juz 2 (question and answers) - darul arqam - … par janwaroo ki maujoodgee, hawao ki gardish me,...

15
www.livequraneverymoment.org 2017 JUZ 2 (Question And Answers)

Upload: lecong

Post on 24-Apr-2018

303 views

Category:

Documents


12 download

TRANSCRIPT

Page 1: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

www.livequraneverymoment.org

2017

JUZ 2 (Question And Answers)

Page 2: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 2

Sayqul Parah 2.-Surah Al Baqarah Ayath 142 – 176 Questions & Answers-Part 1 -(Till Ruba- First Quarter)

Q1. Ayat 142 Me Bewakoof Kya Kehte Hain? Ans. Bewakoof Mushrikeen Aur Ahle Kitab Kehte Hai Ke Kis Ne Akhir Musalmano Ko Unke Qible Se Pher Diya. Bait Ul Maqdis Se Khana-E-Kaaba Ki Taraf. Q2 A). Ummate E Wasat Kaun Hain? B)Unko Allah Ne Kyun Banaya? Ans. A.Ummat E Muslima Ko Ummat E Wasat Kaha Jaraha Hai. B. Allah Ne Tamam Logo Me Apna Hidayat Ka Paigham Phachane Ki Zimmedari Unhe Di Hai. Q3. Qible Ka Badalne Ya Muqarrar Hone Ki Wajah Kya Thi ?(143) Ans. 1. Ye Jaanna Maqsood Tha Ke Kaun Rasool Ki Pairvi Karega 2. Musalmano Ko Allah Ne Tarjeeh Aur Muqaam Dena Tha Q4. Allah Taala Tumhaare Imaan Ko Zaaya Nahi Karega.143..Allah Aisa Kyun Keh Rahe Hai? Ans. Jab Qibla Bait Ullah (Khane Kaabah) Muqarrar Hua, To Kuch Logo Ko Khayal Guzra Ke Jo Musalmaan Zinda Nahi Aur Wo Bait Ul Maqdis Ki Taraf Rukh Kar Ke Namaz Padhte Rahe To Un Ki Namazein Kya Zaaya Hogayi,Yaa Jo Namazein Un Logon Ne Bhi Baitulmaqdis Ki Taraf Rukh Karke Padhi,Kya Wo Zaaya Ho Gayi? Isliye Allah Farma Rahe Hai Ki Allah Un Ke Amaal Zaya Nahi Karenge. Q5. Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Baar Baar Aasmaan Ki Taraf Chehra Kyun Pher Rahe The? Ans.Aap Khwahishmand The Ke Allah Qible Ka Rukh Bait-Ul-Maqdis Se Bait-Ullah Ki Taraf Kardein. Q6. 144- Ahle Kitaab Jaante The Ki Wo Log Haq Par Hain, Haq Yahaan Kya Hai ? Ans. Qibla Ka Tabdeel Hona, Aur Aakhri Nabi Ka Qibla Khane Kaabah Hoga.

Page 3: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 3

Q7. 145 Kya Ahle Kitaab Hamare Qible Ki Pairvi Karenge?

Se Kya Muraad Hai? Ans. Nahi Who Kabhi Bhi Aisa Nahi Karenge. Isse Muraad Ke Ahle Kitab Aapas Mein Hi 1 Qible Par Ittefaq Nahi Karte Tu Wo Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Qibla Ki Pairvi Kaise Karenge. Q8. Ahle Kitaab Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Ko Kaise Jaante They? Ans. Jaise Wo Apne Beton Ko Pechante The. ملسو هيلع هللا ىلص Q9.147- Allah Taala Kin Me Se Na Hone Ko Keh Rahe Hain? Ans. Shak Karnay Walon Me Se Q10. 149 Kis Taraf Moo Pherne Ko Kaha Jaa Raha Hai? Ans. Masjid-E- Haraam Ki Taraf Q11. Kisse Hame Darna Hai Aur Kisse Nahin Darna?Ayat 150 Ans. Hume Sirf Allah Se Darna Chahiye Aur Logon Se Nahi. Q12.A)Shaheedon Ke Baare Me Hame Kya Nahi Kehna Chahiye & Kyun? B)Kya Shaheed Qabron Me Zinda Hai? Ans. A. Ke Woh Murdah Hain Kyu Ke Jo Allah Ki Rah Me Maare Jaaye Wo Murda Nahi Qarar Diye Jaate Kyu Ke Murda Lafz Afsos Dilate Hai Un Ko Zinda In Ki Izzat O Ikraam Ke Liye Kaha Jaraha Hai. B. Nahi Who Qabro Mei Zinda Nahi Hote Balke Yaha Muraad Barzaq Ki Zindagi Se Hai Aur Shuhadaa Ki Roohein Jannat Me Sabz Parindo Me Hoti Hai. Q13.-155 Allah Hame Kin Kin Cheezon Se Aazmayege? Ans. Khauf, Bhook,Nuqsaan,Maal,Zameen Ki Paidawaar Aur Nafso Se. Q14. Sabr Karne Waale Log Jab Museebat Aati Hai To Kya Kehte Hain? Iske Kehne Par Jo Ajar Hai Uski Hadeeth Bataiye?- 156

انا هلل و انا اليه رجعون - Beshak Hum Allah He Ke Liye Hai Aur Beshak Hum Usi Ki Taraf Laut Kar Jane Wale Hai. Hadith: Hazrat Ussaid Bin Ali Say Riwayat Hai , Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya, “Jis Kisi Musalmaan Mard Ya Aurat Ko Museebat Pahunche Aur Jab Kabhi Us Ko Wo Takleef Yaad Aaye To Woh انا هلل

Padhe To Allah Is Qadar Sawab Likh Dete Hain Jitna Pehle Din K Sabar K Liyeو انا اليه رجعون Likha Gaya Tha.”

