ehtiyāt karnā aurwuh tamām bāteṅ na bhūlnā jo terīāṅkhoṅ ne dekhī haiṅ. wuh umrbhar tere dil meṅ se miṭ na jāeṅbalki unheṅ apne bachchoṅ aur pote-potiyoṅ ko bhī batāte rahnā. 10wuhdin yād kar jab tū horib yānī sīnāpahāṛ par rab apne ḳhudā ke sāmnehāzir thā aur us ne mujhe batāyā,“qaum ko yahāṅ mere pās jamā kartāki maiṅ un se bāt karūṅ aur wuhumr bhar merā ḳhauf māneṅ aurapne bachchoṅ ko merī bāteṅ sikhāteraheṅ.”

11us waqt tum qarīb ā kar pahāṛke dāman meṅ khaṛe hue. wuh jalrahā thā, aur us kī āg āsmān takbhaṛak rahī thī jabki kāle bādaloṅaur gahre andhere ne use nazaroṅ sechhupā diyā. 12phir rab āg meṅ setum se hamkalām huā. tum ne uskī bāteṅ sunīṅ lekin us kī koī shaklna dekhī. sirf us kī āwāz sunāī dī.13us ne tumhāre lie apne ahd yānīun 10 ahkām kā elān kiyā aur hukmdiyā ki in par amal karo. phir usne unheṅ patthar kī do taḳhtiyoṅ parlikh diyā. 14rab ne mujhe hidāyatkī, “unheṅ wuh tamām ahkām sikhājin ke mutābiq unheṅ chalnā hogājab wuh daryā-e-yardan ko pār karkekan’ān par qabzā kareṅge.”

Page 288: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

288 istisnā 4:31

butparastī ke bāre meṅ āgāhī15jab rab horib yānī sīnā pahāṛ par

tum se hamkalām huā to tum ne uskī koī shakl na dekhī. chunāṅcheḳhabardār raho 16ki tum ġhalat kāmkarke apne lie kisī bhī shakl kā butna banāo. na mard, aurat, 17zamīnpar chalne wāle jānwar, parinde,18reṅgne wāle jānwar yā machhlī kābut banāo. 19jab tū āsmān kī tarafnazar uṭhā kar āsmān kā pūrā lashkardekhe to sūraj, chāṅd aur sitāroṅkī parastish aur ḳhidmat karne kīāzmāish meṅ na paṛnā. rab tereḳhudā ne in chīzoṅ ko bāqī tamāmqaumoṅ ko atā kiyā hai, 20lekintumheṅ us ne misr ke bhaṛakte bhaṭṭese nikālā hai tāki tum us kī apnī qaumaur us kī mīrās ban jāo. aur āj aisā hīhuā hai.

21tumhāre sabab se rab ne mujh senārāz ho kar qasam khāī ki tū daryā-e-yardan ko pār karke us achchhemulk meṅ dāḳhil nahīṅ hogā jo rabterā ḳhudā tujhe mīrās meṅ denewālā hai. 22maiṅ yihīṅ isī mulk meṅmar jāūṅgā aur daryā-e-yardan kopār nahīṅ karūṅga. lekin tum daryāko pār karke us behtarīn mulk parqabzā karoge. 23har sūrat meṅ wuhahd yād rakhnā jo rab tumhāre ḳhudāne tumhāre sāth bāndhā hai. apne liekisī bhī chīz kī mūrat na banānā. yihrab kā hukm hai, 24kyūṅki rab terā

ḳhudā bhasm kar dene wālī āg hai,wuh ġhayūr ḳhudā hai.

25tum mulk meṅ jā kar wahāṅrahoge. tumhāre bachche aur pote-nawāse us meṅ paidā ho jāeṅge. jabis tarah bahut waqt guzar jāegā toḳhatrā hai ki tum ġhalat kām karkekisī chīz kī mūrat banāo. aisā kabhīna karnā. yih rab tumhāre ḳhudā kīnazar meṅ burā hai aur use ġhussādilāegā. 26āj āsmān aur zamīn meregawāh haiṅ ki agar tum aisā karo tojaldī se us mulk meṅ se miṭ jāogejis par tum daryā-e-yardan ko pārkarke qabzā karoge. tum der takwahāṅ jīte nahīṅ rahoge balki pūretaur par halāk ho jāoge. 27rab tumheṅmulk se nikāl kar muḳhtalif qaumoṅmeṅ muntashir kar degā, aur wahāṅsirf thoṛe hī afrād bache raheṅge.28wahāṅ tum insān ke hāthoṅ se banehue lakaṛī aur patthar ke butoṅ kīḳhidmat karoge, jo na dekh sakte, nasun sakte, na khā sakte aur na sūṅghsakte haiṅ.

29wahīṅ tū rab apne ḳhudā kotalāsh karegā, aur agar use pūre dil-o-jān se ḍhūnḍe to wuh tujhe milbhī jāegā. 30jab tū is taqlīf meṅmubtalā hogā aur yih sārā kuchh tujhpar se guzaregā phir āḳhirkār rabapne ḳhudā kī taraf rujū karke uskī sunegā. 31kyūṅki rab terā ḳhudārahīm ḳhudā hai. wuh tujhe na tarkkaregā aur na barbād karegā. wuh us

Page 289: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 4:32 289

ahd ko nahīṅ bhūlegā jo us ne qasamkhā kar tere bāpdādā se bāndhā thā.

rab hī hamārā ḳhudā hai32duniyā meṅ insān kī taḳhlīq se le

kar āj tak māzī kī taftīsh kar. āsmānke ek sire se dūsre sire tak khoj lagā.kyā is se pahle kabhī is tarah kāmojizānā kām huā hai? kyā kisī neis se pahle is qism ke azīm kām kīḳhabar sunī hai? 33tū ne āg meṅ seboltī huī allāh kī āwāz sunī to bhī jītābachā! kyā kisī aur qaum ke sāthaisā huā hai? 34kyā kisī aur mābūdne kabhī jur’at kī hai ki rab kī tarahpūrī qaum ko ek mulk se nikāl karapnī milkiyat banāyā ho? us ne aisāhī tumhāre sāth kiyā. us ne tumhāredeḳhte deḳhte misriyoṅ ko āzmāyā,unheṅ baṛe mojize dikhāe, un ke sāthjang kī, apnī baṛī qudrat aur iḳhtiyārkā izhār kiyā aur haulnāk kāmoṅ seun par ġhālib ā gayā.

35tujhe yih sab kuchh dikhāyā gayātāki tū jān le ki rab ḳhudā hai. us kesiwā koī aur nahīṅ hai. 36us ne tujhenasīhat dene ke lie āsmān se apnīāwāz sunāī. zamīn par us ne tujheapnī azīm āg dikhāī jis meṅ se tū neus kī bāteṅ sunīṅ. 37use tere bāpdādāse pyār thā, aur us ne tujhe jo unkī aulād haiṅ chun liyā. is lie wuhḳhud hāzir ho kar apnī azīm qudrat setujhe misr se nikāl lāyā. 38us ne tereāge se tujh se zyādā baṛī aur tāqatwar

qaumeṅ nikāl dīṅ tāki tujhe un kāmulk mīrās meṅ mil jāe. āj aisā hī horahā hai.

39chunāṅche āj jān le aur zahanmeṅ rakh ki rab āsmān aur zamīn kāḳhudā hai. koī aur mābūd nahīṅ hai.40us ke ahkām par amal kar jo maiṅtujhe āj sunā rahā hūṅ. phir tū aurterī aulād kāmyāb hoṅge, aur tū dertak us mulk meṅ jītā rahegā jo rabtujhe hameshā ke lie de rahā hai.

yardan ke mashriq meṅ

panāh ke shahr41yih kah kar mūsā ne daryā-e-

yardan ke mashriq meṅ panāh ke tīnshahr chun lie. 42un meṅ wuh shaḳhspanāh le saktā thā jis ne dushmanī kībinā par nahīṅ balki ġhairirādī taurpar kisī ko jān se mār diyā thā. aiseshahr meṅ panāh lene ke sabab se usebadle meṅ qatl nahīṅ kiyā jā saktāthā. 43is ke lie rūbin ke qabīle ke liemaidān-e-murtafā kā shahr basar, jadke qabīle ke lie jiliād kā shahr rāmātaur manassī ke qabīle ke lie basan kāshahr jaulān chunā gayā.

sharīat kā peshlafz44darj-e-zail wuh sharīat hai jo

mūsā ne isrāīliyoṅ ko pesh kī. 45mūsāne yih ahkām aur hidāyāt us waqtpesh kīṅ jab wuh misr se nikal kar46daryā-e-yardan ke mashriqī kinārepar the. bait-faġhūr un ke muqābil

Page 290: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

290 istisnā 5:14

thā, aur wuh amorī bādshāh sīhonke mulk meṅ ḳhaimāzan the. sīhonkī rihāish hasbon meṅ thī aur useisrāīliyoṅ se shikast huī thī jab wuhmūsā kī rāhnumāī meṅ misr se nikalāe the. 47us ke mulk par qabzā karkeunhoṅ ne basan ke mulk par bhī fathpāī thī jis kā bādshāh oj thā. in donoṅamorī bādshāhoṅ kā yih pūrā ilāqāun ke hāth meṅ ā gayā thā. yihilāqā daryā-e-yardan ke mashriq meṅthā. 48us kī junūbī sarhad daryā-e-arnon ke kināre par wāqe shahr aroīrthī jabki us kī shimālī sarhad siryūnyānī harmūn pahāṛ thī. 49daryā-e-yardan kā pūrā mashriqī kinārā pisgāke pahāṛī silsile ke dāman meṅ wāqebahīrā-e-murdār tak us meṅ shāmilthā.

das ahkām

5 mūsā ne tamām isrāīliyoṅ kojamā karke kahā,

ai isrāīl, dhyān se wuh hidāyātaur ahkām sun jo maiṅ tumheṅ ājpesh kar rahā hūṅ. unheṅ sīkhoaur baṛī ehtiyāt se un par amalkaro. 2rab hamāre ḳhudā ne horibyānī sīnā pahāṛ par hamāre sāth ahdbāndhā. 3us ne yih ahd hamārebāpdādā ke sāth nahīṅ balki hamārehī sāth bāndhā hai, jo āj is jagah parzindā haiṅ. 4rab pahāṛ par āg meṅse rū-ba-rū ho kar tum se hamkalāmhuā. 5us waqt maiṅ tumhāre aur rab

ke darmiyān khaṛā huā tāki tumheṅrab kī bāteṅ sunāūṅ. kyūṅki tum āgse ḍarte the aur is lie pahāṛ par nachaṛhe. us waqt rab ne kahā,

6“maiṅ rab terā ḳhudā hūṅ jotujhe mulk-e-misr kī ġhulāmī se nikāllāyā. 7mere siwā kisī aur mābūd kīparastish na karnā.

8apne lie but na banānā. kisī bhīchīz kī mūrat na banānā, chāhe wuhāsmān meṅ, zamīn par yā samundarmeṅ ho. 9na butoṅ kī parastish, na unkī ḳhidmat karnā, kyūṅki maiṅ terārab ġhayūr ḳhudā hūṅ. jo mujh senafrat karte haiṅ unheṅ maiṅ tīsrī aurchauthī pusht tak sazā dūṅgā. 10lekinjo mujh se muhabbat rakhte aur mereahkām pūre karte haiṅ un par maiṅhazār pushtoṅ tak mehrbānī karūṅga.

11rab apne ḳhudā kā nām bemaqsadyā ġhalat maqsad ke lie istemāl nakarnā. jo bhī aisā kartā hai use rabsazā die baġhair nahīṅ chhoṛegā.

12sabat ke din kā ḳhayāl rakhnā.use is tarah manānā ki wuh maḳhsūs-o-muqaddas ho, usī tarah jis tarah rabtere ḳhudā ne tujhe hukm diyā hai.13hafte ke pahle chhih din apnā kām-kāj kar, 14lekin sātwāṅ din rab tereḳhudā kā ārām kā din hai. us din kisītarah kā kām na karnā. na tū, na terābeṭā, na terī beṭī, na terā naukar, naterī naukarānī, na terā bail, na terāgadhā, na terā koī aur maweshī. jopardesī tere darmiyān rahtā hai wuh

Page 291: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 5:15 291

bhī kām na kare. tere naukar aurterī naukarānī ko terī tarah ārām kāmauqā milnā hai. 15yād rakhnā kitū misr meṅ ġhulām thā aur ki rabterā ḳhudā hī tujhe baṛī qudrat auriḳhtiyār se wahāṅ se nikāl lāyā. is lieus ne tujhe hukm diyā hai ki sabat kādin manānā.

16apne bāp aur apnī māṅ kī izzatkarnā jis tarah rab tere ḳhudā netujhe hukm diyā hai. phir tū us mulkmeṅ jo rab terā ḳhudā tujhe denewālā hai ḳhushhāl hogā aur der takjītā rahegā.

17qatl na karnā.18zinā na karnā.19chorī na karnā.20apne paṛosī ke bāre meṅ jhūṭī

gawāhī na denā.21apne paṛosī kī bīwī kā lālach na

karnā. na us ke ghar kā, na us kīzamīn kā, na us ke naukar kā, na us kīnaukarānī kā, na us ke bail aur na uske gadhe kā balki us kī kisī bhī chīzkā lālach na karnā.”

22rab ne tum sab ko yih ahkām diejab tum sīnā pahāṛ ke dāman meṅjamā the. wahāṅ tum ne āg, bādal aurgahre andhere meṅ se us kī zordārāwāz sunī. yihī kuchh us ne kahā aurbas. phir us ne unheṅ patthar kī dotaḳhtiyoṅ par likh kar mujhe de diyā.

log rab se ḍarte haiṅ23jab tum ne tārīkī se yih āwāz

sunī aur pahāṛ kī jaltī huī hālat dekhīto tumhāre qabīloṅ ke rāhnumā aurbuzurg mere pās āe. 24unhoṅ ne kahā,“rab hamāre ḳhudā ne ham par apnājalāl aur azmat zāhir kī hai. āj hamne āg meṅ se us kī āwāz sunī hai.ham ne dekh liyā hai ki jab allāhinsān se hamkalām hotā hai to zarūrīnahīṅ ki wuh mar jāe. 25lekin abham kyūṅ apnī jān ḳhatre meṅ ḍāleṅ?agar ham mazīd rab apne ḳhudā kīāwāz suneṅ to yih baṛī āg hameṅbhasm kar degī aur ham apnī jān sehāth dho baiṭheṅge. 26kyūṅki fānīinsānoṅ meṅ se kaun hamārī tarahzindā ḳhudā ko āg meṅ se bāteṅ kartehue sun kar zindā rahā hai? koībhī nahīṅ! 27āp hī qarīb jā kar untamām bātoṅ ko suneṅ jo rab hamārāḳhudā hameṅ batānā chāhtā hai. phirlauṭ kar hameṅ wuh bāteṅ sunāeṅ.ham unheṅ suneṅge aur un par amalkareṅge.”

28jab rab ne yih sunā to us ne mujhse kahā, “maiṅ ne in logoṅ kī yihbāteṅ sun lī haiṅ. wuh ṭhīk kahtehaiṅ. 29kāsh un kī soch hameshāaisī hī ho! kāsh wuh hameshā isītarah merā ḳhauf māneṅ aur mereahkām par amal kareṅ! agar wuhaisā kareṅge to wuh aur un kī aulādhameshā kāmyāb raheṅge. 30jā,unheṅ batā de ki apne ḳhaimoṅ meṅ

Page 292: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

292 istisnā 6:15

lauṭ jāo. 31lekin tū yahāṅ mere pāsrah tāki maiṅ tujhe tamām qawānīnaur ahkām de dūṅ. un ko logoṅ kosikhānā tāki wuh us mulk meṅ unke mutābiq chaleṅ jo maiṅ unheṅdūṅgā.”

32chunāṅche ehtiyāt se un ahkāmpar amal karo jo rab tumhāre ḳhudāne tumheṅ die haiṅ. un se na dāīṅtaraf haṭo na bāīṅ taraf. 33hameshāus rāh par chalte raho jo rab tumhāreḳhudā ne tumheṅ batāī hai. phirtum kāmyāb hoge aur us mulk meṅder tak jīte rahoge jis par tum qabzākaroge.

sab se baṛā hukm

6 yih wuh tamām ahkām haiṅ jorab tumhāre ḳhudā ne mujhe

tumheṅ sikhāne ke lie kahā. us mulkmeṅ in par amal karnā jis meṅ tumjāne wāle ho tāki us par qabzā karo.2umr bhar tū, tere bachche aur pote-nawāse rab apne ḳhudā kā ḳhaufmāneṅ aur us ke un tamām ahkāmpar chaleṅ jo maiṅ tujhe de rahā hūṅ.tab tū der tak jītā rahegā. 3ai isrāīl,yih merī bāteṅ sun aur baṛī ehtiyāt sein par amal kar! phir rab tere ḳhudākā wādā pūrā ho jāegā ki tū kāmyābrahegā aur terī tādād us mulk meṅḳhūb baṛhtī jāegī jis meṅ dūdh aurshahd kī kasrat hai.

4sun ai isrāīl! rab hamārā ḳhudāek hī rab hai. 5rab apne ḳhudā se

apne pūre dil, apnī pūrī jān aur apnīpūrī tāqat se pyār karnā. 6jo ahkāmmaiṅ tujhe āj batā rahā hūṅ unheṅapne dil par naqsh kar. 7unheṅ apnebachchoṅ ke zahannashīn karā. yihībāteṅ har waqt aur har jagah terelaboṅ par hoṅ ḳhwāh tū ghar meṅbaiṭhā yā rāste par chaltā ho, leṭāho yā khaṛā ho. 8unheṅ nishān ketaur par aur yāddihānī ke lie apnebāzū’oṅ aur māthe par lagā. 9unheṅapne gharoṅ kī chaukhaṭoṅ aur apneshahroṅ ke darwāzoṅ par likh.

10rab tere ḳhudā kā wādā pūrā hogājo us ne qasam khā kar tere bāpdādāibrāhīm, is’hāq aur yāqūb ke sāthkiyā ki maiṅ tujhe kan’ān meṅ lejāūṅgā. jo baṛe aur shāndār shahrus meṅ haiṅ wuh tū ne ḳhud nahīṅbanāe. 11jo makān us meṅ haiṅ wuhaisī achchhī chīzoṅ se bhare hue haiṅjo tū ne un meṅ nahīṅ rakhīṅ. jo kueṅus meṅ haiṅ un ko tū ne nahīṅ khodā.jo angūr aur zaitūn ke bāġh us meṅhaiṅ unheṅ tū ne nahīṅ lagāyā. yihhaqīqat yād rakh. jab tū us mulk meṅkasrat kā khānā khā kar ser ho jāegā12to ḳhabardār! rab ko na bhūlnā jotujhe misr kī ġhulāmī se nikāl lāyā.

13rab apne ḳhudā kā ḳhauf mānanā.sirf usī kī ibādat karnā aur usī kānām le kar qasam khānā. 14dīgarmābūdoṅ kī pairawī na karnā. ismeṅ tamām paṛosī aqwām ke dewatābhī shāmil haiṅ. 15warnā rab tere

Page 293: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 6:16 293

ḳhudā kā ġhazab tujh par nāzil hokar tujhe mulk meṅ se miṭā ḍālegā.kyūṅki wuh ġhayūr ḳhudā hai aurtere darmiyān hī rahtā hai.

16rab apne ḳhudā ko us tarah naāzmānā jis tarah tum ne massā meṅkiyā thā. 17dhyān se rab apne ḳhudāke ahkām ke mutābiq chalo, untamām hidāyāt aur qawānīn par jous ne tujhe die haiṅ. 18jo kuchhrab kī nazar meṅ durust aur achchhāhai wuh kar. phir tū kāmyābrahegā, tū jā kar us achchhe mulkpar qabzā karegā jis kā wādā rab netere bāpdādā se qasam khā kar kiyāthā. 19tab rab kī bāt pūrī ho jāegī kitū apne dushmanoṅ ko apne āge āgenikāl degā.

20āne wāle dinoṅ meṅ tere bachchepūchheṅge, “rab hamāre ḳhudā ne āpko in tamām ahkām par amal karneko kyūṅ kahā?” 21phir unheṅ jawābdenā, “ham misr ke bādshāh fir’aunke ġhulām the, lekin rab hameṅ baṛīqudrat kā izhār karke misr se nikāllāyā. 22hamāre deḳhte deḳhte us nebaṛe baṛe nishān aur mojize kie aurmisr, fir’aun aur us ke pūre gharānepar haulnāk musībateṅ bhejīṅ. 23uswaqt wuh hameṅ wahāṅ se nikāllāyā tāki hameṅ le kar wuh mulkde jis kā wādā us ne qasam khā karhamāre bāpdādā ke sāth kiyā thā.24rab hamāre ḳhudā hī ne hameṅkahā ki in tamām ahkām ke mutābiq

chalo aur rab apne ḳhudā kā ḳhaufmāno. kyūṅki agar ham aisā kareṅ tophir ham hameshā kāmyāb aur zindāraheṅge. aur āj tak aisā hī rahā hai.25agar ham rab apne ḳhudā ke huzūrrah kar ehtiyāt se un tamām bātoṅpar amal kareṅge jo us ne hameṅkarne ko kahī haiṅ to wuh hameṅrāstbāz qarār degā.”

dūsrī kan’ānī qaumoṅ ko nikālnā hai

7 rab terā ḳhudā tujhe us mulkmeṅ le jāegā jis par tū jā kar

qabzā karegā. wuh tere sāmne sebahut sī qaumeṅ bhagā degā. go yihsāt qaumeṅ yānī hittī, jirjāsī, amorī,kan’ānī, farizzī, hiwwī aur yabūsītādād aur tāqat ke lihāz se tujh sebaṛī hoṅgī 2to bhī rab terā ḳhudāunheṅ tere hawāle karegā. jab tūunheṅ shikast degā to un sab ko uske lie maḳhsūs karke halāk kar denāhai. na un ke sāth ahd bāndhnā aurna un par rahm karnā. 3un meṅse kisī se shādī na karnā. na apnībeṭiyoṅ kā rishtā un ke beṭoṅ kodenā, na apne beṭoṅ kā rishtā unkī beṭiyoṅ se karnā. 4warnā wuhtumhāre bachchoṅ ko merī pairawīse dūr kareṅge aur wuh merī nahīṅbalki un ke dewatāoṅ kī ḳhidmatkareṅge. tab rab kā ġhazab tum parnāzil ho kar jaldī se tumheṅ halāk kardegā. 5is lie un kī qurbāngāheṅ ḍhādenā. jin pattharoṅ kī wuh pūjā karte

Page 294: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

294 istisnā 7:18

haiṅ unheṅ chaknāchūr kar denā, unke yasīrat dewī ke khambe kāṭ ḍālnāaur un ke but jalā denā.

6kyūṅki tū rab apne ḳhudā kelie maḳhsūs-o-muqaddas hai. usne duniyā kī tamām qaumoṅ meṅse tujhe chun kar apnī qaum aurḳhās milkiyat banāyā. 7rab ne kyūṅtumhāre sāth tālluq qāim kiyā aurtumheṅ chun liyā? kyā is wajahse ki tum tādād meṅ dīgar qaumoṅkī nisbat zyādā the? hargiz nahīṅ!tum to bahut kam the. 8balki wajahyih thī ki rab ne tumheṅ pyār kiyāaur wuh wādā pūrā kiyā jo us neqasam khā kar tumhāre bāpdādā kesāth kiyā thā. isī lie wuh fidyā dekar tumheṅ baṛī qudrat se misr kīġhulāmī aur us mulk ke bādshāh kehāth se bachā lāyā. 9chunāṅche jānle ki sirf rab terā ḳhudā hī ḳhudāhai. wuh wafādār ḳhudā hai. jo usse muhabbat rakhte aur us ke ahkāmpar amal karte haiṅ un ke sāth wuhapnā ahd qāim rakhegā aur un parhazār pushtoṅ tak mehrbānī karegā.10lekin us se nafrat karne wāloṅ kowuh un ke rū-ba-rū munāsib sazāde kar barbād karegā. hāṅ, jo usse nafrat karte haiṅ, un ke rū-ba-rūwuh munāsib sazā degā aur jhijkegānahīṅ.