Page 4: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 4

Q15. Safa & Marwa Kya Hai? ‘Inka Tawaf Karne Waalon Par Koi Gunaah Nahi Hai’kya Matlab Hai? Ans. Safa Aur Marwa Allah Ki Nishaniyon Me Se Hain. Islam Ke Ibtedai Dino Me Sahaba Karaam Ko Laga Ke Safa Aur Marwah Ke Tawaf Sa Gunah Hoga Kyu Ki In Par Buth Nasab The To Is Ki Wazahat Mein Ye Ayat Nazil Hui Thee. Q16. Sabr Karne Waalon Ke Liye Allah Ki Taraf Se Kya Hai? 157 Ans. Rehmatein Aur Nawazishein Hain Aur Yahi Log Hidayat Pane Wale Hai. Q17. Safa Marwa Ka Tawaaf Hame Kaise Karna Chahiye? Ans. Aqeedat Aur Khushi Se, Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Bataye Huye Tareeke Se, 7 Chakar Safa Se Shuroo Kar Ke Marwa Par Khatam Karne Chahiye. Q18.Jo Kitab Ko, Haq Ko Aur Nishaaniyon Ko Chupaate Hain Unke Liye Kya Hai? Ans.Un Par Allah Ki Laanat Hai Aur Un Tamam Cheezo Ki Laanat Hai Jo Laanat Dete Hain Jaise Farishte,Insaan Etc Ki Bhi Laanat hai Aur Un Ka Anjaam Jahanum Ki Aag Hai. Q19. Jo Kufr Ki Haalat Me Faut Ho Jaaye Unka Anjaam Kya Hai? Ans. Un Par Allah Ki, Farishton Ki Aur Tamam Insano Ki Laanat Hai Aur Un Ke Liye Akhirat Mei Dard Naak Azaab Hai. Q20. A164- Allah Taala Ki Kya Kya Nishaaniyan Bataayi Gayi Hain? Ans. Zameen Aur Asmaan Ki Paydayash,Din Aur Raat Ke Aane Jaane Me, Kashtiyo Ka Samandar Me Chalne Me, Asmaan Se Pani Ke Barasne Me, Aur Usse Jo Anaaj Ugta Hai, Zameen Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye Kisi Aur Ko Shareek Banate Hain Wo Apne Shareek Se Kaise Pyaar Karte Hain? B)Jo Imaan Laate Hain Wo Allah Se Kaise Mohabbat Karte Hain? Ans. A. Jaise Allah Se Karne Ka Haq Hai. B. Buhat Zyada Q22. Kaun Kisse Kab Bazaar Honge? 166 Ans. Jin Ki Pairvi Ki Gayi Hogi Duniya Me Wo Apne Pairokar Se Qayamat Ke Din Bezaar Honge. Q23. 167 A)Kiski Kya Tamanna Hai? B)Unki Hasraton Ka Kya Hoga? C)Un Logon Ka Kya Anjaam Hai? Ans. A. Pairokaro Ki Tamanna Hogi Ke Kash Wo 1 Dafa Dunya Me Lautein Aur Wo Jin Ki Pairvi Kiya Karte The Un Se Bezaargi Zahir Karein. B. Allah Un Ke Amaal Ko Hasratein Bana Kar Pesh Karenge C. Un Ka Anjaam Jahanum Ki Aag Hai

Page 5: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 5

Q24.A) Allah Ne Rizq Me Se Kya Khaane Ko Kaha Hai?B)Kisse Mana Kiya Hai?C)Ye Aayat Kyun Naazil Hui? 168

a. Halal Aur Paak Rizq Khane Ko Kaha Hai b. Shaitan Ke Qadmo Ki Pairvi Se Manaa Kiya Hai. c. Mushrikeene-Makkah Ne Buthon Ke Naam Par Janwar Kheti Waghaira Apne Oopar

Haraam Karli Thi.Aisa Karna Shaitaan Ke Qadmon Ki Pairwi Hai, Aur Halal Ko Is Tarah Haraam Banana Hamare Liye Jayaz Nahi.

Q25. Shaytaan Hame Kis Cheez Ka Hukm Deta Hai? Ans. Buraayi, Behayayi Ka Aur Allah Par Aisi Baatein Gadhne Ka Jo Jhoot Par Mabni Ho. Q26. 170 Jab Unse Kaha Jaata Hai Ke Pairvi Karo Allah Ki Quraan Ki To Wo Kya Kehte Hai? Ans. Who Kehte Hain Ke Wo Apne Aaba O Ajdad Ki Pairvi Karenge Q27. 171-Kaafiron Ki Kaisi Misaal Di Gayi Hai? Ans. Aise Janwar Ki Jo Awaz Aur Pukaar Sunta To Hai Par Us Ko Samjh Kuch Na Aata Ho. Q28. 172. Khaao Piyo Aur Kya Karo? Ans. Allah Ka Shukr Aada Karo. Q29. 173-A)Allah Ne Hamare Liye Kya Kya Haraam Kar Diya Hai?B)Kis Haalat Me Haraam Jayaz Ho Jayega?

a. Murdaar,Khoon, Khinzeer Ka Gosht Aur Aaise Kisi Bhi Janwar Ka Gosht Jo Ghair Allah Ke Naam Par Zubah Kiya Gaya Ho.

b. Majboori Ki Halat Mein Jab Maut Ka Andesha Ho Tab Aur Shauq Se Nahi Khane wala ho Aur Hadh Se Badh Kar Nahi.

Q30 Jo Log Kitaab Ke Ilm Ko Chupaate Hain, A) Wo Kaise Hai?B)Unka Anjaam Kya Hai?

a. Wo Duniya Ki Zindagi Ko Thodi Si Keemat Par Qareedne Wale Hote Hai b. Un Se Allah Roz –E-Qayamat Kalaam Nahi Karega Aur Na Un Ko Paak Karenge Aur Un

Ko Dard Naak Azaab Mein Mubtala Karega. Q31. A176 A)Kaunsi Kitaab Ka Zikr Hai?B)Jo Log Kitaab Ke Bare Me Ikhtelaaf Karte Hain Wo Kaise Hain?

a. Quraan Ka b. Wo Log Door Ki Gumrahi Me Hai Jahan Se Palatna Mushkil Hai.

Q32.A) Kya Farz Namaaz Ke Liye Qiblah Rukh Hona Zarooori Hai? Ans. Jee Haan, Farz Namaz Aap ملسو هيلع هللا ىلص Sawari Rok Kar Zameen Par Padhte Aur Qibla Ka Ehtemam Bhi Karte The.

Page 6: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 6

Q32.B)Kya Sawaari Par Nafil Namaaz Padhna Jaayaz Hai? Ans. Jee Haan, Aagar Aap ملسو هيلع هللا ىلص Sawari Par Hote To Nafil Namaz Ya Sunnat Namaz Jahan Sawari Ka Rukh Hota Namaz Padh Lete. Q32 C).Kya Is Ke Liye Qible Ke Rukh Hona Zaroori Hai? Ans. Nahi , Nafil Aur Sunaat Namaz Ke Liye Qibla Ki Taraf Rukh Karna Zarori Nahi.(Conditional When Travelling Or On A Ride)

Sayqul Parah 2. Surah Al Baqarah Ayath 177 – 201

Part 2 -(Till Nisf- Second Quarter) Questions & Answers

Q1. Neki Kis Cheez Se Hai?Or Neki Kya Hai?A177 Ans. Neki Har Bhalayi Ke Kaam Me Hai Jo Allah Ko Khush Kare. Neki Hai 1. Imaan Lana Allah Par, Farishto Par, Yaum E Akhrat Par, Kitabo Par, Nabiyopar 2. Maal Ko Kharch Karna Bawajood Uski Muhabbat K Upar Rishtedaro Ke, Yateemo Par, Musafiro Par, Sawal Karne Waleoo Par Aur Ghulam Ko Azad Karne Me 3. Sabar Karna Har Mushkil Waqt Me 4. Namaz Qayam Karna Aur Zakat Ada Karna 5. Saach Kehna. Q2. Badla Kaise Lena Hai Qatl Ka? Ans. 1. Jaan Ke Badle Jaan (Or) 2. Jaan Ke Badle Diyat Lena (Or) 3. Maaf Kardena Qatil Ko. Q3. Kya Badle Me Zindagi Hai ? Kaise? Ans. Jee Badle Me Zindagi Hai,Is Tarah Jiske Dil Me Qatl Ka Irada ho Wo Sonchega ki Badle Me Uski Bhi Jaan Li Jayegi,To Wo Jurm Se Ruk Jayega. Q4. Wasiyat Kitne Maal Me Ki Jaa Sakti Hai?Kis Kis Ke Liye Karna Chahiye Aayath Ki Raushni Me Likhiye? A180 Ans. 1/3 Maal Me Ki Jasakti Hai. Un Logo Ko Jin Ka Wirasat Me Haq Nahi ,Schools Hospitals,Masajid Etc Ke Liye Is Ayat Ki Raushni Me Waldain Aur Qarabad Daaro Ke Liye Hai Lekin Ye Maal Me Nahi Kyu Ke Jiska Already Tarke Me Hissa Ho Uske Liye Maal Ki Waseeyat Nahi Ki Jaa Sakti Hai. Q5.Kya Waseehat Badli Jaa Sakti Hai ?Kin Haalaat Me? A182 Ans. Jee Badli Jasakti Hai. Agar Gunah Ke Kaam Ka Andesha Ho,Kisi Ek Fareeq Ki Taraf Dari Horahi Ho,Ya Khilaf E Shariat Kaam Ki Wasihat Ho Tu Badli Jasakti Hai. Q6. Roza Kya Hai? Kya Pehle Ke Log Ya Pichle Qaum Bhi Roza Rakhte They? Aap Ko Kaise Maaloom Hua? Ans. Sehar Say Guroob E Aftab Tak(Dawn To Sunset) Allah Ke Liye Khane Peene Se Rukna,Aur Miya Biwi Ke Talluqaat Se Rukna Roza Hai.

Page 7: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 7

Jee Haan Pichli Qaumo Ke Log Bhi Roza Rakhte The Ye Baat Hume Surah Baqarah Ayat 183 Sepata Chalti Hai “Aay Logo Jo Imaan Laye Ho Likh Diya Gaya Tum Par Rozay Jaisa Ke Likh Diye Gaye The Upar Un Logo Ke Tum Se Pehle Take Tum Taqwa Ikhtyaar Karo.” Q7. Agar Mareez Ho Ya Safar Par Ho To Unke Liye Rozon Ke Baare Me Kya Ehkaam Hain? A185 Ans. Ramazan Ke Baad Dosre Dino Se Ginti Poori Kare. Q8. Quran Kis Mahine Me Naazil Hua? Ans. Ramazan

Q9. Hum Dua Maangte Hain To Kya Hota Hai? A186. Ans. Allah Humari Dua Ko Sunte Hai Aur Jawab Dete Hai Pas Hume Chahiye Ke Imaan Laye Us Par Saacha Aur Uski Baat Maane.