11chunāṅche dhyān se un tamāmahkām par amal kar jo maiṅ āj tujhede rahā hūṅ tāki tū un ke mutābiq

zindagī guzāre. 12agar tū un partawajjuh de aur ehtiyāt se un parchale to phir rab terā ḳhudā tere sāthapnā ahd qāim rakhegā aur tujh parmehrbānī karegā, bilkul us wāde kemutābiq jo us ne qasam khā kar terebāpdādā se kiyā thā. 13wuh tujhepyār karegā aur tujhe us mulk meṅbarkat degā jo tujhe dene kā wādāus ne qasam khā kar tere bāpdādā sekiyā thā. tujhe bahut aulād baḳhshneke ilāwā wuh tere khetoṅ ko barkatdegā, aur tujhe kasrat kā anāj, angūraur zaitūn hāsil hogā. wuh tererewaṛoṅ ko bhī barkat degā, aurtere gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ kītādād baṛhtī jāegī. 14tujhe dīgartamām qaumoṅ kī nisbat kahīṅ zyādābarkat milegī. na tujh meṅ aurna tere maweshiyoṅ meṅ bāṅjhpanpāyā jāegā. 15rab har bīmārī kotujh se dūr rakhegā. wuh tujhmeṅ wuh ḳhatarnāk wabāeṅ phailnenahīṅ degā jin se tū misr meṅ wāqifhuā balki unheṅ un meṅ phailāegā jotujh se nafrat rakhte haiṅ.

16jo bhī qaumeṅ rab terā ḳhudātere hāth meṅ kar degā unheṅ tabāhkarnā lāzim hai. un par rahm kī nigāhse na deḳhnā, na un ke dewatāoṅ kīḳhidmat karnā, warnā tū phaṅs jāegā.

17go terā dil kahe, “yih qaumeṅham se tāqatwar haiṅ. ham kis tarahinheṅ nikāl sakte haiṅ?” 18to bhī unse na ḍar. wuhī kuchh zahan meṅ

Page 295: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 7:19 295

rakh jo rab tere ḳhudā ne fir’aun aurpūre misr ke sāth kiyā. 19kyūṅki tūne apnī āṅkhoṅ se rab apne ḳhudākī wuh baṛī āzmāne wālī musībateṅaur mojize, us kā wuh azīm iḳhtiyāraur qudrat dekhī jis se wuh tujhewahāṅ se nikāl lāyā. wuhī kuchhrab terā ḳhudā un qaumoṅ ke sāthbhī karegā jin se tū is waqt ḍartāhai. 20na sirf yih balki rab terā ḳhudāun ke darmiyān zambūr bhī bhejegātāki wuh bhī tabāh ho jāeṅ jo pahlehamloṅ se bach kar chhup gae haiṅ.21un se dahshat na khā, kyūṅki rabterā ḳhudā tere darmiyān hai. wuhazīm ḳhudā hai jis se sab ḳhauf khātehaiṅ. 22wuh raftā raftā un qaumoṅ kotere āge se bhagā degā. tū unheṅ ekdam ḳhatm nahīṅ kar sakegā, warnājanglī jānwar tezī se baṛh kar tujhenuqsān pahuchāeṅge.

23rab terā ḳhudā unheṅ tere hawālekar degā. wuh un meṅ itnī saḳht afrā-tafrī paidā karegā ki wuh barbād hojāeṅge. 24wuh un ke bādshāhoṅ kobhī tere qābū meṅ kar degā, aur tū unkā nām-o-nishān miṭā degā. koī bhīterā sāmnā nahīṅ kar sakegā balki tūun sab ko barbād kar degā.

25un ke dewatāoṅ ke mujassamejalā denā. jo chāṅdī aur sonā unpar chaṛhāyā huā hai us kā lālach nakarnā. use na lenā warnā tū phaṅsjāegā. kyūṅki in chīzoṅ se rab tereḳhudā ko ghin ātī hai. 26is tarah kī

makrūh chīz apne ghar meṅ na lānā,warnā tujhe bhī us ke sāth alag karkebarbād kiyā jāegā. tere dil meṅ usse shadīd nafrat aur ghin ho, kyūṅkiuse pūre taur par barbād karne ke liemaḳhsūs kiyā gayā hai.

rab ko na bhūlnā

8 ehtiyāt se un tamām ahkām paramal karo jo maiṅ āj tujhe de

rahā hūṅ. kyūṅki aisā karne se tumjīte rahoge, tādād meṅ baṛhoge aurjā kar us mulk par qabzā karoge jiskā wādā rab ne tumhāre bāpdādā seqasam khā kar kiyā thā.

2wuh pūrā waqt yād rakh jab rabterā ḳhudā registān meṅ 40 sāl takterī rāhnumāī kartā rahā tāki tujheājiz karke āzmāe aur mālūm kare kikyā tū us ke ahkām par chalegā kinahīṅ. 3us ne tujhe ājiz karke bhūkehone diyā, phir tujhe man khilāyājis se na tū aur na tere bāpdādāwāqif the. kyūṅki wuh tujhe sikhānāchāhtā thā ki insān kī zindagī sirf roṭīpar munhasir nahīṅ hotī balki har usbāt par jo rab ke muṅh se nikaltī hai.

4in 40 sāloṅ ke daurān tere kapṛena ghise na phaṭe, na tere pāoṅ sūje.5chunāṅche dil meṅ jān le ki jis tarahbāp apne beṭe kī tarbiyat kartā haiusī tarah rab hamārā ḳhudā hamārītarbiyat kartā hai.

6rab apne ḳhudā ke ahkām paramal karke us kī rāhoṅ par chal aur

Page 296: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

296 istisnā 9:3

us kā ḳhauf mān. 7kyūṅki wuh tujheek behtarīn mulk meṅ le jā rahāhai jis meṅ nahreṅ aur aise chashmehaiṅ jo pahāṛiyoṅ aur wādiyoṅ kīzamīn se phūṭ nikalte haiṅ. 8us kīpaidāwār anāj, jau, angūr, anjīr, anār,zaitūn aur shahd hai. 9us meṅ roṭīkī kamī nahīṅ hogī, aur tū kisī chīzse mahrūm nahīṅ rahegā. us kepattharoṅ meṅ lohā pāyā jātā hai, aurkhudāī se tū us kī pahāṛiyoṅ se tāṅbāhāsil kar sakegā.

10jab tū kasrat kā khānā khā kar serho jāegā to phir rab apne ḳhudā kītamjīd karnā jis ne tujhe yih shāndārmulk diyā hai. 11ḳhabardār, rab apneḳhudā ko na bhūl aur us ke unahkām par amal karne se gurez nakar jo maiṅ āj tujhe de rahā hūṅ.12kyūṅki jab tū kasrat kā khānā khākar ser ho jāegā, tū shāndār gharbanā kar un meṅ rahegā 13aur tererewaṛ, sone-chāṅdī aur bāqī tamāmmāl meṅ izāfā hogā 14to kahīṅ tūmaġhrūr ho kar rab apne ḳhudā kobhūl na jāe jo tujhe misr kī ġhulāmīse nikāl lāyā. 15jab tū us wasī aurhaulnāk registān meṅ safar kar rahāthā jis meṅ zahrīle sāṅp aur bichchhūthe to wuhī terī rāhnumāī kartārahā. pānī se mahrūm us ilāqe meṅwuhī saḳht patthar meṅ se pānī nikāllāyā. 16registān meṅ wuhī tujhe mankhilātā rahā, jis se tere bāpdādā wāqifna the. in mushkilāt se wuh tujhe

ājiz karke āzmātā rahā tāki āḳhirkārtū kāmyāb ho jāe.

17jab tujhe kāmyābī hāsil hogī toyih na kahnā ki maiṅ ne apnī hīquwwat aur tāqat se yih sab kuchhhāsil kiyā hai. 18balki rab apne ḳhudāko yād karnā jis ne tujhe daulat hāsilkarne kī qābiliyat dī hai. kyūṅki wuhāj bhī usī ahd par qāim hai jo us netere bāpdādā se kiyā thā.

19rab apne ḳhudā ko na bhūlnā, aurna dīgar mābūdoṅ ke pīchhe paṛ karunheṅ sijdā aur un kī ḳhidmat karnā.warnā maiṅ ḳhud gawāh hūṅ ki tumyaqīnan halāk ho jāoge. 20agar tumrab apne ḳhudā kī itā’at nahīṅ karogeto phir wuh tumheṅ un qaumoṅ kītarah tabāh kar degā jo tum se pahleis mulk meṅ rahtī thīṅ.

mulk milne kā sabab isrāīl

kī rāstī nahīṅ hai

9 sun ai isrāīl! āj tū daryā-e-yardan ko pār karne wālā hai.

dūsrī taraf tū aisī qaumoṅ ko bhagādegā jo tujh se baṛī aur tāqatwarhaiṅ aur jin ke shāndār shahroṅ kīfasīleṅ āsmān se bāteṅ kartī haiṅ.2wahāṅ anāqī baste haiṅ jo tāqatwaraur darāzqad haiṅ. tū ḳhud jāntāhai ki un ke bāre meṅ kahā jātā hai,“kaun anāqiyoṅ kā sāmnā kar saktāhai?” 3lekin āj jān le ki rab terāḳhudā tere āge āge chalte hue unheṅbhasm kar dene wālī āg kī tarah halāk

Page 297: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 9:4 297

karegā. wuh tere āge āge un par qābūpāegā, aur tū unheṅ nikāl kar jaldīmiṭā degā, jis tarah rab ne wādā kiyāhai.

4jab rab terā ḳhudā unheṅ teresāmne se nikāl degā to tū yih nakahnā, “maiṅ rāstbāz hūṅ, isī lie rabmujhe lāiq samajh kar yahāṅ lāyā auryih mulk mīrās meṅ de diyā hai.” yihbāt hargiz durust nahīṅ hai. rab unqaumoṅ ko un kī ġhalat harkatoṅ kīwajah se tere sāmne se nikāl degā.5tū apnī rāstbāzī aur diyānatdārī kībinā par us mulk par qabzā nahīṅkaregā balki rab unheṅ un kī sharīrharkatoṅ ke bāis tere sāmne se nikāldegā. dūsre, jo wādā us ne terebāpdādā ibrāhīm, is’hāq aur yāqūb kesāth qasam khā kar kiyā thā use pūrāhonā hai.

6chunāṅche jān le ki rab terā ḳhudātujhe terī rāstī ke bāis yih achchhāmulk nahīṅ de rahā. haqīqat to yihhai ki tū haṭdharm qaum hai.

sone kā bachhṛā7yād rakh aur kabhī na bhūl ki tū

ne registān meṅ rab apne ḳhudā kokis tarah nārāz kiyā. misr se nikaltewaqt se le kar yahāṅ pahuṅchne taktum rab se sarkash rahe ho. 8ḳhāskarhorib yānī sīnā ke dāman meṅ tumne rab ko itnā ġhussā dilāyā ki wuhtumheṅ halāk karne ko thā. 9us waqtmaiṅ pahāṛ par chaṛh gayā thā tāki

patthar kī taḳhtiyāṅ yānī us ahd kītaḳhtiyāṅ mil jāeṅ jo rab ne tumhāresāth bāndhā thā. kuchh khāe piebaġhair maiṅ 40 din aur rāt wahāṅrahā.

10-11jo kuchh rab ne āg meṅ se kahāthā jab tum pahāṛ ke dāman meṅjamā the wuhī kuchh us ne apnīunglī se donoṅ taḳhtiyoṅ par likhkar mujhe diyā. 12us ne mujh sekahā, “fauran yahāṅ se utar jā. terīqaum jise tū misr se nikāl lāyā bigaṛgaī hai. wuh kitnī jaldī se mereahkām se haṭ gae haiṅ. unhoṅ neapne lie but ḍhāl liyā hai. 13maiṅne jān liyā hai ki yih qaum kitnīziddī hai. 14ab mujhe chhoṛ de tākimaiṅ unheṅ tabāh karke un kā nām-o-nishān duniyā meṅ se miṭā ḍālūṅ.un kī jagah maiṅ tujh se ek qaumbanā lūṅgā jo un se baṛī aur tāqatwarhogī.”

15maiṅ muṛ kar pahāṛ se utrā jo abtak bhaṛak rahā thā. mere hāthoṅmeṅ ahd kī donoṅ taḳhtiyāṅ thīṅ.16tumheṅ deḳhte hī mujhe mālūmhuā ki tum ne rab apne ḳhudā kāgunāh kiyā hai. tum ne apne liebachhṛe kā but ḍhāl liyā thā. tumkitnī jaldī se rab kī muqarrarā rāh sehaṭ gae the.

17tab maiṅ ne tumhāre deḳhtedeḳhte donoṅ taḳhtiyoṅ ko zamīn parpaṭaḳh kar ṭukṛe ṭukṛe kar diyā. 18ekaur bār maiṅ rab ke sāmne muṅh ke

Page 298: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

298 istisnā 10:4

bal girā. maiṅ ne na kuchh khāyā,na kuchh piyā. 40 din aur rāt maiṅtumhāre tamām gunāhoṅ ke bāis isīhālat meṅ rahā. kyūṅki jo kuchh tumne kiyā thā wuh rab ko nihāyat burālagā, is lie wuh ġhazabnāk ho gayāthā. 19wuh tum se itnā nārāz thā kimaiṅ bahut ḍar gayā. yūṅ lag rahāthā ki wuh tumheṅ halāk kar degā.lekin is bār bhī us ne merī sun lī.20maiṅ ne hārūn ke lie bhī duā kī,kyūṅki rab us se bhī nihāyat nārāzthā aur use halāk kar denā chāhtā thā.

21jo bachhṛā tum ne gunāh karkebanāyā thā use maiṅ ne jalā diyā, phirjo kuchh bāqī rah gayā use kuchaldiyā aur pīs pīs kar pāuḍar banā diyā.yih pāuḍar maiṅ ne us chashme meṅphaiṅk diyā jo pahāṛ par se bah rahāthā.

22tum ne rab ko taberā, massāaur qabrot-hattāwā meṅ bhī ġhussādilāyā. 23qādis-barnīa meṅ bhī aisāhī huā. wahāṅ se rab ne tumheṅbhej kar kahā thā, “jāo, us mulk parqabzā karo jo maiṅ ne tumheṅ de diyāhai.” lekin tum ne sarkash ho kar rabapne ḳhudā ke hukm kī ḳhilāfwarzīkī. tum ne us par etimād na kiyā, naus kī sunī. 24jab se maiṅ tumheṅ jāntāhūṅ tumhārā rab ke sāth rawayyābāġhiyānā hī rahā hai.

25maiṅ 40 din aur rāt rab ke sāmnezamīn par muṅh ke bal rahā, kyūṅkirab ne kahā thā ki wuh tumheṅ halāk

kar degā. 26maiṅ ne us se minnatkarke kahā, “ai rab qādir-e-mutlaq,apnī qaum ko tabāh na kar. wuh toterī hī milkiyat hai jise tū ne fidyāde kar apnī azīm qudrat se bachāyāaur baṛe iḳhtiyār ke sāth misr senikāl lāyā. 27apne ḳhādimoṅ ibrāhīm,is’hāq aur yāqūb ko yād kar, auris qaum kī zid, sharīr harkatoṅ aurgunāh par tawajjuh na de. 28warnāmisrī kaheṅge, ‘rab unheṅ us mulkmeṅ lāne ke qābil nahīṅ thā jis kāwādā us ne kiyā thā, balki wuh unse nafrat kartā thā. hāṅ, wuh unheṅhalāk karne ke lie registān meṅ leāyā.’ 29wuh to terī qaum haiṅ, terīmilkiyat jise tū apnī azīm qudrat auriḳhtiyār se misr se nikāl lāyā.”

mūsā ko naī taḳhtiyāṅ miltī haiṅ

10 us waqt rab ne mujh se kahā,“patthar kī do aur taḳhtiyāṅ

tarāshnā jo pahlī taḳhtiyoṅ kī mānindhoṅ. unheṅ le kar mere pās pahāṛpar chaṛh ā. lakaṛī kā sandūq bhībanānā. 2phir maiṅ in taḳhtiyoṅ pardubārā wuhī bāteṅ likhūṅgā jo maiṅun taḳhtiyoṅ par likh chukā thā jo tūne toṛ ḍālīṅ. tumheṅ unheṅ sandūqmeṅ mahfūz rakhnā hai.”

3maiṅ ne kīkar kī lakaṛī kā sandūqbanwāyā aur do taḳhtiyāṅ tarāshīṅ jopahlī taḳhtiyoṅ kī mānind thīṅ. phirmaiṅ donoṅ taḳhtiyāṅ le kar pahāṛpar chaṛh gayā. 4rab ne un taḳhtiyoṅ

Page 299: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 10:5 299

par dubārā wuh das ahkām likh diejo wuh pahlī taḳhtiyoṅ par likh chukāthā. (un hī ahkām kā elān us ne pahāṛpar āg meṅ se kiyā thā jab tum uske dāman meṅ jamā the.) phir us neyih taḳhtiyāṅ mere sapurd kīṅ. 5maiṅlauṭ kar utrā aur taḳhtiyoṅ ko ussandūq meṅ rakhā jo maiṅ ne banāyāthā. wahāṅ wuh ab tak haiṅ. sabkuchh waisā hī huā jaisā rab ne hukmdiyā thā.

imāmoṅ aur lāwiyoṅ kī ḳhidmat6(is ke bād isrāīlī banī-yāqān ke

kuoṅ se rawānā ho kar mausīrāpahuṅche. wahāṅ hārūn faut huā.use dafn karne ke bād us kā beṭāilīazar us kī jagah imām banā. 7phirwuh āge safar karte karte judjūdā,phir yutbātā pahuṅche jahāṅ nahreṅhaiṅ.

8un dinoṅ meṅ rab ne lāwī ke qabīleko alag karke use rab ke ahd kesandūq ko uṭhā kar le jāne, rab kehuzūr ḳhidmat karne aur us ke nāmse barkat dene kī zimmādārī dī. ājtak yih un kī zimmādārī rahī hai. 9iswajah se lāwiyoṅ ko dīgar qabīloṅ kītarah na hissā na mīrās milī. rab terāḳhudā ḳhud un kī mīrās hai. us neḳhud unheṅ yih farmāyā hai.)

10jab maiṅ ne dūsrī martabā 40 dinaur rāt pahāṛ par guzāre to rab ne isdafā bhī merī sunī aur tujhe halāk nakarne par āmādā huā. 11us ne kahā,

“jā, qaum kī rāhnumāī kar tāki wuhjā kar us mulk par qabzā kareṅ jis kāwādā maiṅ ne qasam khā kar un kebāpdādā se kiyā thā.”

rab kā ḳhauf12ai isrāīl, ab merī bāt sun! rab

terā ḳhudā tujh se kyā taqāzā kartāhai? sirf yih ki tū us kā ḳhauf māne,us kī tamām rāhoṅ par chale, usepyār kare, apne pūre dil-o-jān se uskī ḳhidmat kare 13aur us ke tamāmahkām par amal kare. āj maiṅ unheṅtujhe terī behtarī ke lie de rahā hūṅ.

14pūrā āsmān, zamīn aur jo kuchhus par hai, sab kā mālik rab terāḳhudā hai. 15to bhī us ne tere bāpdādāpar hī apnī ḳhās shafqat kā izhārkarke un se muhabbat kī. aur usne tumheṅ chun kar dūsrī tamāmqaumoṅ par tarjīh dī jaisā ki āj zāhirhai. 16ḳhatnā us kī qaum kā nishānhai, lekin dhyān rakho ki wuh na sirfzāhirī balki bātinī bhī ho. āindā aṛ najāo.

17kyūṅki rab tumhārā ḳhudāḳhudāoṅ kā ḳhudā aur rabboṅ kārab hai. wuh azīm aur zor-āwarḳhudā hai jis se sab ḳhauf khātehaiṅ. wuh jānibdārī nahīṅ kartā aurrishwat nahīṅ letā. 18wuh yatīmoṅaur bewāoṅ kā insāf kartā hai. wuhpardesī se pyār kartā aur use ḳhurākaur poshāk muhayyā kartā hai. 19tum

Page 300: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

300 istisnā 11:14

bhī un ke sāth muhabbat se pesh āo,kyūṅki tum bhī misr meṅ pardesī the.

20rab apne ḳhudā kā ḳhauf mān aurus kī ḳhidmat kar. us se lipṭā rah aurusī ke nām kī qasam khā. 21wuhī terāfaḳhr hai. wuh terā ḳhudā hai jis newuh tamām azīm aur ḍarāune kāmkie jo tū ne ḳhud dekhe. 22jab terebāpdādā misr gae the to 70 afrād the.aur ab rab tere ḳhudā ne tujhe sitāroṅkī mānind beshumār banā diyā hai.

rab se muhabbat rakh aur us kī sun

11 rab apne ḳhudā se pyār karaur hameshā us ke ahkām

ke mutābiq zindagī guzār. 2āj jān loki tumhāre bachchoṅ ne nahīṅ balkitum hī ne rab apne ḳhudā se tarbiyatpāī. tum ne us kī azmat, baṛe iḳhtiyāraur qudrat ko dekhā, 3aur tum unmojizoṅ ke gawāh ho jo us ne misrke bādshāh fir’aun aur us ke pūremulk ke sāmne kie. 4tum ne dekhāki rab ne kis tarah misrī fauj ko uske ghoṛoṅ aur rathoṅ samet bahr-e-qulzum meṅ ġharq kar diyā jab wuhtumhārā tāqqub kar rahe the. us neunheṅ yūṅ tabāh kiyā ki wuh āj takbahāl nahīṅ hue.

5tumhāre bachche nahīṅ balki tumhī gawāh ho ki yahāṅ pahuṅchne sepahle rab ne registān meṅ tumhārī kistarah dekh-bhāl kī. 6tum ne us kāiliyāb ke beṭoṅ dātan aur abīrām kesāth sulūk dekhā jo rūbin ke qabīle

ke the. us din zamīn ne ḳhaimāgāhke andar muṅh khol kar unheṅ un kegharānoṅ, ḍeroṅ aur tamām jāndāroṅsamet haṛap kar liyā.

7tum ne apnī hī āṅkhoṅ se rab keyih tamām azīm kām dekhe haiṅ.8chunāṅche un tamām ahkām paramal karte raho jo maiṅ āj tumheṅ derahā hūṅ tāki tumheṅ wuh tāqat hāsilho jo darkār hogī jab tum daryā-e-yardan ko pār karke mulk par qabzākaroge. 9agar tum farmāṅbardār rahoto der tak us mulk meṅ jīte rahogejis kā wādā rab ne qasam khā kartumhāre bāpdādā se kiyā thā aur jismeṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.

10kyūṅki yih mulk misr kī mānindnahīṅ hai jahāṅ se tum nikal āe ho.wahāṅ ke khetoṅ meṅ tujhe bīj bokar baṛī mehnat se us kī ābpāshīkarnī paṛtī thī 11jabki jis mulk partum qabzā karoge us meṅ pahāṛ aurwādiyāṅ haiṅ jinheṅ sirf bārish kāpānī serāb kartā hai. 12rab terā ḳhudāḳhud us mulk kā ḳhayāl rakhtā hai.rab tere ḳhudā kī āṅkheṅ sāl ke pahledin se le kar āḳhir tak mutawātir uspar lagī rahtī haiṅ.