Q10.Kya (Rafasa) رفث Saare Ramadaan Me Halaal Hai? Ans. Rafas(Miya Biwi Ke Talluqaat) Ramazan Ke Mahine Me Sirf Raat Ke Waqt Halal Hai Jab Roza Na Ho. Q11.Shohar Biwi Ek Doosre Ke Liye Libaas Kaise Hain?A 187 Ans. 1.Libaas Insaan Ki Sab Se Qareeb Tareen Cheez Hai Jaise Shohar Bewi Ek Dosre Ke 2. Wo Zaib O Zeenat Ka Baais Hota Hai 3. Libas ehsaas E Tahafuz Aur Taskeen Deta Hai Jaise Shohar Biwi Aapas Me 4 .Libaas Humari Aaibo Par Parda Dalta Hai Isi Tarah Shohar Biwi Ek Dosre Ke Aaibo Par Parda Dalte Hai.

Q12. Safed Aur Kaale Dhaage Se Yahaan Kya Muraad Hai? A 187 Ans. Jab Raat Ke Andhere Se Fajr Ke Waqt Roshni Phat-Ti Hay,Pau Phatna. Q13. Aitekaaf Kahaan Kiya Jaayega Aur Kaise? Ans. Aitakaaf Sirf Masajid Me Kiya Jaa Sakta Hai,Us Masjid Me Jahan 5 Waqt Ki Namaz Bajamaat Ho. Q14. A188 - Maal Kaise Nahi Khana Chahiye? Misaal Dijiye- Explain. Ans. Ek Dosre Ka Maal Aapas Mein Batil Aur Ghalat Tareeqo Se Nahi Khana Chahiye Aur Na Age Hukkam Ko Pahunchana Chahiye(Rishwat) Q15.A 189 Shaane Nuzuli - Shariyat Me Chaand Ka Kya Muqaam Hai? Ans. Sahaba Ilm Ke Buhat Talabgaar The, Who Aap ملسو هيلع هللا ىلص Se Sawal Karte Chand Ke Bare Me Ke Itni Badi Cheez Kis tarah Har Din Tabdeel Hoti Hai, Is Ke Jawab Me Ye Ayat Nazil Huyi. Chand Musalmano Ke Liye Ibadaat Aur Ehkam E Ilahi Ko Pura Karne Ka Intezaam Hai. Ye Humare Liye Ek Calendar Ki Tarah Hai Kyu Ki Iss Ki Mutabiq Ramzan Me Roze Rakhe Jate

Page 8: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 8

Hai, Eid Manyi Jaati Hai, Haj Ki Tayyari Ki Jaati Hai, Bewa Aurat Ki Iddat Muqarar Ki Jati Hai Etc.

Q16. Kin Ka Qatl Karne Ka Hukm Diya Jaa Raha Hai? A190 Ans. Un Logo Ka Jo Musalmano Se Allah Ke Raste Me Ladte Hai Q17. A191 Kisne, Kisko , Kahaan Se Nikaala? Ans. Mushrikeen E Makkah Ne Musalmano Ko Makkah Se Nikala Tha Aur Madina Hijrat Par Majboor Kiya Tha. Q18. Shahrul Haraam Kaunse Hain Unhe Shahrul Haraam Kyun Kaha Jaata Hai? Ans. Rajab, Muharram, Zi Qaad, Zil Haj Shahrul Haram Hai. Ye Hurmato Wale Mahine Hai. In Mei Allah Ne Jang, Fasad, Jhagda Qatal Se Maana Farmaya Hai. Q19.A195 Shaane Nuzuli وانفقو فى سبيل ا هلل وال تلقوا بايديكم الى التهلكة واحسنوا ان ا هلل يحب ا لمحسنين

Ans. Hazrat Abu Ayub Ansari Famatay Hai Ke Ye Ayat Hum Ansaar Ke Liye Nazil Huyi. Jab Allah Ne Madina Me Musalmano Ko Mazboot Kardiya Aur Islam Ko Izzat Dee Tu Ansaar Ne Aapas Mein Ek Dosre Se Kaha Ke Muhajireen Ke Madina Ane Ke Baad Se Bahut Maal Kharch Hua Aur Maaeshiat Tabah Hogai Hai Tu Ab Wo Apne Karobaar Ki Taraf Tawajju Karte Hai.Allah Ne Is Ayat Se Uski Tardeed Kardee Ke Maal Ki Taraf Jaakar Apne Asal Maqsad Ko Naa Bhoolna. Q20. Agar Ehraam Baandh Kar Neeyat Kar Lee Jaaye Aur Umrah Ya Hajj Poora Na Kar Sake To Kya Hai? Ans. Tu Phir Ehraam Kholnay Say Pehlay Hadi Deni Hogi. Q21. Hajj Ke Aham Dino Ke Baare Me Naam Aur Arkaan Likhiye. Following Ayyaam Ke Naam Likhein Aur Bataye Ke In Ayyaam Mein Kaun Kaun Se Manaasik Hajj Ada Kiye Jaate Hain?Har Din Ke Sirf Aham Arkaan Likhein. Ayyam Is Din Ka

Naam Aham Arkaan Jo Ada Kiye Jaatay Hain

8 Zil Haj Yaumut Tarwiya

Mina Ki Taraf Rawangi, Zuhar,Asar,Maghrib,Eisha Aur Fajr Ki Namaz Yahan Ada Ki Jaaegi.Qasr Aur Alag Alag..