13chunāṅche un ahkām ke tāberaho jo maiṅ āj tumheṅ de rahā hūṅ.rab apne ḳhudā se pyār karo aur apnepūre dil-o-jān se us kī ḳhidmat karo.14phir wuh ḳharīf aur bahār kī sālānābārish waqt par bhejegā. anāj, angūraur zaitūn kī fasleṅ pakeṅgī, aur tū

Page 301: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 11:15 301

unheṅ jamā kar legā. 15nīz, allāh terīcharāgāhoṅ meṅ tere rewaṛoṅ ke lieghās muhayyā karegā, aur tū khā karser ho jāegā.

16lekin ḳhabardār, kahīṅ tumheṅwarġhalāyā na jāe. aisā na hoki tum rab kī rāh se haṭ jāo aurdīgar mābūdoṅ ko sijdā karke unkī ḳhidmat karo. 17warnā rab kāġhazab tum par ān paṛegā, aur wuhmulk meṅ bārish hone nahīṅ degā.tumhārī fasleṅ nahīṅ pakeṅgī, aurtumheṅ jald hī us achchhe mulk meṅse miṭā diyā jāegā jo rab tumheṅ derahā hai.

18chunāṅche merī yih bāteṅ apnediloṅ par naqsh kar lo. unheṅnishān ke taur par aur yāddihānīke lie apne hāthoṅ aur māthoṅ parlagāo. 19unheṅ apne bachchoṅ kosikhāo. har jagah aur hameshā unke bāre meṅ bāt karo, ḳhwāh tūghar meṅ baiṭhā yā rāste par chaltāho, leṭā ho yā khaṛā ho. 20unheṅapne gharoṅ kī chaukhaṭoṅ aur apneshahroṅ ke darwāzoṅ par likh 21tākijab tak zamīn par āsmān qāim haitum aur tumhārī aulād us mulk meṅjīte raheṅ jis kā wādā rab ne qasamkhā kar tumhāre bāpdādā se kiyā thā.

22ehtiyāt se un ahkām kī pairawīkaro jo maiṅ tumheṅ de rahā hūṅ.rab apne ḳhudā se pyār karo, uske tamām ahkām par amal karoaur us ke sāth lipṭe raho. 23phir

wuh tumhāre āge āge yih tamāmqaumeṅ nikāl degā aur tum aisīqaumoṅ kī zamīnoṅ par qabzā karogejo tum se baṛī aur tāqatwar haiṅ.24tum jahāṅ bhī qadam rakhoge wuhtumhārā hī hogā, junūbī registān sele kar lubnān tak, daryā-e-furāt sebahīrā-e-rūm tak. 25koī bhī tumhārāsāmnā nahīṅ kar sakegā. tum usmulk meṅ jahāṅ bhī jāoge wahāṅrab tumhārā ḳhudā apne wāde kemutābiq tumhārī dahshat aur ḳhaufpaidā kar degā. 26āj tum ḳhud faislākaro. kyā tum rab kī barkat yā us kīlānat pānā chāhte ho? 27agar tum rabapne ḳhudā ke un ahkām par amalkaro jo maiṅ āj tumheṅ de rahā hūṅto wuh tumheṅ barkat degā. 28lekinagar tum un ke tābe na raho balkimerī peshkardā rāh se haṭ kar dīgarmābūdoṅ kī pairawī karo to wuh tumpar lānat bhejegā.

29jab rab terā ḳhudā tujhe us mulkmeṅ le jāegā jis par tū qabzā karegā tolāzim hai ki garizīm pahāṛ par chaṛhkar barkat kā elān kare aur aibālpahāṛ par lānat kā. 30yih do pahāṛdaryā-e-yardan ke maġhrib meṅ unkan’āniyoṅ ke ilāqe meṅ wāqe haiṅjo wādī-e-yardan meṅ ābād haiṅ.wuh maġhrib kī taraf jiljāl shahr kesāmne morih ke balūt ke daraḳhtoṅke nazdīk haiṅ. 31ab tum daryā-e-yardan ko pār karke us mulk parqabzā karne wāle ho jo rab tumhārā

Page 302: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

302 istisnā 12:12

ḳhudā tumheṅ de rahā hai. jab tumuse apnā kar us meṅ ābād ho jāoge32to ehtiyāt se un tamām ahkām paramal karte raho jo maiṅ āj tumheṅ derahā hūṅ.

mulk meṅ rab ke ahkām

12 zail meṅ wuh ahkām aurqawānīn haiṅ jin par tumheṅ

dhyān se amal karnā hogā jab tumus mulk meṅ ābād hoge jo rab terebāpdādā kā ḳhudā tujhe de rahā haitāki tū us par qabzā kare. mulk meṅrahte hue umr bhar un ke tābe raho.

mulk meṅ ek hī jagah par maqdis ho2un tamām jaghoṅ ko barbād

karo jahāṅ wuh qaumeṅ jinheṅtumheṅ nikālnā hai apne dewatāoṅkī pūjā kartī haiṅ, ḳhwāh wuhūṅche pahāṛoṅ, pahāṛiyoṅ yā ghanedaraḳhtoṅ ke sāy meṅ kyūṅ na hoṅ.3un kī qurbāngāhoṅ ko ḍhā denā.jin pattharoṅ kī pūjā wuh karte haiṅunheṅ chaknāchūr kar denā. yasīratdewī ke khambe jalā denā. un kedewatāoṅ ke mujassame kāṭ ḍālnā.ġharz in jaghoṅ se un kā nām-o-nishān miṭ jāe.

4rab apne ḳhudā kī parastish karneke lie un ke tarīqe na apnānā.5rab tumhārā ḳhudā qabīloṅ meṅse apne nām kī sukūnat ke lieek jagah chun legā. ibādat kelie wahāṅ jāyā karo, 6aur wahāṅ

apnī tamām qurbāniyāṅ lā kar peshkaro, ḳhwāh wuh bhasm hone wālīqurbāniyāṅ, zabah kī qurbāniyāṅ,paidāwār kā daswāṅ hissā, uṭhānewālī qurbāniyāṅ, mannat ke hadie,ḳhushī se pesh kī gaī qurbāniyāṅ yāmaweshiyoṅ ke pahlauṭhe kyūṅ nahoṅ. 7wahāṅ rab apne ḳhudā kehuzūr apne gharānoṅ samet khānākhā kar un kāmyābiyoṅ kī ḳhushīmanāo jo tujhe rab tere ḳhudā kībarkat ke bāis hāsil huī haiṅ.

8us waqt tumheṅ wuh nahīṅ karnājo ham karte āe haiṅ. āj tak harkoī apnī marzī ke mutābiq ibādatkartā hai, 9kyūṅki ab tak tum ārāmkī us jagah nahīṅ pahuṅche jo tujherab tere ḳhudā se mīrās meṅ milnīhai. 10lekin jald hī tum daryā-e-yardan ko pār karke us mulkmeṅ ābād ho jāoge jo rab tumhārāḳhudā tumheṅ mīrās meṅ de rahāhai. us waqt wuh tumheṅ irdgirdke dushmanoṅ se bachāe rakhegā,aur tum ārām aur sukūn se zindagīguzār sakoge. 11tab rab tumhārāḳhudā apne nām kī sukūnat ke lieek jagah chun legā, aur tumheṅ sabkuchh jo maiṅ batāūṅgā wahāṅ lākar pesh karnā hai, ḳhwāh wuhbhasm hone wālī qurbāniyāṅ, zabahkī qurbāniyāṅ, paidāwār kā daswāṅhissā, uṭhāne wālī qurbāniyāṅ yāmannat ke ḳhās hadie kyūṅ na hoṅ.12wahāṅ rab ke sāmne tum, tumhāre

Page 303: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 12:13 303

beṭe-beṭiyāṅ, tumhāre ġhulām aurlaunḍiyāṅ ḳhushī manāeṅ. apneshahroṅ meṅ ābād lāwiyoṅ ko bhīapnī ḳhushī meṅ sharīk karo, kyūṅkiun ke pās maurūsī zamīn nahīṅ hogī.

13ḳhabardār, apnī bhasm hone wālīqurbāniyāṅ har jagah par pesh nakarnā 14balki sirf us jagah par jo rabqabīloṅ meṅ se chunegā. wahīṅ sabkuchh yūṅ manā jis tarah maiṅ tujhebatātā hūṅ.

15lekin wuh jānwar is meṅ shāmilnahīṅ haiṅ jo tū qurbānī ke taur parpesh nahīṅ karnā chāhtā balki sirfkhānā chāhtā hai. aise jānwar tūāzādī se apne tamām shahroṅ meṅzabah karke us barkat ke mutābiq khāsaktā hai jo rab tere ḳhudā ne tujhedī hai. aisā gosht hiran aur ġhazālke gosht kī mānind hai yānī pāk aurnāpāk donoṅ hī use khā sakte haiṅ.16lekin ḳhūn na khānā. use pānī kītarah zamīn par unḍel kar zāe kardenā.

17jo bhī chīzeṅ rab ke lie maḳhsūskī gaī haiṅ unheṅ apne shahroṅmeṅ na khānā masalan anāj, angūrke ras aur zaitūn ke tel kā daswāṅhissā, maweshiyoṅ ke pahlauṭhe,mannat ke hadie, ḳhushī se peshkī gaī qurbāniyāṅ aur uṭhāne wālīqurbāniyāṅ. 18yih chīzeṅ sirf rab kehuzūr khānā yānī us jagah par jisewuh maqdis ke lie chunegā. wahīṅtū apne beṭe-beṭiyoṅ, ġhulāmoṅ,

launḍiyoṅ aur apne qabāilī ilāqe kelāwiyoṅ ke sāth jamā ho kar ḳhushīmanā ki rab ne hamārī mehnat kobarkat dī hai. 19apne mulk meṅlāwiyoṅ kī zarūriyāt umr bhar pūrīkarne kī fikr rakh.

20jab rab terā ḳhudā apne wāde kemutābiq terī sarhaddeṅ baṛhā degāaur tū gosht khāne kī ḳhwāhishrakhegā to jis tarah jī chāhe gosht khāsakegā. 21agar terā ghar us maqdisse dūr ho jise rab terā ḳhudā apnenām kī sukūnat ke lie chunegā to tūjis tarah jī chāhe apne shahroṅ meṅrab se mile hue maweshiyoṅ ko zabahkarke khā saktā hai. lekin aisā hīkarnā jaisā maiṅ ne hukm diyā hai.22aisā gosht hiran aur ġhazāl ke goshtkī mānind hai yānī pāk aur nāpākdonoṅ hī use khā sakte haiṅ. 23albattāgosht ke sāth ḳhūn na khānā, kyūṅkiḳhūn jāndār kī jān hai. us kī jān goshtke sāth na khānā. 24ḳhūn na khānābalki use zamīn par unḍel kar zāekar denā. 25use na khānā tāki tujheaur terī aulād ko kāmyābī hāsil ho,kyūṅki aisā karne se tū rab kī nazarmeṅ sahīh kām karegā.

26lekin jo chīzeṅ rab ke liemaḳhsūs-o-muqaddas haiṅ yā jo tūne mannat mān kar us ke lie maḳhsūskī haiṅ lāzim hai ki tū unheṅ usjagah le jāe jise rab maqdis ke liechunegā. 27wahīṅ, rab apne ḳhudā kīqurbāngāh par apnī bhasm hone wālī

Page 304: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

304 istisnā 13:7

qurbāniyāṅ gosht aur ḳhūn sametchaṛhā. zabah kī qurbāniyoṅ kā ḳhūnqurbāngāh par unḍel denā, lekin unkā gosht tū khā saktā hai.

28jo bhī hidāyāt maiṅ tujhe de rahāhūṅ unheṅ ehtiyāt se pūrā kar. phirtū aur terī aulād ḳhushhāl raheṅge,kyūṅki tū wuh kuchh karegā jo rabtere ḳhudā kī nazar meṅ achchhā aurdurust hai.

29rab terā ḳhudā un qaumoṅ komiṭā degā jin kī taraf tū baṛh rahāhai. tū unheṅ un ke mulk se nikāltājāegā aur ḳhud us meṅ ābād ho jāegā.30lekin ḳhabardār, un ke ḳhatm honeke bād bhī un ke dewatāoṅ ke bāremeṅ mālūmāt hāsil na kar, warnātū phaṅs jāegā. mat kahnā ki yihqaumeṅ kis tarīqe se apne dewatāoṅkī pūjā kartī haiṅ? ham bhī aisā hīkareṅ. 31aisā mat kar! yih qaumeṅaise ghinaune tarīqe se pūjā kartīhaiṅ jin se rab nafrat kartā hai. wuhapne bachchoṅ ko bhī jalā kar apnedewatāoṅ ko pesh karte haiṅ.

32kalām kī jo bhī bāt maiṅ tumheṅpesh kartā hūṅ us ke tābe rah kar uspar amal karo. na kisī bāt kā izāfākarnā, na koī bāt nikālnā.

dewatāoṅ kī taraf le jāne

wāloṅ se sulūk

13 tere darmiyān aise log uṭhkhaṛe hoṅge jo apne āp ko

nabī yā ḳhwāb deḳhne wāle kaheṅge.

ho saktā hai ki wuh kisī ilāhī nishānyā mojize kā elān kareṅ 2jo wāqaīwujūd meṅ āe. sāth sāth wuh kaheṅ,“ā, ham dīgar mābūdoṅ kī pūjā kareṅ,ham un kī ḳhidmat kareṅ jin se tūab tak wāqif nahīṅ hai.” 3aise logoṅkī na sun. is se rab tumhārā ḳhudātumheṅ āzmā kar mālūm kar rahā haiki kyā tum wāqaī apne pūre dil-o-jān se us se pyār karte ho. 4tumheṅrab apne ḳhudā kī pairawī karnā aurusī kā ḳhauf mānanā hai. us keahkām ke mutābiq zindagī guzāro,us kī suno, us kī ḳhidmat karo, uske sāth lipṭe raho. 5aise nabiyoṅ yāḳhwāb deḳhne wāloṅ ko sazā-e-mautdenā, kyūṅki wuh tujhe rab tumhāreḳhudā se baġhāwat karne par uksānāchāhte haiṅ, usī se jis ne fidyā de kartumheṅ misr kī ġhulāmī se bachāyāaur wahāṅ se nikāl lāyā. chūṅkiwuh tujhe us rāh se haṭānā chāhtehaiṅ jise rab tere ḳhudā ne tere liemuqarrar kiyā hai is lie lāzim hai kiunheṅ sazā-e-maut dī jāe. aisī burāīapne darmiyān se miṭā denā.

6ho saktā hai ki terā sagā bhāī, terābeṭā yā beṭī, terī bīwī yā terā qarībīdost tujhe chupke se warġhalānekī koshish kare ki ā, ham jā kardīgar mābūdoṅ kī pūjā kareṅ, aisedewatāoṅ kī jin se na tū aur na terebāpdādā wāqif the. 7ḳhwāh irdgirdkī yā dūrdarāz kī qaumoṅ ke dewatāhoṅ, ḳhwāh duniyā ke ek sire ke yā

Page 305: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 13:8 305

dūsre sire ke mābūd hoṅ, 8kisī sūratmeṅ apnī razāmandī kā izhār na kar,na us kī sun. us par rahm na kar.na use bachāe rakh, na use panāhde 9balki use sazā-e-maut de. auruse sangsār karte waqt pahle terāhāth us par patthar phaiṅke, phirhī bāqī tamām log hissā leṅ. 10usezarūr pattharoṅ se sazā-e-maut denā,kyūṅki us ne tujhe rab tere ḳhudā sedūr karne kī koshish kī, usī se jo tujhemisr kī ġhulāmī se nikāl lāyā. 11phirtamām isrāīl yih sun kar ḍar jāegā aurāindā tere darmiyān aisī sharīr harkatkarne kī jur’at nahīṅ karegā.

12jab tū un shahroṅ meṅ rahnelagegā jo rab terā ḳhudā tujhe de rahāhai to shāyad tujhe ḳhabar mil jāe 13kisharīr log tere darmiyān se ubhar āehaiṅ jo apne shahr ke bāshindoṅ koyih kah kar ġhalat rāh par lāe haiṅki āo, ham dīgar mābūdoṅ kī pūjākareṅ, aise mābūdoṅ kī jin se tumwāqif nahīṅ ho. 14lāzim hai ki tūdaryāft karke is kī taftīsh kare aurḳhūb mālūm kare ki kyā huā hai.agar sābit ho jāe ki yih ghinaunī bātwāqaī huī hai 15to phir lāzim hai ki tūshahr ke tamām bāshindoṅ ko halākkare. use rab ke sapurd karke sarāsartabāh karnā, na sirf us ke log balki uske maweshī bhī. 16shahr kā pūrā māl-

e-ġhanīmat chauk meṅ ikaṭṭhā kar.phir pūre shahr ko us ke māl sametrab ke lie maḳhsūs karke jalā denā.use dubārā kabhī na tāmīr kiyā jāebalki us ke khanḍarāt hameshā takraheṅ.

17pūrā shahr rab ke lie maḳhsūskiyā gayā hai, is lie us kī koī bhīchīz tere pās na pāī jāe. sirf is sūratmeṅ rab kā ġhazab ṭhanḍā ho jāegā,aur wuh tujh par rahm karke apnīmehrbānī kā izhār karegā aur terītādād baṛhāegā, jis tarah us ne qasamkhā kar tere bāpdādā se wādā kiyāhai. 18lekin yih sab kuchh is parmabnī hai ki tū rab apne ḳhudā kīsune aur us ke un tamām ahkām paramal kare jo maiṅ tujhe āj de rahāhūṅ. wuhī kuchh kar jo us kī nazarmeṅ durust hai.

pāk aur nāpāk jānwar

14 tum rab apne ḳhudā kefarzand ho. apne āp ko

murdoṅ ke sabab se na zaḳhmīkaro, na apne sar ke sāmne wālebāl munḍwāo. 2kyūṅki tū rab apneḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddasqaum hai. duniyā kī tamām qaumoṅmeṅ se rab ne tujhe hī chun kar apnīmilkiyat banā liyā hai.

3koī bhī makrūh chīz na khānā.

Page 306: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

306 istisnā 14:23

4tum bail, bheṛ-bakrī, 5hiran,ġhazāl, mrig,a pahāṛī bakrī, mahāt,b

ġhazāl-e-afrīqāc aur pahāṛī bakrī khāsakte ho. 6jin ke khur yā pāoṅ bilkulchire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅunheṅ khāne kī ijāzat hai. 7ūṅṭ, bijjūyā ḳhargosh khānā manā hai. wuhtumhāre lie nāpāk haiṅ, kyūṅki wuhjugālī to karte haiṅ lekin un ke khuryā pāoṅ chire hue nahīṅ haiṅ. 8sūarna khānā. wuh tumhāre lie nāpākhai, kyūṅki us ke khur to chire huehaiṅ lekin wuh jugālī nahīṅ kartā. naun kā gosht khānā, na un kī lāshoṅko chhūnā.

9pānī meṅ rahne wāle jānwarkhāne ke lie jāiz haiṅ agar un ke paraur chhilke hoṅ. 10lekin jin ke par yāchhilke nahīṅ haiṅ wuh tumhāre lienāpāk haiṅ.

11tum har pāk parindā khā sakteho. 12lekin zail ke parinde khānāmanā hai: uqāb, daṛhiyal giddh,kālā giddh, 13lāl chīl, kālī chīl, harqism kā giddh, 14har qism kā kawwā,15uqābī ullū, chhoṭe kān wālā ullū,baṛe kān wālā ullū, har qism kā bāz,

16chhoṭā ullū, chinghāṛne wālā ullū,safed ullū, 17dashtī ullū, misrī giddh,qūq, 18laqlaq, har qism kā būtīmār,hudhud aur chamgādaṛ.d

19tamām par rakhne wāle kīṛetumhāre lie nāpāk haiṅ. unheṅ khānāmanā hai. 20lekin tum har pākparindā khā sakte ho.

21jo jānwar ḳhud-ba-ḳhud mar jāeuse na khānā. tū use apnī ābādī meṅrahne wāle kisī pardesī ko de yā kisīajnabī ko bech saktā hai aur wuhuse khā saktā hai. lekin tū use matkhānā, kyūṅki tū rab apne ḳhudā kelie maḳhsūs-o-muqaddas qaum hai.

bakrī ke bachche ko us kī māṅ kedūdh meṅ pakānā manā hai.

apnī paidāwār kā daswāṅ

hissā maḳhsūs karnā22lāzim hai ki tū har sāl apne

khetoṅ kī paidāwār kā daswāṅ hissārab ke lie alag kare. 23is ke lieapnā anāj, angūr kā ras, zaitūn kā telaur maweshī ke pahlauṭhe rab apneḳhudā ke huzūr le ānā yānī us jagahjo wuh apne nām kī sukūnat ke lie

ayih hiran ke mushābeh hotā hai lekinfitratan muḳhtalif hotā hai. is ke sīṅgkhokhle, beshākh aur anjhaṛ hote haiṅ.antelope. yād rahe ki qadīm zamāne ke injānwaroṅ ke aksar nām matrūk haiṅ yā un kāmatlab badal gayā hai, is lie un kā muḳhtaliftarjumā ho saktā hai.bmahāt. darāzqad hirnoṅ kī ek nau jis kesīṅg chakkardār hote haiṅ. addax.

cġhazāl-e-afrīqā. chikāroṅ kī tīn iqsām meṅse koī jo apne lambe aur halqādār sīṅgoṅ kīwajah se mumtāz hai. oryx.dyād rahe ki qadīm zamāne ke in parindoṅke aksar nām matrūk haiṅ yā un kā matlabbadal gayā hai, is lie un kā muḳhtalif tarjumāho saktā hai.

Page 307: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 14:24 307

chunegā. wahāṅ yih chīzeṅ qurbānkarke khā tāki tū umr bhar rab apneḳhudā kā ḳhauf mānanā sīkhe.

24lekin ho saktā hai ki jo jagahrab terā ḳhudā apne nām kī sukūnatke lie chunegā wuh tere ghar sehad se zyādā dūr ho aur rab tereḳhudā kī barkat ke bāis mazkūrādaswāṅ hissā itnā zyādā ho ki tū usemaqdis tak nahīṅ pahuṅchā saktā.25is sūrat meṅ use bech kar us kepaise us jagah le jā jo rab terā ḳhudāapne nām kī sukūnat ke lie chunegā.26wahāṅ pahuṅch kar un paisoṅ sejo jī chāhe ḳharīdnā, ḳhwāh gāy-bail, bheṛ-bakrī, mai yā mai jaisīkoī aur chīz kyūṅ na ho. phirapne gharāne ke sāth mil kar rabapne ḳhudā ke huzūr yih chīzeṅkhānā aur ḳhushī manānā. 27aisemauqoṅ par un lāwiyoṅ kā ḳhayālrakhnā jo tere qabāilī ilāqe meṅ rahtehaiṅ, kyūṅki unheṅ mīrās meṅ zamīnnahīṅ milegī.

28har tīsre sāl apnī paidāwār kādaswāṅ hissā apne shahroṅ meṅ jamākarnā. 29use lāwiyoṅ ko denā jinke pās maurūsī zamīn nahīṅ hai, nīzapne shahroṅ meṅ ābād pardesiyoṅ,yatīmoṅ aur bewāoṅ ko denā. wuhāeṅ aur khānā khā kar ser ho jāeṅtāki rab terā ḳhudā tere har kām meṅbarkat de.

qarzdāroṅ kī bahālī kā sāl

15 har sāt sāl ke bād ek dūsreke karze muāf kar denā. 2us

waqt jis ne bhī kisī isrāīlī bhāī ko qarzdiyā hai wuh use mansūḳh kare. wuhapne paṛosī yā bhāī ko paise wāpaskarne par majbūr na kare, kyūṅki rabkī tāzīm meṅ qarz muāf karne ke sālkā elān kiyā gayā hai. 3is sāl meṅtū sirf ġhairmulkī qarzdāroṅ ko paisewāpas karne par majbūr kar saktāhai. apne isrāīlī bhāī ke tamām qarzmuāf kar denā.

4tere darmiyān koī bhī ġharībnahīṅ honā chāhie, kyūṅki jab tūus mulk meṅ rahegā jo rab terāḳhudā tujhe mīrās meṅ dene wālāhai to wuh tujhe bahut barkat degā.5lekin shart yih hai ki tū pūre taurpar us kī sune aur ehtiyāt se us keun tamām ahkām par amal kare jomaiṅ tujhe āj de rahā hūṅ. 6phirrab tumhārā ḳhudā tujhe apne wādeke mutābiq barkat degā. tū kisībhī qaum se udhār nahīṅ legā balkibahut sī qaumoṅ ko udhār degā. koībhī qaum tujh par hukūmat nahīṅkaregī balki tū bahut sī qaumoṅ parhukūmat karegā.

7jab tū us mulk meṅ ābād hogājo rab terā ḳhudā tujhe dene wālāhai to apne darmiyān rahne wāleġharīb bhāī se saḳht sulūk na karnā,na kanjūs honā. 8khule dil se us kīmadad kar. jitnī use zarūrat hai use

Page 308: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

308 istisnā 15:22

udhār ke taur par de. 9ḳhabardār,aisā mat soch ki qarz muāf karne kāsāl qarīb hai, is lie maiṅ use kuchhnahīṅ dūṅgā. agar tū aisī sharīr bātapne dil meṅ sochte hue zarūratmandbhāī ko qarz dene se inkār kare aurwuh rab ke sāmne terī shikāyat kareto tū qusūrwār ṭhahregā. 10use zarūrkuchh de balki ḳhushī se de. phir rabterā ḳhudā tere har kām meṅ barkatdegā. 11mulk meṅ hameshā ġharībaur zarūratmand log pāe jāeṅge, is liemaiṅ tujhe hukm detā hūṅ ki khuledil se apne ġharīb aur zarūratmandbhāiyoṅ kī madad kar.

ġhulāmoṅ ko āzād karne kā farz12agar koī isrāīlī bhāī yā bahan

apne āp ko bech kar terā ġhulām banjāe to wuh chhih sāl terī ḳhidmatkare. lekin lāzim hai ki sātweṅ sāluse āzād kar diyā jāe. 13āzād kartewaqt use ḳhālī hāth fāriġh na karnā14balki apnī bheṛ-bakriyoṅ, anāj, telaur mai se use fayyāzī se kuchh de,yānī un chīzoṅ meṅ se jin se rab tereḳhudā ne tujhe barkat dī hai. 15yādrakh ki tū bhī misr meṅ ġhulām thāaur ki rab tere ḳhudā ne fidyā de kartujhe chhuṛāyā. isī lie maiṅ āj tujheyih hukm detā hūṅ.

16lekin mumkin hai ki terā ġhulāmtujhe chhoṛnā na chāhe, kyūṅki wuhtujh se aur tere ḳhāndān se muhabbatrakhtā hai, aur wuh tere pās rah kar

ḳhushhāl hai. 17is sūrat meṅ usedarwāze ke pās le jā aur us ke kānkī lau chaukhaṭ ke sāth lagā kar usesutālī yānī tez auzār se chhed de. tabwuh zindagī bhar terā ġhulām banārahegā. apnī launḍī ke sāth bhī aisāhī karnā.

18agar ġhulām tujhe chhih sālke bād chhoṛnā chāhe to burā namānanā. āḳhir agar us kī jagah koīaur wuhī kām tanḳhwāh ke lie kartāto tere aḳhrājāt dugne hote. use āzādkarnā to rab terā ḳhudā tere har kāmmeṅ barkat degā.

jānwaroṅ ke pahlauṭhe maḳhsūs haiṅ19apnī gāyoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ ke

nar pahlauṭhe rab apne ḳhudā ke liemaḳhsūs karnā. na gāy ke pahlauṭheko kām ke lie istemāl karnā, na bheṛke pahlauṭhe ke bāl katarnā. 20har sālaise bachche us jagah le jā jo rab apnemaqdis ke lie chunegā. wahāṅ unheṅrab apne ḳhudā ke huzūr apne pūreḳhāndān samet khānā.

21agar aise jānwar meṅ koī ḳharābīho, wuh andhā yā langaṛā ho yā usmeṅ koī aur nuqs ho to use rab apneḳhudā ke lie qurbān na karnā. 22aisejānwar tū ghar meṅ zabah karke khāsaktā hai. wuh hiran aur ġhazāl kīmānind haiṅ jinheṅ tū khā to saktāhai lekin qurbānī ke taur par peshnahīṅ kar saktā. pāk aur nāpākshaḳhs donoṅ use khā sakte haiṅ.

Page 309: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 15:23 309

23lekin ḳhūn na khānā. use pānī kītarah zamīn par unḍel kar zāe kardenā.

fasah kī īd

16 abīb ke mahīnea meṅ rabapne ḳhudā kī tāzīm meṅ

fasah kī īd manānā, kyūṅki is mahīnemeṅ wuh tujhe rāt ke waqt misr senikāl lāyā. 2us jagah jamā ho jā jo rabapne nām kī sukūnat ke lie chunegā.use qurbānī ke lie bheṛ-bakriyāṅ yāgāy-bail pesh karnā. 3gosht ke sāthbeḳhamīrī roṭī khānā. sāt din tak yihīroṭī khā, bilkul usī tarah jis tarah tūne kiyā jab jaldī jaldī misr se niklā.musībat kī yih roṭī is lie khā tāki wuhdin tere jīte jī yād rahe jab tū misrse rawānā huā. 4lāzim hai ki īd kehafte ke daurān tere pūre mulk meṅḳhamīr na pāyā jāe.

jo qurbānī tū īd ke pahle din kīshām ko pesh kare us kā gosht usīwaqt khā le. aglī subh tak kuchhbāqī na rah jāe. 5fasah kī qurbānīkisī bhī shahr meṅ jo rab terā ḳhudātujhe degā na chaṛhānā 6balki sirf usjagah jo wuh apne nām kī sukūnatke lie chunegā. misr se nikalte waqtkī tarah qurbānī ke jānwar ko sūrajḍūbte waqt zabah kar. 7phir usebhūn kar us jagah khānā jo rab terāḳhudā chunegā. aglī subh apne ghar

wāpas chalā jā. 8īd ke pahle chhih dinbeḳhamīrī roṭī khātā rah. sātweṅ dinkām na karnā balki rab apne ḳhudā kīibādat ke lie jamā ho jānā.

fasal kī kaṭāī kī īd9jab anāj kī fasal kī kaṭāī shurū hogī

to pahle din ke sāt hafte bād 10fasal kīkaṭāī kī īd manānā. rab apne ḳhudāko utnā pesh kar jitnā jī chāhe. wuhus barkat ke mutābiq ho jo us ne tujhedī hai. 11is ke lie bhī us jagah jamā hojā jo rab apne nām kī sukūnat ke liechunegā. wahāṅ us ke huzūr ḳhushīmanā. tere bāl-bachche, tere ġhulāmaur launḍiyāṅ aur tere shahroṅ meṅrahne wāle lāwī, pardesī, yatīm aurbewāeṅ sab terī ḳhushī meṅ sharīkhoṅ. 12in ahkām par zarūr amalkarnā aur mat bhūlnā ki tū misr meṅġhulām thā.

jhoṅpṛiyoṅ kī īd13anāj gāhne aur angūr kā ras

nikālne ke bād jhoṅpṛiyoṅ kī īdmanānā jis kā daurāniyā sāt din ho.14īd ke mauqe par ḳhushī manānā.tere bāl-bachche, tere ġhulām aurlaunḍiyāṅ aur tere shahroṅ meṅbasne wāle lāwī, pardesī, yatīm aurbewāeṅ sab terī ḳhushī meṅ sharīkhoṅ. 15jo jagah rab terā ḳhudā maqdiske lie chunegā wahāṅ us kī tāzīm meṅ

amārch tā aprail.

Page 310: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

310 istisnā 17:8

sāt din tak yih īd manānā. kyūṅkirab terā ḳhudā terī tamām fasloṅ aurmehnat ko barkat degā, is lie ḳhūbḳhushī manānā.

16isrāīl ke tamām mard sāl meṅtīn martabā us maqdis par hāzir hojāeṅ jo rab terā ḳhudā chunegā yānībeḳhamīrī roṭī kī īd, fasal kī kaṭāī kī īdaur jhoṅpṛiyoṅ kī īd par. koī bhī rabke huzūr ḳhālī hāth na āe. 17har koīus barkat ke mutābiq de jo rab tereḳhudā ne use dī hai.

qāzī muqarrar karnā18apne apne qabāilī ilāqe meṅ qāzī

aur nigahbān muqarrar kar. wuhhar us shahr meṅ hoṅ jo rab terāḳhudā tujhe degā. wuh insāf se logoṅkī adālat kareṅ. 19na kisī ke huqūqmārnā, na jānibdārī dikhānā. rishwatqabūl na karnā, kyūṅki rishwatdānishmandoṅ ko andhā kar detī aurrāstbāz kī bāteṅ palaṭ detī hai. 20sirfaur sirf insāf ke mutābiq chal tāki tūjītā rahe aur us mulk par qabzā karejo rab terā ḳhudā tujhe degā.

butparastī kī sazā21jahāṅ tū rab apne ḳhudā ke lie

qurbāngāh banāegā wahāṅ na yasīratdewī kī pūjā ke lie lakaṛī kā khambā22aur na koī aisā patthar khaṛā karnā

jis kī pūjā log karte haiṅ. rab terāḳhudā in chīzoṅ se nafrat rakhtā hai.

17 rab apne ḳhudā ko nāqisgāy-bail yā bheṛ-bakrī pesh

na karnā, kyūṅki wuh aisī qurbānī senafrat rakhtā hai.

2jab tū un shahroṅ meṅ ābād hojāegā jo rab terā ḳhudā tujhe degāto ho saktā hai ki tere darmiyān koīmard yā aurat rab tere ḳhudā kā ahdtoṛ kar wuh kuchh kare jo use burālage. 3masalan wuh dīgar mābūdoṅko yā sūraj, chāṅd yā sitāroṅ ke pūrelashkar ko sijdā kare, hālāṅki maiṅne yih manā kiyā hai. 4jab bhī tujheis qism kī ḳhabar mile to is kā pūrākhoj lagā. agar bāt durust nikle auraisī ghinaunī harkat wāqaī isrāīl meṅkī gaī ho 5to qusūrwār ko shahr kebāhar le jā kar sangsār kar denā.6lekin lāzim hai ki pahle kam az kamdo yā tīn log gawāhī deṅ ki us neaisā hī kiyā hai. use sazā-e-maut deneke lie ek gawāh kāfī nahīṅ. 7pahlegawāh us par patthar phaiṅkeṅ, iske bād bāqī tamām log use sangsārkareṅ. yūṅ tū apne darmiyān se burāīmiṭā degā.

maqdis meṅ ālātarīn adālat8agar tere shahr ke qāziyoṅ ke

lie kisī muqaddame kā faislā karnāmushkil ho to us maqdis meṅ ā karapnā muāmalā pesh kar jo rab terāḳhudā chunegā, ḳhwāh kisī ko qatl

Page 311: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 17:9 311

kiyā gayā ho, use zaḳhmī kar diyāgayā ho yā koī aur maslā ho. 9lāwīke qabīle ke imāmoṅ aur maqdis meṅḳhidmat karne wāle qāzī ko apnāmuqaddamā pesh kar, aur wuh faislākareṅ. 10jo faislā wuh us maqdis meṅkareṅge jo rab chunegā use mānanāpaṛegā. jo bhī hidāyat wuh deṅ uspar ehtiyāt se amal kar. 11sharīat kījo bhī bāt wuh tujhe sikhāeṅ aur jobhī faislā wuh deṅ us par amal kar.jo kuchh bhī wuh tujhe batāeṅ us sena dāīṅ aur na bāīṅ taraf muṛnā.

12jo maqdis meṅ rab tere ḳhudā kīḳhidmat karne wāle qāzī yā imāmko haqīr jān kar un kī nahīṅ suntāuse sazā-e-maut dī jāe. yūṅ tū isrāīlse burāī miṭā degā. 13phir tamāmlog yih sun kar ḍar jāeṅge aur āindāaisī gustāḳhī karne kī jur’at nahīṅkareṅge.

bādshāh ke bāre meṅ usūl14tū jald hī us mulk meṅ dāḳhil

hogā jo rab terā ḳhudā tujhe denewālā hai. jab tū us par qabzā karkeus meṅ ābād ho jāegā to ho saktā haiki tū ek din kahe, “āo ham irdgirdkī tamām qaumoṅ kī tarah bādshāhmuqarrar kareṅ jo ham par hukūmatkare.” 15agar tū aisā kare to sirfwuh shaḳhs muqarrar kar jise rabterā ḳhudā chunegā. wuh pardesīna ho balki terā apnā isrāīlī bhāīho. 16bādshāh bahut zyādā ghoṛe

na rakhe, na apne logoṅ ko unheṅḳharīdne ke lie misr bheje. kyūṅkirab ne tujh se kahā hai ki kabhīwahāṅ wāpas na jānā. 17terā bādshāhzyādā bīwiyāṅ bhī na rakhe, warnāus kā dil rab se dūr ho jāegā. aurwuh had se zyādā sonā-chāṅdī jamāna kare.

18taḳhtnashīn hote waqt wuh lāwīke qabīle ke imāmoṅ ke pās paṛī issharīat kī naql likhwāe. 19yih kitābus ke pās mahfūz rahe, aur wuh umrbhar rozānā ise paṛhtā rahe tāki rabapne ḳhudā kā ḳhauf mānanā sīkhe.tab wuh sharīat kī tamām bātoṅ kīpairawī karegā, 20apne āp ko apneisrāīlī bhāiyoṅ se zyādā aham nahīṅsamjhegā aur kisī tarah bhī sharīat sehaṭ kar kām nahīṅ karegā. natīje meṅwuh aur us kī aulād bahut arse takisrāīl par hukūmat kareṅge.

imāmoṅ aur lāwiyoṅ kā hissā

18 isrāīl ke har qabīle ko mīrāsmeṅ us kā apnā ilāqā milegā

siwāe lāwī ke qabīle ke jis meṅ imāmbhī shāmil haiṅ. wuh jalne wālī aurdīgar qurbāniyoṅ meṅ se apnā hissāle kar guzārā kareṅ. 2un ke pāsdūsroṅ kī tarah maurūsī zamīn nahīṅhogī balki rab ḳhud un kā maurūsīhissā hogā. yih us ne wādā karkekahā hai.

3jab bhī kisī bail yā bheṛ ko qurbānkiyā jāe to imāmoṅ ko us kā shānā,

Page 312: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

312 istisnā 18:20

jabṛe aur ojhaṛī milne kā haq hai.4apnī fasloṅ kā pahlā phal bhī unheṅdenā yānī anāj, mai, zaitūn kā tel aurbheṛoṅ kī pahlī katrī huī ūn. 5kyūṅkirab ne tere tamām qabīloṅ meṅ selāwī ke qabīle ko hī maqdis meṅ rabke nām meṅ ḳhidmat karne ke liechunā hai. yih hameshā ke lie un kīaur un kī aulād kī zimmādārī rahegī.

6kuchh lāwī maqdis ke pās nahīṅbalki isrāīl ke muḳhtalif shahroṅmeṅ raheṅge. agar un meṅ se koīus jagah ānā chāhe jo rab maqdiske lie chunegā 7to wuh wahāṅ keḳhidmat karne wāle lāwiyoṅ kī tarahmaqdis meṅ rab apne ḳhudā kenām meṅ ḳhidmat kar saktā hai.8use qurbāniyoṅ meṅ se dūsroṅ kebarābar lāwiyoṅ kā hissā milnā hai,ḳhwāh use ḳhāndānī milkiyat bechnese paise mil gae hoṅ yā nahīṅ.

jādūgarī manā hai9jab tū us mulk meṅ dāḳhil hogā

jo rab terā ḳhudā tujhe de rahā haito wahāṅ kī rahne wālī qaumoṅ keghinaune dastūr na apnānā. 10teredarmiyān koī bhī apne beṭe yā beṭīko qurbānī ke taur par na jalāe. nakoī ġhaibdānī kare, na fāl yā shugūnnikāle yā jādūgarī kare. 11isī tarahmantar paṛhnā, hāzirāt karnā, qismatkā hāl batānā yā murdoṅ kī rūhoṅ serābitā karnā saḳht manā hai. 12jo bhīaisā kare wuh rab kī nazar meṅ qābil-

e-ghin hai. in hī makrūh dastūroṅ kīwajah se rab terā ḳhudā tere āge se unqaumoṅ ko nikāl degā. 13is lie lāzimhai ki tū rab apne ḳhudā ke sāmnebequsūr rahe.

nabī kā wādā14jin qaumoṅ ko tū nikālne wālā hai

wuh un kī suntī haiṅ jo fāl nikālte aurġhaibdānī karte haiṅ. lekin rab tereḳhudā ne tujhe aisā karne kī ijāzatnahīṅ dī.

15rab terā ḳhudā tere wāste terebhāiyoṅ meṅ se mujh jaise nabī kobarpā karegā. us kī sunanā. 16kyūṅkihorib yānī sīnā pahāṛ par jamā hotewaqt tū ne ḳhud rab apne ḳhudā sedarḳhwāst kī, “na maiṅ mazīd rabapne ḳhudā kī āwāz sunanā chāhtā,na yih bhaṛaktī huī āg deḳhnā chāhtāhūṅ, warnā mar jāūṅgā.” 17tab rab nemujh se kahā, “jo kuchh wuh kahtehaiṅ wuh ṭhīk hai. 18āindā maiṅ unmeṅ se tujh jaisā nabī khaṛā karūṅga.maiṅ apne alfāz us ke muṅh meṅ ḍāldūṅgā, aur wuh merī har bāt un takpahuṅchāegā. 19jab wuh nabī merenām meṅ kuchh kahe to lāzim haiki tū us kī sun. jo nahīṅ sunegā usse maiṅ ḳhud jawāb talab karūṅga.20lekin agar koī nabī gustāḳh ho karmere nām meṅ koī bāt kahe jo maiṅne use batāne ko nahīṅ kahā thā touse sazā-e-maut denī hai. isī tarah

Page 313: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 18:21 313

us nabī ko bhī halāk kar denā hai jodīgar mābūdoṅ ke nām meṅ bāt kare.”

21shāyad tere zahan meṅ sawālubhar āe ki ham kis tarah mālūmkar sakte haiṅ ki koī kalām wāqaīrab kī taraf se hai yā nahīṅ. 22jawābyih hai ki agar nabī rab ke nām meṅkuchh kahe aur wuh pūrā na ho jāe tomatlab hai ki nabī kī bāt rab kī taraf senahīṅ hai balki us ne gustāḳhī karkebāt kī hai. is sūrat meṅ us se matḍarnā.

panāh ke shahr

19 rab terā ḳhudā us mulkmeṅ ābād qaumoṅ ko tabāh

karegā jo wuh tujhe de rahā hai. jabtū unheṅ bhagā kar un ke shahroṅaur gharoṅ meṅ ābād ho jāegā 2-3topūre mulk ko tīn hissoṅ meṅ taqsīmkar. har hisse meṅ ek markazī shahrmuqarrar kar. un tak pahuṅchānewāle rāste sāf-suthrī rakhnā. inshahroṅ meṅ har wuh shaḳhs panāhle saktā hai jis ke hāth se koīġhairirādī taur par halāk huā hai.4wuh aise shahr meṅ jā kar intiqāmlene wāloṅ se mahfūz rahegā. shartyih hai ki us ne na qasdan aur nadushmanī ke bāis kisī ko mār diyā ho.

5masalan do ādmī jangal meṅdaraḳht kāṭ rahe haiṅ. kulhāṛīchalāte waqt ek kī kulhāṛī daste senikal kar us ke sāthī ko lag jāe aurwuh mar jāe. aisā shaḳhs farār ho

kar aise shahr meṅ panāh le saktā haitāki bachā rahe. 6is lie zarūrī hai kiaise shahroṅ kā fāsilā zyādā na ho.kyūṅki jab intiqām lene wālā us kātāqqub karegā to ḳhatrā hai ki wuhtaish meṅ use pakaṛ kar mār ḍāle,agarche bhāgne wālā bequsūr hai. jokuchh us ne kiyā wuh dushmanī kesabab se nahīṅ balki ġhairirādī taurpar huā. 7is lie lāzim hai ki tū panāhke tīn shahr alag kar le.

8bād meṅ rab terā ḳhudā terīsarhaddeṅ mazīd baṛhā degā, kyūṅkiyihī wādā us ne qasam khā kar terebāpdādā se kiyā hai. apne wāde kemutābiq wuh tujhe pūrā mulk degā,9albattā shart yih hai ki tū ehtiyātse un tamām ahkām kī pairawī karejo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ. dūsrealfāz meṅ shart yih hai ki tū rab apneḳhudā ko pyār kare aur hameshā uskī rāhoṅ meṅ chaltā rahe. agar tūaisā hī kare aur natījatan rab kā wādāpūrā ho jāe to lāzim hai ki tū panāhke tīn aur shahr alag kar le. 10warnātere mulk meṅ jo rab terā ḳhudā tujhemīrās meṅ de rahā hai bequsūr logoṅko jān se mārā jāegā aur tū ḳhudzimmādār ṭhahregā.

11lekin ho saktā hai koī dushmanīke bāis kisī kī tāk meṅ baiṭh jāe aurus par hamlā karke use mār ḍāle.agar qātil panāh ke kisī shahr meṅbhāg kar panāh le 12to us ke shahrke buzurg ittilā deṅ ki use wāpas lāyā

Page 314: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

314 istisnā 20:7

jāe. use intiqām lene wāle ke hawālekiyā jāe tāki use sazā-e-maut mile.13us par rahm mat karnā. lāzim hai kitū isrāīl meṅ se bequsūr kī maut kādāġh miṭāe tāki tū ḳhushhāl rahe.

zamīnoṅ kī haddeṅ14jab tū us mulk meṅ rahegā jo rab

terā ḳhudā tujhe mīrās meṅ degā tākitū us par qabzā kare to zamīn kī wuhhaddeṅ āge pīchhe na karnā jo terebāpdādā ne muqarrar kīṅ.

adālat meṅ gawāh15tū kisī ko ek hī gawāh ke kahne

par qusūrwār nahīṅ ṭhahrā saktā. jobhī jurm sarzad huā hai, kam az kamdo yā tīn gawāhoṅ kī zarūrat hai.warnā tū use qusūrwār nahīṅ ṭhahrāsaktā.

16agar jis par ilzām lagāyā gayā haiinkār karke dāwā kare ki gawāh jhūṭbol rahā hai 17to donoṅ maqdis meṅrab ke huzūr ā kar ḳhidmat karnewāle imāmoṅ aur qāziyoṅ ko apnāmuāmalā pesh kareṅ. 18qāzī is kāḳhūb khoj lagāeṅ. agar bāt durustnikle ki gawāh ne jhūṭ bol kar apnebhāī par ġhalat ilzām lagāyā hai 19tous ke sāth wuh kuchh kiyā jāe jo wuhapne bhāī ke lie chāh rahā thā. yūṅtū apne darmiyān se burāī miṭā degā.20phir tamām bāqī log yih sun kar ḍarjāeṅge aur āindā tere darmiyān aisīġhalat harkat karne kī jur’at nahīṅ

kareṅge. 21qusūrwār par rahm nakarnā. usūl yih ho ki jān ke badle jān,āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt ke badledāṅt, hāth ke badle hāth, pāoṅ kebadle pāoṅ.

jang ke usūl

20 jab tū jang ke lie nikal kardeḳhtā hai ki dushman tādād

meṅ zyādā haiṅ aur un ke pās ghoṛeaur rath bhī haiṅ to mat ḍarnā. rabterā ḳhudā jo tujhe misr se nikāl lāyāab bhī tere sāth hai. 2jang ke lienikalne se pahle imām sāmne āe aurfauj se muḳhātib ho kar 3kahe, “sunai isrāīl! āj tum apne dushman selaṛne jā rahe ho. un ke sabab separeshān na ho. un se na ḳhauf khāo,na ghabrāo, 4kyūṅki rab tumhārāḳhudā ḳhud tumhāre sāth jā kardushman se laṛegā. wuhī tumheṅfath baḳhshegā.”