9 Zil Haj Yaum-E Arafa

Mina Se Arafaat Ki Rawangi, Khutba Phir Zuhr Aur Asr Ki Namaaz Jama Aur Qasr, Sunset Tak Arafat Me Stay. Sunset Ke Baad Muzdalifah Ki Taraf Rawangi , Raat Ko Muzdalifah Me Stay.

10 Zil Haj Yaum-Un Nahr

Mina Ki Taraf Rawngi , Wahan Pahunch Kar Jamrah E Aqaba Ki Rami, Phir Qurbani Aur Baal Mundwana.Ehraam Utara Jayega.Tahellule -Awwal Is Ke Baad Makkah Jakar Tawaf E Ifada Aur Sayi Hogi.Agar Is Din Nahi Karsakein Tu Dosre Din Jakar Karsakte Hai

Page 9: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 9

11 Zil Haj – 13 Zil Haj

Ayyame E Tashreeq

Zikr Ilahi Ke Din Hai. Raatein Mina Mein Guzarni Hain.Teen Jamraat, Wusta, Oola Aur Aqaba Ki Rami Ki Jaaegi Aur Har Jamrah Ko 7 Kankaryaan Mari Jaaengi. Makkah Se Rukhsat Hote Waqt Tawaf E Wida

Q22. Tamatto Hajj Me Hadi Naa Ho To Kya Hukm Hai? 196. Ans. 3 Din Roze Rakhna Haj Ke Dauran Aur 7 Roze Rakhna Hai Ghar Wapis Ane Ke Baad. Q23. Dauraane Hajj Kya Kya Nahi Karna Chahiye A197 Ans. Rafas, Fusooq-Kisi Bhi Qism Ka Gunah Ka Kaam, Jidaal-Ladayi Jhagda Nahi Karna Chahiye. Q24. Hajj Me Sab Se Aham Rukn ? Ans. Wuquf E Arafat Sab Se Aham Rukn Hai. Q25.A199 Samjhaaiye . ثم افيضوا من حيث أفاض الناس واستغفرو هللا َ ان هللا غفور رحيم Ans. Quraish Apne Aap Ko Khaane Kaaba Ke Custodians Hone Ke Naate Apne Aap Ko Sab Se Aala Aur Behtar Samajhte Aur Arafaat Nahi Jaate,To Allah Taala Farmaa Rahe Hai Ke Doosro Ki Tarah Arafaat Jao Aur Jo Ye Galat Kaam Kar Rahe Ho Us Se Bakshish Mango. Q26. Kaise Dua Maangni Chahiye? Kyun? A201 Ans. Duniya Aur Akhirat Dono Me Allah Se Bhalai Aur Us Ki Rehmat Ke Talabgar Rehna Chahiye. Agar Sirf Duniya Mangi Tu Akhrat Mein Humari Nekiyo Ka Koi Sila Nahi Milega Q27. A203 Ayyamam Maa Doodaat Kaunse Hain? Ans. Ayyam E Tashreeq, 11 Zilhaj Se 13 Zilhaj.Zilhaj Ke Das Din Bhi Honge.

Sayqul Parah 2. Surah Al Baqarah Ayath 202– 230

Part 3 -(Till Salaas- Third Quarter) Questions & Answers

Q1. Ayyamam Maa Doodaat Kaunse Hain? Ans. Ayyam E Tashreeq, 11 Zilhaj Say 13 Zilhaj Or Zilhaj Ke First 10 Days. Q2. Ayath 205-206 Samjhaaiye.

واذا قيل له اتق هللا أخذته العزة .502واذ تولى سعى فى اإلرض ليفسد فيها وسهلك الحرث وانسل وهللا آل يحب الفساد

502سبه جهنم ولبس المهادباآلثم فح Akhnas Bin Shuraiq Ki Taraf Ishara Hai Wo Intehai Khush Kalaam Tha Isliye Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Us Ki Baatein Pasand Aati Thee To Yahan Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Kaha Ja Raha Hai Ki Aise Log Asal Me Sakht Jhagdaloo Hai Aur Jab Wo Palat Kar Jaate Hain To Khet Aur Naslo Ko Tabah Kardete Hai Jaisre Akhnas Bin Shuraiq Ne Madina Se Makkah Wapsi Par Kiya.