5phir nigahbān fauj se muḳhātibhoṅ, “kyā yahāṅ koī hai jis ne hālmeṅ apnā nayā ghar mukammal kiyālekin use maḳhsūs karne kā mauqāna milā? wuh apne ghar wāpas chalājāe. aisā na ho ki wuh jang ke daurānmārā jāe aur koī aur ghar ko maḳhsūskarke us meṅ basne lage. 6kyā koī haijis ne angūr kā bāġh lagā kar is waqtus kī pahlī fasal ke intizār meṅ hai?wuh apne ghar wāpas chalā jāe. aisāna ho ki wuh jang meṅ mārā jāe aurkoī aur bāġh kā fāidā uṭhāe. 7kyā koī

Page 315: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 20:8 315

hai jis kī mangnī huī hai aur jo is waqtshādī ke intizār meṅ hai? wuh apneghar wāpas chalā jāe. aisā na ho kiwuh jang meṅ mārā jāe aur koī aurus kī mangetar se shādī kare.”

8nigahbān kaheṅ, “kyā koīḳhaufzadā yā pareshān hai? wuhapne ghar wāpas chalā jāe tāki apnesāthiyoṅ ko pareshān na kare.” 9is kebād faujiyoṅ par afsar muqarrar kiejāeṅ.

10kisī shahr par hamlā karne sepahle us ke bāshindoṅ ko hathiyārḍāl dene kā mauqā denā. 11agarwuh mān jāeṅ aur apne darwāze kholdeṅ to wuh tere lie begār meṅ kāmkarke terī ḳhidmat kareṅ. 12lekinagar wuh hathiyār ḍālne se inkārkareṅ aur jang chhiṛ jāe to shahrkā muhāsarā kar. 13jab rab terāḳhudā tujhe shahr par fath degā tous ke tamām mardoṅ ko halāk kardenā. 14tū tamām māl-e-ġhanīmatauratoṅ, bachchoṅ aur maweshiyoṅsamet rakh saktā hai. dushman kī jochīzeṅ rab ne tere hawāle kar dī haiṅun sab ko tū istemāl kar saktā hai.15yūṅ un shahroṅ se nipaṭnā jo tereapne mulk se bāhar haiṅ.

16lekin jo shahr us mulk meṅ wāqehaiṅ jo rab terā ḳhudā tujhe mīrāsmeṅ de rahā hai, un ke tamāmjāndāroṅ ko halāk kar denā. 17unheṅrab ke sapurd karke mukammal taurpar halāk karnā, jis tarah rab tere

ḳhudā ne tujhe hukm diyā hai. is meṅhittī, amorī, kan’ānī, farizzī, hiwwīaur yabūsī shāmil haiṅ. 18agar tūaisā na kare to wuh tumheṅ rabtumhāre ḳhudā kā gunāh karne paruksāeṅge. jo ghinaunī harkateṅ wuhapne dewatāoṅ kī pūjā karte waqtkarte haiṅ unheṅ wuh tumheṅ bhīsikhāeṅge.

19shahr kā muhāsarā karte waqtirdgird ke phaldār daraḳhtoṅ ko kāṭkar tabāh na kar denā ḳhwāh baṛīder bhī ho jāe, warnā tū un kā phalnahīṅ khā sakegā. unheṅ na kāṭnā.kyā daraḳht tere dushman haiṅ jin kāmuhāsarā karnā hai? hargiz nahīṅ!20un daraḳhtoṅ kī aur bāt hai jophal nahīṅ lāte. unheṅ tū kāṭ karmuhāsare ke lie istemāl kar saktā haijab tak shahr shikast na khāe.

nāmālūm qatl kā kaffārā

21 jab tū us mulk meṅ ābādhogā jo rab tujhe mīrās meṅ

de rahā hai tāki tū us par qabzā kareto ho saktā hai ki koī lāsh khulemaidān meṅ kahīṅ paṛī pāī jāe. agarmālūm na ho ki kis ne use qatl kiyāhai 2to pahle irdgird ke shahroṅ kebuzurg aur qāzī ā kar patā kareṅ kikaun sā shahr lāsh ke zyādā qarībhai. 3phir us shahr ke buzurg ekjawān gāy chun leṅ jo kabhī kām kelie istemāl nahīṅ huī. 4wuh use ekaisī wādī meṅ le jāeṅ jis meṅ na kabhī

Page 316: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

316 istisnā 21:17

hal chalāyā gayā, na paude lagāe gaehoṅ. wādī meṅ aisī nahar ho jo pūrāsāl bahtī rahe. wahīṅ buzurg jawāngāy kī gardan toṛ ḍāleṅ.

5phir lāwī ke qabīle ke imām qarībāeṅ. kyūṅki rab tumhāre ḳhudāne unheṅ chun liyā hai tāki wuhḳhidmat kareṅ, rab ke nām se barkatdeṅ aur tamām jhagaṛoṅ aur hamloṅkā faislā kareṅ. 6un ke deḳhte deḳhteshahr ke buzurg apne hāth gāy kīlāsh ke ūpar dho leṅ. 7sāth sāthwuh kaheṅ, “ham ne is shaḳhs koqatl nahīṅ kiyā, na ham ne dekhā kikis ne yih kiyā. 8ai rab, apnī qaumisrāīl kā yih kaffārā qabūl farmā jisetū ne fidyā de kar chhuṛāyā hai. apnīqaum isrāīl ko is bequsūr ke qatl kāqusūrwār na ṭhahrā.” tab maqtūl kākaffārā diyā jāegā.

9yūṅ tū aise bequsūr shaḳhs ke qatlkā dāġh apne darmiyān se miṭā degā.kyūṅki tū ne wuhī kuchh kiyā hogājo rab kī nazar meṅ durust hai.

jangī qaidī aurat se shādī10ho saktā hai ki tū apne dushman

se jang kare aur rab tumhārā ḳhudātujhe fath baḳhshe. jangī qaidiyoṅ kojamā karte waqt 11tujhe un meṅ se ekḳhūbsūrat aurat nazar ātī hai jis kesāth terā dil lag jātā hai. tū us se shādīkar saktā hai. 12use apne ghar meṅ leā. wahāṅ wuh apne sar ke bāloṅ komunḍwāe, apne nāḳhun tarāshe 13aur

apne wuh kapṛe utāre jo wuh pahnehue thī jab use qaid kiyā gayā. wuhpūre ek mahīne tak apne wālidain kelie mātam kare. phir tū us ke pās jākar us ke sāth shādī kar saktā hai.

14agar wuh tujhe kisī waqt pasandna āe to use jāne de. wuh wahāṅjāe jahāṅ us kā jī chāhe. tujhe usebechne yā us se launḍī kā sā sulūkkarne kī ijāzat nahīṅ hai, kyūṅki tū neuse majbūr karke us se shādī kī hai.

pahlauṭhe ke huqūq15ho saktā hai kisī mard kī do

bīwiyāṅ hoṅ. ek ko wuh pyār kartāhai, dūsrī ko nahīṅ. donoṅ bīwiyoṅke beṭe paidā hue haiṅ, lekin jis bīwīse shauhar muhabbat nahīṅ kartāus kā beṭā sab se pahle paidā huā.16jab bāp apnī milkiyat wasiyat meṅtaqsīm kartā hai to lāzim hai ki wuhapne sab se baṛe beṭe kā maurūsīhaq pūrā kare. use pahlauṭhe kāyih haq us bīwī ke beṭe ko muntaqilkarne kī ijāzat nahīṅ jise wuh pyārkartā hai. 17use taslīm karnā haiki us bīwī kā beṭā sab se baṛā hai,jis se wuh muhabbat nahīṅ kartā.natījatan use us beṭe ko dūsre beṭoṅkī nisbat dugnā hissā denā paṛegā,kyūṅki wuh apne bāp kī tāqat kāpahlā izhār hai. use pahlauṭhe kā haqhāsil hai.

Page 317: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 21:18 317

sarkash beṭā18ho saktā hai ki kisī kā beṭā

haṭdharm aur sarkash ho. wuh apnewālidain kī itā’at nahīṅ kartā aur unke tambīh karne aur sazā dene parbhī un kī nahīṅ suntā. 19is sūratmeṅ wālidain use pakaṛ kar shahrke darwāze par le jāeṅ jahāṅ buzurgjamā hote haiṅ. 20wuh buzurgoṅ sekaheṅ, “hamārā beṭā haṭdharm aursarkash hai. wuh hamārī itā’at nahīṅkartā balki ayyāsh aur sharābī hai.”21yih sun kar shahr ke tamām marduse sangsār kareṅ. yūṅ tū apnedarmiyān se burāī miṭā degā. tamāmisrāīl yih sun kar ḍar jāegā.

sazā-e-maut pāne wāle ko

usī din dafnānā hai22jab tū kisī ko sazā-e-maut de kar

us kī lāsh kisī lakaṛī yā daraḳht selaṭkātā hai 23to use aglī subh takwahāṅ na chhoṛnā. har sūrat meṅuse usī din dafnā denā, kyūṅki jisebhī daraḳht se laṭkāyā gayā hai us parallāh kī lānat hai. agar use usī dindafnāyā na jāe to tū us mulk ko nāpākkar degā jo rab terā ḳhudā tujhe mīrāsmeṅ de rahā hai.

madad karne ke lie tayyār rahnā

22 agar tujhe kisī hamwatanbhāī kā bail yā bheṛ-bakrī

bhaṭkī huī nazar āe to use nazarandāzna karnā balki mālik ke pās wāpas le

jānā. 2agar mālik kā ghar qarīb naho yā tujhe mālūm na ho ki mālikkaun hai to jānwar ko apne ghar lākar us waqt tak saṅbhāle rakhnā jabtak ki mālik use ḍhūṅḍne na āe. phirjānwar ko use wāpas kar denā. 3yihīkuchh kar agar tere hamwatan bhāīkā gadhā bhaṭkā huā nazar āe yāus kā gumshudā kūṭ yā koī aur chīzkahīṅ nazar āe. use nazarandāz nakarnā.

4agar tū dekhe ki kisī hamwatan kāgadhā yā bail rāste meṅ gir gayā haito use nazarandāz na karnā. jānwarko khaṛā karne meṅ apne bhāī kīmadad kar.

qudratī intizām ke taht rahnā5aurat ke lie mardoṅ ke kapṛe

pahnanā manā hai. isī tarah mardke lie auratoṅ ke kapṛe pahnanā bhīmanā hai. jo aisā kartā hai us se rabtere ḳhudā ko ghin ātī hai.

6agar tujhe kahīṅ rāste meṅ, kisīdaraḳht meṅ yā zamīn par ghoṅslānazar āe aur parindā apne bachchoṅyā anḍoṅ par baiṭhā huā ho to māṅ kobachchoṅ samet na pakaṛnā. 7tujhebachche le jāne kī ijāzat hai lekin māṅko chhoṛ denā tāki tū ḳhushhāl aurder tak jītā rahe.

8nayā makān tāmīr karte waqtchhat par chāroṅ taraf dīwār banānā.warnā tū us shaḳhs kī maut kā

Page 318: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

318 istisnā 22:24

zimmādār ṭhahregā jo terī chhat parse gir jāe.

9apne angūr ke bāġh meṅ do qismke bīj na bonā. warnā sab kuchhmaqdis ke lie maḳhsūs-o-muqaddashogā, na sirf wuh fasal jo tum neangūr ke ilāwā lagāī balki angūr bhī.

10bail aur gadhe ko joṛ kar hal nachalānā.

11aise kapṛe na pahnanā jin meṅbante waqt ūn aur katān milāe gaehaiṅ.

12apnī chādar ke chāroṅ konoṅ parphundne lagānā.

izdiwājī zindagī kī hifāzat13agar koī ādmī shādī karne ke

thoṛī der bād apnī bīwī ko pasand nakare 14aur phir us kī badnāmī karkekahe, “is aurat se shādī karne ke bādmujhe patā chalā ki wuh kuṅwārīnahīṅ hai” 15to jawāb meṅ bīwī kewālidain shahr ke darwāze par jamāhone wāle buzurgoṅ ke pās sabūta leāeṅ ki beṭī shādī se pahle kuṅwārīthī. 16bīwī kā bāp buzurgoṅ se kahe,“maiṅ ne apnī beṭī kī shādī is ādmī sekī hai, lekin yih us se nafrat kartā hai.17ab is ne us kī badnāmī karke kahāhai, ‘mujhe patā chalā ki tumhārībeṭī kuṅwārī nahīṅ hai.’ lekin yahāṅsabūt hai ki merī beṭī kuṅwārī thī.”

phir wālidain shahr ke buzurgoṅ komazkūrā kapṛā dikhāeṅ.

18tab buzurg us ādmī ko pakaṛ karsazā deṅ, 19kyūṅki us ne ek isrāīlīkuṅwārī kī badnāmī kī hai. is keilāwā use jurmāne ke taur par bīwīke bāp ko chāṅdī ke 100 sikke denepaṛeṅge. lāzim hai ki wuh shauhar kefarāiz adā kartā rahe. wuh umr bharuse talāq nahīṅ de sakegā.

20lekin agar ādmī kī bāt durustnikle aur sābit na ho sake ki bīwīshādī se pahle kuṅwārī thī 21to usebāp ke ghar lāyā jāe. wahāṅ shahrke ādmī use sangsār kar deṅ. kyūṅkiapne bāp ke ghar meṅ rahte huebadkārī karne se us ne isrāīl meṅ ekahmaqānā aur bedīn harkat kī hai.yūṅ tū apne darmiyān se burāī miṭādegā. 22agar koī ādmī kisī kī bīwī kesāth zinā kare aur wuh pakaṛe jāeṅ todonoṅ ko sazā-e-maut denī hai. yūṅtū isrāīl se burāī miṭā degā.

23agar ābādī meṅ kisī mard kīmulāqāt kisī aisī kuṅwārī se ho jis kīkisī aur ke sāth mangnī huī hai aurwuh us ke sāth hambistar ho jāe 24tolāzim hai ki tum donoṅ ko shahr kedarwāze ke pās lā kar sangsār karo.wajah yih hai ki laṛkī ne madad ke liena pukārā agarche us jagah log ābādthe. mard kā jurm yih thā ki us nekisī aur kī mangetar kī ismatdarī kī

ayānī wuh kapṛā jis par nayā joṛā soyā huāthā.

Page 319: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 22:25 319

hai. yūṅ tū apne darmiyān se burāīmiṭā degā.

25lekin agar mard ġhairābād jagahmeṅ kisī aur kī mangetar kī ismatdarīkare to sirf usī ko sazā-e-maut dī jāe.26laṛkī ko koī sazā na denā, kyūṅkius ne kuchh nahīṅ kiyā jo maut kelāiq ho. ziyādatī karne wāle kī harkatus shaḳhs ke barābar hai jis ne kisīpar hamlā karke use qatl kar diyā hai.27chūṅki us ne laṛkī ko wahāṅ pāyājahāṅ log nahīṅ rahte, is lie agarchelaṛkī ne madad ke lie pukārā to bhīuse koī na bachā sakā.

28ho saktā hai koī ādmī kisī laṛkīkī ismatdarī kare jis kī mangnī nahīṅhuī hai. agar unheṅ pakaṛā jāe 29towuh laṛkī ke bāp ko chāṅdī ke 50sikke de. lāzim hai ki wuh usī laṛkīse shādī kare, kyūṅki us ne us kīismatdarī kī hai. na sirf yih balki wuhumr bhar use talāq nahīṅ de saktā.

30apne bāp kī bīwī se shādī karnāmanā hai. jo koī yih kare wuh apnebāp kī behurmatī kartā hai.

muqaddas ijtimā meṅ sharīk

hone kī sharāit

23 jab isrāīlī rab ke maqdis kepās jamā hote haiṅ to use

hāzir hone kī ijāzat nahīṅ jo kāṭne yākuchalne se ḳhojā ban gayā hai. 2isītarah wuh bhī muqaddas ijtimā se dūrrahe jo nājāiz tālluqāt ke natīje meṅ

paidā huā hai. us kī aulād bhī daswīṅpusht tak us meṅ nahīṅ ā saktī.

3koī bhī ammonī yā moābīmuqaddas ijtimā meṅ sharīk nahīṅho saktā. in qaumoṅ kī aulād daswīṅpusht tak bhī is jamā’at meṅ hāzirnahīṅ ho saktī, 4kyūṅki jab tum misrse nikal āe to wuh roṭī aur pānī lekar tum se milne na āe. na sirf yihbalki unhoṅ ne masoputāmiyā keshahr fator meṅ jā kar bal’ām binbaor ko paise die tāki wuh tujh parlānat bheje. 5lekin rab tere ḳhudā nebal’ām kī na sunī balki us kī lānatbarkat meṅ badal dī. kyūṅki rab terāḳhudā tujh se pyār kartā hai. 6umrbhar kuchh na karnā jis se in qaumoṅkī salāmatī aur ḳhushhālī baṛh jāe.

7lekin adomiyoṅ ko makrūh nasamajhnā, kyūṅki wuh tumhāre bhāīhaiṅ. isī tarah misriyoṅ ko bhīmakrūh na samajhnā, kyūṅki tū unke mulk meṅ pardesī mehmān thā.8un kī tīsrī nasl ke log rab kemuqaddas ijtimā meṅ sharīk ho saktehaiṅ.

ḳhaimāgāh meṅ nāpākī9apne dushmanoṅ se jang karte

waqt apnī lashkargāh meṅ har nāpākchīz se dūr rahnā. 10masalan agarkoī ādmī rāt ke waqt ehtilām kebāis nāpāk ho jāe to wuh lashkargāhke bāhar jā kar shām tak wahāṅṭhahre. 11din ḍhalte waqt wuh nahā

Page 320: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

320 istisnā 23:25

le to sūraj ḍūbne par lashkargāh meṅwāpas ā saktā hai.

12apnī hājat rafā karne ke lielashkargāh se bāhar koī jagahmuqarrar kar. 13jab kisī ko hājat kelie baiṭhnā ho to wuh is ke lie gaṛhākhode aur bād meṅ use miṭṭī se bharde. is lie apne sāmān meṅ khudāī kākoī ālā rakhnā zarūrī hai.

14rab terā ḳhudā terī lashkargāhmeṅ tere darmiyān hī ghūmtā phirtāhai tāki tū mahfūz rahe aur dushmantere sāmne shikast khāe. is lielāzim hai ki terī lashkargāh us kelie maḳhsūs-o-muqaddas ho. aisā naho ki allāh wahāṅ koī sharmnāk bātdekh kar tujh se dūr ho jāe.

farār hue ġhulāmoṅ kī madad karnā15agar koī ġhulām tere pās panāh

le to use mālik ko wāpas na karnā.16wuh tere sāth aur tere darmiyān hīrahe, wahāṅ jahāṅ wuh basnā chāhe,us shahr meṅ jo use pasand āe. usena dabānā.

mandir meṅ ismatfaroshī manā hai17kisī dewatā kī ḳhidmat meṅ

ismatfaroshī karnā har isrāīlī aurataur mard ke lie manā hai. 18mannatmānte waqt na kasbī kā ajr, na kutteke paisea rab ke maqdis meṅ lānā,

kyūṅki rab tere ḳhudā ko donoṅchīzoṅ se ghin hai.

apne hamwatanoṅ se sūd na lenā19agar koī isrāīlī bhāī tujh se qarz

le to us se sūd na lenā, ḳhwāh tū neuse paise, khānā yā koī aur chīz dī ho.20apne isrāīlī bhāī se sūd na le balkisirf pardesī se. phir jab tū mulk parqabzā karke us meṅ rahegā to rab terāḳhudā tere har kām meṅ barkat degā.

apnī mannat pūrī karnā21jab tū rab apne ḳhudā ke huzūr

mannat māne to use pūrā karne meṅder na karnā. rab terā ḳhudā yaqīnantujh se is kā mutālabā karegā. agartū use pūrā na kare to qusūrwārṭhahregā. 22agar tū mannat mānanese bāz rahe to qusūrwār nahīṅṭhahregā, 23lekin agar tū apnī dilīḳhushī se rab ke huzūr mannat māneto har sūrat meṅ use pūrā kar.

dūsre ke bāġh meṅ se

guzarne kā rawayyā24kisī hamwatan ke angūr ke bāġh

meṅ se guzarte waqt tujhe jitnā jīchāhe us ke angūr khāne kī ijāzat hai.lekin apne kisī bartan meṅ phal jamāna karnā. 25isī tarah kisī hamwatanke anāj ke khet meṅ se guzarte waqt

ayaqīn se nahīṅ kahā jā saktā ki ‘kutte kepaise’ se kyā murād hai. ġhāliban is kepīchhe butparastī kā koī dastūr hai.

Page 321: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 24:1 321

tujhe apne hāthoṅ se anāj kī bāliyāṅtoṛne kī ijāzat hai. lekin darāntīistemāl na karnā.

talāq aur dubārā shādī

24 ho saktā hai koī ādmī kisīaurat se shādī kare lekin bād

meṅ use pasand na kare, kyūṅki usebīwī ke bāre meṅ kisī sharmnāk bātkā patā chal gayā hai. wuh talāqnāmālikh kar use aurat ko detā aur phir useghar se wāpas bhej detā hai. 2is kebād us aurat kī shādī kisī aur mardse ho jātī hai, 3aur wuh bhī bād meṅuse pasand nahīṅ kartā. wuh bhītalāqnāmā likh kar use aurat ko detāaur phir use ghar se wāpas bhej detāhai. ḳhwāh dūsrā shauhar use wāpasbhej de yā shauhar mar jāe, 4aurat kepahle shauhar ko us se dubārā shādīkarne kī ijāzat nahīṅ hai, kyūṅki wuhaurat us ke lie nāpāk hai. aisī harkatrab kī nazar meṅ qābil-e-ghin hai. usmulk ko yūṅ gunāhālūdā na karnā jorab terā ḳhudā tujhe mīrās meṅ derahā hai.

mazīd hidāyāt5agar kisī ādmī ne abhī abhī shādī

kī ho to tū use bhartī karke jang karneke lie nahīṅ bhej saktā. tū use koī bhīaisī zimmādārī nahīṅ de saktā, jis sewuh ghar se dūr rahne par majbūr hojāe. ek sāl tak wuh aisī zimmādāriyoṅ

se barī rahe tāki ghar meṅ rah karapnī bīwī ko ḳhush kar sake.

6agar koī tujh se udhār le tozamānat ke taur par us se na us kīchhoṭī chakkī, na us kī baṛī chakkī kāpāṭ lenā, kyūṅki aisā karne se tū uskī jān legā yānī tū wuh chīz legā jisse us kā guzārā hotā hai.

7agar kisī ādmī ko pakaṛā jāe jisne apne hamwatan ko aġhwā karkeġhulām banā liyā yā bech diyā haito use sazā-e-maut denā hai. yūṅ tūapne darmiyān se burāī miṭā degā.

8agar koī wabāī jildī bīmārī tujhelag jāe to baṛī ehtiyāt se lāwī keqabīle ke imāmoṅ kī tamām hidāyātpar amal karnā. jo bhī hukm maiṅne unheṅ diyā use pūrā karnā. 9yādkar ki rab tere ḳhudā ne mariyam kesāth kyā kiyā jab tum misr se nikalkar safar kar rahe the.

ġharīboṅ ke huqūq10apne hamwatan ko udhār dete

waqt us ke ghar meṅ na jānā tākizamānat kī koī chīz mile 11balkibāhar ṭhahar kar intizār kar ki wuhḳhud ghar se zamānat kī chīz nikālkar tujhe de. 12agar wuh itnāzarūratmand ho ki sirf apnī chādar desake to rāt ke waqt zamānat tere pāsna rahe. 13use sūraj ḍūbne tak wāpaskarnā tāki qarzdār us meṅ lipaṭ kar sosake. phir wuh tujhe barkat degā aur

Page 322: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

322 istisnā 25:6

rab terā ḳhudā terā yih qadam rāstqarār degā.

14zarūratmand mazdūr se ġhalatfāidā na uṭhānā, chāhe wuh isrāīlī hoyā pardesī. 15use rozānā sūraj ḍūbnese pahle pahle us kī mazdūrī de denā,kyūṅki is se us kā guzārā hotā hai.kahīṅ wuh rab ke huzūr terī shikāyatna kare aur tū qusūrwār ṭhahre.

16wālidain ko un ke bachchoṅ kejarāim ke sabab se sazā-e-maut na dījāe, na bachchoṅ ko un ke wālidain kejarāim ke sabab se. agar kisī ko sazā-e-maut denī ho to us gunāh ke sababse jo us ne ḳhud kiyā hai.

17pardesiyoṅ aur yatīmoṅ ke huqūqqāim rakhnā. udhār dete waqtzamānat ke taur par bewā kī chādarna lenā. 18yād rakh ki tū bhī misrmeṅ ġhulām thā aur ki rab tereḳhudā ne fidyā de kar tujhe wahāṅ sechhuṛāyā. isī wajah se maiṅ tujhe yihhukm detā hūṅ.

19agar tū fasal kī kaṭāī ke waqt ekpūlā bhūl kar khet meṅ chhoṛ āe touse lāne ke lie wāpas na jānā. usepardesiyoṅ, yatīmoṅ aur bewāoṅ kelie wahīṅ chhoṛ denā tāki rab terāḳhudā tere har kām meṅ barkat de.20jab zaitūn kī fasal pak gaī ho todaraḳhtoṅ ko mār mār kar ek hī bārun meṅ se phal utār. is ke bādunheṅ na chheṛnā. bachā huā phalpardesiyoṅ, yatīmoṅ aur bewāoṅ kelie chhoṛ denā. 21isī tarah apne angūr

toṛne ke lie ek hī bār bāġh meṅ seguzarnā. is ke bād use na chheṛnā.bachā huā phal pardesiyoṅ, yatīmoṅaur bewāoṅ ke lie chhoṛ denā. 22yādrakh ki tū ḳhud misr meṅ ġhulām thā.isī wajah se maiṅ tujhe yih hukm detāhūṅ.

koṛe lagāne kī munāsib sazā

25 agar log apnā ek dūsre kesāth jhagaṛā ḳhud nipṭā na

sakeṅ to wuh apnā muāmalā adālatmeṅ pesh kareṅ. qāzī faislā kare kikaun bequsūr hai aur kaun mujrim.2agar mujrim ko koṛe lagāne kī sazādenī hai to use qāzī ke sāmne hī muṅhke bal zamīn par liṭānā. phir use itnekoṛe lagāe jāeṅ jitnoṅ ke wuh lāiq hai.3lekin us ko zyādā se zyādā 40 koṛelagāne haiṅ, warnā tere isrāīlī bhāī kīsar-e-ām be’izzatī ho jāegī.

bail kā muṅh na bāndhnā4jab tū fasal gāhne ke lie us par bail

chalne detā hai to us kā muṅh bāndhkar na rakhnā.

marhūm bhāī kī bīwī se

shādī karne kā hukm5agar koī shādīshudā mard beaulād

mar jāe aur us kā sagā bhāī sāth raheto us kā farz hai ki bewā se shādī kare.bewā shauhar ke ḳhāndān se haṭ karkisī aur se shādī na kare balki sirfapne dewar se. 6pahlā beṭā jo is rishte

Page 323: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 25:7 323

se paidā hogā pahle shauhar ke beṭekī haisiyat rakhegā. yūṅ us kā nāmqāim rahegā.

7lekin agar dewar bhābī se shādīkarnā na chāhe to bhābī shahrke darwāze par jamā hone wālebuzurgoṅ ke pās jāe aur un se kahe,“merā dewar mujh se shādī karne seinkār kartā hai. wuh apnā farz adākarne ko tayyār nahīṅ ki apne bhāīkā nām qāim rakhe.” 8phir shahrke buzurg dewar ko bulā kar usesamjhāeṅ. agar wuh is ke bāwujūdbhī us se shādī karne se inkār kare 9tous kī bhābī buzurgoṅ kī maujūdagīmeṅ us ke pās jā kar us kī ek chappalutār le. phir wuh us ke muṅh parthūk kar kahe, “us ādmī se aisā sulūkkiyā jātā hai jo apne bhāī kī nasl qāimrakhne ko tayyār nahīṅ.” 10āindāisrāīl meṅ dewar kī nasl “nange pāoṅwāle kī nasl” kahlāegī.

jhagaṛe meṅ nāzebā harkateṅ11agar do ādmī laṛ rahe hoṅ aur ek

kī bīwī apne shauhar ko bachāne kīḳhātir muḳhālif ke azu-e-tanāsul kopakaṛ le 12to lāzim hai ki tū aurat kāhāth kāṭ ḍāle. us par rahm na karnā.

dhokā na denā13tolte waqt apne thaile meṅ sahīh

wazn ke bāṭ rakh, aur dhokā deneke lie halke bāṭ sāth na rakhnā.14isī tarah apne ghar meṅ anāj kī

paimāish karne kā sahīh bartan rakh,aur dhokā dene ke lie chhoṭā bartansāth na rakhnā. 15sahīh wazn ke bāṭaur paimāish karne ke sahīh bartanistemāl karnā tāki tū der tak us mulkmeṅ jītā rahe jo rab terā ḳhudā tujhedegā. 16kyūṅki use har dhokebāz seghin hai.

amālīqiyoṅ ko sazā denā17yād rahe ki amālīqiyoṅ ne tujh

se kyā kuchh kiyā jab tum misr senikal kar safar kar rahe the. 18jabtū thakāhārā thā to wuh tujh parhamlā karke pīchhe pīchhe chalnewāle tamām kamzoroṅ ko jān semārte rahe. wuh allāh kā ḳhaufnahīṅ mānte the. 19chunāṅche jab rabterā ḳhudā tujhe irdgird ke tamāmdushmanoṅ se sukūn degā aur tū usmulk meṅ ābād hogā jo wuh tujhemīrās meṅ de rahā hai tāki tū uspar qabzā kare to amālīqiyoṅ ko yūṅhalāk kar ki duniyā meṅ un kā nām-o-nishān na rahe. yih bāt mat bhūlnā.

zamīn kī pahlī paidāwār

rab ko pesh karnā

26 jab tū us mulk meṅ dāḳhilhogā jo rab terā ḳhudā tujhe

mīrās meṅ de rahā hai aur tū us parqabzā karke us meṅ ābād ho jāegā2to jo bhī fasal tū kāṭegā us ke pahlephal meṅ se kuchh ṭokre meṅ rakhkar us jagah le jā jo rab terā ḳhudā

Page 324: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

324 istisnā 26:15

apne nām kī sukūnat ke lie chunegā.3wahāṅ ḳhidmat karne wāle imāmse kah, “āj maiṅ rab apne ḳhudāke huzūr elān kartā hūṅ ki us mulkmeṅ pahuṅch gayā hūṅ jis kā hameṅdene kā wādā rab ne qasam khā karhamāre bāpdādā se kiyā thā.”

4tab imām terā ṭokrā le kar use rabtere ḳhudā kī qurbāngāh ke sāmnerakh de. 5phir rab apne ḳhudā kehuzūr kah, “merā bāp āwārā phirnewālā arāmī thā jo apne logoṅ kole kar misr meṅ ābād huā. wahāṅpahuṅchte waqt un kī tādād kam thī,lekin hote hote wuh baṛī aur tāqatwarqaum ban gae. 6lekin misriyoṅ nehamāre sāth burā sulūk kiyā aurhameṅ dabā kar saḳht ġhulāmī meṅphaṅsā diyā. 7phir ham ne chillākar rab apne bāpdādā ke ḳhudā sefaryād kī, aur rab ne hamārī sunī.us ne hamārā dukh, hamārī musībataur dabī huī hālat dekhī 8aur baṛeiḳhtiyār aur qudrat kā izhār karkehameṅ misr se nikāl lāyā. us waqtus ne misriyoṅ meṅ dahshat phailākar baṛe mojize dikhāe. 9wuh hameṅyahāṅ le āyā aur yih mulk diyā jismeṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.10ai rab, ab maiṅ tujhe us zamīn kāpahlā phal pesh kartā hūṅ jo tū nehameṅ baḳhshī hai.”

apnī paidāwār kā ṭokrā rab apneḳhudā ke sāmne rakh kar use sijdākarnā. 11ḳhushī manānā ki rab mere

ḳhudā ne mujhe aur mere gharāneko itnī achchhī chīzoṅ se nawāzā hai.is ḳhushī meṅ apne darmiyān rahnewāle lāwiyoṅ aur pardesiyoṅ ko bhīshāmil karnā.

fasal kā zarūratmandoṅ ke lie hissā12har tīsre sāl apnī tamām fasloṅ

kā daswāṅ hissā lāwiyoṅ, pardesiyoṅ,yatīmoṅ aur bewāoṅ ko denā tākiwuh tere shahroṅ meṅ khānā khākar ser ho jāeṅ. 13phir rab apneḳhudā se kah, “maiṅ ne waisā hīkiyā hai jaisā tū ne mujhe hukmdiyā. maiṅ ne apne ghar se terelie maḳhsūs-o-muqaddas hissā nikālkar use lāwiyoṅ, pardesiyoṅ, yatīmoṅaur bewāoṅ ko diyā hai. maiṅne sab kuchh terī hidāyāt ke ainmutābiq kiyā hai aur kuchh nahīṅbhūlā. 14mātam karte waqt maiṅ ne ismaḳhsūs-o-muqaddas hisse se kuchhnahīṅ khāyā. maiṅ ise uṭhā kar gharse bāhar lāte waqt nāpāk nahīṅ thā.maiṅ ne is meṅ se murdoṅ ko bhīkuchh pesh nahīṅ kiyā. maiṅ ne rabapne ḳhudā kī itā’at karke wuh sabkuchh kiyā hai jo tū ne mujhe karneko farmāyā thā. 15chunāṅche āsmānpar apne maqdis se nigāh karke apnīqaum isrāīl ko barkat de. us mulk kobhī barkat de jis kā wādā tū ne qasamkhā kar hamāre bāpdādā se kiyā aurjo tū ne hameṅ baḳhsh bhī diyā hai,

Page 325: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 26:16 325

us mulk ko jis meṅ dūdh aur shahdkī kasrat hai.”

tum rab kī qaum ho16āj rab terā ḳhudā farmātā hai ki

in ahkām aur hidāyāt kī pairawī kar.pūre dil-o-jān se aur baṛī ehtiyāt se inpar amal kar.

17āj tū ne elān kiyā hai, “rab merāḳhudā hai. maiṅ us kī rāhoṅ parchaltā rahūṅgā, us ke ahkām ke tāberahūṅgā aur us kī sunūṅgā.” 18aurāj rab ne elān kiyā hai, “tū merīqaum aur merī apnī milkiyat hai jistarah maiṅ ne tujh se wādā kiyāhai. ab mere tamām ahkām kemutābiq zindagī guzār. 19jitnī bhīqaumeṅ maiṅ ne ḳhalaq kī haiṅ unsab par maiṅ tujhe sarfarāz karūṅgaaur tujhe tārīf, shohrat aur izzat atākarūṅga. tū rab apne ḳhudā ke liemaḳhsūs-o-muqaddas qaum hogā jistarah maiṅ ne wādā kiyā hai.”

aibāl pahāṛ par qurbāngāh banānā hai

27 phir mūsā ne buzurgoṅse mil kar qaum se kahā,

“tamām hidāyāt ke tābe raho jo maiṅtumheṅ āj de rahā hūṅ. 2jab tumdaryā-e-yardan ko pār karke us mulkmeṅ dāḳhil hoge jo rab terā ḳhudātujhe de rahā hai to wahāṅ baṛepatthar khaṛe karke un par safedīkar. 3un par lafz-ba-lafz pūrī sharīatlikh. daryā ko pār karne ke bād yihī

kuchh kar tāki tū us mulk meṅ dāḳhilho jo rab terā ḳhudā tujhe degā aurjis meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.kyūṅki rab tere bāpdādā ke ḳhudāne yih dene kā tujh se wādā kiyāhai. 4chunāṅche yardan ko pār karkepattharoṅ ko aibāl pahāṛ par khaṛākaro aur un par safedī kar.

5wahāṅ rab apne ḳhudā ke liequrbāngāh banānā. jo patthar tū uske lie istemāl kare unheṅ lohe kekisī auzār se na tarāshnā. 6sirf sālimpatthar istemāl kar. qurbāngāh parrab apne ḳhudā ko bhasm hone wālīqurbāniyāṅ pesh kar. 7salāmatī kīqurbāniyāṅ bhī us par chaṛhā. unheṅwahāṅ rab apne ḳhudā ke huzūr khākar ḳhushī manā. 8wahāṅ khaṛe kiegae pattharoṅ par sharīat ke tamāmalfāz sāf sāf likhe jāeṅ.”

aibāl pahāṛ par se lānat9phir mūsā ne lāwī ke qabīle ke

imāmoṅ se mil kar tamām isrāīliyoṅse kahā, “ai isrāīl, ḳhāmoshī se sun.ab tū rab apne ḳhudā kī qaum bangayā hai, 10is lie us kā farmāṅbardārrah aur us ke un ahkām par amal karjo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ.”

11usī din mūsā ne isrāīliyoṅ kohukm de kar kahā, 12“daryā-e-yardanko pār karne ke bād shamāūn, lāwī,yahūdāh, ishkār, yūsuf aur binyamīnke qabīle garizīm pahāṛ par khaṛe hojāeṅ. wahāṅ wuh barkat ke alfāz

Page 326: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

326 istisnā 28:6

boleṅ. 13bāqī qabīle yānī rūbin, jad,āshar, zabūlūn, dān aur naftālī aibālpahāṛ par khaṛe ho kar lānat ke alfāzboleṅ.

14phir lāwī tamām logoṅ semuḳhātib ho kar ūṅchī āwāz sekaheṅ,

15‘us par lānat jo but tarāsh kar yāḍhāl kar chupke se khaṛā kare. rabko kārīgar ke hāthoṅ se banī huī aisīchīz se ghin hai.’

jawāb meṅ sab log kaheṅ, ‘āmīn!’16phir lāwī kaheṅ, ‘us par lānat jo

apne bāp yā māṅ kī tahqīr kare.’sab log kaheṅ, ‘āmīn!’17‘us par lānat jo apne paṛosī kī

zamīn kī hudūd āge pīchhe kare.’sab log kaheṅ, ‘āmīn!’18‘us par lānat jo kisī andhe kī

rāhnumāī karke use ġhalat rāste parle jāe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’19‘us par lānat jo pardesiyoṅ,

yatīmoṅ yā bewāoṅ ke huqūq qāimna rakhe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’20‘us par lānat jo apne bāp kī bīwī

se hambistar ho jāe, kyūṅki wuh apnebāp kī behurmatī kartā hai.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’21‘us par lānat jo jānwar se jinsī

tālluq rakhe.’sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

22‘us par lānat jo apnī sagī bahan,apne bāp kī beṭī yā apnī māṅ kī beṭīse hambistar ho jāe.’

sab log kaheṅ, ‘āmīn!’23‘us par lānat jo apnī sās se

hambistar ho jāe.’sab log kaheṅ, ‘āmīn!’24‘us par lānat jo chupke se apne

hamwatan ko qatl kar de.’sab log kaheṅ, ‘āmīn!’25‘us par lānat jo paise le kar kisī

bequsūr shaḳhs ko qatl kare.’sab log kaheṅ, ‘āmīn!’26‘us par lānat jo is sharīat kī bāteṅ

qāim na rakhe, na in par amal kare.’sab log kaheṅ, ‘āmīn!’

farmāṅbardārī kī barkateṅ

28 rab terā ḳhudā tujhe duniyākī tamām qaumoṅ par

sarfarāz karegā. shart yih hai ki tū uskī sune aur ehtiyāt se us ke un tamāmahkām par amal kare jo maiṅ tujheāj de rahā hūṅ. 2rab apne ḳhudā kāfarmāṅbardār rah to tujhe har tarahkī barkat hāsil hogī. 3rab tujhe shahraur dehāt meṅ barkat degā. 4terīaulād phale phūlegī, terī achchhī-ḳhāsī fasleṅ pakeṅgī, tere gāy-bailoṅaur bheṛ-bakriyoṅ ke bachche taraqqīkareṅge. 5terā ṭokrā phal se bharārahegā, aur āṭā gūṅdhne kā terābartan āṭe se ḳhālī nahīṅ hogā. 6rabtujhe ghar meṅ āte aur wahāṅ senikalte waqt barkat degā.

Page 327: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 28:7 327

7jab tere dushman tujh par hamlākareṅge to wuh rab kī madad seshikast khāeṅge. go wuh mil kartujh par hamlā kareṅ to bhī tū unheṅchāroṅ taraf muntashir kar degā.

8allāh tere har kām meṅ barkatdegā. anāj kī kasrat ke sabab setere godām bhare raheṅge. rab terāḳhudā tujhe us mulk meṅ barkat degājo wuh tujhe dene wālā hai. 9rabapnī qasam ke mutābiq tujhe apnīmaḳhsūs-o-muqaddas qaum banāegāagar tū us ke ahkām par amal kareaur us kī rāhoṅ par chale. 10phirduniyā kī tamām qaumeṅ tujh seḳhauf khāeṅgī, kyūṅki wuh dekheṅgīki tū rab kī qaum hai aur us ke nāmse kahlātā hai.

11rab tujhe bahut aulād degā, tererewaṛ baṛhāegā aur tujhe kasrat kīfasleṅ degā. yūṅ wuh tujhe us mulkmeṅ barkat degā jis kā wādā us neqasam khā kar tere bāpdādā se kiyā.12rab āsmān ke ḳhazānoṅ ko kholkar waqt par terī zamīn par bārishbarsāegā. wuh tere har kām meṅbarkat degā. tū bahut sī qaumoṅ koudhār degā lekin kisī kā bhī qarzdārnahīṅ hogā. 13rab tujhe qaumoṅ kīdum nahīṅ balki un kā sar banāegā.tū taraqqī kartā jāegā aur zawāl kāshikār nahīṅ hogā. lekin shart yihhai ki tū rab apne ḳhudā ke wuhahkām mān kar un par amal karejo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ. 14jo

kuchh bhī maiṅ ne tujhe karne kokahā hai us se kisī tarah bhī haṭkar zindagī na guzārnā. na dīgarmābūdoṅ kī pairawī karnā, na un kīḳhidmat karnā.

nāfarmānī kī lānateṅ15lekin agar tū rab apne ḳhudā kī

na sune aur us ke un tamām ahkāmpar amal na kare jo maiṅ āj tujhede rahā hūṅ to har tarah kī lānattujh par āegī. 16shahr aur dehātmeṅ tujh par lānat hogī. 17tereṭokre aur āṭā gūṅdhne ke tere bartanpar lānat hogī. 18terī aulād par,tere gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ kebachchoṅ par aur tere khetoṅ parlānat hogī. 19ghar meṅ āte aur wahāṅse nikalte waqt tujh par lānat hogī.20agar tū ġhalat kām karke rab kochhoṛe to jo kuchh bhī tū kare wuhtujh par lānateṅ, pareshāniyāṅ aurmusībateṅ āne degā. tab terā jaldī sesatyānās hogā, aur tū halāk ho jāegā.

21rab tujh meṅ wabāī bīmāriyāṅphailāegā jin ke sabab se tujh meṅse koī us mulk meṅ zindā nahīṅrahegā jis par tū abhī qabzā karnewālā hai. 22rab tujhe mohlakbīmāriyoṅ, buḳhār aur sūjan semāregā. jhulsāne wālī garmī, kāl,patrog aur phaphūṅdī terī fasleṅḳhatm karegī. aisī musībatoṅ ke bāistū tabāh ho jāegā. 23tere ūpar āsmānpītal jaisā saḳht hogā jabki tere nīche

Page 328: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

328 istisnā 28:39

zamīn lohe kī mānind hogī. 24bārishkī jagah rab tere mulk par gard aurret barsāegā jo āsmān se tere mulkpar chhā kar tujhe barbād kar degī.

25jab tū apne dushmanoṅ kā sāmnākare to rab tujhe shikast dilāegā.go tū mil kar un kī taraf baṛhegāto bhī un se bhāg kar chāroṅ tarafmuntashir ho jāegā. duniyā ketamām mamālik meṅ logoṅ keroṅgṭe khaṛe ho jāeṅge jab wuhterī musībateṅ dekheṅge. 26parindeaur janglī jānwar terī lāshoṅ ko khājāeṅge, aur unheṅ bhagāne wālā koīnahīṅ hogā. 27rab tujhe un hī phoṛoṅse māregā jo misriyoṅ ko nikle the.aise jildī amrāz phaileṅge jin kā ilājnahīṅ hai. 28tū pāgalpan kā shikārho jāegā, rab tujhe andhepan aurzahnī abtarī meṅ mubtalā kar degā.29dopahar ke waqt bhī tū andhe kītarah ṭaṭol ṭaṭol kar phiregā. jo kuchhbhī tū kare us meṅ nākām rahegā.roz-ba-roz log tujhe dabāte aur lūṭteraheṅge, aur tujhe bachāne wālā koīnahīṅ hogā.

30terī mangnī kisī aurat se hogīto koī aur ā kar us kī ismatdarīkaregā. tū apne lie ghar banāegālekin us meṅ nahīṅ rahegā. tū apnelie angūr kā bāġh lagāegā lekin uskā phal nahīṅ khāegā. 31tere deḳhtedeḳhte terā bail zabah kiyā jāegā,lekin tū us kā gosht nahīṅ khāegā.terā gadhā tujh se chhīn liyā jāegā

aur wāpas nahīṅ kiyā jāegā. terībheṛ-bakriyāṅ dushman ko dī jāeṅgī,aur unheṅ chhuṛāne wālā koī nahīṅhogā. 32tere beṭe-beṭiyoṅ ko kisīdūsrī qaum ko diyā jāegā, aur tūkuchh nahīṅ kar sakegā. roz-ba-roztū apne bachchoṅ ke intizār meṅ ufaqko taktā rahegā, lekin deḳhte deḳhteterī āṅkheṅ dhundlā jāeṅgī.

33ek ajnabī qaum terī zamīnkī paidāwār aur terī mehnat-o-mashaqqat kī kamāī le jāegī. tujheumr bhar zulm aur dabāo bardāshtkarnā paṛegā.

34jo haulnāk bāteṅ terī āṅkheṅdekheṅgī un se tū pāgal ho jāegā.35rab tujhe taqlīfdih aur lā’ilāj phoṛoṅse māregā jo talwe se le kar chāṅdītak pūre jism par phail kar tereghuṭnoṅ aur ṭāṅgoṅ ko muta’assirkareṅge.

36rab tujhe aur tere muqarrar kiehue bādshāh ko ek aise mulk meṅ lejāegā jis se na tū aur na tere bāpdādāwāqif the. wahāṅ tū dīgar mābūdoṅyānī lakaṛī aur patthar ke butoṅ kīḳhidmat karegā. 37jis jis qaum meṅrab tujhe hāṅk degā wahāṅ tujhedekh kar logoṅ ke roṅgṭe khaṛe hojāeṅge aur wuh terā mazāq uṛāeṅge.tū un ke lie ibratangez misāl hogā.