Page 10: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 10

Amoomi Hawalay Se Dekha Jaye To Bataya Jaraha Hay Ke Buhat Se Khush Kalam Log Sirf Baatein Banate Hai Aur Kaam Kuch Nahi Kartay Allah Ke RastE Me Aur IntehaYi Jhagdalu Aur Fasad Karne Wale Hote Hai Aur Un Se Allah Muhabbat Nahi Rakhte. Q3. A208 Islam Me Kaise Daakhil Hona Hai? Isse Kya Muraad Hai? Ans. Islam Me Poore Ke Poore Dakhil Hona Hai, Deen Ki Tamam Baato Ko Apnana Hai Aur Un Par Amal Karna Hai Ye Nahi Ke Jo Achi Lage Wo Maan Le Aur Baqi Chod De. Q3 Aayath 208 Ka Tarjuma Likhiye Aur Bataayiye ke Is Mein Se Kya Aham Baat Pata Chalti Hai. Ans. “Ay Logo Jo Imaan Laye Ho Dakhil Ho jao Deen Me Poore Ke Poore Aur Na Tum Pairvi Karo Qadmoo Ki Shaitan Ke Beshak Wo Tumhare Liye Dushman Hai Khullam Khulla” Deen Ke Kuch Ehkamaat Par Amal Karke Kuch Ko Nazarandaaz Nahi Kiya Jaa Sakta Hai, Har Hukm Par Amal Karna Hai. Q4. Duniya Kin Ke Liye Khoobsoorat Hai? Ans. Kaafiro Ke Liye. Q5.Kaanan Naasu Ummatan Waahidan Se Kya Murad Hai? Ans. Tamam Log Ek Hi Jamat Se Hote The.A) Adam(As) Say Hazrat Muhammad ملسو هيلع هللا ىلص Tak Tamam Ambia Ka Deen Islam Tha.B)Adam (As)Se Nooh (As) Tak Wo Log Tawheed Par The,Lekin Nooh(As) Ke Waqt Un Logon Me Shirk Daakhil Hone Ki Wajah Se Ikhtelaaf Aaya Aur Mukhtalif Firkho Me Bat Gaye. Q6.a. ‘Qulil Afw' Se Kya Muraad Hai? Aayath Ki Wazaahat Mein Ek Hadeeth Likhiye. Ans. Isse Muraad Zayed E Zarorat Maal,Wo Maal Jis Ko Dene Se Takleef Na Ho Aur Baghair Mange De Dia Jaye Aur Wo Behtareen Maal Ho. Hadith Ka Mafhoom.Jo Ham Kha Peele Yaa Pehan Le Wo To Qatm Ho Jaata Hai, Jo Chod Dete Hai Wo To Waarison Ke Liya Hai,Lekin Jo Sadqa Karte Hai Sirf Wahi Apna Asal Maal Hai Jo Akharat Ke Account Me Jamaa Hota Hai. B)Maal Kis Par Kharch Karna Hai? Ans. Waaldein, Rishte Daar, Yateem, Miskeen Aur Musafiro Par. Q7. Ayath 216 Ki Shaane Nuzuli Kya Hai? كتب عليكم القتال وهو كره لكم وعسى أن تكون شيا وهو خير لكم وعسى أن تحبو شيا وهو شر لكم وا هلل يعلم وانتم آل

512تعلمون Ans. Jab Musalmaan Makkah Me The To Khwahish Karte The Ke Mushrikeen Makkah Se Badla Le To Un Ko Roka Jaata Tha. Phir Madina Mein Jab Unko Qital Ka Hukm Huwa Tu Wo Nahi Chah Rahe The To Is Par Ye Ayat Nazil Hui Thee. Q8. Qatl Se Bada Kya Hai ?Kyun? Ans. Fitna Bada Hai Kyun Ki Neki Se Rokna, Allah Ke Raste Say Rokna, Gharon Se Beghar Karna Aur Bhi Bada Jurm Aur Gunaah Hai.

Page 11: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 11

Q9. Agar Koi Kufr Par Mar Gaya To Kya Hai? Ans.Us Ke Duniya Aur Akharat Ke Tamam Amaal Zaya Hogaye Aur Woh Hamesha Jahannum Me Rehega.Duniya Me Uska Kafan Dafan,Namaaze Janaaza Aur Tadfeen Musalmaano Ke Tareeke Se Nahi Hogi Aur Naahi Wo Musalmaan Ke Tarke Me Waaris Hoga Naa Uske Tarke Ka Musalmaan Waaris Hoga. Q10. Kabeera Gunaah Ki Pehchaan? Yahaan Kaun Kaun Se Gunah Kabeera Gunaah Hai? Ans. A)Jin Par Allah Ki Laanat Ho B)Jin Par Had Jaari Ho C)Jin Par Azaab Ki Khabar Di Gayi Ho,Quran Aur Sunnat Me. Mah E Haram Mein Qatal Karna, Jang Karna Allah Ke Raste Se Rokna, Kufr Karna( Shirk Karna), Masjid E Haram Say Rokna Aur Usse Nikalna. Q11.Allah Ki Rehmat Ka Haqdaar Kaun Hai? A218. Ans. Jo Imaan Laye, Jinhone Hijrat Ki, Aur Jihad Fi Sabil Illah Kiya Q12. Sharaab Aur Juwe Ke Baare Me Kya Hukm Hai? Ans. Haraam Hai Aur Inka Gunah Buhat Bada Hai. Inke Faide In Ke Nuqsanaat Se Kahi Zyada Thode Hain. Q13. Kaunsa Maal Kharch Karna Hai? A219 Ans. Zaid E Zarorat Maal (Afw)Kharch Karna Hai Jo Bach Jaye Aur Dene Mein Takleef Na Ho Aur Baghair Mange De Diya Jaye. Q14. Yateemon Ke Baare Me Kya Hukm Hai? Ans. In Ke Sath Ache Sulook Ke Sath Sath Un Ki Bhalai, Islah Aur Khairkhwahee Maqsood Hai. In Ko Apne Khane Me Bhi Mila Sakte Hain Magar Niyat Me Fitna Na Ho Ke In Ka Maal Hadap Le. Q15. Kya Mushrik Ya Mushrikah Se Nikaah Jayaz Hai? Kyun? Ans. Nahi Jaaiz. Wo Aag Ki Taraf Bulaate Hai,Matlab Jahannum Ki Taraf.Isse Imaan Ke Zaya Hone Ka Andesha Hai. Q16. Haiz Me Kya Kya Mana Hai? Ans. 1. Namaz Nahi Padhna 2. Roza Nahi Rakhna 3.Tawaf E Kaaba Nahi Karna 4. Masjid Me Nahi Jaana 5. Quran Ko Nahi Choona 6.Rafas Nahi Karna.(Sexual Intercourse) Q17.Kyun Auraton Ki Misaal Kheti Se Di Ja Rahi Hai? A223 Ans. 1. Qeemti Cheez Hai, Aurtein aur Khet dono 2.Khet Ko Abaad Rakha Jaata Hai aur Aurat ko bhi, Aisa Nahi Ke Nikah Kar Ke Shohar Ghafil Hojai, Bewi Ki Parwah Na Kare 3. Kheti Ki Nigrani Ki Jaati Hai Jaise Shohar Bewi Ki Hifazat Karta Hai. 4. Khet Me Jakar Insaan Khush Hota Hai To Shohar Ke Liye Biwi Khushi Ka Sabab Hai.