38tū apne khetoṅ meṅ bahut bījbone ke bāwujūd kam hī fasal kāṭegā,kyūṅki ṭiḍḍe use khā jāeṅge. 39tūangūr ke bāġh lagā kar un par ḳhūb

Page 329: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 28:40 329

mehnat karegā lekin na un ke angūrtoṛegā, na un kī mai piegā, kyūṅkikīṛe unheṅ khā jāeṅge. 40go tere pūremulk meṅ zaitūn ke daraḳht hoṅgeto bhī tū un kā tel istemāl nahīṅ karsakegā, kyūṅki zaitūn ḳharāb ho karzamīn par gir jāeṅge.

41tere beṭe-beṭiyāṅ to hoṅge, lekintū un se mahrūm ho jāegā. kyūṅkiunheṅ giriftār karke kisī ajnabī mulkmeṅ le jāyā jāegā. 42ṭiḍḍiyoṅ ke ġholtere mulk ke tamām daraḳhtoṅ aurfasloṅ par qabzā kar leṅge. 43teredarmiyān rahne wālā pardesī tujh sebaṛh kar taraqqī kartā jāegā jabki tujhpar zawāl ā jāegā. 44us ke pās tujheudhār dene ke lie paise hoṅge jabkitere pās use udhār dene ko kuchhnahīṅ hogā. āḳhir meṅ wuh sar aurtū dum hogā.

45yih tamām lānateṅ tujh par ānpaṛeṅgī. jab tak tū tabāh na hojāe wuh terā tāqqub kartī raheṅgī,kyūṅki tū ne rab apne ḳhudā kī nasunī aur us ke ahkām par amal nakiyā. 46yūṅ yih hameshā tak tereaur terī aulād ke lie ek mojizānā auribratangez ilāhī nishān raheṅgī.

47chūṅki tū ne dilī ḳhushī se uswaqt rab apne ḳhudā kī ḳhidmat nakī jab tere pās sab kuchh thā 48is lietū un dushmanoṅ kī ḳhidmat karegājinheṅ rab tere ḳhilāf bhejegā. tūbhūkā, pyāsā, nangā aur har chīzkā hājatmand hogā, aur rab terī

gardan par lohe kā jūā rakh kar tujhemukammal tabāhī tak le jāegā.

49rab tere ḳhilāf ek qaum khaṛīkaregā jo dūr se balki duniyā kīintihā se ā kar uqāb kī tarah tujhpar jhapaṭṭā māregī. wuh aisīzabān bolegī jis se tū wāqif nahīṅhogā. 50wuh saḳht qaum hogī jona buzurgoṅ kā lihāz karegī aur nabachchoṅ par rahm karegī. 51wuhtere maweshī aur fasleṅ khā jāegī aurtū bhūke mar jāegā. tū halāk hojāegā, kyūṅki tere lie kuchh nahīṅbachegā, na anāj, na mai, na tel,na gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ kebachche. 52dushman tere mulk ketamām shahroṅ kā muhāsarā karegā.āḳhirkār jin ūṅchī aur mazbūt fasīloṅpar tū etimād karegā wuh bhī sab girpaṛeṅgī. dushman us mulk kā koībhī shahr nahīṅ chhoṛegā jo rab terāḳhudā tujhe dene wālā hai.

53jab dushman tere shahroṅ kāmuhāsarā karegā to tū un meṅitnā shadīd bhūkā ho jāegā kiapne bachchoṅ ko khā legā jorab tere ḳhudā ne tujhe die haiṅ.54-55muhāsare ke daurān tum meṅse sab se sharīf aur shāistā ādmī bhīapne bachche ko zabah karke khāegā,kyūṅki us ke pās koī aur ḳhurāknahīṅ hogī. us kī hālat itnī burī hogīki wuh use apne sage bhāī, bīwī yābāqī bachchoṅ ke sāth taqsīm karneke lie tayyār nahīṅ hogā. 56-57tum

Page 330: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

330 istisnā 28:68

meṅ se sab se sharīf aur shāistā auratbhī aisā hī karegī, agarche pahlewuh itnī nāzuk thī ki farsh ko apnetalwe se chhūne kī jur’at nahīṅ kartīthī. muhāsare ke daurān use itnīshadīd bhūk hogī ki jab us ke bachchāpaidā hogā to wuh chhup chhup karuse khāegī. na sirf yih balki wuhpaidāish ke waqt bachche ke sāthḳhārij huī ālā’ish bhī khāegī aur useapne shauhar yā apne bāqī bachchoṅmeṅ bāṅṭne ke lie tayyār nahīṅ hogī.itnī musībat tujh par muhāsare kedaurān āegī.

58ġharz ehtiyāt se sharīat kī untamām bātoṅ kī pairawī kar jo is kitābmeṅ darj haiṅ, aur rab apne ḳhudāke purjalāl aur bārob nām kā ḳhaufmānanā. 59warnā wuh tujh aur terīaulād meṅ saḳht aur lā’ilāj amrāz auraisī dahshatnāk wabāeṅ phailāegā jorokī nahīṅ jā sakeṅgī. 60jin tamāmwabāoṅ se tū misr meṅ dahshat khātāthā wuh ab tere darmiyān phail kartere sāth chimṭī raheṅgī. 61na sirfsharīat kī is kitāb meṅ bayān kīhuī bīmāriyāṅ aur musībateṅ tujhpar āeṅgī balki rab aur bhī tujh parbhejegā, jab tak ki tū halāk na ho jāe.

62agar tū rab apne ḳhudā kī nasune to āḳhirkār tum meṅ se bahutkam bache raheṅge, go tum pahlesitāroṅ jaise beshumār the. 63jis tarahpahle rab ḳhushī se tumheṅ kāmyābīdetā aur tumhārī tādād baṛhātā thā

usī tarah ab wuh tumheṅ barbādaur tabāh karne meṅ ḳhushī mahsūskaregā. tumheṅ zabardastī us mulkse nikālā jāegā jis par tū is waqtdāḳhil ho kar qabzā karne wālā hai.64tab rab tujhe duniyā ke ek sire sele kar dūsre sire tak tamām qaumoṅmeṅ muntashir kar degā. wahāṅ tūdīgar mābūdoṅ kī pūjā karegā, aisedewatāoṅ kī jin se na tū aur na terebāpdādā wāqif the.

65un mamālik meṅ bhī na tū ārām-o-sukūn pāegā, na tere pāoṅ jamjāeṅge. rab hone degā ki terādil thartharātā rahegā, terī āṅkheṅpareshānī ke bāis dhundlā jāeṅgī aurterī jān se ummīd kī har kiran jātīrahegī. 66terī jān har waqt ḳhatremeṅ hogī aur tū din rāt dahshat khātehue marne kī tawaqqo karegā. 67subhuṭh kar tū kahegā, “kāsh shām ho!”aur shām ke waqt, “kāsh subh ho!”kyūṅki jo kuchh tū dekhegā us se teredil ko dahshat gher legī.

68rab tujhe jahāzoṅ meṅ biṭhā karmisr wāpas le jāegā agarche maiṅ nekahā thā ki tū use dubārā kabhī nahīṅdekhegā. wahāṅ pahuṅch kar tumapne dushmanoṅ se bāt karke apneāp ko ġhulām ke taur par bechne kīkoshish karoge, lekin koī bhī tumheṅḳharīdnā nahīṅ chāhegā.”

Page 331: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 29:1 331

moāb meṅ rab ke sāth nayā ahd

29 jab isrāīlī moāb meṅ the torab ne mūsā ko hukm diyā ki

isrāīliyoṅ ke sāth ek aur ahd bāndhe.yih us ahd ke ilāwā thā jo rab horibyānī sīnā par un ke sāth bāndh chukāthā. 2is silsile meṅ mūsā ne tamāmisrāīliyoṅ ko bulā kar kahā, “tum neḳhud dekhā ki rab ne misr ke bādshāhfir’aun, us ke mulāzimoṅ aur pūremulk ke sāth kyā kuchh kiyā. 3tum neapnī āṅkhoṅ se wuh baṛī āzmāisheṅ,ilāhī nishān aur mojize dekhe jin kezarī’e rab ne apnī qudrat kā izhārkiyā.

4magar afsos, āj tak rab ne tumheṅna samajhdār dil atā kiyā, na āṅkheṅjo dekh sakeṅ yā kān jo sun sakeṅ.5registān meṅ maiṅ ne 40 sāl taktumhārī rāhnumāī kī. is daurān natumhāre kapṛe phaṭe aur na tumhārejūte ghise. 6na tumhāre pās roṭī thī,na mai yā mai jaisī koī aur chīz. tobhī rab ne tumhārī zarūriyāt pūrī kīṅtāki tum sīkh lo ki wuhī rab tumhārāḳhudā hai.

7phir ham yahāṅ āe to hasbon kābādshāh sīhon aur basan kā bādshāhoj nikal kar ham se laṛne āe. lekinham ne unheṅ shikast dī. 8un ke mulkpar qabzā karke ham ne use rūbin, jadaur manassī ke ādhe qabīle ko mīrāsmeṅ diyā. 9ab ehtiyāt se is ahd kītamām sharāit pūrī karo tāki tum harbāt meṅ kāmyāb ho.

10is waqt tum sab rab apne ḳhudāke huzūr khaṛe ho, tumhāre qabīloṅke sardār, tumhāre buzurg, nigahbān,mard, 11aurateṅ aur bachche. teredarmiyān rahne wāle pardesī bhīlakkaṛhāroṅ se le kar pānī bharnewāloṅ tak tere sāth yahāṅ hāzir haiṅ.12tū is lie yahāṅ jamā huā hai ki rabapne ḳhudā kā wuh ahd taslīm kare jowuh āj qasam khā kar tere sāth bāndhrahā hai. 13is se wuh āj is kī tasdīqkar rahā hai ki tū us kī qaum aur wuhterā ḳhudā hai yānī wuhī bāt jis kāwādā us ne tujh se aur tere bāpdādāibrāhīm, is’hāq aur yāqūb se kiyā thā.14-15lekin maiṅ yih ahd qasam khākar na sirf tumhāre sāth jo hāzir hobāndh rahā hūṅ balki tumhārī ānewālī nasloṅ ke sāth bhī.

butparastī kī sazā16tum ḳhud jānte ho ki ham misr

meṅ kis tarah zindagī guzārte the.yih bhī tumheṅ yād hai ki hamkis tarah muḳhtalif mamālik meṅse guzarte hue yahāṅ tak pahuṅche.17tum ne un ke nafratangez but dekhejo lakaṛī, patthar, chāṅdī aur sone kethe. 18dhyān do ki yahāṅ maujūd koībhī mard, aurat, kumbā yā qabīlā rabapne ḳhudā se haṭ kar dūsrī qaumoṅke dewatāoṅ kī pūjā na kare. aisā naho ki tumhāre darmiyān koī jaṛ phūṭkar zahrīlā aur kaṛwā phal lāe.

Page 332: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

332 istisnā 30:2

19tum sab ne wuh lānateṅ sunī haiṅjo rab nāfarmānoṅ par bhejegā. tobhī ho saktā hai ki koī apne āp korab kī barkat kā wāris samajh karkahe, “beshak maiṅ apnī ġhalat rāhoṅse haṭne ke lie tayyār nahīṅ hūṅ,lekin koī bāt nahīṅ. maiṅ mahfūzrahūṅgā.” ḳhabardār, aisī harkat sewuh na sirf apne ūpar balki pūremulk par tabāhī lāegā.a 20rab kabhībhī use muāf karne par āmādā nahīṅhogā balki wuh use apne ġhazab aurġhairat kā nishānā banāegā. is kitābmeṅ darj tamām lānateṅ us par āeṅgī,aur rab duniyā se us kā nām-o-nishānmiṭā degā. 21wuh use pūrī jamā’at sealag karke us par ahd kī wuh tamāmlānateṅ lāegā jo sharīat kī is kitābmeṅ likhī huī haiṅ.

22mustaqbil meṅ tumhārī aulādaur dūrdarāz mamālik se āne wālemusāfir un musībatoṅ aur amrāz kāasar dekheṅge jin se rab ne mulkko tabāh kiyā hogā. 23chāroṅ tarafzamīn jhulsī huī aur gandhak aurnamak se ḍhakī huī nazar āegī. bījus meṅ boyā nahīṅ jāegā, kyūṅkiḳhudrau paudoṅ tak kuchh nahīṅugegā. tumhārā mulk sadūm, amūrā,admā aur zaboīm kī mānind hogā jinko rab ne apne ġhazab meṅ tabāhkiyā. 24tamām qaumeṅ pūchheṅgī,‘rab ne is mulk ke sāth aisā kyūṅ

kiyā? us ke saḳht ġhazab kīkyā wajah thī?’ 25unheṅ jawābmilegā, ‘wajah yih hai ki is mulk kebāshindoṅ ne rab apne bāpdādā keḳhudā kā ahd toṛ diyā jo us ne unheṅmisr se nikālte waqt un se bāndhāthā. 26unhoṅ ne jā kar dīgar mābūdoṅkī ḳhidmat kī aur unheṅ sijdā kiyā jinse wuh pahle wāqif nahīṅ the aur jorab ne unheṅ nahīṅ die the. 27isī lie uskā ġhazab is mulk par nāzil huā aurwuh us par wuh tamām lānateṅ lāyājin kā zikr is kitāb meṅ hai. 28wuhitnā ġhusse huā ki us ne unheṅ jaṛ seukhāṛ kar ek ajnabī mulk meṅ phaiṅkdiyā jahāṅ wuh āj tak ābād haiṅ.’

29bahut kuchh poshīdā hai, aur sirfrab hamārā ḳhudā us kā ilm rakhtāhai. lekin us ne ham par apnī sharīatkā inkishāf kar diyā hai. lāzimhai ki ham aur hamārī aulād us kefarmāṅbardār raheṅ.

taubā ke musbat natīje

30 maiṅ ne tujhe batāyā hai kitere lie kyā kuchh barkat

kā aur kyā kuchh lānat kā bāishai. jab rab terā ḳhudā tujheterī ġhalat harkatoṅ ke sabab semuḳhtalif qaumoṅ meṅ muntashirkar degā to tū merī bāteṅ mān jāegā.2tab tū aur terī aulād rab apne ḳhudāke pās wāpas āeṅge aur pūre dil-o-

alafzī tarjumā: serāb zamīn ḳhushk zamīnke sāth tabāh ho jāegī.

Page 333: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 30:3 333

jān se us kī sun kar un tamām ahkāmpar amal kareṅge jo maiṅ āj tujhede rahā hūṅ. 3phir rab terā ḳhudātujhe bahāl karegā aur tujh par rahmkarke tujhe un tamām qaumoṅ senikāl kar jamā karegā jin meṅ us netujhe muntashir kar diyā thā. 4hāṅ,rab terā ḳhudā tujhe har jagah sejamā karke wāpas lāegā, chāhe tūsab se dūr mulk meṅ kyūṅ na paṛāho. 5wuh tujhe tere bāpdādā kemulk meṅ lāegā, aur tū us par qabzākaregā. phir wuh tujhe tere bāpdādāse zyādā kāmyābī baḳhshegā, aur terītādād zyādā baṛhāegā.

6ḳhatnā rab kī qaum kā zāhirīnishān hai. lekin us waqt rab terāḳhudā tere aur terī aulād kā bātinīḳhatnā karegā tāki tū use pūre dil-o-jān se pyār kare aur jītā rahe. 7jolānateṅ rab terā ḳhudā tujh par lāyāthā unheṅ wuh ab tere dushmanoṅpar āne degā, un par jo tujh se nafratrakhte aur tujhe īzā pahuṅchāte haiṅ.8kyūṅki tū dubārā rab kī sunegāaur us ke tamām ahkām kī pairawīkaregā jo maiṅ tujhe āj de rahā hūṅ.9jo kuchh bhī tū karegā us meṅ rabtujhe baṛī kāmyābī baḳhshegā, aurtujhe kasrat kī aulād, maweshī aurfasleṅ hāsil hoṅgī. kyūṅki jis tarahwuh tere bāpdādā ko kāmyābī denemeṅ ḳhushī mahsūs kartā thā usītarah wuh tujhe bhī kāmyābī denemeṅ ḳhushī mahsūs karegā.

10shart sirf yih hai ki tū rab apneḳhudā kī sune, sharīat meṅ darj us keahkām par amal kare aur pūre dil-o-jān se us kī taraf rujū lāe.

11jo ahkām maiṅ āj tujhe de rahāhūṅ na wuh had se zyādā mushkilhaiṅ, na terī pahuṅch se bāhar. 12wuhāsmān par nahīṅ haiṅ ki tū kahe,‘kaun āsmān par chaṛh kar hamārelie yih ahkām nīche le āe tāki hamunheṅ sun sakeṅ aur un par amalkar sakeṅ?’ 13wuh samundar ke pārbhī nahīṅ haiṅ ki tū kahe, ‘kaunsamundar ko pār karke hamāre lieyih ahkām lāegā tāki ham unheṅ sunsakeṅ aur un par amal kar sakeṅ?’14kyūṅki yih kalām tere nihāyat qarībbalki tere muṅh aur dil meṅ maujūdhai. chunāṅche us par amal karnemeṅ koī bhī rukāwaṭ nahīṅ hai.

zindagī yā maut kā chunāo15dekh, āj maiṅ tujhe do rāste pesh

kartā hūṅ. ek zindagī aur ḳhushhālīkī taraf le jātā hai jabki dūsrā mautaur halākat kī taraf. 16āj maiṅ tujhehukm detā hūṅ ki rab apne ḳhudā kopyār kar, us kī rāhoṅ par chal aur uske ahkām ke tābe rah. phir tū zindārah kar taraqqī karegā, aur rab terāḳhudā tujhe us mulk meṅ barkat degājis meṅ tū dāḳhil hone wālā hai.

17lekin agar terā dil is rāste sehaṭ kar nāfarmānī kare to barkat kītawaqqo na kar. agar tū āzmāish meṅ

Page 334: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

334 istisnā 31:10-11

paṛ kar dīgar mābūdoṅ ko sijdā aurun kī ḳhidmat kare 18to tum zarūrtabāh ho jāoge. āj maiṅ elān kartāhūṅ ki is sūrat meṅ tum zyādā der takus mulk meṅ ābād nahīṅ rahoge jismeṅ tū daryā-e-yardan ko pār karkedāḳhil hogā tāki us par qabzā kare.

19āj āsmān aur zamīn tumhāreḳhilāf mere gawāh haiṅ ki maiṅ netumheṅ zindagī aur barkatoṅ kā rāstāaur maut aur lānatoṅ kā rāstā peshkiyā hai. ab zindagī kā rāstā iḳhtiyārkar tāki tū aur terī aulād zindā rahe.20rab apne ḳhudā ko pyār kar, us kīsun aur us se lipṭā rah. kyūṅki wuhīterī zindagī hai aur wuhī karegā kitū der tak us mulk meṅ jītā rahegājis kā wādā us ne qasam khā kar terebāpdādā ibrāhīm, is’hāq aur yāqūb sekiyā thā.”

yashūa ko mūsā kī jagah

muqarrar kiyā jātā hai

31 mūsā ne jā kar tamāmisrāīliyoṅ se mazīd kahā,

2“ab maiṅ 120 sāl kā ho chukāhūṅ. merā chalnā phirnā mushkilho gayā hai. aur waise bhī rabne mujhe batāyā hai, ‘tū daryā-e-yardan ko pār nahīṅ karegā.’ 3rabterā ḳhudā ḳhud tere āge āge jā karyardan ko pār karegā. wuhī tere āgeāge in qaumoṅ ko tabāh karegā tākitū un ke mulk par qabzā kar sake.daryā ko pār karte waqt yashūa tere

āge chalegā jis tarah rab ne farmāyāhai. 4rab wahāṅ ke logoṅ ko bilkulusī tarah tabāh karegā jis tarah wuhamoriyoṅ ko un ke bādshāhoṅ sīhonaur oj samet tabāh kar chukā hai.5rab tumheṅ un par ġhālib āne degā.us waqt tumheṅ un ke sāth waisāsulūk karnā hai jaisā maiṅ ne tumheṅbatāyā hai. 6mazbūt aur diler ho. unse ḳhauf na khāo, kyūṅki rab terāḳhudā tere sāth chaltā hai. wuh tujhekabhī nahīṅ chhoṛegā, tujhe kabhītark nahīṅ karegā.”

7is ke bād mūsā ne tamāmisrāīliyoṅ ke sāmne yashūa ko bulāyāaur us se kahā, “mazbūt aur diler ho,kyūṅki tū is qaum ko us mulk meṅle jāegā jis kā wādā rab ne qasamkhā kar un ke bāpdādā se kiyā thā.lāzim hai ki tū hī use taqsīm karkehar qabīle ko us kā maurūsī ilāqāde. 8rab ḳhud tere āge āge chaltehue tere sāth hogā. wuh tujhe kabhīnahīṅ chhoṛegā, tujhe kabhī nahīṅtark karegā. ḳhauf na khānā, naghabrānā.”

har sāt sāl ke bād sharīat kī tilāwat9mūsā ne yih pūrī sharīat likh kar

isrāīl ke tamām buzurgoṅ aur lāwīke qabīle ke un imāmoṅ ke sapurdkī jo safar karte waqt ahd kā sandūquṭhā kar le chalte the. us ne unse kahā, 10-11“har sāt sāl ke bād issharīat kī tilāwat karnā, yānī bahālī

Page 335: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 31:12 335

ke sāl meṅ jab tamām qarz mansūḳhkie jāte haiṅ. tilāwat us waqt karnāhai jab isrāīlī jhoṅpṛiyoṅ kī īd ke lierab apne ḳhudā ke sāmne us jagahhāzir hoṅge jo wuh maqdis ke liechunegā. 12tamām logoṅ ko mardoṅ,auratoṅ, bachchoṅ aur pardesiyoṅsamet wahāṅ jamā karnā tāki wuhsun kar sīkheṅ, rab tumhāre ḳhudā kāḳhauf māneṅ aur ehtiyāt se is sharīatkī bātoṅ par amal kareṅ. 13lāzimhai ki un kī aulād jo is sharīat senāwāqif hai ise sune aur sīkhe tākiumr bhar us mulk meṅ rab tumhāreḳhudā kā ḳhauf māne jis par tumdaryā-e-yardan ko pār karke qabzākaroge.”

rab mūsā ko āḳhirī hidāyāt detā hai14rab ne mūsā se kahā, “ab terī

maut qarīb hai. yashūa ko bulā karus ke sāth mulāqāt ke ḳhaime meṅhāzir ho jā. wahāṅ maiṅ use us kīzimmādāriyāṅ sauṅpūṅgā.”

mūsā aur yashūa ā kar ḳhaime meṅhāzir hue 15to rab ḳhaime ke darwāzepar bādal ke satūn meṅ zāhir huā.16us ne mūsā se kahā, “tū jald hī markar apne bāpdādā se jā milegā. lekinyih qaum mulk meṅ dāḳhil hone parzinā karke us ke ajnabī dewatāoṅ kīpairawī karne lag jāegī. wuh mujhetark karke wuh ahd toṛ degī jo maiṅne un ke sāth bāndhā hai. 17phir merāġhazab un par bhaṛkegā. maiṅ unheṅ

chhoṛ kar apnā chehrā un se chhupālūṅgā. tab unheṅ kachchā chabāliyā jāegā aur bahut sārī haibatnākmusībateṅ un par āeṅgī. us waqtwuh kaheṅge, ‘kyā yih musībateṅ iswajah se ham par nahīṅ āīṅ ki rabhamāre sāth nahīṅ hai?’ 18aur aisāhī hogā. maiṅ zarūr apnā chehrā unse chhupāe rakhūṅgā, kyūṅki dīgarmābūdoṅ ke pīchhe chalne se unhoṅne ek nihāyat sharīr qadam uṭhāyāhogā.