Page 12: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 12

5. Kheti Ek Milkiat Hoti Hai To Shohar Ke Liye Bewi Bhi Khaas Hoti Hai. 6. Khet Se Phal Lena Hota Hai Isi Tarah Biwi Aulaad Deti Hai. Can Check Lecture For Points Q18. Qasmon Ke Baare Me Aap Kya Jaante Hain? A224 - A225 Ans.Sirf Allah Ke Naam Par Hi Qasm Khayi Jaa Sakti Hai.Allah Ke Naam Par Jhooti Qasm Nahi Khayi Jaa Sakti Hai. Jhoothi Qasm Ka Kaffaraa-10 Ghareebo Ko Khana Or 10 Ghareebo Ka Kapda Or 3 Din Ke Roze Or Ek Ghulaam Azaad Q19.Eela Kya Hai? Aap Iske Baare Me Kya Jaante Hain? Ans. Aurat Se Jismani Talluq Qaim Na Rakhne Ki Qasam Jo Is Ka Shauhar Khaye. Jo Koi Mard Aisi Qasm Khaye To 4 Mahino Me Biwi Se Rujoo Karle Aur Agar Na Kiya To Biwi Qazi Ke Zariye Talaaq Le Sakti Ya Nikah ko Fasq(Dissolve) Karwa Sakti Hai. 4 Mahino Se Zyada biwi Ko Muallaqah Chodna Haram Hai. Q20. Masnoon Talaaq Ka Tareeqa Kya Hai?

Halat E Tohar

Tohar Me Shohar Aur Bewi Ne Mubasharat Na Ki Ho

Shauhar Biwi Ko Ek Talaq Dega Aur Bewi Ki Iddat Shuroo Hojaaegi Jo Teen Haiz Yaa Teen Maah Hogi

Iddat Biwi Apne Shohar Ke Ghar Me Guzaaregi Jiske Dauran Shohar Ko Rujoo Karne Ka Haq Hoga.

Teen Maah Guzar Jaane Ke Baad Aurat Azaad Hai.Chahe To Bahar Nikaah Karle Aur Agar Wapas Shohar Se Nikaah Karna Hai To In Dono Ko Aurat Ki Razamandi Se Phir Se Nikaah Naye Mehr Ke Saath Hoga.

Is Talaaq Ko Talaaqe Raji Kehte Hai.

Isi Tarah 3 Talaaq Ke Baad Rujoo Karna Mumkin Nahi Hai Baghair Halalah Ke.Teesre Talaaq Ko Talaaqe Baa-In Kehte Hai

Q21. Kya Halalah Jayaz Hai? Ans.Nahi,Agar Sirf Pehle Shohar Se Nikaah Ke Liye Contract Marriage Ki Tarah Agar Kiya Gaya Ho To Haram Hai Q22. A230 Samjhayiye . Ans. Agar Talaq Baaein Waqe Ho Chuki To Mard Par Us Ki Bewi Kisi Tarah Halal Nahi Jab Tak Wo Kisi Aur Se Nikah Nahi Karleti Aur Dosra Shohar Apni Marzi Se Talaq Nahi Deta, Tab Pehla Shehar Apni Sabqa Bewi Se Rujoo Kar Sakta Hai Nikah Ke Liye.

Page 13: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 13

Q24. "Roklo Maaroof Tareeqe Se , Ya Chod Do Maroof Tareeqe Se" Se Kya Muraad Hai? Ans. Agar Aurat Ko Wapas Apni Zindagi Me Le Rahe Ho To Use Acha Aur Khush Rakhne Ki Neeyat Se Wapas Bulao, Takleef Dene Ki Neeyat Se Nahi, Aur Agar Talaaq Dekar Alag Kar Rahe Ho To Bhi Koi Takleef Na Do, Achi Tarah Se Ruksat Kar Do Q25. In Khawaateen Ki Iddat Ki Muddat Likhiye.