19ab zail kā gīt likh kar isrāīliyoṅko yūṅ sikhāo ki wuh zabānī yādrahe aur mere lie un ke ḳhilāf gawāhīdiyā kare. 20kyūṅki maiṅ unheṅus mulk meṅ le jā rahā hūṅ jis kāwādā maiṅ ne qasam khā kar unke bāpdādā se kiyā thā, us mulkmeṅ jis meṅ dūdh aur shahd kīkasrat hai. wahāṅ itnī ḳhurāk hogīki un kī bhūk jātī rahegī aur wuhmoṭe ho jāeṅge. lekin phir wuhdīgar mābūdoṅ ke pīchhe lag jāeṅgeaur un kī ḳhidmat kareṅge. wuhmujhe radd kareṅge aur merā ahdtoṛeṅge. 21natīje meṅ un par bahutsārī haibatnāk musībateṅ āeṅgī. phiryih gīt jo un kī aulād ko yād rahegāun ke ḳhilāf gawāhī degā. kyūṅki gomaiṅ unheṅ us mulk meṅ le jā rahāhūṅ jis kā wādā maiṅ ne qasam khākar un se kiyā thā to bhī maiṅ jāntāhūṅ ki wuh ab tak kis tarah kī sochrakhte haiṅ.”

Page 336: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

336 istisnā 32:7

22mūsā ne usī din yih gīt likh karisrāīliyoṅ ko sikhāyā.

23phir rab ne yashūa bin nūn sekahā, “mazbūt aur diler ho, kyūṅki tūisrāīliyoṅ ko us mulk meṅ le jāegā jiskā wādā maiṅ ne qasam khā kar un sekiyā thā. maiṅ ḳhud tere sāth hūṅgā.”

24jab mūsā ne pūrī sharīat ko kitābmeṅ likh liyā 25to wuh un lāwiyoṅse muḳhātib huā jo safar karte waqtahd kā sandūq uṭhā kar le jāte the.26“sharīat kī yih kitāb le kar rabapne ḳhudā ke ahd ke sandūq ke pāsrakhnā. wahāṅ wuh paṛī rahe aurtere ḳhilāf gawāhī detī rahe. 27kyūṅkimaiṅ ḳhūb jāntā hūṅ ki tū kitnāsarkash aur haṭdharm hai. merīmaujūdagī meṅ bhī tum ne kitnī dafārab se sarkashī kī. to phir mere marneke bād tum kyā kuchh nahīṅ karoge!28ab mere sāmne apne qabīloṅ ketamām buzurgoṅ aur nigahbānoṅ kojamā karo tāki wuh ḳhud merī yihbāteṅ suneṅ aur āsmān aur zamīnun ke ḳhilāf gawāh hoṅ. 29kyūṅkimujhe mālūm hai ki merī maut ke bādtum zarūr bigaṛ jāoge aur us rāste sehaṭ jāoge jis par chalne kī maiṅ netumheṅ tākīd kī hai. āḳhirkār tumpar musībat āegī, kyūṅki tum wuhkuchh karoge jo rab ko burā lagtāhai, tum apne hāthoṅ ke kām se useġhussā dilāoge.”

30phir mūsā ne isrāīl kī tamāmjamā’at ke sāmne yih gīt shurū se lekar āḳhir tak pesh kiyā,

mūsā kā gīt

32 ai āsmān, merī bāt par ġhaurkar! ai zamīn, merā gīt sun!

2merī tālīm būṅdā-bāṅdī jaisī ho,merī bāt shabnam kī tarah zamīn parpaṛ jāe. wuh bārish kī mānind ho johariyālī par barastī hai.

3maiṅ rab kā nām pukārūṅga.hamāre ḳhudā kī azmat kī tamjīdkaro!

4wuh chaṭān hai, aur us kā kāmkāmil hai. us kī tamām rāheṅ rāsthaiṅ. wuh wafādār ḳhudā hai jismeṅ fareb nahīṅ hai balki jo ādil aurdiyānatdār hai.

5ek ṭeṛhī aur kajrau nasl ne us kāgunāh kiyā. wuh us ke farzand nahīṅbalki dāġh sābit hue haiṅ.

6ai merī ahmaq aur besamajhqaum, kyā tumhārā rab se aisārawayyā ṭhīk hai? wuh to tumhārābāp aur ḳhāliq hai, jis ne tumheṅbanāyā aur qāim kiyā.

7qadīm zamāne ko yād karnā, māzīkī nasloṅ par tawajjuh denā. apnebāp se pūchhnā to wuh tujhe batādegā, apne buzurgoṅ se patā karnā towuh tujhe ittilā deṅge.

Page 337: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 32:8 337

8jab allāh t’ālā ne har qaum kous kā apnā apnā maurūsī ilāqā dekar tamām insānoṅ ko muḳhtalifgurohoṅ meṅ alag kar diyā to us neqaumoṅ kī sarhaddeṅ isrāīliyoṅ kītādād ke mutābiq muqarrar kīṅ.

9kyūṅki rab kā hissā us kī qaumhai, yāqūb ko us ne mīrās meṅ pāyāhai.

10yih qaum use registān meṅ milgaī, wīrān-o-sunsān bayābān meṅjahāṅ chāroṅ taraf haulnāk āwāzeṅgūṅjtī thīṅ. us ne use gher kar us kīdekh-bhāl kī, use apnī āṅkh kī putlīkī tarah bachāe rakhā.

11jab uqāb apne bachchoṅ ko uṛnāsikhātā hai to wuh unheṅ ghoṅsle senikāl kar un ke sāth uṛtā hai. agarwuh gir bhī jāeṅ to wuh hāzir hai aurun ke nīche apne paroṅ ko phailā karunheṅ zamīn se ṭakrā jāne se bachātāhai. rab kā isrāīl ke sāth yihī sulūkthā.

12rab ne akele hī us kī rāhnumāī kī.kisī ajnabī mābūd ne shirkat na kī.

13us ne use rath par sawār karkemulk kī bulandiyoṅ par se guzarnediyā aur use khet kā phal khilā karuse chaṭān se shahd aur saḳht pattharse zaitūn kā tel muhayyā kiyā.a

14us ne use gāy kī lassī aurbheṛ-bakrī kā dūdh chīdā bheṛ ke

bachchoṅ samet khilāyā aur usebasan ke moṭe-tāze menḍhe, bakreaur behtarīn anāj atā kiyā. us waqttū ālā angūr kī umdā mai se lutfandozhuā.

15lekin jab yasūrūnb moṭā ho gayāto wuh dolattiyāṅ jhāṛne lagā. jabwuh halaq tak bhar kar tanomand aurfarbā huā to us ne apne ḳhudā aurḳhāliq ko radd kiyā, us ne apnī najātkī chaṭān ko haqīr jānā.

16apne ajnabī mābūdoṅ se unhoṅne us kī ġhairat ko josh dilāyā, apneghinaune butoṅ se use ġhussā dilāyā.

17unhoṅ ne badrūhoṅ koqurbāniyāṅ pesh kīṅ jo ḳhudā nahīṅhaiṅ, aise mābūdoṅ ko jin se na wuhaur na un ke bāpdādā wāqif the,kyūṅki wuh thoṛī der pahle wujūdmeṅ āe the.

18tū wuh chaṭān bhūl gayā jis netujhe paidā kiyā, wuhī ḳhudā jis netujhe janm diyā.

19rab ne yih dekh kar unheṅ raddkiyā, kyūṅki wuh apne beṭe-beṭiyoṅse nārāz thā.

20us ne kahā, “maiṅ apnā chehrā unse chhupā lūṅgā. phir patā lagegā kimere baġhair un kā kyā anjām hotāhai. kyūṅki wuh sarāsar bigaṛ gaehaiṅ, un meṅ wafādārī pāī nahīṅ jātī.

alafzī tarjumā: chūsne diyā. byānī isrāīl.

Page 338: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

338 istisnā 32:35

21unhoṅ ne us kī parastish se joḳhudā nahīṅ hai merī ġhairat ko joshdilāyā, apne bekār butoṅ se mujheġhussā dilāyā hai. chunāṅche maiṅḳhud hī unheṅ ġhairat dilāūṅgā, ekaisī qaum ke zarī’e jo haqīqat meṅqaum nahīṅ hai. ek nādān qaum kezarī’e maiṅ unheṅ ġhussā dilāūṅgā.

22kyūṅki mere ġhusse se āg bhaṛakuṭhī hai jo pātāl kī tah tak pahuṅchegīaur zamīn aur us kī paidāwār haṛapkarke pahāṛoṅ kī bunyādoṅ ko jalādegī.

23maiṅ un par musībat par musībatāne dūṅgā aur apne tamām tīr un parchalāūṅgā.

24bhūk ke māre un kī tāqat jātīrahegī, aur wuh buḳhār aur wabāīamrāz kā luqmā baneṅge. maiṅ un keḳhilāf phāṛne wāle jānwar aur zahrīlesāṅp bhej dūṅgā.

25bāhar talwār unheṅ beaulād kardegī, aur ghar meṅ dahshat phailjāegī. shīrḳhwār bachche, naujawānlaṛke-laṛkiyāṅ aur buzurg sab us kīgirift meṅ ā jāeṅge.

26mujhe kahnā chāhie thā ki maiṅunheṅ chaknāchūr karke insānoṅmeṅ se un kā nām-o-nishān miṭādūṅgā.

27lekin andeshā thā ki dushmanġhalat matlab nikāl kar kahe, ‘ham

ḳhud un par ġhālib āe, is meṅ rab kāhāth nahīṅ hai’.”

28kyūṅki yih qaum besamajh aurhikmat se ḳhālī hai.

29kāsh wuh dānishmand ho kar yihbāt samjheṅ! kāsh wuh jān leṅ ki unkā kyā anjām hai.

30kyūṅki dushman kā ek ādmī kistarah hazār isrāīliyoṅ kā tāqqub karsaktā hai? us ke do mard kis tarah dashazār isrāīliyoṅ ko bhagā sakte haiṅ?wajah sirf yih hai ki un kī chaṭān neunheṅ dushman ke hāth bech diyā.rab ne ḳhud unheṅ dushman ke qabzemeṅ kar diyā.

31hamāre dushman ḳhud māntehaiṅ ki isrāīl kī chaṭān hamārī chaṭānjaisī nahīṅ hai.

32un kī bel to sadūm kī bel auramūrā ke bāġh se hai, un ke angūrzahrīle aur un ke guchchhe kaṛwehaiṅ.

33un kī mai sāṅpoṅ kā mohlak zahrhai.

34rab farmātā hai, “kyā maiṅ ne inbātoṅ par muhr lagā kar unheṅ apneḳhazāne meṅ mahfūz nahīṅ rakhā?

35intiqām lenā merā hī kām hai,maiṅ hī badlā lūṅgā. ek waqt āegāki un kā pāoṅ phislegā. kyūṅki un kītabāhī kā din qarīb hai, un kā anjāmjald hī āne wālā hai.”

Page 339: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 32:36 339

36yaqīnan rab apnī qaum kā insāfkaregā. wuh apne ḳhādimoṅ par tarskhāegā jab dekhegā ki un kī tāqat jātīrahī hai aur koī nahīṅ bachā.

37us waqt wuh pūchhegā, “ab un kedewatā kahāṅ haiṅ, wuh chaṭān jis kīpanāh unhoṅ ne lī?

38wuh dewatā kahāṅ haiṅ jinhoṅne un ke behtarīn jānwar khāe aurun kī mai kī nazareṅ pī līṅ. wuhtumhārī madad ke lie uṭheṅ aurtumheṅ panāh deṅ.

39ab jān lo ki maiṅ aur sirf maiṅḳhudā hūṅ. mere siwā koī aur ḳhudānahīṅ hai. maiṅ hī halāk kartā aurmaiṅ hī zindā kar detā hūṅ. maiṅ hīzaḳhmī kartā aur maiṅ hī shifā detāhūṅ. koī mere hāth se nahīṅ bachāsaktā.

40maiṅ apnā hāth āsmān kī tarafuṭhā kar elān kartā hūṅ ki merī abadīhayāt kī qasam,

41jab maiṅ apnī chamaktī huītalwār ko tez karke adālat ke lie pakaṛlūṅgā to apne muḳhālifoṅ se intiqāmaur apne nafrat karne wāloṅ se badlālūṅgā.

42mere tīr ḳhūn pī pī kar nashemeṅ dhut ho jāeṅge, merī talwārmaqtūloṅ aur qaidiyoṅ ke ḳhūn aurdushman ke sardāroṅ ke saroṅ se serho jāegī.”

43ai dīgar qaumo, us kī ummat kesāth ḳhushī manāo! kyūṅki wuhapne ḳhādimoṅ ke ḳhūn kā intiqāmlegā. wuh apne muḳhālifoṅ se badlāle kar apne mulk aur qaum kā kaffārādegā.

44mūsā aur yashūa bin nūn ne ākar isrāīliyoṅ ko yih pūrā gīt sunāyā.45-46phir mūsā ne un se kahā, “ājmaiṅ ne tumheṅ in tamām bātoṅ seāgāh kiyā hai. lāzim hai ki wuhtumhāre diloṅ meṅ baiṭh jāeṅ. apnīaulād ko bhī hukm do ki ehtiyāt se issharīat kī tamām bātoṅ par amal kare.47yih ḳhālī bāteṅ nahīṅ balki tumhārīzindagī kā sarchashmā haiṅ. in kemutābiq chalne ke bāis tum der takus mulk meṅ jīte rahoge jis par tumdaryā-e-yardan ko pār karke qabzākarne wāle ho.”

mūsā kā nabū pahāṛ par intiqāl48usī din rab ne mūsā se kahā,

49“pahāṛī silsile abārīm ke pahāṛ nabūpar chaṛh jā jo yarīhū ke sāmne lekinyardan ke mashriqī kināre par yānīmoāb ke mulk meṅ hai. wahāṅ sekan’ān par nazar ḍāl, us mulk parjo maiṅ isrāīliyoṅ ko de rahā hūṅ.50is ke bād tū wahāṅ mar kar apnebāpdādā se jā milegā, bilkul usī tarahjis tarah terā bhāī hārūn hor pahāṛpar mar kar apne bāpdādā se jā milāhai. 51kyūṅki tum donoṅ isrāīliyoṅ

Page 340: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

340 istisnā 33:11

ke rū-ba-rū bewafā hue. jab tumdasht-e-sīn meṅ qādis ke qarīb theaur marībā ke chashme par isrāīliyoṅke sāmne khaṛe the to tum ne merīquddūsiyat qāim na rakhī. 52is sababse tū wuh mulk sirf dūr se dekhegājo maiṅ isrāīliyoṅ ko de rahā hūṅ. tūḳhud us meṅ dāḳhil nahīṅ hogā.”

mūsā qabīloṅ ko barkat detā hai

33 marne se peshtar mard-e-ḳhudā mūsā ne isrāīliyoṅ ko

barkat de kar 2kahā,“rab sīnā se āyā, saīra se us kā nūr

un par tulū huā. wuh koh-e-fārānse raushnī phailā kar ribbot-qādis seāyā, wuh apne junūbī ilāqe se rawānāho kar un kī ḳhātir pahāṛī ḍhalānoṅke pās āyā.

3yaqīnan wuh qaumoṅ semuhabbat kartā hai, tamāmmuqaddasīn tere hāth meṅ haiṅ. wuhtere pāoṅ ke sāmne jhuk kar tujh sehidāyat pāte haiṅ.

4mūsā ne hameṅ sharīat dī yānīwuh chīz jo yāqūb kī jamā’at kīmaurūsī milkiyat hai.

5isrāīl ke rāhnumā apne qabīloṅsamet jamā hue to rab yasūrūnb kābādshāh ban gayā.

6rūbin kī barkat:

rūbin mar na jāe balki jītā rahe.wuh tādād meṅ baṛh jāe.

7yahūdāh kī barkat:

ai rab, yahūdāh kī pukār sun karuse dubārā us kī qaum meṅ shāmilkar. us ke hāth us ke lie laṛeṅ.muḳhālifoṅ kā sāmnā karte waqt uskī madad kar.

8lāwī kī barkat:

terī marzī mālūm karne ke qur’ebanām ūrīm aur tummīm terewafādār ḳhādim lāwī ke pās hotehaiṅ. tū ne use massā meṅ āzmāyāaur marībā meṅ us se laṛā. 9us neterā kalām saṅbhāl kar terā ahd qāimrakhā, yahāṅ tak ki us ne na apnemāṅ-bāp kā, na apne sage bhāiyoṅyā bachchoṅ kā lihāz kiyā.

10wuh yāqūb ko terī hidāyāt aurisrāīl ko terī sharīat sikhā kar teresāmne baḳhūr aur terī qurbāngāhpar bhasm hone wālī qurbāniyāṅchaṛhātā hai.

11ai rab, us kī tāqat ko baṛhā karus ke hāthoṅ kā kām pasand kar. uske muḳhālifoṅ kī kamr toṛ aur us senafrat rakhne wāloṅ ko aisā mār kiāindā kabhī na uṭheṅ.

aadom. bisrāīl.

Page 341: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 33:12 341

12binyamīn kī barkat:

binyamīn rab ko pyārā hai. wuhsalāmatī se us ke pās rahtā hai,kyūṅki rab din rāt use panāh detā hai.binyamīn us kī pahāṛī ḍhalānoṅ kedarmiyān mahfūz rahtā hai.

13yūsuf kī barkat:

rab us kī zamīn ko barkat de.āsmān se qīmtī os ṭapke aur zamīn kenīche se chashme phūṭ nikleṅ.

14yūsuf ko sūraj kī behtarīnpaidāwār aur har mahīne kālazīztarīn phal hāsil ho.

15use qadīm pahāṛoṅ aur abadīwādiyoṅ kī behtarīn chīzoṅ senawāzā jāe.

16zamīn ke tamām zaḳhīre us kelie khul jāeṅ. wuh us ko pasand hojo jaltī huī jhāṛī meṅ sukūnat kartāthā. yih tamām barkateṅ yūsuf kesar par ṭhahreṅ, us ke sar par jo apnebhāiyoṅ meṅ shahzādā hai.

17yūsuf sānḍ ke pahlauṭhe jaisāazīm hai, aur us ke sīṅg janglī bail kesīṅg haiṅ jin se wuh duniyā kī intihātak sab qaumoṅ ko māregā. ifrāīm kebeshumār afrād aise hī haiṅ, manassīke hazāroṅ afrād aise hī haiṅ.

18zabūlūn aur ishkār kī barkat:

ai zabūlūn, ghar se nikalte waqtḳhushī manā. ai ishkār, apneḳhaimoṅ meṅ rahte hue ḳhush ho.

19wuh dīgar qaumoṅ ko apnepahāṛ par āne kī dāwat deṅge aurwahāṅ rāstī kī qurbāniyāṅ peshkareṅge. wuh samundar kī kasrataur samundar kī ret meṅ chhupe hueḳhazānoṅ ko jazb kar leṅge.

20jad kī barkat:

mubārak hai wuh jo jad kā ilāqāwasī kar de. jad sherbabar kī tarahdabak kar kisī kā bāzū yā sar phāṛḍālne ke lie tayyār rahtā hai.

21us ne apne lie sab se achchhīzamīn chun lī, rāhnumā kā hissā usīke lie mahfūz rakhā gayā. jab qaumke rāhnumā jamā hue to us ne rab kīrāst marzī pūrī kī aur isrāīl ke bāremeṅ us ke faisle amal meṅ lāyā.

22dān kī barkat:

dān sherbabar kā bachchā hai jobasan se nikal kar chhalāṅg lagātāhai.

23naftālī kī barkat:

naftālī rab kī manzūrī se ser hai, useus kī pūrī barkat hāsil hai. wuh galīlkī jhīl aur us ke junūb kā ilāqā mīrāsmeṅ pāegā.

24āshar kī barkat:

āshar beṭoṅ meṅ sab se mubārakhai. wuh apne bhāiyoṅ ko pasand ho.us ke pās zaitūn kā itnā tel ho ki wuhapne pāoṅ us meṅ ḍubo sake.

Page 342: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

342 istisnā 34:11

25tere shahroṅ ke darwāzoṅ kekunḍe lohe aur pītal ke hoṅ, terī tāqatumr bhar qāim rahe.

26yasūrūn ke ḳhudā kī mānind koīnahīṅ hai, jo āsmān par sawār ho kar,hāṅ apne jalāl meṅ bādaloṅ par baiṭhkar terī madad karne ke lie ātā hai.

27azlī ḳhudā terī panāhgāh hai, wuhapne azlī bāzū tere nīche phailāerakhtā hai. wuh dushman ko teresāmne se bhagā kar use halāk karneko kahtā hai.

28chunāṅche isrāīl salāmatī sezindagī guzāregā, yāqūb kā chashmāalag aur mahfūz rahegā. us kī zamīnanāj aur angūr kī kasrat paidā karegī,aur us ke ūpar āsmān zamīn par ospaṛne degā.

29ai isrāīl, tū kitnā mubārak hai.kaun terī mānind hai, jise rab nebachāyā hai. wuh terī madad kīḍhāl aur terī shān kī talwār hai.tere dushman shikast khā kar terīḳhushāmad kareṅge, aur tū un kīkamreṅ pāoṅ tale kuchlegā.”

mūsā kī wafāt

34 yih barkat de kar mūsā moābkā maidānī ilāqā chhoṛ kar

yarīhū ke muqābil nabū pahāṛ parchaṛh gayā. nabū pisgā ke pahāṛīsilsile kī ek choṭī thā. wahāṅ se rab neuse wuh pūrā mulk dikhāyā jo wuhisrāīl ko dene wālā thā yānī jiliād ke

ilāqe se le kar dān ke ilāqe tak, 2naftālīkā pūrā ilāqā, ifrāīm aur manassī kāilāqā, yahūdāh kā ilāqā bahīrā-e-rūmtak, 3junūb meṅ dasht-e-najab aurkhajūr ke shahr yarīhū kī wādī se lekar zuġhar tak. 4rab ne us se kahā,“yih wuh mulk hai jis kā wādā maiṅne qasam khā kar ibrāhīm, is’hāq auryāqūb se kiyā. maiṅ ne un se kahāthā ki un kī aulād ko yih mulk milegā.tū us meṅ dāḳhil nahīṅ hogā, lekinmaiṅ tujhe yahāṅ le āyā hūṅ tāki tūuse apnī āṅkhoṅ se dekh sake.”

5is ke bād rab kā ḳhādim mūsāwahīṅ moāb ke mulk meṅ faut huā,bilkul usī tarah jis tarah rab ne kahāthā. 6rab ne use bait-faġhūr kī kisīwādī meṅ dafn kiyā, lekin āj tak kisīko bhī mālūm nahīṅ ki us kī qabrkahāṅ hai.

7apnī wafāt ke waqt mūsā 120 sālkā thā. āḳhir tak na us kī āṅkheṅdhundlāīṅ, na us kī tāqat kam huī.8isrāīliyoṅ ne moāb ke maidānī ilāqemeṅ 30 din tak us kā mātam kiyā.

9phir yashūa bin nūn mūsā kī jagahkhaṛā huā. wuh hikmat kī rūh semāmūr thā, kyūṅki mūsā ne apnehāth us par rakh die the. isrāīliyoṅne us kī sunī aur wuh kuchh kiyā jorab ne unheṅ mūsā kī mārifat batāyāthā.

10is ke bād isrāīl meṅ mūsā jaisānabī kabhī na uṭhā jis se rab rū-ba-rū bāt kartā thā. 11kisī aur nabī ne

Page 343: Tauret · 2020. 2. 5. · tauret, tārīḳhī sahāif, h i kmat aur zabūr ke sahāif, aur anb iyā ke sahāif par m usht am ilhai. nayāahadnā māinjīl-e- muqaddas kāpā k kalā

istisnā 34:12 343

aise ilāhī nishān aur mojize nahīṅkie jaise mūsā ne fir’aun bādshāh,us ke mulāzimoṅ aur pūre mulk kesāmne kie jab rab ne use misr bhejā.

12kisī aur nabī ne is qism kā baṛāiḳhtiyār na dikhāyā, na aise azīmaur haibatnāk kām kie jaise mūsā neisrāīliyoṅ ke sāmne kie.