Bewa-4 Months10 Days

Talqiyafta-3 Menses/Tohr/3 Months(For those who do not get Periods_

Khula Ke Baad-1 Menstrual Cycle/1 Month(For those who do not get periods_

Pregnant-Till Delivery

Sayqul Parah 2. Surah Al Baqarah Ayath 231 – 252

Part 4 -(Till End- Last Quarter) Questions & Answers

Q1.A 231 - Kaunse Talaaq Ka Zikr Hai Jisme Aurat Apne Shohar Se Wapas Nikaah Kar Sakti Hai? Ans. Talaaq –E- Rajai Q2. Nikaah Pehle Shohar Se Karne Me Behtari Hai Ya Baahar? Ans. Talaaq-E-Rajai Mein Pehle Shohar Se Aur Agar Talaaq Baaen Ho Chukee To Bahar. Q3. Kitne Arse Tak Doodh Pilaane Ka Hukm Hai? Ans. 2 Saal (For Both Boys and Girls) Q4. Doodh Pilaane Waali Ka Naan Nafqa Kis Par Hai? Ans. Baap Par Bache Ke Q5. Bewaa Ki Iddat Kitni Hai? Ans. 4 Months Aur 10 Days Q6.Kya Bewaa Shaadi Karsakti Hai? Ans. Jee Haan Iddat Khatam Hone Ke Baad Karsaktee Hai. Q7.Bewaa Ko Iddat Me Ya Iddat Ke Baad Nikaah Ka Paigaam Kaise Bheja Jayega? Ans. Iddat Ke Dauraan Khulam Khula Paigham Ya Koi Chup Kar Waada Nahi Karna Chahiye Nikah Ka Balke Isharatan Paigham Diya Jasakta Hai. Iddat Khatam Hone Ke Baad Baham Razamandi Se Nikah Kiya jayega.

Page 14: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 14

Q8. Talaaq Yafta Ko Nikaah Ka Paigaam Kaise Bheja Jayega? Ans. Talaaq Raji Ho To Iddat Mein Na Khufya Aur Na Khula Paigham Diya Jaaega Aur Agar Talaaq Baaen Hochuki Ho To Iddat me Khoofiyah diya jaa sakta hai Iddat Ke Baad Paigham Diya Jasakta Hai.

Q9. Mehar Ke Haalaat Aur Unko Ada Karne Ke Haalaat Mehr Muqarrar

Khalwat Nahi Hui Nisf Mehr

Khalwat Howee Puri Mehr Ada Karni Hogee Q10. A238 Salaat Al Wusta Kaunsi Hai? Daleel? Ans. Asar Ki Namaz Hadith: Hazrat Abdullah Bin Masood Aur Ibn-E-Abbas Say Riwayat Hay Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya, “Salat Ul Wusta Namaz E Asar Hai” (Tirmizi) Q11. Khauf Ke Waqt Kaise Namaz Padhi Jaayegi?

Khauf Ke Waqt Paidal Ya Sawari Par Namaz Padhi Jasaktee Hai.

Imam Ke Peeche Jamat Me Hi Hogi

2 Groups Banayenge , Jang Ke Waqt. Ek Group Aadhi Namaz Imam Ke Saath Aur Ek Group Maidane Jang Me Aur Baaki Aadhi Apni Apni Padhenge

Q13. Qarze Hasana Kya Hai? Ans. Allah Ke Raste me Apna Maal Kharch Karna Jiske Returns Akhirat Me Milenge Q14. A246. Bani Israayeel Ke Kis Nabi Ka Daur Hai? Ans. Hazrat Samoil Q15. A247 Allah Ne Kisko Kyun Chuna? Kin Do Sifaat Par Chuna? Ans. Allah Ne Talooth Ko Uski Ilm Ki i Aur Jismani Taqat Ki Buniyaad Par Chuna Q16. Taaboot Kya Hai? Usko Kaun Le Gaye They Aur Kaise Waapas Lautaya? Ans. Taboot Ek Sandooq Tha Aur Is Mein Mann Ki Bottles,Hazrat Moosa Ka Asa, Taurat Ki Takhtiyan, Aur Tabarukat Jo Aal E Moosa Aur Al E Haroon Chod Kar Gaye The. Usko Amaaleqa Ne Le Liya Tha Jab Wo Bani Israel Par Hamla Kar Ke Ghalib Agaye The. Us Taboot Ko Farishte Wapas Le Kar Aye The. Q17.Ummate Wasat Ki Haisiyath Se Hamaari Kya Zimmedaari Hai? Ans. Allah Ke Paigham Ko Aam Karna.

Page 15: JUZ 2 (Question And Answers) - Darul Arqam - … Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye

Juz 2 Question And Answers

DARUL ARQAM Page | 15

Q18. A249 Bani Israyeel Ki Aazmaaish Kaise Hui? Ans. Taloot Ne Apne Lashkar Se Kaha Tha Ke Ek Nehr Ka Pani Na Peena ,Par Un Ke Lashkar Ke Logo Ne Baat Na Maani Aur Buhat Se Logo Ne Pani Pee Liya Siwayei Chand Ke. Q19. A250 Kya Dua Maangi Jaa Rahi Hai Aur Kin Haalaat Me? Ans. “ Aay Humaray Rab Daal Day Hum Par Sabr Aur Jama De Humare Qadmo Ko Aur Madad Kar Humari Oopar Kafir Qaum Ke” Taloot Ke Lashkar Ke Buhat Se Log Peechay Hath Gaye The Aur Bahut Thode Logo Ke Sath Taloot, Jaloot Ke Muqable Ke Liye Nikle. Q20. Jaaloot Ka Qatl Kisne Kiya? Ans. Hazrat Dawood(As) Q21. Allah Taala Ne Dawood As Ko Kaisa Ilm Diya? Ans. Allah Ne Aap Ko Zaboor Di, Ilm Sikhaya, Hikmat Di, Apke Hatho Me Loha Narm hota Aur Wo Lohe ki Zirhein Banate. Q22. A252 Kaun Mursaleen Me Se Hai? Ans. Hazrat Muhammad ملسو هيلع هللا ىلص Q23. Murdaar Ko Khaane Se Kyun Mana Kiya Gaya ? Ans. Kyun Ke Wo Gunaah Hai, Sahet ke liye bhi bura hai, Usse beemariya hoti hai.